🅿🄾🅂🅃 ➫ 01
⚘ ≼ *HazraT Imam Azam Abu Hanifa Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
⚘◍➢ Aap ka naam “Numaan” Aur kunniyat Abu Hanifa hai Aap ke walid ka naam “Saabit” hai Aap ke bahut saare laqab(Titles) hain Jaise Imam Azam,Imamul Aimma,Sirajul ummah aur Raisul fuqha wagairah

⚘◍➢ Aap ka silsila-e-Nasab Hazrat-e-Ibrahim alaihissalam tak pahuchta hai Aap faarsi nasal se the Aap ki paidaaish 70 hijri mein Kufa shahar mein hui Ek Hadis sharif mein hai ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Agar imaan surayya sitaare ke paas bhi hoga to Faras ke kuchh log us ko wahan se bhi talaash kar laa aaenge
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.4897.Sahi Muslim,Hadis No.2546 📚*
⚘◍➢ Sabhi Ulma-e-Kiraam ka is baat par ittefaaq hai ki Huzur ﷺ ne Faras ke jis shakhs ke baare mein is hadis mein khabar diya us se muraad Imam Azam Abu Hanifa radhi allaho anho ki zaat hai Is liye ki Faras ke logo mein Aap ke martabe ka ilm aur fazilat wala shakhs koi dusra nahi hua...✍
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 02
⚘ ≼ *HazraT Imam Azam Abu Hanifa Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
⚘◍➢ Aap ne shuru mein zaruri taalim haasil karne ke baad tijaarat ka maidan ekhtiyaar kar liya tha.Aap Resham ka kaaro baar karte the Aur logo ko apni sakhawat se nawaaza karte the.Ek din tijaarat hi ki niyat se bazaar jaa rahe the ki raaste mein Imam Aamir Shaabi radhi allaho anho se mulaqaat hui Ye woh bade taabai hain jin hone 500 sahaba ka zamaana paaya hai unhone farmaya ki Kahan jaa rahe ho?Aap ne arz kiya Baazaar To unhone kaha ki Ulama-e-kiram ki suhbat ekhtiyaar karo kyunki main tumhari peshani mein ilm aur fazilat ko chamakta hua dekh raha hun Us ke baad aap ne tijaarat chhod kar ilm haasil karne mein lag gae Aur Kufa ke sab se bade Faqih Alim Hazrat-e-Hammad bin Abi Sulaiman ki shagirdi ekhtiyaar farmaa liya Ye us waqt Kufa ki jaama Masjid mein dars dete the Aur ye dars Sahabi-e-Rasool Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho ke zamaane hi se chala aa raha tha....✍

🅿🄾🅂🅃 ➫ 03
⚘ ≼ *HazraT Imam Azam Abu Hanifa Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
*⚘◍➢ Aap ke ustaad aur shagird* Imam Azam ne 20 saal ki umar se 38 saal ki umar tak yani pure 18 saal imam Hammad se ilm-e-Fiqah haasil kiya aur un ke elawah hazaron ulma aur muhaddesin se deeni ilm sikhte rahe Aap ke ustaado mein Imam Aamir Shaabi,Imam Shoaba,Imam Aamash aur Imam Abu Ishaq sabiee wagairah ke naam zyada mash’hoor hain Aap apne ustaad Imam Hammad ke inteqal ke baad unki jagah par baithe aur aakhir umar tak logo ko deeni ilm sikhaate rahe.Aap ke shagirdo mein in logo ke naam zyada mash’hoor hain Imam Abu Yosuf,Imam Muhammad bin Hasan(Ustaad Imam Shafai) Imam Hammad bin Abu Hanifa Imam Malik Imam Abdulallah bin Mubarak(Ustad Imam Bukhari) aur Imam Zufar wagairah.✍

🅿🄾🅂🅃 ➫ 04
⚘ ≼ *HazraT Imam Azam Abu Hanifa Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
*⚘◍➢ Aap ka Tabaee Hona* Aap ke zamaane mein kuchh sahaba-e-kiram bhi the.Un ke naam ye Hain

