🅿🄾🅂🅃 ➫ 01
*↡ ⚡ Nisaar Teri chahaL pahaL pe Hazaaron eidein RabiuL-awwaL⚘*
⚘ Siwae IbLis ke jaHan me SabHi to kHushiyan mana rahe hain ⚡↡
•─────────────•
•─────────────•
⚘ ⌬ ➤ AaiYe Hm Or Ap AamaD e Rabiul-AwwaL ke Kabl Us Aazeem ShakhsiyaaT Ke Paigam Ko SamaT Farmane ki kosish kre jinka Ta’aruf kHuD AllaH Ta'ala (Ne) Quraan e Kareem NajiL Farma Kar Diya Jo Hm Sabke AaQa o moula Muhammad Mustafa ﷺ He (Jinke) Sadqe Ye QaynaT Bnai Gai Hmare Dil o Jaan (Qurbaan) AllaH Ke pyare Habib ﷺ par Lekin AllaH Ne Apne Habib Ko Is Duniya e Faani me Bhej kr Hme Ye Batla Diya Or Hm yun kahe To RaB ne Apne Mahboob ki Zindagi Hm SaB ke Liye Ak BeHtreen example ki Shakl Me Hmare Beech pesh ki jisse Hm Apne Nabi ﷺ ki Zindagi ko apne liye ak role model Bnale Or Unke Naqsh e Kadam par Zindagi Guzare Or Chand Dino ki Zindagi me Jo Khatm Hone Ke liye Hme di Gai hai Hm apni Is Choti See Zindagi me AllaH Or Uske pyare HabiB ﷺ ki Farma (Bardari) Par Gujare or KaBhi na Khatam Hone Wali Aakhirat Ko Kaamyaab Bnaye Is Mission ko lekr Hmne Ak PosT Start kiYa Hai Jiska Maqsad Apni zindagi ko (Tareekh) e Mustafa ﷺ me Gujarne ki Kosish Ho Sake Is PosT me Hm BaHuT se KhaS Chapter par malumatT krenge Or Khas kyun Na Ho Paigam e Mustafa ﷺ jo Hai Jiska BeyaN kuch is TaraH Hai SamaT farmaYe...★↷
*↡ ⚡ Tarreke mustafa ﷺ ko chhodna Hai wajH e Barbadi⚘*
⚘ ki ishi se Koum Ko Milti Hai JannaT BHi JaHannam BHi ⚡↡
•─────────────•
•─────────────•
Aaiye Hm or Ap In Chapter ko Padkar Tareeka e Mustafa ﷺ par AmL Kre ➧ Chapter ka BeyaN..★↷
⚘MukHTasar Seerate Mustafa ﷺ
⚘Aap ﷺ ki Namaazen
⚘Aap ﷺ ke Roze
⚘Aap ﷺ ka Hajj aur UmraH
⚘Aap ﷺ ke Sadqe aur KhairaaT
⚘Aap ﷺ ki Taqrir
⚘Aap ﷺ ke KhaT
⚘ Aap ﷺ ki Aman PasanD
⚘ Aap ﷺ ke Mo’jaze
⚘ Aap ﷺ ka Adl-o-Insaaf
⚘Aap ﷺ ki SakhawaT
⚘ Aap ﷺ ka Husne AkhLaaq
⚘ Aap ﷺ ka apni ummaT se muHabbaT
⚘ Aap ﷺ ki WasiyaT aur NasihaT
⚘Beta aur Seerat-e-Mustafa ﷺ
⚘Baap aur Seerat-e-Mustafa ﷺ
⚘BHai aur Seerat-e-Mustafa ﷺ
⚘SHauhar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ
⚘ MaLik aur Seerat-e-Mustafa ﷺ
⚘RishteDaar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ
⚘PaDosi aur Seerat-e-Mustafa ﷺ
⚘Garibo ki madaD aur Seerat-e-Mustafa ﷺ
⚘Tijaarat aur Seerat-e-Mustafa ﷺ..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 02
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ Aap ﷺ ka Naam-e-mubaraQ* MuHammad, Ahmad ﷺ Iske elawah Aap ke ahadeese mubarakah mein bahut saare naam aaye hain, jaise Mustafa, Mujtaba, Murtaza, Muzzammil, Muddassir waghairaH
*⚘ ⌬ ➤ Waalid-e-majid ka inteqaaL* Aap ﷺ abhi apni waldah-majidah ke shikam Mubarak (pet) hi me the ki aap ke waalid mohtaram Hazrat Abdullah Shaam ke tijarati safar se wapisi ke dauraan Madina sharif mein apne waalid Hazrat Abdul Muttalib ke nanihaal me ruke aur bimaari ki wajah se wahi intqaal farmaa gaye
*⚘ ⌬ ➤ TareekH e WiladaT* Aap Sallallahu Taala Alaihi Wasallam 12 Rabi ul awwal baroz e do(2) shamba (monday),20th april 571 A.D ko Makka sharif mein paida hue (iske ilawa 8,9 aur 11 Rabil ul awwal bhi kitabon mein likha gaya hai magar zyada sahi 12 rabi ul awwal hi hai Kyunki Makkah sharif ke log isi tareekh ko hamesha Aap sallallaho alaihe wasallam ki paida’ish ka din (Yani Milad) manate the..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 03
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ Nasab NamaH sharif, walid -e- majid ki taraf se* Hazrat Muhammad ﷺ bin Abdullah bin Abdul muttalib bin Hashim bin Abd e munaaf bin Qussai bin Kilaab bin Murrah bin Ka’ab bin Lui bin Galib bin Fahar bin Maalik bin Nazar bin Kananah bin Khuzaimah bin Mudrika bin Iliyas bin Muzar bin Nazaar bin Ma’ad bin Adnan
*⚘ ⌬ ➤ Nasab NamaH sharif, waldaH majida ki taraf se* Hazrat Mohammad ﷺ bin Hazrat e Aaminah binte Wahab bin Abd e munaaf bin Zahrah bin Kilab bin Murrah.Murrah pe aa-kar Aap ﷺ ke waledain ka nasab mil jata hai
*⚘ ⌬ ➤ Aap ﷺ ke chacHa..★↷*
1➧ Haaris
2➧ Abu talib
3➧ Zubair
4➧ Hamzah
5➧ Abbas
6➧ Ghidaaq
7➧ Muqawwim
8➧ Zaraar
9➧ Qusum
10➧ Abdul’ kaabah
11➧ Jahal
2➧ Abu talib
3➧ Zubair
4➧ Hamzah
5➧ Abbas
6➧ Ghidaaq
7➧ Muqawwim
8➧ Zaraar
9➧ Qusum
10➧ Abdul’ kaabah
11➧ Jahal
⚘ ⌬ ➤In me se sirf Hazrat-e- Hamzah aur Hazrat-e- Abbas radhi allaho anhuma ne islam Qabool kiya...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 04
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ Aap ﷺ ki phupiyaaN*
1➧ Aatikah
2➧ Umima
3➧ Umme hakim
4➧ Birrah
5➧ Safiyah
6➧ Urwi
2➧ Umima
3➧ Umme hakim
4➧ Birrah
5➧ Safiyah
6➧ Urwi
*⚘ ⌬ ➤ Aap ﷺ ne jin auraton ka doodh piya woh ye hain*
1➧Hazrat e Aaminah
2➧Hazrat e So’waiba
3➧Hazrat e Haleema Sa’adiya
4➧Hazrat e Umme Aiman radhi allaho anhunma
2➧Hazrat e So’waiba
3➧Hazrat e Haleema Sa’adiya
4➧Hazrat e Umme Aiman radhi allaho anhunma
*⚘ ⌬ ➤ Wiladat ka pehla (1st)saaL* Aap sallallaho alaihe wasallam ne 2,3 din apne waldah mohtarama ka doodh piya. uske baad kuchh din harzta So’waiba ka doodh piya phir wiladat ke ek hafte ke baad arab ke tariqe ke mutabiq doodh pilane ke liye Hazrat Halima Sadiya radhi allaho anho ke hawale kar diye gaye, aur Aap sallallaho alaihe wasallam do saal tak hazrat Halima ke ghar rahe phir jab doodh pine ka zamana khatam ho gaya toh Hazrat Halima Aap sallallaho alaihe wasallam ko lekar aap ki waldah Hazrat Aamina ke paas aaien aur unse guzarish ki ke kuchh din aur huzoor ko mere ghar pe rehne de, phir ijazat milne ke baad woh Aap ko wapas apne ghar le aayi Lekin wiladat ke teesre saal jab farishton ne pehli baar Aap sallallaho alaihe wasallam ka seena chaak(chira) kiya toh is waqiye se ghabra kar kuchh hi dino ke baad dobara Aap sallallaho alaihe wasallam ki waldah mohtarma ke hawale kar di Is tarah Aap sallallaho alaihe wasallam apni waldah mohtarma ke paas aa gaye..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 05
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ Wiladat ka chhatha (6th) SaaL* Aap sallallaho alaihe wasallam ki umr mubarak jab 6 saal ki hui toh aap ki waldah ka inteqaal ho gaya Iske baad Aap sallallaho alaihe wasallam ki parwarish aap ke dada Hazrat Abdul Muttalib ne farmaya Lekin do saal ke baad apke dada ka bhi inteqaal hogaya to phir Aap ki parwarish ki zimmedaari Aap sallallaho alaihe wasallam ke rehamdil chacha Abu Talib ne ada farma’ee
*⚘ ⌬ ➤ Wiladat ka terahwaan (13th) saaL* Jab Aap sallallaho alaihe wasallam ki umr 13 saal ki hui toh pehli baar Aapne apne chacha Abu Talib ke saath mulk-e-shaam(Syria) ka safar farmaya Isi safar me Bahira Raahib ka waqiya pesh aaya Phir 23 saal ki umr me Aap sallallaho alaihe wasallam ne mulk-e-shaam ka dusra safar tijarat ki niyat se Hazrat Khadija radhi allaho anha ka maal lekar unke ghulam Mai’sara ke saath kiya..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 06
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ WiLadat ka pachchiswa (25th) saaL* Aap ﷺ ne 25 saal ki umr me Hazrat Khadija radhi allaho anha se nikah farmaya us waqt Hazrat Khadija radhi allaho anha ki umar 40 saal ki thi aur woh bewa thi Jab tak Hazrat khadija zinda rahi Aap ﷺ ne dusra nikah nahi farmaya Aap ﷺ ki tamaam biwiyon ke naam ye hain
*⚘ ⌬ ➤ Aap ﷺ ki BiwiyaN..★↷*
1➧ Hazrat e Khadija
2➧ Hazrat e Saudah
3➧ Hazrat e Ayesha
4➧ Hazrat e Hafsa
5➧ Hazrat e Umme Salma
6➧ Hazrat e Umme Habiba
7➧ Hazrat e Zainab bint e Jahash
8➧ Hazrat e Zainab bint e Khuzaima
9➧ Hazrat e Maimoonah
10➧Hazrat e Juwai-riyah
11➧ Hazrat e Safiyah radhi allaho anhunna
2➧ Hazrat e Saudah
3➧ Hazrat e Ayesha
4➧ Hazrat e Hafsa
5➧ Hazrat e Umme Salma
6➧ Hazrat e Umme Habiba
7➧ Hazrat e Zainab bint e Jahash
8➧ Hazrat e Zainab bint e Khuzaima
9➧ Hazrat e Maimoonah
10➧Hazrat e Juwai-riyah
11➧ Hazrat e Safiyah radhi allaho anhunna
*⚘ ⌬ ➤ Aap ﷺ ki Baan’diYaan..★↷*
1➧Hazrat e Mariya Qibtiya
2➧ Hazrat e Rehana
3➧ Hazrat e Nafisa radhi allaho anhunma..✍
2➧ Hazrat e Rehana
3➧ Hazrat e Nafisa radhi allaho anhunma..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 07
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ Aap ﷺ ke Bete..★↷*
1➧Hazrat e Qasim
2➧ Hazrat e Abdullah (Aap Tahir ke laqab se bhi jaane jaate hain)
3➧Hazrat e Ibrahim radhi allaho anhum
*⌬ ➤ Aap ﷺ ki betiyaan..★↷*
1➧Hazrat e Zainab
2➧Hazrat e Ruqaiyah
3➧ Hazrat e Umme Kulsoom
4➧ Hazrat e Fatima zahra radhi allaho anhunma
⌬ ➤ Aap ﷺ ki tamaam aulaad e mubarak Hazrat e Khadija se hu’een siwaye Hazrat e Ibrahim radhi allaho anho ke Woh Aap sallallaho alaihe wasallam ki baandi Hazrat e Mariya Qibtiya radhi allho anha ke shikam se paida hue...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 08
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ NabuwaT ka peHLa (1st) saaL* Huzur sallallaho alaihe wasallam elaan-e-nabuwat se pehle aksar Gaar-e-Hira me jaakar Allah ta’ala ki ibaadat me lage rehte the Jab Aap sallallaho alaihe wasallam ki umr 40 saal ki hui toh Gaar-e-Hira me pehli baar aap par wahi utri jisme surah Alaq ki pehli 5 ayatein thi phir Aap sallallaho alaihe wasallam ne Safa pahaad par chadh ke apni nabuwat ka elaan farmaya Shuru mein Hazrat-e-Khadija,Hazrat-e-Abu’bakar,Hazrat-e-Ali aur Hazrat-e-Zaiad bin Haarisa ne Islam Qubool kiya Aur Hazrat Abu Bakr ki tabligh se aur bhi logo ne Islam Qubool kiya,inhi me Hazrat Arqam bhi the Hazrat Arqam hi ke ghar mein deeni talim-o-tarbiyat ki sab se pehli dars-gaah qayam hui aur elaan-e-nabuwat ke baad 3 saal tak Islam ki taalim-o-tabligh hoti rahi Aur is 3 saal me taqriban 40 logo ne Islam qabool kiya Shahar se bahar namaz ada ki jaati rahi aur khufiya tariqe se sab kaam hota raha 3 saal ke baad Allah ta’ala ne Aap sallallaho alaihe wasallam ko khul kar dawat dene ka hukum diya. phir khul kar dawat ki shuru’aat hui Aur saath hi me kaafiron aur mushrikon ki taraf se mukhalifat ka bhi samna pada Shuru me mukhalifat kam rahi lekin baad mein jab kafiron ne zulm-o-sitam ki hadd paar kardiya toh Aap sallallaho alaihe wasallam ne nabuwat ki panchwi saal musalmano ko Habsha ki taraf hijrat ki ijazat di, toh Hazrat Usman Gani radhi allaho anho ki Qiyadat mein 11 mard aur 4 aurton ne Habsha ki taraf hijrat ki Is safar me Hazrat Usman ke saath unki biwi Hazrat Ruqaiyya bint-e- Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam bhi thi....✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 09
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ NabuwaT ka chhatha (6th)saaL* Nabuwat ke chhathe saal Aap sallallaho alaihe wasallam ke chacha Hazrat-e-Hamzah aur uske teen din baad Hazrat-e-Umar Farooque radhi allaho anhuma Islam le aaye Hazrat-e-Umar ke Islam laane ke baad pehli martaba khan-e-kaaba mein namaz ada ki gayi lekin kaafiron ki mukhalifat khatam nahi hui aur nabuwat ke satwen saal kaafiron ne Aap sallallaho alaihe wasallam ke khandaan walon ka mukammal boycott kar ke ek pahaad ki ghaati mein gher kar rakh diya, is pahaad ki ghaati mein Aap sallallaho alaihe wasallam teen saal tak rahe aur in teen saalon mein Aap sallallaho alaihe wasallam ko badi taklifon ka samna karna pada Na koi Aapse baat karta tha naa hi koi dukan’daar Aap se koi saman bechta tha...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 10
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ NabuwaT ka Duswa (10th) SaaL* Nabuwat ke duswen saal, Aap sallallaho alaihe wasallam ne Makkah walon se na-ummeed ho kar Taa’if ke logo ko Islam ki dawat dene ke liye Taa’if tashreef le gaye Lekin yahan ke logo ne Aap sallallaho alaihe wasallam ko itna patthar mara ki Aap khoon se lahu-lahan ho gaye phir bhi Aap ne un zalimon ke liye bad-dua na farma’ee Isi saal Aap sallallaho alaihe wasallam ke chacha Abu Talib ka inteqaal huwa jo aap se badi mohabbat karte the aur hamesha aap ka saath dete the aur isi ke teen ya panch(5) din ke baad Aap sallallaho alaihe wasallam ki piyari biwi Hazrat-e-Khadija radhi allaho anha ka inteqaal huwa Is saal Aap sallallaho alaihe wasallam ko lagataar kai gahre gham pahuche isi wajah se is saal ka naam ‘Aamul-Huzn’ yani gam ka saal rakha gaya Isi saal Aap sallallaho alaihe wasallam Me’raj mein tashreef legaye phir namaz farz hui...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 11
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ Nabuwat ka giyarahwaan (11th) saaL* Nabuwat ke giyarahwi saal Madina Shareef ke 16 logon ne Islam qabool kiya Phir Aap sallallaho alaihe wasallam ke nabuwat ki shohrat hui toh nabuwat ke barahwi saal Madina Shareef ke taqriban 90 logo ne Islam qabool kiya Aur Aapsallallaho alaihe wasallam ko Madina Shareef aane ki dawat diya
