Zakaat Course (Part-01)
Aap Jante Hain Ki Zakaat Hamare Deen E Islaam Ka Bahut Bada Hissa Hai Aur Jis Tarah Namaz Farz Hai Rozen Farz Hain Aur Jis Tarah Namaz Aur Roze Aham Hain Isi Tarah Zakaat Bhi Hamare Deen Ka Aik Bahut Bada Aham Hissa Hai Aur Hamare Faraiz Mein Se Aik Farz Hai Quraan E Majeed Me Jahan Jahan Namaz Ka Zikar Aaya Hai To Bahut Se Maqamaat Ayse Hain Ke Jahan Par Zakat Ka Bhi Zikr Aaya Hai Aur Baar Baar Is Par Hame Hukm Diya Gaya Hai Ki Zakat Ada Ki Jaye.
To Zakat Farziyat Ke Darze Mein Hai Aur Koi Agar Zakat Ka Inkar Kar Baithta Hai To Woh Daira E Islaam Se Kharij Ho Kar Kafir O Murtad Ho Jata Hai To Aham Tareen Faraaiz Hai Aur Iski Ahmiyat Aap Sabhi Jante Hain To Is Par Hum Zyada Kalaam Nahi Karenge.
Fiqhi Masail Ki Taraf Hum Aate Hain.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-02)
Zakaat Kahte Kise Hain.!?
AllaH Ta'ala Ki Riza Ke Liye Maal Ka Aik Makhsoos (Fixed) Hissa Kisi Musalman Faqeer Ko Malik Kar Dena (Bana Dena) Ayesa Faqeer Ke Jo Na Hashmi Ho, Na Hashmi Ka Aazad Karda Gulam Ho Aur Isse Apne Nafa Ko Bilkul Juda Kar Lena Ye Zakat Kahlata Hai.
Ab Ye Kafi Sare Words Ho Gaye Isko Hum Simple Kar Ke Samjhate Hain
Sabse Pahle Hum Ne Kya Kaha AllaH Ta'ala Ki Riza Ke Liye Yani Zakat Jab Bhi Di Jayegi AllaH Ta'ala Ki Riza Ke Liye Di Jayegi Aur Iska Matlab Bhi Aap Samajhte Hain Ki Agar AllaH Ta'ala Ki Riza Shamile Haal Na Hui Bande Ki Niyat Me AllaH Ki Riza Hi Nahi Hai To Fir Woh Ibadat Consider Nahi Hogi Woh To Riyakaari Ho Gaya Takabbur Ho Gaya Aur Uska Woh Amal Barbaad Ho Jata Hai Woh Ibadat Nahi Kahlati.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-3)
To AllaH Ta'ala Ki Riza Hasil Karne Ke Liye AllaH Ta'ala Ko Raazi Karne Ke Liye Bande Ka Maal Ke Aik Makhsoos Hisse Ko Nikalna Jaisa Ki Hum Zakat Me 2.5% Nikalte Hain Na Ye Aik Shariat Ne Fixed Miqdaar Rakha Hai 2.5% Aap Ko Nikalna Hai To Ye Makhsoos (Fixed) Hissa Nikalna Aur Kisi Ayse Musalman Sharai Faqeer Ko Malik Banana Ye Zaruri Hai Jo Na Hashmi Ho Na Hashmi Ka Azaad Karda Gulam.
Ab Isme Dekhen Maine Kya Kaha Ki Kisi Musalman Sharee Faqeer Ko Malik Banana Yani Zakat Agar Aap Kisi Gair Muslim Ko Dete Hain Jaise Ki Aaj Kal Bahut Se Log Samajhte Hain Ki Zakaat Hai To Hum Kisi Ko Bhi De Sakte Hain Aysa Nahi Hai.
Zakat Dene Me Bhi Aap Ko Quyoodat (Conditions) Ka Lihaaz Rakhna Hai
Ayesa Nahi Hai Jo Maal Nikal Liya Aur De Diya Woh Nafli Sadqa To Zyada Se Zyada Kahla Sakega Ya Fir Tohfa Kahlayega Lekin Isse Aap Ki Zakaat Ada Nahi Hogi.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-4)
Zakaat Jisko Aap De Rahe Hain Uska Sharaee Faqeer Hona Bhi Zaruri Hai Aur Uska Musalman Hona Bhi Zaruri Hai Aur Jab Bhi Main Musalman Kahun Isse Murad Hota Hai Sunni Sahihul Aqeeda Ho Baaz Log Ye Puchhte Hain Ki Kya Hum Badmazhab Ko De Sakte Hain?, Ya Kisi Kafir O Murtad Ko De Sakte Hain?
Hargiz Aap Nahi De Sakte Agar Aap Ne Diya To Aap Ki Zakat Ada Nahi Hogi.
To Zakaat Ka Malik Aap Ko Kisi Musalman Ko Banana Hai Aur Woh Musalman Sunni Sahihul Aqeeda Ho Aur Sharee Faqeer Bhi Ho.
Sharaee Faqeer Woh Hai Ke Jiske Paas 7.5 Tola Sone Se Kam Ho 52.5 Tola Chandi Se Kam Ho Na Itna Cash Ho Na Itna Maale Tijarat Ho, Na Hajate Asliya Se Jada Maal Uske Paas Ho To Aysa Banda Sharee Faqeer Kahlata Hai
Bahrhaal Zakat Me Kya Karna Hota Hai 2.5% Aap Ko Sharee Faqeer Ko Dena Hota Hai Aysa Sharee Faqeer Ki Jo Musalman Ho Sunni Sahihul Aqeeda Ho, Woh Na Hashmi Ho Na Hashmi Ka Azaad Karda Gulam Ye Kitabon Me Likha Hai Hashmi Ka Azaad Karda Gulam Abhi To Gulamo Ka Daur Nahi Raha Ye Chhod Den. Ki Jo Na Hashmi Ho Woh Banda Agar Musalman Hai Sharaee Faqeer Hai Lekin Agar Hashmi Hai To Aap Usko Zakat Nahi De Sakte.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-5)
Aik Baat Main Wajahat Karti Chalun Ki Hamne Ye Jo Sharaee Faqeer Ki Tarifaat Vagairah Padhi Hai Agar Aap Kitabon Mein Bhi Dekhen Sharaee Faqeer Ki Tareef Yahi Likhi Hoti Hai Jiske Paas Sona Ho To Kam Se 7.5 Tola Sona Ho Aur Is Tarah..... Jo Hota Hai Na. Lekin Kitabon Vagairah Ka Mutalla Karte Huwe Aur Kuch Videos Vagairah Bhi Main Dekh Rahi Thi To Isme Ye Samne Aaya Hai Ki Baaz Ulma Kiraam Ne Ye Farmaya Hai Ki Sharaee Faqeer Ke Liye Ye Hai Ki Agar Uske Paas Aik-dedh Tola Sona Bhi Ho Na To Fir Woh Zakat Nahi Le Sakta Yani Unho Ne Puri Cheezon Chahe Sona Ho, Chahe Chandi Ho, Cash Ho, Maale Tijarat Ho Ya Fir Hajate Asliya Se Zyada Saman Ho Sabhi Ke Valuation Ko Sirf 52.5 Tola Chandi Se Compare Kiye.
Ye Nahi Dekha Hai Ki Maal Kaun Sa Hai Ho Sakta Hai Sona Hai, Chandi Hai, Cash Hai Ya Sirf Sona Hai, Chandi Hai, Cash Hai Aur Sabhi Cheezon Ka Valuation Nikal Kar Dekha Ki 52.5 Tola Chandi Tak Pahuch Raha Hai Ya Nahi Agar Pahunch Raha Hai To Fir Woh Banda Zakat Nahi Le Sakta, Agarche Kuch Ulma Kiraam Yahan Par Bhi Kahte Hain Ke 7.5 Tola Sona Hona Zaruri Hai To Chunki Yahan Par Ikhtelaf Hai Lehaza Main Aap Ko Isi Baat Ki Advice Dungi Ki Agar Aap Kisi Faqeer Ko De Rahe Hain Aur Uske Paas Itna Sona Hai Jo 52.5 Tola Chandi Ki Qeemat Tak Pahunch Raha Hai To Fir Usko Sharaee Faqeer Maan Kar Na Diya Jaye Kyunki Ikhtelaf Ki Baat Hai Aur Zakat Ki Baat Hai Faraiz Ki Baat Hai Isme Jo Hai Jisme Ahtiyat Hai Usi Ki Taraf Aap Ko Aage Badhna Chahiye To Isme Ahtiyat Karen.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-6)
Apni Zakat, Hum Har Tariqe Se Mutmaeen Ho Kar Ada Karen Aur Agar Kisi Aur Ko Aap Ko Dena Bhi Ho To Fir Aap Heela Kar Ke De Den Tab Is Tension Se Hum Free Ho Jaye.
Kyun Ye Qurbani Ke Masale Mein Bhi Ikhtelaf Nazar Aayega Jaise Mufti Akmal Sahab Farmate Hain Aik Tola Sona Jiske Paas Hai Us Par Qurbani Wajib Ho Jati Hai Aur Unke Nazdeek Yahi Mas'ala Hai Chunki Aik Tola Sona 52.5 Tola Chandi Ki Qeemat Ko Pahunch Jata Hai Fir Qurbani Bhi Wajib Hai, Sadqa E Fitr Bhi Wajib Hai Ye Mamla Hai Bande Ke Sath To Qurbani Woh Karega.
Lekin..!! Dusre Muftiyan E Kiraam Farmate Hain Nahi Agar Sirf Sona Hai To 7.5 Tola Sona Hona Zaruri Hai Jab Tak Woh Nahi Hoga Toh Fir Qurbani Us Par Lazim Nahi Hogi Agarche Woh Sath Mein Ye Bhi Tambeeh Kar Dete Hain Ye Point Bhi Bata Dete Hain Ki Aik Tola Sona Hoga To Kuch Na Kuch To Raqam Zyaid Hogi Hi Aik-aat Rupya To Additional Pada Hoga. Ya Fir Kuch Na Kuch Zarurat Se Zyada Cheezen Hoti Hi Hain Zindagi Mein Ye Perfecter Nahi Hota To Woh Kahte Hain Ki Aap Samajh Lijiye Apne Upar Qurbani Wajib Aur Kar Lijiye, Lekin Fatwa Is Par Hai Is Tarah Ke Aap Ko Aqwaal Milenge.
Lihaza Ahtiyat Isi Mein Hai Ki Sona Ho, Chandi Ho Jo Bhi Hai Sharaee Faqeer Ke Calculation Vagairah Ke Liye Aap Isko Chandi Ka Nisab Hi Pakden Jo 50 Hazaar Hum Yahan Le Kar Solve Kar Rahe Hain Tamam Cheezon Mein Yahi Dekh Len Even Sone Me Isko Dekh Len.
⚠️⚠️ Ye Mas'ala Jo Maine Bataya Ye Zakaat Lene Ke Liye Tha, Zakat Dene Ke Liye Nisab 7.5 Tola Hi Hota Hai Agar Sirf Aur Sirf Sona Ho To.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-7)
Hashmi Kaun Hota Hai.!?
