Wednesday, 6 November 2019

SᴀHᴀBᴀ e kɪʀᴀᴀᴍ kᴀ Tᴀ'ᴀʀᴜƒ

🅿🄾🅂🅃 ➫  01

*↡  SαHαɓα -ε- ҡเrααɱ  ҡα  Tα’αruƒ ↡*
  •───────────────•

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’ Bakar  Siddiq  Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘Naame MubaraQ ⌬ ➤*
     Abdullah Laqab , Atiq Aur Siddiq

*⚘Walid ka naam ⌬ ➤*
     Usmaan , Laqab Abu’Qahaafa

*⚘Walida ka Maam⌬ ➤*
     Ummul Khair Salama bint-e-Sakhr

*⚘Tarikh-e-Paida’isH ⌬ ➤* Waqi’ya-e-Feel(Yani woh waqiya jis mein Yaman se kuchh log haathi par sawar ho kar Khaana-e-Ka’aba ko dhaane aaye the,Magar Allah ne un sab ko halaak aur barbaad kar diya) Us ke 2 saal 6 mahine ke baad aap Makka sharif mein paida hue

*📬 Al-Isaaba, Vol:4,Page No.101 📚*


*⚘Qabool-e-IsLam ⌬ ➤* Is baat par sabhi logo ka ittefaaq hai ki Mardon mein sab se pehle aap hi ne Islam qabool kiya Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki main ne jis ko bhi Islam ki dawat diya to woh sooch aur fikr mein padh gaya siwaye Abu’Bakar ke Ki unhone meri dawat ko begair kuchh soche samjhe fauran QabooL kar liya...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  02

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’ Bakar  Siddiq  Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

         ⚘ FaziLaT aur MarTaba ⚘
         •────────────•

⚘1⃣ ⌬ ➤ Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Har Nabi ke 2 wazeer aasmaan walon mein se hote hain aur 2 zameen walo mein se To mere 2 wazeer aasmaan walo mein se Jibra’il aur Mika’il hai Aur zameen walo mein se mere 2 wazeer Abu’Bakar aur Umar hain

     *📬 Tirmizi,Hadis No.3680 📒*

⚘2⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Ali radhi allaho anho bayan karte hain ki Main Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ke saath tha Itne mein Hazrat-e-Abu’Bakar aur Hazrat-e-Umar aate hue dikhe to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Abu Bakar aur Umar tamaam agale aur pichhle jannati budhon ke sardaar hain

    *📬 Ibn-e-Maja, Hadis No.95 📕*

⚘3⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Huzaifa radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Tum log mere baad Abu’bakar aur Umar ki pairwi karna..✍


     *📬 Tirmizi,Hadis No.3665 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  03

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’ Bakar  Siddiq  Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

         ⚘ FaziLaT aur MarTaba ⚘
         •────────────•

⚘4⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Ali radhi allaho anho ne irshad farmaya ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke baad logo mein sab se behtar Abu’Bakar hain aur Abu’Bakar ke baad Umar hain

*📬 Sahi Bukhari, Hadis No.3671.Ibn-e-Maja,Hadis No.106 📒*

⚘5⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Ek din Huzur Sallallaho alaihe wasallam apne ghar se nikle Us waqt Hazrat-e-Abu’Bakar radhi allaho anho aap ke daahine taraf the aur Hazrat-e-Umar radhi allaho anho aap ke baae taraf the Aur Aap Sallallaho alaihe wasallam dono ke haath ko pakde hue the Aap Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Ham log Qayamat ke din bhi isi tarah se uthenge

   *📬 Tirmizi,Hadis No.3669 📘*

⚘ ⌬ ➤  Is ke elawah hadis sharif mein aap ki bahut saari fazilat aur martaba ko khud huzur sallallaho alaihe wasallam ne bayan farmaya hai jaise ki Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Woh shakhs jis ko jannat ke tamam darwaze se jannat mein daakhil hone ke liye pukaara jaaega woh Abu’bakar hai.wagairah..✍


*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.3666 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  04

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’ Bakar  Siddiq  Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

         ⚘ MuddaT-e-KhilaafaT⚘
         •────────────•

⚘⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke parda farmane ke baad saare sahaba ne muttafiq ho kar aap ke haath par bai’at kiya Is tarah se Aap Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke sab se pehle khalifa muqarrar hue Aur ye hona hi tha kyunki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne apni zindagi mein agarche kisi ka naam le kar apna khalifa muqarrar nahi kiya tha Magar aap ne Saaf saaf ishaarah aur bayan Hazrat-e-Abu’Bakar radhi allaho anho ke liye farmaa diya tha Isi liye jab Aap Sallallaho alaihe wasallam bimaar hue aur masjid nahi jaa sake to aap ne apni jagah namaaz padhane ke liye Hazrat-e-Abu’Bakar radhi allaho anho ko imam banaya Aur Aap Sallallaho alaihe wasallam ne apne bimari ke dino hi mein ek martaba ye irshad farmaya ki Mujhe darr hai ki koi tamanna karne wala ye tamanna karega ki main khilafat ka zyada haqdaar hu Magar Allah Ta’ala aur musalman Abu’bakar ki khilafat ke siwa har ek ki khilafat ka inkaar kar denge

*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2387 📒*


⚘⌬ ➤ Aap ne kul 2 saal 7 mahine khilaafat ki zimmadari bade hi achhchhe aur nirale andaz mein ada farmaya Aur Islam aur musalmano ki bhala’ee ke liye jo khidmatein anjaam diya, Us ka ehsaan kabhi ada nahi kiya jaa sakta..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  05

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’ Bakar  Siddiq  Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

         ⚘ MuddaT-e-KhilaafaT⚘
         •────────────•

*⚘NOTE⌬ ➤* Kuchh log kahte hain ki khilafat ke zyada haqdaar Hazrat-e-Ali radhi allaho anho the Magar jab unhone dekha ki saare log Abu’Bakar ki taraf hain Aur sab logo se tanha jang karna mushkil hai Is liye unhone khilafat ka dawa nahi kiya aur hazrat-e-Abu’Bakar ki haath par bai’at kar liye (1000 baar tauba) Ye bilkul galat baat hai Jise kuchh napaak khayal ke logo ne Hazrat-e-Ali radhi allaho anho ke baare mein khud se garh liya hai Is liye ki Ahl-e-Sunnat wajama’at ke mutabiq agar hazrat-e-Abu’Bakar radhi allaho anho khilafat ke haqdaar nahi hote to Hazrat-e-Ali radhi allaho anho aur dusre tamam sahaba kabhi bhi un ke haath par bai’at karte hi nahi Kyunki Sahaba ki ye shaan hi nahi ki woh baatil ke khilaaf kisi bhi shart par jhook jaae

*⚘⌬ ➤ WisaaL-e-Pur MalaL* Aap ka wisaal 22 jumadil-aakhirah 13 hijri mein huwa Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne janaze ki namaaz padha’ee Phir aap ko Huzur sallallaho alaihe wasallam ke bagal mein dafan kiya gaya Aap ki kul umar sharif 63 saal ki hui..✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.4409 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  06

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Umar  FaaruQ   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘Naame MubaraQ ⌬ ➤*
     Umar , Laqab , Abu’Hafs

*⚘Walid ka naam ⌬ ➤
       KhattaB
*⚘Walida ka Maam⌬ ➤*
     Hantama bint-e-Hashim

*⚘Tarikh-e-Paida’isH ⌬ ➤* Aap waqi’yae feel ke 13 saal baad Makka sharif mein paida hue

*📬 Tahzibut tahzib,Vol:7,Page No.385 📚*

*⚘Qabool-e-IsLam ⌬ ➤* Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne ek din dua farmaya ki Aye Allah Abu’jehal aur Umar bin khattab mein se jo tujhe pasand hai use Islaam laane ki taufiq de aur uske zariye Islam ko bulandi ata farmaa

      *📬 Tirmizi,Hadis No.3681 📕*

⚘ ⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki ye dua aap ke haq mein qabool hui aur aap ne Islam qabool farmaa liya Aap ke Islam laane se  Musalmano ko badi himmat aur taaqat mili Aur musalman khul kar khaana-e-Ka’aba ke paas namaaz padhne lage jab ki aap ke Islam laane se pehle musalman apne andar ye taaqat nahi paate the..✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.4487 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  07

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Umar  FaaruQ  Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘⌬ ➤KhilaafaT* Islaam laane ke baad se apni zindagi ki aakheri saanso tak aap ne Islam aur musalmano ki jo azim khidmat anjaam diya uski misaal kahin nahi milti hai Khalifa ke taur par aap ne 22 jumadil-aakhira 13 hijri se le kar 26 zil-hijja 23 hijri tak aap ne Islam aur musalmano ke liye kaam kiya Is darmiyan mein aap ne Islami hukumat ko dunya ki sab se mazboot aur sab se badi hukumat,Aur musalmano ko dunya ki sab se zyada khush-haal aur taraqqi yaafta qaum bana diya

         ⚘ FaziLaT aur MarTaba ⚘
         •────────────•

⚘ ⌬ ➤ Quran aur hadis mein aap ki bahut saari fazilatein bayan ki gayi hain Un mein se kuchh ye hain

⚘1⃣ ⌬ ➤ Huzur Rahmat-e-Alam Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Agar mere baad bhi koi nabi hota to Umar hota

     *📬 Tirmizi,Hadis No.3686 📗*

⚘2⃣ ⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Beshak Allah Ta’ala ne “Haq” Umar ki zubaan aur dil par rakh diya hai..✍


     *📬 Tirmizi, Hadis No.3682 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  08

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Umar  FaaruQ  Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

         ⚘ FaziLaT aur MarTaba ⚘
         •────────────•

⚘3⃣ ⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Beshak Jannat mein oonche darje wale logo ko un se niche darje wale log isi tarah dekhenge jis tarah se zameen se aasmaan ke kinaare mein zaahir hone wala sitaara dikha’ee padhta hai Aur beshak Abu’Bakar aur Umar unhi oonche darje walo mein se honge

    *📬 Tirmizi, Hadis No.3685 📒*

*⚘ ⌬ ➤ ShahadaT* 26 zilhijja 23 hijri ko aap fajar ki namaaz padhane ke liye aage badhe aur abhi Allaho akbar keh ke haath baandhe hi the ki Hazrat-e-Mogira bin shu’aba radhi allaho anho ka iraani majusi gulam Abu’lulu Feeroz ne achanak aap par khanjar se hamla kar diya aur lagaatar 6/7 baar hamla kiya jis ki wajah se aap shaheed ho gaye Phir us gulam ne apne hi khanjar se apna bhi kaam tamaam kar liya Hazrat-e-Suhaib radhi allaho anho ne aap ki namaz-e-janaza padhaya aur phir Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anho ki ijazat se aap ko Hazrat-e-Abu’bakar ke pehlu mein dafan kiya gaya..✍


*📬 Asadul Gaaba,Vol:2,Page No.331 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  09

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Usman  Gani   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘Naame MubaraQ ⌬ ➤*
     Usman, Laqab, Zunnorain

*⚘Walid ka naam ⌬ ➤*
     Affan

*⚘Walida ka Maam⌬ ➤*
     Urwi bint-e-Kuraiz

*⚘Tarikh-e-Paida’isH ⌬ ➤* Aap ki paida’ish waqi’yae feel ke chhathe saal (Hijrat se 47 saal) pehle qabila Quraish ke ek bahut hi bade gharaane mein hui

*📬 Al-Isti’aab,Vol:3,Page No.1038 📚*

*⚘Qabool-e-IsLam ⌬ ➤* Aap Hazrat-e-Abu’bakar radhi allaho anho ke paas uthte baith te the Jab unhone Islam qabool kar liya to phir unhone apne khaas aur qaribi saathiyo ko Islam ki dawat dena shuru kiya To Hazrat-e-Usman radhi allaho anho ko bhi Islam laane ki dawat di aur phir un ko le kar Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki baargah mein gaye To unhone Islam qabool kar liye

*⚘Sharf-e-Damadi ⌬ ➤* Imaan laane ke baad Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne apni beti Hazrat-e-Ruqayya radhi allaho anha ka aap ke saath nikah farmaya Jang-e-Badar ke mauqe par jab hazrat-e-Ruqayya ka inteqaal hogaya to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne apni dusri beti Hazrat-e-Umme Kulsoom radhi allaho anha ka nikaah aap se kar diya Phir jab in ka bhi inteqal hogaya to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki “ Agar mere paas tisri beti bhi shadi ke liye hoti to main us ka bhi nikah Usmaan ke saath kar deta..✍


*📬 Asadul Gaaba,Vol:2,Page No.249 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  10

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Usman  Gani   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​
*⚘HijraT ⌬➤*  Islam qabool karne ki wajah se aap ko badi hi mushkilo ka saamna karna pada Kyunki jo log Islam ke khilaaf aage aage the un mein aap ka bhi khaandan tha Aur ye baat un ko hargiz bardasht nahi tha ki unhi ke khaandan ka koi jawan Islam le aae Is liye pehle aap ko khaandan walo ne samjhaya lekin jab dekha ki samjhane ka koi asar nahi ho raha hai to aap ko baandh kar maara pita aur tarah tarah se zulm karne laga Ek zamane tak aap zulm sahte rahe phir jab pehli martaba Habsha ki taraf Huzur ne musalmano ko hijrat kar ke jaane ki ijazat ata farmaya to 11/mard aur 4/auraton ne Habsha ki taraf hijrat kiya Is Qaafle ke leader aap hi the aur is safar mein aap ke saath aap ki biwi hazrat-e-Ruqayya bhi thi Ek zamane tak wahi rahe phir jab ye khabar mili ki Makka ke haalat thik ho gaye hain to aap wapas Makka laut aaye Lekin khabar jhooti saabit hui to saath aane wale kuchh log wapas Habsha chale gaye Lekin aap Makka hi mein ruk gaye aur jab Hijrat ki aam ijazat hui aur Musalman Madina sharif hijrat kar ke jaane lage to aap bhi Madina sharif chale gaye..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  11

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Usman  Gani   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘kHilafaT ⌬➤*  Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne apne aakheri waqt mein ek committee banaya jis mein Hazrat-e-Usman,Hazrat-e-Ali,Hazrat-e-Sa’ad bin abi waqqas,Hazrat-e-Abdur Rahman bin auf,Hazrat-e-Talha aur Hazrat-e-Zubair radhi allaho anhum ko shaamil kiya aur farmaya ki Ye woh log hain ki jab Huzur dunya se tashrif legaye to in se raazi aur khush the Is liye ye log aapsa mein mashwara kar ke jis ko khalifa bana de wahi mere baad musalmano ka khalifa hoga Is committee ne Hazrat-e-Usman radhi allaho anho ko khalifa muqarrar kiya Is tarah se aap 1 Muharram 24 hijri ko Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke tisre khalifa hue aur logo ne aap ke haath par bai’at kiya

⚘⌬ ➤  Aap ne kul 12 saal tak khilafat ki zimmedari ada kiya jis mein pehle ka 6 saal bada hi achhchha guzra aur musalmano ki badi taraqqi hui Lekin aakhir ke 6 saal mein munafiqo ne yahudiyo ke saath saaz baaz kar ke aap ke khilaaf fitna aur fasaad ki aag lagana shuru kiya yahan tak ki 17 zil-hijaa 35 hijri ko juma ke din zaalimo ne aap ko shaheed kar diya Shahadat ke waqt aap Quran sharif ki tilawat kar rahe the Aur aap ke khoon ka pehla qatra Surah baqra ki aayat No.137 par gira.Jis ka maana ye hai “ To Allah un ki taraf se tumhe kaafi hoga aur woh sab kuchh sunta aur jaanta hai..✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.4554.4555 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  12

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Usman  Gani  Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

         ⚘ FaziLaT aur MarTaba ⚘
         •────────────•

⚘ ⌬ ➤ Hadis sharif mein aap ki bahut saari fazilatein aayi hain Un mein se kuchh ye hain

⚘1⃣ ⌬ ➤ Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jannat mein har nabi ka ek saathi hoga aur jannat mein mere saathi Usman honge

  *📬 Tirmizi,Hadis No.3698 📕*

⚘2⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Sahal bin Sa’ad radhi allaho anho kahte hain ki main ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam se arz kiya Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Kya jannat mein jagmagahat hogi?To Aap Sallallaho alaihe awsallam ne farmaya ki Qasam hai us zaat ki jis ke qabze aur qudrat mein meri jaan hai Jab Usman jannat mein ek manzil se dusri manzil ki taraf jaaega to jannat un ke liye jagmagaehi

*📬 Al-Mustadrak,Hadith No.4540 📒*

⚘3⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anho bayan karte hain ki ham log huzur Sallallaho alaihe wasallam ke zamane mein Hazrat-e-Abu bakar ke barabar kisi ko nahi samajhte the.Un ke baad hazrat-e-Umar ko aur un ke baad Hazrat-e-Usman ko Un ke baad ham log kisi ko kisi par fazilat ki baat nahi karte the..✍


*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.3698.Tirmizi,Hadis No.3706 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  13

