Friday, 8 November 2019

Aasan Deen

🅿🄾🅂🅃 ➫  01

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

 ☝🏻AllaH Ta’aLa ke Hukm aur Nabi ﷺ ke Tareeqe par zinDagi Guzaarne ko *Deen* kehte hain

             *❍↬  Al - Qur’aan   ↫❍*

اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ وَ اَتۡمَمۡتُ عَلَیۡکُمۡ نِعۡمَتِیۡ وَ رَضِیۡتُ لَکُمُ الۡاِسۡلَامَ دِیۡنًا ؕ

             *❍↬   TarjamaH   ↫❍*

✠•➧ Aaj main ne Tumhaare liye tumhara Deen mukammaL kar diya aur tum par apni Nemat poori kar di aur Tumhaare liye Islaam ko Deen ke taur par (hamesha ke liye) pasand kar liya

       *❍↬   Sura-e-MaaiDa : 3   ↫❍*

✠•➧ Islaam mukammaL Nizaam-e-Zindagi ka naam hai Is mein jahaan Dil-o-jaan se ek Allah ki wahdaaniyat RasooL ki Risaalat aur Yaum-e-Aakhirat par Imaan Laane ka hukm hai, waheen panj waqta Namaazon ke ehtemaam, Ramzaan ke Rozon ki paabandi, Zakaat ki adaaigi aur Hajj karne ka mutaalba hai Saath hi saath tijaarati Len den mein amaanat daari wa sachchaai ikhtiyaar karne ka hukm aur Dhoka dene aur jhoot bolne se ijtinaab ki Taaleem hai Neez apne akhlaaq wa kirdaar ko sanwaarne ki bhi talqeen wa Hidaayat di gai hai...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course book 📔*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  02

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

✠•➧ ​Isi liye Deen ke mash’hoor paanch shobe qaraar diye gaye hain

*✠1 ImaaniyaaT •➧* Is se muraad woh cheezein hain jin par ek musalmaan ko dil se pakka yaqeen rakhna zaroori hai, jaise Allah Ta’ala ki wahdaaniyat aur Rasool ﷺ ki Risaalat ka iqraar karna

*✠2 IbaadaaT •➧* Is se muraad woh nek aamaal hain jo Allah ki raza aur khushnoodi haasil karne ke liye kiye jaate hain Jaise Namaaz, Roza, Haj, Qur’aan ki tilaawat, Deen ka ilm haasil karna wagair

*✠3 MuaamLaaT •➧* Is se muraad khareed wa farokht, tijaarat wa business, aapsi len den aur wiraasat wagaira ko Ahkaam-e-Shariat ke mutaabiq anjaam dena hai Jaise naaptol mein kami na karna, amaanat mein khayaanat na karna, maal-e-wiraasat tamaam haq daaron mein taqseem karna wagaira

*✠4 MuaasharaT •➧* Is se muraad yeh hai ke Jin logon ke darmiyaan ham rehte hain un ke saath kaisa sulook aur kaisa bartaao karna chaahiye aur hamaare oopar un ke kya huqooq wa faraaiz hain Jaise maan baap ki farman bardaari karna, padosiyon ke saath achchha sulook karna, kisi ko takleef na ponhchaana wagaira

*✠5 AkhlaaqiyaaT •➧* Is se muraad achchhe akhlaaq aur achchhi aadatein hain, jin ka har ek insaan ke andar hona zaroori hai Jaise Sachchaai, amaanatdaari, waada poora karna, bugz wa hasad aur geebat se bachna wagaira...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course book 📔*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  03

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

✠•❧ ​Kaamil wa mukammal Musalmaan wahi hai jis ki poori zindagi shariat ke mutaabiq guzre aur jin ke Imaan wa aqaaid, ibaadat wa bandagi, tijaarat wa len den, aapsi taalluqaat, akhlaaq wa aadaat sab kuchh Ahkaam-e-Shariat ke muwaafiq ho, agar koi insaan Deen ke kisi shobe mein Islaami Ahkaam par amal nahin karta hai, to woh kaamil momin nahin ho sakta

✠•❧ Maslan ek shakhs hai jis ka aqeeda to durust hai, ibaadatein bhi khoob karta hai magar logon ko dhoka deta hai, waada khilaafi karta hai, doosron ko takleef pahonchaata hai, us ke akhlaaq-o-kirdaar gande hain, to aisa shakhs pasandeeda aur kaamil musalmaan nahin ho sakta balke qayaamat ke din us ki yeh ibaadatein bhi kuchh kaam na deingi aur woh apni bad kirdaariyon ki bunyaad par Azaab-e-ilaahi mein giraftaar ho jaayega, isi liye Allah Ta’ala ne musalmaanon se mutaalba kiya hai ke woh apne aap ko poore taur par Islaam ke taabe kar de aur apni zindagi us ke mutaabiq guzaare

✠•❧ Allah Ta’ala ka irshaad hai Aye Imaan waalo Islaam mein poore ke poore daakhil ho jaao

     *❍↬  Sura-e-Baqarah: 208  ↫❍*

✠•❧ Ek doosri jagah irshaad hai Aur tum hargiz jaan na dena magar musalmaan hone ki haalat mein...✍

  *❍↬  Sura-e-Aale Imraan: 102  ↫❍*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course book 📔*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  04

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

✠•❧ ​Lihaaza hamein apne Aqaaid, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat wagaira zindagi ke tamaam shobon ko Islaam ke saanche mein dhaal dena chaahiye Isi mein hamaari kaamyaabi aur najaat hai, kyun ke Allah Ta’ala ne Islaam hi ko hamaare liye bataur-e-deen ke pasand kiya hai Isi se Allah Ta’ala khush hote hai Islaam ke alaawa jitne bhi mazaahib hain sab baatil aur mansookh hain Ab qayaamat tak Islaam hi rahega Har Insaan ki najaat aur kaamyaabi Islaam hi mein hai Isi ko Ikhtiyaar karne par paakeeza zindagi ka waada hai aur Jannat mein daakhle aur behisaab rizq ki khushkhabri hai

✠•❧ ​ Aasaan Deen ke mazmoon se hamaara mansha bachchon ki zehni tarbiyat aur aur Imaaniyaat aur Ibaadaat ke saath saath zindagi ke har shobe mein poore Deen ke mutaabiq apni zindagi guzaarne ka paaband banaana hai Lihaaza Aasaan Deen ke unwaan ke tahat Deen ke mash’hoor paanch shobon se mutaalliq alag alag anaaween ke tahat mazaameen diye jaarahe hain

✠•❧ ​ Aasaan Deen ke asbaaq khud padh kar ya talba se padhwa kar achchhi tarah samjhaadein aur un mazaameen mein di gai hidaayaat ke mutaabiq apni zindagi guzaarne ki targeeb dein...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course book 📔*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  05

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⓪① ➾❧ SaB ko AllaH ne Paida kiya*

⚘■•➾❧ AllaH Ta’ala khaaliq hai, usi ne tamaam cheezon ko paida kiya, zameen ko banaaya, Aasmaanon ko bagair sutoon ke qaaim rakha, chaand wa sooraj aur sitaaron ko banaaya, wahi aasmaan se baarish barsaata hai, wahi zameen se darakht aur paude ugaata hai aur hamaare liye bahot saare phal aur phool paida karta hai,

⚘■•➾❧ Allah Ta’ala farmaata hai Wahi hai jis ne aasmaan se paani barsaaya jis se tumhein peene ki cheezein haasil hoti hain aur usi se darakht ugte hain jin mein tum maweshiyon ko charaate ho Isi se Allah Ta’ala tumhaare liye khetiyaan, zaitoon, khajoor ke darakht, angoor aur har har qism ke phal ugaata hai Haqeeqat yeh hai ke in sab baaton mein un logon ke liye badi nishaani hai jo sochte samajhte hon

      *❍↬   Sura-e-Nahal: 10,11   ↫❍*

⚘■•➾❧ Allah Ta’ala hi ne ham sab ko paida kiya hai, hamaare maan baap ko paida kiya hai, tamaam insaanon ke wahi khaaliq hain

⚘■•➾❧ Qur’aan mein Allah Ta’ala farmaata hai Usi ne insaan ko thheekre ki tarah khankhanaati hui mitti se paida kiya

      *❍↬   Sura-e-Rahmaan: 14   ↫❍*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course book 📔*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  06

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪① ➾❧ SaB ko AllaH ne Paida kiya*

⚘■•➾❧ Tum yeh sochte honge ke Allah Ta’ala ne insaan ko kaise banaaya aur kab se insaanon ka silsila shuru huwa To maaloom hona chaahiye ke sab se pehle insaan Hazrat Aadam Alaihissalam hain, jab Allah Ta’ala ne un ko paida karne ka iraada kiya, to farishton se kaha Main zameen mein ek aisi makhlooq paida karne waala hoon jinhein main apna khaleefa aur qaaim maqaam banaaunga Farishton ne kaha Kya aap aisi makhlooq banaaeinge jo zameen par fitne phailaaegi aur fasaad karegi, haalaanke ham sab aap ki khoob ibaadat karte hain aur tasbeeh bayaan karte hain Allah Ta’ala ne farmaaya Jo main jaanta hoon woh tum nahin jaante, phir Allah Ta’ala ne paani aur mitti se ek paakeeza soorat banaai aur us mein rooh phoonki aur us ka naam “Aadam” rakha

⚘■•➾❧ Unhein tamaam cheezon ke naam sikhaaye, un ke faaide bataaye, aur farishton ko hukm diya ke Aadam ko sajda karo Tamaam farishton ne sajda kiya, magar Iblees ne sajda karne se inkaar kar diya aur ghamand mein aakar Allah ki naafarmaani ki, us par Allah Ta’ala ka gazab naazil huwa aur us ko Jannat se nikaal diya, Iblees usi waqt se Hazrat Aadam Alaihissalam aur un ki aulaad ka dushman ban gaya...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course book 📔*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  07

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪② ➾❧ “BismillaH” se har kaam shuru karna*

⚘■•➾❧ Har achchhe kaam ko *”BismillaH”* se shuru karna bahot hi pasandeeda amal hai aur muasalmaano ki ek khaas pehchaan hai Jis kaam ko *”BismillaH”* padh kar shuru kiya jaata hai, Allah Ta’ala us mein barkat dete hain aur jis kaam ko *”BismillaH”* padh kar shuru nahin kiya jaata, us se barkat uthha li jaati hai

⚘■•➾❧ Huzoor ﷺ ka irshaad hai *”Kullu amrin zee baalin laa yubdau feehi bibismillahirrahmanir raheemi aqtau”*

*⚘■•➾ Tarjuma ❧* Har woh aham kaam jis ko *”Bismillahirrahmaanirraheem”* se shuru na kiya gaya ho, woh adhoora reh jaata hai

       *❍↬   Kanzul Ummaal: 2491   ↫❍*

⚘■•➾❧ Hamaare pyaare Nabi ﷺ har achchhe kaam ke shuru mein *”BismillaH”* zaroor padha karte the Is liye ham musalmaanon ko bhi Aap ﷺ ki is sunnat par amal karna chahiye...✍
              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course book 📔*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  08

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪② ➾❧ “BismillaH” se har kaam shuru karna*

⚘■•➾❧ Ghar mein daakhil hote waqt, ghar se nikalte waqt, khaana khaate waqt, paani peete waqt, kapde pahente waqt, joote pahente waqt, koi kitaab padhte waqt, kuchh likhte waqt, apne kaarobaar ka kaam shuru karte waqt, kisi se koi naya muaamla karte waqt, algarz har kaam ke shuru mein *”BismillaH”* zaroor padh lena chaahiye aur apne rozaana ke kaamon mein *”BismillaH”* padhne ko apna maamool bana lena chaahiye

⚘■•➾❧ Yeh bahot hi aasaan amal hai, is mein koi mehnat aur pareshaani nahin hoti aur na hi us me waqt lagta hai aur hamein bahot saare faaide haasil ho jaate hai, Huzoor ﷺ ki sunnat par amal ho jaata hai, aise kaamon mein Allah Ta’ala ki taraf se barkatein bhi utarti hain aur Naama-e-Aamaal mein nekiyaan likh di jaati hain aur *”BismillaH”* padhne ki barkat se bahot saare kaam jo zaahir mein hamein dunyawi nazar aate hain, woh hamaare liye ibaadat ban jaate hain...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course book 📔*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  09

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪③ ➾❧ Insaaf aur Rawaadaari*

⚘■•➾❧ Sab ke saath insaaf aur rawaadaari ka muaamla karna Islaam ki bunyaadi taaleem hai Islaam mein har ek ke saath insaaf karne ka hukm diya gaya hai aur naainsaafi se bachne ki taakeed ki gai hai

⚘■•➾❧ Qur’aan Majeed mein Allah Ta’ala ka irshaad hai Allah Ta’ala adl wa insaaf karne ka aur ehsaan karne ka hukm deta hai
         *❍↬   Sura-e-Nahl: 90   ↫❍*

⚘■•➾❧ Phir adl wa insaaf karne ka yeh hukm sirf apnon ke saath hi nahin diya gaya hai, balke yeh hukm sab ke baare mein hai, hatta ke dushmanon ke haq mein bhi adl wa insaaf hi ki taakeed ki gai hai

⚘■•➾❧ Allah Ta’ala ka irshaad hai Aur kisi qaum ki dushmani tum ko is baat par aamaada na kare ke tum us ke saath insaaf na karo, tum insaaf se kaam lo, yahi tareeqa taqwa se ziyaada qareeb hai

        ❍↬   Sura-e-Maaida: 8   ↫❍*

⚘■•➾❧ Is aayat se saaf zaahir hai ke kisi shakhs se ya kisi qaum se agar bil farz hamaari dushmani aur ladaai ho, tab bhi ham un ke saath koi beinsaafi kareinge to Allah ke nazdeek sakht gunaahgaar honge..✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course book 📔*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  10

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪③ ➾❧ Insaaf aur Rawaadaari*

⚘■•➾❧ Hamaare Nabi ﷺ ne farmaaya Adl wa insaaf ke saath hukoomat karne waale qayaamat ke din Allah ke nazdeek doosre sab logon se ziyaada pyaare aur mahboob honge aur un ko Allah Ta’ala se sab se ziyaada qurb haasil hoga Aur zulm wa naainsaafi ke saath hukoomat karne waale qayaamat ke din Allah ke nazdeek sab se ziyaada mabgooz honge aur Allah se door honge

          *❍↬   Tirmizi: 1329   ↫❍*

⚘■•➾❧ Is liye ham ko sab ke saath insaaf wa rawaadaari ka muaamla karna chaahiye aur kisi ke saath zulm wa naainsaafi nahin karni chaahiye Mahmood Gaznawi bahot bade faateh aur riaaya parvar baadshaah guzre hain Woh apni riaaya ke saath bahot adl wa insaaf karte the, un ke adl wa insaaf ke bahot se qisse mash’hoor hain

⚘■•➾❧ Ek martaba ek saudaagar ne Mahmood Gaznawi se un ke ladke Masood ke baare mein shikaayat ki aur kaha ke main pardesi saudaagar hoon aur muddat se is shaher mein pada hoon, ghar jaana chaahta hoon magar nahin ja sakta Kyun ke shehzaade ne mujh se saathh hazaar deenaar ka sauda khareeda hai aur qeemat nahin ada karta hai, main chaahta hoon ke shehzaada Masood ko qaazi ke saamne bheja jaaye...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course book 📔*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  11

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪③ ➾❧ Insaaf aur Rawaadaari*

⚘■•➾❧ Mahmood Gaznawi ko saudaagar ka waaqia sun kar bahot ranj huwa aur Masood ko hukm diya ke ya to saudaagar ka muaamla saaf karo ya us ke saath kachehri mein qaazi ke saamne haazir ho jaao, taake sharai hukm jaari kiya jaaye

⚘■•➾❧ Jab sultaan Mahmood Gaznawi ka paigaam Masood ke paas pohncha to us ne fauran apne khazaanchi se poochha ke mere zaati khazaane mein kis qadr naqd hai Us ne kaha ke bees hazaar deenar Masood ne kaha ke yeh raqam saudaagar ko dedo aur baaqi ke liye teen din ki mohlat maang lo Aur Mahmood Gaznawi ki khidmat mein yeh kehla bheja ke main ne bees hazaar deenar is waqt ada kar diye hain aur teen din mein baaqi bhi ada kar doonga Sultaan ne kaha ke main kuchh nahin jaanta, jab tak tum saudaagar ka rupya ada na karoge main tumhaari soorat dekhna nahin chaahta Masood ko jab yeh jawaab mila to us ne idhar udhar se qarz le kar fauri taur par saudaagar ko ada kar diye

⚘■•➾❧ Is tarah ke aur bhi qisse Mahmood Gaznawi ke adl wa insaaf ke baare mein mash’hoor hain Unhon ne sab ke saath rawaadaari barti Unhon ne gair muslimon ko bhi apni fauj mein bade bade ohde diye the, Hindu Rao us ki fauj ka aala afsar tha Taulak naami shakhs bhi us ki saltanat ka rukn tha...✍
              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📔*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  12

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪④ ➾❧ Waalidain ka Adab-o-Ehteraam*

⚘■•➾❧ Islaam ne maan baap ke saath achchha sulook karne aur un ka adab-o-ehteraam karne ki taaleem di hai, kyun ke maan baap hamaari parwarish karte hain, hamaari har zaroorat ka khayaal rakhte hain, hamaari khaatir apna aaraam qurbaan kar dete hain, un ka ham par bada ehsaan hai, isi liye Allah Ta’ala ne apni ibaadat ke baad maan baap ke saath achchha bartaao aur un ka adab-o-ehteraam karne ka hukm diya hai

⚘■•➾❧ Qur’aan-e-Kareem mein hai Tumhaare rab ne saaf saaf hukm diya hai ke tum us ke alaawa kisi ki ibaadat na karo aur apne maan baap ke saath achchha bartao karo Agar woh tumhaare paas hon aur un mein se ek ya donon budhaape ko pahonch jaayein, to unhein “uff” tak na kaho, na unhein jhidko, un se khoob adab se baat karo”

           *📬 Sura-e-Asra: 23 📗*

⚘■•➾❧ Maan baap ki khidmat karne aur un ko raazi rakhne mein hamaare liye bahot faaide hain, duniya mein aur aakhirat mein bhi. Ek martaba ek sahaabi RaziyAllahu anhuma ne Huzoor ﷺ se poochha Ya RasoolallaH Aulaad par maan baap ka kitna haq hai? Aap ﷺ ne farmaaya Woh donon tumhaari Jannat aur Dozakh hain

             *📬 Ibne Maaja: 3662 📔*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  13

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪④ ➾❧ Waalidain ka Adab-o-Ehteraam*

⚘■•➾❧ Yaani jo shakhs maan baap ki khidmat karega, un ka kehna maanega, un ko raazi rakhega aur un ki izzat karega, to use Jannat milegi aur jo shakhs un ko takleef pahonchaaega, un ko naaraaz karega, un ka dil dukhaaega aur un ka kehna nahin maanega, to Allah Ta’ala use dozakh mein daal dega

⚘■•➾❧ Ek hadees mein Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Jo farmaanbardaar aulaad apne maan baap ko muhabbat ki nazar se dekhe, to use har nigaah par ek maqbool haj ka sawaab milega Logon ko bada taajjub huwa, unhon ne poochha Agar woh din mein sau martaba dekhe (to har martaba maqbool haj ka sawaab milega?) Aap ﷺ ne farmaaya Haan (Har martaba us ko maqbool haj ka sawaab milega)

      *📬 Shoabul Imaan: 7856 📔*

⚘■•➾❧ Is liye hamein chaahiye ke ham apne maan baap se muhabbat karein, un ki izzat karein, hamesha un ko aaraam pahonchaaein, kabhi bhi un ko zarra baraabar takleef na pahonchne dein, har haal mein un se narmi aur adab se baat karein aur hamesha un ke liye dua karte rahein. Agar ham un ko raazi rakheinge to Allah Ta’ala bhi ham se raazi raheinge aur agar ham un ko naaraaz kar deinge, to Allah Ta’ala bhi ham se naaraaz ho jaaeinge...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  14

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪⑤ ➾❧ Kisi ke saamne haath na phailaao*

⚘■•➾❧ Logon se maangna aur sawaal karna intehaai buri aadat hai, yeh musalmaan ki gairat ke khilaaf hai ke woh Allah ke alaawa kisi doosre ke saamne haath phailaaye Islaam aise bure fel ko bilkul pasand nahin karta aur apne maanne waalon ko is se bachne ki taakeed karta hai aur har ek ko khuddaari ikhtiyaar karne aur mehnat ke zariye kama kar apni rozi ka intezaam karne ki taaleem deta hai Insaanon ka apni kamaai se khaana aur apni rozi ka intezaam karna, logon ke saamne haath phailaane se behtar hai

⚘■•➾❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya Tum mein se kisi (zaroorat mand) aadmi ka rassi lekar jangal jaana aur lakdiyon ka ek gatthha apni kamar par laad kar laana aur us ko bechna aur is tarah apne aap ko Allah ki taufeeq se sawaal ki zillat wa ruswaai se bacha lena bahot behtar hai is se ke woh logon ke saamne haath phailaaye phir khwaah woh us ko dein ya na dein..✍

     *📬 Sahih Bukhaari: 1471 📚*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  15

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪⑤ ➾❧ Kisi ke saamne haath na phailaao*