Hashmi : Nabi E Kareem ﷺ Ke Dada Jaan Hain Na, Abdul Muttalib رضی الله تعالی عنه Inke 2 Bete Hain Hazrate Abbas Aur Hazrate Haris رضی الله تعالی عنهم Ye 2 Bete...Aur Bhi Bete Hain Lekin Jab Aulad Me Hum Gin Rahe Hain Na Hashmi Me To Inke 2 Bete Hazrate Abbas Aur Hazrate Haris رضی الله تعالی عنهم Aur Hazrate Abdul Muttalib رضی الله تعالی عنه Ke 3 Pote Hazrate Ali Hazrate Aqeel Aur Hazrate Zafar رضی الله تعالی عنهم Inke Khaandan Ko Hashmi Hum Kahte Hain Ye Hashmi Me Aate Hain.
Kaun Kaun Hain Huzoor ﷺ Ke 2 Chacha Jaan Hazrate Abbas Aur Hazrate Haris Inki Auladen Aaj Bhi Maujod Hain Agarche 2sre Chaha Hain Jaise Hazrate Ameere Hamza رضی الله تعالی عنه Bhi Hain Lekin Jinki Aulade Aaj Aap Ko Nazar Aa Rahi Hain Inme Hazrate Abbas رضی الله تعالی عنه Ki Aulade Hain Jinko Abbasi Kaha Jata Hai Hazrate Haris Ki Aulade Hain Jinko Harsi Kaha Jata Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-8)
Hashmi Kaun Hota Hai.!?
Isi Tarah Hazrate Abdul Muttalib رضی الله تعالی عنه Ke 3 Pote Hazrate Maula Ali Mushkil Kusha رضی الله تعالی عنه Ki Jo Aulade Hain Agar Hazrate Ali Ki Aulad Biwi Fatima رضی الله تعالی عنها Ke Aulado Me Se Hain Yani Hazrate Ali Aur Hazrate Fatima Se Jo Aulade Hui Hain Inko Hum Sadate Kiraam Kahte Hain Sayyid Jaade Kahte Hain Jo Sayyid Jade Hote Hain Ye Imaam E Hasan Aur Imaam E Hussain Ke Aulado Me Se Honge Yani Hazrate Ali Aur Biwi Fatima Ke Aal Me Se Hain Inko Sadaat Kahte Hain.
Lekin Maula Ali Mushkil Kusha رضی الله تعالی عنه Ne Digar Nikah Bhi Farmaye Hain Biwi Fatima رضی الله تعالی عنها Ke Hayat Me To Aap Ne Nikah Nahi Kiya Lekin Aap Ke Wisal Ke Baad Hazrate Ali Ne Aur Biwiyo Se Nikah Farmaya Hai To Inse Jo Aulade Hui Inko Kahte Hain Alwi Aur Ye Bhi Hashmi Me Shamil Ho Jate Hain.
Hasnaine Karimain Ki Aulad Bhi Hashmi Me Shamil Hain Aur Hazrate Ali Ki Digar Aulad Jinko Alwi Kahte Hain Woh Bhi Hashmi Me Shamil Hain Banu Hashim Me Shamil Hain.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-9)
Hashmi Kaun Hota Hai.!?
Isi Tarah Hazrate Aqeel رضى الله تعالیٰ عنه Ki Aulade Hain Aqeeli Inko Kahte Hain Ye Bhi Maujod Hain Inko Bhi Zakat Nahi De Sakte Aur Hazrate Zafar رضى الله تعالیٰ عنه Ki Aulaad Hain Inki Aulad Ko Zafri Kaha Jata Hai.
Hazrate Zafar Hazrate Ali Ke Bade Bhai Hain Aur Jo Zafare Taiyyar Jo Hum Sunte Hain Na Wahi Hazrate Zafar رضى الله تعالیٰ عنه Hain
To Inki Aulade Agar Hongi To Inko Kahte Hain Aur Hashmi Ko Aap Zakat Fitra Wagaira Nahi De Sakte Koi Bhi Tarah Ka Sadqa E Wajiba Hashmi Ko Nahi De Sakte.
Ye Baaz Log Samajhte Hain Isme Sirf Sayyied Zade Include Hain, Sayyied Zade Aik Part Hai Inke Alawa Bhi Banu Hashim Ke Aur Log Hain Abbasi Hain, Zafari Hain, Aqeeli Hain, Alawi Hain, Aur Harsi Hain Ye 5 Log Bhi Agar Honge Inko Bhi Aap Zakat Nahi De Sakte Agar Koi Zakat Deta Hai Fir Uski Zakat Ada Hi Nahi Hogi Woh Nafli Sadqa Shumar Ho Jayega Zakat Usko Dubara Se Deni Padegi.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-10)
To Zakat Kya Hai.!?
AllaH Ta'ala Ki Riza Ke Liye Apne Maal Ka Makhsoos Hissa Musalman Ko, Jo Sharaee Faqeer Ho Aur Hashmi Na Ho Aur Is Maal Se Aap Ko Apna Nafa Alahda Karna Hai
Ya'ani Aysa Nahi Hona Hai Ki Agar Aap Kisi Ko Zakat De Rahe Hain Na, To Us Zakat Dene Ke Badle Aap Usse Koi Additional Benefit Hasil Kar Rahe Hain Ho Sakta Hai Bande Se Hasil Kar Rahe, Ya Ho Sakta Hai Us Paise Se Additional Benefit Hasil Kar Rahe Hain Ye Galat Hai To Is Tarah Nahi Kar Sakte Zakat Jab Aap Ne De Di To Us Zakat Ke Badle Aap Koi Benefit Hasil Nahi Kar Sakte.
Misal Ke Taur Par Aap Ke Ghar Me Aik Gareeb Khatoon Hain Jo Sharaee Faqerra Ki Category Me Aati Hai Woh Aap Ke Ghar Me Kaam Karti Hai Kaam Wali Baai Hoti Hai Na Bahut Si Gareeb Hoti Hai Sharaee Faqeer Ke Category Me Hoti Hain Aysi Koi Khatoon Hain Jo Kaam Karti Hain Ab Aap Ne Unki Salary Rakhi Hai Mahina 5 Hazaar Rupay Is Baar Aap Ne Kya Kiya Ki 10 Hazar Zakat Ke Taur Par Diye Aur Aap Ne Unse Kaha Ab Aap Mere Ghar Me 3 Ghante Aur Kaam Kar Dein Ya Woh Bartan Nahi Dhoti Thi, Kapde Nahi Dhoti Thi To Aap Ne Kaha Bartan Bhi Dho De Kapde Bhi Dho De To Ye Kya Ho Gaya Ki Aap Ke Zakat Dene Ke Badle Aik Tariqe Se Unse Additional Kaam Le Liya Bhale Aap Kah Rahe Hain Ki Zakat Ka Badla Nahi Hai Lekin Paisa Dene Ke Baad Aap Aik Amal Unse Extra Le Rahe Hain Na...
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-11)
To Zakat Kya Hai.!?
Ha'n Agar Salary Aap Ne Unki Badha Di Aur Woh Usme Aap Le Lete To Thik Hai Lekin Yahan Par Zakat Dene Ke Badle Aap Ne Kaha Ki Is Mahine Aap Kaam Thoda Zyada Kar Do To Fir Ye To Us Zakat Ka Badla Ho Gaya.
To Ye Thik Nahi Hai Aisa Nahi Kar Sakte.
To Jab Bhi Zakat Denge Sharaee Faqeer Ko Denge Aur Woh Musalman Ho Hashmi Na Ho Aur Usse Apna Nafa Apna Every Type Ka Benefit Aap Ko Cut Kar Dena Hai Koi Benefit Aap Usse Hasil Nahi Karenge Sirf AllaH Ta'ala Ki Riza Ke Liye Uske Diye Hue Maal Se Hum Apna 2.5% Maal Bataure Zakat De Rahe Hain
Abhi Isme Aik Aur Point Maine Kaha Sharaee Faqeer Ko (Tamleek) Malik Banana Zakaat Me Shart Hota Hai Agar Samne Wale Sharaee Faqeer Ko Aap Ne Malik Nahi Banaya To Aap Ki Zakat Ada Nahi Hogi.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-12)
Malik Banana Kaisa Hota Hai.!?
Ya'ani Ownership De Dena Usko Pura Uske Hath Me De Dena Jaise Maal Hai Mere Pass Ab Aik Sharaee Faqeer Hai Usko Paise Ki Zarurat Hai School Ki Fees Dene Ki Aysa Hota Hai Na Bahut Se Logo Ke Bachhon Ki School Ki Fees Kuch Log Zakat Ke Taur Par De Dete Hain To Ab Ho Kya Raha Hai Ki Bachhe Ko 50 Hazaar Ki Zarurat Hai School Ki Fees Dene Ki Kisi Ne Kaha Thik Hai Main De Deta Hun Aur Zakat Ki Niyat Karte Huwe Usne Fees De Diya School Me To Ab Kya Yahan Par Aap Ne Sharaee Faqeer Ko Paise Ka Malik Banaya Tha? Uske Ownership Me Aap Ne Diya Tha? Nahi Na Balki School Walon Ko De Diya School Walon Ko Malik Bana Diya To Ab To Zakat Ada Nahi Hui.
Agar Aap Ko Sharaee Faqeer Ko Zakat Deni Hai To Uske Hath Me De Den Usko Malik Bana Dein Ya Fir Uske Account Me Paise Dalwa Dein Jo Bhi Hai Uske Paas De Dena Zaruri Hai Aur Ye Bhi Zaruri Hai Woh Banda Samne Wala Malik Banne Ke Qabil Bhi Ho Sharaee Faqeer Hoga Aap Ne De Diya Thik Hai Woh Qabza Kar Lega Ye Sahi Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-13)
Malik Banana Kaisa Hota Hai.!?
Kabhi Kabhaar Baaz Log Zakat Aysi Cheezon Ke Liye Use Kar Rahe Hote Hain Ki Jisme Malik Banane Wala Concept Hi Nahi Paya Jata.
Jaise : Misal Ke Taur Par Zakat Se Masjid Bana Liya Madarse Bana Liye Koi Gareeb Inteqal Kar Gaya Hai Uske Tazheej O Takfeen Ke Liye Shadeed Hajat Hai Zakat Ke Paise De Diye, Fees Bhar Diya, Ya Fir Hospitals Me Payment Kar Diya Ye Sab Sooraton Me Malik Banane Wala Concept Hi Nahi Hai.
Masjid Koi Shakhs Hai Kya? Jo Woh Hath Me Pakad Kar Maal Aap Ko Kah Dega Ki Han Ye Maine Accept Kar Liya, Aysa Ho Sakta Hai Kya?
Nahii Na...!! Madarsa Bhi Koi Aysi Cheez Nahi Hai Ki Jisme Aap Malik Banane Wala Concept Dhond Sakte Hain.