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  MauLa   Ali    Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘Naame MubaraQ ⌬ ➤*
     Ali ,Kunniyat ,Abul Hasan ,Abu Turab ,Laqab ,Haidar aur Murtaza

*⚘Walid ka naam ⌬ ➤*
     Abu TaliB

*⚘Walida ka Maam⌬ ➤*
     Fatima Bint-e-Asad

*⚘Tarikh-e-Paida’isH ⌬ ➤* Aap ki paida’ish waqi’yae Feel ke 30 saal baad aur Hijrat se 25 ya 23 saal pehle Makka sharif mein hui


*⚘Qabool-e-IsLam ⌬ ➤* Aap ko bachpan hi mein Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne apni parwarish mein le liya tha Is liye aap ne Huzur hi ke yahan parwarish paaya aur bade hue Islam ke bilkul shuru daur mein ek din aap ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam aur Hazrat-e-Khadija radhi allaho anha ko namaaz padhte hue dekha to aap ne hairat se puchha ki aap log kya kar rahe the? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne bataya ki Ye Allah ka deen hai jise khud Allah ne apne liye pasand farmaya hai Aur isi ke liye Allah Ta’ala ne nabiyo ko dunya mein bheja Main tumhe bhi us khuda ke deen ko qabool karne ki dawat deta hun jis ka koi shareek nahi hai Aur sirf wahi ibaadat ke laaeq hai Aap ne ek raat soch aur fikr karne ke baad Huzur ke paas aa kar Islam qabool farmaa liya..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  14

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  MauLa   Ali    Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘SHaaDi ⌬ ➤* 2 Hijri mein Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne apni sab se pyari beti Hazrat-e-Fatima radhi allaho anha ke saath aap ka nikaah kar diya Hafiz Ibn-e-Hajar ne apni kitab “Al-Isaba” mein likha hai ki shaadi 1 hijri mein hui aur Rukhsati 2 hijri mein jange Badar ke baad hui Us waqt Hazrat-e-Fatima radhi allaho anha ki umar 18 saal kit hi

*📬 Khulfa-e-Rashedin,Page No.432.433 📗*


*⚘kHilafaT ⌬ ➤* Aap puri zindagi Islam ki khidmat karte rahe 35 hijri mein Hazrat-e-Usman radhi allaho anho ki shahadat ke baad bade bade sahaba ke kehne ki wajah se aap ne khilafat qabool farmaya Aur 5 saal sakht mushkil aur dushwariyo ke bawajood aap ne khilafat ki zimmedari Huzur ke tariqe ke mutabiq anjaam diya..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  15

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  MauLa  Ali  Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

         ⚘ FaziLaT aur MarTaba ⚘
         •────────────•
⚘ ⌬ ➤ Hadis sharif ki kitabo mein aap ki badi fazilatein aayi hain un mein se kuchh ye hain

⚘1⃣ ⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Hasan aur Husain jannati jawano ke sardaar hain aur un ke waledain ( Yani ki Hazrat-e-Ali aur Hazrat-e-Fatima radhi allaho anhuma) un se bhi behtar hain

   *📬 Ibn-e-Maja,Hadis No.118 📘*

⚘2⃣ ⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne jab apne sahaba ko aapas mein ek dusre ko bhai banaya to Hazrat-e-Ali rote hue aaye aur arz kiya Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Aap ne sab ko ek dusre ka bhai bana diya Lekin mujhe kisi ka bhai nahi banaya To Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Aye Ali To mera bhai hai dunya mein bhi aur aakherat mein bhi

    *📬 Tirmizi,Hadis No.3720 📒*

⚘3⃣ ⌬ ➤ Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Allah Ta’ala ne mujhe 4 logo se khaas taur se mohabbat karne ka hukm diya aur mujhe bataya ki woh bhi un se muhabbat farmata hai Phir Huzur ne 3 martaba farmaya ki Ali unhi logo mein se hain Aur Abu’Zar, Miqdad aur Salman hain..✍


    *📬 Tirmizi,Hadis No.3718 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  16

*⚘ SHaHaDaT ⌬ ➤* 40 hijri mein ek mansube ke tehat Ibn-e-Muljim ne us waqt jab ki aap Fajar ki namaaz padhane ke liye Kufa ki Jaam-e-Masjid mein jaa rahe the ki achanak hamla kar diya jis ki wajah se aap shaheed hue Taarikh mein ekhtilaaf hai Allama Ibn-e-Hajar ke mutabiq aap ki shahadat 17 Ramazan 40 hijri mein hui Jab ki Tabqat ibn-e-Sa’ad aur Tarikhul khulfa mein ye wazahat maujood hai ki 17 Ramazan ko aap par hamla huwa,us ke do din baad tak aap zinda rahe aur 19 Ramazan ko aap ka wisaal ho gayaYahi baat zyada sahi hai

*📬 Asadul Gaba,Vol:4,Page No.113.Tabqat Ibn-e-Sa’ad,Vol:3,Page No.36.Tarikhul khulfa,Page No.139 📒*


⚘ ⌬ ➤  21 Ramazan bhi kuchh logo ne likha hai Allah hi behtar jaan ne wala hai..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  17

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Ameer   Hamza   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘Naame MubaraQ ⌬ ➤*
     Hamza ,Kunniyat ,Abu Umarah.

*⚘ALQab ⌬ ➤*
    (1) Sayyadush shuhd
    (2) Asadullah
    (3) Asadur RasooL

*⚘Nasab Naama⌬ ➤*
     Hamza bin Abdul Muttalib bin Hashim bin Abde Manaf Qarshi Hashemi

*⚘Tarikh-e-Paida’isH ⌬ ➤* Aap Huzur Sallallaho alaihe wasallam se 2 saal pehle Makka mein paida hue Aur ek qaul ye hai ki 4 saal pehle paida hue


*⚘Qabool-e-IsLam ⌬ ➤* Ek din Huzur Sallallaho alaihe wasallam Safa pahaad par the ki Abu Jehal udhar se guzra Jab us ne aap sallallaho alaihe wasallam ko dekha to uske sine mein aap se dushmani ka jo laawa sulag raha tha woh phat pada Aur Aap ko gaaliya dena shuru kar diya Magar Aap Sallallaho alaihe wasallam ne uski behudgi ka koi jawab nahi diya aur uski taraf kuchh bhi dhiyan nahi diya.Is ki wajah se woh aur zyada gusse mein aagaya.Us ke haath mein ek danda tha,Us ne us se aap ko maarna shuru kar diya yahan tak ki aap Sallallaho alaihe wasallam khoon se lahu lahaan ho gaye.Magar Aap Sallallaho alaihe wasallam sabr ka daman mazbuti se thaame rahe aur use koi jawab nahi diya Apne dil ka gubaar nikaal kar Abu’Jehal itraata huwa aaya aur haram sharif ke sehan mein apne chaahne walo ki majlis mein baith gaya Us ke chale jaane ke baad Huzur Sallallaho alaihe wasallam bhi khamushi ke saath apne ghar tashrif le gaye..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  18

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Ameer   Hamza   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘QabooL-e-IsLam ⌬ ➤* Hazrat-e-Ameer e Hamza radhi allaho anho Aap Sallallaho alaihe wasallam ke chacha the Aur Aap se badi muhabbat karte the Magar abhi tak woh Islam nahi laae the Un ka har din ka tariqa tha ki woh subah subah teer aur kamaan le kar jangle ki taraf chale jaate aur din bhar shikaar karte aur shikaar ki talaash mein rehte.Shaam ko jab shikaar kar ke wapas laut te to sab se pehle Ka’aba sharif ka tawaf karte phir wahan par jo Quraish ke sardaar apni apni mehfil jamaae baithe hote un ke paas jaate sab se alaik salaik karte khabar khairiyat puchhte phir apne ghar jaate Us din bhi aap apne tariqe ke mutabiq shaam ko shikaar kar ke wapas laut rahe the ki Abdullah bin Jad-aan ki ek kaniz jis ne Abu jehal ke zulm ka manzar apni aankho se dekha tha Un ka raasta rok kar khadi ho gayi aur kehne lagi Aye Abu Umarah Aaj Abu’Jehal ne tumhare bhatije ke saath ye zulm kiya ki pehle to gaaliya deta raha Magar jab Huzur ne khamushi ekhtiyar kiye rakha to maarna shuru kar diya yahan tak ki un ko khoon se lahu lahaan kar diya..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  19

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Ameer   Hamza   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘QabooL-e-IsLam ⌬ ➤* Ye sun kar hazrat-e-Hamza radhi allaho anho ke badan mein aag lag gayi Gusse mein bhare hue Abu Jehal ki talash mein aage badhe Aaj ka andaaz hi alag tha na kisi se khairyat puchh rahe hain nahi kisi mehfil mein khade ho kar kisi se salam kar rahe hain Bas Abu jehal ki talash mein aage badhte chale jaa rahe hain Aakhir jab aap ki nazar Abu jehal par padi jo apne qabile ki mehfil mein badi shaan ke saath baitha huwa tha aur us ke chaaro taraf se log adab ke saath baithe hue the.Hazrat-e-Hamza radhi allaho anho Arab ke bade pahalwan aur mash’hoor bahadur the Aap us majme mein ghus gaye aur jaate hi Abu jehal ke sar itni zor se apni kamaan maari ki Abu jehal ka sar phat gaya aur khoon bahne laga Phir aap ne garajte hue kaha Aye Abu jehal Tumhari ye himmat ki to mere bhatije ko gaali de Sun le Main ne bhi un ka deen qabool kar liya hai Agar tujh mein himmat hai to aa aur mujhe rok kar dikha Abu jehal ke Qabile ke log apne sardaar ki beizzati dekh kar jazbaat mein aagae aur hazrat-e-Hamza se badla lene ke liye khade ho gaye Magar Abu jehal bada makkar tha Use maloom tha ki hamza jaise sher dil se muqabla karna in logo ke bas ki baat nahi hai Belawajah kai logo ki jaan chali jaaegi Is liye us ne apne qabile walo se kaha Abu umarah ko kuchh mat kaho Qasam khuda ki meri hi galti thi ki main ne is ke bhatije ke saath bura sulook kiya..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  20

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Ameer   Hamza   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘QabooL-e-IsLam ⌬ ➤* Rishtedari ke josh mein Hazrat-e-Hamza ne Abu jehal se badla bhi le liya aur apne Islam laane ka elaan bhi kar diya Magar jab aap ghar wapas aaye to kash-makash mein padh gaye Unhe ye baat apne shaan ke khilaaf laga ki unhone ek aise deen ko qabool kar liya hai jis ke baare mein unhone puri tarah se gaur-o-fikr hi nahi kiya Puri raat aap bechain rahe Jab subah hui to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas gaye aur kaha ki Aye mere bhatije main ek mushkil mein phans gaya hun jisse nikalne ka raasta main nahi jaanta Aur kisi aisi baat par qaayam rehna jis ke baare mein mujhe maloom hi nahi ki woh hidayat hai ya gumrahi bahut hi mushkil hai Is liye aap mujh se baat kijiye aur mujhe is deen ke baare mein kuchh bataye Dilo ko kufr-o-shirk se paak karne wale Nabi Sallallaho alaihe wasallam ne un ke saamne Islam ke haq hone ke baare mein bayan farmaya Jis se hazrat-e-Hamza radhi allaho anho ke dil ko itminan nasib huwa aur aap ne usi jagah islam qabool farma liya..✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.4878 📚

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  21

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Ameer   Hamza   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘QabooL-e-IsLam ⌬ ➤* Aap ke imaan laane se kaafiro par ek ru’ab chha gaya aur musalmano ko badi himmat aur taaqat mili Aap ne islam laane ki khushi mein Allah Ta’ala ka shukr ada karte hue kuchh ash’aar kahe jin ka tarjama ye hai Main Allah Ta’ala ki hamd karta hun jab us ne mere dil ko hidayat di islam qabool karne ki jo sachcha deen hai Woh deen jo us Rab ki taraf se aaya hai jo izzat wala hai aur apne bando ki haalaat ko jaan ne wala hai Aur un ke saath ehsaan aur meharbani farmane wala hai

*📬 Ziyaun Nabi,Vol:2,Page No.252 to 255 📒*


*⚘Jangon mein shirkaT ⌬ ➤* Islam ki hifazat ke liye jab bhi aap ki zindagi mein kaafiro se jang hui us mein aap aage aage rahe Aur apni fitri bahaduri se dushmano ko tahas nahas kar ke rakh diya Jang mein dushmano par aap ka aisa darr chha jaata ki koi aap ke muqable mein aata hi nahi aur agar koi aata to use apni jaan se haath dhona padhta Jab Islam ki pehli jang “Jang-e-Badar” hui to us mein aap ne bahut saare kaafiro ko kaat kar jahannam pahuchaya..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  22

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Ameer   Hamza   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘Jangon mein shirkaT ⌬ ➤* Jang-e-badar ke baad jang-e-uhud hui to us mein bhi aap ne apni bahaduri ki shaan dikhate hue bahut saare kaafiro ko kaat kar us ke aakheri anjaam tak pahuchaya Jab aap ki talwar ki tezi ke saamne kisi ko aane ki himmat nahi hui to Hind bint-e-Utba jis ke baap ko aap ne jang-e-badar mein qatal kiya tha Apne gulam Wahshi se ye kaha ki Agar tum Hamza ko qatal kar do to main us ke badle mein tumhe aazad kar dungi Wahshi nishana baazi mein bada maahir tha Woh ek jagah par chhup kar zahar mein bujhaya huwa neza le kar baith gaya Aur aap ke taak mein raha.Jab aap muqabla karte hue us ke paas se guzre to us ne aap par nishana laga kar neza chalaya jo aap ke naaf par laga aur pith ki taraf se nikal gaya Aap apne ghode se zameen par gire aur is tarah se Allah ke raaste mein shaheed ho gaye Us waqt aap ki umar 54 saal ki thi Shahadat ke baad Hind bint-e-Utba ne aap ke laash ki behurmati ki aur aap ka pet cheer kar aap ke kaleje ko nikaal kar kachcha hi chaba kar nigalna chahi magar nigal nahi saki (Ye baat maloom rahe ki Makka fatah hone ke baad Hazrat-e-Wahshi aur Hind dono ne islam qabool kar liya)..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  23

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Ameer   Hamza   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘Namaz-e-Janaza ⌬ ➤* Jab aap ki shahadat hui to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ko badi taklif hui aur laash ko dekh kar aap ki aankho se aansu tapakne lage Aap Sallallaho alaihe wasallam ne khud aap ki namaz-e-janaza padhaya

*⚘Fazail-o-Manaqib ⌬ ➤* Hazrat-e-Ameer Hamza radhi allaho anho ka maqam-o-martaba ke baare mein bahut saari hadisein hain Un mein se kuchh yahan par bhi pesh kiya jaata hai

*⚘HaDees No. 1⃣ ⌬ ➤* Hazrat -e- Jaabir bin Abdullah radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Hamza bin abdul Muttalib Tamam shahidon ke sardaar hain Aur woh shakhs bhi shahido ka sardaar hai jis ne kisi zaalim baadshah ke saamne haq baat kaha aur use achhchha’ee ka hukm diya aur bura’ee se roka to us ne us ko shaheed kar diya..✍


*📬 Al-Mustadrak, hadis No.4878 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  24

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Ameer   Hamza   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘HaDees No. 2⃣ ⌬ ➤* Muhammad bin umar bayan karte hain ki Sahaba-e-Kiraam ne bayan farmaya ki Jab hazrat-e-Hamza shaheed ho gaye to Huzur Rahmat-e-Aalam Sallallaho alaihe wasallam irshad farmane lage Aye chacha Aap ki juda’ee se badh kar mere liye aur koi sadma nahi ho sakta Phir aap Sallallaho alaihe wasallam ne hazrat-e-Fatima aur apni phuphi hazrat-e-Safiya radhi allaho anhuma se farmaya ki Khush ho jaao Abhi mere paas jibrail aae the aur mujhe khush-khabri sunayi ki hazrat-e-Hamza ka Mubarak naam aasman walo mein is tarah se likha huwa hai ki “Hamza bin Abdul Muttalib Allah aur us ke Rasool ke sher hain

*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.4879 📒*

*⚘HaDees No. 3⃣ ⌬ ➤* Abdullah bin Abbas radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Kal raat jab main jannat mein daakhil huwa to dekha ki Ja’afar bin Abu Taalib farishto ke saath udd rahe the aur Hamza bin Abdul Muttalib ek takht par tek lagaae baithe hue hain..✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.4890 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  25

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Imam   HaSan   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘Naame MubaraQ ⌬ ➤*
     Hasan Kunniyat Abu’Muhammad hai Aap ka ye naam khud Taajdar-e-Madina Sallallaho alaihe wasallam ne rakha Aur aap se pehle dunya mein kisi bachche ka naam “Hasan”nahi rakha gaya

*⚘Nasab Naama⌬ ➤*
     Hasan bin Ali bin Abu’Talib bin Abdul Muttalib bin Hashim bin Abd-e-Manaf Quraishi hashmi Aap ki walida Hazrat-e-Fatima radhi allaho anha hain, jo dunya ki tamam jannati auarato ki sardaar hai

