Monday, 4 November 2019

ɪsʟᴀᴍɪ Aᴀϙᴇᴇᴅᴇ




🅿🄾🅂🅃 ➫  01

*⚘⌬ ➤  Aaiye SaB se phLe Hm Is New Topic Dawate e DeeN me IsLami aQeeBe Ke Bare me Ilm HasiL Kre Jisse Hme IsLami AaQibe Ka MukammaL ILm How JaYe..★↷ ​*

        ↡  AQeeDa AllaH Ta’aLa ke Baare  ↡
                  •─────────────•

⚘⌬ ➤ AllaH Ta’ala ek hai Us ka koi shareek nahi Asman ,Zameen , insaan , jaanwar aur saari kaainat ka paida karne wala wahi hai Wahi ibadat ka haqdaar hai dusra koi ibadat ka haqdaar nahi Wahi sab ko rozi deta hai Ameeri, garibi, izzat aur zillat sab usi ke ekhtiyaar me hai, jise chaahta hai izzat deta hai aur jise chaahta hai zillat deta hai Sab uske mohtaaj hain aur woh kisi ka mohtaaj nahi hai Woh har khuli aur chhupi chizon ko jaanta hai aur dhimi se dhimi awazon ko sunta hai koi bhi chiz us se chhupi hui nahi hai Aur woh har chiz par Qaadir hai koi bhi chiz uski qudrat se bahar nahi, jaisa ki khud Allah ta’ala ne irshad farmaya ki Beshak Allah har chiz par qaadir hai.


*📬 SuraH Al-BaqraH,AayaT No.20*

*⚠NOTE* Allah ta’ala har chiz par qaadir hai Is ka matlab ye hai ki har woh chiz jo us ki shaan ke laaeq hai un sab chizon par qaadir hai is ka ye matlab nahi hai ki woh har chiz par qaadir hai chaahe woh chiz us ki shaan ke laaeq ho ya na ho yahan tak ki koi shakhs shaitan ke dhoke me aa kar ye keh de ki Allah Ta’ala chori aur dusre gunah ke kaam bhi kar sakta hai aur insaan ka roop dhaar kar kisi ke badan me bhi sama sakta hai wagairah (Tauba Tuba) Kuchh log kehte hain ki Allah ta’ala un chizon ke karne par bhi qaadir hai jo uski shaan ke laaeq nahi hai jaise jhoot bolna,Sharab pina wagairah magar karta nahi hai (Tauba astaghfirullah) ye aqeeda bikul galat hai kyunki is se ye laazim aata hai ki Allah Ta’ala ke andar ye sab aib toh hain magar woh use chhupaae rahta hai aur karta nahi Jab ki ek musalman ke liye zaroori hai ki woh Allah ta’ala ki zaat ko har aib aur bura’ee se paak jaane kyunki Quran sharif ki bahut saari aayaton me Allah ta’ala ne apne liye “ SuBHan” ka Lafz istemal farmaya hai jis ka matlab hi ye hota hai ki Allah ta’ala ki zaat ke andar koi aib nahi hai..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  02

*⚘⌬ ➤ IsLami aQaaDe ki MaLumaT​*

       ↡  AQeeDa AllaH Ta’aLa ke Baare  ↡
                •─────────────•

*⚘AQEEDA ⌬ ➤*  AllaH Ta’ala ne Quran sharif me apni bahut saari sifaat ka zikr farmaya hai jaise ki woh Rauf-o-Rahim hai,Sami-o-baseer hai,Halim-o-karim hai,Gaib yani poshida baaton ko jaan ne wala hai wagairah, phir yehi sifaten ambiya-e-kiraam aur dusron ke liye bhi bayan farmaya To is ka matlab ye nahi hai ki ye sab Allah ke barabar ya Allah ki tarah ho gae kyunki jis tarah Allah ta’ala ki zaat ki tarah kisi ki zaat nahi usi tarah uski sifaat ki tarah kisi ki sifaat nahi jaisa ki Allah Ta’ala khud bayan farmata hai ki,

          [لَیۡسَ کَمِثْلِہٖ شَیۡءٌ [سورۃ الشوریٰ:11

      Uski tarah koi bhi chiz nahi hai

        *📬 SuraH Shura : 11 📗*

⚘⌬ ➤ is ka sahi matlab yeh hai ki yeh sab sifaten Allah Ta’ala ki zaati hai yani begair kisi ke diye use khud se hai aur dusron ko us ke dene se hasil hai,Aur ye baat bilkul zaahir hai ki dene wala aur lene wala ek tarah nahi ho sakta Is liye agar ham Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ke liye gaib ki sifat maane ya Hazrat-e-Isa alaihissalam ke liye murdon ko zinda karne ki sifat maane to ye shirk nahi ho sakta kyunki ye sifat Allah ta’ala ke liye zaati maana jaata hai aur dusron ke liye ata’ee maana jaata hai aur shirk usi waqt hota hai jab ki Allah ki zaat ya sifaat ki tarah kisi dusre ki zaat ya sifaat maana jaae.Haan agar koi shakhs huzur ke liye gaib jaan ne ki sifat ya hazrat-e-Isa alaihissalam ke liye murdon ko zinda karne ki sifat na maane to woh Quran ka inkaar karne wala hoga kyunki Allah ta’ala ne apni is ata ka zikr khud Quran sharif me bayan farmaya hai.Allah Ta’ala ne Huzur ke ilm-e-gaib ko bayan karte hue farmaya ki,

 وَ مَا ہُوَ عَلَی الْغَیۡبِ بِضَنِیۡنٍ.

⚘⌬ ➤  Aur woh( Muhammad ﷺ) Gaib ki baat batane par bakhil(yaani kanjoos) nahi hain,

       *📬 SuraH Takveer, Aayat No.24 📒*


⚘⌬ ➤  Yaani gaib ki baat bataate hain aur us ke bataane me kanjusi nahi karte hain, Saaf baat hai ki gaib ki baaten wahi bataaega jiske paas gaib ka ilm hoga Is liye is aayat se maloom hua ki Huzur ﷺ gaib ki baat jaante hain..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  03

*⚘⌬ ➤ IsLami aQaaDe ki MaLumaT​*

      ↡  AQeeDa AllaH Ta’aLa ke Baare  ↡
                  •─────────────•

*⚘AQEEDA ⌬ ➤*  Allah Ta’ala ne Huzur ke ilm-e-gaib ko bayan karte hue farmaya ki,
وَ مَا ہُوَ عَلَی الْغَیۡبِ بِضَنِیۡنٍ.
⚘⌬ ➤ Aur woh( Muhammad ﷺ) Gaib ki baat batane par bakhil(yaani kanjoos) nahi hain

     *📬 SuraH Takveer, Aayat No.24 📒*

⚘⌬ ➤ Yaani gaib ki baat bataate hain aur us ke bataane me kanjusi nahi karte hain, Saaf baat hai ki gaib ki baaten wahi bataaega jiske paas gaib ka ilm hoga Is liye is aayat se maloom hua ki Huzur ﷺ gaib ki baat jaante hain Aur Hazrat-e-Isa alaihissalam ki sifaat ka zikr karte hue Allah ta’ala ne farmaya ki

وَرَسُوۡلًا اِلٰی بَنِیۡۤ اِسْرَآءِیۡلَ ۬ۙ اَنِّیۡ قَدْ جِئْتُکُمۡ بِاٰیَۃٍ مِّنۡ رَّبِّکُمْ ۙ اَنِّیۡۤ اَخْلُقُ لَکُمۡ مِّنَ الطِّیۡنِ کَہَیۡئَۃِ الطَّیۡرِ فَاَنۡفُخُ فِیۡہِ فَیَکُوۡنُ طَیۡرًۢا بِاِذْنِ اللہِ ۚ وَاُبْرِیُٔ الۡاَکْمَہَ وَالۡاَبْرَصَ وَاُحۡیِ الْمَوْتٰی بِاِذْنِ اللہِ ۚ وَاُنَبِّئُکُمۡ بِمَا تَاۡکُلُوۡنَ وَمَا تَدَّخِرُوۡنَ ۙ فِیۡ بُیُوۡتِکُمْ ۙ اِنَّ فِیۡ ذٰلِکَ لَاٰیَۃً لَّکُمْ اِنۡ کُنۡتُمۡ مُّؤْمِنِیۡنَ

*⚘Tarjuma ⌬ ➤* Aur (Isa) Rasool hoga Bani Israa’eel ki taraf (ye kehte hue ki) be-shak main tumhare rab ki taraf se kuchh nishanyan le kar aaya hun,(Toh) main tumhare liye mitti se parinde ki surat banata hun phir us me phoonk maarta hun to woh parinda ban jaata hai Allah ke hukm se,Aur main paida’ishi andhe aur safeed daag walon ko shifa deta hun aur murdon ko zinda karta hun Allah ke hukm se aur main tumhe batata hun jo tum khaate ho aur jo apne gharon me jama kar ke rakhte ho Be-shak is me tumhare liye badi nishani hai agar tum imaan rakhte ho

*📬 SuraH Aal-e-imran,Aayat No.49 📘*


⚘⌬ ➤ Aur bhi bahut saari sifaat hain jo haqiqat me Allah Ta’ala ki hain magar Allah Ta’ala ne use nabiyon aur dusre logo ko ata farmaya hai Yahan par ham un sifaat ki ek mukhtasar list pesh karte hain jo Allah Ta’ala ne Quran sharif me apne liye bhi aur dusron ke liye bhi istemal farmaya hai Aap is baare me upar jo wazaahat (explanation) bayan ki ga’ee hai use hamesha apne zehan me rakhen taaki aap ka zehan parishaan na ho..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  04

*⚘⌬ ➤ IsLami aQaaDe ki MaLumaT​*

      ↡  AQeeDa AllaH Ta’aLa ke Baare  ↡
                 •─────────────•

*⚘AQEEDA ⌬ ➤*  AllaH Ta’ala jism-o-jismaniyaat se paak hai yaani na woh jism hai aur nahi us me woh baaten paai jaati hain jo jism se ta’alluq rakhti hain jaise haath, pair, aankh, naak, kaan aur chalna,phirna,uthna, baithna,simatna wagairah wagairah In sab chizon se Allah Ta’ala paak hai aur Quran-o-hadis me jo Allah Ta’ala ke liye haath, pair aur istawa wagairah ka lafz aaya hai jis se zaaheri taur par jism samajh me aata hai in ka zaaheri maana muraad lena gumrahi aur bad-mazhabi hai Is ke baare me sahi aqeeda ye hai ki woh saare alfaz (words) jo Quran-o-Hadis me aae hain un sab ke haq hone par imaan rakhe aur us se kya muraad hai? us ko Allah ke supurd kar de ki wahi apni muraad behtar jaan ne wala hai Hamara to bas Allah aur us ke Rasool ki baat par imaan hai ki “Istewa” haq hai ”Haath ” haq ha lekin us ka istewa makhlooq ki Istewa ki tarah nahi aur us ka “Haath” makhlooq ki “Haath” ki tarah nahi isi tarah us ka dekhna aur sunna makhlooq ki tarah nahi balki us ki koi bhi chiz makhlooq ki tarah nahi hai kyunki Allah Ta’ala ne khud hi irshaad farmaya hai ki “koi bhi chiz uski tarah nahi hai..✍

     
           *📬 SuraH Shura,Aayat : 11 📚*

••──────────────────────••►
📮☞  NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  05

*⚘⌬ ➤ IsLami aQaaDe ki MaLumaT​*

           ↡  AQeeDa AllaH Ta’aLa ke Baare  ↡
                     •─────────────•

⚘ ⌬ ➤ Aur aisi aayaton ke baare me Allah ta’ala ne yahi hukm diya hai ki ham us par imaan laa’en aur us ki taaweel aur matlab nikalne ke pichhe na paden Allah paak irshad farmata hai,

ہُوَ الَّذِیۡۤ اَنۡزَلَ عَلَیۡکَ الْکِتٰبَ مِنْہُ اٰیٰتٌ مُّحْکَمٰتٌ ہُنَّ اُمُّ الْکِتٰبِ وَاُخَرُ مُتَشٰبِہٰتٌ ؕ فَاَمَّا الَّذِیۡنَ فیۡ قُلُوۡبِہِمْ زَیۡغٌ فَیَتَّبِعُوۡنَ مَا تَشَابَہَ مِنْہُ ابْتِغَآءَ الْفِتْنَۃِ وَابْتِغَآءَ تَاۡوِیۡلِہٖ ۚ؃ وَمَا یَعْلَمُ تَاۡوِیۡلَہٗۤ اِلَّا اللہُ ۘؔ وَالرّٰاسِخُوۡنَ فِی الْعِلْمِ یَقُوۡلُوۡنَ اٰمَنَّا بِہٖ ۙ کُلٌّ مِّنْ عِنۡدِ رَبِّنَا ۚ وَمَا یَذَّکَّرُ اِلَّاۤ اُولُوا الۡاَلْبَابِ ﴿۷﴾ رَبَّنَا لَا تُزِ غْ قُلُوۡبَنَا بَعْدَ اِذْ ہَدَیۡتَنَا وَہَبْ لَنَا مِنۡ لَّدُنۡکَ رَحْمَۃً ۚ اِنَّکَ اَنۡتَ الْوَہَّابُ ﴿۸﴾ [سورہ آل عمران:7.8

*⚘ Tarjuma ⌬ ➤* Wahi hai jis ne aap par kitab (Quran) naazil farma’ee jis me kuchh aayaten MOHKAM (Yani saaf saaf maane wali) hain wahi aayaten kitab ki bunyaad hain aur dusri kuchh aayaten MUTASHABEH hain (jin ke kai maane aur matlab ho sakte hain) To woh log jin ke dilon me terha-pan hai us me se(Yani Quran me se) un aayaton ke pichhe padte hain jo Mutashabehaat me se hain, fitna phailane aur asal muraad ke bajaae mann pasand muraad lene ke maqsad se,aur uski asal muraad ko Allah ke siwa koi nahi jaanta, aur ilm me pukhtagi rakhne wale kehte hain ki ham us par imaan laae Saari kitab hamare rab ki taraf se utri hai Nasihat sirf aqal wale hi maante hain aur(Kaamil ilm wale dua karte hain ki) Aye hamare Rab hamare dilon me terha’pan paida na kar is ke baad ke tune hame hidayat ata kiya aur hame khaas apni taraf se rahmat ata farmaa, beshak tu hi bahut ata farmane wala hai..✍

  
      *📬 SuraH Aal-e-imran,Aayat :7.8 📒*

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  06

*⚘⌬ ➤ IsLami aQaaDe ki MaLumaT​*

         ↡  AQeeDa AllaH Ta’aLa ke Baare  ↡
               .    •─────────────•

*⚘ NOTE ⌬ ➤* Kuch log bol chaal me Allah Ta’ala ko upar wala keh dete hain aur kuchh log Allah miya keh dete hain In dono lafzon ka Allah ta’ala ke liye istemal karna durust nahi hai,Upar wala kehna is liye durust nahi hai ki Allah Ta’ala Upar, niche,daae aur baae hone se paak hai Aur miya kehna is liye sahi nahi hai ki lafz “Miya” ka lugat (dictionary) me ka’ee maana hota hai

1⃣ ➧ Shauhar.

2⃣ ➧ Buzurg.

3⃣ ➧ Zina ka dalaal.