⚘1⃣◍➢ Kufa mein Hazrat-e-Abdullah bin Abi aufa radhi allaho anho
⚘2⃣◍➢ Basra mein Hazrat-e-Anas radhi allaho anho
⚘3⃣◍➢ Mulke Shaam mein Hazrat-e-Waasla bin Asqe radhi allaho anho
⚘4⃣◍➢ Madina sharif mein Hazrat-e-Sahal bin Sa’ad radhi allaho anho
⚘5⃣◍➢ Makka sharif mein Hazrat-e-Abu Tufail Aamir bin Wasla radhi allaho anho Ye sab se aakheri sahabi hain In ke baad dunya sahaba-e-Kiram se khaali ho gaee Imam Azam Abu Hanifa ne in tamam Sahaba ki ziyarat kiya aur un se hadisen bhi suni Ye martaba chaaro imamo mein sirf aap hi ko haasil hua...✍
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 05
⚘ ≼ *HazraT Imam Azam Abu Hanifa Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
*⚘◍➢ Aap ke Baare mein ulema ka khayaL* Aap ki fazilatein bahut zyada hain Ummat ke bade bade ulma ne aap ko apna bada maana aur aap ki badi taarifen ki Imam Shafai ne farmaya ki Tamaam log fiqah (Yani deeni masa’il ke sikhne) mein aap ke muhtaaj hain

⚘◍➢ Imam Abdullah bin Mubarak ne farmaya ki Main ne un ki majlis mein bade bado ko chhota dekha Woh Allah ki nishaniyo mein se ek nishani the
⚘◍➢ Imam Malik ne farmaya ki Main ne un ki tarah Alim nahi dekha.
⚘◍➢ Imam Abu Yosuf ne farmaya ki Main ne un se bada faqih aur muhaddis nahi dekha
⚘◍➢ Imam Yahya bin Moin ne farmaya ki Jab log Imam Azam Abu Hanifa ke martabe ko nahi paa sake to kuchh log un se jalne lage...✍
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 06
⚘ ≼ *HazraT Imam Azam Abu Hanifa Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
*⚘◍➢ Aap ka WisaaL* Abbasi Khalifa Mansur ne aap ko Bagdaad bulaya aur apne Mulk ka Qaazi bana na chaaha Lekin Aap ne is uhde (post) ko qabool karne se inkaar kar diya.Kyunki aap ko maloom tha ki ye baadshah mujhe apni marzi ke mutabiq istemaal karega aur main baadshah ko khush karne mein lag jaaunga to mera haqiqi malik mujh se naraaz ho jaaega aur meri aakhirat barbaad ho jaaegi Lekin Mansur zidd karta raha magar aap kisi bhi tarah raazi nahi hue Is liye Mansur ne aap ko qaid mein daal diya 4 saal tak aap qaid me rahe Qaid khaane mein bhi padhne aur padhane ka kaam hota raha aur Imam Muhammad jaise Muhaddis aur faqih aakhire umar tak aap se padhte rahe Aap ki shohrat aur maqboliyat se darr kar Mansur ne poshida tariqe se aap ko zahar dilwa diya Jab Aap ne zahar ka asar mahsoos kiya to sajde mein chale gae aur sajde hi ki haalat mein 150 hijri mein aap ka wisaal ho gaya Bagdaad sharif mein aap ka Mazaar-e-Mubarak hai Jahan se us zamaane se le kar aaj tak har aam aur khaas log faiz aur barkat lene haazir hote hain.Imam Shafai ne farmaya ki Main Hazrat Imam Abu hanifa ke wasile se barkat haasil karta hun Bagdaad mein reh kar har din un ki mazaar par ziyarat karne jaata hun Aur jab kabhi mujhe koi zarurat pesh aati hai to un ke mazaar ke paas do rik’at namaaz padh kar dua karta hun to muraad puri hone mein der nahi lagti....✍