*⚘Tarikh-e-Paida’isH ⌬ ➤* 15 Shaaban 3 Hijri mein Aap Madina sharifa mein paida hui

*⚘Fazail-o-Manaqib ⌬ ➤* Hadis sharif ki kitabo mein bahut saari riwayatein hain jin se aap ka buland maqam aur martabe ka pata chalta hai Aur saath hi un se aap ki zindagi ke haalat bhi maloom hote hain Un riwayaton mein se kuchh ye hain

⚘1⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Ali radhi allaho anho bayan karte hain ki jab Hasan ki paida’ish hui to Huzur Sallallaho alaihe wasallam aaye aur farmaya ki Mujhe mera beta dekhao Aur aap ne puchha ki tum ne is ka kya naam rakha hai?To main ne kaha “Harb” To Huzur ne farmaya ki Nahi,Woh “Hasan” hai Phir jab Husain ki paida’ish hui to Huzur Sallallaho alaihe wasallam aaye aur farmaya ki Mujhe mera beta dekhao Aur aap ne puchha ki tum ne is ka kya naam rakha hai?To main ne kaha “Harb” To Huzur ne farmaya ki Nahi,Woh “Husain” hai Phir jab tisre ladke ki paida’ish hui to phir Huzur aaye aur farmaya ki Mujhe mera beta dekhao Aur aap ne puchha ki tum ne is ka kya naam rakha hai?To main ne kaha “Harb” To Huzur ne farmaya ki Nahi,Woh “Muhsin” hai Us ke baad Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Main ne apne beto ka naam Hazrat-e-Haroon alaihissalam ke bete “ Shabbar,Shabbir aur Mubash-shir” ke naam par rakha hai..✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.4773 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  26

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Imam   HaSan   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

⚘2⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam Hazrat-e-Hasan radhi allaho anho ko apne kaandhe par baithaye hue the To ek shakhs ne kaha Aye bachche Kitni achhchhi sawari hai jis par to sawar hai To aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Ye bhi to dekho ki sawar kitna achhchha hai

  *📬 Tirmizi,Hadis No.3784 📙*

⚘3⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Bakra radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam mimbar par chadhe (Aur Hazrat-e-Imam Hasan radhi allaho anho ke baare mein farmaya) ki ye mera beta sardaar hai Allah Ta’ala is ke zariye musalmano ki do badi jama’at ke darmiyan sulah karaega..✍


   *📬 Tirmizi,Hadis No.3773 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  27

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Imam   HaSan   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*Aap ki zindagi ke Mukhtasar HaalaaT*

⚘⌬ ➤ Hazrat-e-Imam Hasan radhi allaho anho bade hi achhchhe akhlaq ke malik aur muttaqi-o-parhezgaar the Unhone apni zindagi mein do martaba apna pura maal Allah ke raaste mein kharch farmaya Is ke elawah jab bhi Allah ke raaste mein maal kharch karne ki baat aati to aap badh charh ke hissa lete the Ek riwayat ke mutabiq aap ne 50 martaba paidal haj kiya Aap farmate the ki mujhe apne Rab se sharam aati hai ki main us se mulaqat karon aur us tak paidal chal kar nahi jaaon 17 Ramazan 40 Hijri mein apne walid Hazrat-e-Ali radhi allaho anho ki shahadat ke baad khalifa hue 40000 se zyada logo ne aap ke haath par bai’at kiya Aur aap ne 6 mahine tak Iraaq, Khurasaan, Hejaz aur yaman wagairah par hukumat ki zimmedari ada farmaya Phir mulke sham ke logo ne aap ke khilaaf apni fauj bheja To aap ne bhi apni fauj maidan mein utaara aur jab dono fauj aamne saamne hui aur qareeb tha ki jang ki aag bharak jaae to aap ne socha ki koi bhi giroh dusre se us waqt tak jeet haasil nahi kar sakegi jab tak ki dono taraf ke bahut saare musalmano ka khoon na bah jaae Ye soch kar aap ne Hazrat-e-Ameer e Moaawiya radhi allaho anho ke paas ye paigam bheja ki woh is shart par hukumat un ke supurd karne ke liye tayyar hain ki un ke baad khilafat hamare paas rahegi aur ye ki hamare walid ke zamane mein Hejaz (Yani Makka aur Madina) aur Iraaq ke logo ke paas jo kuchh tha us ka mutalba nahi kiya jaaega Hazrat-e-Ameer e Moaawiya radhi allaho anho ne in sharto ko manzur kar liya Aur is tarah se Gaib jaan ne wale Paigambar Sallallaho alaihe wasallam ka ye Mujeza zaahir huwa ki Aap Sallallaho alaihe wasallam Hazrat-e-Imam Hasan radhi allaho anho ke baare mein un ke bachpane hi mein farmaya tha ki ye mera beta sardaar hai Allah Ta’ala is ke zariye musalmano ki do badi jama’at ke darmiyan sulah karaega

     *📬 Tirmizi, Hadis No.3773 📚*


⚘⌬ ➤ Jin ke liye khud Huzur ne farmaya ho ki “Ye sardaar hai” un ke martabe ki bulandi ka kaun andaza laga sakta hai..✍ (Asadul Gaaba)

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  28

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Imam   HaSan   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*⚘SHahaDaT ⌬ ➤* Hazrat-e-Imam  Hasan radhi allaho anho ki shahadat kab hui?Is ke baare mein ekhtilaaf hai Ek qaul ye hai ki 49 Hijri mein aap ka wisaal huwa. aur ek qaul ye hai ki 50 hijri mein huwa aur 51 hijri bhi kuchh logo ne likha hai Lekin pehla qaul zyada sahi hai Aap ke wisaal ka sabab ye huwa ki dushmano ke mansube se aap ko zehar pila diya gaya jis ki wajah se aap 40 din tak bimaar rahe phir aap inteqaal kar gaye Jab bimari zyada badhi to aap ne apne chhote bhai Hazrat-e-Imam Husain radhi allaho anho se farmaya ki mujhe 3 baar zehar diya gaya,Lekin is baar bahut hi sakht zehar tha jis ki wajah se mera jigar kat raha hai Hazrat-e-Imam Husain radhi allaho anho ne puchha ki aap ko kis ne zehar diya hai?To Aap ne farmaya ki ye sawal kyun puchhte ho,Kya tum un se jang karoge? Main ne to un ka mamla Allah ke supurd kar diya hai


⚘ ⌬ ➤ Yahan par kuchh logo ne badi hi sakht galti ki hai Woh ye ki kuchh log kehte hai ki Hazrat-e-Imam Hasan radhi allaho anho ki biwi “Ja’ada binte Ashas” ko dushmano ne bhala phusla kar apne mansube ka hissa bana liya tha aur woh dushmano ke behkaawe mein aa kar Imam Hasan radhi allaho anho ko dhoke mein zehar pila di (Tauba) Ye baat bilkul jhoot aur galat ilzam hai Kyunki sab logo ne is baat ko maana hai ki jab Imam Husain radhi allaho anho ne aap se puchha ki aap ko zehar kis ne pilaya? To aap ne kisi ka naam nahi bataya yahan tak ki aap ne kisi par shak bhi zaahir nahi kiya jis ki wajah se us waqt kisi se badla nahi liya jaa saka Phir baad mein dusro ko kaise maloom ki ye kaam un ki biwi ne kiya? Is liye ek aisi hasti ki biwi jo jannati jawano ke sardaar ho Un par ye ilzam lagana apne aap ko halakat aur barbadi mein daalna hai Allah Ta’ala ham sab ko sahi soch-o-Fikr rakhne ki taufiq ata farmaye..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  29

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Imam   Husain   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam-e-Mubarak ◍➢*
      Husain, Kunniyat, Abu’Abdullah, Laqab ,Raihanatur Rasool,*○ Walid ka naam ◍➢*
       Maula Ali Radhi allaho anho

*○ Walida ka naam ◍➢*
      Hazrat-e-Fatima radhi allaho anha

*○ Nasab Naama ◍➢*
      Husain bin Ali bin Abu Talib bin Abdul Muttalib bin Hashim bin Abd-e-Manaf Qarshi hashemi

*○ Taarikh-e-Paida’ish ◍➢*

     5,Shaban 4,Hijri Mutabiq 8 january 626 A.D.ko mangal ke din Madina sharif mein paida hue

*○ Biwiya ◍➢*

    (1) Shahar bano.
    (2) Umme Rubab.
    (3) Umme Laila.
    (4) Umme Ishaaq.

*○ Aulad-e-Mubarak ◍➢*
    (1) Ali Akbar.
    (2) Ali.Jo Zainul Aabedin se mash’hoor hain.
    (3) Ali Asgar.
    (4) Umme Kulsoom.
    (5)Sakina.
    (6) Fatima.
    (7) Zainab.

*○ Taarikh-e-Shahadat ◍➢*


      10 Muharramul Haraam 61 Hijri,Mutabiq 10 October 680 A.D ko Juma ke din Iraaq mein Karbala ke maqam par deen ke dushmano se haq ki khaatir ladhte hue shaheed hue..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  30

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Imam   Husain   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

         *❢ ▣ Faza’il-o-Manaqib ▣ ❢*

▣•1⃣•▻ Hazrat-e-Abu’Saeed khudri radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Hasan aur Husain jannati jawano ke sardaar hain

   *📬 Tirmizi ,Hadis No.3768 📒*

▣•2⃣•▻ Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam se puchha gaya ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Aap ke Ahl-e-bait mein aap ke nazdik sab se zyada pyara kaun hai? To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Hasan aur Husain Raawi bayan karte hain ki Aap Sallallaho alaihe wasallam Hazrat-e-Fatima radhi allaho anha ke ghar jaate aur un se kehte ki mere dono beto ko bulao (Jab imam Hasan aur imam Husain radhi allaho anhuma ko laaya jaata) To Aap Sallallaho alaihe wasallam dono sahabzaado ko sunghte aur dono ko apne saath chimta lete..✍


      *📬 Tirmizi,Hadis No.3775 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  31

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Imam   Husain   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

         *❢ ▣ Faza’il-o-Manaqib ▣ ❢*

▣•4⃣•▻ Hazrat-e-Ummul Fazl bint-e-Haris bayan karti hain ki Main Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas gayi aur arz kiya ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Main raat ko ek bahut hi galat khaab dekha hai Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Kya dekhi ho? Hazrat-e-Ummul Fazl kehti hain ki main ne kaha Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Woh bahut hi khatarnaak khaab tha Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki tum ne dekha kya hai? To main ne kaha ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam main ne ye dekha ki Aap ke jism-e-mubarak ka ek tukda kaat kar meri godh mein rakh diya gaya To Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki tum ne achha khaab dekha hai In sha allah Fatima ke yahan ek ladka paida hoga jo tumhari godh mein rakha jaaega Hazrat-e-Ummul Fazl kehti hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke farmane ke mutabiq hazrat-e-Imam Husain paida hue aur meri godh mein rakhe gaye Phir ek din main Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas gayi to dekha ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam un ko apni god mein rakhe hue hain aur Aap Sallallaho alaihe wasallam ki aankho se aansu tapak rahe hain Main ne arz kiya Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Mere maa baap aap par Qurban aap ko kya huwa hai? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Mere paas Jibrail aae aur mujhe bataya ki meri ummat ke log mere is bete ko qatal kar denge Main ne puchha is bete ko? Huzur ne farmaya ki Haan,Is bete ko Aur jibrail ne mujhe us ki shahadat ki jagah ki laal mitti bhi laa kar diya

*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.4818 📒*

▣•5⃣•▻  Hazrat-e-Ibne Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki Hame aur ahl-e-bait ko is baare mein koi shak nahi tha ki Husain bin Ali radhi allaho anhuma Karbala mein shaheed kiye jaaenge..✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.4826 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  32

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Za’far  e  Tayyar   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam aur Nasab ◍➢* Hazrat-e-Ja’afar bin Abu Talib bin Abdul Muttalib bin hashim bin Abde Munaf bin Qusai Qarshi hashmi

○ ◍➢ Aap Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke chacha-zaad aur Hazrat-e-Ali radhi allaho anho ke sage bhai hain Aur umar mein Hazrat-e-Ali radhi allaho anho se 10 saal ke bade hain Aap ka laqab “Ja’afar-e-Tayyar” hai Aur Huzur Sallallaho alaihe wasallam aap ko “Abul masakin” kaha karte the Aap surat aur seerat mein sab se zyada Huzur sallallaho alaihe wasallam se milte julte the Hazrat-e-Ali radhi allaho anho ke Islam laane ke kuchh hi dino baad aap ne Islam qabool farmaya

*📬 Asadul Gaba,Vol:1,Page No.181 📒*

*○ Hijrat ◍➢* Ibn-e-Ishaq bayan karte hain ki Hazrat-e-Jaafar ne do hijrat kiya Ek hijrat habsha ki taraf aur ek Madina sharif ki taraf Habsha ki taraf hijrat karne ke baad aap wahab ke baadshah Najjashi ke paas rahe yahan tak ki jab Khaibar fatah hogaya to aap Madina sharif aaye Jab Aap Madina sharif aaye to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne aap ka isteqbaal karte hue aap ko apne gale se lagaya,aap ki dono aankho ke darmiyan bosa diya aur irshad farmaya ki Mujhe pata nahi ki mujhe Khaibar ke fatah hone se zyada khushi hai ya jaafar ke aane se zyada khushi hai..✍


*📬 Asadul Gaba,Vol:1,Page No.181 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  33

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Za’far  e  Tayyar   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

        *❢  ▣  Faza’il-o-Manaqib  ▣  ❢*

▣•1⃣•▻  Hazrat-e-Bara bin Aazib radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne Hazrat-e-Jaafar se farmaya ki Aye Jaafar Tum shakl-o-surat aur seerat mein dono mein mujh se milte julte ho

    *📬 Tirmizi,Hadis No.3765 📗*

▣•2⃣•▻ Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki main sahaba-e-kiraam se aksar Quran sharif ki aayato ki tafseer puchha karta tha agarche us ke baare mein main khud un se zyada jaanta hota Woh sirf is liye ki woh hame khaana khila de To jab bhi main Hazrat-e-Jaafar se puchhta to woh hamesha mujhe apne saath ghar le jaate aur apni biwi se kehte Asma Hame khaana khilao Jab woh khaana khila deti phir woh mujhe jawab dete

     *📬 Tirmizi,Hadis No.3766 📒*

▣•3⃣•▻  Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki (Ek martaba Hazrat-e-Jaafar ke shaheed hone ke baad) Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Main ne Jaafar ko jannat mein farishto ke saath udte hue dekha..✍


     *📬 Tirmizi,Hadis No.3763 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  34

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Za’far  e  Tayyar   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ ShahadaT ◍➢* Hazrat-e-Urwa bayan karte hain ki 8 hijri mein Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Mulk-e-Sham(Sirya) mein “Mutah” ki taraf ek lashkar bheja Is jang mein badi sakht lada’ee hui Yahan tak ki Hazrat-e-Zaid bin Haresa radhi allaho anho shaheed ho gaye Phir Hazrat-e-Jaafar radhi allaho anho ne jang ka jhanda apne haatho mein liya Lekin woh bhi shaheed hogaye Ibn-e-Ishaq ne bayan kiya ki Hazrat-e-Jaafar ke dono haath kaat diye gaye phir bhi unhone jhande ko girne nahi diya Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Un dono haatho ke badle Allah Ta’ala ne Jaafar ko do par ata farmaya jin ke saath woh jannat mein farishto ke saath udte hain Jab woh saheed hue to un ke jism par 70 se zyada talwaro aur nezo ke zakhm the Us waqt aap ki umar 41 saal ki thi

*📬 Asadul Gaba,Vol:1,Page No.182 📒*

○ ◍➢ Jang-e-Muta ke shahido ki khabar Madina sharif aane se pehle hi Gaib jaan ne wale Nabi Sallallaho alaihe wasallam ne logo ko bata diya tha Jaisa ki Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Hazrat-e-Zaid,Hazrat-e-Jaafar aur Hazrat-e-Ibn-e-Rawaha radhi allaho anhum ke baare mein khabar aane se pehle hi un ke shaheed ho jaane ke baare mein logo ko bata diya tha Aap Sallallaho alaihe wasallam ne un logo ke baare mein khabar dete hue farmaya ab Zaid ne jhanda sambhala hai Lekin woh shaheed ho gaye Ab jhanda Jaafar ne sambhal liya hai lekin woh bhi shaheed ho gaye Ab jhanda Ibn-e-Rawaha ne sambhala hai lekin woh bhi shaheed ho gaye Ye farmate hue Aap Sallallaho alaihe wasallam ki aankho se aansu tapak rahe the Yaha tak ki ab Allah ki talwaro mein se ek talwar (Khalid bin walid)ne jhanda sambhal liya hai Aur us ke haatho par Allah Ta’ala ne musalmano ko fatah ata farmaya hai..✍


*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.4264 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  35

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Sa’ad  bin  abi  waqqas   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam aur Nasab ◍➢*  Aap ka naam aur nasab ye hai Sa’ad bin Malik bin waheb bin Abd-e-Munaf bin Zehra bin Kilab bin Murrah bin Ka’ab bin lui bin Galib bin Fahar bin Kanana Quraishi Zuhri