Isme Fir Ye Hota Hai Ki Agar Aap Ko Madarse Ke Liye, Masjid Wagaira Ke Liye Zakat Deni Pad Rahi Hai To Fir Is Soorat Me Aap Ko Sharee Hila Ikhtiyar Karna Padega.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-14)
Sharaee Hila Kya Hota Hai.!?
Aap Kisi Sharaee Faqeer Ko Jo Ye Masa'le Wagaira Janta Ho Usko Samjhayen Ki Dekhiye Main Masjid Mein Paise Dena Chah Raha Hun Lekin Main Nahi De Pa Raha Hun Kyuki Ye Zakat Ki Raqam Hai Aur Zakat Ki Raqam Me Malik Banana Shart Hota Hai Na...
To Aap Us Sharaee Faqeer Se Kahenge Ye Raqam Main Aap Ko De Deta Hun Aap Iske Malik Hain Iske Baad Isse Aap Jo Chahe Use Kar Sakte Hain Lekin Aap Ki Badi Maherbani Hogi Agar Aap Ye Raqam Bataure Sadqa Masjid Me De Den Kyun Ki Masjid Ko Bahut Zarurat Hai To Ye Hoga Sharaee Hila Ki Aap Ne Raqam Sharaee Faqeer Ko De Diya Usne Qabza Kar Liya To Aap Ki Zakat Ada Ho Gai To Ab Woh Banda Masjid Ke Liye Bhi Dega To Masjid Ke Liye Bhi Use Ho Sakta Hai Ye Nafli Sadqa Hai Aur Nafli Sadqa Aap Masjid Mein Bhi Laga Sakte Hain, Madarse Mein Bhi Laga Sakte Hain Dono Jagah Par Bhi Use Kar Sakte Hain To Is Soorat Me Fir Aap Ki Zakat Ada Ho Jayegi To Ye Sharaee Hila Ikhtiyar Kiya Jata Hai
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-15)
Sharaee Hila Kya Hota Hai..!?
Lekin..!! Isme Shart Ye Hai Ki Samne Wale Ko Aap Properly Malik Bana Den Aur Lene Ke Baad Woh Sharaee Faqeer Pura Pura Ikhtiyar Rakhta Hai Chahe To Masjid Ko De Chahe To Woh Apne Paas Use Kare Misal Ke Taur Par Kisi Sharaee Faqeer Ke Paas Aap Gaye Aur Usse Kaha Ki Hila Karwana Hai Usne Kaha Thik Hai Lekin Fir Suddenly Uski Tabiyat Kharab Ho Gai Aur Uske Paas Paise They Usne Use Kar Liye Ilaj Ke Liye To Ab Aap Ye Nahi Bol Sakte Ki Aap Ko Masjid Me Dena Chahiye Tha Nahii Woh Uska Maal Hai Yahan Par Aap Bas Usse Request Kar Sakte They Ab Usne Apne Paas Rakh Bhi Liya Hai To Ye Uska Haq Hai Hum Kuch Nahi Bol Sakte.
Isiliye Sharaee Hila Karte Waqt Ayse Bande Ko Ikhtiyar Karen Jo Waqee Ye Masail Ko Samajhta Hai Janta Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-16)
Sharaee Hila Kya Hota Hai..!?
Umuman Koi Talibe Ilm Ho Ya Koi Aalime Deen Ho Jo Sharaee Faqeer Ke Jumre (Category) Me Aate Hon To Unke Zariye Aap Hila Karwa Sakte Hain Ki Woh In Masail Ko Zyada Samajhte Aur Jante Hain To Ye Kar Sakte Hain.
To Ye Hile Ka Aik Soorat Ho Gaya To Aap Ko Masjid Madarsa Me Agar Dena Hai To Fir Heela Kar Ke Dena Hoga Isi Tarah Agar Fees Wagaira Kisi Ko Pay Karni Hai Aur Aap Zakat Ke Zariye Kar Rahe Hain Ya Hospital Ke Bills Wagairah Aap Bhar Rahe Hain Aur Zakat Ka Paisa Hai To Direct Jake Aap Naa Pay Karen Jo Sharaee Faqeer Hai Uske Hath Me Paisa De Dein Usse Kahen Aap Pay Kar Den Agar Mareej Hai To Uske Hath Me De Den Jo Sharaee Faqeer Hai Aur Usse Kahen Ki Payment Kar Den, Aap Uske Sath Me De Den Bhale Fir Woh Mareej Aap Hi Ke Hath Mein Wapas Lauta De Ki Nahi Aap Mere Taraf Se Kar Do To Fir Chal Jayega No Problem Lekin Uske Hath Mein Aik Baar Dena Zaruri Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-17)
Zakat Kya Hai.!?
To Ye Ho Gaya Riza E Ilahi Ke Liye AllaH Ta'ala Ki Riza Hasil Karne Ke Liye Maal Ke Aik Fixed Hisse Ko 2.5% Ko Kisi Ayse Musalman Sharaee Faqeer Ko Malik Banana Jo Na Hashmi Ho Na Hashmi Ka Aazad Karda Gulam Ho Aur Us Maal Se Apne Nafa (Benefit) Ko Puri Tarah Se Alehda Karna Ye Zakat Hai.
To Ye Basic Definition Hai Zakat Ki Agar Isme Se Aik Point Bhi Idhar Udhar Ho Gaya To Woh Zakat Hi Nahi Kahlayegi Kyun Ki Definition Hi Puri Is Par Fit Nahi Ho Rahi.
Second Point Aap Yaad Rakhen Ki Zakat Ada Karte Waqt Zakat Ki Niyyat Hona Ye Zaruri Hota Hai Aik To AllaH Ta'ala Ke Riza Hasil Karne Ki Niyyat Second Zakat Ki Adaygi Ki Niyyat Hona Bhi Zaruri Hai Aysa Nahi Hai Ki Maal Aap Ne Utha Kar De Diya Aur Baad Me Soch Rahe Hain Are Isme Zakat Ki Niyyat Kar Leti Hoon Itne Logon Ko Maine Sadqa De Diya Ye To Sharaee Faqeer Hi Tha Ab Zakat Ki Niyyat Kar Leti Hoon Aysa Nahi Ho Sakta Zakat Ada Karte Waqt Zakat Ki Niyyat Hona Zaruri Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-18)
Abhi Isme Chand Points Hai Woh Aap Samajh Len Kab Kab Aap Niyat Kar Sakte Hain.!?
1. Agar Aap Zakat De Rahe Hain To Dete Waqt Bhi Zakat Ki Niyat Kar Sakte Hain Jo Generally Hota Hai Ki Koi Sharaee Faqeer Aaya Hai Ya Aap Uthkar Wahan Gaye To Aap Ke Dil Mein Niyat Hona Kafi Hai Zuban Se Bolna Duaae Padhna Ye Sab Zaruri Nahi Hai Aur Na Hi Dene Wale Ko Batana Zaruri Hota Hai Ki Ye Zakat Hai Balke Bahut Behtar Yahi Hai Ki Aap Bata Kar Na Dein Ki Ye Zakat Hai Haan Jo Sharaee Heela Wala Hai Uska Aik Alag Mamla Hai Iske Alawa Samne Walon Ko Gil Feel Karana Ki Ye Zakat Ki Raqam Hai Aur Usko Aik Tareeqe Se Yani Uska Self Respect Hart Ho Jata Hai Na To Ye Sab Cheezon Ka Khayal Rakhna Chahiye Tohfa Kah Kar Ya Jo Bhi Hai Aap Kah Kar Unko De Dein Zakat Kah Kar Na Dein Kyun Ki Jo Waqai Ayse Tabke Ke Hote Hain Ki Jo Khuddari Pasand Ke Hote Hain Na, Kisi Ka Maal Lena Nahi Chahte Woh Apni Zindagi Apne Balbute Par Jeena Chahte Hain Ayso Ki Madad Karni Chahiye Aur Bagair Bataye Karni Chahiye To Bahrhaal Niyat Aap Paise Dete Waqt Kar Sakte Hain Aap Dil Me Niyat Kar Len Ki Meri Zakat Hai Main Zakat Ki Niyat Kar Rahi Hun Aur Aap De Dein To Zakat Ada Ho Jayegi.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-19)
Abhi Isme Chand Points Hai Woh Aap Samajh Len Kab Kab Aap Niyat Kar Sakte Hain.!?
2. Aik Jagah Aur Aap Niyat Kar Sakte Hain Is Tarah Ke Kabhi Kabhaar Hota Aysa Hai Ki Log Kya Karte Hain Ki Jab Unka Date Hota Hai Na Zakat Nikalne Ka Woh Paise Calculate Kar Ke Nikal Kar Separate Rakh Dete Hain Ki Ye Zakat Ki Raqam Hai To Agar Aap Ne Paise Alag Kar Ke Rakkhe Hain Aur Isme Niyat Kar Li Ki Ye Zakat Ke Paise Hain To Dete Waqt Agar Aap Ne Niyat Na Bhi Ki Ho Tab Bhi Chal Jayega.
Misal : Ke Taur Par Kisi Ne Zakat Ki Raqam Nikal Li 50 Hazar Aur Apne Locker Me Rakh Li Ki Ye Zakat Ke Liye Hai Jab Bhi Koi Sharaee Faqeer Mere Ko Nazar Aayega Main Isse Nikal Kar De Dunga Ab Ayse Hi Hua Koi Gareeb Aaya Jisko Zarurat Thi Isko Utha Kar Aapne De Diya, Koi Gareeb Ladki Ki Shadi Thi Uske Liye Aap Ne De Diya To Ab Baar Baar Niyat Karne Ki Zarurat Nahi Hai Jab Aap Ne Separate Kar Liya Tha Tab Niyat Thi To Ye Niyat Kafi Ho Jayegi.
Han Aur Aik Question Ye Aata Hai Ke Jaise 50 Hazar Maine Locker Me Alag Kar Rakh Diye Ki Ye Zakat Ke Liye Hai To Kya Ab Woh Paise Hum Kisi Aur Cheez Ke Liye Use Nahi Kar Sakte, Usko Zakat Ke Liye Hi Dena Padega Kya??
Aysa Nahi Hai..!! Aap Use To Kar Sakte Hain Jaise Misal Ke Taur Par Abhi Aap Ne 50 Hazar Alag Kar Ke Rakh Diye Fir Suddenly Aysa Hua Ki 25 Hazar Ki Zarurat Hai Aap Ko Koi Kaam Ke Liye To Aap Ne Usi Se 25 Hazar Nikal Kar De Diya Aur Kaha Ki Baad Me 25,000 Main Bank Se Le Aa Kar Main Rakh Dungi To Ye Chal Jayega, Aysa Nahi Hai Ki Woh Paisa Aap Kisi Aur Propose Ke Liye Use Nahi Kar Sakte.