⚘ ⌬ ➤ In teeno maane me sirf ek maana sahi hai baqi do mana Allah Ta’ala ki shaan ke khilaaf hai aur Allah wa rasool ki shaan me koi bhi aisa lafz jo kisi bhi etebaar se galat ho us lafz ka istemaal karna sakht mana hai is liye hame Allah Ta’ala ki shaan me aise alfaaz istemaal karne se bahut door rehna chahiye..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  07

*⚘⌬ ➤ IsLami aQaaDe ki MaLumaT​*

     ↡ AQeeDa FarisHto Ta’aLa ke Baare ↡
                •─────────────•

⚘ ⌬ ➤ Farishte bhi insaano ki tarah ek makhlooq hain magar woh noor se paida kiye gaye hain, na woh mard hai na aurat hai, na kuchh khaate hai na pite hai Allah taala ne unhein ye taaqat bakhshi hai ki woh jo shakal chaahe ban jaayen Allah ta’ala ne farishton ko alag alag kaamon par lagaya hai, kuchh farishte bandon ke achha aur bura amal likhne ka kaam karte hain jin ko Kiraman Katebeen kaha jaata hai Aur kuchh farishte qabr mein murdon se sawal karne ka kaam karte hain un ko Munkar Nakeer kaha jaata hai Aur kuchh farishte Huzrur ﷺ ki baargah mein musalmano ke darood-o-salam pahuchane ka kaam karte hain In ke elawah aur bhi bahut se kaam hai jo farishte karte hai Un mein 4 farishte bahut mash’hur hain

1⃣➧ Hazrat-e-Jibra’il alaihissalam, Jo allah ta’ala ke paigam ko paigambaron tak pahuchate the.

2⃣➧ Hazrat-e-Israfil alaihissalam, Jo qayamat ke din soor phunkenge.

3⃣➧ Hazrat-e-Mika’il alaihissalam, Jo paani barsaane aur rozi pahuchane par muqarrar hain.

4⃣➧Hazrat-e-Izra’il alaihissalam,

Jo logon ki jaan nikalne par muqarrar hain..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  08

*⚘⌬ ➤ IsLami aQaaDe ki MaLumaT​*

       ↡ AQeeDa FarisHto Ta’aLa ke Baare ↡
                       •─────────────•

*⚘ AQEEDA ⌬ ➤* Farishte gunahon se masoom hote hai, woh sirf unhi kaamon mein lage rehte hai jo Allah ta’ala ne un ke supurd kiya hai aur us mein zarrah barabar bhi kami nahi karte hai Jaisa ki Allah ta’ala ne irshad farmaya

لَّا یَعْصُوۡنَ اللہَ مَاۤ اَمَرَہُمْ وَ یَفْعَلُوۡنَ مَا یُؤْمَرُوۡنَ

*⚘ Tarjuma ⌬ ➤* Woh farishte Allah ka hukm nahi taalte, aur sirf wahi kaam karte hai jis ka unhein hukm diya jaata hai

         *📬 SuraH Tahrim,Aayat No.6 📚*


⚘ ⌬ ➤ Is aayat e karima se maloom hogaya ki farishte gunahon se masoom hote hai aur woh sirf wahi kaam karte hain jo unhein Allah ta’ala hukm deta hai aur un se is mein koi bhool chuk bhi nahi hoti, is liye jo shakhs kisi farishta ke bare mein ye kahe ki un hone galti se ye kaam kardiya ya un se bhool chuk mein ye kaam hogaya jaise ki kuchh log keh dete hai ki Hazrat-e-Jibrail ko Allah ka paigam le kar Hazrat-e-Ali ke paas jaana tha magar woh galti se Huzur ﷺ ke paas le kar chale gaye to woh quran ka inkaar karne wala aur kaafir hai..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  09

*⚘⌬ ➤ IsLami aQaaDe ki MaLumaT​*

        ↡  AQeeDa  Kitabon  ke  Baare  me  ↡
                   •─────────────•

*⚘ ⌬ ➤*  AllaH ta’ala ne insaano ki hidayat ke liye ambiya-e-kiram par chhoti badi bahot saari kitabein naazil farmaya, un mein se chhoti kitaab ko sahifa aur badi ko kitaab kaha jaata hai 4 kitabein bahut mash’hoor hain 

⚘1⃣ ⌬ ➤ Tauret, jo hazrat-e-Musa alaihissalam par naazil hui

⚘ 2⃣ ⌬ ➤ Zaboor, jo hazrat-e-Dawood alaihissalam par naazil hui

⚘ 3⃣ ⌬ ➤ Injeel, jo hazrat-e-Isa alaihissalam par naazil hui

⚘ 4⃣ ⌬ ➤ Quran sharif, Jo hamare nabi Mohammad sallallaho alaihe wasallam par naazil hui

⚘ ⌬ ➤ In tamaam kitabon par imaan laana yani un ko haq aur khuda-e-ta’ala ki kitaab maan’na zaruri hai aur in mein se kisi ka bhi inkaar karna kufr-o-bedeeni hai..✍


*📬 SurH Aal-e-Imran, Aayat No.184, SuraH Nisa, Aayat No.136 📚*

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  10

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

        ↡  AQeeDa  Kitabon  ke  Baare  me  ↡
                   •─────────────•

*⚘ AQEEDA ⌬ ➤*  Pehli kitabon ki hifazat ki zimmadari Allah ta’ala ne nahi liya is liye aaj un mein se aksar kitaabon ka naam-o-nishaan bhi nahi milta aur jin kitaabon ka naam-o-nishan baqi hai un mein se koi bhi kitaab apni asal surat mein nahi hai balki us mein Mafaad parast logon ne ghata badha diya hai aur bahot saari jaghon par radd-o-badal bhi kar diya hai Lekin Quran sharif ki hifazat ki zimmadari khud Allah ta’ala ne liya is liye is kitaab mein koi radd-o-badal na hui aur nahi qayamat tak ho sakti hai Allah ta’ala irshad farmata hai

               اِنَّا نَحْنُ نَزَّلْنَا الذِّکْرَ وَ اِنَّا لَہٗ لَحٰفِظُوۡنَ

*⚘ TARJUMA ⌬ ➤* Beshak Ham ne Quran ko naazil kiya aur beshak ham zarur us ki hifaazat karne wale hai

  *📬 SuraH Al-hajar,Aayat No.9 📚*


*⚘ ⌬ ➤* Is liye agar koi ye kahe ki is Quran mein kuchh ghata ya badha diya gaya hai,Ya jaisa naazil huwa tha ab waisa nahi hai,Ya is mein se kuchh pare jo hazrat-e-Ali ki shaan mein naazil hui thi sahaba ne use chhupa liya woh kaafir hai..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  11

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

        ↡  AQeeDa  Kitabon  ke  Baare  me  ↡
                   •─────────────•

*⚘ AQEEDA ⌬ ➤*  Puri dunya ke insaan-o-jinnat mil kar bhi Quran ki tarah koi kitaab nahi bana sakte,balki us ki sab se chhoti surat ki tarah koi surat bhi nahi bana sakte hai

*📬 SuraH Bani isara’il, Aayat No.88.SuraH Yonus, Aayat No.38 📒*


*⚘ FAA’IDA ⌬ ➤* Quran Allah ta’ala ki kitaab hai Is ki sab se badi dalil yahi hai ki puri duniya ke jinnat-o-insaan bhi mil kar is kitaab ki tarah koi kitaab ya is kitaab ki kisi surah ke jaisi surah nahi bana sakte hai kyunki insaano ki bana’ee hui chizon aur Allah ta’ala ki bana’ee hui chizon mein yahi farq hai ki insaan ki bana’ee hui chiz ki tarah dusra insaan bana sakta hai jaise Computer, Hawa’ee jahaz,Train aur Mobile wagairah ye sab kisi insaan ne banaya phir is ki tarah balki is se bhi behtar hazaaron insaan bana rahe hai aur banate rahenge, Magar Alllah ta’ala ki bana’ee hui chizon ki tarah koi insaan nahi bana sakta jaise Zameen, Aasmaan, Chand, Suraj, Machhli, Makhkhi, Machhhar, Jugno wagairah ye sab Allah ta’ala ki bana’ee hui chizein hai is liye aaj tak koi in ki tarah na bana saka hai aur nahi bana sakta hai..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  12

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*
      ↡  AQeeDa  Kitabon  ke  Baare  me  ↡
             •─────────────•

*⚘ AQEEDA ⌬ ➤*  Quran sharif ki har aayat par imaan laana zaruri hai ek aayat ka bhi inkaar karna kufr-o-be’deeni aur halakat-o-barbadi ka zariya hai

  *📬 SuraH baqra,Aayat No.85 📚*

*⚘ FAA’IDA ⌬ ➤* Quran sharif ki kuchh aayaton se hame maloom hota hai ki Izzat aur taaqat Sirf Allah ke liye hai isi tarah kuchh aayaton se maloom hota hai ki Gaib ka ilm sirf Allah ta’ala ko hai, Phir dusri aayaton se maloom hota hai ki Izzat aur taaqat Allah ke saath us ke rasoolon , farishton aur momino ko bhi hai isi tarah gaib ka ilm rasoolon ko bhi hain To is ka matlab ye nahi hai ki Quran sharif ki ek aayat galat aur dusri sahi hai ya dono mein ekhtilaaf hai balki sirf hamari samajh mein ekhtilaaf hai haqiqat mein nahi Kyunki jin logon ko Allah ta’ala apne fazl se Quran ke ilm mein maharat ata farmaya un logon ne wazeh kar diya hai ki Jahaan par ye hai ki Izzat aur taqat ya gaib ka ilm sirf Allah ko hai wahan par matlab ye hai ki “Begair kisi ke diye khud se izzat-o-taqat aur gaib ka ilm sirf Allah ta’ala ko hai”aur jahaan par ye hai ki izaat-o-taaqat Allah ke saath us ke rasoolon,farishton aur momino ke liye bhi hai to us ka matlab ye hai ki “in logon ko bhi hai magar khud se nahi balki Allah ke ata karne se hai” is liye dono tarah ki aayaton mein koi ekhtilaaf nahi


⚘ ⌬ ➤ Is baat ko hamesha yaad rakhe ki Quran sharif ki aayaton mein koi ekhtilaaf nahi hai Aur agar kisi jagah par hame aisa lagta hai to yaqenan ye hamari samajh hi ki galti hai aisi surat mein hame ulma se is ka hal maloom karni chahiye kyunki Allah ta’ala ne irshad farmaya ki Agar tum nahi jaante ho to jaan ne walo se puchho..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  13

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

      AQeeDa Ambiya-e-Kiram ke Baare me
                    •─────────────•

*⚘ AQEEDA ⌬ ➤*  Allah ta’ala ne insaano ki hidayat-o-rahnumaai ke liye bahut saare nabiyon aur rasoolon ko dunya me bheja,un me se kuchh nabiyon ke naam Quran-o-hadis me likha hua hai aur kuchh ke nahi,un sab par imaan laana aur un sab ko haq maan-na zaruri hai agar koi un me se kisi ko bhi nabi na maane toh woh kaafir hai Isi tarah agar koi jo nabi nahi hai us ko nabi maane woh bhi kaafir hai


*⚠NOTE ⌬ ➤* Kuchh log hindu’on ke bhagwan jaise Raam, Laksman, Kirishna, Gautam budh aur Guru’nanak wagairah ko nabi kahte hain aur in sab ko ambiya-e-kiraam me se maante hain Ye bilkul galat hai Kyunki kisi ko bhi nabi kahne ke liye Quran-o-Hadis se suboot chaahiye aur in ke nabi hone par Quran-o-hadis me koi suboot nahi Is liye in ko nabi nahi kaha jaa sakta..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  14

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

       AQeeDa Ambiya-e-Kiram ke Baare me
                   •─────────────•

*⚘ AQEEDA ⌬ ➤*  Ambiya-e-Kiraam ki jama’at Allah ta’ala ki baargah me tamam makhluq se afzal aur behtar hain Allah ta’ala ne un sab ko mu’jaze yani aise kaam karne ki taqat ata farmayi jo nabi ke elawa koi dusra nahi kar sake

*⚘ AQEEDA ⌬ ➤*   “ Wahi ” ambiya-e-Kiraam ke saath khaas hai Jo use nabi ke elawah kisi dusre ke liye maane woh kaafir hai Allah ta’ala ne ambiya-e-Kiraam par wahi ke zariye jo paigamaat naazil farmaya Ambiya e kiraam ne puri amanat’daari ke saath use logon tak pahuncha diya Jo ye kahe ki Nabi ne un baaton me se koi baat chhupa liya Ya nahi pahuncha’ee to woh kaafir hai


*⚘ AQEEDA ⌬ ➤*  Saare ambiay-e-Kiraam gunahon se masoom hain Aur Allah ta’ala ki baargah me woh sab badi izzat wale hain Un ke baare me ye kahna ki woh Allah ta’ala ki baargah me Chamaar ki tarah hain Ye khuli gustakhi aur kufriya kalma hai..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  15

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

     AQeeDa Ambiya-e-Kiram ke Baare me
                  •─────────────•

*⚘ AQEEDA ⌬ ➤*  Har nabi ki taazeem-o-tauqeer karna farz hai Yahan tak ki un ki shaan me koi aisa lafz istemaal karna jis se kisi bhi tarah galat maana nikal sakta ho durust nahi ha Tafseer ki kitaabon me hai ki jab huzur sallallaho alihe wasallam sahaba ko kuchh padhate aur sikhate the to agar unhen koi baat samajh me nahi aati to woh kahte “Raa’ina Ya Rasoolallah ﷺ” Is ka maana ye tha ki Ya Rasoolallah ﷺ Ham logon ki riya’at kijiye aur hame khoob achchhi tarah samajh lene dijiye Yahudiyon ki zubaan me is lafz ka maana hota tha “Hamare jaanwaron ke charaane wale” To yahudiyon ne isi maane ki niyat se ye lafz apni majlison me huzur ke liye kahna shuru kar diya Hazrat-e-Sa’ad bin Ma’az radhi allaho anho jo yahudiyon ki zubaan achchhi tarah jaante the Ek din yahudiyon ko yahi lafz huzur ke liye kahte hue sun liya To aap ne farmaya Aye khuda ke dushmano Agar ab ye lafz main ne kisi ko kahte hue sun liya to us ko qatal kar dunga Yahudiyon ne kaha ki aap ham par gussa hote hain Musalman bhi to ye lafz huzur ke liye bolte hain Is par aap gamgeen ho kar huzur ki baargaah me haazir hi hue the ki ye aayat naazil hui

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَقُوۡلُوۡا رَاعِنَا وَقُوۡلُوا انۡظُرْنَا وَاسْمَعُوۡا ؕ وَ لِلۡکٰفِرِیۡنَ عَذَابٌ اَلِیۡمٌ

*⚘ TARJUMA ⌬ ➤* Aye imaan walo tum “Ra’ina” na kaho balke “unzurna” kaho aur gaur se suno Aur kaafiron ke liye bada dardnaak azaab hai

       *📬 SuraH baqra,Aayat No.104 📚*


*⚘ ⌬ ➤* is aayate karima me “Ra’ina” ka lafz istemaal karna mana kar diya gaya aur isi maane ko ada karne wala ek dusra lafz “Unzurna” kahne ka hukm hua Is se maloom hua ki ambiya-e-Kiram ki shaan me koi aisa lafz jis se kisi bhi tarah galat maana nikal sakta ho us ka istemal karna sahi nahi hai Balki achchhi bhi baat galat andaaz me kahna sakht mana hai..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  16

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

       AQeeDa Ambiya-e-Kiram ke Baare me
               •─────────────•

*⚘ ⌬ ➤*  AllaH Ta’ala ne irshad farmaya ki

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَرْفَعُوۡۤا اَصْوَاتَکُمْ فَوْقَ صَوْتِ النَّبِیِّ وَلَا تَجْہَرُوۡا لَہٗ بِالْقَوْلِ کَجَہۡرِ بَعْضِکُمْ لِبَعْضٍ اَنۡ تَحْبَطَ اَعْمَالُکُمْ وَ اَنۡتُمْ لَا تَشْعُرُوۡنَ