*○ Aap ki walida ka naam ◍➢* Himna bint-e-Abi Sufyan bin Ummiya hai

*📬 Asadul Gaba,Vol:1,Page No.438 📒*

*○ Qabool-e-Islam ◍➢* Aap ne 6 logo ke baad 19 saal ki umar mein Islam qabool kiya Jab aap ki maa ko maloom huwa ki Sa’ad ne Islam qabool kar liya hai to woh gusse se aag bagula ho gayi Kyunki un ki maa ke liye ye baat hargiz bardasht karne ke qaabil nahi tha ki un ka beta un ke maabod “Laat aur Hubal” ke khilaaf ho jaae Is liye un ki maa ne ye thaan liya ki jab tak Sa’ad us naye deen ko chhod kar apne baap dada ke deen ki taraf wapas nahi aa jaaega us waqt tak woh na khaaegi na piyegi aur na saae mein baithegi Isi tarah bhuki pyasi arab ki chilchilaati dhoop mein tarap tarap kar jaan de degi Un ki maa ko yaqin tha ki un ka beta Sa’ad un ki taklif ko bardasht nahi kar sakega aur apni maa ki haalat dekh kar us ki marzi ke mutabiq us naye deen ko chhod dega Chunancha us ne ek din nahi kuchh khaaya aur nahi kuchh piya,Jab subah uthi to kamzuri ki wajah se chehra murjhaya huwa tha,Us ne dusre din bhi na kuchh khayi aur nahi kuchh piyi Jis ki wajah se kamzuri aur badh gayi Aisi surat mein bade bade pakke irada wale logo ko bhi hila kar rakh deti hai Magar Hazrat-e-Sa’ad ne Allah ta’ala ki riza ke liye apni maa ki zidd ki kuchh bhi parwah nahi kiya.aap khud kehte hain ki jab main ne apni maa ki ye zidd dekha to kaha Aye maa Khuda ki qasam tum jaanti ho ki agar teri 100 jaane bhi ho aur woh ek ek kar ke nikal jaae phir bhi main Deen-e-Mustafa Sallallaho alaihe wasallam ko nahi chhod sakta Ab tumhari marzi khaana khao ya nahi khaao,Paani piyo ya nahi piyo Jab un ki maa ne Hazrat-e-Sa’ad ka ye pakka irada dekha to khud khaana pina shuru kar di...✍


*📬 Ziyaun Nabi,Vol:2,Page No.235-236 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  36

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Sa’ad  bin  abi  waqqas   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ HaaLaT-e-Zindagi ◍➢* Hazrate Sa’ad bin abi waqqas radhi allaho ta’ala anho un das(10) muqaddas sahaba mein se hain jinhein huzoor sallallaho alaihe wasallam ne dunya hi mein jannat ki basharat suna’i aur un 6 sahaba mein se 1 hain jinki hazrate umar radhi allaho ta’ala anho ne majlise shura qayam ki thi aur jinke mutalliq hazrate umar ne ye gawahi di thi ke huzoor sallallaho alaihe wasallam apne wisaal ke waqt unse razi the Jang-e-badar,uhad,khandaq aur uske alawah tamaam gazwaat mein aap Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam ke saath hazir rahe.ye woh sahabi hain jinho ne raahe khuda mein sab se pehle islam ke dushmano ka khoon bahaya aur sab se pehle islam ki hifazat ke liye dushmano par teer chalaya Ibne ishaq bayan karte hain ki Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam ke sahaba shuru shuru mein namaz padhne ke ba’ad pahaad ki ghatiyon mein apni qaum ke khauf se chhup jaate the Ek martaba ek ghati mein hazrate Sa’ad kuchh sahaba ke saath namaaz padh rahe the ki achanaak kuchh mushrikeen aagaye aur unhone musalmano ko bura bhala kaha aur unke deen ki bura’ee ki phir unse ladai chhir gayi Hazrate Sa’ad ne oont ke jabre ki haddi se maar kar ek mushrik ka sar phaad diya islam ke raah mein yeh pehla khoon bahaya gaya tha..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  37

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Sa’ad  bin  abi  waqqas   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ HaaLaT-e-Zindagi ◍➢* Hazrate Umar radhiallaho anho ne Iraan ke khilaaf jo fauj bheji uska ameer hazrate Sa’ad ko banaya tha Hazrate Sa’ad ne iraaniyon ko qadsiyah ke maqaam par haraaya Hazrate Sa’ad ne hi madaain-e-kisra ko Iraq mein fatah kiya Qaais bin hazim hazrate Sa’ad se riwayat karte hain ki Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam ne dua’a ki Aye allah Sa’ad ki dua’aon ko qubool farma hazrate Sa’ad jab dua karte the unki dua qabool hoti thi logon ko us baat ka ilm tha aur saare log aapki baddua se darte the.

○  ◍➢ Hazrate usman gani radhi allaho ta’ala anho ki sahadaat ke baad jab musalmano ke do giroh ke darmiyaan jung hui toh yeh us se alag rahe unke bete aur bhatije ne ye chaha ki hazrate usman ki shahadaat ke baad hazrate Sa’ad logon ko apni khilafaat ki dawat de lekin unhone ye baat na maani aur salaamti ko pasand kiya Hazrat Ameer moa’awiyah ne unhein apne saath milana chaha lekin hazrate Sa’ad ne inkaar kar diya

*○ WisaaL ◍➢* 55 hijri mein aapka wisaal huwa 54 aur 58 hijri ka bhi qaul kiya gaya hai aapki namaaze janazah maarwan ne padhai muhajereen sahaba mein faut hone wale aap akhri sahabi the..✍


*📬 Asaad ul gaba,vol.1 Page no.438-440 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  38

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Sa’ad  bin  abi  waqqas   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Fazail o Manaqib ◍➢* Hazrate Aaisha radhi allaho anha bayaan karti hain ki madina sharif aane ke baad ek raat Huzoor sallallaho alaihe wasallam bedaar ho gaye aur aap ne farmaya ki kaash mere sahaba mein se koi nek shakhs aaj raat meri hifazaat karta, hazrate Aaisha bayaan karti hain ke abhi hum isi haal mein the ke humne hathyaron ki awaaz suni, Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ye kaun hai? Unhone kaha Sa’ad bin abi waqaas Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam ne farmaya tum kyun aaye?unhone kaha mere dil mein aap ke baare mein kuchh darr mehsus huwa toh mai aapki hifazaat ke liye aagaya Aap sallallaho alaihe wasallam ne unko dua di aur phir aap so gaye

*📬 Sahih Muslim, hadis No.2410 📒*

○ ◍➢ Hazrate Maula Ali radhi allaho anho bayaan karte hain ki Hazrate Sa’ad bin abi waqaas ke siwa kisi ke liye aap sallallaho alaihe wasallam ne apne maa baap ko jama’a nahin farmayaa, aap sallallaho alaihe wasallam junge uhad ke din unse farmaa rahe the tum par mere maa baap fida hon,teer maro

*📬 Sahih Muslim,hadis No.2411 📗*

○ ◍➢ Hazrate Qais bayaan karte hai ki Maine hazrate Sa’ad ko farmate hue suna ki unhone kaha beshak main arab ka pehla shakhs hun jisne Allah ki raah mein teer phenka

*📬 Ibne Majah,hadis No.131 📘*

○ ◍➢ Hazrate Qais bin hazim bayaan karte hain ki Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam ne hazrate Sa’ad ke liya dua farmayi Aye AllahSa’ad ki dua ko qabool farma jab bhi woh dua kare

   *📬 Tirmizi,Hadis No.3751 📙*


Is ke alawah aap ke fazail o manaqib mein bahut saari riwayatein hadis sharif ki kitaabo mein maujood hain Allah ta’ala unki dua’aon ki qubooliyat ke sadqe mein hum saab ka khatima imaan par ata farmaye..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  39

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Talha  bin  Ubaidullah Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam aur NasaB ◍➢* Aap ka naam aur nasab ye hai Talha,bin Ubaidullah,bin Usman,bin Umar,bin Ka’ab bin Lui,bin Galib,bin Fahar,bin Malik,bin Nazar,bin Kanana

*○ Aap ki waLida ka NaaM ◍➢* Sa’aba bint-e-Abdullah bin Malik hazrami hai

*📬 Asadul Gaba,Vol:2,Page No.43 📒*

*○ QaBooL-e-IslaM ◍➢* Hazrat-e-Talha radhi allaho anho apne Islam laane ka waqiya khud is tarah se bayan kiya Woh kehte hain ki Main Busra shahar mein tijaarat ke liye gaya huwa tha Wahan khaanqah mein ek Isa’ee Raahib raha karta tha Us ne apne logo se kaha ki Ye maloom karo ki baahar se aane wale taajiro mein koi Makka ka rehne wala bhi aaya hai nahi? Log maloom kar rahe the to main ne kaha ki “Main Makka ka rehne wala hun” To woh log mujhe apne Raahib ke paas le gaye Us ne mujh se puchha ki “Ahmad” naam ka koi shakhs tum mein zaahir huwa hai? Main ne kaha kaun Ahmad? Us ne kaha Ahmad bin Abdullah bin Abdul Muttalib Ye mahina us ke zaahir hone ka mahina hai Woh aakheri nabi hain Un ke zaahir hone ki jagah Makka hai aur hijrat-gaah khajuroon wali zameen hai Us ne mujh se kaha Khabar-daar Un par imaan laane mein koi tum se aage na badh jaae Hazrat-e-Talha kehte hain ki Us Raahib ki baat mere dil mein baith gayi main jaldi se Makka lauta,Main ne jab maloom kiya to mujhe bataya gaya ki Muhammad bin Abdullah ne nabiwat ka dawa kiya hai Aur hazrat-e-Abu bakar un par imaan laa chuke hain Main Hazrat-e-Abu bakar ke paas gaya to unho ne mujhe Islam ke baare mein bataya phir mujhe woh Huzur ke paas le kar gaye to main ne Huzur ke haath par Islam qabool kar liya Aur Raahib wala waqiya Huzur se bataya To Huzur ne khushi ka izhaar farmaya..✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5586 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  40

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Talha  bin  Ubaidullah Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ QaBooL-e-Islam ki wajah se Mushkilaat ka saamna ◍➢* Jab aap ne Islam qabool kiya aur iski khabar Naufal bin adwiya ko mili jo qabila Quraish ke sher ke naam se mash’hoor tha To woh gusse se beqaabu ho gaya Aur us ne Hazrat-e-Abu bakar aur hazrat-e-Talha ko ek rassi mein kas kar baandh diya Dono hazraat taklif se karaahte rahe lekin Ibn-e-Adwiya ke darr se un ke qabile ka kisi shakhs ki himmat nahi hui ki un ko jaa kar khol de

*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5586 📒*

○ ◍➢ Huzur Sallallaho alaihe wasallam aksar ye dua farmaya karte the Aye Allah Adwiya ke bete ki shararat se hame bacha Is ke elawah musalmano ko zulm ke jis toofan se guzarna pada us mein shuru se aakhir tak aap har jagah saabit qadam rahe

*○ Huzur par mar mitne ka jazba ◍➢* Hazrat-e-Talha radhi allaho anho ne huzur par mar mitne ka jo jazba pesh kiya woh qaabil-e-rashk hai Aap har jung mein huzur Sallallaho alaihe wasallam ke saath haazir rahe Junge Uhad mein aap ne khud ko Huzur Sallallaho alaihe wasallam ko dhal bana liya aur Aap Sallallaho alaihe wasallam ki taraf aane wali teero ko apne haath se rokte rahe yahan tak ki aap ka haath bekaar ho gaya Aap ke sar par bhi badi sakht chot lagi hui thi us ke baad bhi aap ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam ko utha kar ek chattan par le gaye Us din Huzur ne Hazrat-e-Talha ke liye farmaya ki Aye Talha tum Talhatul Khair” Yani bhala’ee ki sakhawat karne wale ho..✍


*📬 Asadul gaba,Vol:2,Page No.43-44 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  41

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Talha  bin  Ubaidullah Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Fazail-o-ManaqiB ◍➢* Hazrat-e-Zubair radhi allaho anho bayan karte hain ki Jab jang-e-uhad ke din Hazrat-e-Talha Aap Sallallaho alaihe wasallam ko utha kar chattan par le gaye to Huzur ne farmaya ki Talha ne jannat ko wajib kar liye

*📬 Tirmizi,Hadis No.3738.Al-Mustadrak,Hadis No.5062 📒*

○ ◍➢ Hazrat-e-Ali radhi allaho anho bayan karte hain ki Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Talha aur Zubair jannat mein mere padosi hain

      *📬 Tirmizi,Hadis No.3741 📘*

○  ◍➢ Hazrat-e-Jaabir radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Jo shakhs zamin par kisi shaheed ko chalte hue dekhna chaahta hai to woh Talha bin Ubaidullah ko dekh le...✍


    *📬 Tirmizi,Hadis No.3739 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  42

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Talha  bin  Ubaidullah Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ ShaHaDaT ◍➢* Jang-e-Jamal mein Marwan ne aap ko teer maara aur aap huzur sallallaho alaihe wasallam ke batane ke mutabiq shaheed ho gaye Imam Sha’abi kehte hain ki Shahadat ke baad jab Hazrat-e-Ali radhi allaho anho ne aap ko dekha to maare gam ke mitti apne chehre par daalne lage aur rote rote hichkiya bandh gayi Aap ne farmaye Aye kaash Aaj se 10 saal pehle hi main inteqaal kar gaya hota Jamadil ukhra 36 hijri mein jang-e-jamal ka waqiya pesh aaya us waqt aap ki umar 62 saal kit hi.61 aur 64 saal ki bhi riwayat hai..✍


*📬 Asadul gaba,Vol:2,Page No.44 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  43

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Talha  bin  Ubaidullah Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ ShaHaDaT ke BaaD ka ek azib waqiYa ◍➢* Ali bin zaid bayan karte hain ki Ek shakhs ne ek zamaane ke baad khaab dekha ki hazrat-e-Talha bin ubaidullah keh rahe hain ki Meri qabar dusri jagah kar do Kyunki yahan par paani mujhe taklif pahucha raha hai Us ne lagaataar 3 raat ko ye khaab dekha Phir woh Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho ke paas gaya aur apna khaab bayan kiya To unho ne qabar khuda to dekha ki qabar mein paani pahuchne ki wajah se zameen mein kaa’i jam gayi hai Unhone hazrat-e-Talha ko dusri jagah muntaqil kar diya Jab aap ki laash-e-Mubarak ko nikala gaya to bilkul salamat tha aur aap ki aankho ke darmiya kaafur bilkul usi tarah rakha huwa tha..✍ *Allahu akbaR*


*📬 Asadul gaba Vol:2,Page No.45 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  44

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’ Ubaida  bin  jarrah Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam aur NasaB ◍➢* Aap ka naam aur nasab ye hai Aamir bin Abdullah bin Jarrah bin Hilal bin Aheb bin Zabba bin Haris bin Fahar bin Malik bin Nazar bin Kanana bin Khuzaima Aap apni kunniyat aur apne dada ki taraf nisbat ki wajah se mash’hoor hue aur aap ko “Abu Ubaida bin Jarrah” kaha jaane laga

*📬 Asadul Gaba,Vol:2,Page No.61 📒*

○ ◍➢  Aap ki zindagi ke alag alag pahlu Hazrat-e-Abu Ubaida radhi allaho anho un 10 muqaddas sahaba me se ek hain jin ko Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne dunya hi me jannat ki basharat ata farmaya tha Aap ne ek dam shuru me Islam qabool farmaya aur pahle Habsha ki taraf phir Madina sharif ki taraf hijrat farmaya Jange Badar,Uhad aur us ke elawah tamam jango me Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke saath rahe Jange Badar me kaafiro ki taraf se un ke walid musalmano se ladne ke liye aaye the Hazrat-e-Abu Ubaida ne Allah ki muhabbat me talwar chalaya aur ek hi waar me apne kaafir baap ko qatal kar diya Allah Ta’ala ne aap ke is jazbe ki taarif farmaya aur ye aayat naazil farmaya “Jo log Allah aur qayamat ke din par imaan rakhte hain,Tum un ko Allah aur us ke Rasool se dushmani karne walo ke saath muhabbat karne wala nahi paaoge,chaahe woh un ke baap,bête,bhai,aur dusre qaribi hi kyun na ho Ye woh log hain jin ke dilo me Allah ne imaan ko mazbut kar diya hai aur apni (pasandida)rooh se un ki madad farmaya hai..✍🏻


*📬 SuraH Mojaadilah,Aayat No.22 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  45

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’ Ubaida  bin  jarrah Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