*⚘ ⌬ ➤NabuwaT ka terahwaan (13th) saaL* Nabuwat ki terahwi saal Aap sallallaho alaihe wasallam ne kaafiron ke sakht zulm-o-sitam ko dekhte hue musalmano ko Madina Shareef hijrat karke jaane ki ijazat ata farmae To Musalman apna sab kuchh chhod ke deen ki khatir Madina shareef jaane lage Aur ek din aisa aaya ke kaafiron ne Aap sallallaho alaihe wasallam ko jaan se marne ka mukammal mansuba(plan) bana liya toh Aap bhi Hazrat-e-Abu Bakr ke saath hijrat karke Madina shareef chale aaye
*⚠ NOTE* ➧ Hijri saal(islamic calendar) ki shuru’aat yahi se hoti hai jaise abhi 1437 hijri chal raha hai to is ka matlab ye huwa ki huzur ko makka chhod kar madina sharif aaye hue 1437 saal ho gaye..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 12
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ 1 Hijri ke khaas waqi’yaaT* Madina shareef aane ke baad Huzoor ne sabse pehli masjid “Masjid-e-Quba” ki taamir sahaba ke sath milkar farmaya Phir iske baad “Masjid-e-Nabawi” ki taameer hui Huzoor sallallaho alaihe wasallam ke Madina sharif aa’ne ke baad waha ke bahut saare logo ne Islam Qabool kiya aur tezi se Islam phailne laga Jab musalmano ki tadaad bahut hoga’i toh namaz ki dawat ke liye azaan dene ka tareeqa shuru hua
*⚘ ⌬ ➤ 2 Hijri ke khaas waqi’yaaT* Hijrat ke dusre saal qibla tabdil huwa, aur Masjid-e-Aqsa ke bajae khana-e-kaaba ki taraf rukh karke namaz padh ne ka hukm diya gaya Isi saal jang-e-Badr hui Jisme kaafiron ki sakht haar aur muslamano ko badi jeet haasil hui Isi jang me Abu’jehal ke saath Makkah ke bade bade sardar mare gaye aur bahut saare qaid kiye gaye Isi saal ramzan ke roze farz hue, aur namaz-e-eid aur baqrid ada ki ga’i aur qurbani bhi ki ga’i aur isi saal Aap sallallaho alaihe wasallam ne apni sab se piyari beti Hazrat-e-Fatima radhi allaho anha ka nikah Hazrat-e- Ali radhi allaho anho ke sath kiya..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 13
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ 3 Hijri ke khaas waqi’yaaT* Hijrat ke teesre saal Jang-e-uhad hui aur isi jang me Aap sallallaho alaihe wasallam ke chacha Hazrat-e-Hamzah shaheed hue Isi saal 15 ramzan ko Hazrat-e-Imam Hasan paida hue Huzur sallallaho alaihe wasallam ne apni beti Hazrat-e-Umme kulsum radhi allaho anha ka nikah Hazrat Usman radhi allaho anho se farmaya, aur Aap sallallaho alaihe wasallam ne Hazrat-e-Umar Farooque radhi allaho anho ki beti Hazrat-e-Hafsa aur Hazrat-e-Zainab bint-e-Khuzima se nikah farmaaya Ab tak musalmano ka mushrika aurton ke saath nikah karna ja’iz tha Isi saal isko haraam kar diya gaya
*⚘ ⌬ ➤ 4 Hijri ke khaas waqi’yaaT* Is saal shabaan ke mahine me Hazrat-e-imam Hussain radhi allaho anho paida hue the, aur Aap sallallaho alaihe wasallam ki biwi Hazrat-e-Zainab bint-e-Khuzaima radhi allaho anha ka wisaal huwa tha Isi saal Huzoor sallallaho alaihe wasallam ne Shawwal ke mahine me Hazrat-e-Umme Salma radhi allaho anha se nikah farmaya Isi saal shadi shuda admi ko zina karne par sang-saar(stoned to death) karne aur chor ka hath kaatne ka hukm nazil huwa, aur sharab bhi haraam qarar diya gaya..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 14
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ 5 Hijri ke khaas waqi’yaaT*
1 ➧ Isi saal ghazwa-e-khandaq aur ghajwa-e-banu Quraiza pesh aaya
2 ➧ Isi saal Gazwa-e-Mari’si ke mauqe par hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha ka haar Madina Shareef se qareeb hi ek jagah ”salsal” me gum hogaya tha jiski wajah se un par tohmat wala waaqi’ya pesh aaya, aur pani na milne ki surat mein tayammum karne ka hukm nazil huwa Parda ka hukm bhi isi saal nazil hua
*⚘ ⌬ ➤ 6 Hijri ke khaas waqi’yaaT*
1 ➧ Is saal huzur sallallaho alaihe wasallam umrah ke iraade se zil’qada ke mahine mein peer (Monday) ke din Makkah sharif ke liye rawana hue magar raaste mein Hudaibiya ke maqam pe kaafiron ne roka jiski wajah se jang ki surat paida hogai lekin akhir me sulah ho gai jo ”sulah Hudaibiya” ke naam se mash’hoor hai aur isi mauqe par Bai’at-e-Rizwan bhi hui Is saal bahut saari islami jangen hui..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 15
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ 7 Hijri ke khaas waqi’yaaT* Gazwa-e-khaibar isi saal huwa jis mein musalmano ko fatah hasil hui aur is gazwah ke mauqe se bahut saare waqiyaat pesh aaye unme se kuchh ye hain
1 ➧ gadhe ke gosht ko haram qarar diya gaya
2 ➧ Darinde jaanwar or panja marne wale parindo ko Huzur ne haraam qarar diya
3 ➧ Hazrat Safiya radhi allaho anha se huzur ne nikah farmaya
4 ➧ Khaibar ki ek yahoodi aurat ne huzur sallallaho alaihe wasallam ko khaane mein zahar mila kar diya
5 ➧Maqaam-e-Sahba mein Hazrat-e-Ali ki namaz-e-Asr qaza hoga’ee toh huzur sallallaho alaihe wasallam ne doobe suraj ko lautaya
6 ➧Mut’aa yani ek khaas zamane tak ke liye nikah karne ko haram qarar diya gaya Usi saal zil-qada ke mahine mein huzur ne sahaba ke saath umrah ada farmaya jo sulah Hudaibiya me tay paaya tha Usi saal Aap sallallaho alaihe wasallam ne Hazrat-e- Maimoona radhi allaho anha se nikah farmaya..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 16
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ 8 Hijri ke khaas waqi’yaaT* Is saal Makkah fatah huwa, aur iske baad Hunain ke jang ka waqiya pesh aaya isi saal Masjid-e-Nabawi Shareef me Mimbar banaya gaya or isi saal Huzoor sallallaho alaihe wasallam ke bete Hazrat-e- Ibrahim , Hazrat-e-Mariyah Qibtiya radhi allaho anha se paida hue
*⚘ ⌬ ➤ 9 Hijri ke khaas waqi’yaaT* Is saal haj farz huwa,aur Huzur-e-Akram sallallaho alaihe wasallam ne Haj ke mauqe par Hazrat-e-Abu Bakr Siddique ki sarbarahi (Leadership) aur Hazrat Ali ki naqabat mein (Yani haj ke masa’il sikhane aur kuchh zaruri elaan karne ke liye) 300 haajiyon ka qaafila rawana farmaya Quran ne isi haj ko ‘hajj-e-akbar’yaani bada haj kaha is liye ki ye pehla mauqa tha ke Hazrat-e-ibraahim alaihissalam ke tariqe ke mutabiq Haj ke Arkaan ada kiye gaye, Allah ke ghar khana-e-kaaba sharif mein jaheliyat ki hukumat mukammal tariqe se khatam aur islami hukumat ki shuru’aat ka elaan kiya gaya aur Zamana-e-jaheliyat ki tamam behuda rasm-o-riwaaj ko galat qarar diya gaya Is saal poore mulk mein aman-o-amaan ki fiza qayam hogai aur Moharram ke mahine me Zakat wasul karne ke liye khaas log muqarrar kiye gaye Sood ko bhi isi saal haraam qarar diya gaya..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 17
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ 10 Hijri ke khaas waqi’yaaT* Is saal Aap ﷺ ke bete hazrat-e-Ibrahim radhi allaho anho ka inteqaal huwa aur isi saal Aap ﷺ ne apna pehla aur akhiri haj bahot saare sahaba-e-karam ke saath ada farmaya Is haj pe jaate waqt Aap sallallaho alaihe wasallam ne logon se is tarha mulaqaat kiya jaise woh saksh mualaqaat karta hai jise maloom ho gaya ho ke woh ab duniya chhod kar jaane wala ho isi liye ye haj ‘Hajjatul-wida’ ke naam se mash’hoor huwa
*⚘ ⌬ ➤11 Hijri ke khaas waqi’yaaT* Jab Huzur sallallaho alaihe wasallam Hajjatul wida se wapas tashreef laaye toh 24 safar pir(Monday) ke din Aap ne ek lashkar Hazrat-e-Osama bin Zaid ki qayadat me mulk-e-Shaam ke Isaaiyon se ladne ke liye tayyaar farma kar rawana kiya lekin abhi ye lashkar Madina Shareef se kuchh hi door gaya tha ke 12 Rabiul-Awwal ba’rozpir(Monday) Huzur-e-Aqdas sallallaho alaihe wasallam ka wisaal ho gaya jisse pura Madina be-raunaq aur andhera ho gaya..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 18
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ Aap ﷺ ki tareekh-e-wisaaL* 12 Rabi ul awwal baroz e do shamba 11 hijri, 12 june 632 A.D (isme bhi kai aur taarikh’yen likhi ga’ee hain magar zyada sahi yahi hai )
*⚘ ⌬ ➤ Aap ﷺ ko gusl dene waLe muqaddas saHaba*
1➧Hazrat-e-Ali murtaza
2➧Hazrat-e- Osama bin Zaid
3➧Hazrat-e-Fazl bin Abbas radhi allaho anhum
⚘ ⌬ ➤ Aap ﷺ ke gusl ke liye Gars naam ke kuwe (well) se paani laaya gaya tha jo quba ke Qareeb tha aur us kuwe ke malik hazrat e Sa’ad bin khusaima the Aap sallallaho alaihe wasallam apni zindagi mein aksar isi kuwe(well) ka paani piya karte the aur iske baare mein irshaad farmaya tha ki “Gars ka kuwa (well) behtareen kuwa (well) hai ye jannat ke chashmo (streams) mein se ek behtareen chasma (stream) hai” iska paani bahut hi pakeeza hai us paani mein beree ke patte bhi milaye gaye the..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 19
*↡ MukHTasar SeeraTe MusTafa ﷺ ↡*
•───────────────•
•───────────────•
*⚘ ⌬ ➤ Kafan mubaraQ* Aap ﷺ ko 3 safed kapdon mein kafan diya gaya Yeh teeno kapde yaman ki ek jagah “Sahool” ke bane hue the isi wajah se unhe “Sahooliya” kaha jata hai
*⚘ ⌬ ➤ Namaz-e-janaza* Is baare mein ekhtilaf hai ki Aap ﷺ ki namaz-e-janazah kaise padhi ga’e magar zyada rajeh (preference) baat yeh hai ki jab janaza tayyar hogaya toh pehle mardon ne phir auraton ne phir bacchon ne namaz e janaza padh janaza kamre ke andar hi tha baari baari thode thode log andar jaate aur namaz padh kar chale aate lekin koi imam na tha aur us janaze mein jaise aam taur se maiyyat ke liye maghfirat ki dua ki jaati hai woh dua bhi na padhi gayi aur uski jagah darood sharif padha gaya
*⚘ ⌬ ➤ Qabr-e-MubaraQ* Aap ﷺ ka wisaal hazrat- e-Ayesha radhi allaho anha ke kamre mein hua aur usi kamre mein aap ki qabr-e-mubarak banaya gaya Aap ki qabr-e-mubarak Hazrat e Abu talha radhi allaho anho ne khoda
*⚘ ⌬ ➤ Mukammal umr sharif* Aap ﷺ ki mukammal umr sharif 63 saal ki hui..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 20
*↡ Aap ﷺ ki Namaazen ↡*
•──────────•
•──────────•
⚘ ⌬ ➤ Aap ﷺ ko namaazo se badi mohabbat thi Jaisa ki Aap ﷺ ne khud farmaya ki Meri aankho ki thandak namaaz me hai Yani mujhe namaaz se badi khushi hoti hai Is liye Aap ﷺ 5 waqt ki namaaz ke elawah Namaaze Ishraq, Namaaze Chasht, Tahiyatul wazu, Tahiyatul Masjid, Salatul auwwabin, Namaaze Haajat, Salaatul Tasbih wagairah ki bhi namaaze ada farmaya karte the Is ke elawah raato ko jaag kar bhi nafal namaazen padha karte the aur tahajjud ki namaaz puri zindagi paabandi ke saath ada farmate rahe
Jab Aap ﷺ logo ko namaaz padhate to halki namaaz padhate magar jab akele namaaz padhte to badi lambi namaaz padhte Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho bayan karte hain ki Ek Raat jab Huzur ﷺ akele namaaz padh rahe the to main bhi aap ke saath namaaz ke liye khada ho gaya Magar Huzur itni der tak khade rah gae ki main ne ek buri chiz ka iraada kar liya.Logo ne puchha ki aap ne kya iraada kar liya ? To unhone kaha ki main ne ye iradaa kiya ki main baith jaaun aur huzur ko khada hi chhod dun (Magar main ne aisa sirf huzur ki taazim ki garz se nahi kiya) ..✍
Jab Aap ﷺ logo ko namaaz padhate to halki namaaz padhate magar jab akele namaaz padhte to badi lambi namaaz padhte Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho bayan karte hain ki Ek Raat jab Huzur ﷺ akele namaaz padh rahe the to main bhi aap ke saath namaaz ke liye khada ho gaya Magar Huzur itni der tak khade rah gae ki main ne ek buri chiz ka iraada kar liya.Logo ne puchha ki aap ne kya iraada kar liya ? To unhone kaha ki main ne ye iradaa kiya ki main baith jaaun aur huzur ko khada hi chhod dun (Magar main ne aisa sirf huzur ki taazim ki garz se nahi kiya) ..✍
*📬 Sahi Bukhari,Hadees No.1135 📒*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 21
*↡ Aap ﷺ ki Namaazen ↡*
•───────────•
•───────────•
⚘ ⌬ ➤ Bilkhusus Ramazan ke mahine me jab Aap ﷺ namaaz padhte to phir itni lambi namaaz padhte ki aap ke Qadme Mubarak me sujan aa jaata tha Aur jab huzur ko is par toka jaata ki aap ko itni lambi namaaz padhne ki kya zarurat? To Aap Farmate kya main apne rab ka shukr guzaar banda nahi banu
*📬 Sahi Bukhari,Hadees No.1130 📘*
⚘ ⌬ ➤ Der tak namaaz padhne ke saath khushu aur khuzu ki haalat ye hoti thi ki kabhi kabhi aap ﷺ namaaz hi me Allah ke huzur bilak bilak kar rote the Hazrat-e-Mutrif apne walid se riwayat karte hue bayan karte hain ki Main ek baar huzur ke paas aaya, Us waqt Aap ﷺ namaaz padh rahe the Aur aap ﷺ is tarah se ro rahe the ki aap ke sine se haandi ke ubalne ke jaisi awaaz aa rahi thi..✍
*📬 Sunan Nisaai, Hadees No.1214 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 22
*↡ Aap ﷺ ki Roze ↡*
•─────────•
•─────────•
⚘ ⌬ ➤ Roza ek bemisaal ibaadat hai Jo Allah Ta’ala ko bahut pasand hai Hadees sharif me hai ki Jab Roza rakhne wale log Allah Ta’ala se mulaqaat karenge to un ko apne roze ki wajah se badi khushi haasil hogi.