*⚘ TARJUMA ⌬ ➤* Aye imaan walo Tum apni awaazon ko nabi ki awaaz pe buland na karo aur unke samne aise chilla kar baat na kiya karo jaise tum apne me ek dusre se karte ho Nahi to tumhare saare aa’maal barbaad kar diye jaaenge aur tumhe pata bhi nahi chalega

   *📬 SuraH Hujraat, Aayat No.2 📒*


*⚘ ⌬ ➤* Isi liye ambiya-e-Kiraam ke liye ye kehna ki “Woh bhi hamari tarah bashar hain”durust nahi hai Is liye ki ambiya-e-kiraam paida’ish ke etabaar se zarur bashar hain yahan tak ki jo un ko bashar na maane woh kaafir hai Magar is tarah bolne se ki “Woh bhi hamari tarah bashar hain” Ye samajh me aata hai ki jis tarah se ek aam bashar hota hai usi tarah ambiya-e-Kiraam bhi hote hain Aur ye ambiya ki shaan me gustakhi hai Quran sharif padhne se maloom hota hai ki isi liye ye lafz har zamaane ke kaafiron ne ambiya-e-Kiraam ke liye istemal kiya..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  17

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

      AQeeDa Ambiya-e-Kiram ke Baare me
                  •─────────────•

*⚘ ⌬ ➤*  chunanche Quran sharif ki kuchh aayaten ye hain

قَالُوۡۤا اِنَّمَاۤ اَنۡتَ مِنَ الْمُسَحَّرِیۡنَ وَمَاۤ اَنۡتَ اِلَّا بَشَرٌ مِّثْلُنَا وَ اِنۡ نَّظُنُّکَ لَمِنَ الْکٰذِبِیۡنَ

*⚘ TARJUMA ⌬ ➤* (Hazrat Shoaib alaihissalam ke zamaane ke kaafiron ne unse) kaha Beshak tum par jaadu kiya gaya hai Aur tum to nahi ho magar humari hi tarah bashar Aur hum to tumhe jhuthon me se samjhte hain

     
*📬 SuraH Shu’ara,Aayat No.186 📒*

قَالُوۡۤا اِنَّمَاۤ اَنۡتَ مِنَ الْمُسَحَّرِیۡنَ مَاۤ اَنۡتَ اِلَّا بَشَرٌ مِّثْلُنَا ۚۖ فَاۡتِ بِاٰیَۃٍ اِنۡ کُنۡتَ مِنَ الصّٰدِقِیۡنَ

*⚘TARJUMA  ⌬ ➤* (Hazrat-e- Saaleh alaihissalam ke zamaane ke kaafiron ne unse) kaha Beshak tum par jaadu kiya gaya hai Aur tum to nahi ho magar humari hi tarah bashar Agar tum sachche ho toh koi nishaani le aao

*📬 SuraH Shu’ara,Aayat No.153.154 📕*

قَالُوۡا مَاۤ اَنۡتُمْ اِلَّا بَشَرٌ مِّثْلُنَا ۙ وَ مَاۤ اَنۡزَلَ الرَّحْمٰنُ مِنۡ شَیۡءٍ ۙ اِنْ اَنۡتُمْ اِلَّا تَکْذِبُوۡنَ

*⚘ TARJUMA ⌬ ➤* Kaafiron ne kaha tum to nahi ho magar hamari tarah bashar Rahman ne kuch nazil na kiya, tum to sirf jhuth bolte ho

      *📬 SuraH Yaasin,Aayat No.15 📗*


*⚘ ⌬ ➤* Is liye ye lafz hame ambiya ki shaan me istemal nahi karni chahiye..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  18

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

     AQeeDa Ambiya-e-Kiram ke Baare me
                •─────────────•

*⚘AQEEDAH ⌬ ➤*  AllaH ta’ala ne apne nabiyon ko gaib ka ilm ata farmaya, Is liye woh jaise zaaheri baaton ko jaante hain usi tarah poshida baaton ko bhi jaante hain

*📬 SuraH Aal-e-Imran,Aayat No.179. Surah Jin,Aayat No.26.Sahi Bukhari,Hadith No.3192/741.Sahi Muslim,Hadith No.2892/1779 📚*

*⚘AQEEDAH ⌬ ➤*  Allah ta’ala ka wada pura hone ke liye har nabi ko maut aai lekin phir Allah ta’ala ne unhen pehle se bhi achchhi zindagi ata farmaya Is liye saare ambiya-e-Kiraam apni apni qabron me zindah hain Aur un ki zindagi shahidon ki zindagi se bahut badh ke ha Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Abmiya-e-Kiraam apni qabron me zinda hote hain aur namaz padhte hain

*📬 Hayatul Ambiya lil-baihaqi,Hadith No.1📘*

*⚘ ⌬ ➤*  Aur hadis sharif me hai ki ek shakhs ne puchha ki Ya Rasoolallah ﷺ Kya ham logon ka salaat-o-Salam aap ke dunya se jaane ke baad bhi aap par pesh kiya jaaega?To Huzur ne farmaya ki Haan Aur farmaya ki Allah ta’ala ne zameen par haram kar diya hai ki woh nabiyon ke jimson ko khaae to Allah ke nabi zinda hote hain aur unhen rizq diya jaata hai

*📬 Abu’dawood,Hadith No.1047.Ibn-e-Majah,Hadith No.1637 📕*


*⚘ ⌬ ➤*  Is liye ambiya-e-Kiram ke baare me ye kehna ki woh mar kar mitti me mil gaye gumrahi aur be-deeni hai..✍

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  19

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

       AQeeDa Ambiya-e-Kiram ke Baare me
                   •─────────────•

*⚘AQEEDAH ⌬ ➤*  Ambiya-e-Kiraam ka aapas me ek darja nahi hai Balki kuchh nabi kuchh nabi par fazilat rakhte hain aur saare nabiyon me sab se afzal hamare Nabi sallallaho alaihe wasallam hain

*📬 SuraH Aal-e-Imran,Aayat No.81.Surah baqra,Aayat No.253.Tirmizi,Hadith No.3615 📕*

*⚘AQEEDAH ⌬ ➤*  Hamare Nabi ﷺ ko Allah ta’ala ne Qayamat tak ke liye tamam makhluq ki taraf aakheri nabi bana kar bheja Is liye Aap sallallaho alaihe wasallam ke baad ab koi naya nabi nahi ho sakta Aur jo shakhs ye kahe ki Aap sallallaho alaihe wasallam ke baad bhi koi naya nabi ho sakta hai woh kaafir hai..✍


*📬 SuraH Ahzaab,Aayat No.40.Sahi Bukhari,Hadith No.3534.Sahi Muslim,Hadith No.523 📚*

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  20

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*
      
     AQeeDa Ambiya-e-Kiram ke Baare me
                 •─────────────•

*⚘AQEEDAH ⌬ ➤*  Hamare Nabi ﷺ ko Allah ta’ala ne Meraj ata farmaya Aur apna didaar karaya Jaisa ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Main ne apne rab ta’ala ko dekha

*📬 Masnad-e-Imam Ahmad,Hadith No.2623/2678.Sahi Muslim,Hadith No.178.Tirmizi,Hadith No.3278 📒*

*⚘AQEEDAH ⌬ ➤*  Qayamat ke din Allah ta’ala ki hamd ka jhanda hamare Nabi ﷺ ke haathon me hoga aur sab se pahle Aap hi shafa’at farmaaenge Us ke baad Allah ta’ala aap ko “Maqam-e-Mahmood”Yani aisi jagah par khada karega jahan par saare log aap ki taarif karenge

*📬 Surah bani isra’il,Aayat No.79.Tirmizi,Hadith No.3616 📘*

*⚘AQEEDAH ⌬ ➤*  Jab tak koi shakhs Huzur ﷺ se apne maa,baap,aulad aur tamam logon se ziyadah mohabbat na kare woh momin nahi ho sakta hai..✍


*📬 Sahi Bukhari,Hadith No.15 📚*

••──────────────────────••►
📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  21

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

    ↡  AQeeDa  TaqDeer  ke  Baare  me  ↡
                   •─────────────•

*⚘ AQEEDA ⌬ ➤* Dunya mein jo kuchh hota hai aur bande jo kuchh bhala’ee ya bura’ee karte hain Allah taala ne use apne ilm ke mutabiq pehle se likh diya hai usi ko taqdeer kehte hain Ye haq hai aur is par imaan laana zaruri hai aur is ka inkaar karne wala gumraah bad’mazhab hai Lekin koi ye khayal na kare ki Allah taala ne hamari taqdeer mein jaisa likh diya hai hame majbooran waisa hi karna padhta hai Sahi baat ye hai ki ham jaisa karne wale the, Allah taala ne apne ilm se waisa hi likh diya agar kisi ki taqdeer mein bura’ee likhi to is liye ki woh apne ekhtiyar se bura’ee karne wala tha agar woh bhala’ee karne wala hota to Allah taala uski taqdeer me bhala’ee likhta khulasa ye hai ki Allah taala ke likh dene se banda kisi kaam ke karne par majboor nahi kiya gaya Taqdeer ka pehle se likha jaana haq hai aur is par imaan laana zaruri hai Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki

لاَ يُؤْمِنُ عَبْدٌ حَتَّى يُؤْمِنَ بِأَرْبَعٍ : بِاللَّهِ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ ، وَأَنِّي رَسُولُ اللهِ ، وَالْبَعْثِ بَعْدَ الْمَوْتِ ، وَالْقَدَرِ
*⚘ TARJUMA ⌬ ➤* Koi banda momin nahi ho sakta jab tak ki woh chaar (4) baaton par imaan na le aaye

*⚘ 1⃣ ⌬ ➤* Allah par jis ka koi shareek nahi hai

*⚘ 2⃣ ⌬ ➤* Aur ye ki beshak main Allah ka Rasool hu

*⚘ 3⃣ ⌬ ➤* Marne ke baad dobarah zinda kiye jaane par

*⚘ 4⃣ ⌬ ➤* Aur taqdeer par..✍

   
      *📬 Ibn-e-Majah , Hadith No. 81 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  22

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

      ↡  AQeeDa  TaqDeer  ke  Baare  me  ↡
                    •─────────────•

*⚘ FAAIDA ⌬ ➤* Taqdeer ke mas’ale mein bahas karna aur us ke bare mein zyada gaur-o-fikr karna mana hai kyunki is ki wajah se gumrah hone ka andesha hai Isi liye jab huzur ne ek baar sahaba ko is mas’ale mein bahas karte hue dekha to Aap ﷺ bahut naa’raaz hue , Hazrate Amar bin shu’aib radhi allaho anho bayan karte hain ki Aap ﷺ ka chehra-e-aqdas gusse se itna surkh hogaya ki maloom padhta tha ki aap ke chehre me anaar ka daana nichod diya gaya hai

  *📬 Ibn-e-Majah ,Hadith No:85 📗*

⚘ ⌬ ➤ Ek dusri hadis me hai ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki jis ne taqdeer ke bare me bahas kiya us se us ke bare mein Qayamat ke din sawal kiya jaayega aur jis ne bahas nahi kiya us se us ke baare mein puchha jaayega

       *📬 Ibn-e-majah,hadith No:84 📒*


⚘ ⌬ ➤ Is liye hame bas itna yaqeen rakhna chahiye ki ye haq hai aur us ke bare me bahas karne se bachna chahiye Aur ye soch kar na baith jaana chahiye ki jo likha hai woh to ho kar rahega phir ham kyun mehnat wa mushaqqat kare Balki taqdeer par yaqeen rakhne ke saath amal bhi kare Kyunki hame isi ka hukm diya gaya hai...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  23

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*
  
  *↡  AQeeDa  SaHaBa -e- Kiraam  ↡*
              *↡   ke  Baare  me   ↡*
                  •─────────────•

⚘  ⌬ ➤ Saare sahaba-e-kiraam se Allah ta’ala raazi hai aur un sab se bhalai Yani jannat ka wada farma liya hai jaisa ki Allah ta’ala ne irshad farmaya

رَّضِیَ اللہُ عَنْہُمْ وَرَضُوۡا عَنْہُ وَ اَعَدَّ لَہُمْ جَنّٰتٍ تَجْرِیۡ تَحْتَہَا الۡاَنْہٰرُ خٰلِدِیۡنَ فِیۡہَاۤ اَبَدًا ؕ ذٰلِکَ الْفَوْزُ الْعَظِیۡمُ

*⚘ Tarjuma ⌬ ➤*  Allah un sab se raazi huwa aur woh sab Allah se raazi hue aur Allah ne un ke liye aisi jannati tayyar ki hai jinke niche nahrein bahti hai,woh us mein hamesha rahenge ,woh badi kaamyabi hai
  
*📬 SuraH Tauba,Aayat No.100 📒*

Aur dusri jagah irshad farmaya ki
وَکُلًّا وَّعَدَ اللہُ الْحُسْنٰی

*⚘ Tarjuma ⌬ ➤*  Aur Allah ne (tamaam sahaba se) se bhala’e ka wada farma liya
  
      *📬 SuraH Hadid,Aayat No.10 📘*

⚘ ⌬ ➤ In dono aayaton se maloom ho gaya ki saare sahaba se Allah raazi hai aur un se jaanat ka wada farma liya hai is liye woh sab jannati hai Balki un ki shaan ye hai ki un ke chehre ko dekhne wala bhi jannati hai Jaisa ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Us musalman ko jahannam ki aag nahi chhuyegi jis ne mujhe dekha ( yaani mere sahaba ko) ya jis ne mere dekhne walo ko dekha ( Yani tabayein ko)
     
         *📬 Tirmizi,Hadith No.3858 📕*


⚘ ⌬ ➤ To ab agar koi shakhs kisi sahabi se naa’raaz hota hai ya un ke bare mein galat baat kehta hai to is se sahaba ki zaat par koi asar nahi padhta balki woh khud apni aakhirat ko tabah aur barbaad karta hai..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  24

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*
   
       *↡  AQeeDa  SaHaBa -e- Kiraam  ↡*
              *↡   ke  Baare  me   ↡*
                  •─────────────•

*⚘AQEEDA ⌬➤* Kisi bhi sahabi ka tazkara ho achchha’ee ke saath karna zaruri hai aur un mein se kisi ki bhi shaan mein galat alfaaz ka istemaal karna halakat-o-barbaad ka zariya hai Huzur sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki

اللَّهَ اللَّهَ فِى أَصْحَابِى اللَّهَ اللَّهَ فِى أَصْحَابِى لاَ تَتَّخِذُوهُمْ غَرَضًا بَعْدِى فَمَنْ أَحَبَّهُمْ فَبِحُبِّى أَحَبَّهُمْ وَمَنْ أَبْغَضَهُمْ فَبِبُغْضِى أَبْغَضَهُمْ وَمَنْ آذَاهُمْ فَقَدْ آذَانِى وَمَنْ آذَانِى فَقَدْ آذَى اللَّهَ وَمَنْ آذَى اللَّهَ فَيُوشِكُ أَنْ يَأْخُذَهُ

*⚘AQEEDA ⌬➤* Mere sahaba ke bare mein Allah se daro Mere dunya se jaane ke baad tum log un ko apni galat baato ka nishana na bana lena Jis ne un se mohabbat kiya us ne mujh se mohabbat ki wajah se un se mohabbat kiya aur jis ne un se dushmani rakha us ne mujh se dushmani rakhne ki wajah se un se dushmani rakha aur jis ne un ko taklif pahuchaya us ne mujhe taklif pahuchaya aur jis ne mujhe taklif pahuchaya us ne Allah ko taklif pahuchaya aur jis ne Allah ko taklif pahuchaya to jald hi Allah ta’ala us ki pakad farmayega(jo bahut hi sakht hai)