🅿🄾🅂🅃 ➫ 07
⚘ ≼ *HazraT Imam Malik Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
⚘◍➢ Aap ka naam “Malik” Kunniyat Abu Abdullah aur aap ke walid ka naam Anas hai Aap ke par dada Hazrat-e-Anas bin Amar sahabi-e-Rasool the Jange Badar ke elawah woh tamam islami jango mein sharik rahe.Aap ka khaandan Yaman mein tha Sab se prhle aap hi ne Madina sharif mein ghar bana kar rahan sahan ekhtiyar kiya Hazrat-e-Imam Malik radhi allaho anho ki paidaaish Madina sharif hi mein 93 hijri mein hui..✍

🅿🄾🅂🅃 ➫ 08
⚘ ≼ *HazraT Imam Malik Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
*⚘◍➢ Aap ke UsTaaD aur shagirD* Jab Aap sujh bujh ki umar ko pahuche us waqt Madina sharif ke fuqha aur Muhaddesin mein Hazrat-e-Ibne Shehab zuhri,Yahaya bin Saeed Ansari,Zaid Bin Aslam,Rabi aur Abuz zinad radhi allaho anhum wagairah taabe’in aur taba-taabe’in ke ilm aur fazl ka danka baj raha thavAap ne Quran Majid ki taalim Qariyo ke imam Hazrat Naafe bin Abdur Rahman se haasil kiya Taalim haasil karne ke zamaane mein aap ke paas maal aur daulat kuchh bhi nahi tha yahan tak ki aap apne ghar ke saamaan bech kar kitaaben wagairah kharidte the Lekin Allah Ta’ala ne baad mein aap ke liye daulat ke darwaaze ko khol diya Aap ka zehan bada hi achhchha tha,Jis chiz ko ek martaba yaad kar liya karte the phir kabhi nahi bhulte the Aap ke ustado mein zyada tar Madina sharif ke buzurgan-e-deen hain Un mein se kuchh ke naam ye hain Hazrat-e-Zaid bin Aslam,Hazrat-e-Naafe maula ibne Umar,Hazrat-e-Saaleh bin kaisaan,Hazrat-e-Abdullah bin dinar,Hazrat-e-Yahya bin Sa’eed aur Hazrat-e-Imam Jaafare Sadiq radhi allaho anhum wagairah Aap se ilm haasil karne wale bade bade Muhaddis aur faqih hue Aap ke kuchh khaas shagird ye hain Hazrat-e-Yahya bin Sa’eed Qattan Hazrat-e-Imam Shafai Hazrat-e-Imam Muhammd Hazrat-e-Imam Abdullah bin Mubarak wagairah...✍

🅿🄾🅂🅃 ➫ 09
⚘ ≼ *HazraT Imam Malik Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
*⚘◍➢ Aap ka Maqam aur marTabaH* Aap ke ilm aur fazilat ki gawahi bade bade buzurgo ne diya Imam Yahya bin Moin ne farmaya ki Imam malik Ilm-e-Hadis mein Amirul Momineen the Imam Azam ne farmaya ki Main ne Imam Malik se zyadah jald aur sahi jawab dene wala nahi dekha Imam Shafai ne farmaya ki Taaba’in ke baad,Imam Malik Allah ki makhluq ki dalil the Is ke elawah imam Ahmad bin Hambal aur imam Bukhari wagairah ne bhi aap ki badi taarif bayan farmaya...✍

🅿🄾🅂🅃 ➫ 10
⚘ ≼ *HazraT Imam Malik Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
*⚘◍➢ Aap ke Baare Mein Huzur ki khabaR* Ek Hadis sharif mein hai ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Woh waqt qarib hai ki log oonto par sawar ho kar aaenge aur Madina ke Alim se badh kar koi Alim nahi paaenge Imam Abdur Razzaq ne farmaya ki Is hadis mein jis Alim ki baat Huzur ne farmaya tha us Alim se muraad Imam Malik hi the Kyunki Madina sharif mein aap ke paas puri dunya se log ilm haasil karne ke liye aate the aur har waqt bheed lagi rehti thi...✍