*📬 Sahi Muslim,Hadees No.1151 📘*
⚘ ⌬ ➤ Ek Aur dusri hadees me hai ki Jab koi shakhs Allah ke liye ek roza rakhta hai to use Allah Ta’ala 70 saal ki doori ke barabar jahannam se door kar deta hai.
*📬 Sahi Muslim,Hadees No.1153 📒*
⚘ ⌬ ➤ Isi liye Aap ﷺ bahut ziyadah roze rakha karte the.Aap ﷺ ke rozo ki mukhtasar list yahan pesh ki jaati hai
*⚘Aashure ka roza ⌬ ➤* Aap ﷺ aashurah (10 Muharram) ka roza Makka sharif me rakha karte the Phir jab Madina sharif aae, To bhi is din ka roza rakha aur logo ko bhi roza rakhne ka hukm diya To sahaba ne arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ!Is din ki yahudi aur isaai taazim karte hain aur woh log bhi roza rakhte hain To Aap ﷺ ne farmaya ki Jab agla saal aaega to in sha allah ham 9wi taarikh ko bhi roza rakhenge.
*📬 Sahi Muslim,Hadees No.1134 📕*
⚘ ⌬ ➤ Aashure ke roza ki fazilat bayan karte hue Aap ﷺ ne farmaya ki Mujhe Allah Ta’ala se ummid hai ki Jo shakhs aashure ka roza rakhega Allah Ta’ala us ke pichhle ek saal ke gunaah ko maaf kardega..✍
*📬 Ibn-e-Majah,Hadees No.1738 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 23
*↡ Aap ﷺ ki Roze ↡*
•─────────•
•─────────•
*⚘Ramzan ke Roze ⌬ ➤* Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki Aap ﷺ ne farmaya ki Jis ne Ramzaan ke mahine ka roza,Imaan ke saath sawab ki niyat se rakha to us ke pichhle tamaam gunah maaf kar diye jaate hain.
*📬 Sahi Muslim,Hadees No.760 📒*
⚘ ⌬ ➤ Is ke elawah Aap ﷺ ne Ramzan ke roze ki bahut saari fazilat bayan farmaya Aur Aap ne khud hamesha is mahine ka roza rakha aur apni ummat ko bhi is ki taakid farmaya Haan Safar aur bimaari wagairah ki surat me us waqt nahi rakhne aur baad me use pura kar lene ki ijaazat ata farmaya Aur khud bhi dono par amal farmaya Jaisa ki Hazrate Ibne Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne safar me roze rakhe bhi aur chhode bhi To jo chaahe rakhe aur jo chaahe chhod de.
*📬 Sahi Muslim,Hadees No.1113 📕*
⚘ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Darda radhi allaho anho bayan karte hain ki Ham log sakht garmi ke zamaane me Huzur ﷺ ke saath ek safar par gae Garmi itni sakht thi ki kuchh log apne sar par haath rakh lete the Us waqt Huzur ﷺ aur Rawaha bin Abdullah ke elawah ham me se koi bhi shakhs roze se nahi tha..✍
*📬 Sahi Muslim,Hadees No.1062 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 24
*↡ Aap ﷺ ki Roze ↡*
•─────────•
•─────────•
*⚘Shawwal ke Roze ⌬ ➤* Hazrat-e-Abu Ayyub Ansaari radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne farmaya ki Jis shakhs ne Ramazan ke roze rakha aur phir us ke baad shawwal ke 6 roza rakha to use hamesha roza rakhne ka sawab milega.
*📬 Sahi Muslim,Hadees No.1164 📕*
*⚘NOTE ⌬ ➤* Ye roze ek saath 6 bhi rakh sakte hain aur alag alag bhi rakha jaa sakta hai.
*⚘Arfa yani 9wi Zilhaj ka Roza ⌬ ➤* Hazrat-e-Abu Qatada radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne farmaya ki Arfa ke din roza rakhne se Allah Ta’ala ek saal pehle aur ek saal baad ke gunaho ko maaf farmaa deta hai.
*📬 Sahi Muslim,Hadees No.1162 📒*
*⚘NOTE ⌬ ➤* Ye roza haajiyo ke liye rakhna behtar nahi Kyunki Aap ﷺ ne apne haj ke waqt ye roza nahi rakha
*📬 SahiMuslim,Hadees No.1123 📘*
⚘ ⌬ ➤ Aur ek hadees me hai ki haajiyo ke liye Aap ﷺ ne is roza se mana bhi farmaya..✍
*📬 Abu Dawood,Hadees No.2440 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 25
*༻ Aap ﷺ ki Roze ༺*
*⚘Peer ke din ka Roza ⌬ ➤* Aap ﷺ har peer ko roza rakha karte the.Jab Aap ﷺ se is ki wajah puchhi gayi to Aap ﷺ ne farmaya ki Main isi din paida hua tha aur isi din mujh par Quran naazil hua tha
*📬 Sahi Muslim,Hadees No.1162 📒*
*⚘Ayyam-e-Baiz Yani har mahine ke 3 Roze ⌬ ➤* Aap ﷺ har mahine me kam se kam 3 roze rakhte the Magar kisi khaas taarikh ka ehtemaam nahi farmate the Taaki ummat par asaani rahe aur koi isi taarikh ko zaruri nahi samajh le Lekin Aap ﷺ ne begair zaruri samjhe hue is roza ko rakhne wale ke liye 13-14-15 taarikh ko roza rakhne ka hukm farmaya Jaisa ki Ibn-e-Milhaan Qaisi apne walid se riwayat karte hain ki Woh bayan karte hain ki Hame Huzur ﷺ ne Ayyam-e-Baiz ke roze yani 13-14-15 taarikh ko roza rakhne ka hukm diya Aur Aap ﷺ irshad farmaya karte the ki is roze ke rakhne wale ko hamesha roza rakhne ka sawab milta hai..✍
*📬 Tirmizi,Hadees No.762 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 26
*༻ Aap ﷺ ki Roze ༺*
*⚘WisaaL ke Roze ⌬ ➤* Begair iftaar kiye hue lagataar kayi din roza rakhne ko wisaal ka roza kaha jaata hai Aap ﷺ Ramazanul Mubarak me begair iftaar kiye hue lagataar kayi kayi din roze rakha karte the.l Magar Huzur ﷺ Sahaba ko is tarah se roza rakhne ko mana farmaya to Sahaba ne kaha ki Ya Rasoolallahﷺ Aap to is tarah se roze rakhte hain To Aap ﷺ ne farmaya ki Beshak main tumhari tarah nahi hun Mujhe to mera Rab khila aur pila deta hai
*📬 Sahi Bukhari,Hadees No.7241.Sahi Muslim,Hadees No.1102-1104 Tirmizi,Hadees No.778 📒*
⚘ ⌬ ➤ In rozo ke elawah Aap ﷺ aur bhi roze rakha karte the Jaisa ki Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki Huzur ﷺ jab roza rakhna shuru karte the to rakhte chale jaate the Yahan tak ki ham log sochte ki ab huzur iftaar nahi karenge yani roza rakhna nahi chhodenge Aur iftaar karte the yani roza chhodte the yahan tak ki ham log sochte the ki ab huzur roza nahi rakhenge Hazrat-e-Aaisha hi bayan karti hain ki Main ne Huzur ﷺ ko Ramazanul Mubarak ke elawah kisi mahine me mukammal pure mahine roze rakhte hue nahi dekha Aur Shaaban se ziyadah kisi aur mahine me roza rakhte hue nahi dekha (Yani mukammal mahina sirf ramazaan me raha karte the aur Ramazan ke elawah sab se ziyadah Shaaban me roza rakha karte the.)..✍
*📬 Abu Dawood,Hadees No.2434 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 27
*༻ Aap ﷺ ke Hajj or UmraH ༺*
⚘⌬ ➤ Nabuwat ke elaan ke baad Makka sharif me rehte hue Aap ﷺ ne do ya teen haj kiye Aur hijrat ke baad sirf ek haj 10 hijri me ada farmaya jo haj “Hajjatul Wida” ke naam se mash’hoor hai
*📬 Tirmizi, Hadees No.815 📒*
⚘⌬ ➤ Haj ke elawah hijrat ke baad Aap ﷺ ne 4 umre bhi ada farmaya. Jaisa ki Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Aap ﷺ ne ek haj aur 4 umre kiya Ek umra Zil-Qaada mein Dusra umratul Hudaibiya Tisra woh umra jo aap ne apne haj ke saath kiya Aur chautha umratul Ja’ranah
*📬 Sahi Bukhari hadees No.815.Sahi Muslim, Hadees No 1253.Tirmizi, Hadees No.815 📗*
⚘⌬ ➤ Haj 3 tarah ka hota hai•°•★↷
(1)Hajj-e-Ifraad.
(2)Hajj-e-Tamattu.
(3) Hajj-e-Qiran.Hajj-e-Ifraad ka matlab sirf haj karna hota hai Aur hajj-e-Tamattu ka matlab ye hota hai ki admi pehle umre ka ehraam baandhe phir umrah ada karne ke baad woh ehraam khol de aur phir haj ka ehraam band kar haj ada kare.Aur hajj-e-Qiran ka matlab ye hota hai ki Haj aur umrah dono ki niyat se ehraam baandhe aur umra ada karne ke baad woh ehraam hi me rahe aur haj ke baad us ehraam se baahar ho
⚘⌬ ➤ Ab is baat me ekhtilaaf hai ki Huzur ﷺ ne kaunsa haj kiya tha Ifraad ya Tamattu ya Qiraan? To is baare me Imaam Azam Abu Hanifa aur Imam Ahmad bin Hambal rahemahumallah ki tahqiq ye hai ki Aap ﷺ ne hajj-e-Qiran kiya tha aur Imaam Shafaee aur Imam Malik ki tahqiq ye hai ki Aap ﷺ ne hajj-e-Ifraad kiya tha In ke elawah kuchh dusre ulma ki tahqiq ye hai ki Aap ﷺ ne Hajj-e-Tamattu kiya tha Har ek ki dalil Hadis sharif ki kitaabo me milti hai Lekin Aap ﷺ ke hajj-e-Qiran karne ki dalil sab se ziyadah mazboot dikhaai deti hai Kyunki is ke baare me 20 se ziyadah saaf saaf hadisen maujood hain Yahan par un hadiso me se kuchh pesh kiya jaata hai Baaqi Allah aur us ke Rasool khoob jaan ne wale hain..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 28
*༻ Aap ﷺ ke Hajj or UmraH ༺*
*⚘HaDees No.1 ⌬ ➤* Hajrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne 4 umre ada farmaya To chautha umra woh tha jis ka aap ne haj ke saath Qiran kiya
*📬 Abu Dawood,Hadees No. 1993-1994 📗*
*⚘HaDees No.2 ⌬ ➤* Hazrat-e-Saad radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne hajj-e-Qiran kiya aur ham ne bhi aap ke saath hajj-e-Qiran kiya
*📬 Sunan Nisaai,Hadees No.2734 📘*
*⚘HaDees No.3 ⌬ ➤* Hazrat-e-Hafsa radhi allaho anha bayan karti hain ki Main ne (Haj ke waqt mein)Huzur ﷺ se arz kiya Kya wajah hai ki logo ne umre ke baad apna ehraam khol diya lekin aap ne nahi khola? To Aap ﷺ ne farmaya ki Main ne Qurbani ke jaanwar ke gardan me patta daal diya hai aur apne sar ke baalo ko chapka liya hai Main us waqt tak umre se halal nahi honga jab tak ki main haj se halaal nahi ho jaaon
*📬 Sahi Bukhari,Hadees No.1566.Sahi Muslim,Hadees No.1229.Abu Dawood,Hadees No.1806 📒*
⚘⌬ ➤ Is hadis sharif se saaf maloom ho gaya ki Aap ﷺ ne hajj-e-Qiran kiya tha Kyunki Aap ﷺ umrah se us waqt tak halaal nahi hue jab tak haj se halaal nahi ho gae Aur aisa sirf hajj-e-Qiran hi me hota hai
⚘⌬ ➤ Is ke elawah aur bhi hadisen hain jin me Aap ﷺ ne apne haj ke baare mein farmaya ki mera haj hajje Qiran tha Lekin is ke bawajood teeno tariqe se haj ke jaaiz hone me koi shak nahi hai Koi kisi bhi tariqe se kare bilkul jaaiz aur durust hai Haan woh log jo haj karne ki taaqat rakhne ke baad bhi haj nahi kare un ki badi muzammat aai hai Ek hadees sharif me hai ki Huzur ﷺ ne farmaya Jo shakhs taaqat hone ke baad bhi haj nahi kare to us ka koi thikaana nahi hai ki woh yahudi ho kar marega ya isaai ho kar
*📬 Tirmizi,Hadees No.812 📚*
⚘⌬ ➤ Allahu akbar Allah Ta’ala ham sab ko imaan aur adab ke saath apna ghar dikhaae aur apne mahboob ﷺ ke dar par bulaae..✍ *AameeN*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 29
*❢ Aap ﷺ ke Sadqe aur KhairaaT ❢*
⚘ ⌬ ➤ Ambiya-e-Kiraam par Allah Ta’ala ne zakat ko farz hi nahi kiya is liye Aap ﷺ par bhi zakat farz nahi thi
*📬 Zarqaani,Vol:8,Page No.90 📒*
⚘ ⌬ ➤ Lekin Aap ﷺ ke sadqa aur khairaat karne ki ye haalat thi ki Aap apne paas sona chandi,Tijaarat ka koi saaman aur jaanwar wagairah ka koi rewad rakhte hi nahi the Balki jo kuchh bhi aap ke paas aata tha un sab ko aap Allah ke raaste me garibo aur miskino par kharch farmaa diya karte the Aap ﷺ ko itna bhi gawaara nahi tha ki raat bhar bhi maal-o-daulat ka thoda sa bhi hissa aap ke ghar me rah jaae Chunancha Ek baar aisa hua ki huzur ke paas khiraaj ki raqam itna ziyadah aa gaya ki shaam tak baantne ke baad bhi khatam nahi ho saka to Aap ﷺ raat bhar masjid hi me rah gae Jab hazrat-e-Bilaal radhi allaho anho ne aa kar bataya ki Ya Rasoolallah ﷺ saari raqam baant diya gaya Phir aap ﷺ ne apne ghar me qadam rakha..✍
*📬 Abu Dawood,Hadis No.3055 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 30
*❢ Aap ﷺ ke Sadqe aur KhairaaT ❢*
⚘ ⌬ ➤ Aap ﷺ ne jis tarah apna maal Allah Ta’ala ke raaste me lutaaya aur sadqa khairaat kiya usi tarah apni ummat ko bhi is par ubhaara aur is ko nijaat paane ka zariya bataya.Is baare me Aap ﷺ ki kuchh hadisen pesh hain
*⚘HaDees No.1 ⌬ ➤* Hazrat-e-Adi bin Haatim radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem ﷺ ne irshad farmaya ki Tum me se har shakhs se Qayamat ke din us ka rab khud baat karega Aur us ke aur bande ke beech koi bhi tisra nahi hoga To banda daaheni taraf dekhega to use kuchh nahi dikhaai dega,Phir woh baa’een taraf dekhega to use kuchh nahi dikhaai dega Phir woh apne chehre ke saamne dekhega to use jahannam dekhaai dega Phir Huzur ﷺ ne farmaya ki jo is baat ki taaqat rakhta ho ki apne chehre ko jahannam ki aag se bachaa’e agarche khajur ka ek tukda hi sadqa kar ke kyun na ho to woh zarur sadqa kare
*📬 Tirmizi,Hadees No.2415 📒*
⚘ ⌬ ➤ Aur dusri riwayat me hai ki Nabi kareem ﷺ ne irshad farmaya Agar kisi ke paas khajur ka tukda bhi nahi ho to achchhi baat hi kahe (Kyunki ye bhi sadqa hai)..✍
*📬 Sahi Bukhari,Hadees No.6023 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 31
*❢ Aap ﷺ ke Sadqe aur KhairaaT ❢*
*⚘HaDees No.2 ⌬ ➤* Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem ﷺ ne irshad farmaya ki Beshak sadqa Allah ki naa’raazgi ko khatam kar deta hai aur buri maut se bachaata hai
*📬 Tirmizi,Hadees No.663 📘*
*⚘HaDees No.3 ⌬ ➤* Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem ﷺ ne irshad farmaya ki Qayamat ke din 7 tarah ke logo ko Allah Ta’ala saaya nasib farmayega aur us din us ke saae ke elawah aur koi saaya nahi hoga (Aur suraj bilkul sar ke qarib hoga jis ki wajah se be inteha garmi hogi yahan tak log apne hi pasine me doobte honge Woh 7 tarah ke log ye hain...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 32
*❢ Aap ﷺ ke Sadqe aur KhairaaT ❢*
*⚘➤ Woh 7 Tarah ke Log Ye hain★↷*
▣•1⃣•▻ Insaaf karne wala baadshaah
▣•2⃣•▻ Woh jawaan jis ne apni jawani Allah ki ibaadat karte hue guzaara
▣•3⃣•▻ Woh log jin ka dil masjid me laga rahta hai
▣•4⃣•▻ Woh log jo Allah ki mohabbat ki wajah se aapas me milte aur juda hote hain
▣•5⃣•▻ Woh shakhs jise kisi khoobsurat aur maal-daar aurat ne gunaah karne ki dawat di to us ne kaha Main Allah se darta hun
▣•6⃣•▻ Woh shakhs jo chhupa kar sadqa karta hai
▣•7⃣•▻ Woh shakhs jo akele me Allah ko yaad kare aur rone lage..✍
*📬 Sahi Muslim,hadees No.1031 📒*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 33
*❢ Aap ﷺ ke Sadqe aur KhairaaT ❢*
*⚘HaDees No.4 ⌬ ➤* Aap ﷺ ne farmaya ki Sakhi insaan Allah se,Jannat se aur logo se qarib hota hai aur jahannam se door hota hai Jab ki bakhil ( kanjoos) insaan Allah se,Jannat se aur logo se door hota hai aur jahannam se qarib hota hai Aur beshak jaahil sakhi Allah ta’ala ke yahan ziyadah pasandida hai ibaadat karne wale bakhil se
*📬 Tirmizi,Hadees No.1961 📗*
⚘ ⌬ ➤ Allah Ta’ala ham sab ko bakhili se bachaae aur apne mahboob ﷺ ke sadqe me apne raaste me dil khol kar kharch karne wala banaae..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 34
*❢ ★ Aap ﷺ ki Taqrir ★ ❢*
⚘⌬ ➤ Huzur ﷺ ne bahut saare mauqe par apne sahaba ke saamne taqrir farmaya jo hadees aur tafseer ki kitabo me maujood hain Yahan par Aap ﷺ ki sirf ek taqrir ka tarjama pesh kiya jaa raha hai jo Aap ﷺ ne hijrat ke baad Madina sharif me sab se pehle juma me kiya tha Tamaam taarifen Allah ke liye hain Main uski taarif karta hun aur usi se madad,Bakhshish aur rahnumaai chaahta hun Mera imaan usi par hai Main uski naafarmani nahi karta hun aur naafarmani karne walo se door rahta hun Main gawahi deta hun ki Allah ke elawah koi ibaadat ke laaiq nahi hai Woh ek hai us ka koi sharik nahi hai Muhammad us ke bande aur Rasool hain Jin ko usne Hidayat,Noor aur Nasihat de kar us waqt bheja jab ki bahut zamaane se nabiyo ke aane ka silsila band tha,Ilm ghat gaya tha aur log gumraah ho gae the.Bahut zamaana guzar gaya tha,Qayamat qarib thi aur maut sar par mandla rahi thi To jis ne Allah aur us ke Rasool ki farmabardari kiya woh kaamyab hua aur jis ne un dono ki naafarmani kiya woh gumrah hua,darje se gira aur door ki gumrahi me mubtala hua Main tum logo ko Allah se darne ki taakid karta hun Aur behtarin taakid woh hai jo ek musalman dusre musalman ko aakhirat ke baare me kare aur use aakhirat ke liye tayyar karevAur Allah se darne ka hukm de Aye logo Allah se darte raho jaise ki khud usne tumhe apni zaat se darte rehne ki hidayat farmaya hai Nahi is se badh kar koi nasihat hai aur nahi is se afzal koi zikr hai..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 35
*❢ ★ Aap ﷺ ki Taqrir ★ ❢*
⚘⌬ ➤ Jaan lo Aakhirat ki jin jin bhalaaiyon ki tum ummid rakhte ho woh sab tumhe unhi nek kaamo ki wajah se milengi jo tum Allah ke dar aur taqwa se karoge Aur jo shakhs sirf Allah ki riza ko paane ke liye apne un tamaam kaamo aur iraado ki islaah kar le jo us ke aur khuda ke darmiyan hai Chaahe woh poshida chizen hon ya zaaheri To Allah Ta’ala use dunya me nek naam kardega aur aakhirat me bhi use nekiyo ka khazaana ata farmaaega aur yahi woh waqt hoga jab insaan apni nekiyo ka sab se ziyadah mohtaaj hoga Aur nek kaamo ke elawah dusre kaamo se use us din itni nafrat hogi ki kahega Aye kaash Mere aur in bekaar kaamo ke darmiyan aisi hi doori hoti jaisi doori purab aur pachchhim me hai.