To Aap Niyat Se Alag Rakh Sakte Hain Aur Baad Me Bagair Niyat Ke Is Tarah De Diya To Thik Hai, Lekin Jab Tak Aap Woh Faqeer Ko Malik Nahi Banayenge Tab Tak Woh Maal Aap Ki Milkiyat Me Rahega Sirf Zakat Ke Paise Alag Kar Dene Se Zakat Ada Nahi Hoti Usme Malik Banana Zaruri Hai Na To Agar Aap Alag Kar Ke Rakhenge To Niyat Ke Taur Par Ho Jayega Ki Alag Hai Lekin Isse Zakat Ada Nahi Hoti
Aur Agar Aap Ke Dates Cross Ho Gaye Yani Itne Din Is Date Par Aap Par Zakat Farz Ho Gai Fir Us Din Aap Ko Nikalna Padega, Sirf Paise Nikal Kar Locker Me Alag Rakh Diye Ek Mahina Guzar Gaya 2 Mahina Guzar Gaya To Isme Aap Gunahgar Honge Kyunki Zakat Farz Ho Chuki Hai Adaygi Bhi Farz Ho Chuki Hai Aap Par Lazim Ho Chuka Hai Ki Ada Karna To Fir Dena Padega Sirf Alag Kar Ke Rakh Dene Se Banda Gunah Se Nahi Bach Sakta Isme Woh Gunahgar Hoga.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-20)
Abhi Isme Chand Points Hai Woh Aap Samajh Len Kab Kab Aap Niyat Kar Sakte Hain.!?
3. Kabhi Kabhaar Aysa Ho Jata Hai Ki Aap De Dete Hain Yaad Nahi Rahta Bekhaayali Mein Paise De Diye Ya Fir Dene Ke Baad Aysa Feel Hua Ki Ye To Sharaee Faqeer Hai Isme Main Zakat Ki Niyat Kar Sakti Thi Aysa Ho Jata Hai Na... To Is Soorat Me Aik Option Hai Ki Agar Aapne Samne Wale Sharaee Faqeer Ko Paise De Diye Aur Woh Abhi Usne Use Kharch Nahi Kiye Uske Pass Maujud Hai Kharche Nahi Kiya Hai To Ab Bhi Aap Zakat Ki Niyat Kar Sakte Hain Ye Aik Aap Ke Liye Aasani Hai
Misal : Ke Taur Par Mere Ghar Me Aik Kaam Wali Hai Maine Usko 25,000 Rupay De Diye Kyun Ki Usko Zarurat Thi Ghar Par Bachhe Bimar Hain To Maine 25 Hazaar De Diye, Ab Maine Socha Ki Ye To Sharaee Faqeer Hai Main Isme Zakat Ki Niyat Kar Leti To Ab Woh Ghar Se Bahar Gai Uske Paas Maujud Hai 25,000 To Ab Main Niyat Kar Sakti Hu Ki Ye Mere Zakat Ki Raqam Hai To Ye Thik Hai.
Aur Agar Aysa Hua Ki 4 Din Baad Maine Niyat Ki Aur Pata Chala Ki Woh Already Usne 25,000 Kharch Kar Diye To Ab Zakat Ki Niyat Nahi Ho Sakti.
To Ye 3 Places Hain Jab Aap Zakat Ki Niyat Kar Sakte Hain.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-21)
Zakat Kis Par Farz Hoti Hai Ya Zakat Ke Sharait Kya Hain.!?
Isme Taqriban 10 Sharte Aati Hain Jis Bande Ya Bandi Me Ye 10 Cheeze Pai Jayengi Na, Us Par Zakat Farz Hoti Hai Yani Use Apne Maal Ki Zakat Deni Hogi Aur Jisme Ye 10 Conditions Me Se Aik Condition Bhi Missing Hogi To Us Bande Par Sire Se Zakat Hi Farz Nahi Hogi, Jaise Namaz Hai Na Namaz Ko Ada Karne Ke Liye 6 Sharait Hote Hain Ki Jab 6 Sharte Puri Hongi Tab Aap Namaz Ada Kar Sakte Hain, Isi Tarah Zakat Ki Farziyat Ke Liye 10 Sharte Hain Jis Musalman Me Ye 10 Sharte Payi Jayengi Us Par Zakat Farz Hai Aur Usko Zakat Ada Karni Padegi Aur Agar Aik Condition Bhi Miss Ho Gaya Fir Zakat Farz Hi Nahi Hogi Ye 10 Conditions Important Hain Inko Aap Zahen Me Rakkhen Aur By Heart Kar Len Ki Farz Uloom Ke Ahem Tareen Hisse Me Se Hai Ye, Aur Ye Aap Ko Yaad Hone Chahiye.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-22)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
① Musalman Hona : Zakat Musalmano Par Farz Hoti Hai Kafiro Par Nahi, Murtad Par Nahi.
② Aaqil Hona : Yani Aqal Wala Hona Jo Pagal Hota Hai Uske Paas Agar Maal Ho Bhi Apna To Us Par Zakat Nahi Banti.
Lekin..!! Bahut Se Log Ye Gaire Aaqil (Pagal) Jo Hota Hai Ye Har Kisi Ko Samajhte Hain Ye Ki Pagal Hai Iske Upar Zakat Nahi Hogi Is Tarah Ka Aik Situation Hota Hai... Aysa Nahi Hai
Ye Majnoon (Pagal) Usko Kahte Hain Ki Bilkul Jiski Aqal Kaam Na Kare Aur Woh Hota Hai Ki Kisi Ko Bhi Mare Pite Raste Me Patthar Vagairah Feke Aur Galiyan De To Aysa Shakhs Majnoon Ki Category Me Aata Hai Aur Agar Isse Kam Darze Ka Ho To Baaz Sooraton Me Zakat Farz Ho Sakti Hai Ab Ye Jo Bhi Banda (Majnoon) Hoga Uske Medical Condition Par Depend Karta Tha To Us Hisaab Se Puchh Kar Maloom Kar Len Ki Is Par Zakat Banti Bhi Hai Ya Nahi, Kuch Log Thode Time Ke Liye Thik Rahte Hain Thode Time Ke Baad Unki Aqal Chali Jati Hai Fir Aati Hai Is Soorat Me Bhi In Cases Me Bhi Baaz Soorton Me Zakat Banti Hai.
Isi Tarah Kuch Log Kam Aqal Hote Hain Aysa To Sab Kaam Karte Hain Lekin Unki Aqal Kam Hoti Hai Kuch Azeeb Azeeb Cheezen Bahki Bahki Batein Karte Hain Gali Dena Marna Peetna Nahi... Normal Hi Lekin Bahki Bahki Bate Kam Aql Hote Hain Ki Aik Age Ke Baad Log Bhoolne Lag Jate Hain To Is Tarah Ke Issues Hote Hain To Inko Bhi Log Paglo Ke Category Me Daal Dete Hain Aysa Nahi Hai.
Pagal Jis Par Zakat Farz Nahi Hai Woh, Woh Hai Ki Jiska Mental Health Bilkul Hi Disturb Ho Aur Maarna Peetna Galiyan Dena Patthar Fekna Is Tarah Ki Harkaten Karta Ho Aysa Pagal Ho To Us Par Zakat Farz Nahi Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-23)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
③ Balig Hona : Nabalig Par Zakat Farz Nahi Hai Nabalig Ke Paas Personal Chahe Kitna Bhi Maal Ho Caroro Ka Maal Ho Nabalig Par Zakat Farz Nahi Hoti Chahe Kitna Hi Sona Kyun Na Ho, Chandi Kyun Na Ho, Property Kyun Na Ho, Kuch Bhi Ho Chahe, Nabalig Bachhon Par Zakat Farz Nahi Hai.
Kabhi Kabhaar Eidi Jama Kar Lete Hain Bachhe Aur Kafi Had Tak Jama Hoti Hai Ya Fir Jab Bachhiyan Payda Hoti Hain To Unko Gift Wagairah Aate Hain To Kabhi Sona Aa Jata Hai Kabhi Chandi Aa Jati Hai Cash Aa Jata Hai To Ye Bachhon Ka Maal Hai Walidain Ke Use Ke Liye To Waise Bhi Nahi Hai Bachhon Ka Hi Hai Aur Bachhe Hi Isko Use Kar Sakte Hain.
Ye Bhi Bahut Se Walidain Isme Apne Bacchon Ke Huqooq Me Mubtla Hote Hain Jara Iski Bhi Main Wajahat Karti Chalu Ki Jo Bachhe Ka Maal Hota Hai Woh Us Bachhe Ka Hi Hota Hai Walidain Bhi Us Bachhe Ke Maal Ko Use Nahi Kar Sakte Aur Nabalig Ke Mumle Me To Zyada Ehtiyat Baratni Hai Kyun Ki Nabalig Agar Ijazat De De Tab Bhi Aap Use Nahi Kar Sakte To Jo Walida Bachho Ki Eidiyan Jama Kar Ke Fir Woh Personal Use Me La Rahi Hain Apne Use Me.. Beta Thik Hai Abhi Mere Paas Hai Fir Baad Me De Dungi Is Tarah Kah Kar Khud Use Kar Leti Hain Woh Sakht Gunahgar Hain Un Par Lazim Hai Apne Bachhon Ke Utne Paise Wapas , Kar Dein Ya Fir Muaf Karwa Len, Agar Nabalig Hain To Muaf Karne Ka Haq Bhi Nahi Rakhte Balig Hone Ke Baad Hi Muaaf Kar Sakte Hain.
Han Ye Ho Sakta Hai Ki Jo Aap Ke Bachhon Ka Maal Hai Woh Maal Se Aap Bachhon Par Kharch Kar Den Ye Thik Hai Jaise Eidi Ke Paise Aa Gaye Usi Eidi Ke Paiso Se Aap Ne Bacchon Ko Koi Toys Dilwa Diye Kapde Dilwa Diye Khane Pine Ke Saman Dilwa Diye School Fees Payment Kar Diye Ye Sab Thik Hai Ki Aap Ne Woh Paise Bachho Par Hi Kharch Karna Hai Personal Jo Kar Rahe Hain Na Ye Galat Hai Ye Nahi Kar Sakte To Nabalig Ke Paas Agar Woh Maal Hai To Uska Apna Hai Aur Chuke Woh Nabalig Hai Us Par Zakat Farz Nahi Hogi, Han Balig Hone Ke Baad Agar Dusri Conditions Payi Jati Hain To Fir Balig Hone Par Zakat Farz Ho Jayegi.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-24)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Yahan Par Aik Sawal Ye Aata Hai Ki Kabhi Kabhaar Walidain Bacchon Ke Liye Sona Le Lete Hain Specially Girl Ke Liye Ki Ye Badi Ho Jayengi Na Fir Hum Isko Shadi Ke Waqt De Denge To Is Sone Ka Hum Kya Karen, Is Par Zakat Nikalen Ya Na Nikalen Ye Doubt Hota Hai.!?
To Dekhiye In Tamam Situation Me Paisa Ho Property Ho Jo Bhi Maal Aap Le Len Isme Simple Rule Yahi Hai Ki Ye Maal Bachhe Ki Milkiyat Me Hai Ya Malik Ki Milkiyat Me? Simple Example Ke Liye Main Sona Le Leti Hun 5 Tola Sona Hai Bachhi Ke Naam Se Le Kar Rakha Hai, Naam Se Le Kar Rakhna Aik Alag Cheez Hai Aur Bachhi Ke Liye Hona Ye Aik Alag Cheez Hai.