           *📬 Tirmizi,Hadis No.3862 📘*


⚘ ⌬➤ In hadis se maloom ho gaya ki Huzur ke sahaba mein se kisi ka bhi zikr galat alfaaz ke saath karna ya un ke bare mein bura bhala kehna haqiqat mein Allah aur us ke Rasool ﷺ ko taklif pahunchana hai jis ka anjaam halakat-o-barbaadi hai Is liye har musalman ke liye zaruri hai ki jab bhi sahaba ka zikr kare to achhe alfaaz ke saath hi kare..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  25

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

      *↡  AQeeDa  SaHaBa -e- Kiraam  ↡*
                  *↡   ke  Baare  me   ↡*
                      •─────────────•

*⚘AQEEDA ⌬➤* Sahaba mein sab se afzal Hazrat-e-Abu’bakar siddiq , phir Hazrat-e-Umar Farooq ,phir Hazrat-e-Usman e gani phir Hazrat-e-Maula Ali radhi allaho anhum hai jaisa ki Sahi bukhari ki hadis hai

عَنْ مُحَمَّدِ ابْنِ الْحَنَفِيَّةِ قَالَ قُلْتُ لأَبِى أَىُّ النَّاسِ خَيْرٌ بَعْدَ رَسُولِ اللَّهِ – صلى الله عليه وسلم – قَالَ أَبُو بَكْرٍ . قُلْتُ ثُمَّ مَنْ قَالَ ثُمَّ عُمَرُ

*⚘Tarjuma ⌬➤* Hazrat Mohammad bin hanfiya radhi Allaho anho kehte hain ki main ne apne walid ( Hazrat-e-Ali radhi allaho anho) se puchha ki Rasoolallah ﷺ ke baad logon mein sab se behtar kaun hai? To hazrat-e-Ali radhi allaho anho ne farmaya ki Abu’bakar, Mohammad bin hanafiya kehte hain ki main ne puchha ki phir un ke baad kaun hai? To unho ne kaha ki Umar

*📬 Sahi Bukhari,Hadith No.3671 📗*

عَنِ ابْنِ عُمَرَ – رضى الله عنهما – قَالَ كُنَّا نُخَيِّرُ بَيْنَ النَّاسِ فِى زَمَنِ النَّبِىِّ – صلى الله عليه وسلم – فَنُخَيِّرُ أَبَا بَكْرٍ ، ثُمَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ ، ثُمَّ عُثْمَانَ بْنَ عَفَّانَ رضى الله عنهم

*⚘Tarjuma ⌬➤* Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Nabi kareem ﷺ ke zamaane hi mein jab hame sahaba ke darmiyan intekhab ( Selection) ke liye kaha jaata to sab se afzal-o-behatar ham log Hazrat-e-Abu’bakar siddiq radhi allaho anho ko qarar dete phir Hazrat-e-Umar ko phir Hazrat-e-Usman radhi allaho anhuma ko

    *📬 Sahi Bukhari,Hadith No.3655 📒*

⚘ ⌬➤ In Dono Hadison Se maloom hogaya ki Huzur ﷺ ke zaamne hi se saare musalman Hazrat-e-Abu’bakar radhi allaho anho ko sab se afzal phir Hazrat-e-Umar, phir Hazrat-e-Usman e gani radhi allaho anhuma ko maante chale aa rahe the aur Hazrat-e-Usman e gani radhi allaho anho ki shahadat ke baad tamaam sahaba e kiraam ne Hazrat-e-Ali se ziyada afzal kisi ko nahi samjha isi liye bade bade sahaba ne un se khilafat Qabool karne ki darkhast kiya jise aap ne un ki khair’khahi karne ke liye qabool farmaya to is se ye saabit hogaya ki Hazrat-e-Usman e gani radhi allaho anho ke baad sab se afzal Hazrat-e-Ali radhi allaho anho hai Is liye ahl-e-sunnat wa jama’at ka aqeeda hai ki sahaba mein sab se afzal Hazrat-e-Abu’bakar siddiq radhi allaho anho hain Phir hazarat-e-Umar e Farooq, phir Hazrat-e-Usman e gani,phir Hazrat-e-Maula Ali radhi allaho anhum hai Aur yahi sahi aqeeda hai jis par sahaba qaa’im the is liye ham par bhi zaruri hai ki ham bhi isi aqeede par qaa’im rahe kyunki haq jama’at ki pehchaan hi huzur ne ye bataya hai ki “Nijaat pane wale log wahi hai jo mere aur mere sahaba ke tariqe par rahe..✍

   
        *📬 Tirmizi,Hadith No.2641 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  26

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*
  
  *↡  AQeeDa  SaHaBa -e- Kiraam  ↡*
              *↡   ke  Baare  me   ↡*
                •─────────────•

*⚘AQEEDA ⌬➤* Khulfa-e-Rashedeen aur jama’ate sahaba ki pairwi karne ka hukm khud huzur sallallaho alaihe wasallam ne diya hai is liye un ke faislon ko na maan’na aur un par nukta chini karna haqiqat mein huzur ke faislon ko na maan’na hai aur Aap sallallaho alaihe wasallam ki zaat par nukta chini karna hai jo ek musalman ka kaam nahi Rahi baat ki woh kaun si hadis hai jis mein huzur ne khud Khulfa-e-rashedeen ki pairwi karne ka hukm diya?to woh ye hai

⚘1⃣ ⌬➤  Hazrat-e-Irbaz bin saariya radhi allaho anho se riwayat hain ki  Ek din Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne fazar ki namaaz ke baad ham logo ko badi hi aham waaz (Spritul speech) farmaya jis ki wajah se aankho se aansu bahne lage aur dil kaanp gaye.Ek shakhs ne arz kiya ki Ya Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam Ye to “Al-wida” karne wale shakhs ki tarah ka bayan hai. Aap hame kya wasiyat farmate hain? To huzur ne farmaya ki Main tumhe parhezgaari ki wasiyat karta hu aur apne Haakim ki baat maan’ne aur sun’ne ki wasiyat karta hu agarche woh haakim habshi gulaam hi kyun na hoIs liye ki tum mein se jo zinda rahega woh bahut ekhtilaaf dekhega, khabar’daar (Shari’at ke khelaaf) Nayi baato se bachna kyunki ye gumrahi hai Tum mein se jo bhi us zamaane ko paaye to us par meri aur mere nek aur hidayat pane wale khulfa ki sunnat ki pairwi karna zaruri hai Tum log use daanto se mazbooti ke saath pakad lena..✍

    
  *📬 Tirmizi,Hadith No.2676 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  27

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*
   
    *↡  AQeeDa  SaHaBa -e- Kiraam  ↡*
              *↡   ke  Baare  me   ↡*
                   •─────────────•

*⚘2⃣ ⌬➤* Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho se riwayat hai ki Rasool-e-Akram sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jab bhi tumhe Allah ki kitaab se hukm diya jaaye to us par amal karna zaruri hai aur us par amal na karne par kisi ka bahana qabool nahi kiya jaayega Agar kisi mas’ale ka hukm tumhe Quraan mein nahi mile to use meri sunnat mein talaash karna aur agar meri sunnat se bhi na mile to mere sahaba ki sunnat mein use talaash karna ,Huzur ne farmaya ki Mere sahaba ki misaal aise hi hai jaise Aasmaan par sitaare,Un mein jin ka bhi daman pakad loge hidayat pa jaoge aur mere sahaba ka ekhtilaaf bhi tumhare liye rahmat hai

*📬 Masnad-e-Abd bin Hamid,Hadith No.783 📒*

⚘⌬➤ Is hadis ko allama Zahbi
ne “Mizaanul etadal” aur “Lisaanul Mizaan”mein Khatib bagdadi ne “Al-kifaya fee ilmirriwaya”mein.Allama Jalaluddin suyuti ne” Mifatahul jannah” mein.Allama Asqalani ne “Fatahul baari” mein aur Allama ibn-e-Qidama ne”Al-Mugni” mein bhi naqal farmaya hain Upar bayan ki gayi dono hadison se maloom ho gaya ki Khulfa-e-Rashedeen aur Sahaba ki pairwi bhi zaruri hai.Is liye jo log Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ke kuchh faislon jaise ki Namaaz-e-Tarawih ki 20 raka’at jo Huzur ke zamane mein bhi tha magar aap ne us ko pure ramzaan mein jama’at ke saath jaari kiya , auraton ka masjid mein jaane par paabandi wagairah nahi maante isi tarah juma ke din 2 aazan jise hazrat e Usman e gani radhi allaho anho ne jaari kiya,us par unhein bid’ati kehna, jab ki us waqt ke tamaam sahaba ne us ko maana aur us ke mutaabiq amal kiya aur aaj tak dunya ke tamam musalmano ka is par amal hai Magar aaj ke daur mein kuchh log huzur ki baat ko thukraate hue sahaba ke in sunnaton ko nahi maante aur aam musalmano se alag apna raasta nikalte hai aise logon ke bare mein Allah ta’ala ne irshad farmaya Jo mukhalifat kare Rasool ki is ke baad ki hidayat zaahir ho chuki aur aam musalmano ke raaste ke khilaaf koi aur raasta banaye, use ham pher denge usi taraf jis taraf woh phira aur phir use jahannam mein daal denge,aur woh buri jagah hai..✍

  
      *📬 SuraH Nisa,Aayat No.115 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  28

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*
     
         *↡  AQeeDa  AuLiya - AllaH  ↡*
                 *↡   ke  Baare  me   ↡*
                     •─────────────•

⚘⌬ ➤ Auliya Allah sirf muttaqi parhezgaar aur bade darje ke iba’dat guzaar sunni sahi’hul aqeeda musalman hote hain.koi bad-aqeeda ya fasiq-o-fajir,shari’at ke khilaaf kaam karne wala,Namazon ko chhodne wala,gaja sharab pine wala wali nahi hota hai jaisa ki Allah ta’ala ne irshad farmaya ki

                        اِنْ اَوْلِیَآؤُہٗۤ اِلَّا الْمُتَّقُوۡنَ

*⚘ Tarjuma ⌬ ➤* Us ke (yani Allah ke) auliya sirf muttaqi aur perhezgaar log hote hain

             *📬 Surah anfaaL : 34 📒*

*⚘ AQEEDA ⌬ ➤* Auliya-e-kiraam se khud Allah ta’ala aur us ke farishte mohabbat karte hain is liye un se mohabbat karna aur un ko buzrug samajhna imaan walon ki pehchaan hai Jaisa ki hadis sharif me hai

عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ عَنِ النَّبِىِّ – صلى الله عليه وسلم – قَالَ « إِذَا أَحَبَّ اللَّهُ الْعَبْدَ نَادَى جِبْرِيلَ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلاَنًا فَأَحْبِبْهُ . فَيُحِبُّهُ جِبْرِيلُ ، فَيُنَادِى جِبْرِيلُ فِى أَهْلِ السَّمَاءِ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلاَنًا فَأَحِبُّوهُ . فَيُحِبُّهُ أَهْلُ السَّمَاءِ ، ثُمَّ يُوضَعُ لَهُ الْقَبُولُ فِى الأَرْضِ
*[ بخاری، کتاب بدء الخلق:۳۲۰۹۔ مسلم :۲۶۳۷ ]*

*⚘ Tarjuma ⌬ ➤* Hazrat-e-Abu’hurairah radhi allaho anho se riwayat hai ki Nabi kareem ﷺ ne irshad farmaya ki Jab Allah ta’ala kisi bande se mohabbat karta hai to Hazrat-e-Jibrail ko awaaz deta hai ki “Be-shak Allah fulan bande se mohabbat karta hai”Tum bhi us se mohabbat karo,To Hazrat-e-Jibrail us se mohabbat karne lagte hain phir woh asmaan walon me elaan kardete hain ki be-shak Allah fulan bande se mohabbat karta hai Tum sab bhi un se mohabbat karo to us bande se asmaan wale mohabbat karne lagte hain phir us ki maqboliyat zameen walon me rakh di jaati hai..✍


*📬 SaHi Bukhari,Hadith No.3209. Sahi Muslim,Hadith No.2637 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  29

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*
     
         *↡  AQeeDa  AuLiya - AllaH  ↡*
                   *↡   ke  Baare  me   ↡*
                   •─────────────•

*⚘AQEEDA ⌬ ➤* Auliya allah ki shaan aur un ke kamalaat aam logon se bahut hi buland hua karti hain. Woh Allah ta’ala ki ibadat karte karte aise maqaam par pahunch jaate hain ki Allah taala unhen aisi taaqat aur Qudrat ata farmata hai jo aam bandon ki taaqat-o-Qudrat se bahut badh ke hoti hai isi liye ek aam aadmi door ki chizon ko nahi dekh pata lekin Allah ke wali door ki chizon ko bhi dekh lete hain aur door ki awazon ko bhi sun lete hain aur door rahte hue bhi apne maan’ne walon ko faaida pahuncha dete hain jaise ki Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne madina sharif me rahte hue Nihawand Iran me Islami lashkar ko dekh liya aur unhen apni hidayat se faaida bhi pahunchaya aur Hazrat-e-Saariya ne use sun bhi liya.isi tarah se Hazrat-e-Sa’ad bin abi waqqas radhi allaho anho ne Irani’yon se jang ke waqt sahaba-e-kiram ko darya me apne ghodon ko daal dene ka hukm diya aur unhone apna bhi ghoda darya me daal diya to un ke ghode darya me aise chalte hue paar hogae jaise aam log zameen par chalte hain wagairah wagaira hadis e Qudsi hai

عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ – صلى الله عليه وسلم – « إِنَّ اللَّهَ قَالَ مَنْ عَادَى لِى وَلِيًّا فَقَدْ آذَنْتُهُ بِالْحَرْبِ ، وَمَا تَقَرَّبَ إِلَىَّ عَبْدِى بِشَىْءٍ أَحَبَّ إِلَىَّ مِمَّا افْتَرَضْتُ عَلَيْهِ ، وَمَا يَزَالُ عَبْدِى يَتَقَرَّبُ إِلَىَّ بِالنَّوَافِلِ حَتَّى أُحِبَّهُ ، فَإِذَا أَحْبَبْتُهُ كُنْتُ سَمْعَهُ الَّذِى يَسْمَعُ بِهِ ، وَبَصَرَهُ الَّذِى يُبْصِرُ بِهِ ، وَيَدَهُ الَّتِى يَبْطُشُ بِهَا وَرِجْلَهُ الَّتِى يَمْشِى بِهَا ، وَإِنْ سَأَلَنِى لأُعْطِيَنَّهُ ، وَلَئِنِ اسْتَعَاذَنِى لأُعِيذَنَّهُ ، وَمَا تَرَدَّدْتُ عَنْ شَىْءٍ أَنَا فَاعِلُهُ تَرَدُّدِى عَنْ نَفْسِ الْمُؤْمِنِ ، يَكْرَهُ الْمَوْتَ وَأَنَا أَكْرَهُ مَسَاءَتَهُ
*بخاری ، کتاب الرقاق ،باب التواضع: ۶۵۰۲*

*⚘TARJUMA ⌬ ➤* Hazrat-e-Abu’Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya ki be-shak Allah ta’ala ne irshad farmaya ki Jo mere kisi wali se dushmani karta hai main us se jang karne ka elaan karta hun aur mera banda jin chizon ke zari’ye mere qareeb hota hai un me se farz chizen mujhe ziyadah pasand hai, aur mera banda nafli ibadat ke zari’ye mujh se qareeb hota rahta hai yahan tak ki main us se mohabbat karne lagta hun phir jab main us se mohabbat karne lagta hun to main us ka kaan ban jaata hun jis se woh sunta hai aur uski aankh ban jaata hun jis se woh dekhta hai aur us ka haath ban jaata hun jis se woh pakadta hai aur us ka paao ban jaata hun jis se woh chalta hai agar woh mujh se kuchh maangta hai toh main use zaror ata karta hun aur agar woh meri panah maangta hai to use main apni panah zaror ata karta hun aur jo kaam mujhe karna hota hai main us me kabhi is tarah mutaraddid nahi hota jaise momin bande ki jaan lene me hota hun use maut pasand nahi aur mujhe us ki taklif pasand nahi hoti..✍