⚘⌬ ➤ Aye logo Allah Ta’ala tumhe khud apni zaat se dara raha hai Allah Ta’ala apne bando par bada meharban hai Jis ne uski baaton ko sach jaana aur us ka wada pura kiya us ke liye uske khilaaf nahi kiya jaaega Kyunki Allah Ta’ala ka farmaan hai ki Mere yahan baaten nahi badalti hain aur na hi main apne bando par zulm karne wala hun To Allah Ta’ala se daro dunya ke maamle me bhi aur aakhirat ke maamle me bhi Akele me bhi aur logo ke beech me bhi Kyunki jo Allah Ta’ala se darega Allah Ta’ala us ke gunah ko maaf farmaa dega aur us ke sawaab ko badha dega Jo Allah se dara usne badi kaamyabi haasil kar li Beshak Allah ka dar,Uske azaab aur uski naraazgi ko door kar deta hai Aur Allah ka darr chehre ko raushan kar deta hai,Rab ko raazi kar deta hai aur darjaat ko buland kar deta hai Logo Apna hissa le lo Allah ki qurbat haasil karne me kami nahi karo Us ne apni kitaab me tumhe sikha diya Tumhare liye hidayat ka raasta khol diya taaki woh dekh le ki sachcha kaun hai aur jhoota kaun hai..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 36
*❢ ★ Aap ﷺ ki Taqrir ★ ❢*
⚘⌬ ➤ saath ehsaan kiya tum bhi dusro ke saath ehsaan ka rawayya ekhtiyaar karo Allah ke dushmano se dushmani rakho Allah ke raaste me jihaad karo jaisa ki jihaad karne ka haq hai Usi ne tumhe buzrug banaya hai aur usi ne tumhara naam musalman rakha hai Taaki har halaak hone wala dalilo ke dekh lene ke baad halaak ho aur har zinda rehne wala bhi dalilo ke saath zinda rahe Taaqat aur quwat sirf Allah hi ke liye hai Allah ka zikr kasrat se karo aur maut ke baad jo kaam aae woh kaam kar lo Jo Allah Ta’ala ke apne darmiyan ke ta’alluqaat ko behtar bana lega Allah Ta’ala uske aur logo ke darmiyan ke ta’alluqaat ko behtar bana dega Kyunki Allah Ta’ala ki logo par chalti hai logo ki Allah Ta’ala par nahi Woh tamaam makhluq par haakim aur sab ka maalik hai Allah Ta’ala sab se bada hai aur tamaam taaqaten aur quwaten usi khuda e buzrug aur bartar ke liye hain
SuBHaN AllaH 👌 SuBHaN AllaH
⚘⌬ ➤ Is taqrir par amal kar ke har musalman apni dunya aur aakhirat ko kaamyab bana sakta hai Allah Ta’ala ham sab ko is par amal karne ki taufiq ata farmaae...✍
••──────────────────────••►t
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 37
*❢ ★ Aap ﷺ ke KHaT ★ ❢*
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ne hijrat ke 7wi saal apne zamaane ke alag alag baadshaho ke naam khat likha aur un logo ko Islam laane ki dawat diya Woh saare khat hadees sharif aur Seerat ki kitaabo me maujood hain Aap ﷺ ke khato ko padh kar ziyadah tar baadshaho ne Islam qabool kar liya Aur jin logo ne nahi kiya us ka anjaam bada hi bura hua Yahan par un khato me se sirf ek khat pesh kiya jaa raha hai jo Aap ﷺ ne us waqt ke super power Iraan ke baadshah “Khusru Parwez” ko Hazrat-e-Abdullah bin Huzaafa Sahmi radhi allaho anho ke haath se bheja tha Us khat ka tarjama ye hai “ Bismillahir rahmanir Rahim Ye Khat Muhammad Rasoolallah(ﷺ) ki taraf se Iraan ke baadshah Kisra ke naam hai Salaamti ho har us shakhs par jis ne hidayat ki pairwi kiya aur Allah aur uske Rasool par imaan le aaya aur ye gawahi diya ki Allah ek hai aur uska koi sharik nahi aur uske elawah koi ibaadat ke laaiq nahi.Aur beshak Muhammad uske bande aur Rasool hain Aye Kisra Main tumhe Allah par imaan laane ki dawat deta hun. Kyunki main Allah ka rasool hun tamaam logo ki taraf,Ki main un ko waqt par sahi baat bata dun Aur nahi maan ne walo par dalil ko pura kar dun.Islam qabool kar le salamat rahega Agar tu Islam qabool karne se inkaar karega to teri gardan par saare majusiyo ki gumrahi ka gunah hoga Jab Kisra ne ye khat padha to gusse se kaanpne laga aur is khat ko phaad kar tukde tukde kar diya aur gustakhi karte hue kaha ki Mera ek gulam mujhe is tarah ka khat likhne ki himmat karta hai Jab Huzur ﷺ ko uski ye harkat bataai gayi to Aap ﷺ ne farmaya ki usne mere khat ko tukde tukde kar diya hai Allah ne us ki hukumat ko tukde tukde kar diya hai. ...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 38
*❢ ★ Aap ﷺ ke KHaT ★ ❢*
⚘⌬ ➤ Kisra ne mulke Yaman ke governor “Baazaan”ko ek hukm-naama likha aur apne us governor se kaha ki Tumhare elaaqe me ek shakhs ne nabuwat ka dawa kiya hai Tum fauran us ke haath me hathkadi daal kar mere paas bhej do Baazaan ne apne wazir “Baanwiyah”ko iraan ke ek shakhs ke saath Madina bheja jis ka naam “Khar-khasrah” tha Aur us ne huzur ke naam ek khat bhi likha jis me usne huzur se kaha ki Aap un dono shakhso ke saath jise main ne bheja hai,fauran Kisra ke darbaar me haazir ho jaaiye Jab ye log Taaif pahunche to in logo ki mulaaqaat Makka ke kuchh kaafir sardaaro se hui Jab in sardaaro ko ye sab haalaat maloom hue to ye log bade khush hue ki ab musalmano ka muqaabla Iraan ke baadshah Kisra se hai ab ye log jald hi khatam ho jaaenge Baanwiya aur Khar-khasrah wahan se chal kar Madina pahunche Huzur ﷺ ne un logo ka isteqbaal kiya aur in logo ke khaane aur rehne ka achchha intezaam farmaya Phir ek subah un logo ko huzur ﷺ ne apne paas bulaya aur un logo se guftago kiya.Baanwiyah ne kaha Iraan ke baadshah ne hamare baadshah ko aap ko giriftaar karne ka hukm diya.Aur us ne ye zimmedari ham dono ke supurd kiya hai Is liye aap hamare saath chalne ke liye fauran tayyar ho jaaiye.Agar aap asaani ke saath hamare saath chalenge to Baazaan aap ke liye Iraan ke baadshah se aap ke haq me sifaarish kar dega jis se aap ko faaida hoga.Nahi to is ka anjaam bahut hi bura hoga.Aap ﷺ ne un logo ki baato ko sun kar muskuraya aur mohabbat bhare andaaz me un logo ko bhi Islam qabool karne ki dawat diya Un logo ne ye bhi kaha ki agar aap chalne ke liye tayyar nahi to kam se kam Baazaan ko jawabi khat hi likh dijiye Aap ﷺ ne un logo se farmaya ki Jaao abhi aaram karo kal subah phir mulaaqaat hogi....✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 39
*❢ ★ Aap ﷺ ke KHaT ★ ❢*
⚘⌬ ➤ Raat ko Hazrat-e-Jibrail huzur ki baargah me haazir hue aur arz kiya ki Ya Rasoolallah ﷺ Allah Ta’ala ne us ghamandi Khusru Parwez par uske bete Sherwiyah ko taaqat diya Us ne raat ko falan waqt us ke pet me chhura ghop kar uska kaam tamaam kar diya hai Jab subah ke waqt Baanwiyah aur khar-Khasrah haazir hue to Aap ﷺ ne farmaya ki Jaa kar apne baadshah Baazaan ko khabar de do ki mere Rab ne uske Rab Kisra ko qatal kar diya hai us waqt jab ki raat ke saat pahar guzar chuke the Us ke bete Sherwiyah ne uski chhati par chadh kar uske pet ko phaad daala hai Woh log kehne lage ki aap ko maloom hai ki aap kiya keh rahe hain?Ham apne baadshah ko bata denge to woh aap ko badi saza dega Aap ﷺ ne farmaya ki Haan,Jaa kar ye saari baat use bata do aur use ye bhi bata dena ki mera deen aur meri hukumat Kisra ke mulk ki aakheri sarhad tak pahunchegi Use meri taraf se ye bhi keh dena ki agar tum Islam qabool kar loge to tumhara mulk aur tumhaare saazo saamaan tumhaare paas hi rehne diya jaaega Ye log waapas ho kar jab apne baadshah Baazaan ko puri baat bataya to Baazaan ne kaha ki Ye kisi baadshah ki baat nahi lagti balki ye Nabi ki baat maloom hoti hai Agar un ki bataai hui khabar sahi hui to saare baadshaho se pehle un par main imaan laaunga Kuchh hi dino ke baad Sherwiyah ki taraf se use khat mila jis me us ne apne baap ko qatal kar dene ki khabar diya tha aur Baazaan ko hukm diya tha ki woh ab use Iraan ka baadshah maane Ye khat padhne ke baad Baazaan ko mukammal yaqin ho gaya ki Muhammad ﷺ Allah ke sachche Rasool hain Is liye usne aur Iraan ke kayi logo ne Islam qabool kar liya aur is ki khabar huzurﷺ ko bheja...✍
*📬 Talkhis:Ziyaun Nabi,Vol:4,Page No.180 to 20 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 40
*❢ ★ Aap ﷺ ki AmaN PasanDi ★ ❢*
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ apni puri zindagi aman aur insaaniyat ka mahaul banane ke liye logo ke andar se un tamaam buraiyon ko door farmaya jis se kisi bhi tarah aman aur insaaniyat ko nuqsaan pahunchta hai Jaise jhoot,Dhoka,Ghamand,Wada khilaafi, zulm,ladaai jhagda aur khoon kharaba wagairah Aur har us chiz ko apne kirdaar aur baaton se badhawa diya jis se aman aur insaaniyat ka parchaar hota hai Jaise Saare logo par raham karna Kisi ke liye bura nahi sochna,Zaat paat aur rang-o-nasal ki bunyad par koi farq nahi karna, Sab ke saath achchhe akhlaaq se pesh aana,Apni zaat se dusron ko faa’ida pahunchana, khaas taur se kamzor aur garib logo ki madad karna aur un ki izzat ki hifaazat karna wagairah Aur Aap ﷺ apni baargah me unhi logo ko bada rutba dete the jo logo ko ziyadah se ziyadah faaida pahunchane me aage aage rehte the Jaisa ki Hazrat Imam Hasan radhi allaho anho bayan karte hain ki “Aap ﷺ ki khidmat me haazir hone wale log makhlooq ke behtareen log hote the aur Aap ﷺ ke nazdeek afzal wahi hota tha jiski khair-khwahi aam ho yani jo har shaks ki bhalaai chahta ho aur aap ke nazdeek bade rutbe wala wahi shaks hota tha jo logon ki madad me ziyadah hissa leta tha
*📬 Shamail-e-tirmizi :314 📚*
*⚠NOTE* Aaj bhi Huzur ﷺ ki nazar me afzal aur bade rutbe wala wahi shaks hoga jo har shaks ki bhalai chahta ho..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 41
*❢ ★ Aap ﷺ ke Mo’jaze ★ ❢*
⚘⌬ ➤ Aap sallallaho alaihe wasallam ka sab se bada mo’jaza Quran sharif hai iske elawah bahut saare mo’jazaat hain un mein se kuchh ye hain
⚘01 ⌬ ➤ Aap ﷺ ke jism-e-aqdas pe kabhi machchhar aur makkhi nahi baith’ti thi
⚘02 ⌬ ➤ Aap ﷺ jaise apne aage ki chizon ko dekhte the waise hi apne pichhe ki chizon ko bhi dekhte the
⚘03 ⌬ ➤Aap ﷺ ke pasine se khushbu aati thi
⚘04 ⌬ ➤Aap ﷺ agar khaade paani(salt water) me apna luaab-e-dehan(spit) daal dete the to woh mitha ho jaata tha
⚘05 ⌬ ➤ Aap ﷺ jaanwaron aur pat’tharon ki awaaz ko bhi sunte aur samajh te the
⚘06 ⌬ ➤ Aap ﷺ jis bachche ke sar par haath daal dete the woh din bhar khushbu se mahakta rehta tha
⚘07 ⌬ ➤ Aap ﷺ door-o-nazdik ki awaazon ko sunte the aur laakhon koson door ki chizon ko bhi dekh lete the
⚘08 ⌬ ➤ Aap ﷺ ne apni ungli ke ishare se chaand ko do tukde kar diya
⚘09 ⌬ ➤ Aap ﷺ ne doobe hue suraj ko lauta kar asar ke waqt par kar diya
⚘10 ⌬ ➤ Aap ﷺ ne kam khaane me bahut ziyadah logo ko khilaaya.