Agar Aap Ne Woh Sona Le Liya Hai Aur Ye Socha Hai Ki Abhi Malik Main Hi Hun Kabhi Maa Bhi Pahen Rahi Hai Aur Soch Rahi Hai Ki Shadi Ke Moke Par Main Bachhi Ko De Dungi To Abhi Aap Ne Bachhi Ko Malika Nahi Banaya Usko Ownership Nahi Diya Iska Matlab Hai Ye Aap Ki Milkiyat Me Hai Aur Is Sone Ki Zakat Aap Ada Karenge Agar Maa Ki Milkiyat Me Hai To Maa Ada Karegi Agar Baap Ne Le Kar Apni Milkiyat Me Baki Rakha Hai To Baap Ada Karega To Ye Sona Lene Karne Me Bhi Soch Lein Ki Kiski Milkiyat Hai Kya Hai Pura Soch Samajh Kar Kare Us Hisab Se Fir Zakat Ada Karni Hai, Aur Agar Le Kar De Diya Jaise Chhoti Chhoti Bachhiyo Ko Chain Wagairah Pahna Dete Hain Unki Milkiyat Mein Bhi De Dete Hain To Ye Ab Bachhi Ka Hai Aur Ab Ye Bachhi Ka Hai To Is Par Zakat Nahi Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-25)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Ab Kuch Log Hosiyari Wale Kaam Karte Hain Na To Woh Sochte Hain Zakat Se Bachne Ke Liye Heele (Bahane) Chahiye Bas معاذ الله Yani Jis Rab Ta'ala Ne Maal Diya Hai Jiske Rahem Se Hame Maal Mila Hai Aur Jiska Maal Hai, Maal Kya Hum Pure Sarapa Usi Rab Ke Hain Uske Maal Se Zakat Ada Karne Me Yani Logo Ko Hile Bahane Chahiye Hote Hain Badi Galat Baat Hoti Hai.
Log Kya Karte Hain Sochte Hain Ki Nabaligh Par To Zakat Wajib Nahi Hai Aik Kaam Karte Hain Ye Sona Mera Jo Bhi Hai Main Meri Bachhi Ko Gift Kar Deti Hun Kar Ke De Deti Hain Maaye Apna Haar Vagairah Utha Kar De Deti Hain Aur Zakat Se To Chale Aap Ne Apna Pichha Chhuda Liya Sharaee Lehaz Se Yani Ye Rules Ke Hisab Se Warna AllaH Ta'ala To Dilon Ke Haal Ko Bakhubi Janne Wala Hai Agar Aap Ne Zakat Se Bachne Ka Hila Kiya Hai Iske Liye Ye Najayez Hila Kara Hai To Zaroor Aap Gunahgar Honge Aur Goya Ki Aap AllaH Ta'ala Ko معاذ الله Dhoka De Rahe Ho To Iska Jawab Fir Banda Qayamat Ke Din Zaroor Dega To Hume Darna Chahiye.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-26)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Aur Fir Maaye Sochti Hain Ki Bachhe Ke Naam Par Hum Gift Kar Diye Chale Ab Zakat Nahi Deni, Thik Hai Zakat To Aap Nahi De Sakte.
Lekin..!! Yaad Rakhen Ki Ye Zewar Ab Aap Use Bhi Nahi Kar Sakte Kyunki Bachhe Ka Ho Gaya Aur Maine Bataya Na Ki Jo Cheez Bachhe Ki Hoti Hai Woh Cheez Maa Bhi Use Nahi Kar Sakti Baap Bhi Use Nahi Kar Sakta Han Iski Bahut Sakht Zarurat Ki Koi Soorat Aa Jaye To Woh Soorat Hoti Hai Ki Jab Walidain Bachhon Ke Maal Mein Se Kuch Le Sakte Hain Bahut Sakht Soorat Hai Normally Ab Funtions Par Jana Hai To Ye Nahi Hai Ki Bachhe Ke Naam Par Rakh Diya Ab Main Use Kar Lun? Nahi Use Kar Sakti Aap Dekhiye Bahut Zarurat Pesh Aa Gai Bechne Ki Zarurat Aa Gai Tab Bhi Aap Nahi Bech Sakte Kyun.? Ki Nabalig Ka Maal Hai..!!
To Fir Isme Phas Jate Hain
To Agar Nabalig Ko De Diya Hai Fir Woh Uska Ho Gaya Ab Usko Bhool Jaye Ab Aap Use Nahi Kar Sakte Aur Us Par Zakat Bhi Nahi Banegi Aur Agar Aap Hi Ki Milkiyat Me Hai To Fir Jiski Milkiyat Me Hai Maa Ki Milkiyat Me Hai To Maa Zakat Ada Karegi Baap Ki Milkiyat Me Hai To Baap Zakat Ada Karega.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-27)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Nabalig Bachhon Ke Sona Chandi Hi Nahi Har Cheez Ke Bare Me Yahi Hukum Hota Hai Kapde Ho Ya Unke Toys Ho Jo Bhi Mamlaat Hain Inke Apne Hain Aur Hamare Yahan Kya System Hota Hai Aik Nabalig Ko Koi Cheez Hamne Le Li Woh Cheez Hum Bachhe Ko Gift Karne Ke Wabjud Fir Unke Chhote Bhai Bahno Ko Bhi Use Karate Hain Ye Bhi Galat Hai.
Ya To Fir Aap Apni Milkiyat Me Rakhen Jaise Aik Pot Kisi Ne Le Liye Jhule Vagairah Hote Hain Na Umuman Ye Kya Karte Hain Aik Bhai Behen Ke Baad Next Bhai Behen Use Kar Raha Uska Next Bachha Use Kar Raha Hai To Isme Walidain Apni Milkiyat Me Rakh Len Ki Ye Jhoola Mera Hai Aur Mere Jitne Bachhe Honge Unke Liye Main Use Karunga Ya Chahe To Bech Dunga Is Tarah Kar Le To Thik Hai Lekin Agar Khaash Bachhe Ke Liye Hai To Fir Aap Use Nahi Kar Sakte.
Jaise Gift Aate Hain Aur Gift La Kar Dene Wala Bachhe Ki Niyat Se Hi Deta Hai Walidain Ki Niyat Se Nahi Deta الا ما شاء الله Ki Usko Woh Masail Maloom Hon Jaise Hum Karte Hain Naa To Hamko Pata Hai Ye Masail Pesh Aate Hain Aur Samne Wala Kuch Bhi Kar Sakta Hai Ho Sakta Hai Kisi Aur Ko Gift Utha Kar De De Ho Sakta Hai Next Bachhe Ke Liye Use Kar Le Fir Hum Unke Walidain Ki Niyat Se Gift Dete Hain Unke Walidah Ke Hath Me Ja Kar Gift De Dete Hain Aur Kahte Hain Ye Aap Ke Liye Hai Fir Woh Jo Chahen Isse Karen, Ye Soorat Isliye Ikhtiyar Karte Hain Ki Samne Wala Gunahgar Na Ho To Ye Karen Bachhe Ke Walidain Ko Hi Ja Kar De Den.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-28)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Ab Aik Bachhe Ke Liye Gift Aaya Hai To Woh Next Bachhe Ke Liye Use Nahi Ho Sakta Agar Aapko Use Karna Bhi Hai To Fir Jaise Kuch Cheezen Aysi Hoti Hain Kapde Vagairah Chhote Hain Rakh Kar Woh Kharab Ho Jayenge, Khane Pine Ka Saman Hai Chocolate Vagairah Aa Gaye.
Ab Isko Rakhenge To Expire Ho Jayenge To Is Soorat Me Kya Kiya Jayega.!?
Is Soorat Me Agar Aap Ko Nabalig Ke Maal Ka Use Karna Hi Pad Raha Hai To Fir Kya Karen Ki Filhaal Us Cheez Ki Jitni Bhi Rs. Ho Woh Bachhe Ke Maal Me Paiso Me Shamil Kar Len Aur Woh Bachho Ko Use Kare Jaise Misal Ke Taur Par Jhoola Pada Hua Hai Aise To 2 Hazar Ka Hai Lekin Abhi Market Me Iski Rate 4-5 Sao Ki Hogi, To 500 Rupay Bolen Ki Ye Mere Bachhe Ka Maal Hai Nabalig Ka Maal Hai Aur Fir Aap Woh Jhoola Goya Ki Aap Ne Usse Khareed Liya Ab Aap Use Kar Sakte Hain Next Bachhe Ke Liye Use Kar Len, Bech Den Jo Bhi Aap Karna Chahen Kar Sakte Hain Ye Khayal Rakhna Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-29)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Aik Sawal Hai Ki Ghar Kharch Ke Liye Nabalig Bachhe Ka Maal Le Sakte Hain Ya Nahi.!?
Nahi Ghar Kharch Ke Liye Aap Nahi Le Sakte Nabalig Ka Maal Kaise Le Sakte Hain..??
Unke Personal Kharche Ke Liye Aap Le Sakte Hain Maine Kaha Na Unke Khane Pine Ki Cheezen, School Books, Uniform Wagaira Aap Le Sakte Hain, Lekin Aap Ke Ghar Kharche Ke Liye Ki Aap Bole Ki Bijli Ke Liye Bhi Le Lun Us Kharche Ke Liye Bhi Le Lun To Aysa Aap Nahi Kar Sakte.
To Ye Ho Gaya Ki Nabalig Ki Milkiyat Me Jo Bhi Maal Hoga Us Par Zakat Farz Nahi Hai,
Han..!! Balig Hone Ke Baad Farz Ho Jayegi Agar Woh Sabhi 10 Sharten (Conditions) Pai Jayen To.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-30)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Kuch Bachhe Ayse Hote Hain Na Ki Bachpan Se Specially Girls Sona Chandi Le Kar Unko De Dete Hain Walidain Unke Milkiyat Mein Bhi De Dete Hain Jaise Paer Ke Chain Vagairah Hain, Chudiyan Hain, Kaan Ki Baaliyan Hain Ye Sab Cheeze Chhoti Chhoti Le Kar Rakh Dete Hain Aur Fir Woh Bachhon Ki Milkiyat Me Hoti Hai To Ab To Bachhi Ke Upar Zakat Farz Nahi Hoga.
Lekin Balig Jaise Hi Ho Jayegi Us Par Zakat Farz Hoti Jayegi Yani Jaise Hi Balig Ho Jayegi Woh Sahibe Nisab Mani Jagegi Aur Next Year Fir Us Par Zakat Farz Ho Jayegi To Is Mein Fir Jab Bachhi Balig Ho Rahi Hai Agar Bachhi Ke Paas Sona Vagairah Maujod Hai Jis Par Zakat Ban Sakti Hai To Fir Us Bachhi Ke Bulugat Ki Date Lazmi Lazmi Note Kar Len English Date Nahi Arabic Date Kyun Ki Zakat Ki Farziyat Me Hum Arabic Date Ke Lehaz Karte Hain, English Date Ka Nahi To Jab Bachhi Baliga Ho Rahi Hai Woh Note Kar Len.