○ ◍➢ Jange Uhad me Huzur Sallallaho alaihe wasallam ka chehra Mubarak zakhmi ho gaya aur khood ki do kadyan Aap Sallallaho alaihe wasallam ke chehre me chubh gaee,To hazrat-e-Abu Ubaida radhi allaho anho ne apne daanto se pakad kar un ko khich kar nikala jis ki wajah se aap ke do daant nikal gaye Lekin un ka chehra aur zyada khoobsurat ho gaya Aap Sallallaho alaihe wasallam ne un ko “Qawi aur Ameen” ka laqab diya Aap Islami lashkar ke mash’hoor sipah saalaar rahe hain Damishq ko aap hi ne fatah farmaya to hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne aap ke kamaalat aur khubiyo ko dekhte hue aap ko wahan ka governer muqarrar kiya

*📬 Asadul Gaba,Vol:2, Page No.61 📒*

○ ◍➢ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne aap ke bare me farmaya ki har ummat ka ek Ameen hota hai aur hamri is ummat ke Ameen Abu Ubaida bin Jarrah hain..✍


*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.3744 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  46

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’ Ubaida  bin  jarrah Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ WisaaL ◍➢* Urwah bin Rowaim kahte hain ki jab taaun-e-amwas (Ek qism ki waba) phaila to sab log dusri jagah chale gaye magar hazrat-e-Abu ubaida dosto ke sakht zid karne ke baad bhi Allah ki taqdeer par sabr kiye rahe 81 hijri me maqaam-e-Fahal se namaaz padhne ki niyat se Baitul Muqaddas jaa rahe the ki raaste hi me aap ka wisaal ho gaya Aap ki namaaz-e-janaza Hazrat-e-Ma’az bin Jabal radhi allaho anho ne padhaya..✍


*📬 Asadul Gaba,Vol:2,Page No.61 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  47

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Zubair  Bin  awwam Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam aur NasaB ◍➢*  Aap ka naam aur nasab ye hai Zubair bin Awam bin khuwailad bin Asad bin Abdul Uzza bin Qusai bin Kilab bin Murrah bin Ka’ab bin lui Aap ki walida Safiya binte Abdul Muttalib hain Ye Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki phuphi thi Is tarah se aap huzur Sallallaho alaihe wasallam ke phuphi zaad bhai the aur Ummul momenin hazrat-e-Khadija radhi allaho anha ke bhatije the

*📬 Asadul Gaba,vol:1,Page No.378 📒*

*○ QaBooL-e-Islam ◍➢* Aap Hazrat-e-Abu Bakar radhi allaho anho ke samjhane se 12/ya 15 saal ki umar me Islam qabool farmaya Jab aap ke chacha ko aap ke imaan laane ki khabar hui to woh gusse se beqaabu ho gaya aur pakka irada kar liya ki use main aisi saza dunga ki woh majbur ho kar us naye deen ko chhod kar apne baap dada ke deen ki taraf palat aaega Woh aap ko chataai me lappet kar rassi se baandh deta phir dono taraf se dhuwa deta yahan tak ki aap ka dam ghutne lagta to woh aap se kehta ki Agar is azaab se bachna chaahte ho Muhammad (Sallallaho alaihe wasallam) ke deen ka inkaar kar do Magar aap sabr karte aur apni garajdaar awaaz me jawab dete Nahi,Hargiz nahi,Qasam Allah ki main kisi bhi qimat par kufr ki taraf nahi paltunga..✍


*📬 Tahzibut Tahzib, Vol: 3, Page No.275 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  48

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Zubair  Bin  awwam Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Aap ka Maqaam aur MartabaH ◍➢*  Aap ki bahaduri islami taarikh ka ek bahut hi aham hissa hai Puri ummat me sab se pehle Islam ki hifazat ke liye aap hi ne apni talwaar ko niyaam se bahar kiya Jange Badr,Uhad,Khandaq,Hudaibiya,Fathe Makka,Hunain,Taaif aur dusre tamam jango me aap huzur Sallallaho alaihe wasallam ke saath rahe aur apni bemisaal bahaduri se dushmano ke hosh thikaane lagaae Aap Allah Ta’ala ke liye apna sab kuchh chhod kar pehle Habsha ki taraf hijrat farmaya phir Madina sharif ki taraf Aap un 10 muqaddas sahaba me se hain jin ko huzur Sallallaho alaihe wasallam ne dunya hi me jannat ki basharat ata farmaya tha Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne aap ko us committee ka member banaya jin ko un ke baad khalifa chun ne ka kaam karna tha aur Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne in logo ke bare me farmaya ki ye woh log hain jin se huzur apne aakheri waqt tak raazi the...✍


*📬 Asadul Gaba,Vol:1,Page No.378 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  49

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Zubair  Bin  awwam Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Aap ki faziLaT◍➢* Hazrat-e-Jabir radhi allaho anho  Bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne jange Khandaq ke mauqe par logo ko jihaad karne ki taraf mail kiya to hazrat-e-Zubair ne kaha Labbaik Ya Rasoolallah main haazir hun Phir Huzur ne logo se jihad ke liye kaha to Aap ne phir kaha Labbaik Ya Rasoolallah main haazir hun Huzur ne phir kaha to aap ne bhi phir kaha Labbaik Ya Rasoolallah main haazir hun To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Har Nabi ke Hawari (Yani khususi madad karne wala) hote hain aur mere hawari Zubair hain

*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2414 📒*

○ ◍➢ Hazrat-e-Ali radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Talha aur Zubair jannat me mere padosi hain..✍


  *📬 Tirmizi,Hadis No.3741 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  50

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Zubair  Bin  awwam Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Aap ki ShahadaT◍➢* Jange Jamal ke mauqe par aap ek maidan me namaaz padh rahe the ki Ibne jarmuz ne aap ko namaaz hi ki haalat me shaheed kar diya Aur aap ki talwar le kar hazrat-e-Ali ke paas aaya to hazrat-e-Ali ne farmaya ki Ye woh talwar hai jis ne na jaane kitni baar huzur Sallallaho alaihe wasallam ki taraf se dushman ke khilaaf uthi hai Aye Safiya ke bete ko qatal karne wale tumhe jahannam ki basharat ho.10 jumadil Ula,36 hijri me aap ki shahadat hui us waqt aap ki umar 67 saal ki thi..✍


*📬 Asadul Gaba,Vol:1,Page No.379 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  51

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Zaid  Bin  Haarsa Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam aur NasaB◍➢* Hazrat-e-Zaid bin Haaresa radhi allaho anho ka naam aur nasab ye hai Zaid bin Haresa bin Sharahil bin Ka’ab bin Abdul Uzza bin Imrail Qais bin Aamir bin Numan bin Aamir bin Abde Udd Un ki walida ka naam “Sa’adi bint-e-Sa’alaba bin Abde Aamir” hai Un ki kunniyat “Abu Usama” hai Aap Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke azaad kiye hue hain aur Huzur ke bade pyaare sahabi hain..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  52

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Zaid  Bin  Haarsa Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ GuLami aur Azaadi ◍➢* Hazrat-e-Zaid ke walid Haaresa Qabila bani Quza’ah ke the jo Yaman ka ek bahut hi izzat wala Qabila tha aur un ki walida Sa’adi Qabila banu ma’an ki thi Woh hazrat-e-Zaid ko bachpan me apne saath le kar maike gaee,Raaste me Banu Qeen ke kuchh sawar jo loot maar kar ke wapas aa rahe the,Hazrat-e-Zaid ko khime se utha kar le gae aur un ko Makka ke bazaar-e-Ukaaz me gulam bana kar pesh kiya Hakim bin Huzaam ne un ko 400 dirham me kharid kar apni phuphi hazrat-e-Khadija radhi allaho anha ki khidmat me pesh kiya,Hazrat-e-Khadija ne un ko Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke hewale kar diya to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne un ko azaad kar ke apna beta bana liya..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  53

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Zaid  Bin  Haarsa Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​

*○ Hazrat-e-Zaid ka Ishq-e-RasooL ◍➢* Hazrat-e-Zaid ke walid “Haaresa” ko apne bete ki judaai ka bada gam tha,woh un ki yaad me rote rehte the aur beqaraari me dard bhare ash’aar kehte the Jagah jagah jaate ki shayad kahi mera beta mil jaae, Lekin jab nakaami hoti to gam ke maare phut phut kar rote Ek saal banu kalb ke kuchh log haj karne Makka aae to un logo ne hazrat-e-Zaid ko dekhte hi pehchaan liya Aur Hazrat-e-Zaid ko un ke walid ke gam aur rone ka haal sunaya Is par hazrat-e-Zaid ne bhi kuchh ash’aar kahe jis ka khulaasa ye hai “Main bhi apni qaum ka chaahne wala hun agarche un se door hun,Main Haram sharif ke qarib rehta hun, Tum gam nahi karo,Main Allah ke fazal se ek izzat wale aur achchhe khaandan me rehta hun” Banu Kalb se aane wale logo ne wapas ho kar hazrat-e-Zaid ke walid ko un ke bare me bataya to woh bade khush hue aur usi waqt apne bhai Ka’ab ko le kar Makka ke liye chal diye Makka pahunch kar Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki khidmat me haazir hue aur arz kiya Aye Ibne Abdullah Aap haram sharif ke rehne wale hain, Musibat me phanse logo ki madad karte hain,Qaidiyo ko khaana khilaate hain,Ham aap ke paas is iraade se aae hain ki aap ham par ehsaan kar ke hamare bete ko azaad kar dijiye aur is ke badle me ham se jitni raqam lena chaahte hain le lijiye...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  54

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Zaid  Bin  Haarsa Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Hazrat-e-Zaid ka Ishq-e-RasooL ◍➢* Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Zaid ko bula kar use ekhtiyaar do Agar woh tumhare saath jaana pasand kare to use begair kuchh diye le jaao aur agar mere saath rehna chaahe to use yahi rehne do Haaresa aur Ka’ab ne Aap Sallallaho alaihe wasallam ka shukriya ada kiya aur is shart ko manzur kar liya Phir Hazrat-e-Zaid ko bulaya gaya Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki kya tum in dono ko pehchaante ho? Unho ne arz kiya Haan ya Rasoolallah Ye mere baap aur ye mere chacha hain Hzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Ab tumhe ekhtiyaar diya jaata hai ki chaaho to apne baap aur chacha ke saath apne ghar walo ke paas chale jaao aur chaaho to mere paas raho Hazrat-e-Zaid ne kaha Ya Rasoolallah!Main aisa nahi hun jo aap par kisi ko tarjih doon aur aap ke elawah kisi aur ke saath rehna pasand karun Ya Rasoolallah Aap hi mere baap hain aur Aap hi mere chacha aur sab kuchh hain Hazrat-e-Zaid ke is faisle se un ke waalid aur chacha hairan reh gae aur unhone kaha Zaid Tum par afsoos hai ki tum azaadi,Baap,chacha aur apne ghar walo ke saath rehne ke bajaae gulami ki zindagi pasand kar rahe ho.Hazrat-e-Zaid ne kaha ki Haan,Mujhe is zaat me aisi khubiyan nazar aai hain ki main in ke muqable me kisi aur ko pasand nahi kar sakta hun Hazrat-e-Zaid ki is muhabbat ko dekh kar Huzur Sallallaho alaihe wasallam bade khush hue aur aap ne elaan farmaya ki Aaj se Zaid mera beta hai Huzur ke is elaan se hazrate Zaid ke waalid aur chacha bhi khush ho gae Aur khushi khushi Yaman wapas chale gae Is elaan ke baad hazrat-e-Zaid ko Huzur Sallallaho alaihe wasallam ka beta kaha jaane laga Yahan tak ki Quran sharif ki ye aayat naazil hui ki “Logo ko un ke baap hi ki taraf nisbat kar ke bulaya karo...✍


*📬 Asadul Gaba,Vol:1, Page No.395 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  55

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Zaid  Bin  Haarsa Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ QaBooL-e-Islam ◍➢* Aap ne gulamo me sab se pehle Islam laae Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne apni bandi Umme Aiman se aap ka nikaah kiya Un se Hazrat-e-Usaama paida hue Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne apni phuphi zaad bahan hazrat-e-Zainab binte Zahash ke saath bhi aap ka nikaah kar diya tha Phir Jab Hazrat-e-Zaid ne un ko talaaq de diya to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne khud un se nikaah farmaya Is nikaah par kuchh logo ne eteraaz kiya ki Muhammad (Sallallaho alaihe wasallam) ne apne bete ki talaaq diye hue aurat se nikaah kar liya hai jo durust nahi hai To Allah Ta’ala ne apne mahboob Sallallaho alaihe wasallam par eteraaz karne walo ka jawab dete hue ye aayat naazil farmaya

ما کان محمد ابا احد من رجالکم ولکن رسول اللہ و خاتم النبیین{سورہ احزاب،آیت:۴]

○ ◍➢ Muhammad tumhare mardo me se kisi ke baap nahi hain,Lekin woh Allah ke Rasool aur aakheri nabi hain..✍

*📬 SuraH Ahzaab,Aayat No.40 📒*


*📬 Asadul Gaba,Vol:1,Page No.396 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  56

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Zaid  Bin  Haarsa Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ QaBooL-e-Islam ◍➢* Aap ne gulamo me sab se pehle Islam laae Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne apni bandi Umme Aiman se aap ka nikaah kiya Un se Hazrat-e-Usaama paida hue Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne apni phuphi zaad bahan hazrat-e-Zainab binte Zahash ke saath bhi aap ka nikaah kar diya tha Phir Jab Hazrat-e-Zaid ne un ko talaaq de diya to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne khud un se nikaah farmaya Is nikaah par kuchh logo ne eteraaz kiya ki Muhammad (Sallallaho alaihe wasallam) ne apne bete ki talaaq diye hue aurat se nikaah kar liya hai jo durust nahi hai To Allah Ta’ala ne apne mahboob Sallallaho alaihe wasallam par eteraaz karne walo ka jawab dete hue ye aayat naazil farmaya

ما کان محمد ابا احد من رجالکم ولکن رسول اللہ و خاتم النبیین{سورہ احزاب،آیت:۴]

○ ◍➢ Muhammad tumhare mardo me se kisi ke baap nahi hain,Lekin woh Allah ke Rasool aur aakheri nabi hain..✍

*📬 SuraH Ahzaab,Aayat No.40 📒*


*📬 Asadul Gaba,Vol:1,Page No.396 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  57

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Zaid  Bin  Haarsa Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ ShaHaDaT ◍➢* Ummul momineen Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam jis lashkar me bhi hazrat-e-Zaid ko bhejte us ka ameer hazrat-e-Zaid ko banate 8/hijri me jab Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Mulke Shaam me “Mutah” ki taraf lashkar rawaana kiya to hazrate Zaid ko us ka ameer banaya aur farmaya ki agar woh shaheed ho jaaen to phir Jaafar bin abi Taalib ko ameer banana aur agar woh bhi shaheed ho jaaen to Abdullah bin Rawaha ko ameer banana Is jang me badi sakht ladaai hui aur isi jang me Hazrat-e-Zaid shaheed hue...✍


*📬 Asadul Gaba,Vol:1,Page No.396 📒*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  58

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Zaid  Bin  Haarsa Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

○ ◍➢ Aap Sallallaho alaihe wasallam ne is jang me shaheed hone walo ki khabar Madina sharif pahunchne se pehle hi logo ko bata diya Jaisa ki Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Hazrat-e-Zaid,Hazrat-e-Jaafar aur Hazrat-e-Ibne Rawaha radhi allaho anhum ke bare me khabar aane se pehle hi un ke shaheed ho jaane ke bare me logo ko bata diya Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki ab jhanda Zaid ne sambhala hai lekin woh shaheed ho gae,Ab jhanda Jaafar ne sambhal liya hai aur woh bhi shaheed ho gae,Ab jhanda Ibne Rawaha ne sambhala hai lekin woh bhi shaheed ho gae Ye farmate hue aap Sallallaho alaihe wasallam ki aankho se aansu tapak rahe the Yahan tak ki Ab Allah ki talwaro me se ek talwar (Khalid bin walid) ne jhanda sambhal liya hai aur Allah Ta’ala ne uske haatho par musalmano ko fatah ata farmaya hai

*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.4262 📚*


*○ Khaas FaziLaT ◍➢* Allah Ta’ala ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam aur dusre tamam Ambiya-e-Kiram ke sahaba me se Hazrat-e-Zaid ke elawah kisi bhi Sahabi ka naam Quran sharif me Zikr nahi farmaya...✍

••──────────────────────••►

*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  59

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abdullah  bin  Mas’ood Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○  Aam aur NasaB ◍➢* Aap ka naam aur nasab ye hai Abdullah bin Masood bin Gaafil bin Habib bin Shamakh bin Faar bin Makhzum bin Sahila bin Kaahil bin Haris bin Taim bin Sa’ad bin Huzail bin Mudrika bin Ilyas bin Muzar Al-Hazli Aap ki walida ka naam Umme Abd bint-e-Abde Udd tha