⚘■•➾❧ Hadees mein ek waaqia bayaan kiya gaya hai ke Ansaar mein se ek (muflis aur gareeb) shakhs Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein haazir huwe aur Aap ﷺ se kuchh manga Aap ﷺ ne farmaaya ke kya tumhaare ghar mein koi cheez nahin hai ? Unhon ne arz kiya Bas ek kambal hai jis ka kuchh hissa ham odh lete hain aur kuch bichha lete hain aur ek pyaala hai jis se ham paani peete hain Aap ﷺ ne farmaaya Yeh donon cheezein mere paas le aao Unhon ne woh donon cheezein Aap ﷺ ki khidmat mein pesh kar di. Aap ﷺ ne woh kambal aur pyaala haath mein liya aur (neelaam ke tareeqe par) haazireen se farmaaya Kaon in donon cheezon ko khareedne ke liye tayyaar hai? Ek saahab ne arz kiya Hazrat  Main ek dirham mein in ko le sakta hoon Aap ﷺ ne farmaaya Kaon ek dirham se ziyaada de ga. (yeh baat Aap ﷺ ne do dafa ya teen dafa farmaai) Ek doosre saahab ne arz kiya ke Hazrat Main do dirham mein le sakta hoon Aap ﷺ ne donon cheezein un ko de deen aur un se do dirham le liye aur us Ansari shakhs ke hawaale kiya aur farmaaya In mein se ek dirham se tum khaane ka kuchh saamaan le kar apne ahl-o-ayaal ko de do aur doosre dirham se kulhaadi khareed kar mere paas laao Unhon ne aisa hi kiya aur kulhaadi le kar Aap ﷺ ki khidmat mein haazir huwe Aap ﷺ ne apne daste mubaarak se us kulhaadi mein lakdi ka ek mazboot dasta laga diya aur un se farmaaya Jaao aur jangal ki lakdiyaan laakar becho aur ab main pandra din tak tum ko na dekhoon, chunaanche woh saahab chale gaye aur Aap ﷺ ki hidaayat ke mutaabiq jangal ki lakdiyaan laakar bechte rahe. Phir ek din Aap ﷺ ki khidmat mein haazir huwe, unhon ne apni mehnat aur lakdi ke kaarobar se das dirham kama liye the, jin mein unhon ne kuchh ka kapda khareeda aur kuchh ka galla wagaira Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Apni mehnat se kamaana tumhaare liye is se behtar hai ke qayaamat ke din tumhaare chehre par logon ke maangne ka daag ho..✍

      *📬 Abu Daawood: 1641 📔*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  16

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪⑥ ➾❧ IsLam ki Taaleem*

⚘■•➾❧ Deen-e-Islaam bahot achchha mazhab hai, achchhi baatein sikhaata hai aur buri baaton se rokta hai, saare logon ki bhalaai aur kaamyaabi Islaam hi mein hai, Islaam sachcha mazhab hai, woh hamein sikhaata hai ke Allah ek hai, woh paak aur be aib hai, us ka koi shareek wa saajhi nahin hai, woh hamesha se hai aur hamesha rahega aur Hazrat Muhammad ﷺ Allah ke bande aur Rasool hain aur Qur’aan Majeed Allah Ta’ala ki kitaab hai

⚘■•➾❧ Islaam hamein yeh hukm deta hai ke ham maan baap ke saath achchha sulook karein, bhaai behnon ke saath muil jul kar rahein, rishtedaaron ke saath silah rehmi karein, kisi ka haq na dabaaein, kisi ke saath badsulooki aur badtameezi na karein, badon ki izzat aur chhoton par raham karein, hamesha sach bolein kabhi jhoot na bolein, sab ke saath insaaf ka muaamla karein, kisi par zulm na karein, padosiyon aur hamsaayon ke saath achchha bartaao karein, koi beemar ho jaaye to us ki ayaadat ke liye jaayein, dil mein keena na rakhein, kisi ki geebat na karein, doosron ke saath bhi khair khwaahi ka muaamla karein, kisi ke haq mein bura na chaahein, halaal rozi kamaayein aur haraam kamaai se bachein, zabaan se bhali baatein hi nikaalein aur gaali galoch aur buri baaton se parhez karein, kisi se kuchh waada karein, to us ko poora karein, kisi ka maal chheen kar lena, chori karna, ya kisi ka haq daba lena bade gunaah ka kaam hai, sharaab peena juwa khelna, soodi len den karna bhi naajaaiz aur haraam hai, in sab se bachte rahein...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  17

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪⑥ ➾❧ IsLam ki Taaleem*

⚘■•➾❧ Garz Islaam saraasar achchhaiyon ki taaleem deta hai, duniya wa aakhirat ki kaamyaabi ki raah dikhaata hai, Islaam hi tamaam logon ke liye najaat ka seedha raasta hai, aur wahi raasta logon ko Allah tak pahonchaane waala hai, ham zindagi guzaarne ke muaamle mein aazaad nahin hai ke jis raaste par chaahe chalein, is liye ke har raasta Allah tak pahonchaane waala nahin hai, balke Allah tak pahonchaane waala raasta sirf Islaam hai. Jo shakhs bhi Islaam se hat kar zindagi guzaarega, use kabhi kaamyaabi nahin mil sakegi, use hamesha nuqsaan uthhaana padega, kyun ke Allah Ta’ala ke nazdeek Deen-e-Islaam hi pasandeeda aur maqbool Deen hai, is ke alaawa koi deen aur dharm Allah ke yahaan maqbool nahin hai

⚘■•➾❧ Qur’aan-e-Kareem mein Allah Ta’ala ka irshaad hai Be shak (moatabar) Deen to Allah ke nazdeek Islaam hi hai

     *📬 Sura-e-Aale Imraan: 19 📕*

⚘■•➾❧ Ek doosri jagah irshaad hai Aur jo koi shakhs Islaam ke alaawa koi aur deen ikhtiyaar karna chaahega to us se woh deen qubool nahin kiya jaayega...✍

      *📬 Sura-e-Aale Imraan: 85 📔*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  18

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪⑦ ➾❧ NamaaZ ki TaakeeD*

⚘■•➾❧ ​“Namaaz” Islaam ka doosra rukn hai, Qur’aan wa Hadees mein namaaz padhne ki sakht taakeed ki gai hai, yeh tamaam ibaadaton mein sab se afzal ibaadat hai, namaaz har musalmaan par farz hai aur zaahiri taur par momin aur kaafir ke darmiyaan farq karne waali cheez namaaz hi hai, goya yeh musalmaanon ki ek khaas nishaani hai

⚘■•➾❧ ​Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya: *”Inna bainarrajuli wa bainashshirki walkufri tarkassalaah”*

*⚘■​ Tarjama •➾❧* Aadmi aur kufr wa shirk ke darmiyaan namaaz chhod dene hi ka farq hai

          *📬 Sahih Muslim: 256 📕*

⚘■•➾❧ ​ Islaam mein namaaz ko jitni ahmiyat di gai hai, kisi aur ibaadat ko utni ahmiyat nahin di gai hai Namaaz ko chhodna ya us ko ada karne mein laaparwaahi karna sakht gunaah hai, is se Allah Ta’ala bahot naaraaz hote hain...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  19

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪⑦ ➾❧ NamaaZ ki TaakeeD*

⚘■•➾❧ Ek hadees mein Rasoolullah ﷺ ne farmaaya ke jo banda ehtemaam se namaaz ada karega, to woh (Namaaz) qayaamat ke din us ke waaste noor hogi, (Jis se qayaamat ki andheriyon mein us ko roshni milegi aur us ke imaan waala hone aur Allah Ta’ala ka farmaanbardaar banda hone ki nishaani) aur daleel hogi aur us ke liye najaat ka zariya banegi aur jo shakhs namaaz ki adaaigi ka ehtemaam nahin karega, to woh us ke waaste na noor banegi aur na daleel hogi aur na hi najaat ka zariya hogi aur woh badbakht qayaamat mein Qaaroon, Firaon, Haamaan aur Umayya bin Khalf ke saath hoga

   *📬 Musnad-e-Ahmad: 6576 📔*

⚘■•➾❧ Is liye ham logon ko kabhi bhi namaaz nahin chhodni chaahiye Is ko waqt par ada karne aur jamaat ke saath padhne ka poora ehtemaam karna chaahiye Agar kabhi kisi sakht majboori ki wajah se namaaz qaza ho jaaye, to jald se jald padh lene ki koshish karni chaahiye Agar ham nahin padhenge, to Allah Ta’ala ham se naaraaz ho jaayeinge aur ham ko Jahannam mein daal deinge...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  20

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪⑧ ➾❧ Ehsaan ka shukriya ada karna*

⚘■•➾❧ Huzoor ﷺ ne jahaan ek doosre ko hadiya dene ki taaleem di hai aur us ke fazaail bayaan kiye hain waheen hadiya dene waalon aur ehsaan karne waalon ko badla dene aur kam az kam unhein dua dene ki hidaayat farmaai hai

⚘■•➾❧ Hazrat Jaabir RaziyAllahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Jis Shakhs ko hadiya tohfa diya jaaye, to agar us ke paas badle mein dene ke liye kuchh maujood ho to woh us ko dede aur jis ke paas badle mein tohfa dene ke liye kuchh na ho, to woh (bataur shukriye ke) us ki taareef kare aur us ke haq mein Duaa-e-Khair kahe. Jis ne aisa kiya us ne shukriye ka haq ada kar diya aur jis ne aisa nahin kiya aur ehsaan ke muaamle ko chhupaaya, to us ne naashukri ki...✍

        *📬 Abu Daawood: 4813 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  21

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪⑧ ➾❧ Ehsaan ka shukriya ada karna*

⚘■•➾❧ Huzoor ﷺ ko jab koi hadiya aur tohfa bhejta tha, to Aap ﷺ us ko qubool farmaate aur us ka badla bhi diya karte the aur un ke liye Duaa-e-Khair bhi farmaaya karte the

⚘■•➾❧  Ek hadees mein Aap ﷺ ne apni ummat ko taaleem dete huwe farmaaya ke jis aadmi par kisi ne koi ehsaan kiya aur us ne ehsaan karne waalon ko yeh dua di: *”Jazaakallaahu khairaa”* (yaani Allah Ta’ala aap ko is ka behtar badla ata farmaaya), to us ne us shakhs ki poori taareef kar di

          *📬 Tirmizi: 2035 📕*

⚘■•➾❧  Is hadees mein Rasoolullah ﷺ ne aise logon ko taaleem di hai jo ehsaan karne Waalon ko badla dene ki haisiyat nahin rakhte, ke un ke haq mein dua hi dede aur kam az kam *”Jazaakallaahu Khairaa”* keh de, is se bhi ehsaan karne waalon ka haq ada ho jaayega..✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  22

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ⓪⑨ ➾❧ Har ek ko salaam karna*

⚘■••❧ Ek musalmaan bhaai ki jab doosre musalmaan bhaai se mulaaqaat hoti hai, to woh salaam karte hain Mulaaqaat ke waqt salaam karna, islaam ka bahot hi achchha tareeqa hai, is se behtar doosra koi tareeqa nahin hai Is ki bahot saari fazeelatein aayi hain, salaam karne se aapsi muhabbat badhti hai aur doosron se badgumaani door hoti hai, khaas taur se salaam mein pahel karna bahot badi neki hai

⚘■••❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya *”Inna aulannaasi billaahi man bada-ahum bissalaami”*

*⚘■•• Tarjama ❧* Logon mein Allah Ta’ala se sab se ziyaada qareeb woh shakhs hai jo logon ko salaam karne mein pahel kare

           *📬 Abu Dawood: 5197 📘*

⚘■••❧ Baaz log sirf apne jaanne pehchaanne waalon hi ko salaam karte hain, yeh sahi nahin hai, Islaam ki taaleem yeh hai ke har musalmaan bhaai ko salaam kiya jaaye, khwaah un ko pehle se pehchaante ho ya na pehchaante ho. Jab kisi tarah maaloom ho jaaye ke woh musalmaan hai to us ko salaam karna chaahiye, is mein bahot sawaab hai

⚘■••❧ Huzoor ﷺ se ek shakhs ne daryaaft kiya ke ya Rasoolallah! Kaon sa amal behter hai? Aap ﷺ ne farmaaya Khaana khilaana aur salaam karna, chaahe tum use pehchaante ho ya na pehchaante ho

          *📬 Sahih Bukhaari: 12 📙*

⚘■••❧ Hamein bhi har ek ko salaam karna chaahiye, khwaah woh hamaare dost hon, ya rishtedaar, ya koi doosre musalmaan bhaai..✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  23

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①⓪ ➾❧ Jhoot ka wabaal*

⚘■••❧  Jo baat jaisi ho usi tarah bayaan kar dena “Sachchaai” hai aur us ke khilaaf bayaan karna “Jhoot” kehlaata hai Jhoot bolna intehaai bura fel hai, Islaam is ko bilkul pasand nahin karta, is ka shumaar bade gunaahon mein hota hai. Jhoot bolne mein duniya aur aakhirat donon ka nuqsaan hai. Yeh insaanon ko halaak kar deta hai, jhoota aadmi logon ki nazron se girjaata hai aur us par se logon ka etemaad khatm ho jaata hai aur jhoot bolne se barkat uthh jaati hai. Allah Ta’ala jhoote logon ko sakht saza deinge

⚘■••❧  Huzoor ﷺ ek martaba apne ek khwaab ka zikr kiya jis mein jhoote aadmi par hone waale azaab ka zikr karte huwe farmaaya Phir ham aise shakhs ke paas pahonche jo leta huwa tha aur us ke sar ki taraf ek aur shakhs tha, jo lohe ki kainchi se us ke jabde aur aankhein guddi tak kat raha tha Jab ek taraf kaat leta, to doosri taraf kaat’ta tha, abhi ek taraf poori taur par kaat bhi nahin paata ke doosri taraf sahi ho jaata. Main ne (apne saath maujood 2 farishton se) poochha Yeh kaon hain? Unhon ne bataaya ke yeh shakhs jhoot bolta tha (usi ki saza di jaarahi hai) Is ke saath qayaamat tak yahi muaamla hota rahega...✍

         *📬 Sahih Bukhaari: 1386 📔*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  24

       •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①⓪ ➾❧ Jhoot ka wabaal*

⚘■••❧  Jhoot bolna itni buri cheez hai ke is se farishton ko bhi takleef hoti hai. Hadees mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: *”Izaa kazabal ‘abdu, tabaa’ada ‘anhul malaku meelan min natni maajaa’a bihee”*

*❧ Tarjama* Jab banda jhoot bolta hai, to farishta us ke jhoot ki badbu ki wajaah se ek meel door chala jaata hai

           *📬 Tirmizi: 1972 📘*

⚘■••❧ Is liye ham logon ko jhoot bolne aur jhooti baat bayaan karne se bachna chaahiye, agar ham jhoot boleinge, to hamein bhi duniya aur aakhirat mein nuqsaan uthhaana padega aur Allah Ta’ala ham ko sakht saza deinge. Isi tarah suni sunaai baaton ko bagair tahqeeq ke bayaan nahin karna chaahiye; kyun ke is tarah insaan baaz martaba jhoot mein mubtila ho jaata hai

⚘■••❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya *”Kafaa bilmar’i kaziban ainyyuhaddisa bikulli maa sami’a”*

*❧ Tarjama* Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh har suni sunaai baat ko bayaan karta phire...✍

            *📬 Sahih Muslim: 8 📔*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  25

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••
*⚘■•• ①① ➾❧ Allah Ta’ala ki naafarmaani ka wabaal*

⚘■••❧  Allah Ta’ala ne tamaam insaanon ko jin baaton par chalne ka hukm diya hai, usi ke mutaabiq chalna zaroori hai, us ke khilaaf zindagi guzaarna aur Allah Ta’ala ke hukmon ko na maanna bade nuqsaan ka zariya hai, alse logon se Allah Ta’ala sakht naaraaz ho jaate hain, insaanon par jo tarah tarah ki museebatein aur pareshaaniyaan aati hain woh Allah Ta’ala ki naafarmaani aur gunaah hi ka nateeja hota hai

⚘■••❧  Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Bande ko jo halki ya sakht museebat pesh aati hai, woh us ke gunaah ka nateeja hoti hai, aur bahot saare gunaahon ko to Allah Ta’ala maaf farma dete hain
     
               *📬 Tirmizi: 3252 📔*

⚘■••❧  Baarish jo ke Allah ki badi nemat hai, yeh bhi hamaare gunaahon ki wajah se ruk jaati hai, jab gunaah aur Allah ki naafarmaaniyaan hone lagti hain, to Allah Ta’ala baarish ko rok lete hain

⚘■••❧  Huzoor ﷺ ne farmaaya Jab haakim log zulm karne lagte hain, to baarish rok li jaati hai...✍

      *📬 Hilyatul Auliya: 5/200 📔*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  26

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①① ➾❧ Allah Ta’ala ki naafarmaani ka wabaal*

⚘■••❧  Pichhli qaumon par Allah Ta’ala ki naafarmaani ki wajah se azaab bhi aachuka hai, maslan Hazrat Nooh Alaihissalam ki qaum ne jab Allah Ta’ala ki naafarmaani ki, us ke saath shirk kiya, gunaahon mein mubtila ho gai, to Hazrat Nooh Alaihissalam ne un ko samjhaaya aur sirf ek Allah ki ibaadat karne aur gunaahon ko chhodne ka hukm diya aur Allah Ta’ala ki marzi ke mutaabiq zindagi guzaarne ki hidaayat di, magar chand logon ke siwa kisi ne bhi un ki baaton ko nahin maana aur Allah Ta’ala ki naafarmaani mein had se aage badhte gaye, to Allah Ta’ala ne us qaum par apna azaab naazil kiya aur ek toofaani sailaab ke zariye tamaam kaafiron ko halaak kar diya

⚘■••❧ Isi tarah Hazrat Loot Alaihissalam ki qaum ne jab Allah Ta’ala ki naafarmaani ki, tarah tarah ki buraaiyon aur gunaah ke kaamon mein mubtila ho gai, to Hazrat Loot Alaihissalam ne un ko Allah ki naafarmaani se bachne aur gunaahon se baaz rehne ki hidaayat di, magar unhon ne nahin maana aur naafarmaani aur sarkashi mein had se aage badh gaye, to Allah Ta’ala ne Hazrat Jibraeel Alaihissalam ko bheja, unhon ne poori basti ko uthhaaya aur aasmaan ke qareeb le gaye aur waheen se poori basti ko zameen par patakh diya aur oopar se pattharon ki baarish barsaai, is tarah is holnaak azaab ke zariye poori qaum halaak ho gai

⚘■••❧ Aaj kal zameen ki khudaai ke dauraan jo khandaraat nikalte hain aur puraane zamaane ke makaanaat daryaaft hote hain, bahot mumkin hai ke Allah Ta’ala ne apne azaab ke zariye un ko zameen mein dhansa diya ho aur woh khandaraat mein tabdeel ho gaye hon...✍🏻

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  27

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①② ➾❧ Masjid ka ehteraaM*

⚘■••❧  Islaam mein masjid ki badi ahmiyat hai, masjid ka adab wa ehteraam karna zaroori hai aur us ke aadaab ka lihaaz rakhna parhezgaari ki nishaani hai Masjid ke aadaab mein se yeh hai ke masjid mein daakhil hote waqt salaam karein, bashart yeh ke masjid mein baithhe huwe log dars ya zikr mein mashgool na hon aur agar masjid mein koi shakhs na ho, to is tarah salaam karein *”Assalaamu ‘alaina wa‘ala ‘ibaadillaahis saaliheen”.*

       *📬 Sho’abul Imaan: 8836 📔*

⚘■••❧ Masjid mein jaakar sab se pehle do rakat Tahiyyatul Masjid ada karein, kasrat se Allah ka zikr karte rahein, masjid mein dunyaawi guftagu, khareed-o-farokht aur gumshuda cheez ka elaan na karein, Allah ke zikr ke alaawa kisi aur cheez mein aawaaz buland na karein, logon ki gardanon ko phalaang kar aage badhne ki koshish na karein, jagah ke liye kisi namaazi se jhagda na karein, saf mein kisi par jagah tang na karein, namaazi ke samne se na guzrein, masjid mein na thookein, na ungliyan chatkhaayein, masjid ko gandagi se paak saaf rakhein aur na samajh bachchon aur paagalon ko masjid mein na aane dein...✍🏻

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  28

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①② ➾❧ Masjid ka ehteraaM*

⚘■••❧  Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya Tum apni masjidon se chhote bachchon aur paagalon ko door rakho (un ko masjid mein na aane do) aur khareed-o-farokht, ladaai jhagde aur shor hangaame (masjid mein) na kiya karo

       *📬 Ibne Maajah: 750 📕*

⚘■••❧  Ek doosri hadees mein Aap ﷺ ne farmaaya Ek zamaana aisa aayega ke masjidon mein dunyawi baatein hongi, tumhein chaahiye ke un logon ke paas bhi na baithho, Allah ko un logon se koi sarokaar nahin...✍

     *📬 Sho’abul Imaan: 2962 📔*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  29

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①③ ➾❧ Halaal kamaai ke fawaaid wa BarkaaT*

⚘■••❧ Insaan zindagi guzaarne ke liye bahot si cheezon ka mohtaaj hai sar chhupaane ke liye ghar ka zarooratmand hai to tan dhaankne ke liye kapde ka mohtaaj, zinda rehne ke liye roti bhi zaroori hai, goya roti, kapda, makaan insaan ki bunyaadi zaroorat hai