     *📭 Sahi Bukhari,Hadith No.6502 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  30

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

          *↡  AQeeDa  AuLiya - AllaH  ↡*
                    *↡   ke  Baare  me   ↡*
                       •─────────────•

*⚘Faida No.1 ⌬ ➤* Is hadis sharif me ye jo kaha gaya ki “main uska kaan ban jaata hun jis se woh sunta hai,Aankh ban jaata hun jis se woh dekhta hai” wagairah to is ka matlab ye nahi hai ki Allah ta’ala us me sama jaata hai jis ki wajah se woh aise kaam kar lete hain jo kisi bhi aam insaan se nahi ho sakta balke is ka sahi matlab ye hai ki unhen Allah Ta’ala aam logo se ziyadah sun’ne aur dekhne wagairah ki taaqat ata farmaa deta hai jis ki wajah se woh begair kisi dunyawi zari’ye ke hazaron koos door ki chizon ko bhi dekh lete hain aur wahan ki awaz ko bhi sun lete hain


*⚘Faida No.2 ⌬ ➤* Ye kehna ki door ki awaz ko sun lena ya door ki chizon ko dekh lena toh Allah Ta’ala hi ki sifat hai agar use kisi dusre ke liye mana jaae to shirk ho jaaega toh ye sahi hai ki begair kisi ke diye zaati taur se ye sifaten sirf Allah hi ki hai aur is tarah se dusre ke liye maan lena yaqinan shirk hai magar Allah ki ata se ambiya-e-kiram aur auliya-e-kiram ko bhi hasil hai aur us ko na man’na haqiqat me Quran-o-hadis ka inkaar karna hai kyunki Quran sharif ke surah Namal me saaf lafzon me Hazrat-e-Sulaiman alaihissalam ka door rahte hue bhi chuntiyon ki awaaz ko sun lena aaya hai aur hadis sharif se huzur ﷺ aur sahaba ke liye door ki awaz ko sun’na sabit hai..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  31

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*
      
           *↡  AQeeDa  AuLiya - AllaH  ↡*
                    *↡   ke  Baare  me   ↡*
                     •─────────────•

*⚘AQEEDA-1 ⌬ ➤* Wali chahe jitne bhi bade maqam par pahunch jaae un se namaz,roza aur shari’at ke dusre qawanin(laws of shari’at) aur ahkam maaf nahi hote hain ki ab unhen namaz padhne ki zarorat nahi ya ab un ke liye ijazat hai ki woh shari’at ke khilaaf kaam kare unhen kuchh nahi hoga(نعوذ باللہ من ذالک) kyunki huzur se badh ke koi Nahi ho sakta to jab Aap ﷺ ke liye maaf na hua to dusre ke liye kaise ho sakta hai?Allah ta’ala irshad farmata hai

                     وَاعْبُدْ رَبَّکَ حَتّٰی یَاۡتِیَکَ الْیَقِیۡنُ

*⚘TARJUMA ⌬ ➤* Aur tum marte dam tak apne rab ki ibadat karte raho

       *📬 SuraH al-hajar,ayat No.99 📒*


⚘ ⌬ ➤ is ayat-e-karima me Allah ta’ala ne saaf lafzon me apne bandon ko hukm diya ki tum log marte dam tak ibadat karte raho to ab agar koi Quran ki is aayat ke khilaaf dawah karta hai ki main aise maqam par pahunch gaya hun ki Allah Ta’ala ne mere liye ibadat karne ko maaf kar diya hai to woh wali nahi balke jaahil aur shaitan ka khilauna hai..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  32

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

           *↡  AQeeDa  AuLiya - AllaH  ↡*
                   *↡   ke  Baare  me   ↡*
                       •─────────────•

⚘AQEEDA ⌬ ➤ Karamaat-e-Auliya haq hain aur woh log jo shari’at ke khilaaf kaam karte hain aur wali hone ka bhi dawah karte hain aur apni welaayat ko sabit karne ke liye aisi chiz kar ke dekhate hain jo aam insaano ki taqat se bahar hoti hai toh woh karamat nahi hai balke su’abda baazi aur makkar hai Karamat ka haq hona Quran aur hadis dono se saabit hai Allah ta’ala ne Quran sharif me bayan farmaya ki

قَالَ یٰۤاَیُّہَا الۡمَلَؤُا اَیُّکُمْ یَاۡتِیۡنِیۡ بِعَرْشِہَا قَبْلَ اَنۡ یَّاۡتُوۡنِیۡ مُسْلِمِیۡنَ ، قَالَ عِفْریۡتٌ مِّنَ الْجِنِّ اَنَا اٰتِیۡکَ بِہٖ قَبْلَ اَنۡ تَقُوۡمَ مِنۡ مَّقَامِکَ ۚ وَ اِنِّیۡ عَلَیۡہِ لَقَوِیٌّ اَمِیۡنٌ ، قَالَ الَّذِیۡ عِنۡدَہٗ عِلْمٌ مِّنَ الْکِتٰبِ اَنَا اٰتِیۡکَ بِہٖ قَبْلَ اَنۡ یَّرْتَدَّ اِلَیۡکَ طَرْفُکَ ؕ فَلَمَّا رَاٰہُ مُسْتَقِرًّا عِنۡدَہٗ قَالَ ہٰذَا مِنۡ فَضْلِ رَبِّیۡ ۔

⚘TARJUMA ⌬ ➤ (Hazrat-e-Sulaiman alaihissalam ne) kaha:Aye darbariyon! Tum me se kaun hai jo mere paas us ka takht le aae, Us ke farma bardaar ho kar aane se pehle (yani malka Bilqis ka takht jo 80 gaz chauda aur 40 gaz lamba soone,chandi aur heere moti se sajaya hua tha aur wahan se bahot door tha) ek bade jin ne kaha “main aap ke majlis khatam karne se pehle use laa kar aap ke paas hazir kardunga aur beshak main is par taqat-war aur amin hun woh shakhs jis ke paas kitab ka ilm tha (yani hazrat-e-Asif bin barkhiya)ne kaha ”main us ko aap ke paas aap ke palak jhipkane se pehle le aaunga phir jab unhone us ko apne paas dikha to kaha ki ye mere rab ke fazl se hai..✍


    *📬 SuraH Namal,ayat No.38.39.40 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  33

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

      *↡  AQeeDa  AuLiya - AllaH  ↡*
              *↡   ke  Baare  me   ↡*
                 •─────────────•

⚘ ⌬ ➤ Hadis sharif hai

عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ – رضى الله عنه –[فی روایۃ طویلۃ]وَكَانَ خُبَيْبٌ هُوَ قَتَلَ الْحَارِثَ يَوْمَ بَدْرٍ ، فَمَكَثَ عِنْدَهُمْ أَسِيرًا وَكَانَتْ تَقُولُ مَا رَأَيْتُ أَسِيرًا قَطُّ خَيْرًا مِنْ خُبَيْبٍ ، لَقَدْ رَأَيْتُهُ يَأْكُلُ مِنْ قِطْفِ عِنَبٍ ، وَمَا بِمَكَّةَ يَوْمَئِذٍ ثَمَرَةٌ ، وَإِنَّهُ لَمُوثَقٌ فِى الْحَدِيدِ ، وَمَا كَانَ إِلاَّ رِزْقٌ رَزَقَهُ اللَّهُ
بخاری ، کتاب المغازی ،باب غزوۃ الر جیع:۴۰۸۶

*⚘ TARJUMA ⌬ ➤* Hazrat-e-Abu’Huraira radhi allaho anho se marwi hai ki Hazrat-e-Khubaib radhi allaho anho ne jang-e-Badar me Haris bin Aamir ko qatal kiya tha (baad me)Hazrat-e-Khubaib radhi allaho anho giraftaar ho kar us ke ghar walon ke qaidi ban gae.Haris(jise Hazrat-e-Khubaib ne qatal kiya tha )us ki ek beti thi jo kaha karti thi ki main ne Hazrat-e-Khubaib se ziyadah achcha aur nek koi qaidi nahi dekha,aur beshak maine Hazrat-e-Khubaib ko angoor khaate hue dekha jab ki un dino Makka me koi phal nahi milta tha (phalon ka mausam bhi nahi tha)aur waise bhi woh zanjeer me jakde hue the(phir unhen angoor kahan se mila jise woh kha rahe the?) ye woh rizq tha jo Allah Ta’ala ne unhen(gaib se)ata farmata tha

*📬 Sahi bukhari,Hadith No.4086 📚*


*⚘ FAAIDA ⌬ ➤* Is ke ilawah bahut saari hadisen hain jin se auliya Allah ki karamat saabit hai is liye is ke haq hone me koi shak nahi Lekin woh log jo shari’at ke khilaaf kaam karte hain,Namaz,roza se koi matlab nahi rakhte aur wali hone ka dawah karte hain aur woh log apne wali hone ke saboot me aisi chizen bhi dekhate hain jo koi aam insaan nahi kar sakta to woh karamat nahi shub’da baazi aur makkari hai aur woh shakhs bilkul jhoota hai kyunki karamat sirf usko kaha jaata hai jo muttaqi parhez’gaar musalman se zaahir ho aur Allah ke sach-che wali apni wilayat ka dawah khud se nahi karte aur na hi apni wilayat ko manwaane ke pichhe padhte hain balki zarorat ke waqt Allah ta’ala un se aisi baaton ko zahir kar deta hai jis se logo ko un ke maqaam o martaba ka pata chal jaata hai..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  34

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

     *↡ AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me ↡*
                   •─────────────•

⚘ ⌬ ➤ Allah Ta’ala ke elawah har chiz ko ek na ek din fana ( khatm) hona hai, irshaad-e-baari ta’ala hai Allah ki zaat ke elawah har chiz fana hone wali hai

    *📬 SuraH Qasas,Aayat No.88 📘*

⚘ ⌬ ➤ Aur irshaad-e-baari tal’aa hai Har jaan ko maut ka maza chakhna hai

     *📬 SuraH Ambiya,Aayat No.35 📒*

⚘ ⌬ ➤ Marne ke baad insaan ki rooh aalam-e-barzakh mein rehti hai phir jab qayamat qayam hogi aur dunya ki har chiz toot phoot kar fana ho jaaegi toh jab tak Allahﷻ chaahega usi haal par chhode rakhega phir logon ko dobara zinda farmaaega aur uske baad hisaab kitaab aur dusri chizein anjaam paaengi aur phir akhiri thikane ke taur par musalmaan hamesha ke liye jannat mein aur kuffar-o-mushrikeen hamesha jahunnum mein chale jaaenge Inhi sab chizon Ke majmue ko “Yaum-e-Akhirat” kaha jata hai Is par imaan lana zaruri hai aur iska inkaar karne wala kaafir hai Jaisa ki Farmaan-e-baari tala’a hai

وَمَنۡ یَّکْفُرْ بِاللہِ وَمَلٰٓئِکَتِہٖ وَکُتُبِہٖ وَرُسُلِہٖ وَالْیۡوْمِ الۡاٰخِرِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلٰلًۢا بَعِیۡدًا

*⚘TARZUMA ⌬ ➤* Aur jo na maane Allah, uske farishte, uski kitaabon, uske rasoolon aur akhirat ke din ko toh woh door ki gumaraahi mein pada

       *📬 SuraH Nisaa,Aayat No. 136📚*


⚘ ⌬ ➤ Yaum-e-Aakhirat se muta’alliq bahut saari chizein hain is liye har ek ko alag alag chapter mein bayan kiya jaata hai..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  35

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

*↡ AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me ↡*
                 •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN*

⚘ ⌬ ➤ AQEEDAH Har insaan ki zindagi ka waqt muqarrar hai na usme kuchh kami ho sakti hai aur naa hi koi ziyadti, jab zindagi ka waqt mukammal ho jaata hai toh use maut aa jaati hai yaani rooh badan se nikal kar aalam-e-barzakh me chali jaati hai Phir murde se sawal-o-jawab hota hai,us ke baad kisi ko azaab aur kisi ko aaram nasib hota hai Aur kuchh aise bhi hote hain jinko shuru mein kisi wajah se azaab hota hai magar baad mein Allah ta’ala use bakhsh deta hai aur use bhi aaram nasib hojaata hai Lekin kaafir aur munafiq hamesha azaab hi mein rehte hain Qayamat tak saare logon ki roohen isi barzakh ki dunya mein rahengi Jaisa ki Allah ta’ala ne irshad farmaya

              وَ مِنْ وَّ رَآئِہِمۡ بَرْزَخٌ اِلٰی یَوْمِ یُبْعَثُوۡنَ

⚘ ⌬ ➤ Aur (Is dunyawi zindagi ke baad) un ke aage barzakh hai,(log marne ke baad usi mein rahenge)dobarah uthaae jaane ke din tak..✍


*📬 SuraH Mominoon,Aayat No.100 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  36

*⚘⌬ ➤ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​*

*↡ AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me ↡*
                  •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN*

*⚘AQEEDAH ⌬ ➤* Jab insaan ki rooh jism se juda ho jaati hai toh aisa nahi hai ki woh ab bol aur sun nahi sakta balki murde bolte aur sunte hain magar hame uska ehsaas nahi hota,Haan Allah ta’ala jise chaahta hai unhein murdon ki awaaz suna bhi deta hai Jaisa ki ye baat huzur ke elawah sahaba ke liye bhi hadis se saabit hai Hazrat-e-Ibn-e-Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki kuchh sahaba ne apna khema ek qabar par gaad diya aur un logon ko ye nahi maloom tha ki yahan par qabar hai,to un logo ne us qabar ke murde se Surah mulk ki tilawat shuru se aakhir tak suni,phir jab woh log huzur ke paas aae aur saara waaqiya bataya to Huzur ne farmaya ki Ye surah Qabar ke azaab ko rokne wali aur us se nijaat dene wali hai

    *📬 Tirmizi,Hadith No.2890 📚*


⚘ ⌬ ➤ Is ke elawah aur bhi bahut saari hadisein hain jin se murde ka bolna, sun’na,dekhna, aur ehsaas karna wagairah saabit hai Un hadison mein se kuchh ye hain..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  37

*༻ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​ ༺*

↡  AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me  ↡
                 •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN*

*⚘HaDees No.1 ⌬ ➤*  Hazrat Abu Saeed Khudri radhi  Allaho anho se riwayat hai ki Nabi kareem ﷺ irshaad farmaya karte the ki jab janaza rakha jaata hai aur log use apni gardano par uthaate hain toh agar marne wala nek hota hai toh kehta hai “ Mujhe aage badhao”  Mujhe aage badhao” aur agar nek nahi hota hai toh apne ghar walon se kehta hai “Haai barbaadi Mujhe kahan le jaa rahe ho?” Uski awaaz ko insaan ke elawah har chiz sunti hai aur insaan sun le toh behosh hojae

*📬 Sahi Bukhari, Hadith No.1361 📒*

⚘⌬ ➤  Is hadis se saaf maloom hua ki murde bolte hain

*⚘HaDees No.2 ⌬ ➤*  Hazrat Ayyub radhi allaho anho bayan karte hain ki suraj doobne ke baad Nabi kareem ﷺ nikle toh ek awaaz suni, toh Aap ﷺ ne irshaad farmaya ki Yahoodi ko uski qabr mein azaab diya jaa raha hai