*📬 Asadul Gaba,Vol:2,Page No.171 📒*

*○  QaBooL-e-Islam ◍➢* Aap ne shuru hi me Islam qabool farmaya Aap apne Islam lane ka waqiya khud bayan karte hue farmate hain ki Main apni kam umri ke zamaane me Uqba bin Moit ki bakriyan charaya karta tha,Ek din mere paas Huzur Sallallaho alaihe wasallam aur Hazrat-e-Abu Bakar radhi allaho anho tashrif laae aur mujh se farmaya ki Aye Naujawan!kya hame doodh pilaoge?Main ne jawab diya ki doodh to hai lekin main Ameen hun (Amanat me khayanat nahi kar sakta is liye main doodh nahi pila sakta) Huzur ne farmaya ki Kya tumhare paas koi aisi bakri hai jis se kisi bakre ne nahi mila ho?Main ne arz kiya Ji haan Phir main ne ek 6 mahine ki bakri ko le aaya Hazrat-e-Abu Bakar ne us ko baandha aur Huzur ne us ke than ko pakad kar dua farmaya to usi waqt woh doodh se bhar gaee Huzur ne use duha,Pehle mujhe aur hazrat-e-Abu Bakar ko pilaya phir khud piya Phir Aap Sallallaho alaihe wasallam ne bakri ke than se farmaya ki Sukad jaa To woh pehle ki tarah ho gaee Ye mojeza dekh kar main ne Islam qabool kar liya Aur main ne huzur se arz kiya ki Mujhe kuchh sikhaaiye To huzur ne mere sar par muhabbat se haath phera aur farmaya ki Allah Ta’ala tumhe apni barkato se nawaaze beshak tum ek “Muallim”yani logo ko sikhaane aur taalim dene wale jawan ho..✍


*📬 Ziyaun nabi,Vol:2,Page No.241 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  60

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abdullah  bin  Mas’ood Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○  Huzur se QurBaT ◍➢* Huzur Sallallaho alaihe wasallam aap ka bahut hi khayal farmate the Aap Sallallaho alaihe wasallam ne un ko apne ghar me begair kisi rok tok kar aane jaane ki ijaazat ata farmaya tha Is liye aap hamesha huzur hi ke saath rehte the aur Aap ki khidmat karte the Jab Aap Sallallaho alaihe wasallam gusal farmate to aap parda taan kar khade ho jaate Aap Sallallaho alaihe wasallam ko naalain sharif pehnaate aur jab Aap naalain utaarte to usko utha kar apne paas rakh lete Aap huzur ke itne qaribi the ki baahar se aane wala shakhs yahi samajhta tha ki aap huzur ke khaas ghar walo hi me se hain Jaisa ki Hazrat-e-Abu Musa radhi allaho anho bayan karte hain ki Jab main aur mera bhai Yaman se aaya to mujhe sirf Abdullah bin Masood hi ke bare me lagta tha ki woh huzur ke ghar walo me se hain kyunki woh aur un ki walida aksar huzur ke ghar me aaya jaaya karte the...✍


     *📬 Tirmizi,Hadis No.3806 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  61

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abdullah  bin  Mas’ood Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○  Huzur se QurBaT ◍➢* Abul Ahwas kehte hain ki Jis waqt hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho ka inteqaal hua,To main Hazrat-e-Abu Musa aur Hazrat-e-Abu Masood radhi allaho anhuma ke paas gaya,Us waqt un me se ek ne dusre se puchha Kya tumhare khayal me Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho ke baad koi shakhs un ke jaisa hai? Dusre ne kaha Agar tum ye puchhte ho to un ki shaan ye thi ki jis waqt hame huzur ki baargah me haazri ki ijaazat nahi hoti thi us waqt bhi un ko ijaazat hoti thi aur jis waqt ham gaaib hote the us waqt bhi woh huzur ke paas haazir rehte the...✍


*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2461 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  62

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abdullah  bin  Mas’ood Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○  Aap ka Ilm aur FazilaT ◍➢* Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki dua ki barkat se aap sahaba-e-kiram ke darmiyan bade alimo me se maane jaate the Allah Ta’ala ne aap ko ilm ki daulat se itna nawaza tha ki us par jitna bhi rashk kiya jaae kam hai Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho khud bayan farmate hain ki Qasam hai us zaat ki jis ke elawah koi maabood nahi Quran sharif ki har surah ke bare me ilm hai ki woh kab naazil hui Aur Quran sharif ki har har aayat ke bare me ilm hai ki woh kab aur kyun naazil hui Agar mujhe maloom hota ki koi shakhs mujh se bhi zyada Allah ki kitaab ko jaan ne wala hai aur oonto par safar kar ke us ke paas jaana mumkin hota to main safar kar ke us ke paas jaata...✍


*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2463 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  63

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abdullah  bin  Mas’ood Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○  Aap ka Ilm aur FazilaT ◍➢* Hazrat-e-Masruq kehte hain ki Ham log hazrate Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma ke paas jaate aur un se guftagu karte.Ek din ham ne un ke paas Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho ka zikr kiya To unhone farmaya ki Tum ne mujh se us shakhs ka zikr kiya hai jin se main us waqt se muhabbat karta hun jab se main ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam se ek hadis suni Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki 4 logo se Quran sikho Abdullah bin Masood,Huzur ne sab se pehle un ka naam liya.Ma’az bin jabal,Ubai bin Ka’ab aur Abu Huzaifa ke azaad kiye hue gulam Saalim se

*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2464 📒*

Aap ke buland martabe ka andaza is baat se lagaya jaa sakta hai ki Hazrat-e-Ali radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Agar main begair mashwara ke kisi aur ko ameer banata to Umme Abd ke bete Abdullah bin Masood ko banata..✍


*📬 Tirmizi,Hadis No.3808 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  64

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abdullah  bin  Mas’ood Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○  Aap ka Ilm aur FazilaT ◍➢* Aur jab Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne Hazrat-e-Ammar bin Yasir aur hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anhuma ko kufa walo ki taraf bheja to aap ne un logo ke naam se ek khat likha Us khat me aap ne likha ki Aye kufa me rehne walo Ammar bin Yasir ko main ne Ameer aur Abdullah bin Masood ko Muallim(Teacher) aur wazir bana kar bheja hai Woh dono huzur ke buzrug sahaba me se hain Woh dono jange Badr me bhi haazir the To tum log un ki pairwi karo aur un ki baat maano Aur Abdullah bin Masood,To be shak main ne tum logo ko apni zaat par tarjih dete hue un ko tumhare paas bhej diya hai

*📬 Asadul Gaba,Vol:2,Page No.173 📒*

*○  WisaaL ◍➢* 32/hijri me Madina sharif me aap ka wisaal hua Hazrat-e-Usman-e-Gani radhi allaho anho ne namaaz-e-janazah padhaya.Ek Qaul ye hai ki Hazrat-e-Ammar bin Yasir radhi allaho anho ne padhaya Wisaal ke waqt aap ki umar Mubarak 60 saal ya us se kuchh zyada thi..✍


*📬 Asadul Gaba,Vol:2 ,Page No.174 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  65

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’Zar  Gifari   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○  Naam aur NasaB ◍➢* Aap ka naam aur nasab ye hai Jundub bin Janadah bin Sufyan bin Ubaid bin Haram bin Gifaar bin Malil bin Zumrah bin Bakar bin Abde Manaf bin Kananah bin Khuzaima bin Mudrika bin Ilyas bin Muzar.Aap ki kunniyat “Abu Zar” hai aur Aap Qabila “Gefaar” ke rehne wale the is liye aap ko “Abu Zar Gefaari” kaha jaata hai...✍


*📬 Asadul Gaba,Vol:1,Page No.190 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  66

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’Zar  Gifari   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○  QaBooL-e-Islam ◍➢* Woh muqaddas log jinho ne Islam shuru me qabool farmaya aur is raaste me pesh aane wali mushkilaat ka mardaangi ke saath muqaabla kiya Un me Hazrat-e-Abu Zar radhi allaho anho ka ek aham naam hai Aap Islam lane se pehle bhi kaafiro ke taur tariqe ko bilkul pasand nahi farmate the Jab Aap ko maloom hua ki Makka me ek shakhs zaahir hua hai jo Nabuwwat ka dawa karta hai to aap ne apne bhai Anis ko maloomat haasil karne ke liye Makka bheja Unho ne aa kar bataya ki Woh shakhs logo ko neki ka hukm deta hai aur buraai se rokta hai aur us ka dawa hai ki Allah Ta’ala ne use makhluq ki rahnumaai ke liye Rasool bana kar bheja hai Saare haalaat sun ne ke baad aap ne khud Makka jaane ka irada kar liya Chalte waqt un ke bhai ne un ko nasihat kiya ki Makka me ehtiyaat se rehna kyunki wahan ke log un ke bade mukhalif hain Agar un ko maloom hua ki tum un ke paas aae ho to woh log tum ko sakht taklif pahuchaaenge Bahar haal aap ne safar ke liye zaruri saaman liya aur paidal hi Makka sharif ke liye chal diye...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  67

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’Zar  Gifari   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○  QaBooL-e-Islam ◍➢* Aap farmate hain ki Jab main Makka pahuncha to wahan meri kisi se jaan pehchaan nahi thi Is liye main siddha Haram sharif chala gaya Main us shakhs ko nahi jaanta tha jis ne nabuwwat ka dawa kiya tha Aur jis ki ziyarat ke shauq me paidal apne qabile se chal kar Makka aaya tha Aur main kisi se puchhna bhi munasib nahi samajhta tha ki kahi kisi mushkil me nahi phans jaaon Main intezaar karta raha yahan tak ki raat ho gaee Main wahi let gaya Mujhe Hazrat-e-Ali ne dekha to samajh gaye ki main ajnabi musafir hun aur mera yahan koi thikaana nahi hai Is liye unhone mujhe apne pichhe chalne ka ishara kiya To main aap ke pichhe pichhe chal pada.Raaste me nahi aap ne kuchh puchha aur nahi main ne khud se kuchh bataya Raat un ke yahan guzaara phir subah ko Masjide Haraam me chala aaya Dusra din bhi guzar gaya lekin huzur ki ziyarat nasib nahi hui Shaam hui to chaadar bichha kar let gaya phir kal ki tarah hazrat-e-Ali ne mujhe dekha to apne ghar le gaye lekin koi baat chit nahi hui Main raat un ke yahan guzaara phir Masjid haram me aa gaya...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  68

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’Zar  Gifari   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○  QaBooL-e-Islam ◍➢* Jab tisra din bhi guzar gaya to phir shaam ke waqt hazrat-e-Ali usi tarah mujhe apne ghar le gaye Aur mujh se puchha ki Tum yahan kyun aae ho? Main ne un se kaha Aap mujh se wada kijiye ki mera raaz kisi ko nahi bataaiyega aur meri madad kijiyega to main apne aane ka maqsad bayan karta hun Unho ne mujhe yaqin dilaaya to main ne apni saari baat un ke saamne bayan kiya Meri baat sun kar hazrat-e-Ali ne kaha ki beshak woh Allah ke sachche Rasool hain Subah main tumhe un ke paas le chalunga Subah hui to wade ke mutabiq aap aae aur mujh se farmaya ki agar raaste me mujhe koi khatrah mehsoos hua to main is tarah se khada ho jaaonga jaise koi paani bahata hai aur agar main chalta raha to tum mere pichhe pichhe chalte rehna aur jahan main daakhil hun tum bhi daakhil ho jaana..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  69

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’Zar  Gifari   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○  QaBooL-e-Islam ◍➢* Hazrat-e-Abu Zar radhi allaho anho kehte hain ki Is tarah se main Huzur ke paas pahuncha Aap Sallallaho alaihe wasallam ki baate suni jo mere dil me baith gaee aur main ne usi waqt Islam qabool kar liya.Huzur ne mujh se farmaya ki Tum apni qaum me wapas chale jaao aur wahan deen ki tablig karo yahan tak ki tumhaare paas mera hukm pahunch jaae To main ne kaha ki Us zaat ki qasam jis ke qabze me meri jaan hai Main Makka walo ke saamne apne imaan ka elaan karunga

○ ◍➢ Phir hazrate Abu Zar wahan se Masjide Haram me aae aur puri taaqat ke saath ye elaan kiya ki Main gawahi deta hun ki beshak Allah ke elawah koi maabood nahi hai aur be shak Muhammd Sallallaho alaihe wasallam Allah ke Rasool hain Jab logo ne ye suna to saare log un ke upar toot pade aur un ko maar maar kar behosh kar diya,Hazrat-e-Abbas aae to un ko bachaae aur kaha ki Afsoos hai tum par kya tumhein ye maloom nahi hai ki ye shakhs qabila Gefaar ka hai aur Mulke sham se tumhari tijaarat ka raasta un ke paas se ho kar guzarta hai Dusre din hazrat-e-Abu Zar ne phir apne imaan ka elaan farmaya to logo ne phir un ko maara aur phir hazrat-e-Abbas ne un ko chhudaya..✍


*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2474 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  70

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu’Zar  Gifari   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Islam Lane ke Baad ki zindagi ◍➢* Islam lane ke kuchh dino baad aap apne watan wapas aae aur apne bhai ko Islam qabool karne ki dawat diya to unhone kaha ki Main to pehle hi us deen ko qabool kar chukka hun.Phir dono bhai apni walida ke paas gae aur unhe bhi dawat di to unhone bhi Islam qabool kar liya Phir aap apne qabile ke logo ke paas gae aur unhein Islam qabool karne ki dawat diya to aadhe qabile ke logo ne usi waqt Islam qabool kar liya aur aadhe logo ne us waqt Islam qabool karne ka elaan kiya jab huzur Sallallaho alaihe wasallam hijrat kar ke Madina sharif aae

*📬 Ziyaun Nabi,Vol:2,Page No.246-247 📒*

○ ◍➢ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne aap se wada liya tha ki haq baat bolne me kisi ki malamat ki parwah nahi karoge chaahe woh baat kitni hi kadwi kyun nahi ho Aap puri zindagi is wade ko nibhate rahe aur kisi ki malamat ki parwah kiye begair haq bolte rahe Aap ke bare me Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jin logo par aasman ka saaya hai aur jo log bhi zameen par rehte hain un tamam logo me sab se zyada sachcha Abu Zar hai

*📬 Tirmizi,Hadis No.3801 📕*

*○ WisaaL ◍➢* 32/hijri me “Rabzah”ke jangal me (jahan aap ne puri dunya se alag ho kar apna thikaana bana liya tha) aap ka wisaal hua Namaz-e-janaza hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho ne padhaya..✍


*📬 Asadul Gaba,Vol:1,Page No.191 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  71

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu  Huraira   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam aur NasaB ◍➢* Allama Ibne Asir Jazri farmate hain ki Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho ka Nasab ye hai Daus bin Adnan bin Abdullah bin Zahraan bin Ka’ab bin Haris bin Ka’ab bin Malik bin Nazar bin Al-Azd Un ka asal naam kya tha is me bahut ekhtilaaf hai un ke kuchh naam jo ulma aur muhaddesin ne bayan kya hai woh ye hain

○ 1⃣ ◍➢ Abdullah bin Aamir
○ 2⃣ ◍➢Barir bin Ashraqa
○ 3⃣ ◍➢Sakin bin dauma
○ 4⃣ ◍➢ Abdullah bin Abde Shams
○ 5⃣ ◍➢ Abde Shams
○ 6⃣ ◍➢Abde Nahum
○ 7⃣ ◍➢Abde Ganam wagairah


○ ◍➢ Lekin Islam lane ka baad huzur ne aap ka naam badal diya Is me bhi ekhtilaaf hai ki huzur ne un ka kya naam rakha Kuchh log kehte hain ki “Abdullah” aur kuchh log kehte hain ki “Abdur Rahman”..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  72

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu  Huraira   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam aur NasaB ◍➢* Hazrat-e-Abu Huraira bayan karte hain ki Jaaheliyat me mera naam “Abde Shams” tha aur Islam lane ke baad huzur ne mera naam “Abdur Rahman” rakha.Aur meri kunniyat ki wajah ye hai ki ek din mujhe “Hirra”yani Billi mili to us ko main ne use apne kapde me chhupa kar rakh liya Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne jab mere kapde me “Hirra” ko dekha to mujhe kaha ki Aye Abu Huraira Phir main isi naam se mash’hoor ho gaya


*○ QabooL-e-Islam ◍➢* Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho Fath-e-Khaibar ke saal Islam qabool kiye Aur Islam qabool karne ke baad hamesha is baat ki koshish karte rahe ki kisi tarah meri maa bhi Islam qabool kar le.Aap khud bayan karte hain ki Meri walida kaafira thi,main un ko Islam lane ki dawat deta tha,Ek din main ne un ko dawat di to unho ne huzur ke bare me aisi baat keh di jo mujhe bada bura laga Main rota hua huzur ke paas gaya aur arz kiya Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Main apni maa ko Islam ki dawat deta tha woh inkaar karti thi...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  73

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu  Huraira   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam aur NasaB ◍➢* Aaj main ne us ko dawat di to usne aap ke bare me aisi baat keh di jo mujhe bahut bura laga Aap Allah Ta’ala se dua kijiye ki Allah Ta’ala Abu huraira ki maa ko hidayat de Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Aye Allah Abu Huraira ki maa ko hidayat de Hazrat-e-Abu Hurairah krhte hain ki main huzur se dua le kar khushi khushi apne ghar aaya to dekha ki darwaza band hai Maa ne meri qadmo ki aahat sun li Usne kaha ki Aye Abu Huraira apni jagah par ruke raho Phir main ne paani girne ki awaaz suni,Meri maa ne gusal kiya aur qamis pehni aur jaldi me begair dupatta ke baahar aai aur darwaza khola aur kaha Aye Abu Huraira!Main gawahi deti hun ki Allah ke elawah koi ibaadat ke laaeq nahi hai aur main gawahi deti hun ki Muhammad us ke bande aur Rasool hain Phir main khushi se rota hun huzur ke paas gaya aur arz kiya ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Aap ko khushkhabri ho Allah ne aap ki dua ko qabool farmaa liya aur Abu hurairah ki maa ko hidayat de di Is par Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Allah ki hamd bayan ki...✍