⚘■••❧ Jo log Allah ko nahin pehchaante aur us par Imaan nahin rakhte woh apne maqsad ko haasil karne ke liye halaal wa haraam ka khayaal nahin rakhte, is liye woh sood bhi khaate hain aur sharaab bhi peete hain Doosron ka maal hadap bhi karte hain aur tijaarat mein dhoka fareb se kaam lete hain. Lekin jo log Imaan waale hain un ke liye hargiz jaaiz nahin ke woh apni zarooriyaat ko poora karne mein aazaadaana rawayya ikhtiyaar karein un ke liye halaal wa paakeeza cheezon ko ikhtiyaar karna aur haraam wa naajaaiz kaamon se bachna intehaai zaroori hai Khaas taur par apni kamaai aur rozi mein is baat ka khayaal rakhna bahot ahem hai Har waqt yeh khayaal rakhna chaahiye ke us ke pet mein halaal hi luqma jaaye, haraam luqma na ja sake

⚘■••❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya “Woh gosht Jannat mein na ja sakega jo haraam luqme se pala badha ho”. Isi liye hadees paak mein halaal rozi ki talaash wa justaju ko farz bataaya gaya hai Is halaal rozi ke beinteha barkaat wa fawaaid hain...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  30

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①③ ➾❧ Halaal kamaai ke fawaaid wa BarkaaT*

⚘■••❧ Halaal rozi ki barkat se dil mein noor paida hota hai aur nek aamaal ki taufeeq milti hai, aur duaaein qubool hoti hain. Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Be shak Allah Ta’ala paak hai aur paak hi ko qubool farmaate hain (phir farmaaya ke) yaqeenan (halaal khaane ke baare mein) Allah Ta’ala ne paigambaron ko jo hukm farmaaya ke Rasoolo ! paak cheezein khaao aur nek kaam karo, wahi hukm momineen ko bhi diya ke aye Imaan waalo ! Jo paak cheezein ham ne tum ko di hain un mein se khaao. Us ke baad Huzoor ﷺ ne ek aise shakhs ka zikr kiya jo lamba safar kar raha ho, us ke baal bikhre huwe hon, jism par gard-o-gubaar ata huwa ho, aur woh aasmaan ki taraf haath uthhaaye huwe ya rab ya rab keh kar dua kar raha ho. Yeh shakhs dua to kar raha hai aur haal yeh hai ke us ka khaana haraam hai, peena haraam hai, pahenna haraam hai aur us ko haraam giza di gai hai, to in haalaat mein us ki dua kaise qubool hogi

          *📬 Sahih Muslim: 2393 📔*

⚘■••❧ Matlab yeh hai ke musaafir aur pareshaan aadmi ki dua qubool hoti hai. Magar haraam khaane peene ki wajah se us ki dua rad kar di jaati hai, aaj bahot se log dua qubool na hone ki shikaayat karte hain, un ko chaahiye ke pehle apna haal dekhein ke kaheen haraam aamdani ka istemaal to nahin ho raha hai, agar kisi bhi tarah se haraam aamdani zindagi mein daakhil ho gai to us ki dua ki qubooliyat ruki rahegi...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  31

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①④ ➾❧ Guftagu ke AadaaB*

⚘■••❧ Zabaan jism ka bazaahir ek chhota sa hissa hai, magar usi par insaan ke achchhe bure aamaal ka daaro madaar hota hai. Insaan ki sheereen kalaami aur saleeqa mand guftagu toote huwe dilon ko jod sakti hai, jab ke zabaan ka galat istemaal aur gair zimmedaaraana guftagu baahami taalluqaat ko khatm kar ke nafrat wa adaawat paida kar sakti hai. Isi ahmiyat ke peshe nazar Qur‘aan wa Hadees mein guftagu karne ke aise aadaab wa tareeqe bayaan kiye gaye hain, jin par amal karne se insaanon ke baahami taalluqaat ustawaar rehte hain aur zabaan ke galat istemaal se hifaazat hoti hai

⚘■••❧ In hi aadaab mein se pehla adab yeh hai ke guftagu hamesha narmi se karne ki koshish karni chaahiye, kyun ke narm mizaaji aksar achchhaiyon aur bhaalaiyon ki jad aur bunyaad hai, isi wajah se Huzoor ﷺ ne farmaaya Jo aadmi narmi se mahroom kar diya gaya woh saari bhalaaiyon se mahroom kar diya gaya

      *📬 Sahih Muslim: 6765 📗*

⚘■••❧ Doosra adab yeh hai ke jab koi baat kisi ko samjhaani ho, to guftagu thhaher thhaher kar karni chaahiye, taake baat sunne waale ko achchhi tarah samajh mein aasake, Hazrat Aaisha RaziyAllahu anha farmaati hain ke Huzoor ﷺ ki baat juda juda hoti thi, jis ko har sunne waala samajh leta tha..✍

         *📬 Abu Daawood: 4839 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  32

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①④ ➾❧ Guftagu ke AadaaB*

⚘■••❧ Teesra adab yeh hai ke guftagu umooman aahistagi aur munaasib aawaaz ke saath karni chaahiye, be mauqa cheekh cheekh kar baatein karna, himaaqat wa jahaalat ki nishaani hai, Allah Ta’ala ne Qur’aan mein Hazrat Luqmaan Alaihissalam ki zabaani guftagu aur bolchaal ka tareeqa is tarah sikhaaya hai: “Aur apni aawaaz zara past rakh, sab aawaaz se buri aawaaz gadhon ki hoti hai”

          *📬 Sura-e-Luqmaan: 19 📘*

⚘■••❧ Chautha adab yeh hai ke guftagu mukhtasar aur baamaqsad honi chaahiye, kyun ke mukhaatab lambi baat Sunne se ukta jaata hai, ek dafa ek shakhs ne taweel khutba diya, Hazrat Amr bin Aas RaziyAllahu anhu ne suna, to farmaaya: Agar yeh shakhs mukhtasar baat karta, to is ke liye behtar hota, kyun ke main ne Huzoor ﷺ se suna hai ke Aap ﷺ ne farmaaya Mujhe hukm diya gaya hai ke main guftagu mein ikhtesaar ikhtiyaar karoon, kyun ke ikhtesaar behtar hai.

         *📬 Abu Daawood: 5008 📔*

⚘■••❧ Paanchwaan adab yeh hai ke guftagu hamesha dil aazaari, la’an ta’an, geebat wa bohtaan aur tanz wagaira se paak honi chaahiye, kyun ke ahaadees mein in cheezon se bachne ki sakht taakeed aai hai aur aisi baaton ko ikhtiyaar karne waalon ke haq mein sakht waeed bayaan hui hai

⚘■••❧ In ke alaawa bahot saare aadaab hain, jin ko ikhtiyaar karna aur jin ko apni rozmarrah guftagu mein ikhtiyaar karna har insaan ke liye zaroori hai, jo shakhs in cheezon par amal karta hai us ke ta‘alluqaat achchhe rehte hain aur baahami ulfat wa muhabbat badhti hai aur aapsi naaittefaaqiyaan door hoti hain...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  33

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①⑤➾❧ Raaste se Takleefdeh cheez ko Hataana*

⚘■••❧ Hamaara Deen Islaam bahot hi achchha mazhab hai, yeh hamein achchhe kaamon ka hukm deta hai aur chhoti chhoti baaton ke baare mein bhi hamaari rehnumaai karta hai. Islaam mein raaston ko saaf suthra rakhna aur khaas taur par raaste se takleef dene waali cheez ko hata dena sawaab ka kaam hai

⚘■••❧ Hazrat Abu Barza Aslami Raziyallahu Anhu ne Huzoor ﷺ se arz kiya Ya Rasoolallah Mujhe koi aisi cheez sikha deejiye, jis se main faaida uthhaaun. Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Musalmaanon ke raaste se takleefdeh cheez ko hata diya karo

        *📬 Sahih Muslim: 6839 📕*

⚘■••❧ Ek hadees mein Huzoor ﷺ ne farmaaya: *”Imaatatuhul azaa anit tareeqi sadaqah”*

*⚘■ Tarjama ❧* Aadmi ka raaste se takleefdeh cheez ko hata dena sadqa hai...✍

         *📬 Abu Daawood: 1285 📔*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  34

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①⑤➾❧ Raaste se Takleefdeh cheez ko Hataana*

⚘■••❧ Jo log raaste ki safaai suthraai ka khayaal rakhte hain aur aisi cheezon ko hata dete hain, jis se guzarne waalon ko takleef pahonchti ho, to Allah Ta‘ala un se bahot khush hote hain aur unhein bahot ziyaada sawaab ata karte hain

⚘■••❧ Ek martaba hamaare Nabi ﷺ ne yeh waaqia bayaan farmaaya ke ek shakhs raaste par chal raha the, us ne ek jagah zameen par kaantedaar tehni padi hui dekhi, to us ne logon ko takleef se bachaane ke liye us tehni ko raaste se hata diya. Allah Ta’ala ko us ka yeh amal itna pasand aaya ke us bande ki magfirat farmaadi

          *📬 Sahih Muslim: 6835 📔*

⚘■••❧ Ham bhi is par amal karein Agar raaste par koi gandagi padi hui mile, ya koi aisi cheez ho, jis se raasta chalne waalon ko takleef pahonch sakti ho jaise kaanta, patthar, keel, kaanch ka tukda aur phalon ke chilke wagaira, jis se phisalne ya thhokar lagne ka khatra ho, us ko hata dena chaahiye, taake logon ko raasta chalne mein kisi tarah ki pareshaani na ho Yeh badi neki aur sawaab ka kaam hai..✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  35

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①⑥➾❧ Deen-e-IsLaam*

⚘■••❧ Islaam Deen-e-Fitrat hai, yeh Allah ka bheja huwa Deen hai, yeh har waqt hamaari rehnumaai karta hai aur hamein seedhi sachchi raah dikhaata hai Islaam hamein sikhaata hai ke Allah ek hai, us ka koi shareek wa saajhi nahin, us ke maan baap nahin hai, us ki koi aulaad nahin hai, woh hamesha se hai aur hamesha rahega, woh beniyaaz hai. Aur Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ Allah ke aakhri Nabi aur Rasool hain, Aap ﷺ ke baad ab koi nabi nahin aayega, Aap ki nubuwwat rehti duniya tak ke liye hai, agar Aap ke baad koi nubuwwat ka daawa karega to woh jhoota hoga. Aur Qur’aan Majeed Allah Ta’ala ki aakhri kitaab hai jo logon ki hidaayat ke liye utaari gai hai

⚘■••❧ Ab qayaamat tak insaanon ka Deen “Islaam” hai Isi ko apnaane mein Deen wa duniya ki bhalaai hai, yahi Allah ka pasandeeda Deen hai, Islaam ke alaawa koi aur Deen wa mazhab Allah ke yahaan maqbool nahin hai Khud Allah Ta’ala ne irshaad farmaaya Beshak (motabar) Deen to Allah ke nazdeek Islaam hi hai...✍

      *📬 Sura-e-Aal e Imraan: 29 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  36

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①⑥➾❧ Deen-e-IsLaam*

⚘■••❧ Allah Ta’ala ne irshaad farmaaya: Jo koi shakhs Islaam ke siwa koi aur Deen ikhtiyaar karna chaahega, to us se woh Deen qubool nahin kiya jaayega aur aakhirat mein un logon mein shaamil hoga jo sakht nuqsaan uthhaane waale hain

        *📬 Sura-e-Aale Imraan: 85 📘*

⚘■••❧ Allah Ta’ala ne Deen-e-Islaam ko Aap ﷺ par mukammal kar diya hai, Allah Ta’ala ne apni kitaab mein Deen ke mukammal ho jaane ki khush khabri di hai Ab is mein kisi kami ya ziyaadati ki gunjaaish nahin hai Allah Ta’ala ka irshaad hai Aaj main ne tumhaare liye tumhaara Deen mukammal kar diya, tum par apni nemat mukammal kar di aur tumhaare liye Islaam ko Deen ke taur par (hamesha ke liye) pasand kar liya

           *📬 Sura-e-Maaida: 3 📔*

⚘■••❧ Woh hamein zindagi guzaarne ka achchha tareeqa sikhaata hai, har mod par hamaari behtar rehnumaai karta hai, Islaam mein tamaam khoobiyaan aur bhalaaiyaan maujood hain, har achchhi baat ki taaleem deta hai aur har buri baat se mana karta hai Huzoor ﷺ ne to yahaan tak farmaaya ke main is liye bheja gaya hoon ke akhlaaqi khoobiyon ko kamaal tak pahonchaadoon..✍

      *📬 Musnade Ahmad: 8952 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  37

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①⑥➾❧ Deen-e-IsLaam*

⚘■••❧ Hindustaan ka ek baadshaah guzra hai, us ka naam Akbar tha. Us ke dimaag mein yeh galat khayaal saraayat kar gaya tha ke (na‘oozubillah) Huzoor ﷺ ke Deen ki kul muddat ek hazaar saal thi jo poori ho gai, isi liye woh dil khol kar Islaami ahkaam ko baatil karne mein mashgool ho gaya tha aur is ke liye us ne ek khud saakhta mazhab “Deen-e-ilaahi” ki bunyaad rakhi thi, jis mein dher saari kharaabiyaan theen, us deen mein daakhil hone waalon se jo kalima padhwaaya jaata tha, us mein *”Laa ilaaha illallaahu”* ke saath *”Akbaru khaleefatullaah”* bhi shaamil kiya jaata tha, shaahi mahal mein naaqoos bajaaye jaate aur aag raoshan ki jaati thi, magar Namaaz, Rozah, Haj, aur Zakaat se laaparwaahi barti jaati thi, balke deewaan khaane mein kisi ki majaal na thi elaaniya namaaz padhe, Maqaam-e-Nubuwwat ki tauheen ki gai aur Meraaj wagaira ka mazaaq udaaya gaya, baadshaah ko Sajda-e-Ta‘azeem kiya jaata, Qaanoon-e-Nikaah mein tabdeeli ki gai, tadfeen ke tareeqe badal daale, mulaaqaat ke waqt salaam karne ki jo Islaami taaleem thi, us ko khatm kar ke naya tareeqa raaij kiya, baaz cheezein jo halaal theen, un ko haraam keh diya gaya aur baaz cheezein jo haraam theen, un ko halaal keh diya, suwwar ko paak samjha jaane laga, ulama, mujtahideen aur Islaami sha‘aair ka mazaaq udaaya jaane laga, hatta ke sooraj wagaira ki parastish bhi ki jaane lagi

⚘■••❧ Akbar ki is bad deeni aur Islaam se doori mein us waqt ke darbaari ulama ki galat sohbat aur khushaamad ko bada dakhal tha, un mein Mulla Mubaarak ke do ladke Abul Fazl aur Faizi sar-e-fehrist the Mash‘hoor buzurg Shaikh Ahmad Sarhindi Mujaddid Alfe Saania Rahmatullah Alaih usi zamaane ke the, unhon ne badi hikmat ke saath is naye mazhab “Deen-e-ilaahi” ka muqaabla kiya aur is baare mein bade kaarnaame anjaam diye...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  38

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ❶❼ ➾❧ SunnaT par amaL karna*

⚘■••❧ Insaan ki sab se badi khush naseebi yeh hai ke woh apni poori zindagi ko Allah ke Rasool Hazrat Muhammad ﷺ ke tareeqe ke mutaabiq guzaare, jo shakhs Aap ﷺ ki sunnat par amal karta hai, Allah Ta’ala us se khush hote hain Sunnat ke mutaabiq apni poori zindagi guzaarne ka ek bahot bada faaida yeh hota hai ke Jannat mein ham ko hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ke saath rehna naseeb hoga Aap ﷺ ne irshaad farmaaya *“Man ahyaa sunnatee faqad ahabbanee wa man ahabbanee kaana ma’ee filjannaH”*

*❧ Tarjama* Jis shakhs ne meri sunnat ko zinda kiya (yaani us par amal kiya aur logon mein us ko raaij kiya) us ne mujh se muhabbat ki aur jis ne mujh se muhabbat ki, woh mere saath Jannat mein hoga

           *📬 Tirmizi: 2678 📕*

⚘■••❧ Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhum Aap ﷺ ki ek ek sunnat par paabandi se amal kiya karte the, kisi bhi haal mein kisi bhi sunnat ko chhodna unhein hargiz gawaara nahin tha Jaahiliyat mein log apne izaar ko takhne se neeche latka kar chalte the aur is ke zariye apni badaai zaahir kiya karte the, Huzoor ﷺ ne is bure fel se mana farma diya aur takhne se oopar izaar rakhne ka hukm diya Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhum is par sakhti se amal karte the...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  39

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ❶❼ ➾❧ SunnaT par amaL karna*

⚘■••❧ Usmaan RaziyAllahu anhu ko Makkah bheja. Woh apne chacha zaad bhaai Abbaan bin Saeed ki panaah mein Makkah gaye, jab Makkah pahonche to Abbaan bin Saeed ne kaha Aye chacha zaad bhaai Aap mujhe bahot tawaazo aur aajizi waali shakl wa soorat mein nazar aarahe hain, zara izaar ko takhne se neeche latka leejiye (taake kuchh badaai ki shaan paida ho) Hazrat Usmaan RaziyAllahu anhu aadhi pindli tak lungi baandh rakhi thi, unhon ne farmaaya Hamaare mahboob ﷺ ka lungi baandhne ka yahi tareeqa hai. (Is liye main lungi takhne se neeche nahin kar sakta) Chunaanche woh usi haal mein rahe

*📬 Musannaf Ibne Abi Shaiba: 36852 📕*

⚘■••❧ Hamein bhi Aap ﷺ ki har ek sunnat par amal karna chaahiye. Sote jaagte, khaate peete, chalte phirte har waqt har amal mein Aap ﷺ ki sunnat aur Aap ﷺ ke bataaye huwe tareeqe ka poora khayaal rakhna chaahiye Jo shakhs Aap ﷺ ki sunnat par amal nahin karta hai aur Aap ﷺ ke bataaye huwe treeqe par nahin chalta hai, to us se Allah Ta’ala aur Huzoor ﷺ naaraaz hote hain...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  40

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①⑧➾❧ Saamaan ka aib na chhupaana*

⚘■••❧  Insaan ko zindagi mein rozmarrah jin kaamon se waasta padta hai un mein ek bahot hi ahem kaam khareedna bechna bhi hai Isi se zindagi ki gaadi chalti hai. Bazaahir yeh ek dunyawi kaam hai aur ek insaani zaroorat hai Magar is kaam ko anjaam dene mein agar Allah ke hukmon ka khayaal aur Rasoolullah ﷺ ki roshan hidaayaat ki paasdaari ki jaaye to yeh dunyawi zaroorat ibaadat ban jaayegi aur ibaadat bhi us aala darje ki ke aadmi ko Ambiya, Shohada aur Siddeeqeen ke darje wa maqaam tak pahoncha de, chunaanche Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai Poori sachchaai aur imaandaari ke saath kaarobaar karne waala taajir Nabiyon, Siddeeqon aur Shohada ke saath hoga.