Bahut Si Cheezon Me Ye Bulugat Ka Date Kaam Aata Hai Namaz Ka Hisab Lagana Hai, Haiz O Nifas Ka Hisab Lagana, Rozon Ke Farziyat Ka Hisab Lagana Jo Bhi Hai Isme Woh Kaam Aata Hai Hajj Ki Farziyat Ka Dekhna, Zakat Ki Farziyat Ka Dekhna Ye Tamam Cheezon Ke Liye Bulugat Ka Date Important Hai To Aap Ki Jo Chhoti Bachhiyan Hain Ya Bachhe Hain Jo Bhi Hain Unke Bulugat Ka Date Note Kar Len Aur Arabic Date Note Kar Ke Rakhen Ki Ye Time Ko Bachha Ya Bachhi Baliga Hui Thi To Ye Khayal Karna Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-31)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Ab Aate Hain Zakat Ki Sharait Par 10 Sharait Chal Rahi Thi Na... ¹Musalman Hona, ²Aaqil Hona, ³Balig Hona Chatha Point Hai ⁴Aazad Hona.
④. Aazad Hona : Abhi Aaj Kal To Sabhi Aazad Hain Pahle Ke Zamane Mein Gulamo Ka Daur Tha To Gulamo Par Zakat Farz Nahi Hoti Ab Sab Aazad Hain Ye Condition Sab Par Fit Hoti Hai.
⑤. Sahibe Nisab Hona : Zakat Ka Jo Nisab Hai Iska Malik Hona Zaruri Hua.
Ab Zakat Ke Nisab Me Kya Cheez Hai.!?
Zakat Ke Nisab Mein Points Aap Ko Dekhne Hain : Agar Kisi Ke Paas Sirf Aur Sirf Sona Hai Koi Aur Maal Hai Hi Nahi Ye Soorat Bahut Difficult Hai Aysa Nahi Hai Ki Impossible Hai, Sone Ke Sath Kuch Na Kuch Cash, Kuch Na Kuch To Hota Hi Hai Bande Ke Paas.
Lekin Bilfarz Agar Kisi Bande Ke Paas Sirf Aur Sirf Sona Hai To Nisab Hai 7.5 Tola Sona, Sirf Aur Sirf Chandi Hai To 52.5 Tola Chandi, Cash Hai Currency Hai Achha Ye Currency Koi Bhi Soorat Me Ho Sakti Hai Cash Yani Note Ho Sikkon Ki Soorat Mein Ho prize Bonds Ho Bank Mein Pade Ho Kuch Bhi Ho Agar Aap Ki Milkiyat Me Paisa Hai To Paisa Koi Bhi Soorat Me Ho Sakta Hai Cash Me Ho, Aap Ke Google Pay Account Mein Ho, Bank Me Ho Kisi Bhi Soorat Me Ho Agar Itna Maal Hai Jisse Aap 52.5 Tola Chandi Khareed Sakte Hain 52.5 Tola Chandi Ka Rate Aap Nikal Len Kitna Hai Misal Ke Taur Par 50 Hazaar Hai (2024 Me) Jiske Paas Cash Ki Soorat Mein Prize Bonds Ki Soorat Me Account Ki Soorat Me Jo Bhi Hai Agar Paise Maujod Hain Aur Woh Paise Uske Hajate Asliya Se Zyada Hai Yani Is Month Ke Expenses (Hajate Asliya) Se Zyada Hai Takriban 50 Hazar Tak Pahoch Rahe Hain To Fir Zakat Farz Ho Jayegi.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-32)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Expenses (Hajat E Asliya) Wala Nikal Dein.
Misal Ke Taur Par Meri Salary Aai Hai Mere Account Mein Is Baar Aik Laakh Ab Isme Se To 70 Hazar Mera To Ghar Ka Rent Hai Aur Khane Pine Ka Kharcha Hai Aur Ye Sab Hai Current Bill Hai, Gais Bill Hai, Pani Ka Bill Hai Jo Bhi Hai Ye Sab Nikalne Ke Baad 70 To Mera Expense Hi Hai Bhale Aik Lakh Pade Hain To Kya Main Bolungi Ki Zakat Farz Ho Jayegi? Nahi.!!
Aik Lakh Mein Se Sabse Pahle Aap Ye Sab Cheezen Nikalen Jo Zarurat Ki Hai Jisme Rent Aate Hain Aur Bills Vagairah Aate Hain Jo Bhi Cheeze Hain ان شاء الله Aage Fir Isko Hum Detail Me Lenge Kya Kya Cheezen Expenses Mein Aati Hain Ye Sari Expenses Minus Karne Ke Baad Dekhenge Ki Cash Kitna Hai To Aik Lakh Me Se 70 Hazar Nikal Den 30 Hazar Bachen Na, To Ye 30 Hazar Mera Addisnol Hai To Kya Ye Nisab Tak Pahuchta Hai Ya Nahi.
Nisab Aap Ko Example Ke Taur Par Kitna Kaha 50 Hazar, Woh 30 Hazar 50 Hazar Se Kam Hai Na..To Bhale Meri Salary Aik Lakh Rupay Hai Bakiyon Ko To Lag Raha Hai Waah Baji To Bada Kama Rahi Hain Lekin Chuki Meri Expenses Itna Hai Nikalne Ke Baad Mujh Par Zakat Farz Nahi Hogi Kyun Ki Bach Rahe Hain Kitne 30 Hazar... To Ye Misal Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-33)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Currency Ho Ya Fir Bank Mein Ho Jo Bhi Soorat Me Agar Aap Ke Paas Paise Hain To Iski Qeemat Nisab Tak Pahuchti Hai Ya Nahi Yani 52.5 Tola Chandi Ki Jo Valuation Hai Itna Pahuchta Hai Ya Nahi Agar Is Valuation Ko Pahuchta Hai To Fir Zakat Farz Hai Warna Nisab Complete Nahi Hoga, Aur Agar Paise Nahi Hain Maale Tijarat Hai.
Maale Tijarat Ki Definition Kya Hai.!?
Woh Cheezen Jo Aap Ne Bechne Ki Niyat Se Khareedi Ho Aur Ab Bhi Bechne Ki Niyat Baki Ho To Woh Cheez Maale Tijarat Kahlati Hai Achhi Tarah Zahen Mein Rakhen Isse Bhi Bahut Sare Zakat Ke Masail Nikalte Hain.
Jaise Kisi Ke Medicine Ki Shop Hai Medical Store Hai Wahan Par Uski Kafi Dawaiyan Padi Hain Ye Maale Tijarat Hai Kyun? Kyuki Woh Itne Sare Medicine Khareede Hain Woh Kis Liye Kharide Hain? Khareedte Waqt Uski Niyat Ye Thi Na Ki Main Usko Bechunga, Bech Kar Paise Kamaunga Correct To Ye Bechne Ki Niyat Se Khareede Hain Aur Ab Bhi Bechne Ki Niyat Se Hi Rakhen Hain To Ye Maale Tijarat Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-34)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Agar In 2 Point Mein Se Aik Bhi Nikal Gaya Na To Yaad Rakhen Ye Maale Tijarat Me Aa Hi Nahi Sakta Kya Tha? Bechne Ki Niyat Se Khareeda Tha Iska Matlab Kya Hua Bechne Ki Niyat Se Nahi Khareeda Tha Khareed Liya Aur Fir Socha Ki Ab Bhechenge.
Jaise : Misal Ke Taur Par Aik Flat Khareeda Tha 70 Laakh Ka Khareedte Waqt Niyat Ye Thi Ki Bahut Achha Area Hai Main Yahan Rahunga Fir Suddenly Maloom Hua Ki Is Area Ka Rate Achha Badh Raha Hai Ab Bechungi To Flat Aik Crore Ke Kareeb Ka Bik Raha Hai To Ab Bech Dungi Ye Niyat Karli To Becha Abhi Nahi Hai Abhi Paas Hai To Kya Is Flat Par Zakat Farz Hogi? Nahii, Kyuki Ye Maale Tijarat Hai Hi Nahi Aap Ne Isko Bechne Ki Niyat Se Khareeda Hi Nahi Tha Tijarat Ki Niyat Se Khareeda Nahi Tha To Fir Ye Maale Tijarat Count Nahi Hogi.
Aur Second Condition Agar Woh Nikal Den Jaise Misal Ke Taur Par Maine Koi Cheez Khareedi Bechne Ke Liye Lekin Ab Bechna Nahi Hai Misal Ke Taur Par Wahi Flat Le Len 70 Lakh Ka Maine Flat Liya Niyat Ye Thi Ki Isko Bechengi Rate Bahut Achha Aa Raha Hai, Lekin Baad Me Aysa Laga Ki Nahi Ab Main Rent Me Rah Rahi Hun Isi Mein Rah Lun Area Bhi Achha Hai Sab Achha Hai To Niyat Badal Gai Khareeda To Tha Bechne Ke Liye Lekin Ab Niyat Badal Gai To Ab Woh Cheez Bhi Maale Tijarat Nahi Rahi.
To Maale Tijarat Woh Cheezen Hoti Hain Jo Aap Ne Tijarat Ki Niyat Se Khareedi Hai Tijarat Ki Niyat Se Khareedna Ye Zaruri Hai Khud Ba Khud Aap Ko Aa Gai Jaise Misal Ke Taur Par Aap Ko Kisi Ne Gift Kar Diya Aap Ki Walida Ne Aap Ko Aik Plot Gift Kar Diya Unke Paas Thi Unho Ne Socha Ki Beti Ko Gift Kar Deti Hun Aur Beti Ko Gift Kar Diya To Ab Woh Soch Rahi Hai Main Ye Plot Bech Dun To Ye Bhi Maale Tijarat Nahi Hai Kyun..?? Kyuki Aap Ne Khareeda Hi Nahi Hai Aap Ke Paas Bature Gift Aai Hai To Ye Soorat Hai To Maale Tijarat Woh Hai Ki Jo Cheez Aapne Bechne Ki Niyat Se Khareedi Hai Ab Bhi Niyat Aap Ki Baki Hai To Fir Woh Maale Tijarat Hoga.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-35)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Ab Zakat Ke Nisab Ki Taraf Wapas Aa Jayen.
1. Sirf Aur Sirf Sona Hai To 7.5 Tola. Aur
2. Sirf Chandi Hai To 52.5 Tola Chandi.
3. Cash Hai To Jo Additional Hai Hajat E Asliya (Expenses) Se Jada Hai Aur Uski Valuation 52.5 Tola Chandi Tak Pahuchti Hai Ya Fir Aap Ke Paas Maale Tijarat Hai Jiski Valuation 52.5 Tola Chandi Tak Pahoch Rahi Hai Maale Tijarat Jaise Ki Maine Medicine ki Example Le Li Jisme 50 Hazaar Ya Isse Jada Ka Maal Pada Hua Hai Bechne Ka To Fir Ayse Bande Par Zakat Farz Ho Jayegi.