🅿🄾🅂🅃 ➫ 11
⚘ ≼ *HazraT Imam Malik Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
*⚘◍➢ Aap ka MuHabbaT-e-RasooL* Hazrat-e-Imam Malik ne apni zaat ko muhabbate Rasool ke noor se raushan kar liya tha Madina sharif ke zarre zarre se muhabbat karte the Aur Madina sharif mein kabhi sawari par sirf is khayal se nahi baithte the ki ho sakta hai ki is jagah par kabhi huzur ne paidal chale honge Jab Aap hadis sharif padhane ke liye baithte to gusal kar ke behtarin aur saaf libaas pehante aur khushbu laga kar apni jagah par baithte aur adab se ek hi tarah baithe reh jaate Ek martabah padhaane ke bich hi mein bichhchho ne 12 martaba dank maara lekin aap apni jagah par sukoon ke saath baithe rahe aur pura dhiyan hadis sharif ke bayan karne hi ki taraf rakha Aap ne apni umar mein sirf ek hi haj kiya aur doobarah haj ke liye sirf is liye tashrif nahi le jaate the ki kahin mera inteqal Madina sharif se bahar na ho jaae Is liye aap puri zindagi Madina sharif hi mein rahe 11 Rabiul auwwal sharif 179 hijri mein aap ka wisaal Madina sharif hi mein hua Aur Jannatul Baqi mein aap ko dafan kiya gaya..✍

🅿🄾🅂🅃 ➫ 12
⚘ ≼ *HazraT Imam Shafai Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
⚘◍➢ Aap ka naam “Muhammad” aur kunnyat “Abu Abdullah” hai Walid ka naam “Idrees” hai Aap ke dada “Al-Abbas” ke dada “Shaafe” the Unhi ki taraf nisbat kar ke aap ko shafai kaha jaata hai Shaafe aur un ke walid Saa’ib sahaba mein se the Aur Saa’ib Huzur ﷺ ke chacha zaad bhai bhi hain Isi etebaar se imam shafai Qarshi haashemi hain Gaza Palestine mein aap ki paidaaish 150 hijri mein thik usi din hui jis din Hazrat-e-Imam Azam Abu Hanifa radhi allaho anho ka inteqaal hua.Aap do saal hi ke the ki aap ke walid ka inteqaal ho gaya Is liye aap ki walida aap ko le kar Makka sharif chali aaien Aur aap ne Makka sharif hi mein parwarish paaya Jab Aap sujh bujh ki umar ko pahuche to ilm haasil karne ki taraf dhiyan lagaya Pehle Ash’aar,Lugat aur taarikh ka ilm haasil kiya Us ke baad hadis aur fiqah ko haasil kiya 12 saal ki umar tak pahuchne se pehle aap ne imam Malik ki hadis sharif ki mash’hoor kitaab “Moatta” ko zubani yaad kar liya tha Us ke baad jab aap imam malik ke paas pahunche to aap ne puri kitaab zubani suna diya..✍

🅿🄾🅂🅃 ➫ 13
⚘ ≼ *HazraT Imam Shafai Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
⚘◍➢ Ek din aap bade shauq se Arab ke bahut bade shaaer Labid ke kuchh ash’aar padh rahe the ki un ki kaan mein ek gaibi awaaz aai ki in ash’aar ko padh kar kyun apna waqt barbaad kar rahe ho Jaao fiqah “Yani deeni Masa’il” ka ilm haasil karo Imam Shafai farmate hain ki mere dil par is baat ka bada asar hua aur main Fiqah ka ilm haasil karne mein masruf ho gaya

⚘◍➢ Aap ne bahut saare muhaddesin aur fuqha se ilm haasil kiya lekin aap par jin ka rang sab se zyada nazar aata hai woh imam Azam Abu Hanifa ke shagird Imam Muhammad hain Us ki ek khaas wajah ye hai ki Aap ki walida se imam Muhammad ne nikah farmaa liya tha Aur apna tamam maal aur kitaabein imam Shafai ke supurd kar diya tha jin se Imam Shafai ne khoob khoob faaida haasil kiya Imam Shafai khud farmate hain ki Khuda ki Qasam Mujhe fiqah mein mahaarat hargiz haasil nahi hoti agar main Imam Muhammad ki kitaaben nahi padhta Jis shakhs ka fiqah mein mujh par sab se zyada ehsaan hai woh imam Muhammad hain..✍
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 14
⚘ ≼ *HazraT Imam Shafai Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
⚘◍➢ Aap ke shagirdo ki list badi lambi hai Un mein se kuchh ke naam ye hain