              *📬 Tirmizi: 1209 📔*

⚘■••❧ Khareed-o-farokht mein taajir ke liye imtehaan ka marhala yeh hota hai ke woh saamaan bech raha hota hai us mein basa auqaat aib aur nuqs hota hai aur us aib ki wajah se us ki qeemat kuchh ghat jaati hai Aise waqt mein ek taajir ki zimmedaari hai ke bechte waqt saamaan ke aib ko zaahir kar de aur khareedne waale ko bata de ke is mein yeh nuqs wa kami hai, is mein bazaahir nuqsaan nazar aayega, lekin haqeeqat mein duniya wa aakhirat ka nafa isi mein posheeda hai, is tarah karne se kaarobaar mein bhi barkat hogi aur Allah ki naaraazgi se bach jaayega kyun ke Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai ke jis shakhs ne koi aib waali cheez kisi ke haath farokht ki aur khareedaar ko woh aib batla nahin diya to us par hamesha Allah ka gazab rahega Aur Allah ke farishte hamesha us par laanat karte raheinge..✍

        *📬 Ibne Maaja: 2247 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  41

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①⑧➾❧ Saamaan ka aib na chhupaana*

⚘■••❧ Rasoolullah ﷺ ne beche jaane waale saamaan ka aib chhupaane se mana bhi farmaaya hai, chunaanche Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ galle ke ek dher ke paas se guzre (jo ek dukaandaar ka tha) Aap ne apna haath us dher ke andar daakhil kar diya, to aap ki ungliyon ne geelapan mehsoos kiya, Aap ne us galla farosh se farmaaya ke (tumhaare dher ke andar) yeh tari aur geel kaisi hai? Us ne arz kiya Ya Rasoolallah Galle par baarish ki boondein pad gai theen (to main ne oopar ka bheeg jaane waala galla neeche kar diya) Aap ne farmaaya ke is bheege huwe galle ko tum ne dher ke oopar kyun nahin rehne diya taake khareedne waale log is ko dekh sakte, (sun lo) jo aadmi dhoke baazi kare woh ham mein se nahin

        *📬 Sahih Muslim: 295 📕*

⚘■••❧ Har musalmaan taajir ko apni tijaarat mein shariat ka paas wa lihaaz rakhna chaahiye, is se hamaari nekiyon mein izaafa hoga aur Allah Ta’ala ki naaraazgi ham se hategi aur hamaari madad wa nusrat ke faisle aasmaanon se utreinge Duniya bhi banegi aur aakhirat bhi chamkegi...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  42

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①⑧➾❧ Saamaan ka aib na chhupaana*

⚘■••❧ Rasoolullah ﷺ ne beche jaane waale saamaan ka aib chhupaane se mana bhi farmaaya hai, chunaanche Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ galle ke ek dher ke paas se guzre (jo ek dukaandaar ka tha) Aap ne apna haath us dher ke andar daakhil kar diya, to aap ki ungliyon ne geelapan mehsoos kiya, Aap ne us galla farosh se farmaaya ke (tumhaare dher ke andar) yeh tari aur geel kaisi hai? Us ne arz kiya Ya Rasoolallah Galle par baarish ki boondein pad gai theen (to main ne oopar ka bheeg jaane waala galla neeche kar diya) Aap ne farmaaya ke is bheege huwe galle ko tum ne dher ke oopar kyun nahin rehne diya taake khareedne waale log is ko dekh sakte, (sun lo) jo aadmi dhoke baazi kare woh ham mein se nahin

          *📬 Sahih Muslim: 295 📕*

⚘■••❧ Har musalmaan taajir ko apni tijaarat mein shariat ka paas wa lihaaz rakhna chaahiye, is se hamaari nekiyon mein izaafa hoga aur Allah Ta’ala ki naaraazgi ham se hategi aur hamaari madad wa nusrat ke faisle aasmaanon se utreinge Duniya bhi banegi aur aakhirat bhi chamkegi...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  43

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①⑨➾❧ Hijri Taareekh ki ahmiyaT*
⚘■••❧ Aam taur par do qism ke calender istemaal kiye jaate hain

(1) Hijri

(2) Eiswi

⚘■••❧ Eiswi taareekh ki ibtida Hazrat Eisa Alaihissalam ki paidaaish se hoti hai na ke wafaat se, kyun ke un ki wafaat nahin hui balke Allah Ta’ala ne un ko aasmaan par zinda uthha liya hai, qayaamat ke qareeb woh logon ki hidaayat wa rehnumaai ke liye aasmaan se utreinge, hamaare Nabi ﷺ ki shariat par khud bhi amal kareinge aur logon ko bhi us par amal karaaeinge

⚘■••❧  Aur Hijri taareekh ki ibtida hamaare pyaare Nabi ﷺ ki hijrat se hoti hai, hijri taareekh baazaabta taur par Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu ne naafiz farmaaya, jab un ke paas kuchh khutoot aaye aur un ko taareekh ke etebaar se rakhne ki zaroorat pesh aayi, to Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu ne Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhum se is silsile mein mashwara kiya ke Islaami taareekh ki ibtida kab se honi chaahiye, logon ne kai tarah ki raaye di, Hazrat Ali RaziyAllahu Anhu ne yeh raaye di ke Islaami taareekh ka aagaaz hijrat se hona chaahiye. Isi ko sab ne pasand kiya aur isi par sab ka ittefaaq ho gaya aur hijrat se hi Islaami taareekh ki ibtida hui...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  44

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ①⑨➾❧ Hijri Taareekh ki ahmiyaT*

⚘■••❧ Hijri taareekh ka daaro madaar chaand par hai, chaand bhi waqt maaloom karne ka ek zariya hai, Qur’aan-e-Kareem mein Allah Ta’ala ka irshaad hai Log aap se naye maheenon ke chaand ke baare mein poochhte hain, Aap unhein bata deejiye ke yeh logon ke (mukhtalif muaamlaat ke) aur Haj ke auqaat muta’ayyan karne ke liye hain

       *📬 Sura-e-Baqarah: 189 📕*

⚘■••❧ Hijri taareekh bahot ahem hai, us par bahot saare ahkaam ki bunyaad hai, maslan Islaam ka ek ahem rukn Haj hai jo Zil Hijjah ki makhsoos taareekhon mein hi ada kiya jaata hai, Eidul Fitr aur Eidul Azha chaand ki taareekh ke etebaar se manaai jaati hai, isi tarah musalmaanon par jo roze farz hai woh Ramazaan mein rakhe jaate hain

⚘■••❧ Huzoor ﷺ ka irshaad hai Chaand dekh kar roze rakho aur chaand dekh kar rozah rakhna chhod do, agar chaand nazar na aaye to Sha’abaan ke tees din mukammal karlo

      *📬 Sahih Bukhaari: 1909 📔*

⚘■••❧ Is ke alaawa bhi bahot saare ahkaam hijri taareekh ke etebaar se anjaam paate hain, is liye hamein hijri taareekh ki hifaazat karni chaahiye, aur is ko yaad rakhna chaahiye aur apne rozmarrah ke kaamon mein is taareekh ka istemaal karna chhahiye...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  45

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②⓪➾❧ Safaai Suthraai ka ehtemaam karna*

⚘■••❧ Har Insaan fitri taur par safaai suthraai ko pasand karta hai aur hamesha saaf suthra rehne ki koshish karta hai, Deen-e-Islaam ne deegar ahkaam ke saath safaai ko bhi khaas ahmiyat di hai, Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya Paaki aadha Imaan hai

            *📬 Sahih Muslim: 556 📔*

⚘■••❧ Safaai suthraai Allah ko bahot pasand hai aur Allah Ta’ala saaf suthra rehne waalon ko pasand karte hain aur log bhi un ko achchhi nigaah se dekhte hain. Huzoor ﷺ ne apne gharon, apne kapdon aur apne badan ko saaf suthra rakhne ki hidaayat di hai

⚘■••❧ Aap ﷺ ka irshaad hai Allah Ta’ala paak hain, paaki ko pasand karte hain, woh saaf suthre hain aur safaai suthraai ko pasand karte hain, woh karam karne waale hain aur karam ko pasand karte hain, woh nihaayat hi sakhi hain aur sakhaawat ko pasand karte hain, tum apne sehnon ko saaf suthra rakho aur yahoodiyon ki mushaabahat ikhtiyaar na karo..✍

               *📬 Tirmizi: 2799 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  46

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②⓪➾❧ Safaai Suthraai ka ehtemaam karna*

⚘■••❧ Hazrat Jaabir RaziyAllahu anhu kehte hain ke ek din Rasoolullah ﷺ hamaare paas tashreef laaye, to Aap ﷺ ne wahaan ek shakhs ko dekha jis ke baal paraaganda bikhre huwe the, Aap ﷺ ne farmaaya Kya is shakhs ko woh cheez (kanghi wagaira) mayassar nahin, jis se woh apne baalon ko durust kar le, isi tarah Aap ﷺ ne aise shakhs ko dekha jis ke badan par maile kuchaile kapde the, Aap ﷺ ne farmaaya Kya is aadmi ko woh cheez (saaban pani wagaira) mayassar nahin jis se woh apne kapdon ko dho daale

      *📬 Abu Daawood: 4062  📕*

⚘■••❧ Is liye safaai aur suthraai aur tahaarat wa nazaafat ka poora khayaal rakhein, apna kapda, apna bistar aur apne badan ki safaai par dhyaan dein, apne kapdon ko mitti aur siyaahi ke dhabbon se bachaaein, haath aur munh saaf karne ke liye apne paas rumaal rakh lein, aasteen ya daaman se munh saaf na karein, har hafte naakhun taraash lein aur gusl ka ehtemaam karein, rozaana subah sawere nahaane se achchhi tarah nazaafat bhi haasil ho jaati hai aur sehat wa tandurusti bhi barqaraar rehti hai, miswaak ka bhi ehtemaam karein, wuzu karte waqt, khaana khaane ke baad, raat ko sone se pehle aur subah so kar uthhne ke baad miswaak kar liya karein, saath hi apne gharon ki safaai ka khayaal rakhein, ghar ke atraaf ko saaf suthra rakhein, gali koochon aur sadkon par kachra ya koi aur gandagi bilkul na daalein, is se aane jaane waalon ko takleef hoti hai aur beemaariyaan bhi phailti hain...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  47

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②①➾❧ Kaainaat mein gaor-o-fikr karna*

⚘■••❧ Qur’aan-e-Kareem mein insaanon ko kaainaat ki cheezon mein gaor-o-fikr karne ki daawat di gai hai. Allah Ta’ala ka irshaad hai: Aur aasmaan wa zameen mein jo kuchh hai, sab ko us ne apni taraf se tumhaare kaam mein laga rakha hai Yaqeenan us mein un logon ke liye badi nishaaniyaan hain jo gaor-o-fikr se kaam lein

        *📬 Sura-e-Jaasiyah: 13 📕*

⚘■••❧ Kaainaat ki cheezon mein gaor-o-fikr karne se Allah Ta’ala ki bemisaal kaareegari ka ilm hota hai, us ki zaat wa sifaat ki taraf rehnumaai milti hai, us ki ma’arifat haasil hoti hai, neez is baat ka bhi ilm hota hai ke Allah Ta’ala ne chhoti chhoti cheezon mein bhi insaanon ke liye kitne bade faaide rakhe hain Is tarah in cheezon se sahi taur par faaida uthhana bhi aasaan ho jaata hai

⚘■••❧ Musalmaanon mein beshumaar log aise guzre hain jinhon ne duniya ki cheezon mein gaor-o-fikr kar ke ahem maalumaat logon tak pahonchaai hain, nayi nayi cheezein banaeen, insaanon ki sahoolat aur taraqqi ke liye bunyaadi cheezein eejaad keen Musalmaanon mein aise beshumaar science daan guzre hain, jinhon ne science ke maidaan mein ahem kaarnaame anjaam diye hain. Misaal ke taur par Muhammad bin Moosa Al Khawaarzami hain, jin ki wafaat 850 Eiswi mein hui hai, jo Hisaab wa Riyaazi ke bade maahir the, “Aljebra” unhon ne hi eejaad kiya hai, ginti ke jo aadad: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, ki shakl istemaal karte hain, un ko sab se pehle unhon ne hi bayaan kiya, is se pehle adad likhne ka jo tareeqa tha woh bahot hi mushkil tha Unhon ne sifar (0) ka ta’aruf karaaya, warna is se pehle sifar ka istemaal nahin hota tha...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  48

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②①➾❧ KaainaaT mein Gaor-o-fikr karna*

⚘■••❧ Isi tarah Abu Bakr Muhammad bin Zakarya Ar Raazi hain, jin ki wafaat 923 Eiswi mein hui, bahot bade tabeeb aur maahir doctor the, sab se pehle unhon ne hi saabit kiya ke chechak aur khasra alag alag beemaariyaan hain Unhon ne ilaaj ke kai naye tareeqe bayaan kiye, paare ka lep aur behoshi laane waali dawaaein eejaad keen, jis ko operation ke waqt istemaal kiya jaata hai

⚘■••❧  Isi tarah Abul Qaasim Khalaf bin Abbaas Az Zahraawi hain, jin ki paidaaish 1030 Eiswi mein hui, unhein surgery ka moojid kaha jaata hai, woh pehle surgeon hain jinhon ne operation kiya aur jinhon ne operation ke zariye bachche ki wilaadat ka tareeqa eejaad kiya, zakhmon ko taankne ke liye munaasib dhaagon ko istemaal karna un hi ki eejaad hai, unhon ne surgery ke bahot se aalaat bhi eejaad kiye hain

⚘■••❧  In ke alaawa bhi musalmaanon mein bahot saare ilm-o-fan ke maahir guzre hain, jinhon ne beshumaar bade bade kaarnaame anjaam diye hain, jaise Jaabir bin Hayyaan, Abu Ali Husain bin Abdullah bin Seena, Abu Ali Hasan bin Husain bin Haisam, Gayaasuddin Abul Fatah Umar bin ibrahim Al Khayyaam, Abu Raihaan Muhammad bin Ahmad Al Bairooni wagaira yeh sab hazraat science ki eejaadaat mein bahot mash’hoor wa ma’aroof hain..✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  49

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②②➾❧ Masnoon duaaon ka ehtemaam karna*

⚘■••❧ Rasoolullah ﷺ ne mukhtalif auqaat mein jo duaaein maangi aur mukhtalif mawaaqe par ummat ko taaleem di hai, woh nihaayat hi baabarkat hain. Maslan neend se bedaar ho kar padhne ki dua, baitulkhala mein jaane se pehle ki dua, wahaan se baahar nikalne ke baad ki dua, wuzu karte waqt, Masjid mein daakhil hote waqt, Masjid se nikalte waqt, ghar mein daakhil hote waqt, khaana khaane se pehle aur khaana khaane ke baad, azaan ke baad, kapde pahente waqt, aaina dekhte waqt, bistar par pahonch kar sone se pehle wagaira

⚘■••❧  Aur is tarah khaas khaas maoqon par jo duaaein sikhaai gai hain ya is ke alaawa jo doosri aam duaaein hadeeson mein manqool hain, jo kisi waqt aur haalaat ke saath khaas nahin hain, woh sab duaaein bahot hi ahem aur jaame hain. Poori ummat ke haq main Deen wa duniya ki khair wa bhalaai aur hamaari tamaam zarooraton ke liye intehaai mufeed hain. Yeh duaaein itni achchhi aur jaame hain ke agar ham saari umr sochte rahein, tab bhi aisi duaaein khud se nahin maang sakte, yahi to wajah thi ke Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu anhum Arabi zabaan wa lugat mein maahir hone ke baawajood Aap ﷺ ke paas aate the aur duaaein seekhte the...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  50

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②②➾❧ Masnoon duaaon ka ehtemaam karna*

⚘■••❧ Chunaanche ek martaba Hazrat Abu Bakr Siddiq RaziyAllahu anhu Huzoor ﷺ se darkhwaast ki Ya Rasoolallah Mujhe dua ke chand aise kalimaat bata deejiye, jin ko main subah wa shaam padh liya karoon Aap ﷺ ne farmaaya Kaho

اَللَّهُمَّ فَاطِرَ السَّمَوَاتِ وَالْأَرْضِ، ‌‌‌‌‌‏عَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ، ‌‌‌‌‌‏رَبَّ كُلِّ شَيْءٍ وَمَلِيكَهُ، ‌‌‌‌‌‏أَشْهَدُ أَنْ لَّآ إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ ‌‌‌‌‌‏أَعُو‌ذُ بِكَ مِنْ شَرِّ نَفْسِي ‌‌‌‌‌‏وَشَرِّ الشَّيْطَانِ وَشِرْكِهِ

⚘■••❧ *Allahummaa Faatiras samaawaati wal arzi, aalimal gaibi wash-shahaadati, rabba kulli shai-in wa maleekahoo, ash-hadu allaa ilaaha illa anta a’oozubika min sharri nafsee wa sharrish-shaitaani wa shirkih”* aur farmaaya: Jab tum subah karo, jab shaam karo aur jab sone ke liye bistar par leto, to in kalimaat ko keh liya karo

        *📬 Abu Daawood: 5067 📔*

⚘■••❧ Ham logon ko bhi yeh duaaein achchhi tarah yaad kar leni chaahiye aur inhein mukhtalif auqaat mein padhte rehna chaahiye...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  51

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②③➾❧ Jhooti gawaahi na dena*

⚘■••❧ Gawaahi dar’asl us amaanat ki adaaigi ka naam hai, jo gawaahi dene waale ke paas us qaziyye aur muaamle ke baare mein sahi soorat-e-haal ke ilm aur sachchi baat ki shakl mein maujood hai jis ke baare mein woh gawaahi de raha hai Goya gawaahi dene waala apni baat mein sachcha hota hai, is liye gawaahi dene waale ko sach ka daaman nahin chhodna chaahiye Aur apne maqaam wa martabe ka paas wa lihaaz rakhna chaahiye ke Allah Ta’ala ne Qur‘aan Majeed mein na sirf Ambiya aur Malaaika ke liye shaahid aur shaheed ke alfaaz istemaal kiye hain, balke khud apne aap ko bhi is lafz se yaad kiya hai Alaawah azeen Hadees-e-Paak mein Rasoolullah ﷺ ne gawaahon ka ikraam karne ka hukm diya hai Kyun ke gawaahon ke bayaan se hi haq wa baatil aur sahi wa galat mein imtiyaaz hota hai, is liye gawaahon ko apni baat mein sachchaai ikhtiyaar karni chaahiye ke jhoot bolna bahot bada gunaah hai

⚘■••❧  Hadees-e-Paak mein jhooti gawaahi dene ko kabeera gunaah bataaya hai aur us ki buraai wa kharaabi bataai gai hai Chunaanche Rasoolullah ﷺ ne ek din subah ki namaaz padhi, jab Aap namaaz se faarig huwe to ek dam khade ho gaye aur farmaaya ke jhooti gawaahi Allah ke saath shareek thhehraane ke baraabar kar di gai hai, yeh baat aap ne 3 dafa irshaad farmaai aur Sura-e-Haj ki yeh aayat tilaawat farmaai

فَاجۡتَنِبُوا الرِّجۡسَ مِنَ الۡاَوۡثَانِ وَ اجۡتَنِبُوۡا  قَوۡلَ  الزُّوۡرِ ‌‌‌۝ حُنَفَآءَ لِلّٰہِ غَیۡرَ  مُشۡرِکِیۡنَ بِهٖ ؕ

            *📬 Sura-e-Haj: 30 📔*

⚘■••❧  (Buton ki yaani but parasti ki gandagi se bacho aur jhooti baat kehne se bachte raho, sirf ek Allah ke ho kar raho kisi ko us ke saath shareek na karte huwe..✍)

        *📬 Abu Daawood: 3599 📚*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  52

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②③➾❧ Jhooti gawaahi na dena*

⚘■••❧ Ek doosri Hadees mein hai ke Aap ﷺ ne ek din Sahaaba RaziyAllahu Anhum se irshaad farmaaya aur teen dafa irshaad farmaaya Kya main tum ko bataaoon ke sab se bade gunaah kaon kaon se hain? Phir Aap ﷺ ne farmaaya Allah ke saath shirk karna, maan baap ki naafarmaani karna aur muaamlaat mein jhooti gawaahi dena aur jhoot bolna, Raawi ka bayaan hai ke pehle Aap sahaara lagaaye huwe baithhe the lekin phir seedhe ho kar baithh gaye aur baar baar Aap ﷺ ne is irshaad ko dohraaya, yahaan tak ke ham ne kaha ke kaash ab aap khaamosh hojaate Yaani us waqt Aap par aisi kaifiyat taari thi aur Aap aise josh se farma rahe the ke ham mahsoos kar rahe the ke Aap ke Qalb-e-Mubaarak par is waqt bada bojh hai, is liye ji chaahta tha ke us waqt Aap khaamosh ho jaaein aur apne dil par itna bojh na daalein

      *📬 Sahih Bukhaari: 2654 📔*

⚘■••❧  Aap ﷺ ne jhooti gawaahi ki qabaahat jahaan apne mubaarak irshaad se bataai, waheen apne amal se bhi zaahir farmaaya ke yeh kitna sakht aur bura amal hai Allah Ta’ala hamein is buraai ka ehsaas ata farmaaye aur is gunaah se hamaari hifaazat farmaaye...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  53

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②④➾❧ Waalidain ko na Sataana*

⚘■••❧ Jis tarah maan baap ki farmaanbardaari karna, un ke saath achchha sulook karna, un ki khidmat karna aur unhein hamesha raahat wa aaraam pahonchaana bahot badi neki aur sawaab ka kaam hai, isi tarah un ki naafarmaani karna, un ke saath bura sulook karna, un ko takleef pahonchaana ya kisi aur tarah un ko sataana, bahot bada gunaah hai chunaanche ek riwaayat mein Rasoolullah ﷺ ne Shirk ke baad sab se bada gunaah waalidain ko sataana aur un ki naafarmaani karne ko qaraar diya hai

⚘■••❧ Jo shakhs apne maan baap ko sataata hai, ya kisi bhi tarah se un ka dil dukhaata hai, un ki baatein nahin maanta aur un ki naafarmaani karta hai, to Allah Ta’ala aur Huzoor ﷺ us se sakht naaraaz hote hain aur Allah Ta’ala use duniya mein bhi saza dete hain aur aakhirat mein bhi us ko bahot sakht saza deinge...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  54

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②④➾❧ Waalidain ko na Sataana*

⚘■••❧ Ek hadees mein Aap ﷺ farmaaya Tamaam gunaahon mein se Allah Ta’ala jitna chaahte hain maaf farma dete hain, lekin maan baap ko sataane ka gunaah aisa hai ke Allah Ta’ala us gunaah ke karne waale ko maut se pehle duniya hi ki zindagi mein saza de dete hain

        *📬 Sho’abul Imaan: 7890 📔*

⚘■••❧  Ek doosri hadees mein Huzoor ﷺ ne farmaaya Waalidain ki naafarmaani karne se bacho, kyun ke Jannat ki khushbu ek hazaar saal ki doori se mahsoos hoti hai. Allah ki qasam! Waalidain ka naa-farmaan us ki khushbu bhi nahin soongh paayega

      *📬 Tabraani Ausat: 5664 📕*

⚘■••❧  Lihaaza ham logon ko bhi apne waalidain ki naafarmaani karne aur unhein kisi bhi tarah ki takleef pahonchaane se bachna chaahiye, agar ham apne waalidain ko takleef pahonchaaeinge, to Allah Ta’ala ham se naaraaz ho jaaeinge aur duniya wa aakhirat mein bahot sakht saza deinge...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  55

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②⑤➾❧ Gaali gaLoch se Bachna*