⚘11 ⌬ ➤ Aap ﷺ ne lakdi ko lohe ka talwar bana diya
⚘12 ⌬ ➤ Aap ﷺ Raat ke thode se waqt me saato aasman ke upar gae aur phir chale aaye..
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 42
*❢ ★ Aap ﷺ ka Adl-o-Insaaf ★ ❢*
⚘⌬ ➤ Aap sallallaho alaihe wasallam har kisi ke saath adl o insaaf farmate the chahe woh dost ho ya dushman apna ho ya paraya Ek baar aap sallallaho alaihe wasallam ke qabila Banu haashim ki ek aurat ne chori kar li to bade bade logon ne uski saza maaf karne ki shifarish ki aur kaha ki ye aurat hamare qabile ki hai agar is ka haath kaat diya jaaega to is se hamare qabile ki poore Arab me badi be-izzati aur bad-naami hogi us waqt Huzur sallallaho alaihe wasallam gusse mein aagae aur irshaad farmaya ke agar meri sab se chahiti beti Fatima bhi chori karegi toh main uska bhi haath kaat lunga
*📬 Sahi Bukhari,Hadith No.6788 📒*
*⚘NOTE ⌬ ➤* Aaj jab koi mamla ho jata hai toh aam taur se log apne rishtedaar dost aur jaan pehchaan ke logon ki taraf’daari karte hain aur uski himayat(favour) mein bolte hain agarche woh galti par hota hai ye huzur sallallaho alaihe wasallam ka tariqa nahi hai Ek muslaman ko chaahiye ke woh har haal mein adl-o-insaaf kare aur sirf haq ka saath de kyunke huzur sallallaho alaihe wasallam ka yahi tariqa hai aur isi ko apnane mein hamari nijaat hai..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 43
*❢ ★ Aap ﷺ ki SakHawaT ★ ❢*
⚘⌬ ➤ Hazrat-e- jaabir radhi allaho anho bayan karte hain ki kabhi aisa nahi hua ki Aap sallallaho alaihe wasallam se kisi ne koi chiz maanga ho aur aap ne “nahi” farmaya ho
*📬 Sahi Muslim, hadees No. 2311 📒*
*⚘⌬ ➤ Waah kiya jood-o-karam hai shahe batha tera*
*⚘⌬ ➤ Nahi Sunta hi nahi maangne wala tera*
⚘⌬ ➤ Ek martaba Huzur ﷺ ke paas 90 hazaar chandi ke sikke aae To Aap ﷺ ne farmaya ki in sab ko chataai par rakh do Phir use baant ne ke liye Huzur khud khade hue,Jo shakhs bhi aaya use aap ne ata farmaya yahan tak ki woh saare sikke khatam ho gae Us ke baad ek maangne wala aaya.To Aap ﷺ ne farmaya ki Mere paas to ab koi chiz nahi hai Tum aisa karo ki falan dukandaar ke paas jaa kar apni zarurat ki chizen le lo dukan-daar ko main qimat ada kar dunga Is par Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne kaha ki Ya Rasoolallah ﷺ Allah Ta’ala ne aap par ye zaruri nahi kiya hai ki aap ke paas nahi ho tab bhi aap de Aap ﷺ ko ye baat pasand nahi aai jis ka asar aap ke chehre se bhi zaahir hua Ek ansaari sahabi wahan haazir the unhone arz kiya Aye Allah ke pyare Rasool Aap kharch karte rahiye Aap ka rab jo saari dunya ka malik hai,Aap ko dene me kabhi kami nahi farmaaega Huzur ﷺ ye baat sun kar muskurane lage aur aap ne farmaya ki haan mujhe isi ka hukm diya gaya hai ki main logo ko nawaazta rahun Hazrat-e-Moauwwiz bin Afra bayan karte hain ki main ek bartan me taaza khajur bhar kar huzur ke paas le gaya to Aap ﷺ ne mujhe mutthi bhar kar sona aur chandi ata farmaya Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ kal ke liye kuchh bhi bacha kar nahi rakhte the..✍
*📬 Talkhis:Ziyaun Nabi,Vol:5,Page No.322 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 44
*❢ ★ Aap ﷺ ka Husne AkhLaaq ★ ❢*
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ke akhlaaq ke baare me khud Allah ta’ala ne irshad farmaya ki “beshak aap zaroor buland akhlaq pe faa-iz hain
*📬 SuraH Qalam ayat no :4 📘*
⚘⌬ ➤ Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki main 10 saal huzur ﷺ ki khidmat me raha Khuda ki qasm aap ne mujhe kabhi uff Na kaha , aur na kabhi mujh se ye kaha ke tum ne falan kaam kyun nahi kiya ? Ya falan kaam kyun kiya?
*📬 Sahi Muslim, Hadees No. 2309 📗*
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ne farmaya ki Mujhe mere parwardigaar ne 9 baato ka hukm diya (To main us par qaaim hun)
⚘1 ⌬ ➤ Zaahir aur baatin me ekhlaas ko apni pahchaan banao
⚘2 ⌬ ➤ Khushi aur naraazgi,dono haalat me insaaf karun
⚘3 ⌬ ➤ Khush haali aur tang dasti dono me bich ka raasta ekhtiyaar karun
⚘4 ⌬ ➤ Jo mujh par zulm kare use main maaf kar dun
⚘5 ⌬ ➤ Jo mujh se apna ta’alluq tode us ke saath bhi main nek sulook karun
⚘6 ⌬ ➤ Main use bhi dun jo mujhe nahi deta hai
⚘7 ⌬ ➤ jab bolun to Allah ka zikr karun
⚘8 ⌬ ➤Khamushi ki haalat me uski aayato me gaur o fikr karun
⚘9 ⌬ ➤ Jab main kisi chiz ko dekhun to usse ibrat(Nasihat) lun...✍
*📬 Ziyaun Nabi,Vol:5,Page No.303 📚*
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 45
*❢ ★ Aap ﷺ ka Husne AkhLaaq ★ ❢*
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ne achchhe akhlaaq ke baare me farmaya ki beshak aadmi apne achchhe akhlaaq ki wajah se, hamesha roza rakhne aur raaton ko uth ke namaz padhne wale ke darje tak pahunch jata hai
*📬 Tirmizi, Hadees No. 2003 📒*
⚘⌬ ➤ Aur aap ﷺ ne farmaya ki beshak tum me se qayamat ke din mujh se ziyadah qareeb aur meri nazar me ziyadah pasandida woh log honge jin ke akhlaaq achchhe honge,aur bak bak karne aur zuban darazi karne aur ghamand karne wale log qayamat ke din mujhse bahut door honge
*📬 Tirmizi, Hadees No.2018 📗*
⚘⌬ ➤ is liye hame achchhe akhlaaq apna na chahiye aur bure akhlaaq se bachna chahiye taaki ham huzur se Qareeb ho sake..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 46
*❢ 💚 ★ AAP ﷺ KA APNI UMMAT SE MUHABBAT ★ 💚 ❢*
⚘⌬ ➤ Hazrat-e-Anas radhi allaho anho se riwayat hai ki Huzur Rahmat-e-alam sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki har nabi ki ek khaas aur maqbool dua hoti hai To har nabi ne use dunya hi mein maang liya aur main ne qayamat ke din apni ummat ki shafa’at ke liye apni dua ko bacha kar rakh liya hai
*📬 Sahi Muslim,Hadees No:198,199 📘*
⚘⌬ ➤ Hazrat-e-Amar bin Aas radhi allaho
anho bayan karte hain ki Ek raat Huzur ﷺ ne us aayat ki tilawat kiya jis mein Hazrat-e-Ibrahim alaihissalam ne apni ummat ke baare mein apne Rab se dua kiya hai ki Aye mere rab un Buto ne bahut saare logo ko gumrah kar diya hai to jin logo ne meri pairwi kiya to woh log beshak mere hain
*📬 Surah Ibrahim,Aayat No.36 📗*
⚘⌬ ➤ Aur us aayat ki tilawat kiya jis mein Hazrat-e-Isa alaihissalam ne apni ummat ke baare mein Allah Ta’ala se faryaad karte hue arz kiya ki “ Aye Allah agar tu in logo ko azaab de to ye sab tere hi bande hain aur agar to in ko maaf karde to beshak to gaalib hikmat wala hai
*📬 Surah Maaida,Aayat No.118 📒*
⚘⌬ ➤ Phir Huzur ne apna haath uthaaya aur kehne lage “Ya Allah Meri ummat Meri ummat”aur Aap ﷺ rone lage To Allah Ta’ala ne farmaya ki Aye Jibreel Mere mahboob ke paas jaao aur tumhara rab khoob jaanta hai phir bhi un se puchho ki woh kyun ro rahe hain? To Hazrat-e-Jibreel aae aur huzur sallallaho alaihe wasallam se puchha to huzur sallallaho alaihe wasallam ne bataya ki mere rone ki wajah,Meri ummat ki fikr hai To hazrat-e-Jibreel ne Allah ta’ala se huzur ki baat arz kiya jab ki Allah khud jaanta hai To Allah Ta’ala ne farmaya ki aye Jibreel mere mahboob ke paas jaao aur un se kaho ki *Ham unhen un ki ummat ke baare mein raazi aur khush kardenge unhen gamgin nahi hone denge..✍*
*📬 Sahi Muslim,Hadees No.202 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 47
*★ Aap ﷺ ki WasiyaT aur NasiHaT ★*
⚘⌬ ➤ Har qaum aur mazhab ke maan ne wale log apne buzurg peshwa aur rahnumao ki wasiyato aur nasihato ka khaas khayal rakhte hain aur us par amal karne ko har haal me zaruri samajhte hain Is me koi shak nahi ki Allah Ta’ala ne musalmano ko apne mahboob ﷺ ki surat me jaisa Rahnuma ata farmaya dunya ki kisi qaum ko nahi mila aur na hi kisi ko mil sakta hai Aur ye haqiqat hai ki ham apne Rab ke is ehsaan ka shukriya apna sab kuchh luta kar bhi nahi kar sakte hain To kam se kam itna har musalman par zaruri hai ki Kuch nahi sahi to apne us mahboob paigamber ﷺ ,Jin ke sadqe me hame do jahan ki nematen haasil hui Aur jin ke nazre karam ke ham dunya aur aakhirat me mohtaaj hain aur jo hamari ummido aur aarzuo ke markaz hain ham un ki nasihato par zarur amal kare taaki ham unki nazre karam ke mustahiq ho sake Isi garaz se yahan par Aap ﷺ ki kuchh wasiyaten aur nasihaten pesh ki jaati hain..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 48
*★ Aap ﷺ ki WasiyaT aur NasiHaT ★*
*Aurato ke fitne se Bachne ki nasihaT*
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ne jis tarah auraton ke saath achchha sulook karne ki taakid farmaya usi tarah se un ke fitne se bhi bachne ki khaas taakid kiya aur apni ummat ko un se daraaya Aap ﷺ ne farmaya ki Main ne apne baad mardo ke liye aurato se bada koi fitna nahi chhoda
*📬 Ibne Majah,Hadees No.3998 📒*
⚘⌬ ➤ Aur Aap ﷺ ne farmaya ki jo shakhs mujhe apni un do chizo ki zamaanat de jo uske dono jabdo ke darmiyan hai aur jo dono tango ke darmiyan hai (Yani zuban aur sharamgaah)to main us ko jannat ki zamaanat deta hun
*📬 Sahi Bukhari,Hadees No.6474 Tirmizi,Hadees No.2408 📘*
⚘⌬ ➤ Aaj agar ham aurato ke saath najaaiz ta’alluqaat ke nuqsaan ka andaza lagana chaahe to ye mumkin nahi hai Kyunki aurato ki behayaai aur mardo ki be-raah rawi ne puri dunya ko gunaho se bhar diya hai Laakho logo ki zindagiya barbaad ho chuki hain aur laakho ghar tabaah ho chuke hain Isi liye Aap ﷺ ne is ke baare me khaas taakid kiya aur irshad farmaya ki Khabar daar Tum dunya se bacho aur auraton se bacho
*📬 Ibne Majah,Hadees No.4000 📙*
⚘⌬ ➤aur irshad farmaya ki Har subah ko Allah ke do farishte pukaar kar kehte hain Logo Barbaadi hai mardon ke liye auraton se aur auraton ke liye mardon se...✍
*📬 Ibne Majah,Hadees No.3999 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 49
*★ Aap ﷺ ki WasiyaT aur NasiHaT ★*
*💰💸 MaaL aur DauLaT ke fitne se Bachne ki WasiyaT...★↷*
⚘⌬ ➤ Maal aur daulat ka fitna bhi bada khatarnaak fitna hai Ek insaan maal aur daulat ke laalach me phans kar woh tamaam kaam kar guzarta hai jo uski dunya aur aakhirat dono ki barbaadi ka sabab ban jaata hai Isi liye huzur ﷺ ne dunya se jaane se sirf kuchh dino pehle is fitne se bachne ka khaas hukm irshad farmaya aur us ke anjaam se daraaya Aap ﷺ ne farmaya ki Mujhe is baat ka dar nahi hai ki tum log mere baad shirk karne lagoge.Haan mujhe is baat ka dar hai ki tum log dunya jama karne me ek dusre se muqaable karoge.Is wajah se tum halaak hoge jaise pehle ki qaumen halaak hui
*📬 Sahi Muslim,Hadees No.2296.Ibne Majah,Hadees No.3997 📒*
⚘⌬ ➤ Ek dusre mauqe par Aap ﷺ ne farmaya ki Logo par ek aisa zamaana aaega ki woh is baat ki parwah nahi karenge ki un ke paas maal haraam zariye se aaya ya halaal zariye se Aur Aap ne farmaya ki Har ummat ke liye ek fitna hota hai aur meri ummat ka fitna maal hai...✍
*📬 Al-Mustadrak,Hadees No.7896 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 50
*★ Aap ﷺ ki WasiyaT aur NasiHaT ★*
*📑 Kitaab aur SunnaT par amaL karne aur AHLe sunnaT wa jamaa’at ke saath Rehne ki WasiyaT...★↷*
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ne baar baar apni ummat ko is baat se khabar daar kiya ki mere baad log alag alag firqo me batt jaaenge aur tarah tarah ki gumrahiyo ki wajah se jahannam me jaaenge.Is liye tum har haal me kitaab o sunnat par amal karna aur Ahle sunnat wa jamaa’at ke saath rahna aur apne deen ko dunya ke badle me nahi bechna kyunki yahi woh maslak hoga jis ki pairwi karne wale sidhe raaste par honge aur jannat mein jaaenge
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ne Kitaab(Quran) aur sunnat ke baare me taakid karte hue irshad farmaya ki Aye logo Main ne tum me do chizen chhoda hai, Agar tum un ka daaman mazbuti se thaame rahoge to tum kabhi gumrah nahi hoge Un me se ek Allah ki Kitaab hai aur dusri tumhare nabi ki sunnat hai
*📬 Al-Mustadrak,Hadees No.318-319 📒*
⚘⌬ ➤ Sunnat ke saath saath Aap ﷺ ne Jama’at ke saath rehne ka bhi taakid kiya Aur farmaya ki Qasam hai us zaat ki jis ke qabza e qudrat me Muhammad ki jaan hai Meri ummat zarur 73 firqo me batt jaaegi to un me se sirf ek jannati hoga aur baaqi 72 firqe jahannami honge Puchha gaya ki Ya Rasoolallah ﷺ Woh ek jannati kaun hoga? To Aap ﷺ ne farmaya ki Woh jama’at hai..✍
*📬 Ibne Majah,Hadees No.3992-3993 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 51
*★ Aap ﷺ ki WasiyaT aur NasiHaT ★*
*📑 Kitaab aur SunnaT par amaL karne aur AHLe sunnaT wa jamaa’at ke saath Rehne ki WasiyaT...★↷*
⚘⌬ ➤ Isi tarah se Aap ﷺ ne ek dusre maqaam par farmayaRαkHem log musalmano ki badi jama’at ki pairwi karna kyunki jo us se alag hoga woh jahannam me daala jaaega Aur farmaya ki Jo shakhs ek baalisht barabar bhi jama’at se alag hua usne Islam ki Rassi ko apni gardan se utaar phenka Aur farmaya ki Mere baad aise aise log honge Jab tum aise logo ko dekho jo jama’at se alag ho rahe ho to tum unhe qatal kar do Kyunki jama’at se alag hone wala aisa hai jaise meri ummat se alag ho gaya Beshak Allah ki madad jama’at ke saath hai aur jama’at se alag hone wale ke saath shaitan hai
*📬 Shoabul Imaan,Hadees No.7106 📒*
⚘⌬ ➤ Khud Allah Ta’ala ne bhi musalmano ki badi jama’at ke saath rehne aur sunnat ki pairwi karne hi ko sahi raasta qaraar diya Jaisa ki Allah Ta’ala ne irshad farmaya ki Aur jo mokhaalifat kare Rasool ki is ke baad ki hidayat zaahir ho chuki aur aam musalmano ke raaste ke elawah kisi dusre raaste ki pairwi kare to us ko ham pher denge jidhar woh phira aur use jahannam me daal denge aur woh kya hi buri jagah hai
*📬 Surah Nisa,Aayat No.112-115 📘*
⚘⌬ ➤ In tamaam aayat aur hadeeso se maloom ho gaya ki Musalmano ki sab se badi jama’at Ahle sunnat wa jama’at hi ke saath rehne me bhalaai hai Is ke elawah aur koi raasta nahi hai jo insaan ko nijaat dila sake..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 52
*★ Beta aur SeeraT -e- Mustafa ﷺ ★*
⚘⌬ ➤ Huzur ﷺ ke dunya me aane se pehle jis tarah log aur bahut saari buraaiyan karte the usi tarah apne maa baap ke saath bhi bada ghatiya sulook kiya karte the.Un ke bure sulook ka andaaza is baat se lagaya jaa sakta hai ki Jab us zamaane me kisi ke baap ka inteqaal ho jaata tha toh us ke bete jab apne baap ke maal aur daulat ko aapas me baant te the to “Maa” ko bhi ek maal samajh kar baant lete the aur “Maa” jis ke hisse me aati thi to woh ya to khud apni maa se shadi kar liya karta tha ya use bech kar maal aur daulat haasil kar liya karta tha (Tauba)
⚘⌬ ➤ Huzur ﷺ ne dunya se in tamaam buraaiyo ko khatam farmaya. Aur logo ko maa baap ka sahi maqaam aur martaba bataya Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Tumhare maa baap tumhare liye jannat bhi hain aur dozakh bhi hain Yani unki izzat-o-ehteram aur khidmat karna tumhare jannat me jaane ka sabab hai aur unki beizzati aur naa-farmabardari karna tumhare dozakh me jaane ka sabab hai..✍
*📬 Ibn-e-Maja,hadiss No.3662 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 53
*★ Beta aur SeeraT -e- Mustafa ﷺ ★*