⚘1⃣◍➢ Hazrat Imam Ahmad bin Hambal
⚘2⃣◍➢ Hazrat Imam Humaidi Jo imam Bukhari ke ustaad hain
⚘3⃣◍➢ Hazrat Sulaiman bin Dawood hashemi
⚘4⃣◍➢ Hazrat Ibrahim bin Munzir.wagairah
⚘◍➢ Ek Hadis sharif mein hai ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Aye Allah Quraish ko sidhe raaste par chala,un mein ek aisa Alim paida hoga jo zameen ke kone kone ko ilm se bhar dega Ulma bayan karte hain ki ye hadis aap ki zaat ke baare mein thi Aap dusri sadi hijri ke mujaddid hue...✍
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 15
⚘ ≼ *HazraT Imam Shafai Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
⚘◍➢ Imam Ahmad bin Hambal farmate hain ki 30 saal se meri koi aisi raat nahi guzri jis mein main ne Imam shafai ke liye dua nahi kiya ho Aap bade hi sakhi the apni zarurat ke muqable mein dusro ka zyada khayal farmaya karte the Maaldaaro se kabhi koi laalach nahi rakhte the.Agar koi shakhs muhabbat mein nazraana wagairah deta tha to aap us se inkaar nahi farmate the lekin usko apne paas bhi nahi rakhte the kisi zarurat mand ko bula kar de dete the

⚘◍➢ Aap ilm aur fazl ke saath saath ibaadat aur riyazat mein bhi bade martabe par the Balki aap ki ibaadat bhi aap ki ek karaamat thi kyunki karaamat ke begair itni zyada ibaadat mumkin nahi lagti jaise aap Ramazan sharif ke nafil namaazo mein 60 martaba Quran sharif khatam kiya karte the Aur aam dino mein aap raat ko 3 hisse mein baant te the Pehle hisse mein kitaaben likhte the dusre hisse mein ibaadat karte the aur aakhir mein aaraam farmate the
⚘◍➢ Aap ka wisaal 30 Rajab,204 hijri jumeraat ke din magrib ki namaaz ke baad hua Aap ka mazaar-e-mubarak Misr ke shahar Qaraafa mein hai...✍
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 16
⚘ ≼ *HazraT Imam AHmaD Bin HambaL Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
⚘◍➢ Aap ka naam “Ahmad” Aur kunniyat “Abu Abdullah” hai Walid ka naam Muhammad hai Aap ki paidaaish 264 hijri mein Baghdaad sharif mein hui

*⚘Aap ka Taalimi safaR ◍➢* Shuru ki taalim haasil karne ke baad Aap Imam Azam Abu Hanifa radhi allaho anho ke shagird Hazrat-e-Imam Abu Yosuf ki khidmat mein haazeri diya karte the Phir aap ne ilme hadis ki taraf tawajjuh diya aur Bagdaad ke mash’hoor muhaddis Shaikh Haisham ki baargah mein haazir hue aur un ke baad Makka, Madina, Basra,Shaam, Kufa, Yaman aur Misr jaa kar ilm-e-hadis haasil kiya...✍
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 17
⚘ ≼ *HazraT Imam AHmaD Bin HambaL Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
*⚘Aap ke usTaaD aur shagirD ◍➢* Aap ke ustado mein Yahya bin Saeed Qattan jo imam Azam ke shagird hain Bishr bin Mufazzal,Sufyan bin Oyina,Abu Dawood Tiyalsi aur imam Shafai wagairah mash’hoor hain Aur Aap ke shagirdo mein Imam Bukhari,Imam Muslim aur Imam Abu Dawood wagairah mash’hoor hain