⚘■••❧ Islaam ne zabaan ki hifaazat karne aur us ko galat istemaal se bachaane ka hukm diya hai, ek sachche pakke momin ki shaan yeh hai ke woh narm mizaaj aur sheereen kalaam karne waala hota hai, us ki zabaan se gandi baatein, gaali galoch aur akhlaaq se gire huwe alfaaz nahin nikalte, woh kisi ko taana nahin deta aur na woh kisi par laanat karta hai

⚘■••❧  Hazrat Abdullah bin Mas’ood RaziyAllahu Anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya Momin taana dene waala, laanat karne waala, gandi baatein karne waala aur behaya nahin hota

                *📬 Tirmizi: 1977 📔*

⚘■••❧  Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhum apni zabaan ki bahot hifaazat karte the, kabhi bhi fahash baat apni zabaan se na nikaalte Hazrat Jaabir bin Sulaim RaziyAllahu anhu farmaate hain ke main jab Madeenah aaya, to dekha ke ek badi shakhsiyat hai, sab log un ki raaye maante hain, woh jo bhi farmaate hain us par amal karte hain Main ne logon se poochha ke yeh kaon hain? Logon ne bataaya ke yeh Allah ke Rasool hain, Main ne Aap ﷺ ki khidmat mein haazir ho kar arz kiya *Alaikas salaamu yaa rasoolallaah* Do martaba aisa kaha Aap ﷺ ne farmaaya *Alaikas salaamu* mat kaho, kyun ke *Alaika* mayyit ke liya kaha jaata hai, tum *Assalaamu alaika* kaho...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  56

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②⑤➾❧ Gaali gaLoch se Bachna*

⚘■••❧ Main (Hazrat Jaabir bin Sulaim RaziyAllahu anhu) ne kaha Kya aap Allah ke Rasool hain? Aap ﷺ ne farmaaya Main Allah ka Rasool hoon, jo aisi qudrat waala hai ke agar tum ko koi takleef pahonch jaaye, phir tum us se dua karo, to woh tumhaari takleef ko door karde, agar tum ko qahat saali pahonch jaaye aur tum us se dua maango, to woh tumhaare liye (galla) ugaade aur jab tum kisi chatyal maidaan mein ho, jahaan ghaas, paani aur aabaadi na ho aur aise maoqe par tumhaari sawaari gum ho jaaye, phir tum us se dua karo, to tumhaari sawaari tumhaare paas lauta de Main ne arz kiya Mujhe kuchh naseehat farmaaiye, Aap ﷺ ne farmaaya Kisi ko gaali mat dena, Hazrat Jaabir bin Sulaim RaziyAllahu anhu kehte hain ke us ke baad main ne kabhi kisi aazaad ya gulaam shakhs ya oont ya bakri ko gaali nahin di Phir teen naseehaton ke baad farmaaya Agar koi shakhs tum ko gaali de aur tum par us cheez ka aib lagaaye jo tumhaare andar hai, to tum us par us cheez ka aib na lagaao jo tum us ke andar jaante ho, kyun ke us ka wabaal to usi par hoga

        *📬 Abu Daawood: 4084 📔*

⚘■••❧  Gaor karein ke is hadees mein kitni sakhti ke saath kisi ko gaali dene se mana kiya gaya hai aur jis sahaabi ko mana farmaaya, unhon ne kabhi bhi kisi insaan hatta ke kisi jaanwar ko bhi gaali nahin di Allah Ta’ala hamein bhi un ki itteba karne ki taufeeq ata farmaaye *Aameen*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  57

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②⑥➾❧ AllaH Ta’ala par bharosa*

⚘■••❧ Allah Ta’ala saari kaainaat ke Khaaliq-o-Maalik hain, saare aalam ka nizaam tanhe tanha khud chala rahe hain, is Kaarkhaana-e-Aalam mein jo kuchh kisi ko milta hai woh usi ke hukm aur faisle se milta hai Agar woh kisi ko kuchh dena chaahe aur saari duniya ke log mil kar us ko mahroom karna chaahe to woh us ko hargiz mahroom nahin kar sakte Agar woh kisi ko mahroom kar dena chahe aur saari duniya ke log mil kar us ko nawaazna chaahein to woh us ko hargiz nawaaz nahin sakte

⚘■••❧  Maaloom huwa ke asl nawaazne waali zaat Allah ki hai aur asl mahroom karne waali zaat Allah ki hai Haan hamein duniya mein jo chezein dikhaai deti hain aur ehsaas hota hai un cheezon se hamein zarooriyaat mil rahi hain, woh darasl asbaab aur zaraaye hain, un ki haisiyat is ke siwa kuchh nahin hai ke woh cheezon ke ham tak pahonchne ke liye Allah hi ke muqarrar kiye huwe sirf zariye aur raaste hain jis tarah ke gharon mein paani jin nalon ke zariye pahonchta hai woh paani pohnchaane ke sirf zariye aur raaste hain, paani ki taqseem mein un ka apna koi dakhal aur koi hissa nahin hai, isi tarah is aalme wujood mein kaarfarmaai asbaab ki bilkul nahin balke kaarfarma aur muassir sirf Allah Ta’ala ki zaat aur us ka hukm hai..✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  58

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•• ②⑥➾❧ AllaH Ta’ala par bharosa*

⚘■••❧ Is haqeeqat par dil se yaqeen kar ke apne tamaam maqaasid aur kaamon mein sirf Allah Ta‘ala ki zaat par etemaad aur bharosa karna, usi se law lagaana, usi ki qudrat aur usi ke karam par nazar rakhna, usi se ummeed ya khauf hona aur usi se dua karna wagaira ka naam tawakkul hai Zaahiri asbaab wa tadaabeer ko chhod dena tawakkul ke liye laazim nahin hai Balke asbaab ke hote huwe bhi Allah par bharosa aur etemaad karna chaahiye

⚘■••❧ Allah Ta’ala par tawakkul wa etemaad ki ahaadees mein badi taakeed aayi hai aur us ki fazeelat bataai gai hai, chunaanche Rasoolullah ﷺ irshaad farmaaya ke meri ummat mein se 70,000 bagair hisaab ke Jannat mein jaaeinge Woh woh bandagaane khuda honge jo mantar nahin karaate, shugoone bad nahin lete aur apne parwardigaar par tawakkul karte hain

        *📬 Sahih Bukhaari: 6472 📘*

⚘■••❧ Ek aur hadees mein tawakkul ki targeeb dete huwe Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke agar tum log Allah par aisa tawakkul aur aisa etemaad karo jaisa ke us par tawakkul karne ka haq hai to tum ko woh is tarah rozi de jis tarah parindon ko deta hai, woh subah ko bhooke apne aashiyaanon se nikalte hain aur shaam ko pet bhare waapas aate hai..✍

             *📬 Tirmizi: 2344 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  59

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•◦②⑥ ⇒ Nek kaamon mein SabqaT karna ⏎*

⚘■••❧ Nek log hamesha ziyaada se ziyaada sawaab haasil karne aur khair ke kaamon mein badh chadh kar hissa lene ki koshish karte hain, woh har waqt yeh sochte rehte hain ke kaise Allah ki ibaadat, un ki yaad, taqwa wa parhezgaari, khidmat-e-khalq aur sadqa-o-khairaat mein sab se aage badh jaayein aur Jannat ke oonche oonche darje haasil kar lein, kisi se peechhe reh jaana un ko gawaara nahin hota, yeh ek bahot achchhi sifat hai, har musalmaan ke andar yeh shauq aur jazba hona chaahiye

⚘■••❧ Qur’aan-o-Hadees mein nek kaamon mein sabqat karne ki taaleem di gai hai Allah Ta’ala ka irshaad hai Tum nek kaamon mein ek doosre se aage badhne ki koshish karo

          *📬 Sura-e-Baqrah: 148 📔*

⚘■••❧ Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Mashgool hone se pehle nek aamaal mein jaldi kiya karo...✍

          *📬 Ibne Maaja: 1081 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  60

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•◦②⑥ ⇒ Nek kaamon mein SabqaT karna ⏎*

⚘■••❧ Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu anhum ke dil mein ziyaada se ziyaada sawaab haasil karne ka shauq wa jazba koot koot kar bhara huwa tha, woh nek kaamon mein badh chadh kar hissa late the, ek dafa ka zikr hai ke kuchh gareeb Sahaaba RaziyAllahu anhum pyaare Nabi ﷺ ki khidmat mein aaye aur arz kiya Ya Rasoolullah Maaldaar log Jannat ke oonche oonche darje haasil kiye jaarahe hain (aur ham log gareebi ki bina par us se mahroom ho jaate hain)

⚘■••❧ Rasoolullah ﷺ ne poochha Woh kaise? Unhon ne jawaab diya ke ham log namaaz padhte hain aur woh bhi namaaz padhte ham, ham rozah rakhte hain aur woh bhi rozah rakhte hain, magar woh log sadqa-o-khairaat karte hain aur ham us nek kaam se mahroom reh jaate hain, woh gulaam aazaad karte hain aur ham gulaam aazaad nahin kar sakte (is tarah un ki nekiyaan ham se badh jaati hain)

⚘■••❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya Kya main tumhein aisi cheez na bataadoon, jis par tum amal kar ke un logon ke sawaab ko paaloge jo tum se aage nikal rahe hain aur sawaab mein un logon se aage nikal jaaoge jo tum se peechhe hain? Un Sahaaba ko badi khushi hui, Unhon ne kaha Ya Rasoolullah! Zaroor bata dijiye,

⚘■••❧  Huzoor ﷺ ne farmaya Har namaaz ke baad
33 martaba *Subhaanallaah*
33 martaba *Alhamdulillaah*
33 martaba *Allaahu Akbar* aur
10 martaba *Laailaahaa illallaah*
padh liya karo...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  61

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•◦②⑥ ⇒ Nek kaamon mein SabqaT karna ⏎*

⚘■••❧ Un gareeb Sahaaba RaziyAllahu anhum ne us ko har namaaz ke baad paabandi ke saath padhna shuru kiya, jab un maaldaar Sahaaba RaziyAllahu anhum ko us ki khabar hui to woh log bhi un kalimaat ko har namaaz ke baad paabandi se padhne lage, aakir unhein bhi to ziyaada se ziyaada sawaab haasil karne ki khwaahish thi

⚘■••❧ Jab gareeb Sahaaba RaziyAllahu anhum ko maaloom huwa ke maaldaaron ne bhi is ko padhna shuru kar diya to woh bade fikrmand huwe ke ab phir un ka sawaab ham logon se badh gaya, chunaanche woh fog phir Huzoor ﷺ ki khidmat mein haazir huwe aur arz kiya ke ya Rasoolullah! Yeh kalimaat to maaldaar log bhi padhne lage, ab phir woh log sawaab mein aage badhte jaarahe hain Huzoor ﷺ ne farmaaya Yeh to Allah ka fazl hai jis ko chaahte hain ata karte hain...✍

      *📬 Sahih Muslim: 1375 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  62

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■•◦②⑦ ⇒ RisHwaT Lene aur Dene waaLe* ⏎

⚘■••❧ Maal-o-Daulat Allah Ta’ala ki badi nemat hai use Allah ke hukm ke mutaabiq hi kamaana aur kharch karna chaahiye, Qayaamat ke roz insaan se is ke baare mein bhi poochha jaayega ke maal kahaan se kamaaya aur kahaan kharch kiya? Is liye maal haasil karne aur us ke kharch karne mein sharee’at ka khoob paas wa lihaaz rakhna chaahiye aur us ki khilaaf warzi se bachte rehna chaahiye Agar maal ko galat tareeqe se haasil kiya gaya ya naajaaiz jaghon mein kharch kiya gaya to dunyawi zindagi mein bechaini ka sabab aur aakhirat mein sakht wabaal ka zariya hoga

⚘■••❧ Maal ke haasil karne ke beshumaar zaraaye aur us ke kharch karne ke muta’ddad maqaamaat hain. Magar sab jaaiz aur pasandeedah nahin, balke baaz naajaaiz aur sakht naapsandeedah hain Minjumla un ke ek rishwat lena aur dena bhi hai. Rishwat lene dene sharee’at mein bada gunaah aur Allah ki laanat ka sabab hai Jaisa ke Hadees paak mein waarid huwa hai ke Rasoolullah ﷺ ne laanat farmaai rishwat dene waale aur rishwat lene waale par...✍

        *📬 Abu daawood: 3580📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  63

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ RisHwaT Lene aur Dene waaLe* ⏎

⚘■••❧ Matlab yeh hai ke Rasoolullah ﷺ ne rishwat lene waalon aur rishwat dene waalon se apni intehaai naaraazgi wa bezaari ka izhaar farmaaya aur un ke liye baddua farmaai ke Allah un ko apni rehmat se mehroom kar de. Allah ki panah! Rehmatul Lil Aalameen, Shafeeul Muznibeen ﷺ jis bad naseeb se bezaari ka elaan farmaaye aur us ke liye rehmate khudaawandi se mehroom kiye jaane ki bad dua farmaaye us bad bakht ka kya thhikaana

❧ Lihaaza hamein rishwat lene aur dene se door rehna chaahiye aur hamesha haq wa insaaf ka daaman thaame rehna chaahiye Neez rishwat ke kisi muaamle mein darmiyaani aadmi ka kirdaar ada karne se bhi bachna chaahiye. kiyun ke Rasoolullah ﷺ ne rishwat lene aur dene waale ke alaawa us darmiyaani aadmi (dalaal) par bhi laanat farmaai hai jo rishwat ke len den ka zariya aur waasta bane...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  64

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Maatahaton ke saath husne sulook* ⏎

⚘■••❧ Insaan ko apne maatahaton ke saath achchha bartaao karna chaahiye, maslan koi shakhs kisi qaum ka ameer ho ya kisi mulk ka baadshah ho, to un ke liye laazim hai ke apne maatahat logon ke saath husne sulook kare un ke saath insaaf kare, zulm-o-ziyaadati na kare, un ke aaraam wa raahat ka khayaal rakhein, un ki zarooratein poori kiya karein Yeh Islaam ki ahem taaleem hai, hamaare Nabi ﷺ ne irshaad farmaaya Jis bande ko Allah Ta’ala kisi ra’iyyat ka haakim wa nigraan banaaye aur woh us ki poori poori khair khwaahi na kare, to woh haakim Jannat ki khushbu bhi na pa sakega

        *📬 Sahih Bukhaari: 7150 📕*

⚘■••❧  Ek Hadees mein Aap ﷺ ka irshaad hai Jo hukmaraan zaroorat mandon aur kamzoron ke liye apna darwaaza band karege to Allah Ta’ala us ki haajat, us ki zaroorat aur us ki miskeeni ke waqt aasmaan ke darwaaze band kar lega. (yaani zaroorat ke waqt Allah Ta‘ala ki taraf se us ki madad nahin hogi)...✍

          *📬 Tirmizi: 1332 📚*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  65

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Maatahaton ke saath husne sulook* ⏎

⚘■••❧ Ek doosri Hadees mein Aap ﷺ ne farmaaya Jo shakhs meri ummat mein se kam ya ziyaada afraad ka haakim aur nigraan bane, oh it un ke darmiyaan insaaf na kare, to aise haakim ko Allah Ta’ala aundhe munh Jahannam mein daal dega

       *📬 Tabraani Kabeer: 517 📔*

⚘■••❧ Hindustaan ke mugal hukmaraanon mein ek baadshah jahaangeer ke naam se mashhoor hai, woh adl-o-insaaf ko itni ahmiyat deta tha ke unhon ne Agra ke qile mein ek zanjeer latka di thi jiska doosre kinaara baahar sadak par the aur us ne yeh elaan kar diya tha ke jis shakhs ke saath adaalat mein insaaf na huwa ho woh is zanjeer ko kheenche Us ke kheenchne se mahal mein ghantiyaan bajti theen aur baadshah khud us ki shikaayat sunne aajaata tha

⚘■••❧ Mugal hukmaraanon mein hi ek baadshah ka naam Aurangzeb Aalamgeer hai, woh bahot akhlaaqmand the, apni riaaya ke saath behtareen sulook karte the, adl-o-insaaf karne waale aur apni riaaya ki raahat wa sukoon ka khayaal rakhne waale the, kisi par zulm un ko gawaara na tha, woh kam umri se hi mulk ke bade bade kaam anjaam dete the…✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  66

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Maatahaton ke saath husne sulook* ⏎

⚘■••❧ Woh Deccan ke governor bhi rahe, unhon ne Deccan ke kisaanon ki haalat sudhaari aur us ko mugliya hukoomat ka khush haal ilaaqa bana diya. Is ke baad woh Sindh ke bhi governor rahe aur use bhi khoob taraqqi di, phir woh jab baadshah bane to hamesha apni riaaya ke saath adl-o-insaaf aur husne sulook ka muaamla karte, hatta ke unhon ne poore mulk mein yeh elaan kar diya tha ke agar koi baadshah par muqaddama chalaana chaahe to woh muqaddama chala sakta hai, mulk mein hazaaron masjidein banwaai, gair muslimom ki paath shaalaaon aur kai ibaadat gaahon ke liye jaageerein deen, gareebon, langdon, loolon aur andhon ke liye “Mohtaaj khaane” qaaim kiye aur un ko khaana, kapda hukoomat ki taraf se diya karte,

⚘■••❧  Baadshah hone ke baawajood sarkaari aamdani apne zaati kharch mein istemaal nahin karte the, woh samajhte the ke yeh riaaya ka maal hai aur us ko un hi par kharch hona chaahiye. Woh apna kharch topi si kar aur Qur‘aan Majeed likh kar poora karte the, un ko awaam mein kaafi maqbooliyat haasil thi, isi wajah se jab shaher Ahmad Nagar mein un ka inteqaal ho gaya aur un ki Naa’sh Aurangabad laayi gai to raaste bhar log zaar-o-qataar ro rahe the…✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  67

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Chugalkhori ka wabaal* ⏎

⚘■••❧ Kisi shakhs ki aisi baat doosron ko pohnchaana jis ki wajah se doosra shakhs us se badgumaan ho jaaye aur aapsi taalluqaat kharaab ho jaayein, *”Chugalkhori”* kehlaata hai. Chugalkhori intehaai buri aadat hai aur chugalkhor ka anjaam bahot bura hai, isi liye Islaam ne is se bachne ki taaleem di hai, Chugalkhori aisi buri aadat hai ke is ki wajah se baaz martaba poori qaum museebat mein mubtila ho jaati hai

⚘■••❧ Huzoor ﷺ ne chugli ki bahot mazammat bayaan ki hai aur chugalkhoron ko bure logon mein shumaar farmaaya hai. Ek martaba Aap ﷺ ne farmaaya Allah ke behtareen bande woh hain jin ko dekh kar Allah yaad aaye aur badtareen bande woh hain jo chugliyaan khaane waale, doston mein judaai daalne waale hain aur jo log is koshish mein lage rehte hain ke paak daaman bandon ko kisi gunaah ya pareshaani aur museebat mein mubtila kar dein...✍

     *📬 Musnade Ahmad: 17998 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  68

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Chugalkhori ka wabaal* ⏎

⚘■••❧ Jo shakhs chugalkhor hota hai aur ek ki baat doosre tak pohnchaata hai taake doosra shakhs badgumaan ho jaaye aur un donon ke aapsi taalluqaat kharaab ho jaaye, aisi buri sifat waalon ke liye Hadeeson mein bahot sakht waeed aayi hai

⚘■••❧  Huzoor ﷺ ne farmaaya *”Laa yadkhulul jannata qattaatun”*

*⚘■ Tarjama ••❧* Chugalkhor Jannat mein nahin jaayega

      *📬 Sahih Bukhaari: 6056 📔*

⚘■••❧  Ham logon ko chugalkhori karne se bachna chaahiye, agar koi shakhs is buri aadat mein mubtila ho aur hamaare darmiyaan kisi ki chugli karta ho, to use mana kar dena chaahiye Agar ham aisa nahin kareinge, to hamein bhi Allah Ta‘ala ki rehmat se mahroom hona padega aur aakhirat ke azaab mein mubtila hona padega Allah Ta’ala ham sab ki is se hifaazat farmaaye..✍🏻 *AameeN*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  69

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ AllaH hi rizq Dene waala Hain* ⏎

⚘■••❧ Jitne jaandaar is duniya mein zindagi basar karte hain, un sab ko rozi pohnchaane ka zimma Allah Ta’ala ne le rakha hai, wahi tamaam cheezon ka khaaliq bhi hai aur wahi sab ka raaziq bhi hai Woh aisa nahin hai ke kisi jaandaar ko paida karde aur us ko yun hi chhod de, un ke liye rizq aur doosri zarooriyaat ka koi intezaam na kare, woh to samandar mein rehne waale jaandaaron ko, fiza mein udne waale parindon ko aur khushki mein rehne waali beshumaar makhlooqaat ko apne khazaane se rozi pohnchaane waala hai

⚘■••❧ Khud Allah Ta’ala farmaata hai Aur kitne jaanwar hain jo apna rizq uthhaaye nahin phirte! Allah unhein bhi rizq deta hai aur tumhein bhi, aur wahi hai jo har baat sunta hai, har cheez jaanta hai

        *📬 Sura-e-Ankaboot: 60 📔*

⚘■••❧ Lekin yeh Allah ki hikmat aur maslehat hai ke woh kisi ke rizq mein wus’at paida farma deta hai aur kisi ki rozi mein tangi kar deta hai. Allah Ta’ala ka irshaad hai Allah jis ke liye chaahta hai rizq mein wus’at kar deta hai aur (jis ke liye chaahta hai) tangi kar deta hai...✍