*📬 Sahi Bukhari,kitabul janaiz,Hadith No.1375.Sahi Muslim,Hadees No.2869 📚*


⚘⌬ ➤  Is hadees se murda ke bolne ke saath ye bhi saabit hua ki Allah ta’ala apne jin bandon ko taaqat ata farmata hai woh un ki awaaz ko sun bhi lete hain..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  38

*༻ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​ ༺*
↡  AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me  ↡
                 •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN*

*⚘HaDees No.3 ⌬ ➤*  Hazrat Anas bin Malik radhi allaho anho bayan karte hain ki Rasool-e-Akram ﷺ ne irshaad farmaya ki Beshak jab maiyyat ko uski qabr mein rakh diya jaata hai, phir jab log palat kar jaane lagte hain toh woh unki jooton ki dhamak ki awaz ko sunta hai

*📬 Sahi Muslim,Hadith No.2870.Sahi Bukhari,Hadith No. 1338 📒*

⚘ ⌬ ➤ Is hadis se saaf saabit hua ki murde sunte hain

*⚘HaDees No.4 ⌬ ➤*  Hazrat Anas bin Malik radhi allaho anho bayan karte hain ki Beshak Rasoolallah ﷺ Badr me qatl kiye gaye (kuffaron ki laashon) ko teen din tak chhode rakha, phir unke paas tashrif laae aur khade hokar unko awaaz dete hue kaha ki Aye Abu Jahl bin Heshaam Aye Umiyya bin Khalf Aye Utba bin Rabiya Aye Shaiba bin Rabiya kya tum logon ne usko nahi paa liya jo tum se tumhare rab ne sachcha wada kiya tha? Beshak maine toh usko paa liya jo mujh se mere Rab ne sachcha wada farmaya tha Hazrat Umar radhi allaho anho ne Huzoor ﷺ ki baat suni toh unhone arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ Woh log kaise sunenge aur kaise jawab denge jab ki woh murda laash ho chuke hain toh Huzur-e-Akramﷺ ne farmaya Qasam hai us zaat ki jiske qabza-o-qudrat mein meri jaan hai Jo main unse keh raha hoon tum unse ziyadah sunne wale nahi ho lekin unke paas itni taqat nahi hai ki woh jawab de Phir Huzoor ne hukm diya toh un sab ko Badr ke kuwe mein daal diya gaya..✍


*📬 Sahi Muslim,HadeesNo. 2874 📚*

••──────────────────────••►

*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  39

*༻ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​ ༺*

↡  AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me  ↡
                  •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN*

*⚘HaDees No.5 ⌬ ➤* Hazrat Simasa Al-Muhri bayan karte hain ki Hum log Hazrat Umar bin Aas radhi allaho anho ke paas unke akheri waqt mein hazir hue toh unhone apne beton se kaha ki Jab tum log mujhe dafna dena aur qabr par mitti daal dena toh phir meri qabr ke paas itni der tak ruke rehna jitni der mein ek oont (Camel) ko zabah karke uska gosht taqseem kar diya jaata hai, taaki main tum se sukoon haasil karun aur dekhun ki main apne Rab ke farishton ko kya jawab deta hun

*📬 Sahi Muslim,Hadees No.121 📕*

⚘⌬ ➤ In tamaam hadeeson se maloom hua ki murde bolte aur sunte hain aur woh ehsaas bhi karte hain

*⚘FAIDA ⌬ ➤* Quran-e-hakeem mein Allahﷻ ne irshaad farmaya “: اِنَّکَ لَا تُسْمِعُ الْمَوْتٰی ” Beshak Aap murdon ko nahi suna sakte *Surah Naml,Aayat No.80* Aur irshaad farmaya ki “وَ مَاۤ اَنۡتَ بِمُسْمِعٍ مَّنۡ فِی الْقُبُوۡرِ” Aur aap un logon ko nahi suna sakte jo qabron mein hain..✍


*📬 SuraH-Faatir,Aayat No.22 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  40

*༻ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​ ༺*

↡  AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me  ↡
                  •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN*

⚘ ⌬ ➤ Abhi hadees shareef mein upar aap ne padha ki murde bolte aur sunte hain aur Huzoor ne saaf lafzon mein irshaad farmaya ki “Jab log dafan karke wapas jaane lagte hain toh murde unke jooton ki awaaz ko zarur sunte hain” aur Huzoor ne Badr mein qatl kiye gaye logon ke baare me farmaya ki “Yeh tumse ziyadah sunne waale hain” aur in aayaat-e-kareema mein Allah ﷻ ne saaf taur se irshaad Farmaa raha hai ki “Aap murdon ko nahi suna sakte hain” aur “Aap unlogon ko nahi suna sakte jo qabron mein hain” toh kya Huzur ne galat bayan kiya? Aur kya Huzoor ko ye aayatein nahi maloom thi?
Yaad rakhe! Allahﷻ ne Quran-e-hakim ke baare mein khud irshaad farmaya ki Is se bahut saare log gumrah hote hain aur usi se bahut saare log hidayat paate hain aur us se gumrah sirf woh log hote hain jo faasiq hain

*📬 SuraH Baqrah,Aayat No.26 📘*


⚘ ⌬ ➤ Yaani Quran ko jo log sirf apni aqal aur tabiyat se samjhne ki koshis karte hain woh log Quran padh kar bhi gumrah ho jaate hain, Is liye hame chahiye ki Quran ko sirf apni aqal aur tabiyat se samjhne ki koshis na kare balki sahi matlab jaan ne ke liye aayaton ki tafseer padhe aur jis aayat ka jo matlab ahle Ilm mufassereen ne bataya hai usi par yaqin rakhe Kyunki Allahﷻ ne hume yahi hukm farmaya hai ki Agar tumhe maloom na ho to ilm walon se puchho, is liye hum yaha par pehle dono aayaton ki mukammal ibaarat (text) aur tarzama likhte hain phir ahle ilm ne un aayaton ka jo matlab likha hai use bayan karenge jis se saaf zahir ho jaaega ki aayat bhi sahi hai aur hadees bhi sahi hai aur dono mein koi ekhtilaaf nahi hai Aur jo ekhtilaaf hame samjh me aa raha hai woh sirf hamari kam aqli ki paidawaar hai..✍

••──────────────────────••►

*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  41

*༻ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​ ༺*

 ↡  AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me  ↡
                   •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN*

*⚘AayaT No.1 ⌬ ➤* اِنَّ رَبَّکَ یَقْضِیۡ بَیۡنَہُمۡ بِحُکْمِہٖ ۚ وَ ہُوَ الْعَزِیۡزُ الْعَلِیۡمُ ، فَتَوَکَّلْ عَلَی اللہِ ؕ اِنَّکَ عَلَی الْحَقِّ الْمُبِیۡنِ ، اِنَّکَ لَا تُسْمِعُ الْمَوْتٰی وَلَا تُسْمِعُ الصُّمَّ الدُّعَآءَ اِذَا وَلَّوْا مُدْبِرِیۡنَ ، وَمَاۤ اَنۡتَ بِہٰدِی الْعُمْیِ عَنۡ ضَلٰلَتِہِمْ ؕ اِنۡ تُسْمِعُ اِلَّا مَنۡ یُّؤْمِنُ بِاٰیٰتِنَا فَہُمۡ مُّسْلِمُوۡنَ۔

*⚘TARJUMA ⌬ ➤* (Aye mahboob) Beshak tumhara Rab unke darmiyaan apne hukm se faisla farmaega aur wahi gaalib jaan ne wala hai toh aap Allah par bharosa rakhiye, beshak aap hi haq par hain (kuffar-e- makkah nahi) beshak aap koi pukaar na murdon ko suna sakte hain aur na hi behron ko, jab woh aap se peeth phair kar jaa rahe hon, aur na hi aap andho ko unki gumrahi se (begair izan-e-ilahi ke) hidayat de sakte hain Aap toh unhi ko suna sakte hain (jo aap ki dawat se) hamari aayaton par imaan laate hain aur woh muslamaan hain..✍


*📬 SuraH NamaL,Aayat No.78 – 81 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  42


*༻ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​ ༺*

↡  AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me  ↡
               •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN*

*⚘TAFSEER ⌬ ➤*  Allama Ibn-e-Kathir is aayat ki tafseer karte hue likhte hain ki Beshak Allah ﷻ qayamat ke din apne hukm se unke darmiyaan faisla farmaega kyunki woh gaalib hai, bad’kaaron se badla lene par aur woh apne bandon ke tamaam baaton aur kaamon ko jaan ne wala hai Toh aap apne tamaam maamle mein Allah par bharosa rakhiye aur apne Rab ke paigaam ko pahunchate rahiye, agarche woh log aap ki mukhalifat kare, Jinki qismat mein bad’bakhti likh di gayi aur jin par aap ke Rab ki baat saabit ho chuki hai ki woh log kabhi Imaan nahi laaenge (Allama Ibn-e-Kathir likhte hain ki) Unhi logon ko is ayat-e-kareema mein “Murda, Bahra aur andha” kaha gaya hai

*📬 Tafseer Ibn-e-Kathir vol: 6 page No. 210 📕*

⚘ ⌬ ➤ Tafseer Nasafi mein hai ki jab kuffaran-e-Makkah Huzur ki baat nahi sunte the aur na us se kuchh faaida uthate the toh Allahﷻ ne zinda hone ke bawajud unhe murdon se tashbih diya..✍


*📬 Tafseer Nasafi , vol 3 page No. 23 📚*

••──────────────────────••►

*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  43

*༻ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​ ༺*

↡  AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me  ↡
                 •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN*

*⚘AayaT No.2 ⌬ ➤
وَمَا یَسْتَوِی الْاَعْمٰی وَالْبَصِیۡرُ ، وَلَا الظُّلُمٰتُ وَلَا النُّوۡرُ ، وَ لَا الظِّلُّ وَلَا الْحَرُوۡرُ ، وَمَا یَسْتَوِی الْاَحْیَآءُ وَ لَا الْاَمْوَاتُ ؕ اِنَّ اللہَ یُسْمِعُ مَنۡ یَّشَآءُ ۚ وَ مَاۤ اَنۡتَ بِمُسْمِعٍ مَّنۡ فِی الْقُبُوۡرِ ، اِنْ اَنۡتَ اِلَّا نَذِیۡرٌ۔

*⚘TARJUMA ⌬ ➤* Andhe aur aankh wale barabar nahi ho sakte, na hi taariki aur raushni aur na hi saya aur tez  dhoop barabar ho sakte hain Aur na hi zinde aur murde barabar ho sakte hain, beshak Allah jise chahta hai suna deta hai Aur aap unko nahi suna sakte jo qabron mein hain, aap toh nahi hain magar sirf darr sunane wale

*⚘TAFSEER ⌬ ➤* Allama Ibn-e-Kathir likhte hain ki yaani jis tarah se yeh alag alag chizen jaise andha aur aankh wala, tareeki aur raushni, saya aur dhoop aapas mein barabar nahi ho sakte usi tarah zinde aur murde bhi barabar nahi ho sakte Ye ek misaal hai jis mein momin ko zinda aur kaafiron ko Allah ta’ala ne murda farmaya Beshak Allah jise chaahta hai suna deta hai yaani hidayat de deta hai aur aap un logon ko jo qabron mein hain nahi suna sakte yaani jis tarah woh log jo kufr par mar gaye aur apni qabron mein jaa chuke unhen ab koi hidayat faaida nahi pahuncha sakta, usi tarah ye mushrikeen jin ki qismaton mein bad-bakhti likh di gayi hai aur ye tay ho chuka hai ki woh kabhi imaan nahi laaenge unke baare mein aap ki koi tadbeer kaargar nahi hogi aur na hi aap ki dawat se woh kuch faaida uthaaenge..✍


*📬 Tafseer Ibn-e-Kathir, vol: 6 , page No.542-543 📒*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  44

*༻ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​ ༺*

↡  AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me  ↡
                •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN*


⚘ ⌬ ➤ Is tafseel se maloom ho gaya ki dono aayat-e-kareema mein “murda” se muraad woh murda nahi hai jiske badan se rooh nikal gayi ho balke yahaan par “murda” se muraad woh log hain jinke dil murda ho chuke the jaise ki Abu Jahl, Utba aur shaiba wagairah Aur unko murda ya qabron mein jaa chuke logon se tashbih isliye diya gaya ki jis tarah woh log ab hidayat qabool kar ke koi faaida nahi utha sakte usi tarah ye log jo azli bad-bakht hain unko bhi dawat-o-tablig ke zariye koi faaida nahi pahunchaya jaa sakta Aur hadees shareef mein jis murde ke baare me bataya gaya ke woh bolte aur sunte hain usse woh murde muraad hain jin ke badan se rooh nikal gayi ho isliye Quran-o-Hadees mein koi takrao nahi hai Aur un ayaton ka apni aqal se matlab nikal kar ye aqeedah bana lena ke murde nahi sunte hain Islami aqeedah ke khelaaf hai..✍

••──────────────────────••►

*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  45

*༻ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​ ༺*

↡  AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me  ↡
              •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN*

⚘ ⌬ ➤ Ek din aisa aa’ega jis din puri dunya tabah-o-barbaad ho jaayegi, saare insaane aur jaanwar mar jaayenge ,zamin, asmaan,chand,suraj,sitaare aur pahad wagairah sab toot phoot kar fana ho jaayenge isi din ko Qayamat kehte ha Ye haq hai aur is ka inkaar karne wala kaafir-o-be’deen hai

*⚘AQEEDAH ⌬ ➤* Qayamat ki bahut saari nishaanyan hai jo Qayamat ke hone se pehle zaahir hongi Hadison mein bahut saari nishaanyan bayan ki ga’ee hai,jaise Maal-o-daulat ka khoob zyada hona, zina’kaari ka aam ho jaana,Naach gaane aur haraam kaamon ka khullam khulla hona, Auladon ka apne maa baap ki naafarmani karna aur un par hukm chalana, Bad’kaar aur zalil logon ka Qaum ka leader ho jaana, Musaafaton (distances) ka simat jaana,Waqt mein barkaton ka khatam ho jaana,ilm ka uth jaana,Jahilon ka fatwa dena aur logon ko gumraah karna wagairah In ke elawah qayamat ki kuchh badi nishanyan hai jo qayamat se pehle zarur zaahir hongi,woh ye hain

⚘1 ⌬ ➤ Dajjal ka nikalna

⚘2 ⌬ ➤ Yajuj majuj ka zaahir hona

⚘3 ⌬ ➤ Hazrat e Isa alaihissalam ka aasman se utarna

⚘4 ⌬ ➤ Hazrat-e-imam mehdi ka zaahir hona

⚘5 ⌬ ➤ Pachchhim,purab aur Arab mein zameen ka dhaas jaana

⚘6 ⌬ ➤ Dabbatul’Arz ka nikalna


⚘7 ⌬ ➤ Suraj ka pachchhim se nikalna wagairah wagairah...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  46

*༻ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​ ༺*

↡  AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me  ↡
               •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN*

*⚘AQEEDAH ⌬ ➤* Jab tak ek bhi Muslaman zamin par zinda rahega us waqt tak Qayamat Qaa’im na hogi,Yani ki Qayamat sirf kaafiron par aayegi aur saare Muslamn us se pehle hi dunya se khatam ho jaayenge Jaisa ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Dajjal ke bare mein ek lambi hadis bayan karte hue farmaya ki Log isi haalat par honge ki ek paakizah hawaa chalegi jo logon ki baglon se guzregi jis ke asar se saare musalmanon ki rooh Qabz ho jaayegi aur dunyan mein sirf bure log hi baaqi rah jaayenge jo aise khule aam zina karyenge jaise gadhe karte hai to unhi logon par Qayamat aayegi