*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2491 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  74

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu  Huraira   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ KhidmaT-e-HaDees ◍➢* Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho ne Islam laane ke baad har chiz ko chhod kar zyada se zyada Huzur ki hadiso ko sun ne,Yaad rakhne aur phir use phailaane ko apna khaas mission bana liya Aap raat din huzur ke saath rehte aur jo bhi baat huzur farmate usko gaur se sunte aur use yaad rakhne ki koshish karte aur use logo se bayan karte Magar shuru shuru me bahut saari baate koshish ke baad bhi bhul jaate Jaisa ki Hazrat-e-Abu Hurairah khud bayan karte hain ki Main ne ek din Huzur se arz kiya Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Main aap se hadise sunta hun magar yaad nahi rehti To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki apni chaadar bichhao Main ne chaadar bichha di Phir Huzur ne apne haath se us chaadar me kuchh rakha (Jab ki hame kuchh bhi nazar nahi aa raha tha)Aur huzur ne farmaya ki ise apne sine se laga lo Main ne laga liya us ke baad phir main kabhi kuchh nahi bhula...✍


*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.119 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  75

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu  Huraira   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ KhidmaT-e-HaDees ◍➢* Aap ne Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma ke elawah tamam sahaba se zyada hadise yaad ki aur us ko bayan farmaya Jaisa ki aap khud bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke sahaba me Abdullah bin Umar ke elawah mujh se zyada hadis ko jaan ne wale koi nahi the Kyunki Abdullah bin Umar hadis likhte the aur main nahi likhta tha

*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.113 📔*


○ ◍➢ Jab kuchh logo ki taraf se ye baat saamne aai ki hazrat-e-Abu huraira bahut zyada hadise bayan karte hain jab ki un ko aisa nahi karna chaahiye to Aap ne logo ko jawab dete hue kaha ki Log kehte hain ki “Abu Huraira bahut hadise bayan karta hai Aye logo suno Quran me agar do aayat nahi hoti to main koi hadis bayan nahi karta Phir aap ne ye aayat padhi..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  76

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Abu  Huraira   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ KhidmaT-e-HaDees ◍➢* “Beshak woh log jo Allah ki naazil ki hui raushan baato aur hidaayato ko chhupaate hain jab ki ham ne logo ke liye is kitaab me waazeh farmaa chuke hain Un par Allah ki la’nat hai aur laanat karne walo ki laanat hai Magar woh log jo tauba kare aur islaah kar le aur un baato ko zaahir kare to main un ki tauba qabool farmaunga

*📬 Surah Baqra,Aayat No.159-160 📘*

○ ◍➢ Beshak hamare muhajerin bhai to baazaaro me mashgul rehte the aur hamare ansaar bhai apni zameen ke kaamo me Aur Abu Huraira Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke saath ji bhar ke rehta tha aur aap ke saath un majliso me bhi rehta tha jin me woh nahi rehte the aur huzur ki un baaton ko yaad rakhta tha jise woh yaad nahi rakhte the

*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.119 📔*


*○ WisaaL ◍➢* Aap ka wisaal Madina sharif me 57/hijri me hua Aur haisam bin Adi ne kaha ki 58 hijri me 70 saal ki umar me hua...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  77

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Bilal   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

○ ◍➢ Hazrat-e-Bilal radhi allaho anho bade mash’hoor sahabi hain Makka me Islam Qabool farmaya aur Islam qabool karne ki wajah se kaafiron ne un ko badi taklifen pahunchaai magar woh pore khuloos ke saath Islam par date rahebUn ke walid ka naam “Rubaah” aur walida ka naam “Hamamah” tha un ka apna watan habsha tha isi liye un ko Bilal-e-Habshi kaha jaata hai


○ ◍➢ Hazrat-e-Bilal radhi allaho anho Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke moa’zzin the aur har waqt aap Sallallaho alaihe wasallam ki baargah me rehne wale sahabi the Imam Hakim aur Hafiz Abu Na’im ne un ko “Ashaab-e-Suffa”(Yani who sahaba jin hone dunya ka har kaar-o-baar chhod kar har waqt huzur ke paas rehte aur jin ke khaane pine wagairah ka intezaam bhi huzur hi farmate) me se bhi maana hai Jange badar aur us ke elawah tamam jango me aap huzur Sallallaho alaihe wasallam ke saath rahe Sab se pehle aap hi ne azaan diya aur Aap Sallallaho alaihe wasallam jab tak dunya me rahe us waqt tak aap Masjid-e-Nabwi ke Moazzin rahe Hadis sharif ki kitaabo me aap ki badi fa...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  78

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Bilal   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ ◍➢ Fazaail-o-ManaqiB* Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya (Deen-e-Haq ke baare me) dusre logo se aage badh jaane wale 4 log hain Main Arab walo se aage badh jaane wala hun Suhaib Mulke Room walo se, Salman Faras walo se aur Bilal Habsha walo se

*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5243 📔*

○ ◍➢ Hazrat-e-Burida radhi allaho anho bayan karte hain ki Ek Subah Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne hazrat-e-Bilal ko bulaya aur farmaya ki Aye Bilal Kis amal ki wajah se tum raat jannat me mere aage aage chal rahe the? Main ne apne aage tumhaare jooto ki aahat suni Hazrat-e-Bilal radhi allaho anho ne kaha Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Main jab bhi wazu karta hun to do rik’at namaaz padh leta hun Aur jab bhi mera wazu toot jaata hai to main usi waqt wazu kar leta hun Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Isi wajah se...✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5245 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  79

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Bilal   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ ◍➢ Fazaail-o-ManaqiB* bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Bilal kitna achchha admi hai Woh Qayamat ke din tamam Azaan dene walo ka sardaar hai aur azaan dene wale qayamat ke din dusre logo ke muqable me zyada sar buland honge

*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5244 📘*

○ ◍➢ Hazrat-e-Jaabir radhi allaho anho bayan karte hain ki Hazrat-e-Umar faruq radhi allaho anho ne farmaya ki Hamare sardaar Abu Bakar ne hamaare sardaar Bilal ko azaad kiya...✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5244 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  80

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Bilal   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ ◍➢ Mulke Shaam me Qayam* Jab Huzur Sallallaho alaihe wasallam ka wisaal ho gaya to aap mulke sham chale gaye aur aakheri zindagi tak wahi rahe Ek din Hazrat-e-Bilal ne Khaab me Huzur Sallallaho alaihe wasallam ko dekha ki aap farmaa rahe hain Aye Bilal Ye kaisi bewafaai hai ki tum ab tak meri ziyarat ko nahi aae Hazrat-e-Bilal gamgin haalat me bedaar hue aur tezi ke saath ghode par sawar ho kar Madina sharif ki taraf chal diye Madina sharif pahunchne ke baad Aap Nabi Sallallaho alaihe wasallam ke mazaar-e-Mubarak par gae aur Qabre Mubarak se lipat kar khoob rone lage Phir Hazrat Imam Hasan aur Husain radhi allaho anhuma aae to un ko bosa diya aur apne saath chimta liya Un dono ne kaha ki hamari khaahish hai ki aap azaan de To Aap ne Masjid ki chat par chadh kar azaan dena shuru kar diya...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  81

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  Bilal   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ ◍➢ Mulke Shaam me Qayam* Jab Allaho Akbar ki awaaz gunji to Madina sharif ke logo ki azib kaifiyat ho gae aur jab aap “Ash’hadu Ann Muhammadur Rasoolallah” par pahunche to saare log apne apne gharo se bahar nikal aae yahan tak ki aurate bhi bahar aagee Aur Huzur ke zamaane ko yaad kar ke us din Madina sharif ke log itna roye ki un ki hichkiya bandh gaee

*📬 Sharah Sahi Muslim,Vol:6,Page No.1112 📘*

*○ ◍➢ WisaaL* Hazrat-e-Mus’ab bin Abdullah bayan karte hain ki Hazrat-e-Bilal ka wisaal Mulke Shaam ke shahar Damishq me 20 hijri me hua  Us waqt aap ki umar 60 saal ya us se kuchh zyada tha...✍

*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5247 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  82

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SaLman  Farsi    Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam o nasaB ◍➢* Abu Abdullah bin mundah ne hazrate salman farsi radhiallaho anho ka naam o nasab is tarah se bayaan kiya hai “Maayah bin lozkhashan bin Mursala bin bahnuzaan”

(“مايه بن لوذخشان ابن مورسلا بن بهنوذان من ولدان الملك)


*○ Mukhtasaar halaate zindagi ◍➢* Hazrate salman farsi radhi allaho anho mulke faras ke ek aag ke pujne wale gharaane me paida hue unke walid, kheti baari ka kaam kiya karte the Ek din unhone hazrate salman ko khet me bheja,woh jab khet jaa rahe the to raaste me unhone ek girja ghar dekha, woh girje me gaye Us waqt isaai log apne tariqe se Allah ta’ala ki ibadaat kar rahe the Unko isaaiyon ka ibadaat karne ka tariqa itna pasand aaya ki unhone fauran kaha yeh mazhab hamare mazhab se behtar hai Phir aap ne puchha ke is mazhab ka asal markaz kaha hai? Un logon ne bataya ki mulke sham me hai Phir woh bhaag kar mulke sham gaye aur wahan ke paadri ke saath rehne lage woh paadri bara hi laalchi aur makkaar qisam ka aadmi tha logon se sona chandi garibon me baatne ke liye leta aur khud hi rakh leta tha...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  83

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SaLman  Farsi    Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam o nasaB ◍➢* is tarah se usne sone aur chandi ke 7 matke jama’a kar liya tha,Aakhir me woh mar gaya aur uski jagah dusra paadri muqarrar hua, yeh paadri bada hi ibaadat guzaar aur dunya se alag tha.Hazrate salman farsi ko unse muhabbat ho gayi aur uski khidmaat karne lage jab woh marne laga toh aap ne us se puchha ki main ab kis se faiz haasil karun? Usne bataya ki Musil me falan shakhs, dine haq ka sachcha pairokaar hai us se faiz haasil karna.Phir uske inteqaal ke baad aap us shaks ke paas gaye jab woh bhi marne laga to usne nasibeen me ek shakhs ka pata bataya,aap uske paas gaye yeh bhi bada hi aabid aur zaahid tha, jab uske wafaat ka waqt qareeb aaya to usne “a’amooryah”me ek shaks ka patah bataya, jab uska bhi aakhri waqt qareeb aa gaya to hazrate salman farsi ne unse bhi yahi puchha ki Ab hum kiske paas jaaye? To usne kaha ki ab us nabi ke zaahir hone ka zamaana qareeb aagaya hai jo Arab se uth kar deen e Ibrahim ko zindah karega,uski nubuwaat ki pehchaan yeh hai ki woh tuhfa ko qabool karenge aur sadqa ko apne upar haraam karlenge aur unke dono kandho ke darmiyaan “mahar e nubuwwat” hogi, agar tum unse mil sako to zaroor milna....✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  84

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SaLman  Farsi    Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam o nasaB ◍➢* Amooryah ke us paadri ki wasiyaat ki wajah se aap arab jana chahte the kuchh dino baad aap ko Amooryah me qabilah banu kalb ke kuchh taajir mile to aap ne kaha agar tum mujhe Arab pahuncha do to main tumhein apni gaaye aur bakriyan de doonga Woh log tayaar ho gaye lekin un logon ne “Wadiul Qura” me pahuch kar dhoka diya aur aap ko ek yahudi ke haath gulam bana kar bech diya Kuchh dino ke baad us yahudi ka chacha-zaad bhai Madina sharif se us ke paas milne aaya to usne aap ko apne bhai ke haath se bech diya Is tarah se aap Madina sharif me ek yahudi ka gulam ban kar pahuche aur uski gulami karne lage Ek din aap khajur ke darkht par charh kar kuchh kaam kar rahe the aur aap ka maalik niche baitha hua tha ki ek shakhs ne aa kar bataya ki Quba me sab log ek shakhs ke paas jama hai jo makka se aaya hai Aur log use nabi samajh rahe hain...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  85

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SaLman  Farsi    Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam o nasaB ◍➢* Jab hazrate Salman ne ye suna to aap khush ho gaye Aur ek din kuchh khaane pine ki chiz le kar huzur ki baargaah me pahunche aur kaha ki “Main ye sadqe ki kuchh chizen le kar aaya hun aap ise qabool farmaa len” Aap Sallallaho alaihe wasallam ne us waqt apne paas baithe logo ko use khaane ka hukm diya magar aap ne us me se kuchh bhi nahi khaaya Is tarah hazrate salman ko sachche nabi ki ek pehchaan ho gaee Dusre din phir kuchh le kar pahunche aur kaha ki kal aap ne sadqa qabool nahi kiya tha aaj meri taraf se ye tuhfa hai ise qabool kar lijiye To Huzur ne us me se khud bhi khaaya aur jo log haazir the un ko bhi khilaaya Is tarah se hazrate Salman ko dusri pehchaan bhi mil gaya...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  86

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SaLman  Farsi    Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam o nasaB ◍➢* Aur isi darmiyan aap ne Huzur ke kandho ke darmiyan “Mahre Nabuwwat”bhi dekh liya aur use bosa diya to huzur ne un se farmaya ki saamne aao Phir Hazrate Salman ne huzur ko apni puri kahani sunaaya aur Islam qabool kar liya Gulami ki wajah se aap ko islami zindagi guzaarne me taklif hoti thi to huzur ne farmaya ki apne malik ko maal-o-daulat de kar us se aazadi hasil kar lo.To aap ne apne malik se baat kiya aur 300 khajur ke darakht aur 40 Oqiya sona par maamla tay hua Aam musalmano ne mil kar aap ki taraf se us yahudi malik ko 300 khajur ke darakht diye Aur Huzur ke paas kisi jang se murgi ke ande ke barabar sona aaya jo 40 Oqiya tha,woh sona bhi us yahudi ko de diya gaya Phir Hazrat-e-Salman azaad ho gaye...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  87

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SaLman  Farsi    Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Islami jango me aap ka sharik Hona ◍➢* Hazrat-e-Salman ke azaad hone ke baad sab se pehle jang-e-Khandaq hua jis me kaafiro ne pure Arab ko mila kar ek bahut hi bade lashkar ko le kar is iraade se Madina sharif par hamla karne aae the ki dunya se musalmano ko bilkul hi khatam kar diya jaae Jab Huzur ko maloom hua ki woh is iraade se aa rahe hain to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne mashwara ke liye sahaba ko bulaya aur un ke saamne maamla bayan farmaya Hamla Madine sharif par hona tha jis ki taraf koi qila ya fasil nahi tha jo un logo ko Madina sharif me aane se rokta Hazrat-e-Salman farsi Iran ke logo ke jang ko dekh chuke the aur kin haalat me kis tarah dushman se nipatna chaahiye Unhone mashwara diya ki itne bade lashkar ka khule maidan me muqaabla karna munasib nahi hai..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  88

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SaLman  Farsi    Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Islami jango me aap ka sharik Hona ◍➢* is liye Madina sharif ke chaaro taraf bade bade aur gahre khandaq khod kar dushman ko shahar me ghusne se rokna chaahiye Ye mashwara Huzur aur dusre sahaba ko bada pasand aaya Is liye is par amal kiya gaya Aur chaaro taraf khandaq khod diya gaya Dushman jo bade josh kharosh se Madina par hamla karne aa rahe the jab Qarib aae aur aisa khandaq dekha jise paar karna bahut hi mushkil tha to hairaan reh gaye 21/22 din usi paar ruke rahe aur aakhir kaam nakaam ho kar laut gaye Is ke elawah aur bhi jo jange hui un tamam jango me sharik rahe aur Allah ke dushmano ke khilaaf jang farmaya...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  89

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SaLman  Farsi    Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ WisaaL ◍➢* Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke wisaal ke baad Aap Madina sharif hi me rahe phir hazrat-e-Abu Bakar radhi allaho anho ke aakheri zamaane me aap ne Iraq chale gaye aur wahi rehne lage Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ke zamaane me Iraaniyo se jo jange hui un sab me aap sharik rahe aur aap khud Iraan hi ke rehne wale the is liye badi qimti maloomat diye Hazrat-e-Usman-e-Gani radhi allaho anho ki khilaafat ke akhir zamaane 35/Hijri me aap ka wisaal hua (Is ke elawah 33/34/36/37/Hijri bhi kitaabon me aaya hai)


*○ Aap ki kul umaR ◍➢* Aap ki kul umar sharif ke bare me ekhtilaaf hai Ek qaul 350 saal ka hai Allama ibne Asir jazri ne 350 saal likha hai Aur isi par unhone yaqin kiya hai Jab ki dusre logo ne 250 saal bhi likha hai..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  90