*⚘Aap ke Zamaane ka fitna ◍➢* Aap ke zamaane mein khalifa Maamun Rashid ne ye aqeeda phailana shuru kar diya ki “Quran Allah ta’ala ki makhluq hai” Aap ne farmaya ki Quran Allah ta’ala ka kalaam hai aur Allah Ta’ala ki sifat hai Aap ko majbur kiya gaya ki aap khalifa ke aqeede ko qabool Karen Lekin aap ne saaf inkaar kar diya Uski saza mein aap par zulm aur sitam ke pahaad tode gae Aap ko kodon se maara gaya yahan tak ki aap ka jisme aqdas khoon se lahu lahaan ho gaya Lekin us ke baad bhi aap ne farmaya ki main jo keh raha hun wahi haq hai aur aap aakhire dam tak isi par saabit qadam rahe...✍
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 18
⚘ ≼ *HazraT Imam AHmaD Bin HambaL Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
*⚘Aap ke Bare mein ulma ka khayaL ◍➢* Aap ke ilm-o-fazl,Taqwa aur imtehaan o aazmaaish mein kaamyab hone ki wajah se us zamaane ke bade bade alimo ne dil khol kar aap ki taarifen kiya Imam Abu Dawood farmate hain ki Mere 200 ustaad hain Lekin un mein Imam Ahmad ki tarah koi nahi tha Aap kabhi aam dunyawi baat nahi kiya karte the jab bhi bolte to koi deeni mas’ala hi hota Mash’hoor muhaddis hafiz Abu Zaraa farmate hain ki Ilm mein imam Ahmad ki koi misaal nahi thi Ilm-e-hadis ke mash’hoor imam Ibne Ishaaq raahway kehte hain ki Agar Islam ki khaatir Imam Ahmad ki Qurbaaniya nahi hoti to aj hamare sino mein Islam nahi hota Aap ke ustaad Yahya bin Saeed Qattan kehte hain ki Bagdaad mein jo log bhi aae un mein mere nazdik sab se pyare Ahmad bin Hambal the...✍

🅿🄾🅂🅃 ➫ 19
⚘ ≼ *HazraT Imam AHmaD Bin HambaL Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
*⚘Aap ka Taqwa aur TaHaaraT ◍➢* Aap ka dunya se doori aur taqwa mash’hoor thavIbaadat aur riyazat mein mashgul rehte aur din raat mein 300 rik’at nafil namaaz padhte.Ek hafte ki namaazo mein pura Quran tilawat farma liya karte the Jab log Aap ko talaash karte to aap ya to masjid mein ya namaaze janaza mein ya kisi bimaar ke yahan iyaadat mein hote Muhabbate Rasool se aap ka dil raushan tha Aap ke paas Huzur Sallallaho alaihe wasallam ka ek baal sharif tha Aap us ko chumte aur jab bimaar padh jaate to us ko paani mein daal kar paani pi lete jis se aap sehat yaab ho jaate the Aap ki duaein qabool hua karti thi Bahut saare log aap ke paas dua karaane aate to aap un ko badi muhabbat se waapas farmaa dete the Ek sahib ka bayan hai ki Main apni bimaar maa ke liye jo haath aur pair se maazur thi dua karaane aaya to aap ne farmaya ki ham to khud dua ke muhtaaj hain Un se kahna ki hamare liye dua Karen Woh sahib kehte hain ki jab main ghar aaya to dekha ki meri maa thik thaak chal rahi hai...✍

🅿🄾🅂🅃 ➫ 20
⚘ ≼ *HazraT Imam AHmaD Bin HambaL Radhi Allahu AnHu* ≽ ⚘
❈•───────❈───────•❈
*⚘Aap ke Janaaze ki khamusH Tablig aur Uska asaR ◍➢* 12 rabiul auwwal 241 hijri juma ke din aap ka wisaal hua Aap ki maqbuliyat ka alam ye tha ki shaahi khaandan ke 200 shahzaade aap ke gusal aur dafan mein sharik the Aur aap ke muqaddas maathe ko chumte the Beshumar logo ne janaza ki namaaz mein shirkat ki jab logo ki taadaad ka andaza lagaya gaya to 10 laakh se zyada ka majma tha Is bheed bhaad aur aap ki aam maqbuliyat ko dekh kar 20 hazaar yahudi aur isaaiyo ne Islam qabool kar liya Aap se pehle kabhi kisi ke janaze mein itne log sharik nahi hue..✍

*📮☞ EnD ροѕT 📃*
••──────────────────────••►
No comments:
Post a Comment