*📬 Sahi Muslim,hadith No.2937 📘*


*⚘AQEEDAH ⌬ ➤* Jab qayamat ki chhoti badi saari nishaniya mukammal ho jaayengi,aur dunya mein sirf kaafir hi kaafir baaqi reh jaayenge to sab se aakhir mein Allah ta’ala hazrat-e-Israfil alaihissalam ko soor (Jo singh ke shakal ki ek chiz hai) phookne ka hukm dega to hazrat-e-Israfil alaihissalam Allah ke hukm se soor phookenge,is ki awaaz shuru mein dhimi hogi jise log kaan laga kar sunenge magar dhere dhere tez hoti chali jaayegi aur phir itni tez ho jaayegi ki saare log be-hosh ho kar mar jaayenge aur dunya ki har chiz toot photo kar tabah-o-barbaad ho jaayegi yahan tak ki khud israfil alaihissalam aur soor bhi khatam ho jaayega..✍

••──────────────────────••►

*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  47

*༻ IsLami aQeeDe ki MaLumaT​ ༺*

↡  AQeeDa  AakhiraT  ke  Baare  me  ↡
              •─────────────•
   *AALAM -E- BARZAKH  KA  BAYAN**

⚘AQEEDAH ⌬ ➤* Phir Allah ta’ala jab tak chaahega sab ko isi haal par rakhega aur phir jab sab ko dobarah zinda karna chahega to hazrat-e-Israfil alaihissalam ko zinda farmayega aur unhein dobarah soor phookne ka hukm dega,chunancha jab hazrat-e-Israfil alaihissalam dobaarah soor phookenge to saare log zinda ho kar apni apni qabron se niklenge phir sab logon ko ek jagah jama kiya jaayega aur zindagi bhar ka hisaab liya jaayega Us din none’muslim ki Allah ta’ala ki baargah mein koi shifarish nahi karega aur na hi us ki taraf se kisi ki koi shifarish qabool ki jaayegi,Haan,Musalmano ki shafa’at sab se pehle Huzur farmayenge aur sab se pehle aap hi ki shafa’at qabool ki jaayegi us ke baad dusre log jaise ambiya, sahaba, auliya, Shuhda,ulma,haaji,Hafiz-e-quran wagairah bhi shafa’at karenge aur Allah ta’ala un ki shafa’at qabool farmayega aur bahut saare logon ke gunahon ko maaf farma kar jannat ata farmayega Jaisa ki huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya Beshakh meri ummat me se kuchh log ek girooh ki shafa’at karenge aur kuchh log ek qabile ki shafaat karenge aur kuchh ek zama’at ki aur kuchh ek ek aadmi ki yaha tak ki woh log janaat me dakhil ho jaaenge
  
         *📬 Tirmazi,Hadith No.2627 📚*

⚘⌬ ➤ Aakhir mein jab saare musalman jannat mein pahuch jaayenge aur kaafir jahannam mein to maut ko jannat aur jahannam ke bich mein laa kar zabah kar diya jaayega aur phir elaan kiya jaayega ki Aye jannatiyon ab tum hamesha jannat mein raho aur Aye jahannamiyon tum hamesha ab jahannam mein raho is se jannatiyon ko khushi par khushi hogi aur jahannamiyon ke gam ki koi inteha na hogi Allah ta’ala se dua hai ki Allah ta’ala ham sab ko apne mehboob ﷺ ke sadqe imaan ki maut nasib ata farmaye aur jannat ko ham sab ka aakhiri thikaana banaye...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  48

*AllaH ke Dar se BaHne waLe Aansu*

⚘ ⌬ ➤ Ek shakhs ne arz kiya Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Main kis chiz ke zariye jahannam se nijaat paa sakta hun? To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya Apni aankho ke aansuo ke zariye Unhone phir arz kiya Main apni aankho ke aansuo ke zariye kaise jahannam se nijaat paaunga To Aap ne farmaya In dono ke aansuo ko Allah ke dar se bahaao kyunki jo aankh Allah ke dar se roegi use jahannam ka azaab nahi hoga

*📬 Targib-o-Tarhib,Hadis No.9 📒*

⚘ ⌬ ➤ Is hadis sharif se maloom hua ki jo shakhs ye chaahta ho ki use apni aakhirat ki zindagi me na rona pade use chaahiye ki woh Allah se darta rahe aur apni aankho ko aansuo se bhiga le Huzur Rahmat-e-Alam Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jahannam ki aag us aankh par haraam hai jo Allah ke dar se aansu bahaati hai Aur us aankh par bhi haraam hai jo raato ko jaag kar Allah ke raaste me pehra deti hai

*📬 Al-Mustadrak,Hadis No.2432 📚*


⚘ ⌬ ➤ Quran aur hadis me ye baat baar baar bayan ki gayi hai ki Allah ke dar se rone walo ko jahannam se nijaat milegi aur uski aakhirat kaamyab hogi Yahan par is ke baare me kuchh aur hadisen padhe aur us par amal kar ke apni aakhirat ko kaamyab banaae..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  49

*AllaH ke Dar se BaHne waLe Aansu*

*⚘HaDees ⌬ ➤* Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki woh aadmi jahannam me nahi jaaega jis ne Allah ke dar se roya yahan tak ki doodh  than me wapas chala jaae (Yani jis tarah se than se nikla hua doodh wapas than me nahi jaa sakta usi tarah Allah ke dar se rone wala bhi jahannam me nahi jaa sakta)
     
*📬 Tirmizi,Hadis No.1557 📒*

*⚘HaDees ⌬ ➤* Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jis momin bande ki aankho se Allah ke dar se aansu nikal jaae,Chaahe woh makh-khi ke sar ke barabar hi kyun na ho phir woh chehre tak pahuch jaae to Allah Ta’ala us par jahannam ko haraam farmaa deta hai...✍


*📬 Ibn-e-Majah,Hadis No.4187 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  50

*AllaH ke Dar se BaHne waLe Aansu*

*⚘HaDees ⌬ ➤* Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jis bande ki aankh Allah ke dar ke aansu se bhar jaae, Allah Ta’ala us ke jism ko jahannam par haraam farmaa deta hai Phir agar woh us ke chehre tak bah jaae to us ke chehre ko koi taklif nahi pahuchegi aur na hi woh qayamat ke din zalil hoga.Aur agar koi banda kisi jama’at mein ro pade To Allah Ta’ala us bande ke rone ki wajah se us jama’at ke tamaam logo ko jahannam se nijaat ata farmata hai (Suno) Har amal ka ek khaas wazan aur sawab hai lekin aansu ke sawab ki koi had nahi Ye to jahannam ke dariyaao ko bojha kar rakh deta hai

*📬 Ibne abid dunya,Vol:1,Page No.16 📒*

⚘ ⌬ ➤ Isi liye Hame chahiye ki ham Allah ke azaab ko yaad kar ke us se bachne ki fikr me roe Ek Hadis me hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Allah Ta’ala farmata hai Meri izzat aur jalaal ki qasam Mera jo banda dunya me mere dar se jitna roega, jannat me uski wajah se woh utna hi ziyadah hansega...✍


     *📬 Takhwif,Page No.43 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  51

⚘ ≼  *DunYa  aur  Aashiqan -e- DunYa  ka  Anjaam* ≽ ⚘

*⚘◍➢ Imam Gazali likhte hain* Hadis sharif me hai ki Qayamat ke din dunya ko ek badsurat budhiya aurat ki shakal me laaya jaaega,Uski aankhen dhasi hui aur daant baahar nikle honge,Uski shakal itni khaufnaak hogi ki log dar ke maare us se Allah Ta’ala ki panaah maangenge aur puchhenge ki Aye mere Rab Ye itna ziyadah zalil aur badsurat kaun hai? To unhen bataya jaaega ki ye wahi tumhari mahbooba hai jis ke liye tum mar mitne par tayyar ho jaaya karte the aur hamesha is ki khaatir tum ek dusre se ladaai aur jhagde karte the yahan tak ki tum uski khaatir ek dusre ka khoon bhi baha diya karte the ki tum uska aashiq kah-laao Phir us badsurat dunya ko jahannam me le jaane ka hukm hoga to chikh chikh kar kahegi Aye mere Rab Mere woh dost aur aashiq kahan hain jo hamesha mera dam bharte the aur meri wajah se teri ibaadat ko bhi chhod dete the.Allah Ta’ala ka hukm hoga uske saath us ke dosto ko bhi jahannam me daal do

*📬 Kimyae Sa’adat,Page No.88 📚*

⚘◍➢ Ye hai dunya ki haqiqat Shaitaan hamare saamne dunya ko saja saja kar pesh karta rahta hai aur hame samjhata rahta hai ki Chhodo aakhirat ki fikr aur Aalimo ki baate Jawani mastaani hoti hai Ye ek hi baar milti hai Aish kar lo jab budhe ho jaana to tauba kar lena

⚘◍➢ Mere bhaiyo Ye Iblis ki chaal aur gumraah karne wali baaten hain Khud to doobe hain sanam tum ko bhi le doobenge..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  52

⚘ ≼  *DunYa  aur  Aashiqan -e- DunYa  ka  Anjaam* ≽ ⚘

⚘📖 ◍➢ Quran  kahta  hai...★↷
   
*📬 SuraH Faatir aayat No.6 📒*

⚘◍➢  Woh to logo ko apni taraf bulaata hai ki log bhi us ke saath jahannam ka indhan bane Allah ne aqal di hai Zara itna hi soch lijiye ki shaitan ye kaise guarantee de sakta hai ki ham budhaape tak zinda rahenge Aur rah bhi gaye to kya woh ham par dobarah hamla nahi karega? Sochiye aur apne Rab ke is farmaan ko bhi apne saamne rakhye

  *📬 SuraH Ibrahim,Aayat No.22 📘*


⚘◍➢ Ki Qayamat ke din jab Allah Ta’ala ki taraf se faisla ho jaaega aur us waqt ka rona chillana afsos karna sab bekaar hoga tab shaitaan apni baat maan ne walo se kahega Beshak Allah Ta’ala ne tum se sachcha wada kiya tha aur main ne tum se jhoota wada kiya Lekin main ne tum par koi zabardasti to nahi kiya tha Bas main ne tum ko bulaaya aur tum daur kar aagae Is liye mujhe bura bhala kahne ke bajaae apne aap ko malaamat karo Na main tumhari madad kar sakta hun aur na hi tum meri madad kar sakte ho Tum ne jis tarah mujhe Allah ka sharik banaya main us ka inkaar karne wala hun Yaqinan zaalimo ke liye dard naak azaab hai..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  53

⚘ ≼  *DunYa  aur  Aashiqan -e- DunYa  ka  Anjaam* ≽ ⚘

⚘ ◍➢ Mere bhaiyo! Zara us mushkil waqt ko yaad kijiye jo ek na ek din zarur aane wala hai Dost, Aulaad ,bhai ,bahan ,biwi sab aap ke paas jama honge aur aap  aansuo se bhigi hui aankho se un ko tak rahe honge aur hamesha ke liye un se juda hone wale honge.Ye rishte,naate maal, daulat sab dhare ke dhare reh jaaenge

⚘ ◍➢ Maut aai aur insaan ko uchak kar le gayi Lamha bhar ke baad woh ek saaz be awaaz ho gaya Allah ka irshad hai
  
  *📬 SuraH Qaaf,Aayt No.19 📒*


⚘ ◍➢ Aur maut ki behoshi haq khabar le kar aai Yahi woh haqiqat hai jis ko maan ne se bhaagta tha Phir kya hoga? Kaash maamla yahi par khatam ho jaata Lekin haqiqat me marne se aankh band nahi hoti,Balki aankh to ab khulti hai aur insaan apni puri zindagi ki achchhaai aur buraai ko dekhta hai Phir ya to khushi hoga ya gam Allah Ta’ala ham sab par raham farmaae aur marne se pehle apni aakhirat ki tayyari karne ki taufiq ata farmaye..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  54

    ⚘ ≼  *AllaH  ko  YaaD  karNa* ≽ ⚘
                      ZaruRi KyuN ❓

⚘ ◍➢ Insaan se hone wali bura’iyo ki sab se aham wajah insaan ka apne Rab ko yaad na karna hai Yahi wajah hai ki jo shakhs apne Rab ki yaad se jitna ziyadah door hota hai woh utna hi ziyadah bura’iyo me dooba rehta hai Aur jab insaan is ki aakheri had ko pahunch jaata hai to woh apna banda hona bhi bhool jaata hai aur natije ke taur par apni khudaai ka elaan kar baith ta hai aur phir bade hi bure anjaam tak pahunch jaata haI Is ke ulta insaan ka apne Rab ko yaad karna nekiyo aur achchaaiyo ka zariya banta hai Is liye jo insaan jitna ziyadah apne Rab ko yaad karta hai woh utna hi ziyadah nekiyan aur achchaiyaan karta hai Aur jab insaan is me apni puri koshish laga kar is ki aakheri had ko pahuch jaata hai to us bande ka maqaam itna buland ho jaata hai ki khud Allah Ta’ala irshad farmata hai ki Main us ka haath ban jaata hun jis se woh pakadta hai Main us ka kaan ban jaata hun jis se woh sunta hai,Main us ka pair ban jaata hun jis se woh chalta hai
  
*📬 Sahi Bukhari,Hadis No.5602 📒*


⚘ ◍➢ Isi liye Allah Ta’ala ne Quran sharif me baar baar alag alag andaaz me apne bando ko apni yaad karne ka hukm diya aur bhool jaane se daraya..✍

••──────────────────────••►

*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  55

    ⚘ ≼  *AllaH  ko  YaaD  karNa* ≽ ⚘
                      ZaruRi KyuN ❓

⚘ ◍➢ Jaisa ki Allah Ta’ala ke kuchh farmaan ye hain

⚘ ◍➢ Aye Imaan walo Tum ko tumhare maal aur aulad, Allah ki yaad se gaafil na karde Aur jo aisa karega wahi log nuqsaan me rahenge

*📬 SuraH Munafiqoon,Aayat No.9 📙*

⚘ ◍➢ Aur tum un logo ki tarah na ho jaana jinho ne Allah ko bhoola diya To Allah ne un ko musibato me daal diya ki un ko apni jaan bhi yaad na rahi(ki us ke liye kuchh nek aamaal kar leta) Yahi log faasiq hain

*📬 SuraH Hashar,Aayat No.19 📘*

⚘ ◍➢ Aye mere bando Tum mjuhe yaad karo main tumhe yaad karunga

*📬 SuraH Baqra,Aayat No.152 📒*

⚘ ◍➢ Aur jis ne meri yaad se muh moda to us ke liye tang zindagi hai aur ham use qayamat ke din andha kar ke uthaaenge..✍


*📬 SuraH Taaha,Aayat No.124 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  56

    ⚘ ≼  *AllaH  ko  YaaD  karNa* ≽ ⚘
                      ZaruRi KyuN ❓

⚘ ◍➢ Suno Dilo ka sukoon to Allah ko yaad karne me hai

   *📬 SuraH Ra’ad,Aayat No.28 📙*

⚘ ◍➢ Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne apni zindagi ke har lamhe aur har pal ko Allah Ta’ala ki yaad me guzaara Aur apni ummat ko bhi is baat par ubhaara aur saath hi Allah Ta’ala ko yaad karne ke liye bahut saare alfaaz bhi sikhaaya aur Allah ko yaad karne ka faaida bhi bayan farmaya Yahan par is ke baare me Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki kuchh hadisen pesh ki jaati hai