4. Ya Fir Sab Mein Se Ya Koi Cheez Me Se Mix Ho Sirf Sona Nahi Hai Sirf Chandi Nahi Hai Sirf Cash Nahi Hai Iske Sath Dusri Cheezen Bhi Hain... Sona-chandi Hai, Chandi-Maale Tijarat Hai, Chandi-Cash Hai, Sona-cash Hai Is Tarah Ki Koi Bhi Soorat Ho 2 Hon Teen Hon 4hon Agar Mixture Mein Bhi Hai Fir Inke Total Valuation Nikalen Kitna Ban Raha Hai Aur Woh Valuation Ko Compare Karen Ki Ye 52.5 Tola Chandi Ki Qeemat Ko Pahuchta Hai Ya Nahi 50 Hazaar Bante Hain Ya Nahi, Banta Hai To Fir Zakat Farz Warna Fir Zakat Farz Nahi.
Ye 👆Zakat Ka Nisab Hai..Sadqa E Fitr Ke Nisab Mein Farq Tha Qurbani Ke Nisab Main Farq Tha Kya Farq Tha?? Wahan Par Humne Hajate Asliya Se Jada Cheezon Ko Bhi Dekha Tha Na.. To Agar Woh Hai To Tab Bhi Sadqa E Fitr Aur Qurbani Wajib Hai, Lekin Zakat Mein Woh Nahi Hai.
Zakat Mein Sirf 4 Points Hai Sirf Sona Ho To 7.5 Tola Sona, Sirf Chandi Ho To 52.5 Tola Chandi, Sirf Currency Ho Ya Sirf Male Tijarat Ho To Unki Valuation 52.5 Tola Chandi Ki Qeemat Ko Pahunchti Hai Ya Nahi Pahunchti Hai To Zakat Farz Warna Nahi Aur Agar Mix Mein Bhi Hai To Total Valuation Nikal Kar Dekhen 52.5 Tola Chandi Ki Qeemat Ko Pahunch Rahi Hai Ya Nahi Agar Pahunch Rahi Hai To Zakat Farz Warna Zakat Nahi.
To Agar Pahuch Rahi Hai Matlab Aap Sahibe Nisab Hain Aap Ke Paas Zakat Ka Nisab Maujud Hai Ye Aik Condition Satisfy Hoti Hai Woh Jo 10 Sharait Hain Na Unme.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-36)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Hajate Asliya Kahte Kise Hain.!?
Hajate Asliya Woh Cheezen Hoti Hain Ki Jinke Begair Aap Apni Zindagi Guzar Hi Nahi Sakte Ya Guzar To Sakte Hain Lekin Aap Bahut Zyada Pareshani (Difficulty) Mein Mubtla Ho Jayenge Isko Kahte Hain Hajate Asliya.
Hajate Asliya Hai Ya Nahi Is Ko Samjhne Ke Liye Maine Aap Ko Bahut Hi Aasan Sa Rule Bata Di Woh Cheez Agar Aap Jisko Aap Consider Kar Rahe Hain Ki Hajate Asliya Hai Ya Nahi Us Cheez Ko Us Bande Ke Zindagi Se 2-3 Mahine Ke Liye Nikal Kar Dekhen Ki Woh Zindagi Kaise Guzar Pa Raha Normally Uski Zindagi Guzar Pa Rahi Hai Bina Kisi Pareshani Ke To Woh Hajate Asliya Nahi Hai Zyada Hai Zindagi Ko Aasan Banane Ki Aik Aur Cheez Hai, Aur Agar Uske Begair Woh Banda Bilkul Pareshani/ Aafat Mein Mubtla Ho Gaya Hai To Fir Matlab Uski Hazat Hai.
Misal : Ke Taur Par Aik Banda Hai Jiska Achha Khasa Ghar Hai Ab Usse Aap Kah Rahe Hain 3 Mahine Tu Apne Ghar Main Nahi Rah Tu Jahan Chahe Rah Le Ye Ghar Chhod Den Ye Ghar Mein Nahi Ghusna Hai Ab Bataye Woh Teen Mahina Zahir Si Baat Hai Kahan Jayega Kisi Rishtedar Ke Ghar Jayega, Kisi Dost Ke Ghar Mein Jayega Ya Rent Par Chala Jayega To Uski Zindagi Aasani Se Guzregi Ya Mushkil Mein Guzregi?? Teen Mahina Aap Soch Kar To Dekhen.
Aap Ka Ghar Hum Kahen Ki Jitna Saman Hai Sab Kuch Le Kar Niklen To Kya Hoga? Zahir Si Baat Hai Banda Saman Le Kar Jayega Kahan Rakhega? Kahan Kisi Aur Ke Ghar Par Rahna To Kitna Difficult Woh Hoga Na, Samne Wala Bhi Woh Uske Ghar Mein Rahega To Aap Ko Aik Azeeb Feel Ho Raha, Chalen Rent Par Bhi Le Liya To Utna Rent Dena To Ye Sab Difficult Ki Soorat Hai To Ghar Hajate Asliya Mein Shamil Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-37)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Hajate Asliya : Isi Tarah Gadiyan Hain Jo Aap Regularly Use Karte Hain Aik Banda Office Jane Ke Liye, Bachhon Ko School Se Lane Ke Liye Uski Apni Gadi Hai Scooter/Bike Wagaira Hai Ye Cheez Agar Aap Uski Zindagi Se Nikal Dein Rozana Office Jata Hai Gadi Me, Aur Bachho Ko Lana Ghar Ka Saman Wagairah Lana Sab Gadi Me Karta Hai Ab Uski Zindagi Se Aap Woh Gadi Nikal Den Ki Aaj Se Tu Gadi Nahi Chalayega Ya To Band Hai Ya Gadi Hi Nahi Hai Uske Paas Ab Woh Pareshaan...
Subah Utha To Bus Ki Timing Dhundo Kaun Si Bus Jayegi Ho Sakta Hai Aik Bus Pakdo 2 Bus Pakdo Banda Parshshan Ho Jayega Office Jate Jate Aadha Uski Energy Usme Nikal Gaya Wapas Aane Mein Fir Riksha Wagaira Pakdo Fir Aao, Fir Ab Ghar Pahucha To Bachhon Ko School Se Lana Hai To Riksha Pakdo, Ya Fir Kisi Aur Ko Arrange Karwao Bas Walon Ko Arrange Karwao Kahin Par Bhi Jana Hai To Woh Banda Pareshan Ho Jayega Kyun? Kyuki Usko Aadat Hai Apni Gadi Ki Jab Utha Apni Gadi Mein Baitha Ja Raha Hai Ab Aap Ne Uski Zindagi Se Woh Cheez Nikal Diya To Woh Zindagi Nahi Guzar Payega Pareshan Ho Jayega To Woh Cheez Hajate Asliya Mein Shamil Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-38)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Hajate Asliya : Isi Taraf Jo Professional Hote Hain Unke Jo Zarurat Ki Cheezen Hoti Hain Professional Yani Jo Jo Bhi Kaam Karta Hai Uske Kaam Se Related Cheezen Hoti Hain Machines Hote Hain Tools Hote Hain Woh Cheez Aap Nikal Den To Woh Kaam Kaise Karega.!?
Jaise Misal Ke Taur Par Carpenter Hai Aur Woh Carpenter Hatauda Wagaira Use Kar Raha Hai Uski Wahi Cheezen Aap Hata Den Aur Bolen Ab Tu Carpentry Kar To Ab Woh Kar Payega? Impossible Hai Na... Isi Tarah Dr. Hai Dentist Hote Hain Unke Dental Instrumental Hote Hain To Sab Nikal Den Aur Bolen Ki Ab Operation Karo To Kar Payega Kisse Karega To Ye Sab Cheezen Hajat Me Aa Gai Kyuki Karna Hai To Fir Woh Zaruri Hai.
Isi Tarah Students Hain Chahe Deeni Students Ho Ya Duniyawi Students Ho Unki Kitaab Aap Le Len Aur Bolen Ab Aap Padho To Padh Payenge? Ye Kitab Bhi Hajate Asliya Mein Aa Gai To Abhi Main Aap Ko Padha Rahi Hu Mere Paas Agar Zakaat Ki Kitaben Hain Fiqh Ki Kitaben Hain To Ye Hajate Asliya Mein Aayengi Kyun? Kyunki Inke Begair Main Aap Ko Padhaungi Kaise Ye Zarurat Ho Gai To Ye Hai Hajate Asliya.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-39)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Hajate Asliya : To Ye Every Person To Person Depend Hongi Kuch Cheezen Common Hain Jaise Ye Aap Ke Pahenne Ke Kapde Ho Gaye, Ghar Ho Gaya, Gadi Vagairah Ho Gaix Mobile Ho Gaya Ye Bhi Hajate Asliya Mein Aa Gaya Aaj Kal Shayed Hi Koi Surat Hogi Ki Mobile Hajate Asliya Se Zyaid Ho Jaise Bachhe Hain Abhi Balig Huwe Hain Sokiya Taur Par Mobile De Diya To Ho Sakta Hai Ye Inke Hajat Se Zyada Ho Unko Zarurat Na Pade Aur Iske Alawa Takriban Takriban Mobile Bhi Hajate Asliya Mein Aa Gaya Hai.
Computer Hai Agar Saukiya Taur Par Hai To Fir Hajate Asliya Se Zyaid Aur Agar Aap Kuch Kaam Karte Hain Professional Kaam Hai Student Use Kar Rahe Hain To Fir Woh Hajate Asliya Mein Dakhil Hai.
To Is Tarah Dekhna Hai Ki Ye Hajate Asliya Mein Aate Hain Ya Nahi Jo Cheezen Hajate Asliya Mein Hain Woh To Aap Chhod Hi Den, Na Un Par Zakat Hai, Na Unse Sadqa e Fitr Related Hai, Na Qurbani Related Hai Inka To Kuch Bhi Nahi Hai Inka To Koi Taqaza Hi Shariat Ne Nahi Kiya Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-40)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Hajate Asliya : ⚠️ Aur Hajate Asliya Mein Ye Bhi Yaad Rakhen Ki Chahe Woh Kitni Mahngi Ho Woh Bhi Nahi Dekha Jayega.
Jaise Kisi Ke Paas Iphone Hai Iske Alawa Uske Paas Kuch Bhi Nahi Hai To Woh Sharaee Faqeer Hai Ya Nahi..!?
Hai Woh Sharaee Faqeer Ye Nahi Dekha Jayega Ki Mobile Kitna Mahnga Hai Woh Cheez Kitni Mahngi Hai Aap Woh Cheez Ke Aange Se Uska Brand, Uska Value Hata Kar Sirf Woh Cheez Dekhen Iphone Me Se Woh Iphone Hata Den Aur Sirf Mobile Dekhen Ki Mobile Hai, Ye Mobile Zarurat Hai Ya Nahi..??
Gaadi Bhi Kitni Mahngi Kyun Na Ho Bada BMW Le Kar Ghhum Raha Hai, Mercedes Le Kar Ghhum Raha Hai, Badi Badi Gaadiyan Le Kar Ghhum Raha Hai To Woh BMW, Mercedes Hata Kar Dekhen Woh Kya Hai? Gadi Aur Gadi Zarurat Me Aati Hai Ya Nahi.!?