            *📬 Sura-e-Ra’ad: 26 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  70

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ AllaH hi rizq Dene waala Hain* ⏎

⚘■••❧ Yahaan 2 baatein zahen mein rehni chaahiye ek yeh ke jo insaan bhi is duniya mein aata hai woh apni rozi saath le kar aata hai, yaani Allah Ta’ala apne khazaane se us ke liye bhi rizq muqaddar farmadete hain, aur us ke liye rizq ko muqaddar karne ki wajah se kisi doosre ke rizq mein kami nahin hoti hai Lihaaza yeh samajhna ke pariwaar (khandaan) jitna chhota hoga har ek ki zindagi utni hi khush haali ke saath guzregi aur pariwaar jitna bada hoga zindagi utni hi usrat aur tangi ke saath guzregi, yeh khayaal saraasar galat aur jihaalat par mabni hai

⚘■••❧  Zamaana-e-Jaahiliyat mein bhi kuchh log yahi khayaal karte me ke aulaad agar ziyaada ho jaayegi to un ke khaane peene ka intezaam kahaan se kareinge aur kaise un ki zarooriyaat poori ki jaayengi, is liye woh badi berehmi aur sangdili ke saath aulaad ko qatl kar daalte the. Islaam ne is maasoom tabqe par hone waale zulme azeem par rok laga di aur Allah Ta’ala ne saaf taur par yeh farma diya: Apni aulaad ko muflisi ke dar se qatl na karo, ham unhein bhi rizq deinge aur tumhein bhi Yaqeen jaano Un ko qatl karna badi bhaari galti hai....✍

            *📬 Sura-e-Bani Israail: 31📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  71

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ AllaH hi rizq Dene waala Hain* ⏎

⚘■••❧ Dar asl yeh khayaal yahaan se paida hota hai ke insaan apne aap ko apne liye, apni aulad ke liye aur deegar mutaalliqeen ke liye rizq dene waala samajh baithhta hai, aur is liye woh sochta hai ke abhi to apni zindagi hi pareshaani ke saath guzar rahi hai, agar afraad ziyaada ho gaye to un ki rozi ka intezaam kahaan se hoga haalaanke insaanon ke zimme sirf itna hai ke woh khud apne liye aur apne zer-e-tarbiyat doosre afraad ke liye rozi haasil karne ki koshish karta rahe aur us ke liye asbaab ikhtiyaar kare, Allah Ta’ala us ko bhi rozi deinge aur us ko zariya aur waasta bana kar doosre logon ko bhi rizq pohnchaate raheinge

⚘■••❧  Doosri baat yeh zahen mein rakhni chaahiye ke ek aadmi ke zer-e-nigraani jitne afraad ki kifaalat hogi usi ke baqadr rizq bhi milega, maslan ek insaan ki kifaalat mein 5 aadmi hain aur 5 aadmi ke baqadr un ke paas rizq aayega aur agar us ki kifaalat mein 10 log hote to us ke paas 10 logon ke baqadr rizq aata. Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Bande ke liye Allah Ta’ala ki taraf se madad mashaqqat ke baqadr aati hai...✍

         *📬 Shobul Imaan: 9956 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  72

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Qur’aane Kareem ki tilaawat karna* ⏎

⚘■••❧  Qur’aane Kareem Allah Ta’ala ki taraf se naazil shuda mubaarak kalaam hai, us mein ahkaam wa ma’arif aur akhlaaq-o-aadaab bayaan kiye gaye hain, us mein duniya wa aakhirat ki kaamyaabi ke aamaal bataaye gaye hain aur woh tamaam insaanon ke liye hidaayat ka zariya hai

⚘■••❧  Yeh bahot hi ba barkat aur muqaddas kalaam hai, is ki barkatein beshumaar hain, is ke alfaaz bahot hi paakeezah aur mubaarak hain. Jo shakhs is ki tilaawat karta hai, is ke liye aakhirat mein be inteha ajr-o-sawaab hai aur is ki taaleemaat par amal karna duniya wa aakhirat ki sar bulandi aur izzat-o-asmat ka zariya hai. Woh log bahot hi khush naseeb aur sa’adatmand hain jo hamesha is ki tilaawat karte aur is ki taaleemaat par amal karte hain, is ko samajhne aur doosron ko samjhaane ki koshish mein lage rehte hain..✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  73

     •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Qur’aane Kareem ki tilaawat karna* ⏎

⚘■••❧  Aise shakhs ko Allah ke Rasool ﷺ ne qaabil-e-rashk bataaya hai, chunaanche ek Hadees mein irshaad farmaaya Sirf 2 aadmi qaabil-e-rashk hain Ek woh jis ko Allah ne Qur’aan ki nemat ata farmaai phir woh din raat us mein laga rehta hai. Aur doosra woh khush naseeb aadmi jis ko Allah ne maal-o-daulat se nawaaza aur woh din raat us ko raahe khuda mein kharch karta rehta hai

      *📬 Sahih Bukhaari: 7529 📕*

⚘■••❧ Qur’aane Kareem ki tilaawat se dil ki safaai hoti hai aur Allah ki yaad aur aakhirat ke anjaam se befikri aur gaflat door hoti hai Hadees mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Insaanon ke quloob par isi tarah zang lag jaata hai jis tarah paani lagne ki wajah se lohe par zang aajaata hai. Arz kiya gaya Ya Rasoolullah! Dilon ke zang ki safaai ki kya soorat ho sakti hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Maut ko kasrat se yaad karna aur Qur’aane Kareem ki tilaawat karna...✍

       *📬 Shobul Imaan: 2014 📔*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  74

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ SooD ki HurmaT....* ⏎

⚘■••❧  Allah Ta’ala ne sab insaanon ko yaksaan aur baraabar nahin banaaya, balke apni hikmat-o-maslehat ke tahat kisi ko maaldaar banaaya to kisi ko gareeb rakha, maaldaar log gareebon se khidmat lete hain aur gareeb log maaldaaron ke paison se faaida uthhaate hain kabhi aisa bhi hota hai ke gareeb aadmi ki zarooratein kaam kaaj aur mehnat mazdoori se haasil kiye huwe paison se poori nahin hoteen, is liye woh qarz lene par majboor ho jaata hai

⚘■••❧  Duniya mein bahot se Allah ke khush naseeb bande woh hain jo aise waqt mein apne gareeb bhaai ke kaam aate hain aur us ki madad karte hain magar baaz log apne bhaai ki us majboori ka faaida uthhaate hain aur use qarz to de dete hain magar saath hi saath yeh bhi shart laga dete hain ke woh izaafe ke saath paisa lautaayega Isi ko *”Sood”* kehte hai Sharee’at mein sood lene dene ko haraam wa naajaaiz qaraar diya gaya hai aur bahot hi bada gunaah bataaya gaya hai aur is par intihaai sakht wa’eed waarid hui hai...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  75

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ SooD ki HurmaT....* ⏎

⚘■••❧  Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai 7 mohlik aur tabaahkun gunaahon se bacho, Sahaaba ne arz kiya Ya Rasoolullah! Woh kaun se 7 gunaah hain? Aap ne irshaad farmaaya Allah ke saath (us ki zaat ya sifaat ya af’aal mein kisi ko) shareek karna aurjaadu karna aur naahaq kisi aadmi ko qatl karna aur sood khaana, aur yateem ka maal khaana aur (apni jaan bachaane ke liye) jihaad mein Lashkar-e-Islaam ka saath chhod kar bhaag jaana aur Allah ki paak daaman bholi bhaali bandiyon par zina ki tohmat lagaana

        *📬 Sahih Bukhaari: 2766 📓*

⚘■••❧   Ek Hadees mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke sood khori ke 70 hisse hain, un mein se adna aur maamooli aisa hai jaise ke apni maan ke saath munh kaala kare

           *📬 Ibne Maaja: 2274 📔*

⚘■••❧   Ek riwaayat mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke jis raat mujhe Meraaj hui mera guzar ek aise groh par huwa jin ke pet gharon ki tarah hain aur un mein saanp bhare huwe hain jo baahar se nazar aate hain, mein ne Jibraeel se poochha ke yeh kaun log hain? (jo aise azaab mein mubtila hain) unhon ne batlaaya ke yeh sood khor log hain...✍

         *📬 Ibne Maaja: 2273 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  76

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ SooD ki HurmaT....* ⏎

⚘■••❧  Lihaaza hamein sood jaisi laanat ko apne muaashare se khatm kar dena chaahiye aur aisi halaakaton aur barbaadiyon se apne aap ko bachaana chaahiye ke sood se bazaahir maal badhta to hai magar haqeeqat mein is ka anjaam kami hota hai aur ek na ek din insaan ko maal ki killat ka saamna karna padta hai Aur chain-o-sukoon se mahroomi to mustaqil rehti hai Soodi kaarobaar ki hurmat ke baawajood jo log is se baaz na aayein khudaawandi qaanoon ki naafarmaani karein to un ke khilaaf Allah aur us ke Rasool ki taraf se Elaan-e-Jang hai

⚘■••❧ Qur’aan-o-Hadees mein waarid sood ki hurmat wa laanat aur us par bayaan karda azaab ki wa’eed se maaloom hota hai ke Allah aur us ke Rasool ﷺ ki nigaah mein yeh gunaah sab gunaahon se ziyaada shadeed wa galeez hai Saari ummat ko Allah is se mahfooz farmaaye *🌹 Aameen...✍*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  77

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Hamesha doosron ki bhalaai chaaho* ⏎

⚘■••❧ Islaam har ek ke saath khair khwaahi karna sikhaata hai, woh is baat ki taaleem deta hai ke logon ke liye wahi pasand kare jo apne liye pasand karta hai aur jis cheez ko apne liye achchha nahin samajhta, us ko doosre logon ke liye bhi achchha na samjhe Huzoor ﷺ ne is ko badi ahmiyat di hai, Aap ﷺ ne farmaaya Koi shakhs us waqt tak momin nahin ho sakta, jab tak ke woh apne musalmaan bhaai ke liye wahi pasand na kare jo apne liye pasand karta hai

     *📬 Sahih Bukhaari: 13📔*

⚘■••❧  Yeh Islaam ki kitni achchhi taaleem hai, ham ko is par amal karna chaahiye aur doosre logon ko bhi is ki targeeb deni chaahiye maslan ham chaahte hain ke doosre log hamaare saath hamdardi karein, izzat wa ehteraam se pesh aayein, qarz lene par mohlat dein, hamaare saath husne sulook aur narmi ka muaamla karein, hamaare saath berehmi aur badmizaaji se pesh na aayein, to hamein bhi un ke saath aisa hi muaamla karna chaahiye, yeh Imaan-e-Kaamil ki alaamat hai...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  78

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Apna kaam khud se karna* ⏎

⚘■••❧ Hamaara Deen jahaan hamein aur bahot si achchhi baatein sikhaata hai waheen apna kaam khud karne ki targeeb deta hai, jo shakhs apne kaam apne haath se karta hai, Allah Ta’ala us ko kisi ka mohtaaj nahin hone deta. Apna kaam apne haath se karne waale ki muaashare mein sab izzat karte hain aur ghar waalon ki nigaah mein bhi Woh aadmi pasandeedah ban jaata hai, Khud Huzoor ﷺ ki Aadat-e-Shareefa yahi thi ke Aap ﷺ apna kaam apne haathon se kiya karte the.

⚘■••❧ kisi ne Hazrat Aaisha RaziyAllahu anha se poochha ke Huzoor ﷺ jab ghar mein hote, to kya karte the? Hazrat Aaisha RaziyAllahu anha ne jawaab diya: “Jaise tum log ghar waalon ke kaam kaaj karte ho (Aise hi Huzoor ﷺ kiya karte the) apna joota thheek kar liya karte, apna kapda si liya karte aur dol ki marammat kar liya karte the...✍

     *📬 [Sahi Ibne Hibbaan: 5676] 📗*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  79

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Apna kaam khud se karna* ⏎

⚘■••❧ Huzoor ﷺ ki pyaari beti Hazrat Faatima RaziyAllahu anha bahot hi nek aur ibaadat guzaar theen, Aap ﷺ ne un ke mutaalliq farmaaya ke woh Jannat ki aurton ki sardaar hongi, woh itni badi fazeelat waali theen, magar woh apne kaam khud kiya karti theen, chakki peeste peeste haathon mein ghatte pad gaye the, paani ka Mashak uthhane ki wajah se gale mein nishaan pad gaya tha aur ghar mein jhaadu dene ki wajah se kapde maile hojaate the

⚘■••❧  Ek martaba Huzoor ﷺ ke paas kuchh gulaam aaye, to Hazrat Ali RaziyAllahu anhu ne Hazrat Faatima RaziyAllahu anha se kaha: Tum apne waalid ke paas jaakar ek khaadim maang lo, Hazrat Faatima RaziyAllahu ahna Huzoor ﷺ ke paas aayein, magar wahaan kuchh log baithhe huwe the, is liye waapas hogaeen...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  80

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Apna kaam khud se karna* ⏎


⚘■••❧ Doosre roz Huzoor ﷺ tashreef laaye aur farmaaya: Kal tum kis zaroorat se aaeen theen? Woh khaamoosh raheen, Hazrat Ali RaziyAllahu anhu waheen the, unhon ne kaha ke ya Rasoolullah! main bataata hoon, chakki chalaane ki wajah se in ke haath mein ghatte pad gaye hain, paani ka mashak uthhane ki wajah se gale mein nishaan pad gaya hai, jab aap ke paas kuchh khaadim aaye, to main ne in se kaha ke jaakar aap se ek khaadim maang lein taake inhein mashaqqat se chhutkara mil jaaye,

⚘■••❧  Huzoor ﷺ ne farmaaya Aye Faatima Allah se daro, apne rab ke fareeze ko ada karo aur apne ghar waalon ke kaam kaaj kiya karo aur jab sone ke liye bistar par aao, to 33 martaba *Subhaanallaah,* 33 martaba *Alhamdulillaah* aur 34 martaba *Allaahu Akbar* padh liya karo. Yeh tumhaare liye khaadim se behtar hai. Hazrat faatima RaziyAllahu anha ne farmaaya ke main Allah ke Rasool se raazi hoon...✍

      *📬 Abu Daawood: 2988 📗*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  81

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Imaan ki HaLaawaT* ⏎

⚘■••❧ Jis tarah giza ke andar lazzat aur zaaiqa hota hai aur is lazzat aur zaaiqe ko har shakhs mahsoos karta hai jis ki zabaan aur quwwate zaaiqa sahi ho aur kisi beemaari ki wajah se kharaab na hui ho, agar kisi ki beemaari ki wajah se us ki zabaan kharaab ho jaaye aur us ki quwwate zaaiqa maaoof ho jaaye to achchhi giza ke andar bhi us ko koi lazzat mahsoos nahin hoti hai

⚘■••❧  Bilkul isi tarah Imaan ke andar bhi lazzat halaawat aur sheereeni wa chaashni hoti hai, magar is ki is halaawat aur lazzat ko har shakhs mahsoos nahin kar sakta hai, is ki lazzat wa halaawat un hi ko naseeb hoti hai jinhon ne poori khushdili aur raza wa ragbat se Allah Ta’ala ko apna maalik wa parwardigaar aur ma’bood wa kaarsaaz tasleem kar liya ho, kufr-o-shirk ki gandagiyon se koson door rehta ho balke us se nafrat karta ho aur ikhtiyaar karne mein aisi hi azeeyat aur takleef hoti ho jaisi takleef aag mein jalne par hoti hai..✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*


      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  82

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ Imaan ki HaLaawaT* ⏎

⚘■••❧ Isi tarah Islaam ko apna Deen aur duniya wa aakhirat mein kaamyaabi ke liye apni zindagi ka dastoor bana liya ho, aur Hazrat Muhammad ﷺ ko apna haadi wa rehnuma aur Allah ka aakhri Nabi wa Rasool maanta ho aur har cheez se ziyaada un se muhabbat ho, un ki itaa-at wa farmaan-bardaari karta ho, aur yeh sab cheezein mahaz rasmi taur par na ho balke waaqai dil se in baaton ko tasleem karta ho aur is par woh dil se raazi aur khush ho, to aise log yaqeenan Imaan ki halaawat wa lazzat aur sheereeni wa chaashni ko mahsoos kar leinge, aur jis aadmi ke andar yeh kaifiyat na ho to goya us ka Imaani zaaiqa kamzor hai aur aisa shakhs Imaan ki halaawat wa lazzat ko mahsoos nahin kar sakta hai

⚘■••❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya Imaan ka maza us shakhs ne chakh liya, jis ne Allah ko apna Rab, Islaam ko apna Deen aur Muhammad (ﷺ) ko apna Rasool maan kar khush ho gaya

       *📬 Sahih Muslim: 160 📔*

⚘■••❧ Ek doosri Hadees mein Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Imaan ki halaawat us ko naseeb hogi jis ke andar yeh baatein hongi
(1) Allah aur us ke Rasool ki muhabbat tamaam maasiwa se ziyaada ho
(2) Jis aadmi se us ko muhabbat ho sirf Allah ke liye ho
(3) Imaan ke baad kufr ki tarf palatne se us ko aisi hi aziyat aur takleef hoti ho jaisi ke aag mein daale jaane se hoti hai...✍🏻
       *📬 Sahih Bukhaari: 16 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  83

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ DurooD SHareef padhna** ⏎

⚘■••❧  Durood Shareef dar asl ek dua hai, jo bande Rasool ﷺ ke haq mein Allah Ta’ala se karte hain Yeh haqeeqat hai ke Allah Ta’ala ke baad ham par sab se ziyaada ehsaan Rasoolullah ﷺ ka hai Aap ﷺ ne sakht museebatein bardaasht kar ke hamaari taraf seedhe raaste ki rehnumaai ki aur Allah Ta’ala ki hidaayat bandon tak pohnchaai, agar Aap ﷺ is tarah takleefein na uthhaate, to hidaayat ki roshni ham logon tak nahin pahonch sakti aur aaj ham ek Allah ki ibaadat karne ke bajaaye kufr-o-shirk aur gumraahi mein bhatakte rehte

⚘■••❧  Algarz hamein Imaan ki jo sab se badi daulat aur hidaayat ki sab se badi nemat haasil hui hai, woh Huzoor ﷺ ke tufail hi mein mili hai, is liye Allah Ta’ala ke baad Aap ﷺ hamaare sab se bade mohsin hain Hamein is ehsaan ka shukriya ada karna chaahiye aur Aap ﷺ ke haq mein duaaein karni chaahiye ke Allah Ta’ala Aap ﷺ ko apni khaas rahmaton aur barkaton se nawaaze aur Aap ﷺ ke darje ziyaada se ziyaada buland kare aur isi qism ki dua ko “Durood” kehte hain...✍🏻

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  84

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ DurooD SHareef padhna* ⏎

⚘■••❧  Durood Shareef padhne ke bahot fazaail hain, ek Hadees mein Huzoor ﷺ ne farmaaya: Jo Shakhs mujh par ek dafa Durood padhega, Allah Ta’ala us par 10 rehmatein naazil farmaayeinge aur us ke 10 gunaah maaf kareinge aur us ke 10 darje buland kareinge

        *📬 Sunane Nasai: 1297 📕*

⚘■••❧  Ek aur Hadees mein Huzoor ﷺ ka yeh irshaad naql kiya gaya hai ke Allah Ta’ala ke bahot se farishte hain, jin ka khaas kaam yeh hai ke woh zameen mein phirte rehte hain aur mera jo ummati mujh par Durood-o-Salaam bhejta hai, woh mujh tak pohnchaate rehte hain..✍

        *📬 Sunane Nasai: 1282 📔*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  85

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒ GasaB ka waBaaL* ⏎

⚘■••❧ Kisi doosre ki koi cheez us ki marzi ke bagair le lena “Gasab” kehlaata hai, yeh naajaaiz aur haraam hai, gasab ka wabaal itna sakht hai ke us se insaani zindagi ka saara sukoon-o-chain khatm hojaata hai, yeh aapas mein fitna wa fasaad ko janm deta hai, jis ki wajah se aapsi ladaai jhagde ka maahol paida hojaata hai Bahot si martaba aisa hota hai ke ek insaan doosre insaan ke makaan, khet aur dukaan ko naajaaiz taur par hadap kar leta hai to un donon ke darmiyaan saalha saal tak ladaai chalti hai, qati-o-khoon ka baazaar garm ho jaata hai aur muqaddame tak ki naubat aajaati hai aur us muqaddame mein donon pareshaan ho jaate hain, donon ko court ke dhakke khaane padte hain aur bedareeg maal kharch karna padta hai

⚘■••❧  Gasab karna bahot buri aadat hai, gasab karne waale insaan ko kabhi dili itmenaan naseeb nahin hota, woh hamesha pareshaan rehta hai, pareshaan kiyun na ho, jab ke us ne doosre ki cheez zabardasti le kar use takleef pohnchaai aur us par naahaq zulm kiya aur saath hi us ke liye naahaq qabza ki hui cheez ka istemaal haraam aur naajaaiz huwa, kya aise shakhs ko kabhi dil ka sukoon haasil hoga Hargiz nahin, aisa shakhs hamesha pareshaan rahega, choonke gasab karne waala ek haraam cheez ko istemaal karta hai, to us ki apni halaal aur jaaiz cheezon mein aahista aahista barbaadi aana shuru hoti hai aur use pata bhi nahin chalta...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  86