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SaLman  Farsi    Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Aap ka maqaam aur martabaH ◍➢* Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya (Deen-e-Haq ke baare me) dusre logo se aage badh jaane wale 4 log hain Main Arab walo se aage badh jaane wala hun Suhaib Mulke Room walo se, Salman Faras walo se aur Bilal Habsha walo se

*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5243 📘*

○  ◍➢ Hazrat-e-Abu Burida radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Beshak Allah Ta’ala ne mujhe 4 logo se muhabbat karne ka (khususi)hukm diya aur mujhe bataya ki beshak woh bhi un se muhabbat farmata hai Puchha gaya ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Woh kaun kaun hain? To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne 3 martaba farmaya ki Ali unhi logo me se hai Aur un ke elawah Abu Zar,Salman aur Miqdad hain

*📬 Ibne Majah,Hadis No.149 📒*

○  ◍➢ Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Beshak jannat teen (3) logo ki mushtaaq hai (Yani jannat 3 logo se milna chaahti hai) woh 3 log ye hain.Ali.Ammar aur Salman...✍


   *📬 Tirmizi,Hadis No.3797 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  91

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SuHaiB  Romi   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam aur NasaB ◍➢* Hazrat-e-Suhaib Roomi radhi allaho anho ka naam aur nasab ye hai Suhaib bin Sanan bin Malik bin Abd-e-Amar bin Aqil bin Aamir bin Jandalah bin Khuzaima bin Ka’ab bin Sa’ad bin Aslam Aap ki walida ka naam Salma bint-e-Qaid tha aur aap ki kunniyat Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne “Abu Yahya” rakha tha

*📬 Asadul Gaba, Vol: 2, Page No.25 📒*


*○ Mukhtasar HaaLaate Zindagi ◍➢* Hazrat-e-Suhaib ka asli watan Mosil ke qarib ek gaaon tha jo darya-e-Dajla ke kinaare tha Un ke walid aur chacha Iraan ke baadshah Kisra ki taraf se “Ilah” me kaam karte the Abhi un ki umar sirf kuchh saalo hi kit hi ki Roomi faujiyo ne Ilah par hamla kiya aur bahut saare maalo daulat ke saath hazrate Suhaib ko bhi utha kar le gae Hazrat-e-Suhaib Roomiyo hi me parwarish paa kar jawan hue...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  92

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SuHaiB  Romi   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Mukhtasar HaaLaate Zindagi ◍➢* Qabila banu Kalb ke ek shakhs ne un ko kharid kar Makka pahunchaya aur us se Abdullah bin Jadaan ne kharid kar un ko azaad kar diya Jab Huzur ne elaane nabuwwat kiya to ye huzur ki khidmat me haazir hone ke iraade se chale Ittefaq se Hazrat-e-Ammar bhi usi waqt usi iraade se huzur ke paas jaa rahe the,Mulaaqat hui aur dono ne apna apna irada ek dusre se bayan kiya Phir dono ek saath jaa kar Islam qabool farmaya Hazrat-e-Suhaib Islam qabool karne wale Room ke pehle shakhs the.Is liye huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Suhaib Room ka pehla phal hai Hazrat-e-Suhaib ne apne Islam laane ka khule aam izhaar kar diya tha jis ki wajah kaafiro ne aap par bada zulm kiya aur aap ne sabr ke saath un ke zulm ko bardasht farmaya...✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5698 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  93

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SuHaiB  Romi   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ HijraT ◍➢* Jab kaafiro ne musalmano par zulm ki hadd kar diya to Allah Ta’ala ne musalmano ko hijrat kar ke dusri jagah chale jaane ki ijaazat ata farmaya To Musalman aahista aahista Madina sharif chale gae Magar kaafiro ne hazrate Suhaib ke pichhe jaasus laga diya tha jo aap par har waqt nigaah rakhte the.Is wajah se aap nikal nahi paae yahan tak ki saare sahaba aur Huzur Sallallaho alaihe wasallam bhi Madina sharif chale gae aur Makka me aap akele bach gae Aap har waqt Makka se nikal kar Madina sharif jaane ki tarkib sochte rehte the magar koi tarkib kaamyab nahi hoti thi...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  94

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SuHaiB  Romi   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ HijraT ◍➢* Ek martaba sakht thandi ki raat thi Us raat aap baar baar is tarah baahar nikal rahe the jis se dekhne walo ko ye maloom ho ki woh apni haajat ko pura karne ke liye nikal rahe hain Jab jaasuso ne dekha ki ye baar baar nikal rahe hain aur phir laut kar aa jaa rahe hain to un me se kuchh logo ne kaha ki Tum log khush ho jaao hamaare ma’bood Laat aur Uzza ne us ke pet ko kharab kar diya hai Phir woh log sone ke liye chale gae to Hazrat-e-Suhaib ne teer aur kamaan latkaaya aur haath me talwaar le kar nikal gae Abhi aap kuchh hi door gae the ki jaasuso ko aap ke nikalne ki khabar hui Woh log ghabraae hue uthe aur jaldi jaldi apne ghodo par sawar ho kar aap ka pichha karne ke liye nikal pade yahan tak ki un logo ne aap ko dekh liya...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  95

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SuHaiB  Romi   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ HijraT ◍➢* Jab aap ko is baat ka ehsaas ho gaya ki ab ham pakde jaaenge to aap ek unchi jagah par khade ho kar ruk gae aur apne tarkash se teer nikaal liya aur un logo se kaha Aye Quraish ke logo Tum achchhi tarah jaante ho ki main ek bada hi nishaana baaz admi ho aur teer chalaane me mera koi jawab nahi hai Qasam Allah ki Tum log mujh tak nahi pahunch paaoge yahan tak ki mere paas jitney teer hain us se tumhaare ek ek admi ko nahi maar daalunga Phir jab tak mere haath me talwar rahega us se tum ko maarunga Un logo ne kaha ki Ham log tum ko hargiz jaan aur maal bacha kar kaamyabi ke saath nahi jaane denge Tum Makka me ek gulam ki haisiyat se muflis ho kar aae the aur ab tum maaldaar ho gae to yahan se jaana chaahte ho...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  96

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SuHaiB  Romi   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ HazraT-e-Suhaib ne kaha ◍➢* Achchha ye batao ki agar main apna saara maal tum logo me chhod dun to tum mujhe jaane doge? Un logo ne kaha haan Aap ne apne khazaane ki chaabhi un logo ki taraf phenk kar apne khazaane ka pata bata diya phir woh log wapas chale gae Aur aap Huzur se milne ke shauq me apni zindagi bhar ki kamaai luta kar khaali haath taklifo aur musibato ko jhelte hue aakhir kaar madina sharif pahunch gae Jis waqt aap madina sharif pahunche aap ko badi bhuk lagi hui thi aur us waqt huzur khajoor khaa rahe the to aap bhi aage badhe aur jaldi jaldi khajur khaane lage To Huzur ne farmaya ki tum khajur khajur khaa rahe ho jab ki tumhaari aankh me bimaari hai...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  97

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SuHaiB  Romi   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

○  ◍➢ To Un hone ne kaha Ya Rasoolallah main us aankh ke hisse se khaa raha hun jo sahi hai to huzur Sallallaho alaihe wasallam hans pade

*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5703 📘*

○  ◍➢ Phir jab aap ne huzur se apna waqiya sunaya to huzur ne farmaya ki Aye Abu Yahya Tum ne faaida mand sauda kiya Phir aap ki shaan me Allah Ta’al ne ye aayat naazil farmaya “Kuchh log woh hain hain jo Allah ki riza ke liye apni jaan bech daalte hain aur Allah apne bando par bada meharbani farmane wala hai..✍


*📬 Suwarum min Hayatis Sahaba,Page No.202-204 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  98

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  SuHaiB  Romi   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ WisaaL ◍➢* 38/hijri me 72 saal ki umar me Madina sharif me aap ka inteqaal hua aur Jannatul baqi me aap ko dafnaya gaya

*📬 Al- Mustadrak,Hadis No.5698 📒*

*○ Aap ke FazaaiL ◍➢* Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Suhaib se gussa nahi karo Un se aisi muhabbat karo jis tarah ek baap apne bete se karta hai

*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5710 📘*

○ ◍➢ Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya (Deen-e-Haq ke baare me) dusre logo se aage badh jaane wale 4 log hain Main Arab walo se aage badh jaane wala hun Suhaib Mulke Room walo se, Salman Faras walo se aur Bilal Habsha walo se...✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5243 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  99

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  AbdullaH  Bin  SaLam   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Naam aur NasaB ◍➢* Islam laane se pehle aap ka naam “Husain bin Salam”tha Jab woh Islam laae to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne un se un ka naam puchha to unho ne kaha ki mera naam “Husain bin Salam”hai To Aap Sallallaho alaihe wasalla ne farmaya ki nahi,balki “Abdullah bin Salam”hai Usi din se aap ka naam “Abdullah bin Salam”Mash’hoor ho gaya. Allama Ibne Asir jazri farmate hain ki Hazrat-e-Abdullah bin Salam Hazrat-e-Yousuf bin Yaqub alaihissalam ki aulad me se the..✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5752 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  100

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  AbdullaH  Bin  SaLam   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ IsLam Laane se pehle ke HaaLaaT ◍➢* Doctor Abdur Rahman Raafat Al-Basha likhte hain kibHazrat-e-Abdullah bin Salam Madina sharif ke yahudi alimo ke sardar the aur logo ke darmiyan parhezgaari, Sachchaai aur dusre khoobiyo ki wajah se bade mash’hoor the Is liye har mazhab ke log un ki badi izzat aur taazim kiya karte the Woh hamesha bekaar ke kaamo se door rehte the Unhone apne waqton ko 3 hisso me baant liya tha Pehla hissa unho ne Girja ghar me logo ko waaz aur nasihat ke liye rakha tha Dusra apne bagh ki dekh bhaal aur darkhto ki sichaai wagairah ke liye aur tisra hissa unho ne Taureet sharif ki tilaawat ke liye muqarrar kiya tha...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  101

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  AbdullaH  Bin  SaLam   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ IsLam Laane se pehle ke HaaLaaT ◍➢* Jab woh Taureet sharif me un aayato ko padhte jin me Allah Ta’ala ne Aakheri Nabi ke zaahir hone ki khabar di thi.To wahan par bahut der tak thahar kar us aakheri nabi ke khayal me kho jaate aur ye baat soch kar bahut khush hote ki woh nabi hijrat kar ke un hi ke shahar Madina sharif me aaenge Magar jab ye khayal aata ki pata nahi main us waqt tak zinda rahunga ya nahi to Allah Ta’ala ki baargah me badi aajezi ke saath dua karte ki “Maula Meri umar itni lambi kar de ki main un ka zamana paa sakun aur un ki ziyarat kar sakun aur sab se pehle mujhe un par imaan laane ki taufiq ata farma”(Suwarum min Hayatis sahaba)..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  102

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  AbdullaH  Bin  SaLam   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ QaBooL-e-Islam ◍➢* Allah Ta’ala ne un ki dua ko qabool farmaya aur un ki umar itni lambi hui ki unho ne huzur ka zamaana paaya aur jab Aap Sallallaho alaihe wasallam hijrat kar ke Madina sharif aae to un hone ziyarat kiya aur imaan laa kar huzur ke daman se jud gae Hazrat-e-Abdullah bin Salam radhi allaho anho bayan karte hain ki Sab se pehli baat jo main ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam se suni woh ye thi ki Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Aye logo Salam ko phailao…Logo ko khaana khilao….aur jab log so rahe hun to tum uth kar namaaz padho….aur salamti ke saath jannat me daakhil ho jaao Hazrat-e-Abdullah bin Salam kehte hain ki Jab main ne huzur ki baaton ko suna aur aap Mubarak chehra dekha to mujhe yaqin ho gaya ki ye chehra kisi jhoote ka nahi hai...✍


*📬 Al-Mustadrak,Zikr manaqib-e-Abdullah bin Salam 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  103

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  AbdullaH  Bin  SaLam   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ QaBooL-e-Islam ◍➢* Islam laane ke baad hazrat-e-Abdullah bin Salam apne ghar gae aur sab ko Islam laane ki dawat di to aap ke ghar ke saare log Islam le aae Aap ki phuphi Khalida bhi Islam le aai jo us waqt bahut budhi ho chuki thi Unho ne apne ghar walo se kaha ki jab tak main nahi kahu tum log mere aur apne Islam laane ki khabar yahudiyo se chhupaae rakhna Us ke baad woh phir Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas gae aur arz kiya ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Yahudi qaum jhoote ilzam lagaane aur jhooti baate bolne me bahut hi nidar aur be baak hai Is liye main chaahta hun ki aap yahudiyo ke sardaaro ko bula kar unhe Islam laane ki dawat dijiye aur mujhe ek kamre me chhupa dijiye phir un ko mere Islam laane ki baat batane se pehle mere maqaam aur martaba ke baare me un se puchhiye ki un logo me mera kya maqaam hai?...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  104

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  AbdullaH  Bin  SaLam   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Hazrat-e-Abdullah bin Salam bayan karte hain ki ◍➢* Phir mujhe huzur ne ek kamre me chhupa diya aur yahudiyo ke sardaaro ko bulaya aur un ke saamne Islam ke haq hone ki baat pesh farmaya aur aakheri nabi hone ki baat jo Taureet me kahi gaee thi un ko yaad dilaya jise woh log khoob jaante the magar woh log bakwaas karne lage,aur main saari baat kamre se sunta raha Jab huzur ne dekha ki ye log Islam laane wale nahi to Huzur ne un se kaha ki Husain bin Salam ki haisiyat tum logo me kya hai?Un logo ne kaha ki woh hamare sardaar hain aur hamare sardaar ke bete hain woh hamare bade alim hain aur hamare bade alim ke bete hain Huzur ne un se kaha ki Achchha ye batao ki agar woh imaan le aaen to kya tum log imaan laaoge? Woh kehne lage ki Allah nahi kare ki kabhi aisa ho Ham un ke liye Allah se panah maangte hain.Hazrat-e-Abdullah bin Salam kehte hain ki woh log mere liye abhi dua hi kar rahe the ki main kamre se nikla aur kaha ki Aye Yahudiy Allah se daro aur Islam qabool kar lo...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  105

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  AbdullaH  Bin  SaLam   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○ Hazrat-e-Abdullah bin Salam bayan karte hain ki ◍➢* Beshak main gawahi deta hun ki ye Allah ke rasool hain aur main in par imaan laata hun aur in ko sach samajhta hun Is par yahudiyo ne kaha ki CVTum ne jhoot kaha Qasam Allah ki Tum ham me sab se bure admi ho aur sab se bure admi ke bete ho ham me sab se bade jaahil ho aur ham me sab se bade jaahil admi ke bete ho Hazrat-e-Abdullah bin Salam kehte hain ki un logo ne mere upar koi bhi aib lagana nahi chhoda to main Huzur Sallallaho alaihe wasallam se arz kiya ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Main ne aap ko pehle hi bataya tha na ki yahudi qaum jhoote ilzaam lagaane aur jhooti baate bolne me bahut hi nidar aur bebaak hain...✍


*📬 Suwarum min hayatis sahaba,Page No.444-445 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  106

*⚘⌬ ➤  HazraT  -e-  AbdullaH  Bin  SaLam   Radhi  AllaHo  anHo..★↷ ​*

*○  JannaT ki BasharaT ◍➢* Islam laane ke baad hazrat-e-Abdullah bin Salam hamesha huzur se jude rahe aur ibaadat karte rahe yahan tak ki huzur ne un ko jannat ki basharat ata farmaya Jaisa ki Hazrat-e-Aamir bin Sa’ad bayan karte hain ki Main ne apne walid se suna ki hazrat-e-Abdullah bin Salam ke elawah main ne zameen par chalne wale kisi zinda shakhs ke baare me ye nahi suna ki woh jannati hai

*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.2483 📘*

*⚠NOTE* Hazrat-e-Aamir ke walid hazrat-e-Sa’ad ne sirf Hazrat-e-Abdullah bin Salam hi ke baare me huzur ko jannati kehte hue suna To Is ka matlab ye nahi hai huzur ne un ke elawah kisi ke baare me ye kaha hi nahi Beshak huzur ne aur bhi sahaba ko un ki zindagi hi me jannat ki basharat diya jise dusre sahaba ne bayan farmaya
*○  WisaaL ◍➢* Hazrat-e-Abdullah bin Salam ka wisaal 43/Hijri me Madina sharif me hua...✍


*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.5752 📚*

••──────────────────────••►
             *📮☞  EnD  ροѕT 📃*
••──────────────────────••►

No comments:

Post a Comment

सीरते मुस्तफ़ा ﷺ 💚

 الصلوۃ والسلام علیک یاسیدی یارسول الله ﷺ  सीरते मुस्तफ़ा ﷺ (Part- 01) * सीरत क्या है.!? * कुदमाए मुहद्दिषीन व फुकहा "मग़ाज़ी व सियर...