⚘⌬ ➤ Aur Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki us shakhs ki naak mitti me mil jaae aur woh zalil ho jaae jo apne maa baap dono ya ek ko budhaape me paaya lekin un ki khidmat nahi kiya ki jannat me chala jaata
*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2551 📒*
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ne jis tarah logo ko apne maa baap ki khidmat aur un ki izzat karne ki taalim diya usi tarah aap ne khud bhi kar ke dikhaya Chunancha Aap Sallallaho alaihe wasallam ke apne maa baap to aap ke bachpane hi me inteqal farmaa gaye the lekin doodh ke rishte se jo Aap ke maa baap the woh zinda the Woh jab Aap ke paas aate to aap un ki taazim ke liye khade ho jaate aur un ke baithne ke liye apni paak chaadar bichha dete aur un ki zarurato ko puri farmate the Ek martaba sakht Qahat saali hui to aap ne apni doodh ke rishte se lagne wali maa hazrat-e-Halima radhi allaho anha ko 40 bakriya aur ek oont ata farmaya...✍
*📬 Ziyaunn Nabi,Vol:2,Page No.93-94 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 54
*★ Beta aur SeeraT -e- Mustafa ﷺ ★*
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ne maa baap ke baare me bahut kuchh farmaya jin par amal kiye begair koi beta kaamyab nahi ho sakta Yahan par is ke baare me Aap ﷺ ki kuchh baaten pesh ki jaati hain Padhye aur amal kijiye
*⚘1 ⌬ ➤* Aap ﷺ ne farmaya ki Maa baap ki baat nahi maan ne wale shakhs ki taraf Allah ta’ala qayamat ke din rahmat ki nazar nahi farmaega aur woh jahannam me jaaega
*📬 Sunan Nisa’ee,Hadis No.2562 📗*
*⚘2 ⌬ ➤* Aap ﷺ ne irshad farmaya ki Sab gunahon ki saza Allah ta’ala chaahe to Qayamat tak taal deta hai magar maan baap ki naa’farmabardari ki saza marne se pehle dunya hi me deta hai
*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2551 📘*
*⚘3 ⌬ ➤* Aap ﷺ ne farmaya ki Sab se bada gunah Allah ke saath kisi ko sharik karna,Maa baap ki naafarmani karna,Jhooti gawahi dena aur jhoot bolna hai
*📬 Tirmizi,Hadis No.1901 📒*
*⚘4 ⌬ ➤* Aap ﷺ ne farmaya ki Jab aulad apne maa baap ki taraf mohabbat se dekhta hai to Allah Ta’ala us ke har nazar ke badle use ek maqbool haj ka sawab ata farmata hai Sahaba ne arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ Agar koi ek hi din me 100 baar dekhe to kiya use 100 haj ka sawab milega?To Aap ﷺ ne farmaya ki Haan Allah Ta’ala bada hai aur bahut dene wala hai..✍
*📬 Sho’abul Imaan,Hadis No.7472 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 55
*★ Beta aur SeeraT -e- Mustafa ﷺ ★*
*⚘5 ⌬ ➤* Hazrat-e-Moaawiya bin jaahima radhi allaho anho bayan karte hain ki main huzur ﷺ ke paas gaya aur jehaad me jaane ki ijazat maangi to huzur ﷺ ne mujh se puchha ki Kya tumhari maa zinda hai?Main ne kaha ki Haan To Aap ﷺ ne farmaya ki jaao un ki taazim aur khidmat karo aur us se chimte raho kyunki jannat uske qadmo ke paas hai
*📬 Sho’abul Imaan,Hadis No.7448 📒*
*⚘6 ⌬ ➤* Hazrat-e-Abu Usaid Saaedi radhi allaho anho bayan karte hain ki Ham log Huzur ﷺ ke paas baithe hue the ki qabila bani salma ka ek shakhs aaya aur arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ Mere maa baap inteqal kar chuke hain To kya ab bhi un ke saath ehsaan karne ka koi tariqa hai? To Aap ﷺ ne farmaya ki Haan Un ke liye dua aur istigfaar karo aur unhone jo ahad kiya tha use pura karo aur jis rishte wale ke saath unhi ki wajah se achchha sulook kiya jaa sakta ho un ke saath achchha sulook karo aur un ke dosto ki izzat karo
*📬 Abu Dawood,Hadis No.5142.Al-Mustadrak,Hadis No.7260 📒*
⚘⌬ ➤ Yaad rakhein Huzur ﷺ ki in paakiza taalim par amal kiye begair koi aulad khush haal nahi reh sakti Kyunki Huzur ne bataya ki Maa baap ki khushi me Allah ki khushi hai aur un ki naraazgi me Allah ki naraazgi hai...✍
*📬 Tirmizi,Hadis No.1899.Shoabul Imaan,Hadis No.7446 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 56
*★ BaaP aur Seerat -e- Mustafa ﷺ ★*
⚘ ⌬ ➤ Apne bachcho ke liye ek achcha baap hone ki haisiyat se hamara un ke saath kaisa sulook hona chaahiye aur hamari kya zimmedariyaan hain Is baare me Huzur ﷺ ki zindagi hamare liye sab se behtarin namuna hai
⚘ ⌬ ➤ Aap sallallaho alaihe wasallam apni auladon se badi mohabbat farmate the aur un ki tamaam zaruri’yaat puri karte the lekin mohabbat aur ulfat ke baa’wajood unhen kabhi bhi galat raaste par chalne ki ijazat nahi dete the aur hamesha shari’at ke mutabiq zindagi guzarne ki taakid farmate the Hazrate Imam Hasan radhi allaho anho ke bach’pane me huzur ki baargah me sadqe ka khajur aaya to us me se ek khajur Hazrat-e-Imam Hasan ne khaane ke liye utha liya,achanak huzur ki nazar padi to Aap sallallaho alaihe wasallam ne fauran un ke haath se khajur le liya aur unhen samjhate hue kaha ki Beta! Nabi ki auladon ke liye sadqe ki koi chiz khana jaa’iz nahi hai
⚘ ⌬ ➤ Hame bhi chaahiye ki ham apne bachchon ki achchhi tarbi’yat kare aur un ke andar bachpan hi se shari’at ki pabandi karne ki aadat daale kyunki tarbi’yat ka asal zamana bachpan hi ka zamana hota hai Aap Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jab tumhari aulad ki umar 7 saal ki ho jaae to use namaaz padhne ka hukm do aur jab 10 saal ki ho jaae (aur nahi padhe)to maar kar padhao aur un ke bistar alag kardo...✍
*📬 Sunan Abu Dawood,Hadis No.495.Tirmizi,Hadis No.407 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 57
*★ BaaP aur Seerat -e- Mustafa ﷺ ★*
⚘ ⌬ ➤ Magar aj bahut saare log jab apne bachchon ko shariat ke khilaaf kaam karte dekhte hain ya galat baat bolte hue sunte hain to use samjhane ke bajaae ye keh kar chhod dete hain ki “Abhi to ye bachcha hai bada ho kar khud samajh jaaega”Ye huzur ka tariqa nahi hai Dekha gaya hai ki jo bachche bachpan me sirf ek do rupiye churate the bade ho kar laakhon rupiye churate hain aur kabhi kabhi is ke liye logo ki jaan bhi le lete hain Aur is tarah se woh dusro ke liye bhi bure hote hain aur apni zaat ke liye bhi
⚘ ⌬ ➤ Huzur nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki woh tohfe jo ek baap apne bachchon ko deta hai un me sab se achcha tohfa “Nek adab”sikhana hai
*📬 Al-Mustadrak llil-haakim,Hadith No.7679 📒*
⚘ ⌬ ➤Aur Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Allah ki Qasam Agar tum me se koi apne bachche ko adab sikhae to ye har din do kilo sadqa karne se behtar hai
*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.7680 📒*
⚘ ⌬ ➤ is liye hame apne bachchon ki tarbiyat ka khaas khayal rakhna chaahiye
⚘ ⌬ ➤ Ek baap jo apne bachcho ki achchhi tarbiyat nahi kar sake woh kabhi bhi ek achchha baap nahi ho sakta...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 58
*★ BHai aur Seerat -e- Mustafa ﷺ ★*
⚘ ⌬ ➤ Huzur ﷺ ki shari’at ke etebaar se har musalman dusre musalman ka bhai hai Aur ek achchha bhai wahi hai jo apne bhai hone ka haq ada karta hai Aap ﷺ ne khud un huqooq ko ada farmaya Chunancha Aap ﷺ ke sage bhai to nahi the magar jab Aap ne apne chacha zaad bhai Hazrat-e-Ali radhi allaho anho ko tangi me dekha to Aap ﷺ ne apne chacha Abu Talib se darkhast kar ke un ki parwarish ki zimmedari apne sar le liya aur un ki parwarish farmaya
*📬 Ziyaun Nabi,Vol:2,Page No.229-230 📒*
⚘ ⌬ ➤ Aur Apni ummat ko bhi apne bhaiyo ke saath hamdardi,pyaar, mohabbat aur ulfat karne aur bhai hone ke taqaazo ko pura karne ka paakiza dars diya Yahan par aap ﷺ ki un paakiza dars me se kuchh pesh kiya jaata hai Padhiye aur amal bhi kijiye...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 59
*★ BHai aur Seerat -e- Mustafa ﷺ ★*
⚘1⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Ek musalman dusre musalman ka bhai hai To jo shakhs apne bhai ki zarurat ko puri karta hai Allah ta’ala uski zarurat ko puri farmata hai Aur jo shakhs apne kisi musalman bhai ki koi dunyawi mushkil ko hal karta hai Allah ta’ala uski qayamat ki mushkilo me se koi mushkil hal farmaaega Aur jo shakhs apne musalman bhai ke aibo ko chhupata hai Allah Ta’ala qayamat ke din us ke aibo ko chhupaaega
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.2310 📒*
⚘2⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Allah Ta’ala apne bande ki madad karta rahta hai jab tak banda apne bhai ki madad karta rahta hai
*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2699 📕*
⚘3⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Zar radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Tumhara apne musalman bhai se muskura kar milna bhi sadqa hai..✍
*📬 Tirmizi, Hadis No. 1956 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 60
*★ BHai aur Seerat -e- Mustafa ﷺ ★*
⚘4⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Tum me se koi bhi shakhs us waqt tak mukammal imaan wala nahi ban sakta jab tak ki woh apne bhai ke liye wahi chiz nahi pasand kare jo apne liye karta hai
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.13 📒*
⚘5⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Tum apne bhai ki madad karo chaahe woh zaalim ho ya mazloom Ek shakhs ne arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ Agar woh mazloom ho to main uski madad karunga lekin mujhe ye bataaiye ki agar woh zaalim ho to main uski madad kaise karunga?To Aap ﷺ ne farmaya ki use zulm karne se rok kar..✍
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.2311 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 61
*★ BHai aur Seerat -e- Mustafa ﷺ ★*
⚘6⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Musalman musalman ka bhai hai Woh nahi us se khayanat karta hai aur nahi us se jhoot bolta hai aur nahi use zalil karta hai Har musalman par dusre musalman ki izzat,us ka maal aur us ka khoon haraam hai (Aap ﷺ ne dil ki taraf ishara karte hue farmaya ki) Taqwa aur parhezgaari yahan hai Kisi insaan ke bure hone ke liye itna hi kaafi hai ki woh apne kisi musalman bhai ko haqeer samjhe
*📬 Tirmizi,Hadis No.1927 📒*
⚘ ⌬ ➤ Aaj ke is bedhang society me jab ki har bhai apne bhai ke khoon ka piyasa bana hua hai Aur har ek dusre ko zalil aur ruswa karne ke pichhe pada hua hai Baat baat me ladaai jhagda aur gaali galoj karna ek dilchasp kaam ban chukka hai Bhai bhai ka haq maar raha hai.Jis ki wajah se puri society ek azib dard aur karb se karaah raha hai Aisi surat me agar saare bhaiyo ko in mushkilo aur uljhano se koi nikaal sakta hai to woh sirf huzur ki seerat ko apnana hai Allah ta’ala ham sab ko huzur ki seerat apnane ki taufiq ata farmaae..✍ *AameeN*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 62
*★ SHauHaR aur SeeraT -e- MusTafa ﷺ ★*
⚘⌬ ➤ Aap Sallallaho alaihe wasallam apni biwiyo ke liye dunya ke sab se achhchhe shauhar the Yahi wajah thi ki Aap Sallallaho alaihe wasallam ke ghar mein zaaheri aur dunyawi etebar se itni tangi hoti thi ki kabhi kabhi ek ek mahina cholha nahi jalta tha aur sirf paani aur chhohare par guzar hota tha Us ke baad bhi Aap Sallallaho alaihe wasallam ki biwiya aap ke saath rehne ko puri dunya par hukumat karne se behtar samajhti thi
⚘⌬ ➤ Aaj jab ki bahut saare ghar miya aur biwi ke aapasi jhagde aur roz roz ke tu tu main main ki wajah se jahannam ban chuke hain Zarurat hai ki ham in jhagdo ko khatam karne ke liye Huzur ki seerat ko apnaein Jo dunya aur aakhirat dono jagah kaamyabi dilane wali hai...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 63
*★ SHauHaR aur SeeraT -e- MusTafa ﷺ ★*
*⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ka apni Biwiyo ke Saath MuhabbaT ka SuLook*
⚘1⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki Ek baar main aur Huzur ﷺ ne daur lagaaya to main huzur se aage nikal gayi Phir jab mera wazan kuchh badh gaya to phir ek baar ham ne daur lagaaya to huzur mujh se aage nikal gaye To Aap ﷺ ne mujh se farmaya Aye Aaisha Ye us din ka badla hai
*📬 Abu Dawood,Hadis No.2578 📒*
*⚠NOTE* Huzur ﷺ se koi bhi shakhs kisi bhi maamle mein aage nahi badh sakta magar pehli baar Aap ﷺ ne sirf muhabbat ke taur par jaan bujh kar pichhe reh gaye
⚘2⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki Main aur Rasoolallah ﷺ ek hi bartan se gusal karte to kabhi main pehle paani utha leti aur kabhi Rasoolallah ﷺ
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.261 📚*
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ akele bhi gusal kar sakte the magar sirf achhchhe sulook ki wajah se aisa karte the..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 64
*★ SHauHaR aur SeeraT -e- MusTafa ﷺ ★*
*⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ka apni Biwiyo ke Saath MuhabbaT ka SuLook*
⚘3⃣ ⌬ ➤ Ummul Momineen Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki Main ek piyale se paani peti to Rasoolallah ﷺ apna hont usi jagah rakh kar paani pite jahan se main piti
*📬 Sahi Muslim,Hadis No.300 📚*
⚘⌬ ➤ Apni biwiyo ke saath agar ham bhi is tarah se muhabbat ka sulook kare to phir jhagda khud khatam ho jaaega Magar kuchh log apni biwiyo se har waqt jang karne ke liye tayyar rehte hain Aur baat baat mein unhe maarte pithte aur bura bhala sunaate rehte hain Un logo ko Huzur ki ye hadis dil ki gahraiyo se padhni chaahiye..✍
••──────────────────────••►
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 65
*★ SHauHaR aur SeeraT -e- MusTafa ﷺ ★*
*⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ka apni Biwiyo ke Saath MuhabbaT ka SuLook*
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ne irshad farmaya ki:Mukammal imaan wale momin woh hain jo apne akhlaaq mein achchhe hon Aur tum mein sab se achhchha woh hai jo apni biwiyo ke haq mein achhchha hai
*📬 Tirmizi,Hadis No.1262 📕*
⚘⌬ ➤ Aur Aap ﷺ ne irshad farmaya ki Koi Musalman mard kisi musalman aurat se dushmani nahi rakhe Agar woh kisi ki kisi ek aadat se naraaz hota hai to uski dusri aadat se khush ho jaae
*📬 Sahi Muslim,Hadis No.1469 📒*
⚘⌬ ➤ Hazrat-e-Moaawiya bin Hidah radhi allaho anho bayan karte hain ki Main ne Huzur ﷺ se puchha ki Ya Rasoolallah ﷺ !Ham mein se kisi par uski biwi ka kya haq hai? To Aap ﷺ ne farmaya ki Jab tum khaao to use bhi khilaao,Jab tum pehno to use bhi pehnao,Us ke muh par nahi maaro,Use bure lafz nahi kaho aur use apne se alag nahi karo magar (sakht zarurat ho to)ghar hi mein..✍
*📬 Abu Dawood, Hadis No.2142 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 66
*★ MaLik AuR SeeraT -e- MusTafa ﷺ ★*
⚘⌬ ➤ Ek achhchha malik hone ki haisiyat se hamara apne khidmat karne wale aur naukaro ke saath kaisa sulook hona chahiye?Is baare mein Nabi kareem ﷺ ki seerat puri dunya ke liye sab se behtarin namuna hai
⚘⌬ ➤ Aap ﷺ ka apne khaadimo ke saath sulook Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Main 10 saal tak Aap ﷺ ki khidmat mein raha Allah ki Qasam Aap ne kabhi mujhe uff tak nahi kaha Aur nahi kabhi ye kaha ki tum ne falan kaam kyun nahi kiya ya falan kaam kyun kiya?