Is Tarah Aap Hal Karenge Ki Hajate Asliya Mein Aata Hai Ya Nahi 2 Tips Maine Aap Ko De Diye Aik To Brand Hata Kar Dekhen Dusra Life Mein Se Nikal Kar Dekhen Ki Life Easy Ho Rahi Hai Ya Difficult Us Hisab Se Aap Decide Karen Ki Hajate Asliya Hai Ya Hajate Asliya Se Zyada Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-41)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Hajate Asliya : To Jo Hajate Asliya Hai Unka To Koi Connection Hi Nahi Hai Aap Ka Na Zakat Se Hai, Na Qurbani Se, Na Sadqa e Fitr Se Woh Aap Ke Zarurat (Necessity) Hai Aur Ye AllaH Ta'ala Ka Bando Par Ehsan Hai Is Par Aap Ko Koi Moawza Kuch Nahi Dena Ki, Na Is Par Zakat Dena Hai, Na Sadqa e Fitr Dena Hai, AllaH Ta'ala Bada Rahem Farmane Wala Hai Ye Aap Ki Zindagi Ki Zaruriyaat Hai Is Par AllaH Ta'ala Ne Aap Se Koi Taqaza Farmaya Hi Nahin Ki Isse Related Koi Zakat Den Ya Kuch Den.
Aur Ye Bhi Nahi Hai Ki Banda Badi Badi Cheezen Use Kar Raha Hai.. Bhale Woh Achhi Cheezen Use Kar Raha Hai Iphone Use Kar Raha Hai, Badi Gadi Rakha Hua Hai Chhoti Gadi Se Bhi Zindagi Guzar Sakta Hai To Ye Bhi Shariat Ne Aap Se Nahi Kaha Ki Mahnga Phone Use Mat Karen Kam Wala Use Kar Sakte They To Utne Ka Aap Zakat De Do, Fitra Iski Wajah Se De Do, Nahiii Isme Bhi Shariat Ne Aap Ke Liye Aasani Rakhi Hai To Banda Jitna Chahe Luxurious Life (Shaan Shaukat Se) Ji Le Isse Uska Taqaza Nahi Hai Halal Kama Kar Woh Istemal Kar Raha Hai Maula Ta'ala Ki Nemat Hai Istemal Kar Raha Hai Kar Le, To Isse Aap Ka Zakat, Fitra, Qurbani Koi Bhi Cheez Related Nahi Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-42)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Hajate Asliya : Han..!! Jo Hajate Asliya Se Zyada Wali Cheezen Hain Inki Wajah Se Bhi Zakat Ka To Connection Nahi Hai.
Abhi Aap Ne Dekha Na Zakat Mein To Sirf 4-5 Poitns Maine Kahe Sona, Chandi, Cash, Male Tijarat Ya Fir In Cheezon Ka Mix Isme Kahin Par Bhi Hazate Asliya Se Zyada Wali Cheez Aai Hi Nahi Hai.
⚠️ Sadqa E Fitr Aur Qurbani Mein Ye Hai Ke Aik 6ti Cheez Aap Ko Add Karni Hai 4 To Same Hai Sona, Chandi, Cash, Male Tijarat Aur Ya To Inka Mix & Aik Surat Aur Hai Ki Agar Kisi Ke Paas Hajate Asliya Se Zyada Koi Cheez Ho Bhale Woh Bechne Wagaira Ke Liye Na Ho Ghar Mein Agar Hajate Asliya Se Zyada Koi Cheez Hai Aur Unko Aap Add Kar Lete Hain To Unki Valuation 52.5 Tola Chandi Ke Qimat Tak Pahunchti Hai To Sadqa E Fitr Bhi Wajib Qurbani Bhi Wajib
⚠️ Aur Aysa Shakhs Zakat Le Nahi Sakta To Ye Point Aap Ko Yaad Rakhna Hai Ye Farq Hai Zakat Ke Nisab Mein Aur Sadqa E Fitr Wa Qurbani Ke Nisab Mein.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-43)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
⑥ Maal Par Qabza Hona : Aik To Hai Banda Sahibe Nisab Ho Uske Pass Maal Ho, Maal Ho Iska Matlab Ye Hota Hai Ki Uski Milkiyat (Ownership) Mein Ho, Uski Milkiyat Mein Jo Bhi Maal Hoga Usko Hum Dekhenge.
Next Point Hai Ki Aik To Hota Hai Maal Pe Aap Ki Ownership Hai Aap Uske Malik Hain Lekin Kya Us Maal Par Aap Ka Qabza Sabit Hai Ya Nahi Ye Dekha Jayega, Agar Sabit Hai To Ye Zakat Ki 6ti Shart Puri Ho Jayegi Aur Agar Sabit Nahi Hai Aap Ke Qabze Mein Woh Maal Nahi Hai To Fir Zakat Farz Nahi Hoti.
Qabza Matlab Kya.!?
Qabza Generally Hum Kahte Hain Ke Aap Ke Hath Mein Koi Cheez Ho, Asal Mein Qabze Ka Matlab Ye Hota Hai Ke Aap Ke Hath Mein Hona Zaruri Nahi Hai Aap Ke Paas Woh Cheez Ho Ya Aap Ke Control Mein Woh Cheez Ho, Control Yani Agar Aap Chahen To Usme Kuch Raddo Badal Changes Kar Sakte Ho Usko Bechna Ho Ya Kisi Ko Gift Karna Ho Woh Sab Mamle Aap Kar Sakte Hain Aap Ke Control Mein Hain Woh Paise Aap Use Kar Sakte Hain, Control Matlab Main Zyada Aasan Kar Ke Kahun Aap Ke Use Ke Kabil Hai Ya Nahi Woh Paisa? To Agar Aap Ke Control Puri Tarah Us Paise Par Hai To Fir Kahenge Aap Ke Qabze Mein Hai, Aur Agar Control Us Par Puri Tarah Nahi Hai To Fir Hum Kahenge Ki Aap Ke Qabze Mein Nahi Hai.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-44)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Misal : Ke Taur Par Abhi Aap Ke Bank Mein Aik Laakh Rupye Pade Hue Hain To Abhi Ye Aap Ke Bank Account Mein Hai To Malik Aap Ho Gaye Kya Aap Ke Qabze (Control) Mein Hai Agar Aap Chahe To In Paiso Ko Kahin Par Use Kar Sakte Hain? Kharcha Kar Sakte Hain Ya Nahi Aap Ke Account Mein Hai Jab Chahe Aap Kar Sakte Hain Na.. Iska Matlab Hai Ye Aap Ke Qabze Mein Hai.
Aik Aur Misal : Misal Ke Taur Par Kuch Mujhe Qarza Wagaira Chahiye Tha Aik Lakh Rupay Ka To Maine Kya Kiya Ki Apni Bahen Ke Pass Main Gai Ki Aap Aik Lakh Ka Mujhe Qarza De Do Iske Badle Mera 4 Tole Ka Sone Ka Kangan Hai Isko Bataure Girwi Rakh Lo, Ab Jab Ye Sona Maine Apni Bahen Ke Paas Ye Rahen (Girwi) Rakha To Kya Griwi Rakhne Se Meri Bahen Iski Malika Ho Gai? Kiske Ownership Mein Hai? Sona Kiska Hai? Mera Hai Ya Bahen Ka Hai? Girwi Rakhne Se Uski Milkiyat Mein Chali Jayegi? Nahi..!! Owner Main Hi Hun.
Lekin..!! Kya Qarza Ada Karne Se Pahle Mera Is Sone Par Control Hai? Pura Qabza Hai? Nahi Hai, Kyun? Kyuki Woh Use Security Ke Taur Par Rakha Hai Na, Bhale Woh Meri Milkiyat Main Hai Main Hi Is Sone Ki Malika Kahlaungi Ye Mere Hi Kangan Hain Lekin Kya Main Usko Use Kar Sakti Hun? Nahii Kar Sakti Na.. Kyuki Girwi Rakhe Huwe Hain.. Agar Aap Sona Bank Mein Girwi Rakhte Hain To Kya Aap Zaruratan Ja Kar Usko Pahen Sakte Hain? Use Kar Sakte Hain? Nahi Kar Sakte.
To Ab Kaha Jayega Ki Ye Maal Aap Ki Milkiyat Mein To Hai Lekin Qabze Mein Nahi Hai Aap Ka Pura Control Us Par Nahi Hai Lehaza Girwi Rakkhe Huwe Sone Par Zakat Nahi Banti.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
Zakaat Course (Part-45)
Zakat Farz Hone Ki 10 Sharte (Conditions) Hain :
Sona Ho Ya Jo Bhi Cheez Aap Ne Girwi Rakh Di Hai Koi Property Hai Bechne Ke Liye Hai Lekin Filhal Usko Aap Ne Girwi Rakh Diya To Ab Us Par Zakat Nahi Banegi, Kyunki Is Par Milkiyat Aap Ki Hai Lekin Qabza Aap Ka Sabit Nahi Hai To Misal Ke Taur Par Abhi Jo Maine Misal Di Aap Ko Sona Maine Apne Bahen Ke Paas Rakhwaya Hai Is Sone Ki Zakat Na Mujh Par Farz Hai Na Meri Bahen Par Farz Hai, Kyun.!?
Mujh Par Isliye Farz Nahi Hai Ki Kyuki Main To Malika Hun Lekin Qabza Nahi Hai To Qabza Nahi Hai To Mujh Par Zakat Ke 10 Sharait Mein Se 6ti Ye Jo Shart Hai Ye Puri Nahi Ho Rahi Hai Iska Matlab Is Sone Par To Mere Ko Zakat Nahi Deni Ye Nisab Mein Aayega Nahi Kyuki Qabza Nahi Hai, Iske Alawa Agar Sona Vagairah Hoga To Fir Uski Zakat Banegi Woh Aik Alag Mamla Hai Lekin Ye Cheez Shamil Nahi Hogi Aur Suppose Mere Paas Yahi Sona Hai Iske Alawa Kuch Bhi Nahi Hai To Mujh Par Zakat Farz Nahi Hai Kyuki Is Par Qabza Nahi Hai.
Aur Meri Bahen Chunki Abhi Sona Apne Paas Rakhi Hui Hai To Kya Us Par Zakat Farz Hogi.!?
Nahi, Kyunki Uske Paas Qabza To Hai Lekin Woh Uski Malik Nahi Hai, Uske Ownership Mein To Hai Nahi To Woh Zakat Nahi Degi To Is Sone Ki Zakat Kisi Par Nahi Hai... Na Girwi Rakhne Wale Par Hai Na Us Par Hai Jiske Paas Maal Girwi Rakha Jata Hai.
To Ye 6ti Condition Hai Ki Maal Par Aap Ka Qabza Hona Zaruri Hai Qabze Ka Matlab Ye Hai Ki Agar Aap Chahen To Ja Kar Usko Use Kar Sakte Hain Pahen Sakte Hain Gift Kar Sakte Hain Istemal Kar Sakte Hain Is Tarah Ki Cheezen Aap Ke Ikhtiyar Mein Hone Zaruri Hain.
Continue...
https://t.me/Zakaat_Course
Ubaid e Raza Official
No comments:
Post a Comment