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  GasaB  ka  waBaaL* ⏎

⚘■••❧ Dekhiye Gasab ka kitna bada nuqsaan hai duniya to us ki tabaah hui, aakhirat mein bhi woh shakhs Allah Ta’ala ke azaab se bach nahin sakta Chunaanche Huzoor ﷺ irshaad farmaate hain Jis shakhs ne kisi doosre ki kuchh zameen naahaq le li to Qayaamat ke din woh us zameen ki wajah se (aur us ki saza mein) zameen ke 7 hisson tak dhansaaya jaayega

         *📬 Sahih Bukhaari: 3196 📔*

⚘■••❧  Ek doosri Hadees mein Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya Jis shakhs ne kisi doosre ki koi cheez chheen kar le li woh ham mein se nahin

             *📬 Tirmizi: 1123 📕*

⚘■••❧  Agar gasab karne waale ke dil mein zarra baraabar bhi Imaan hai to us ke liye yeh wa’eed intehaai sakht hai ke woh Rasoolullah ﷺ ki jama’at aur Aap ki ittiba karne waalon mein se nahin aur zaahir si baat hai ke jis ko Huzoor ﷺ apne se alag aur door karde woh bada mahroom aur badbakht hai...✍🏻

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  87

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  KamiL Imaan ki pehchaan*⏎

⚘■••❧ Sayyadna Hazrat Muhammad ﷺ ko Rasool maanna juz wa Imaan hai, lihaaza Huzur ﷺ ki risaalat ka iqraar kar lene ke baad Sarkaare do aalam ﷺ ke bataaye huwe Tarz-e-Zindagi ko ikhtiyaar karna zaroori hojaata hai, Aap ﷺ ne jis cheez ka hukm diya hai, us par amal karna zaroori hai dil chaahe ya na chaahe aur Aap ﷺ ne jis cheez se roka hai us ka tark karna zaroori hojaata hai, agarche us ka chhoona nafs ke taqaaze ke khilaaf ho, nafs ki chaahat ko Huzoor ﷺ ke aqwaal wa afaal ke taabe kar dena har momin ka fareeza hai, aur yahi ek Imaan waale ki shaan aur pehchaan hai

⚘■••❧ Hazrat Ubaadah Bin Saamit RaziyAllahu anhu farmaate hain ke ham ne Rasoolullah ﷺ se is baat par bai’at ki ke Aap ﷺ ki baaton ko sunenge aur Aap ﷺ ke hukm ko maanenge, chaahe khushi ka mauqa ho ya gam ka, khwaah hamaara dil chaahe khwaah na chaahe


       *📬 Sahih Bukhaari: 7199 📔*

⚘■••❧ Neez Hazrat Abdullah Bin Umar RaziyAllahu anhu se riwaayat hai ke Huzoore Aqdas ﷺ ne irshaad farmaaya ke tum mein se koi shakhs us waqt tak kaamil momin nahin ho sakta jab tak ke us ki khwaahish mere laaye huwe tareeqe ke taabe na ho jaaye

 *📬 Sharhus Sunnati Lilbagwi: 14 📕*

⚘■••❧ Lihaaza zindagi ke tamaam shobon mein Aap ﷺ ka ittiba laazim hai aur jo bande Allah ke Rasool ﷺ se sachchi aur pakki muhabbat rakhte hain Woh Aap ﷺ ki har baat aur har hukm par dil-o-jaan se amal karna apna fareeza samajhte hain...✍🏻

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  88

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  TauBa Wa Istigfaar*⏎

⚘■••❧ Toba wa istigfaar ka matlab hai ke jab bande se koi galti ya koi gunaah sarzad hojaaye, to Allah Ta’ala ke saamne apni galti ka iqraar kare aur us par sharmindagi aur nidaamat ka ehsaas ho aur Allah Ta’ala se maafi maang le aur ahad kare ke aainda kabhi aisi galti aur gunah nahin karega

⚘■••❧  Allah Ta’ala maafi ko bahot pasand farmaate hain, aur maafi maangne waalon se bahot khush hote hain, khud Allah Ta’ala ne bandon ko apne gunaahon se maafi maangne aur toba karne ka hukm diya hai, ek jagah irshaad farmaaya Aye Imaan waalo Allah se sachchi pakki toba karo, ummeed hai ke tumhaara Rab tumhaare gunah ko mita dega aur aisi Jannat mein daakhil karega jis ke neeche nehrein behti hon gi

        *📬 Sura-e-TeHreem: 8 📔*

⚘■••❧ Rasoolullah ﷺ ne bhi tamaam logon ko toba wa istigfaar karne ki hidaayat di hai aur is ki fazeelat bayaan farmaai hain, is liye jab bhi kisi se koi gunah hojaaye, to use fauran Allah Ta’ala se maafi maang leni chaahiye, Huzoor ﷺ ka irshaad hai ke Allah Ta’ala farmate hain Tum raat din khataaein karte ho aur sirf main tumhaare tamaam gunaahon ko maaf kar sakta hoon, mujh se magfirat Talab karo main tumhaare saare gunaahon ko maaf kar doonga...✍

       *📬 SaHiH Muslim: 6737 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  89

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  TauBa Wa Istigfaar*⏎

⚘■••❧ Gunaahon se toba wa istigfaar na karne ki wajah se kaafi nuqsaan hota hai, dil-o-dimaag par taareeki chha jaati hai aur gunah ki qabaahat dil se nikal jaati hai, jis tarah aadmi ka kapda maila ho jaata hai, to us ko saabun se dho dete hain, isi tarah gunah karne se aadmi ka dil ganda ho jaata hai aur us ko saaf karne ka zariya “Toba wa Istigfaar” hai Jab insaan Allah Ta’ala ke saamne apne gunaahon ka eteraaf kar ke sachchi pakki toba kar leta hai to woh gunaahon se bilkul paak-o-saaf ho jaata hai

⚘■••❧Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya Jab momin banda koi gunah karta hai, to us ki wajah se us ke dil par ek siyaah nukta lag jaata hai phir jab woh us gunah se ruk jaata hai aur toba wa istigfaar kar leta hai, to (woh kaala nukta khatm ho jaata hai aur) dil bilkul saaf ho jaata hai (aur agar us ne toba wa istigfaar nahin kiya) aur mazeed gunah karta raha to dil ki woh siyaahi badhti jaati hai yahaan tak ke poore dil par chha jaati hai

              *📬 Tirmizi: 3334 📕*

⚘■••❧ Yeh baat zahen mein rehni chaahiye ke toba ki qubooliyat ke liye 3 shartein hain

(1) Gunah ka ehsaas hote hi ruk jaana

(2) Us kiye huwe gunah par naadim aur sharminda hona

(3) Yeh pakka iraada kare ke aainda kabhi yeh gunah nahin karoonga Lekin yeh us waqt hai jabke us gunah ka taalluq bandon ke huqooq se na ho aur agar us ka taalluq bandon ke huqooq se ho, to us ko ada karna zaroori hai, maslan kisi par bohtaan baandha ho to us se apna qasoor maaf karwaaye ya kisi ka maal hadap kar liya to us ko ada kare, is ke bagair toba mukammal na hogi...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  90

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Hadiye ko Haqeer Na Samajhna*⏎

⚘■••❧ Kisi insaan ko apni muhabbat aur taalluq zaahir karne ke liye kuchh dena “Hadiya” hai Hadiya lena dena masnoon hai Huzoor ﷺ ne is par amal karne ki targeeb di hai, Hadiya lene aur dene se aapas mein muhabbat badhti hai Huzoor ﷺ ne farmaaya Aapas mein hadiya liya diya karo, kiyun ke hadiya aur tohfa dilon se keene ko khatm kar deta hai

              *📬 Tirmizi: 2130 📔*

⚘■••❧ Hadiye ke aadaab mein se hai ke jo cheez hadiye mein di jaaye, chaahe woh miqdaar mein kitni hi kam aur maamooli ho, phir bhi is ko poori ragbat ke saath qubool karna chaahiye, ise haqeer na samajhna chaahiye Baaz logon ki aadat hoti hai ke jab un ke paas hadiye mein koi cheez bheji jaati hai aur woh miqdaar mein kam hoti hai ya maamooli haisiyat ki cheez hoti hai, to us ka shukriya ada karne ke bajaaye us ko haqeer samajhte hain, yeh durust nahin hai aur Islaami tareeqe ke khilaaf hai, Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Koi padosan kisi padosan ke hadiye ko haqeer na samjhe

              *📬 Tirmizi: 2130 📓*

⚘■••❧ Lihaaza har ek musalmaan ko shauq wa ragbat ke saath hadiya qubool kar lena chaahiye, khud Huzoor ﷺ logon ki dil daari ka bahot khayaal rakhte the Ek martaba kisi sahaabi ne Aap ﷺ ki khidmat mein bataur hadiya ek naqsh-o-nigaar waali chaadar bheji, Aap ﷺ ne woh chaadar waapas farmaadi, un ke paas ek maamooli chaadar thi, Aap ﷺ farmaaya ke mujhe is ke badle woh chaadar de do

           *📬 Sahih Bukhaari: 752 📕*

*⚘ FaaiDa ■••❧* Aap ﷺ ne aisa is liye farmaaya taake chaadar waapas karne ki wajah se un ka dil na toot jaaye...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  91

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  TV ke NuqsaanaaT*⏎

⚘■••❧ Islaam bahot paakeezah aur achchha mazhab hai, yeh hamein tamaam buraaiyon se rokta hai aur har us cheez ke karne se mana karta hai, jis ka karna gunaah aur jis mein hamaara nuqsaan hai “TV” ka dekhna bhi bahot bada gunaah hai Is mein duniya ka bhi nuqsaan hai aur aakhirat ka bhi, is ko dekhne se nigaah kamzor hoti hai, akhlaaq wa aadaat kharaab ho jaate hain, ghar se barkat khatm hojaati hai, rehmat ke farishte chale jaate hain aur shayaateen ghar mein aajaate hain

⚘■••❧  TV Allah Ta’ala ki yaad se gaafil kar deti hai aur insaan aakhirat ko bhool jaata hai aur jo cheez Allah ki yaad se gaafil karne waali ho aur aakhirat ko bhula dene waali ho, us se har insaan ko bachna chaahiye

⚘■••❧  Allah Ta’ala Qur’aan mein farmaate hai Aur baaz aadmi aise hain, jo in baaton ki khareedaari karte hain, jo gaafil karne waali hain, taake Allah ke raaste se besoche samjhe hataadein aur us ki hansi udaaein, aise logon ke liye zillat wa ruswaai ka azaab hai...✍

       *📬 Sura-e-Luqmaan: 6 📔*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  92

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  TV ke NuqsaanaaT*⏎

⚘■••❧ TV dekhne mein waqt bhi barbaad hota hai, haalaanke waqt Allah Ta’ala ki bahot badi aur qeemti nemat hai, kabhi bhi is ko barbaad nahin hone dena chaahiye

⚘■••❧  Huzoor ﷺ ka irshaad hai Jannat waalon ko duniya ki kisi bhi cheez ka afsos nahin hoga, sirf us lamhe par afsos hoga jo duniya mein Allah ke zikr ke bagair guzar gaya ho

        *📬 Mo’jame Kabeer: 182 📔*

⚘■••❧  Is liye hamein waqt ki khoob qadr karni chaahiye aur sab se badi baat yeh hai ke TV dekhne se Allah Ta’ala aur hamaare mehboob Nabi Muhammad ﷺ bahot naaraaz hote hain Lihaaza ham ko TV nahin dekhna chaahiye aur apne doston aur doosre musalmaanon ko bhi is se mana karna chaahiy Agar ham aisa kareinge, to Allah Ta’ala aur hamaare Nabi ﷺ bahot khush honge...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  93

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Aap ﷺ ki Muhabbat Wa itaa’aT* ⏎

⚘■••❧ Hazrat Muhammad ﷺ ki muhabbat wa itaa’at hamaare Imaan ka hissa hai, jo shakhs Aap ﷺ se muhabbat aur us ke taqaazon ko poora na kare to us ka Imaan adhoora aur naaqis hai, isi liye Huzoor ﷺ ka irshaad hai tum mein se koi us waqt tak kaamil momin nahin ho sakta jab tak ke main us ke maan baap, aulaad aur tamaam logon se ziyaada mahboob na ho jaaoon

          *📬 Sahih Bukhaari: 15 📕*

⚘■••❧  Lihaaza hamein Huzoor ﷺ se khoob muhabbat karni chaahiye, magar yaad rahe ke muhabbat sirf zabaan se mehboob ki tareef karne ka hi naam nahin hai balke mehboob ki itaa’at wa farmaa bardaari, us ki pasand aur naapasand ka khayaal rakhna bhi muhabbat ke usoolon mein se hai is liye hamein Aap ﷺ ki taareef mein khoob naat padhni chaahiye aur durood shareef ka bhi ehtemaam karna chaahiye, saath saath Huzoor ﷺ ki sifaat wa aadaat maaloom karke apni zindagi mein laana chaahiye

⚘■••❧  Jaise maaloom karein ke Huzoor ﷺ ka libaas kaisa tha Phir aap waisa hi libaas pahenne ki koshish karein Phir maaloon karein ke Huzoor ﷺ ko khaane mein kya pasand tha aur Aap kis tarah khaana tanaawul farmaate the phir Aap bhi waisa hi tareeqa ikhtiyaar karein Isi tarah Aap ﷺ ke paakeezah akhlaaq jaise amaanatdaari, sakhaawat, sachchaai, waada wafaai aur rahemdili wagaira ko apnaane ki koshish karein, is ke liye Allah Ta’ala se duaaein maange, insha Allah is se hamaari zindagi mein sukoon, muaashare mein aman paida hoga, Allah Ta’ala ham ko apna mehboob bana leinge aur tamaam gunaahon ki bakhshish farma deinge...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  94

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Miswaak ke FawaaiD* ⏎

⚘■••❧  Tahaarat wa nizaafat ke silsile mein Huzoor ﷺ ne jin cheezon par khaas taur se zor diya hai aur jis ki badi taakeed farmaai hai, un mein miswak bhi hai, miswaak karne ko Huzoor ﷺ ne Ambiya-e-Kiraam ki sunnat aur fitrat ka taqaaza bataaya hai Aap ﷺ ka irshaad hai chaar cheezein ambiya ki sunnaton mein se hai Sharm-o-Haya, khushbu lagaana, miswaak karna aur nikaah karna

               *📬 Tirmizi: 1080 📕*

⚘■••❧ Miswaak mein duniya aur aakhirat donon ki bhalaai hai, is se munh ki safaai hoti hai, bu zaail hoti hai aur nuqsaan pohnchaane waale maadde khaarij hote hain, yeh is ke naqad dunyawi faaide hain. Aur is ka ukhrawi faaida yeh hai ke Huzoor ﷺ ki ek mehboob sunnat par amal hojaata hai aur yeh Allah Ta’ala ki khushnoodi aur raza haasil hone ka zariya hai Huzoor ﷺ ne farmaaya Miswaak munh ko bahot ziyaada saaf karne waali aur Allah Ta’ala ko bahot ziyaada khush karne waali cheez hai

                   *📬 Nasai: 5 📔*

⚘■••❧ Ham logon ko miswaak ka khoob ehtemaam karna chaahiye, wuzu karte waqt, Qur’aan Majeed ki tilaawat ke liye aur neend se bedaar hone ke baad miswaak karna chaahiye, yeh ek aisa amal hai, jis mein koi mehnat wa mashaqqat nahin hai, aur is ke zariye dunyawi faaide haasil hone ke saath saath Huzoor ﷺ ki ek mehboob sunnat par amal hojaata hai aur nekiyon mein musalsal izaafa hota chala jaata hai...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  95

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  FuzooL kHarchi Na karna* ⏎

⚘■••❧  Kisi sahi masraf mein zaroorat se ziyaada kharch karna “Fuzool kharchi” kehlaata hai, misal ke taur par ham ko apna kaam karne ke liye ek qalam kaafi hai, magar ham apni badaai zaahir karne ke liye teen chaar qalam khareed lein, to yeh israaf aur fuzool kharchi hai

⚘■••❧ Yeh ek buri sifat hai, fuzool kharchi karne se insaan ki taaqat aur daulat donon barbaad hote hain. Aur ek waqt aisa aata hai ke unhein bahot afsos karna padta hai, baaz martaba fuzool kharchi insaan ki kaamyaabi mein rukaawat ban jaati hai Jo log fuzool kharchi karte hain woh aam taur se khair aur neki ke kaamon se door hote chale jaate hain aur bure kaamon mein mubtela hojaate hain kiyun ke fuzool kharchi insaan ko apni khwaahish ke mutaabiq amal karne par ubhaarti hai aur galat aur naamunaasib kaam bhi karaadeti hai Islaam ne fuzool kharchi se mana kiya hai Qur’aane Kareem mein fuzool kharchi karne waalon ko shaitaan ka bhaai kaha hai

⚘■••❧ Allah Ta’ala ne farmaaya Quraabatdaar (rishtedaar) ko us ka haq dete rehna aur mohtaaj aur musaafiron ko bhi dete rehna aur (maal ko) bemauqa mat udaana, (kiyun ke) beshak bemauqa (maal) udaane waale shaitaanon ke bhaai hain aur shaitaan apne Rab ka bada naashukra hai...✍

    *🌹📖 Sura-e-Isra: 26,27 📖🌹*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  96

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  FuzooL kHarchi Na karna* ⏎

⚘■••❧ Aaj kal mukhtalif mauqon par fuzool kharchi ki jaati hai, gharon mein beshumaar saamaan laaye jaate hain jab ke un se kam mein zarooratein poori hosakti hain  Huzoor ﷺ ne farmaaya Jo shakhs fuzool kharchi karta hai to Allah Ta’ala use gareeb kar dete hain

       *📬 Musnade Bazzaar : 964 📓*

⚘■••❧ Shaadi biyaah mein khaas taur se bahot ziyaada kharch kiya jaata hai, haalaanke Islaam ne nikaah ko bahot aasaan banaaya hai Huzoor ﷺ ne farmaaya ke sab se behter shaadi woh hai jis mein sab se kam kharch ho

        *📬 Sho’bul Imaan: 6566 📔*

⚘■••❧ Bahre haal fuzool kharchi se har ek ko bachna chaahiye, isi mein aafiyat aur sukoon hai, duniya mein bhi aaraam wa raahat se zindagi guzarti hai aur aakhirat mein bhi Insha Allah, chain wa sukoon naseeb hoga...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  97

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  MazaaQ mein bhi kisi ki koi cheez na lena* ⏎

⚘■••❧ Mazaaq karne ki 2 sooratein hain Ek yeh hai ke kisi ka dil khush karne ke liye aisa mazaaq karna, jis mein jhoot aur waada khilaafi na ho, to yeh durust hai Doosri soorat yeh hai ke aisa mazaaq kiya jaaye ke jis se doosre ko naagawaari ho aur takleef pohnche, is tarah ka mazaaq karna durust nahin hai

⚘■••❧ Baaz log mazaaq mein doosron ka saaman chhupa lete hain ya koi cheez le lete hain, jis se un ko takleef hoti hai, aisa karna bahot buri aadat hai, Islaam hamein aisi baaton se mana karta hai, jis se kisi ko takleef pahonche ya use kisi tarah ki pareshaani ho, isi liye mazhabe Islaam ne hamein kisi ke saamaan ko bagair ijaazat lene se mana kiya hai, chaahe mazaaq mein hi liya jaaye

⚘■••❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya Tum mein se koi apne doosre bhaai ki lakdi aur chhadi bhi (bagair ijaazat) na le, na hi mazaaq mein aur na hi lene ke iraade se Aur agar kisi ne le liya ho, to us ko waapas kar de...✍

             *📬 Tirmizi: 2160 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*


••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  98

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  MazaaQ mein bhi kisi ki koi cheez na lena* ⏎

⚘■••❧ Matlab yeh hai ke lakdi aur chhadi jaisi maamooli cheez bhi ijaazat ke bagair nahin lena chaahiye, hatta ke hansi mazaaq mein bhi aisa na kare Aur agar kisi ki koi cheez galti se leli hai, to us ko waapas kar dena chaahiye, yeh nahin samajhna chaahiye ke yeh to ek maamooli cheez hai is ko waapas karne ki kya zaroorat hai

⚘■••❧  Sahaaba RaziyAllahu anhum ke zamaane mein ek martaba chand hazraat Huzoor ﷺ ke paas baithhe huwe the, un mein se ek shakhs uthh kar chala gaya aur apna joota pahenna bhool gaya, kisi ne un ke joote ko (mazaaq mein) uthha kar apne neeche rakh liya, thodi der ke baad woh shakhs waapas huwa aur kaha ke joota kahaan hai? Logon ne kaha ke maaloom nahin, itne mein un ko apna joota ek shakhs ke neeche nazar aaya, to unhon ne kaha ke yahaan hai, is par Huzoor ﷺ ne farmaaya Momin ko pareshaan karna kaisa hai Us ne kaha Ya Rasoolullah Main ne mazaaq mein aisa kiya tha Lekin Huzoor ﷺ ne 2 ya 3 martaba yahi farmaaya ke momin ko pareshaan karna kaisa hai...✍