*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2309 📒*
⚘⌬ ➤ Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki Huzur ﷺ ne jehaad ke elawah kabhi kisi ko apne haath se nahi maara,Nahi kisi naukar ko maara aur nahi kisi aurat ko...✍
*📬 Shamaail-e-Tirmizi,Page No.596 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 67
*★ MaLik AuR SeeraT -e- MusTafa ﷺ ★*
⚘⌬ ➤ aisi muhabbat aur shafqat farmate the Us ka andaaza hazrate Zaid ke waqiye se lagaaya jaa sakta hai ki Hazrat-e-Zaid bachpane hi mein apne maa baap se bichhad gaye aur gulam ki surat mein Huzur ke darbaar tak pahuche Ek zamaane tak un ke maa baap apne bete Zaid ki judaai mein rote rahe aur un ko talaash karte rahe Aakhir mein jab un ko maloom hua ki un ka beta Zaid Makka mein hai To apne bete ko wapas laane ke liye udd kar Makka pahuche aur huzur se kaha ki aap jitna bhi rupiya paisa lena chaahte hain le lijiye aur hame hamara beta de dijiye To Aap ﷺ ne farmaya ki Mujhe rupiyo ki zarurat nahi Haan Main ye chaahta hun ki Zaid ko ekhtiyar do agar woh aap ke saath jaana chaahe to hame koi eteraaz nahi aur agar woh hamaare saath rehna chaahe to us par zabar dasti nahi karna Phir Hazrat-e-Zaid ko ekhtiyar diya gaya ki agar chaaho to apne walid ke saath apne ghar chale jaao aur chaaho to yahi raho To un hone begair kisi jhijhak ke kaha Ya Rasoolallah ﷺ Main aap ko chhod kar aur kahein jaane ke liye soch bhi nahi sakta Aap hi mere baap hai aur aap hi mere chacha hain Is par un ke walid ne kaha Aye Zaid Tum par afsos hai Tum azaadi ke bajaae gulami ko aur apne maa baap ke saath rehne ke bajaae in ke saath rehna pasan karte ho Tumhein kya ho gaya hai To Hazrat-e-Zaid ne farmaya Aye mere baap Dunya mein in se zyada muhabbat aur pyaar dene wala koi nahi Main inhe chhod kar kahin aur jaane ke baare mein soch bhi nahi sakta..✍
*📬 Ziyaun Nabi,Vol:2,Page No.158-159 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 68
*★ MaLik AuR SeeraT -e- MusTafa ﷺ ★*
⚘⌬ ➤ Gulamo,Naukaro aur mazduro ke baare mein Aap ﷺ ki hidayat Jis tarah Aap ﷺ ne khud apne gulamo aur khadimo ko saath achhchha sulook kiya usi tarah apni ummat ko bhi is ki hidayat farmaya
⚘1⃣ ⌬ ➤ Aap ﷺ ne farmaya ki Tumhari khidmat karne wale tumhare bhai hain Jinhe Allah Ta’ala ne tumhare niche kar diya hai To har woh shakhs jis ke niche us ka bhai ho use wahi khilaae jo khud khaata hai aur use waisa hi pehnaae jaisa khud pehanta hai Aur us par kaamo ka itna zyada bojh nahi daale ki woh nahi kar sake aur agar daale to us ke kaam mein madad kare
*📬 Tirmizi,Hadis No.1945 📔*
⚘2⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Ek shakhs Huzur ﷺ ke paas aaya aur arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ Main apne khaadim ko kitni baar maaf karun? To Aap ﷺ khamush rahe Phir unhone kaha Ya Rasoolallah ﷺ Main apne khaadim ko kitni baar maaf karun? To Aap ﷺ ne farmaya ki Har din 70 baar...✍
*📬 Tirmizi,Hadis No.1949 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 69
*★ MaLik AuR SeeraT -e- MusTafa ﷺ ★*
⚘3⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Bakar radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Bad kirdaar maalik jannat mein nahi jaaega
*📬 Tirmizi,Hadis No.1946 📕*
⚘4⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Mazduro ko pasina sukhne se pehle uski mazduri de do
*📬 Ibn-e-Maajah,Hadis No.2443 📒*
⚘5⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki 3 tarah ke logo ke khilaaf qayamat ke din main khud ladunga Ek to woh shakhs jis ne mera naam le kar kisi ko kisi baat ka yaqin dilaaya aur jab us ne mere naam ki wajah se yaqin kar liya to us ne dhoka de diya.Dusra woh shakhs jis ne kisi azaad admi ko bech kar us ki qimat khaa liya Tisra woh shakhs jis ne kisi ko mazduri par rakha,Phir kaam to pura liya lekin uski mazduri nahi diya...✍
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.2270.Ibne Maajah,Hadis No.2442 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 70
*★ RishTedaaR AuR SeeraT - e - MusTafa ﷺ ★*
⚘⌬ ➤ Aaj ke daur mein ek rishtedaar daulat ki bahut zyada hone ki wajah se shandaar se shaandaar mahlo mein aish ki zindagi guzaar raha hai Un ke bachche dunya ki behtarin se behtarin kapde pehan rahe hain Ek se badh kar ek khaane khaa rahe hai aur dunya ki har aish aur aaram wali chiz se lutf utha rahe hain jab ki un ki nazron ke saamne us ke rishtedaar bhok se bilak rahe hain Aur un ke bachche faaqe karne par majbur nazar aa rahe hain Un ke badan par normal libaas bhi nazar nahi aa raha hai Us ke baad bhi un ke dil mein rahm o karam ka koi jazba nazar nahi aata. Balki kabhi kabhi un ki garibi aur muflesi ki wajah se un se rishta kata jaata hai aur qaribi se qaribi hone ke baad bhi pahchaan ne tak se inkaar kar diya jaata hai Jis ki wajah se hamare society mein bahut saare log taklif aur musibat ki is maar se karaah rahe hain Aisi haalat mein hamare society ko in taklifo se agar koi nikaal sakta hai to woh huzur ﷺ ki paakiza seerat aur aap ki behtarin taalim hai Is liye yahan par rishtedaaro ke baare mein aap ﷺ ki seerat aur aap ki paakiza taalimat pesh ki jaati hain...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 71
*★ RishTedaaR AuR SeeraT - e - MusTafa ﷺ ★*
*⚘⌬ ➤ Rishtedaaro ke saath Aap ﷺ ki hamdardiya* Aap ﷺ ke chacha apne dusre bhaiyo ki tarah khush haal nahi the Aksar tangi ka saamna rehta tha Makka mein jab Qahat pada to is se un ki maali haalat aur kamzor ho gayi Aap ﷺ ko un ki ye taklif nahi dekhi gayi to Aap ne apne chacha Hazrat-e-Abbas radhi allaho anho ke paas gaye aur unhe is baat par ubhara ki ham logo ko mil kar janab-e-Abu Talib ka bojh baant lena chaahiye Un ke ek bete ki parwarish ki zimmedari main le leta hun aur ek ki aap le lijiye Is tarah un ka bojh halka ho jaaega.Phir aap ﷺ aur hazrate Abbas,Abu Talib ke paas gaye aur un se apne aane ka maqsad bayan kiya Abu Talib ke 4 bete the Talib,Aqeel, Zaafar aur Ali Unhone kaha ki Talib aur Aqeel ko mere paas rehne dijiye aur baaqi ke baare mein aap logo ki jo marzi ho Karen To Huzur ﷺ ne Hazrat-e-Ali ko le liya jo sab se chhote the aur Hazrat-e-Zaafar ko Hazrat-e-Abbas ne le liya
*📬 Ziyaun Nabi,Vol:2,Page No.229-230 📚*
⚘⌬ ➤ Is tarah se aap ne apne chacha ka sahara bane aur un ka bojh halka kiya In ke elawah Aap ke aur bhi jo rishtedaar the aap un ki zindagi bhar khair khaahi karte rahe Yahan tak ki jo doodh ke rishte se bhi aap ke rishtedaar the un ka bhi khayal farmate rahe Jaisa ki ek baar jab Qahat hui to aap ﷺ ne doodh ke rishte se lagne wale maa baap ko 40 bakriya aur ek oont ata farmaya Aur apni ummat ko bhi yahi taalim diya Yahan par un mein se kuchh pesh kiya jaata hai...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 72
*★ RishTedaaR AuR SeeraT - e - MusTafa ﷺ ★*
*⚘⌬ ➤ Rishte Daaro ke Saath Aap ﷺ ki HamdardiYa..°°•.*
⚘1⃣⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Raham (Yani Rishta) Rahman se nikla hai Aur Allah Ta’ala ne rishte ke baare mein farmaya ki Jo tujhe milaaega main use milaonga aur jo tujhe kaatega main use kaatunga,
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.5988 📒*
⚘2⃣⌬ ➤ Hazrat e Abu huraira radhi allaho ta’ala anho bayan karte hain ki maine Rasoolallah sallallaho alihe wasallam se arz kiya Ya Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam!Mujhe aise kaam bataeye ki agar main usko karun to jannat mein dakhil ho jaon Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya Salaam ko phailao, khana khilao,aur rishtadaro ke sath achhchha sulook karo aur raat mein jab log so jaae to uth kar namaaz padho to salaamati ke saath jannat mein dakhil ho jaoge...✍
*📬 Al-Mustadrak,hadis No.7278 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 73
*★ RishTedaaR AuR SeeraT - e - MusTafa ﷺ ★*
*⚘⌬ ➤ Rishte Daaro ke Saath Aap ﷺ ki HamdardiYa..°°•.*
⚘3⃣⌬ ➤ Hazrat e Aasim radhi allaho ta’ala anho bayan karte hain ki Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya Jis ko ye pasand ho ki uski umr mein darazi (yani barkat ho) aur rizq mein kushadgi ho aur buri maut se mahfuz rahe, woh Allah se darta rahe aur rishtadaro ke saath achhchha sulook kare
*📬 Bukhari, hadis No.5985.Al-Mustadrak,hadis No.7280 📒*
⚘4⃣⌬ ➤ Hazrat e Abdullah bin Umr radhi allaho ta’ala anhuma se riwayat hai ki Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam ne irshad farmaya achhchha sulook iska naam nahi ki badla diya jaae,yani us ne uske saath ehsan kiya to usne bhi uske saath kardiya balke achhchha sulook karne wala woh hai ke udhar se kaata jaata ho lekin phir bhi ye jodta ho..✍
*📬 Bukhari,hadis No.5991.Muslim,hadis No.2908 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 74
*★ RishTedaaR AuR SeeraT - e - MusTafa ﷺ ★*
*⚘⌬ ➤ Rishte Daaro ke Saath Aap ﷺ ki HamdardiYa..°°•.*
⚘5⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Jubair bin Mutim radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Rishta kaatne wala jannat mein nahi jaaega
⚘6⃣ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Apne nasab ko pahchano taki un ke saath achhchha sulook kar sako Kyunki agar rishte ko kata jaae to agarche qarib ho woh qarib nahi hai Aur agar joda jaae to door nahi hai agarche door ho
*📬 Al-Mustadark,Hadis No.7283 📒*
⚘⌬ ➤ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke in taalimat par amal kiye begair ham kabhi kabhi apne society ko ek achhchha society nahi bana sakte Is liye ham sab par zaruri hai ki huzur ki seerat aur taalim par amal kare aur apne rishtedaro ke saath behtarin sulook kare kyunki isi mein hamari dunya aur aakherat ki kaamyabi hai..✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 75
*★ PaDosi AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★*
❈•───────❈───────•❈
⚘⌬ ➤ Apne padosiyo ko apne fitne aur bura’ee se mehfuz rakhna,unki izzat-o-aabru ka khayal rakhna ,takleef o musibat mein ek dusre ke kaam aana har padosiyo ka akhlaaqi aur deeni fariza hai aur hasbe taufeeq unki madad karna rehmat e ilahi ke husool ka zariya hai Aap ﷺ ne khud zindagi bhar apne padosiyo ke haq ko ada farmaya aur apni ummat ko bhi yahi taalim diya Aur un ke saath galat sulook karne ke anjaam se daraya Yahan par padosi ke baare mein Aap ﷺ ki kuchh baatein pesh ki jaati hain
⚘1⃣ ⌬ ➤ Aap sallallaho alaihe asallam ne farmaya ki woh jannat meni nahi jaaega jo apne padosi ko taklif pahuchata hai..✍
*📬 Muslim hadis No.46 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 76
*★ PaDosi AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
⚘2⃣ ⌬ ➤ Aap sallallaho alaihe wasllam ne irshad faramaya ki woh Momin nahi jo khud pet bhar ke khaae aur uska padosi uske bagal mein bhuka rahe
*📬 Al-Mustadrak hadis No.7307 📔*
⚘3⃣ ⌬ ➤ Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya Allah ke nazdeek saathiyo mein woh behtar hai jo apne saathi ka khair khaa ho aur padosiyo mein Allah ke nazdeek woh behtar hai jo apne padosiyo ka khair khaa ho
*📬 Tirmizi,hadis No.1944 📘*
⚘4⃣ ⌬ ➤ Aap sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jo ye pasand karta ho ke Allah aur uske Rasool us se muhabbat kare to use chahiye ke woh sach bole, amanat ada kare aur apne padosiyo ko takleef na pahuchaae...✍
*📬 Sh’abul imaan, hadis No.9104 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 77
*★ PaDosi AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
⚘5⃣ ⌬ ➤ Aap sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jo Allah aur qayamat ke din par imaan rakhta hai to use chahiye ki woh apne padosi ko takleef nahi de aur uski izzat kare aur us ke saath achhchha sulook kare
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.6018.Sahi Muslim,Hadis No.47 📔*
⚘6⃣ ⌬ ➤ Hazrat e Abu huraira radhi allaho anho se riwayat hain ki Ek shaks ne arz kiya Ya Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam falan aurat ke bare mein bataya jata hai ki namaz,roza aur sadqa bahut karti hai magar ye baat bhi hai ki woh apne padosiyon ko takleef bhi pahuchati hai Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki woh jahannam mein hai Unhone kaha Ya Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam Aur falaan aurat ke bare mein kaha jata hai ki Us ke namaaz,roza aur sadqa mein kami hai (yani woh farz namaz ke ilawah nafli namaz wagairah zyada nahi padhti hai) magar woh paneer ke tukde sadqa karti hai aur apne zubaan se padosiyo ko takleef nahi deti hai Aap sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya woh jannat mein hai..✍
*📬 Al mustadrak,Hadis No. 7304. Shu’bul imaan hadis No.9098 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 78
*★ PaDosi AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
⚘7⃣ ⌬ ➤ Aap sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Apne padosi ki aurat ke saath zina karne ka gunah dusri 10 auraton ke saath zina karne se badh kar hai aur apne padosi ke ghar chori karne ka gunah dusre 10 ghar mein chori karne se badh kar hai
*📬 Shoabul Imaan,Hadis No.9105 📘*
⚘ ⌬ ➤Huzur ﷺ ki taalim par amal karne wala hi sachcha musalman hai Is liye ham sab ko chahiye ki huzur ki in paakiza taalimaat par amal kare
🌹🤲🏻 AllaH Ta’ala ham sab ko nekiyo ki taufeeq ata farmaae *AameeN*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 79