*⚘ HaDees ◍➢* Hazrat-e-Abu’Hurairah radhi Allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Allah Ta’ala farmata hai Beshak main apne bandon ke gumaan ke paas rahta hun.Aur main us ke saath hota hun jab woh mujhe yaad karta hai To agar woh mujhe apne dil me yaad karta hai to main bhi use yaad karta hun Aur agar woh mujhe kisi majlis me yaad karta hai to main use us se behtar majlis me yaad karta hun Agar woh mujh se ek baalisht (Bit-ta) qareeb hota hai to main us se ek haath qareeb hota hun Agar woh meri taraf chal kar aata hai to main us ki taraf daud kar jaata hun..✍


*📬 SaHi Muslim,Hadith No.2675 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  57

    ⚘ ≼  *AllaH  ko  YaaD  karNa* ≽ ⚘
                      ZaruRi KyuN ❓

*⚘HaDees ◍➢* Hazrat-e-Abu’Hurairah radhi Allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Allah Ta’ala ke 99 naam hain To jo shakhs un naamon ko yaad kar le woh jannat me daakhil hoga

*📬 Sahi Muslim,Hadith No.2677 📒*

*⚘HaDees ◍➢* Hazrat-e-Abu’Hurairah radhi Allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya k Jo shakhs ek din me 100 martabah سبحان اللہ و بحمدہ (Subhanallahi wa bi-hamdihi) padhta hai to us ke gunaahon ko mita diya jaata hai Agarche us ke gunaah samandar ke jhaag ke barabar hi kyun na ho..✍


*📬 Sahi Muslim,Hadith No.2675 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  58

    ⚘ ≼  *AllaH  ko  YaaD  karNa* ≽ ⚘
                      ZaruRi KyuN ❓

*⚘HaDees ◍➢* Hazrat-e-Abu’Saeed Khudri radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur sallallaho alaihe wasallam se puchha gaya ki Qayamat ke din Allah ke nazdik kis ka darja sab se afzal hoga?To Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki ziyadah se ziyadah Allah ka zikr karne walon ka Raawi kehte hain ki Main ne kaha Ya Rasoolallah Allah ke raaste me jehaad karne walon se bhi ziyadah?To Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki agar koi shakhs kaafiron aur mushrikon par talwaar maare yahan tak ki us ki talwar toot jaae aur woh khoon se rangeen ho jaae phir bhi Allah ka zikr karne walon ka darja us se ziyadah hoga

    *📬 Tirmizi,Hadis No.3376 📚*


⚘ ◍➢ Yaad rakhen Allah Ta’ala ko yaad karne ke bahut saare tariqe hain jaise Namaaz, Roza, Tilawate Quran aur tasbih-o-tahlil wagairah Un me se kuchh farz hain aur kuchh wajib aur kuchh sunnat aur kuchh nafal Is liye namaaz aur roze jo farz hain un ko chhod kar sirf tasbih padhte rehna sahi tariqa nahi hai Kyunki Allah ki yaad ka haqiqat me matlab hi yahi hai ki banda Allah ke farz aur wajib ki hui chizo ko zarur anjaam de aur mana ki hui chizo se bilkul door rahe..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  59


 ⚘ ≼  *RaHmaT-e-Ilahi ke jaLwe* ≽ ⚘
                     
⚘ ◍➢ Quran sharif mein Allah Ta’ala ne irshad farmaya Beshak tumhara Rab bada hi meharban aur raham farmaane wala hai
    
*📬 SuraH Nahal, Aayat No.7 📒*

⚘ ◍➢ Aur Hadis-e-Qudsi mein hai ki Allah Ta’ala ne farmaya ki Beshak meri rahmat mere gazab par gaalib aa gayi

*📬 Sahi Muslim,Hadis No. 2751📘*


⚘ ◍➢ Allah Ta’ala kitna bada meharbaan hai aur kis qadar raham farmaane wala hai? Is ke baare mein sirf itna hi kaha jaa sakta hai ki har chiz ki koi na koi hadd hoti hai magar Allah Ta’ala ki meharbaniyo aur rahmato ki koi hadd hi nahi hai Woh apni taraf ashke nadamat liye hue laut kar aane wale mujrim aur gunahgaar bando se kaisi mohabbat ka sulook farmata hai *Huzur se sunye* ...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  60

 ⚘ ≼  *RaHmaT-e-Ilahi ke jaLwe* ≽ ⚘
                     
*⚘HaDees ◍➢* Huzur Rahmat-e-Alam Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Allah Ta’ala ko apne gunahgaar bande ki tauba par us shakhs se bhi zyada khushi hoti hai Jo kisi khaufnaak aur sansaan jangle mein apni sawaari se gaya jis par uske khaane aur pine ki chizen bhi thi,Phir jab dopahar ka waqt hua to woh thak kar so gaya Aur jab jaaga to uski sawaari wahan par maujood nahi thi,Woh apni sawaari ki talaash karta raha yahan tak ki usko bade zor ki piyaas lagi,phir woh thak haar kar kehne laga ki “ Main wapas usi jagah par jaata hun jahaan par main soya tha Wahi par main so jaaonga yahan tak ki main mar jaaonga Woh maayus ho kar apna sar apne haath par rakh kar so gaya ki woh mar jaae Lekin is baar jab aankh khuli to dekha ki mera sawaari mere paas khada hai aur us par khaane pine ki chizen bhi maujood hai To is shakhs ko sawaari aur khaane pine ki chiz mil jaane se jitni khushi hoti hai Allah Ta’ala apne gunahgaar bande ki tauba par us se bhi zyada khush hota hai...✍

*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2744 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  61

 ⚘ ≼  *RaHmaT-e-Ilahi ke jaLwe* ≽ ⚘
                     
*⚘HaDees ◍➢* Hazrat-e-Umar radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas kuchh qaidi laaye gaye To un qaidiyo mein se kisi ko talaash karte hue ek aurat aayi Achanak un qaidiyo mein usko apna bachcha mil gaya Us ne jaldi se apne bachche ko utha kar apne pet se chimta li aur usko doodh pilaane lagi Tab Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Ye aurat apne bachche par jis qadar raham karne wali hai Allah Ta’ala apne bando par is se bhi zyada raham karne wala hai..✍

*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2744 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  62

*🔥  QayamaT ke Din ka FaqeeR  🔥
                     
⚘◍➢ Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne apne sahaba se ek baar farmaya ki Kya tum log jaante ho ki Muflis (Yani faqeer) kaun hai? Sahaba ne kaha Ya rasoollah Sallallaho alaihe wasallam Ham log to faqeer usi ko samajhte hain jis ke paas rupiye paise aur saamaan wagairah nahi ho To Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Nahi Meri ummat mein faqeer woh hai jo qayamat ke din apni namaaz,roze aur zakat wagairah ke sawabo ka khazaana apne saath le kar aaega Magar us ne dunya mein kisi ko gaali diya hoga,Kisi par jhoota ilzaam lagaya hoga,Kisi ka maal khaaya hoga,Kisi ka khoon bahaaya hoga aur kisi ko maara hoga Is liye us ki nekiyan un mazlumoo mein baant diya jaaega yahan tak ki uski nekiyan khatam ho jaaengi aur mazlumo ka haq abhi baaqi hoga to mazlumo ke gunaah ka bujh us par laad diya jaaega aur use jahannam mein phenk diya jaaega...✍

*📬 Sahi Muslim,Hadis No.2581. Tirmizi,Hadis No.2418 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  63

 ⚘ ≼  *Mizan  - e -  amL  mein  sab  se  wazni  chiz* ≽ ⚘
                     
⚘ ◍➢ ALLAH Ta’ala Irshad farmata hai Aur ham qayamat ke din adl-o-insaaf ka taraazu qayam karenge to kisi jaan par kuchh bhi zulm nahi hoga Aur agar koi chiz raayi ke daane ke barabar bhi ho to ham use le aaenge aur ham hisaab karne ke liye kaafi hain

*📬 Surah Ambiya,Aayat No.47 📒*

⚘ ◍➢ Yani insaano ki chhoti se chhoti neki aur chhoti se chhoti bura’ee sab ko mizaan e amal mein taula jaaega Phir kya hoga? Allah Ta’ala irshad farmata hai To woh log jin ki taul bhaari hongi (Yani jin loga ka neki ka palla bhaari hoga) Woh man pasand aish mein honge aur jin ki taul halki hogi un ka anjaam “Haawiya” hoga.Aur tum kya jaano ki “Haawiya” kya hai? Woh ek dahakti hui aag hai

*📬 Surah Al-Qaariya,Aayat No.6 ta 11 📘*

⚘ ◍➢  Allah Ta’ala ke in farmaano ko padhne aur sun ne ke baad har momin bande ki khaahish hoti hai ki ham kuchh aisi khaas neki kare jin ka wazan mizaan-e-amal mein bhaari ho To der kis baat ki? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki in hadiso ko padhye aur amal kar ke apni dunya aur aakhirat ko kaamyab banaye...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  64

 ⚘ ≼  *Mizan  - e -  amL  mein  sab  se  wazni  chiz* ≽ ⚘
                     
*⚘HaDees ◍➢* Huzur-e- Akram sallallahu alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Mizaan e amal me achhchhe akhlaque se zyada bhaari koi bhi chiz nahi hogi (yani neki ke palle me jitne bhi achhchhe aamaal rakhe jaaenge un me sab se zyada wazan “achhchhe akhlaque”ka hoga)

*📬 Abu-dawood, Hadis No.4799 📒*

*⚘HaDees ◍➢* Hazrat-e-Aaisha siddiqa radhi allaho anha bayan karti hain ki Huzur Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki beshak momin apne achhchhe akhlaque ki wajah se hamesha roza rakhne aur raaton ko jag kar ibaadat karne wale ke darje ko paa leta hai

*📬 Abu-dawood,hadis No.4798 📘*

*⚘HaDees ◍➢* Huzur-e-Akram sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Main us shakhs ko jannat ke onche darje mein ghar ki zamaanat deta hun jo apna akhlaque achhchha kar le

*📬 Abu-dawood, hadis No.4800 📗*


⚘ ◍➢ Achhchhe akhlaq ko apnaye begair kisi bhi jagah chaahe woh dunya ho ya aakhirat ham kaamyab nahi ho sakte is liye hame chaahiye ki ham apne andar achhchhe akhlaq ko paida kare,Aur bure akhlaaq se door rahe...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  65

   ⚘ ≼  *TakaBBuR  ka  Anjaam* ≽ ⚘
                     
⚘ ◍➢ Iblis jannat mein rehta tha aur us ki nemato se lutf uthata tha Magar jab us ne takabbur kiya aur apne muqaable mein mitti se bane hue insaan ko haqeer samjha To Allah Ta’ala ne farmaya To yahan se nikal jaa Tere liye sahi nahi ki to is jagah mein takabbur kare (Kyunki ye jagah aajezi aur tawaazu karne walo ki hai Ghamand karne walo ki nahi) Nikal jaa Beshak to zillat walo mein se hai (Ki insaan teri muzammat karega aur har zuban tujh par la’anat karegI Aur yahi takabbur karne walo ka anjaam hai)

⚘ ◍➢ Is aayat se maloom hua ki Takabbur aur ghamand ek aisi buri aadat hai ki hazaaro saal ka ibaadat guzaar aur farishto ka ustaad kahlaane wala Iblis bhi is ki wajah se Allah Ta’ala ki baargah mein mardood thehra Aur Qayamat tak ke liye zalil aur ruswa hogaya aur hamesha ke liye apne meharban rab ki rahmat se door ho gaya


⚘ ◍➢ Isi liye Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Takabbur aur ghamand ke nuqsaan ko bayan farmaya ki ummat is se door rahe...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  66

   ⚘ ≼  *TakaBBuR  ka  Anjaam* ≽ ⚘
                     
*⚘HaDees ◍➢* Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki kya main tumhe sab se bure shakhs ke baare mein nahi bata dun? Sahaba ne kaha haan Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam To Aap  Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya Woh bure akhlaaq aur ghamand karne wala admi hai

*📬 Masnad-e-Ahmad,Hadis No.23517 📙*

⚘ ◍➢ Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Qayamat ke din ghamand karne walo ko chuntiyo ki tarah aadmio ki surat mein uthaae jaaenge Har taraf se zillat unhein dhaanp legi Unhein jahannam ke qaid khaane mein rakha jaaega Jis ka naam “Bulis” hai Aag un par chha jaaegi Aur unhe “Tinatul khibaal” Yani jahannamiyo ka khoon aur peep pilaya jaaega

     *📬 Tirmizi,Hadis No.2500 📒*

⚘ ◍➢ Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi 
allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Jis ke dil mein raai ke daane ke barabar bhi takabbur hoga woh jannat mein daakhil nahi hoga..✍


*📬 Sahi Muslim,Hadis No.91 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  67

   ⚘ ≼  *TakaBBuR  ka  Anjaam* ≽ ⚘
                     
*⚘Takabbur kya hai?◍➢* Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Jis ke dil mein zarrah barabar bhi takabbur hoga woh jannat mein daakhil nahi hoga Ek shakhs ne arz kiya Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam Kisi shakhs ko ye pasand hota hai ki us ke kapde aur joote achhchhe hon (To kya ye bhi takabbur hai?) To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Allah jameel hai aur Jamaal ko pasand karta hai.Takabbur naam hai haq na maan ne ka aur logo ko haqeer samajhne ka..✍

*📬 Sahi Muslim,Hadis No.91 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►

🅿🄾🅂🅃 ➫  68

       ⚘ ≼  *QaBar  ki  PukaaR* ≽ ⚘
                     
⚘◍➢ Hazrat-e-Abu’Saeed  radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam apne musalle par tashrif laa’e to kuchh logon ko hanste hue dekha to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Agar tum lazzaton ko khatam karne wali chiz ko yaad karte to tumhein us baat ki fursat nahi milti jo main dekh raha hun Lazzaton ko khatam karne wali maut ko khoob yaad karo kyunki koi Qabr aisi nahi hai jo har din is tarah nahi pukaarti ho ki main gurbat ka ghar hun,Main tanhaa’ee ka ghar hun,Main mitti ka ghar hun aur main kidoon ka ghar hun Phir jab us mein koi momin dafan kya jaata hai to woh use “Marhaba”keh kar mubarak baad deti hai Phir kehti hai ki meri pith par jo log chalte hain tu mujhe un sab se pyara hai Ab tujhe mere hewaale kiya gaya hai to ab tu mera nek sulook dekhega Phir woh us ke liye wahaan tak kushaadah(chaudi) ho jaati hai jahaan tak ki nigaah pahuchti hai aur us ke liye jannat ka darwaazah khol diya jaata hai Aur jab koi gunahgaar ya kaafir dafan kiya jaata hai to use mubarak baad nahi deti hai balki us se ye kehti hai ki tumhaare liye koi mubarak baadi nahi hai Aur meri pith par jo log chalte hain tu mujhe un sab se zyadah naapasandidah hai Ab tujhe mere hewaale kiya gaya hai to ab tu mera bura sulook dekhega Phir use Qabr itni zoor se dabaati hai ki us ki ek taraf ki pasli dusri taraf ki pasli ki haddi mein ghus jaati hai Aap Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Us ke baad us par 70 bade bade saanp muqarrar kar diye jaate hain jo use kaat’te aur nochte hain Un saanpon mein se agar koi zameen par ek baar phoonk maar de to kabhi us par koi chiz nahi ugegi Phir Aap Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Qabar jannat ke baaghon mein se ek baagh hai ya jahannam ke garhoon mein se ek garha hai...✍

    *📬 Tirmizi,Hadis No.2460 📚*

••──────────────────────••►
                *📮☞  EnD  ροѕT 📃*
••──────────────────────••►

No comments:

Post a Comment

सीरते मुस्तफ़ा ﷺ 💚

 الصلوۃ والسلام علیک یاسیدی یارسول الله ﷺ  सीरते मुस्तफ़ा ﷺ (Part- 01) * सीरत क्या है.!? * कुदमाए मुहद्दिषीन व फुकहा "मग़ाज़ी व सियर...