        *📬 Mo’jame Kabeer: 980 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  99

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Afw wa Darguzar* ⏎

⚘■••❧ Akhlaaqi taaleemaat mein “Afw wa darguzar” ki badi ahmiyat hai Is ka matlab yeh hai ke agar kisi ki taraf se koi takleef pahonch jaaye, to us ko bardaasht karliya jaaye aur us ke badla lene aur saza dene ki poori quwwat rakhne ke baawajood galti karne waale ko nazar andaaz kar ke maaf kar diya jaaye. Quraan-e-Kareem aur Ahaadees-e-Shareefa mein afw wa darguzar karne ki bahot targeeb di gai hai

⚘■••❧ Allah Ta’ala ka irshaad hai “Aur Imaan waalon ko chaahiye ke (Jis se un ke haq mein koi ziyaadati aur qusoor ho gaya ho, us ko) woh maaf kar diya karein aur nazar andaaz kar dein Kya tum yeh nahin chaahte ke Allah tumhein maaf kar de aur Allah bakhshne waala aur bahot maherbaan hai

              *📬 Sura-e-Noor: 22 📕*

⚘■••❧ Is ka matlab yeh huwa ke jo banda yeh chaahta hai aur us ke tamanna yeh hai ke Allah Ta’ala us ke saath maherbaani ka bartaao kare, us ki magfirat farmaaye, to us ko chaahiye ke apne qusoor waaron ke saath rahamdili ka muaamla kare aur un ki galtiyon ko maaf kar diya kare, to Allah Ta’ala bhi us ke saath bakhshish wa rahmat aur lutf wa karam ka muaamla karega....✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  100

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Afw wa Darguzar* ⏎

⚘■••❧ Rasoolullah ﷺ ne poori Ummat ko rahamdili, afw wa darguzar aur lutf wa ehsaan ka muaamla karne ki taaleem di hai, Hazrat Uqba Bin Aamir RaziyAllahu anhu kehte hain ke main Rasoolullah ﷺ ke paas aaya, to Aap ﷺ ne mujh se farmaaya Aye Uqba Bin Aamir Us se jodo jo tum se tode, us ko do jo tumhein mahroom kare aur use maaf kar do jo tum par zulm wa ziyaadati kare

    *📬 Musnade Ahmad: 17452 📔*

⚘■••❧  Khud Huzoor ﷺ afw wa darguzar ki sifat ke saath is qadr muttasif the ke duniya mein is ki misaal nahin milti, kuffaar wa mushriqeen ne Aap ﷺ ko kitni sakht takleefein di, woh log jo kuchh Aap ﷺ ke khilaaf kar sakte the sab kar guzre, magar jab Aap ﷺ ko un par galba haasil huwa, to saare logon ko maaf kar diya, haalaanke agar Aap chaahte to un se ek ek zulm ka badla le sakte the, lekin Aap ﷺ ne farmaaya Aaj tum par koi malaamat nahin, jaao tum sab aazaad ho...✍

         *📬 Zaadul Ma’ad: 3/356 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  101

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Parde ka ehtemaam karna* ⏎

⚘■••❧ Islaam ne aurton ke liye parde ka jo nizaam banaaya hai woh insaani fitrat ke mutaabiq bahot ahem aur zaroori hai isi mein aurton ka tahaffuz aur un ki iffat wa asmat ki hifaazat hai aur zaahiri wa baatini buraaiyon se rokne ka zariya hai, balke muaashare ki paakeezgi ka madaar isi par hai Is liye tamaam aurton ko achchhi tarah parde ka ehtemaam karna chaahiye, Quraan-o-Hadees mein parde ki badi taakeed aayi hai

⚘■••❧  Allah Ta’ala ka irshaad hai Aur apne gharon mein qaraar ke saath raho aur (gair mardon ko) banaao singhaar dikhaati na phiro, jaisa ke pehle jaahiliyat mein dikhaaya jaata tha

            *📬 Sura-e-Ahzaab: 33 📘*

⚘■••❧  Ek doosri jagah Allah Ta’ala ne ishaad farmaaya Aye Nabi Aap apni beewiyon, apni betiyon aur musalmaanon ki aurton se keh do ke woh apni chaadarein apne (munh ke) oopar jhuka liya karein...✍

         *📬 Sura-e-Ahzaab: 59 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  102

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Parde ka ehtemaam karna* ⏎

⚘■••❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya Aurat chhupa kar rakhne ki cheez hai, yeh baat yaqeeni hai ke jab woh apne ghar se baahar nikalti hai, to shaitaan takne lagta hai, aur bila shubah aurat us waqt Allah Ta’ala se ziyaada qareeb hoti hai jab ke woh ghar ke andar hoti hai

    *📬 Sahi Ibne Hibbaan: 5599 📕*

⚘■••❧  In se maaloom huwa ke aurton ke liye asl jagah un ka ghar hai aur gharon mein hi rehna un ke liye neki wa bhalaai, un ki iffat wa asmat ki hifaazaat aur shaitaani nigaahon se bachaao ka zariya hai, agar kabhi sakht zaroorat ke tahat ghar se baahar nikalna pade to parde ka khoob khayaal rakhe, sahaabiyaat parde ka bada ehtemaam kiya karti theen, jab Quraan mein parde ka hukm naazil hua, to un aurton ne fauran apni moti moti chaadaron ko phaad kar dupatte bana liye, taake jism ka koi hissa nazar na aane paaye...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  103

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Parde ka ehtemaam karna* ⏎

⚘■••❧ Hadees ki kitaabon mein yeh waaqia likha hai ke ek martaba Umme Khallaad naami ek aurat ka ladka jang mein shaheed ho gaya, woh us ke mutaalliq daryaaft karne ke liye Huzoor ﷺ ke paas naqaab pahen kar aayeen, baaz sahaaba RaziyAllahu anhum ne hairat ke saath kaha: Aise waqt mein bhi tumhaare chehre par naqaab hai? Yaani bete ki shahaadat ki khabar sun kar to maan ka hosh-o-hawaas gum ho jaata hai, aur tum to itmenaan ke saath parde mein aayi ho, Umme Khallaad ne bahot hi achchha jawaab diya, unhon ne kaha Main ne beta khoya hai, sharm-o-haya nahin khoi hai

         *📬 Abu Daawood: 2488 📕*

⚘■••❧ Haqeeqat yeh hai ke parde ke baare mein Mazhab-e-Islaam ne jo ahkaam bataaye hain aur jin ko ikhtiyaar karne ki taakeed ki hai, bunyaadi taur par un ke teen ahem maqaasid hain Pehla yeh ke aurton aur mardon ke akhlaaq ki hifaazat ki jaaye aur un buraaiyon ka darwaazah bilkul band kar diya jaaye, jo be pardagi ki wajah se paida ho sakti hain, doosra yeh ke mardon aur aurton ke kaam kaaj ka daaira alag alag ho, taake aurton ke zimme jo kaam hain un ko woh yaksooi ke saath poora kar sakein, aur jo kaam mardon ke hawaale hain, un ko woh aaraam se nibha sakein, teesra yeh ke ghar aur khaandaan ke nizaam ko mazboot aur mahfooz kiya jaaye, yeh woh maqaasid hai jo Islaam ke ahkaam par amal kiye bagair haasil nahin ho sakte hain Yeh Islaam ki khoobiyon mein se hai ke woh aurton ko mukammal huqooq bhi deta hai aur is ke saath hi ghar aur khaandaan ke maahol aur us ke nizaam ko misaali banaana chaahta hai...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  104

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Aariyat ka waapas karna* ⏎

⚘■••❧ Duniya mein bahot kam log aise milenge, jin ke paas zindagi ki tamaam zaroori cheezein maujood ho, balke ziyaada tar aise hi log milenge jo bohot si cheezein na to khareed sakte hain aur na kiraaye par le sakte hain aisi soorat mein agar unhein koi zaroorat pesh aajaati hai, to woh apni marzi ko poori karne ke liye woh cheez doosron se lete hain aur kaam poora ho jaane ke baad phir waapas kar dete hain, shree’at mein is ko “Aariyat” kaha jaata hai

⚘■••❧ Agar koi zarooratmand ho aur woh apni zaroorat poori karne ke liye kisi se koi cheez maange, to use de dena chaahiye Khaas taur par ma’amooli aur roz marrah istemaal ki jaane waali cheezon ko bagair soche de dena chaahiye Yeh bhi ek doosre ki madad karne ki ek shakl hai aur zarooratmand logon ki madad karna bade ajr-o-sawaab ka kaam hai...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  105

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Aariyat ka waapas karna* ⏎

⚘■••❧ Yeh baat bhi achchhi tarah h mein rahe ke jo shakhs apni kisi zaroorat ki wajah se kisi ki koi cheez aariyat ke taur par le, to zaroorat poori hone ke baad us cheez ko waapas kar dena chaahiye, is mein susti aur kaahili nahin karni chaahiye

⚘■••❧  Huzoor ﷺ ne ek hadees mein farmaaya “Al-Aariyatu muaddaatun”

                           اَلْعَارِيَةُ مُؤَدَّاةٌ

*⚘■Tarjama •❧* Aariyat (par li huwi cheez zaroor) waapas ki jaayegi

                *📬 Tirmizi: 1265 📕*

⚘■••❧  Baaz log apni zaroorat ke liye kisi ki koi cheez bataur-e-aariyat lete hain aur zaroorat poori ho jaane ke baad bhi rakhe rehte hain aur us ko waapas karne mein susti karte hain, yeh buri aadat hai Is se logon ko bachna chaahiye, agar woh cheez beparwaahi se zaaye ho gai ya kharaab ho gai, to phir us ka badla dena padega...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  106

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Bila zaroorat ghar se baahar na nikalna* ⏎

⚘■••❧ Aurton ka asl maqaam un ka ghar hai, choonke ghar se baahar fitne hi fitne hain, is liye un ka gharon mein rehna aur bila zaroorat ghar se baahar na nikalna ziyaada achchha hai aur fitnon se bachne aur shaitaani nigaahon se hifaazat ka zariya hai,

⚘■••❧ Allah Ta’ala ka irshaad hai Aur apne gharon mein qaraar ke saath raho, aur (gair mardon ko) banaao singaar dikhaati na phiro, jaisa ke pehli jaahiliyat mein dikhaaya jaata tha

         *📬 Sura-e-Ahzaab: 33 📓*

⚘■••❧ Yahi wajah hai ke un par sirf ghar ke androoni kaamon ki zimmedaaari daali gai hai aur ghar se baahar ke tamaam kaamon se unhein aazaad kar diya gaya hai aur ghar se baahar ke kaamon ki saari zimmedaari mardon ke oopar daali gai hai, neez namaaz jaisi ahem tareen ibaadat ko ada karne ke liye afzal jagah un ka ghar qaraar diya gaya hai

⚘■••❧ Huzoor ﷺ ka irshaad Aurat ka namaaz padhna kamre ke andar behtar hai kamre ke sahen mein padhne se, aur kothhri mein padhna behtar hai bade kamre mein padhne se..✍

       *📬 Abu Daawood: 570 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  107

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Bila zaroorat ghar se baahar na nikalna* ⏎

⚘■••❧ Bahre haal aurton ke haq mein har etebaar se yahi munaasib hai ke woh gharon mein rahein aur bila zaroorat ghar se baahar na phira karein, lekin agar kisi zaroorat ki wajah se nikalna pade to parde ka poora khayaal rakhein, sar se paaon tak naqaab ya lambi chaadar se apne poore jism ko chhupa lein, libaas bhadakdaar aur purkashish pahen kar na niklein, phailne waali khushbu laga kar na niklein, taake logon ki nigaahein us ki taraf na uthhein, raaston ke kinaare par chalein, raaston ke darmiyaan se nahin chalna chaahiye

⚘■••❧  Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Aurton ke liye raaste ke liye raaste ka darmiyaani hissa nahin hai

        *📬 Sho’abul Imaan: 7623 📕*

⚘■••❧  Raasta bhi maamoon aur mahfooz hona chaahiye, kahin aisa na ho ke fitna wa fasaad mein mubtela ho jaayein, agar kisi shadeed zaroorat ke waqt kisi mard se kuchh baat karni pade, to baqadre zaroorat mukhtasar baat karein aur tursh aur teekhe lehje mein baat karein, narm andaaz mein guftagu bilkul na karein

⚘■••❧  Allah Ta’ala ka irshaad hai Tum nazaakat ke saath baat mat kiya karo, kabhi koi aisa shakhs beja laalach karne lage jis ki dil mein rog hota hai, aur baat woh kaho jo bhalaai waali ho...✍

       *📬 Sura-e-Ahzaab: 32 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  108

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  Bila ZarooraT GHar se Baahar Na nikalna* ⏎

⚘■••❧ Agar kabhi itni door ka safar karna pade jis se aadmi sharaee taur par musaafir ban jaata hai, to aurton ke liye zaroori hai ke woh apne saath kisi mahram ko le le

⚘■••❧ Huzoor ﷺ ke irshaad hai Aurat kisi mahram ke saath hi safar kare

         *📬 Sahih Bukhaari: 1862 📕*

⚘■••❧  Waise bhi munaasib yahi hai ke jab bhi kisi zaroorat ke tahat ghar se baahar jaana ho, to kisi mahram ke saath hi jaaye, is tarah woh bahot saare fitnon se mahfooz rahegi, kyun ke aurat jab bhi ghar se nikalti hai to shaitaan us ko taak jhaank karta hai aur use fitne mein mubtela karne ki poori koshish karta hai

⚘■••❧  Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Aurat qaabil-e-satr hai, jab woh (ghar se) nikalti hai to shaitaan use jaankne lagta hai...✍

          *📬 Tirmizi: 1173 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  109

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  AurTon ka libaas kaisa ho* ⏎

⚘■••❧ Allah Ta’ala ne insaanon ko libaas jaisi azeem nemat ata farmaai hai, libaas ke zariye ham apna jism chhupaate hain, zeenat ikhtiyaar karte hain aur sardi wagaira se apni hifaazat karte hain. Islaam ke liye koi khaas qism, ya koi Khaas hayyat aur rang mutayyan nahin kiya hai, balke is ko insaanon ke mizaaj aur un ki pasand par chhod diya hai Albatta libaas ke taalluq se mardon aur aurton ko chand baatein bataai hain aur kuchh hidaayaat di hain, yahaan aurton se taalluq rakhne waali baaton ka tazkira kiya jaaraha hai

⚘■••❧ Islaam ne jis tarah deegar ahkaam mein aurton ki fitrat, un ki aadat wa khaslat, un ke jazbe aur un ke maqaam wa martabe ka poora lihaaz kiya hai, aur un par sirf wahi zimmedaari daali hai jo un ke mizaaj ke mawaafiq ho aur jis ko woh khoobi ke sath anjaam de sakti hon, isi tarah Islaam ne yahaan bhi un ki izzat wa sharaafat, sharm-o-haya aur un ki asmat-o-ifat ki hifaazat ka mukammal khayaal rakhne ke saath aisi baatein bataai hain ke jin ko apna kar aurtein shareef wa ba izzat ban kar paakeezah zindagi guzaar sakti hain aur muaashare mein achchhi seerat wa akhlaaq aur nek kirdaar ki maalik ban sakti hain aur Allah ke yahaan buland martabe haasil kar sakti hain...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  110

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  AurTon ka libaas kaisa ho* ⏎

⚘■••❧ Aurton ko libaas ke taalluq se jo hidaayaat di gai hain un mein buniyaadi baat yeh hai ke libaas poore jism ko chhupaane waala ho

⚘■••❧ Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Jahannamiyon ke 2 group aise hain jin ko main ne abhi tak nahin dekha hai, yaani is ka wujood baad mein hoga Ek group to un logon ka hai jin ke haathon mein dum ki tarah kode honge jin se woh logon ko naahaq maarenge aur doosra group un aurton ka hoga jo bazaahir kapde pehne huwe hongi magar woh dar haqeeqat nangi hongi, mardon ko apni taraf maail karengi aur khud bhi maail hongi, un ke sar (ke baal) bakhti oont ke kohaan ki tarah honge, aisi aurtein na to jannat mein jaaengi aur na khushbu paaengi, haalaanke Jannat ki khushbu itni itni masaafat yaani bahot door se mehsoos hone lagti hai

        *📬 [Sahih Muslim: 5704] 📕*

⚘■••❧ Ek aurat libaas pahen kar bhi nangi ho, is ki kai sooratein ho sakti hain, ek yeh ke woh libaas itna baareek ho ke badan ka androoni hissa nazar aaraha ho, doosri soorat yeh ho sakti hai ke libaas itna chust ho ke us se badan ki banaawat zaahir ho rahi ho, teesri soorat yeh ho sakti hai ke badan ke kuchh hisse par kapda ho aur kuchh hissa khula ho. Hadees mein bayaan karda sooraton mein teenon sooratein daakhil hain. Is liye har soorat se tamaam aurton ko bachana chaahiye....✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  111

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  AurTon ka libaas kaisa ho* ⏎

⚘■••❧ Isi tarah aurton ko libaas mein kaafiron aur faasiqon ki naqqaali aur un ki mushaabehat ikhtiyaar karne se bachna chaahiye aur mardon jaisa libaas bhi nahin pahenna chaahiye. Kyun ke Rasoolullah ﷺ ne aisi aurton par laanat farmaai hai jo mardon ki mushaabehat ikhtiyaar karti hain

        *📬 Sahih Bukhaari: 5885 📔*

⚘■••❧ Neez aurton ko chaahiye ke apni isteta’at se ziyaada qeemat ke kapde ka ehtemaam bhi na karein aur libaas pahen kar fakhr wa numaaish aur takalluf se parhez karein Kyun ke Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya Jis ne shohrat ka kapda pehna, Allah Ta’ala us ko qayaamat ke din zillat wa ruswaai ka kapda pehnaaeinge...✍

            *📬 Ibne Maaja: 3606 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  112

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  AurTon ke liye baal katwaana* ⏎

⚘■••❧ Aurton ke liye baal husn wa khoobsoorti ki alaamat hai, isi liye aam taur par aurtein lambe aur ghane baalon ko pasand karti hain, magar aaj ke daur mein baaz aurton ne baalon ko taraashwaana shuru kar diya hai, is ki mukhtalif shaklein banwaati hain, baaz peshaani se oopar ke baalon ko kaatti hain aur kuchh khwaateen mardon ki tarah chhota rakhne ki koshish karti hain, yeh sab Islaami tehzeeb wa akhlaaq ke munaafi hai aur gair Islaami tareeqa hai, isi liye shareef, nek, ba haya aur Deendaar khwaateen bhi is ko pasand nahin karti hain

⚘■••❧ Haqeeqat yeh hai ke is amal ki wajah se aurat mardon se mushabehat ikhtiyaar karne waali ban jaati hai aur yeh bahot hi khatarnaak aur halaakat wa tabaahi ka sabab hai, Huzoor ﷺ ne aisi aurton par laanat farmaai hai jo mardon ki mushaabehat ikhtiyaar karti hain. Neez is mein faasiq wa faajir logon ke saath tashabboh bhi paaya jaata hai, aur logon ki mushaabehat ikhtiyaar karne se bhi bachna zaroori hai Is liye ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Jis ne jis qaum ke saath mushaabehat ikhtiyaar ki woh unheen mein se hai..✍

            *📬 Abu Daawood: 4031 📕*

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  113

      •⊰  *Aᴀsᴀᴀɴ*      ❂        * Dᴇᴇɴ*  ⊱•
 ••──────•◦    ◦•──────••

*⚘■• ⇒  AurTon ke liye baal katwaana* ⏎

⚘■••❧ Isi tarah yeh bhi yaad rakhna chaahiye ke abru’on aur bhawon ko taraashna ya ukhaadna, ya daanton ko ghis kar baareek karna aur use kaat kaat kar nokeela banaana jaisa ke aaj ke daur mein baaz aurtein karti hain, Islaami sharee’at ki ru se durust nahin hai, is se bhi sab ko bachna chaahiye, kyun ke zeenat ke yeh tareeqe fitrat aur etedaal se hate huwe hain aur Allah Ta’ala ki paida karda khalqat aur shakl-o-soorat mein ek tarah ki tabdeeli hai aur Allah Ta’ala ki khalqat mein tabdeeli karna ek shaitaani kaam hai, Quraane Kareem mein hai ke shaitaan ne kha tha: “Aur main logon ko hukm doonga to woh Allah ki banaai hui khalqat mein tabdeeli karenge

            *📬 Sura-e-Nisa: 119 📕*

⚘■••❧  Yahaan yeh samajh lena chaahiye ke Islaam aurton ko zeenat ikhtiyaar karne se mana nahin karta hai, balke is ki ijaazat deta hai aur baaz martaba to is ka hukm diya hai, albatta is silsile mein kuchh hidaayatein di hain jis mein sharaafat wa gairat hai, sharm-o-haya hai, etedaal aur meyaana rawi hai aur jis ko apnaakar ek aurat shareef, nek wa Deendaar aur Allah ki nazar mein mehboob ban sakti hai, is liye tamaam aurton ko Islaami taur tareeqe ko apnaana chaahiye aur doosron ke tareeqon se bachne ki poori koshish karni chahiye...✍

              *❍↬   Reƒeɾeɳce   ↫❍*

      *📬 DeeniyaT Course Book's 📚*

••──────────────────────••►
              *📮☞  EnD  ροѕT 📃*
••──────────────────────••►

No comments:

Post a Comment

सीरते मुस्तफ़ा ﷺ 💚

 الصلوۃ والسلام علیک یاسیدی یارسول الله ﷺ  सीरते मुस्तफ़ा ﷺ (Part- 01) * सीरत क्या है.!? * कुदमाए मुहद्दिषीन व फुकहा "मग़ाज़ी व सियर...