*⚘★ GariBo ki MaDaD AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★⚘*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
⚘ ⌬ ➤ Har jagah par kuchh garib,faqeer,be sahara log rehte hain jin ko logo ki madad aur sahaare ki zarurat hoti hai Huzur ﷺ ne khud aise logo ki zindagi bhar madad farmaya aur apne paas aane wale kisi be sahaara ko khaali waapas nahi hone diya Jaisa ki Hazrat-e-Jaabir bin Abdullah radhi allaho anho bayan karte hain ki Aisa kabhi nahi hua ki ki Rasoolalla Sallallaho alaihe wasallam se kisi ne kuchh maanga ho aur aap ne “Nahi” farmaya ho,
*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2311 📔*
⚘ ⌬ ➤ Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki ek shakhs ne huzur Sallallaho alaihe wasallam se do pahaadon ke bich mein char rahi tamaam bakriya maangi to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne use de diya Woh shakhs apni qaum ke paas aaya aur kaha Aye meri Qaum ke logo Islam le aao kyunki Muhammad (ﷺ) itna dete hain ki phir kisi garibi aur faqeeri ka koi dar nahi rehta hai...✍
*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2312 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 80
*⚘★ GariBo ki MaDaD AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★⚘*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
⚘ ⌬ ➤ Hazrat-e-Khadija radhi allaho anha aap ﷺki aadato ka zikr karte hue farmayi ki Ya Rasoolallah ﷺ Beshak Aap rishtedaaro ke saath achhchha sulook karte hain Logo ka bojh uthaate hain Apni kamaai se bewao,yatimo aur garibo ki madad farmate hain Mehmano ki mehman nawazi karte hain Aur agar kisi par musibat aajaae to uski madad karte hain aur mushkil haalaat mein bhi haq ka saath dete hain
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.3 📔*
⚘ ⌬ ➤ Yahan tak ki Huzur ﷺ ne aise tamaam logo ki zimmedari apne upar le liya tha jo qarz ki haalat mein inteqaal kar jaate aur apne pichhe apni bewa aur yatim bachche chhod jaate Jaisa ki ek hadis mein hai ki Huzur ﷺ ne farmaya ki jo tum mein se inteqaal kar jaae aur maal chhode to woh us ke waariso ka hai aur jo qarz,bewa aur yatim chhode won sab mere zimme hai
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.5371 📚*
⚘ ⌬ ➤ Is tarah se aap ne logo ki madad farmaya aur apni ummat ko bhi is ke karne par ubhara Yahan par is ke baare mein Aap ﷺ ki kuchh hadisein pesh ki jaati hain...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 81
*⚘★ GariBo ki MaDaD AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★⚘*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
*⚘HaDees 01 ⌬ ➤* Aap ﷺ ne irshad farmaya ki Bewao aur miskino ke liye koshish karne wala Allah ke raaste mein jihaad karne wale ki tarah hai Ya us shakhs ki tarah hai jo din mein roza rakhta hai aur raat ko jaag kar ibaadat karta hai (Yani bewao aur miskino ke liye koshish karne wale ko waise hi sawab diya jaata hai jaise un logo ko)
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No. 6006 6007 📔*
*⚘HaDees 02 ⌬ ➤* Aap ﷺ ne irshad farmaya ki Yatim ki parwarish karne wala mere saath jannat mein jaaega
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.6005 📘*
*⚘HaDees 03 ⌬ ➤* Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne farmaya ki Jo shakhs apne kisi musalman bhai ke kaam ke silsile mein chalta hai yahan tak ki use pura kar deta hai Allah Ta’ala us par 5000 (aur dusri hadis mein hai ki)75000 farishto ka saaya kar deta hai Woh farishte us ke liye agar din ho to raat hone tak aur raat ho to din hone tak duaein karte rehte hain aur us par rahmat bhejte rehte hain Aur us ke uthne wale har qadam ke badle us ke liye nekiya likhi jaati hain aur us ke rakhne wale har qadam ke badle us ke gunah mitaae jaate hain...✍
*📬 Shoabul Imaan,Hadis No.7669.Al-Mujamul Ausat Lil Tabrani,Hadis No.4396 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 82
*⚘★ GariBo ki MaDaD AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★⚘*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
*⚘HaDees 04 ⌬ ➤* Hazrat e Abu Huraira radhi allaho anho se riwayat hain ki Raoolallah sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jo shakhs kisi musalman ki koi dunyawi takleef door karega Allah ta’al uski qayamat ke din ki mushkilaat mein se koi mushkil door farmaega,jo shaks dunya mein kisi tangdast ke liye aasani paida karega Allah ta’ala dunya aur akhirat mein uske liye aasani paida farmaega,aur jo shaks dunya mein kisi musalman ki parda poshi karega Allah ta’al dunya aur akhirat mein uski parda poshi farmaega Allah ta’ala apne bande ki madad karta rehta hai jab tak banda apne bhai ki madad mein laga rehta hai
*📬 Muslim, hadis No.2699,Tirmizi, hadis No.1425 📔*
⚘⌬ ➤Is ke elawah Aap ﷺ ne apni ummat ke garibo aur faqiro ke liye zakat aur sadqaat ki surat mein aisa behtarin system diya jis par amal karne ke baad musalmano mein kisi garib ka nazar aana bahut hi mushkil hai Magar Afsoos Is par amal nahi hone ya galat tariqe se amal hone ki wajah se aaj sab se zyada garib aur faqir musalmano hi mein nazar aate hain Balki najaane kitne log garibi ki wajah se apna imaan bhi bech rahe hain Kaash ki hamare bhai log kuchh sochte aur is ki taraf tawajjuh dete Aur jin logo ko Allah Ta’ala ne apne fazal se maal daar banaya hai aur bahut saari daulat se nawaza hai uske baad bhi woh log aise zarurat mand logo ke liye kharch nahi karte hain un logo ko Quran sharif ki in aayato ko gaur se padhna chahiye aur apne anjaam ki fikr karni chaahiye...✍
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 83
*⚘★ GariBo ki MaDaD AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★⚘*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
⚘ ⌬ ➤ Allah ta’ala irshad farmata hai ki Neki bas yahi nahi ke namaz mein tum apna rukh mashriq aur magrib ki taraf pher lo,balke neki ka kamaal to ye hai ke koi shaks imaan laae Allah par aur qayamat ke din par,farishto aur kitab par aur sab nabiyo par aur apna maal Allah ta’ala ki muhabbat ki wajah se rishtadaro,yateemo, miskino,musafiro aur maangne walo ko de aur gulamo ko azaad karae
*📬 SuraH Baqra, Aayat No.177 📒*
⚘ ⌬ ➤ Aur farmaya ki Tum neki ko paa nahi sakte jab tak woh chiz(Allah ke raste mein) na kharch karo jis se tum khud muhabbat karte ho *📃 SuraH Nisa*
⚘ ⌬ ➤ Isliye humme se har ek ko chahiye apni taaqat bhar majburon ki madad kare Aur unke liye kuchh bhi na karne ki taaqat ho to kam se kam unke saath narmi aur muhabbat ke saath baat hi kare kyunki Huzur sallallhu alaihe wasallam ne farmaya ki ye bhi sadqa hai..✍
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.6023 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 84
*⚘★ TijaaRaT AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★⚘*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
⚘ ⌬ ➤ Aap sallallaho alaihe wasallam ne khud tijaarat kar ke maal-o-daulat kamaya aur apni ummat ko bhi is baat par ubhara ki woh bhi mehnat-o-mazduri kar ke aur dusre jaa’iz tariqe se maal-o-daulat hasil kare taaki unhein dusron ke saamne haath phailane ki zillat-o-ruswai na uthana pade Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki be-shak Allah ta’ala Mehnat aur mazdoori karne wale bande ko pasand farmata hai (Tabrani)
Lekin Aap sallallaho alaihe wasallam ne business men ke liye bahut saari hidayat bhi farmaya jis par amal karna har musalmaan ke liye zaruri hai Aap sallallaho alaihe wasallam ne business men ke liye jo hidayaten farmaya un mein khaas taur se jhoot bol kar aur dhoka de kar apna maal bechne se mana farmaya aur sach’che aur amaanat daar business men ke bare mein farmaya ki woh Qayamake din Nabi’yon ke saath rahega...✍
Lekin Aap sallallaho alaihe wasallam ne business men ke liye bahut saari hidayat bhi farmaya jis par amal karna har musalmaan ke liye zaruri hai Aap sallallaho alaihe wasallam ne business men ke liye jo hidayaten farmaya un mein khaas taur se jhoot bol kar aur dhoka de kar apna maal bechne se mana farmaya aur sach’che aur amaanat daar business men ke bare mein farmaya ki woh Qayamake din Nabi’yon ke saath rahega...✍
*📬 Tirmizi ,Hadith No. 1209 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 85
*⚘★ TijaaRaT AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★⚘*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
⚘ ⌬ ➤ Hazrat-e-Hakim bin Huzaam radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki kharidne aur bechne wale agar dono sach’cha’ee ikhtiyar karte hain aur har baat khol khol kar bata dete hain to un ke kharidne aur bechne mein barkat hoti hai aur agar kuchh chhupate hain ya jhoot bolte hain to un ki kharidaari aur bikri ki barkat khatam kar di jaati hai
*📬 Sahi bukhari,Hadith No.2082 📒*
⚘ ⌬ ➤ Aap sallallaho alaihe wasallam ne ek baar irshad farmaya ki har musalman ek dusre ka bhai hai to tum apne bhai se aisi chiz na becho jis mein aib(fault) ho magar us ko bata kar..✍
*📬 Ibn-e-Majah,Hadith No.2246 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 86
*⚘★ TijaaRaT AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★⚘*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
⚘ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu’huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ek shakhs ke paas se guzre jo anaaj bech raha tha Aap sallallaho alaihe wasallam ne us se puchha ki tum anaaj kaise bech rahe ho? To us ne bataya Phir Aap par wahi naazil hui ki Aap apna haath us ke anaaj ke andar daale to huzur ne apna haath us ke anaaj ke dher ke andar daala to woh andar se bhiga huwa tha to Aap sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki jo shakhs logon ko dhoka de wig ham mein se nahi hai
*📬 Sunan Abu’dawood,Hadith No.3452 📒*
⚘ ⌬ ➤ Is liye ham musalmano ko chahiye ki kaar-o-baar karne mein kisi ko dhoka na de aur jhoot na bole aur apna maal bechte waqt Qasam bhi khane se parhez kare kyunki Huzur ne farmaya ki Qasam khane se maal to bik jaata hai lekin barkat khatam ho jaati hai..✍
*📬 Sahi bukhari,Hadith No.2087 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 87
*⚘★ TijaaRaT AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★⚘*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
⚘ ⌬ ➤ Is liye ham musalmano ko chahiye ki kaar-o-baar karne mein kisi ko dhoka na de aur jhoot na bole aur apna maal bechte waqt Qasam bhi khane se parhez kare kyunki Huzur ne farmaya ki Qasam khane se maal to bik jaata hai lekin barkat khatam ho jaati hai
*📬 Sahi bukhari,Hadith No.2087 📒*
⚘ ⌬ ➤ Aur Aap ﷺ ne jhooti qasam kha kar maal bechne ko to sakhti ke saath mana farmaya Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki 3 shakhso ki taraf Allah Ta’ala Qayamat ke din rahmat ki nazar nahi farmaaega aur nahi us se kalaam karega aur nahi use paak karega Sahaba ne puchha ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Woh 3 log kaun hain?To Aap ne farmaya ki
⚘1 ⌬ ➤ Takabbur se takhne ke niche kapde latkaane wala
⚘2 ⌬ ➤ Kisi ko kuchh de kar ehsaan jatlaane wala
⚘3 ⌬ ➤ aur jhooti qasam khaa kar apna maal bechne wala..✍
*📬 Sahi Muslim,Hadis No.106 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 88
*⚘★ TijaaRaT AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★⚘*
❈•───────❈───────•❈
❈•───────❈───────•❈
⚘ ⌬ ➤ Bazaar ( market) mein hamari dukaan ke saath aur bhi logon ki dukaane hoti hain aisi surat mein hame dusre ke kaar-o-baar mein dakhal andaazi nahi karni chahiye, kyunki is se dusron ko taklif aur nuqsaan hota hai aur ek musalman ki shaan ye nahi hoti ki woh apni zaat se dusron ko taklif aur nuqsaan pahunchaye isi liye huzur ne is se mana farmaya.Aap sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki koi bhi shakhs apne bhai ke kharidne aur bechne mein dakhal andaazi na kare (Yani jab ek admi Qimat tay kar raha ho to dusra admi customer ko apni taraf lubhane ke liye us se kam Qimat na bole...✍
*📬 Sahi bukhari,hadith No.2139 📚*
*📮☞ NexT ροѕT ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►
🅿🄾🅂🅃 ➫ 89
*⚘★ TijaaRaT AuR SeeraT - e - MusTaFa ﷺ ★⚘*
❈•───────❈───────•❈
⚘ ⌬ ➤ Isi tarah jab ek admi koi chiz kharid raha ho to dusra aadmi maalik se ye na bole ki main tum ko is se zyada Qimat de raha hun yeh maal mujhe de do Ye galat tariqa hai Huzur sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki tum mein se koi bhi shakhs apne bhai ke kharidaari par kharidaari na kare (jab tak ki Haan ya na mein pehle shakhs se baat mukammal na ho jaaye
*📬 Sahi bukhari,Hadith No.5142. Sahi Muslim,Hadith No. 1412 📘*
⚘ ⌬ ➤ Hame saamaan wagairah bechte waqt naap taul mein kami bhi nahi karni chahiye ki Huzur ne is baat se sakhti ke saath roka hai, balke hame imaan’daari aur narmi ke saath kaam karna chahiye ki is se hamare business mein bhi taraqqi hogi aur Allah aur us ke Rasool bhi ham se khush honge.Huzur sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Allah ta’ala us bande par raham farmaye jo kharidte waqt aur bechte waqt aur taqaza karte waqt fayyazi aur narmi se kaam leta hai...✍
*📬 Sahi bukhari,Hadith No.2076 📚
••──────────────────────••►
*📮☞ EnD ροѕT 📃*
••──────────────────────••►
No comments:
Post a Comment