Monday, 2 December 2019

ιSℓαмι SнαRιαT




🅿🄾🅂🅃 ➫  01


••──────────────────────••►
            ❝  ❞
••──────────────────────••►

HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

    SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

   ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

           السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ

⚘ ➫ Aaj Se Hum Aapko Aise Masle Se Ro-BaRo Karayenge Jiski Asl Kuch Or Hai Lekin Hmari  koum Ke kuch HazRaT Ka Manna Kuch Starting Muharram Se Judi Kuch Galat Rasmo Aur Unke SharaYi Hukm Ke Baare Me Batayene Jaisa Ke Aap Jante Hain Hum Aapko YaHa’n Bahut Hi Aham Deeni MaLoomat FaraHam Karte Hain Yahi Silsila *Continue* RaHenga...⊙➻┐​​

*••༻ ❁⚘ GaLaT Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

Bahut Se Log Muharram Ke Mahine Me Shadi Beyah Ko Na Jaiz Samajhte Hain Khas Kar 1 Se Lekar 10 Muharram Tak Naye Kapde Nahi Pahente  Gosht Machli Nahi Khate  Aur Ashra e Muharram (1 Se 10 Tarikh) Me Din Bhar Roti Nahi Pakate Aur Ghar Me Jhadu Nahi Dete Kehte Hain Ke Taziya Dafn Karne Ke Baad Roti Pakayi Jayegi Ye Saari Baate’n Jahilana Hain  Aur Shariat e Islamiya Me Iski Koi Asl Nahi..?

*•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

❁☞⚘ Sahi Mas’ala Ye Hai Ke Muharram Ke Mahine Me Shadi Beyah Karna Naya Kapda Pahenna Gosht Wagairah Khana Jaiz Hai

❁☞⚘  Isi Tarah Ke Suwalat  Aala Hazrat Imaam Ahmad Raza Alaihir Rehmah Se Kiye Gaye

➫【1】 Kuch Ahle Sunnat Wa Jama’at Ashra e Muharram Me Na Din Bhar Roti Pakate Hain Na Jhadu Dete Hain Kehte Hain Taziya Dafn Hone Ke Baad Roti Pakayi Jayegi,

➫【2】 In 10 Din Kapde Nahi Utarte.

➫【3】 Muharram Ke Mahine Me Koi Shadi Nahi Karte.

➫【4】 In Dino Me Siwae Imaam e Hussain RadiAllahuTaAalaAnh Ke Kisi Ki Neyaz o Fateha Nahi Dilate.

*■☞ YE SAB JAIZ HAI YA NA JAIZ.?*

*••═ ༻ ❁⚘ JawaB ⚘❁ ༺ ═••*

❁☞ ⚘To Aapne Irshad Farmaya  Pehli Teeno (3) Baate’n Sog Ki Hain Aur Sog Haraam Hai Aur Chauthi (4th) Baat Jehalat Hai Har Mahine Har Tarikh Me Har Wali Ki Neyaz Har Musalman Ki Fateha Ho Sakti Hai..✍

*📬 Ahkam e Shariat Hissa 1 Safa 127*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  02

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ Kya  Khana  Khate  Waqt  Chup  Chap  Rehna  Zaruri  Hai...? ❞
••──────────────────────••►

        *••༻ ❁⚘Galat Mas’ala⚘❁ ༺ ••*

❁☞⚘Baaz Logo Me Ye Mash’hoor Hai Ke Khana Khate Waqt Bolna Jaiz Nahi, Chahe Wo Deeni Baat Hi Kyun Na Ho,

❁☞⚘Balke Khamoshi Se Khana Khana Chahiye , Ye Logo Ki Galat Fehmi Aur BeAsl Baat Hai,

      *•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

❁☞⚘ Sahi Mas’ala Ye Hai Ke  Khana Khate Waqt Zikr e Khair Karna Chahiye, Bilkul Khamosh Rehna Majusiyo’n Ki Alamat Hai , Is Liye Khana Khate Waqt Bilkul Chup Nahi Rehna Chahiye, Balke Kuch Islam Ki Nasihat Aamez Baate’n Karna Chahiye.

❁☞⚘ Aala Hazrat Mujaddid e Aazam  Se Kisi Ne Suwal Kiya To Aapne Irshad Farmaya, Ke Khana Khate Waqt Itezam Karlena Na Bolne Ki Ye Aadat Hai Majus Ki Aur Makruh Hai, Aur Lagu Baate’n Karna Har Waqr Makruh Hai Aur Zikr e Khair Karna Jaiz...✍

    *📬 Al’Malfuz Hissa 4 Safa 13 📒*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  03

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
    ❝ Azan Ke Waqt BaaT Karna Kaisa Hai? ❞
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

Aaj Kal Awaam To Awaam Kuch Ahle ilm  Hazraat Bhi Azan Ke Waqt Baato’n Me Mashghool Rehte Hain

JaB ke Aysa Karna SaHi Nahi Hai.

*•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

❁☞⚘ Sahi Mas’ala Ye Hai Ke Jab Azan Ho To Itni Der Ke Liye Salam o Kalam Aur Jawab e Salam Tamam Kaam Band Karde’n Yaha’n Tak Ke Qur’Aan Majid Ki Tilawat Me Azan Ki Aawaz Aye To Tilawat Rok De’n Azan Ko Ghaur Se Sune’n Aur Jawab De’n ( Jo Azan Ke Waqt Baato’n Me Mashghool Rahe Us Par MaAzaAllah Khatima Bura Hone Ka Andesha Hai -Mafhum Hadis) Aur Agar Rasta Chalne Me Azan Ki Aawaz Aye To Ruk Kar Azan Sune’n Aur Jawab De’n Aur Agar Kayi Jagah Se Azan Ki Aawaz Aaye To Unme Se Pehli Azan Ka Jawab Dena Zaruri Hai Aur Sabka Jawab Dena Behtar Hai…✍

*📬 Fatawa Razviya, Bahare Shariat Hissa 3 Safa 36 📒*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  04

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
❝  Kya  Gusl  ke  Wuzu  Se  Namaz  Nahi  Hoti..?
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

Logo Me Mash’hoor Hai Ke Gusl Karte Waqt Jo Wuzu Kiya Jata Hai Us Se Namaz Nahi Hoti Namaz Ke Liye Dobara Wuzu Karna Zaruri Hai,

Ye Awaam Ki Galat Fehmi Aur BeAsl Baat Hai.

*•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

❁☞⚘ Sahi Mas’Ala Ye Hai Ke Dobara Wuzu Karne Ki Zarurat Nahi Gusl Ke Sath Kiye Gaye Wuzu Se Namaz Ho Jati Hai,

*📬 Bahar e Shariat Hissa 2 Safa 31 Par* Sunan e Arba Ke Hawale Se Hadis Naql Ki Gayi Hai Ke Ummul Mominin *Hazrat e Aayisha Siddiqah Radi AllahuTa Aala Anha* Farmati Hain Ke *Nabi e Paak ﷺ* Gusl Ke Baad Wuzu Nahi Farmate Aur Fiqah Ki Mustanad Kitab  *Durr e Mukhtar* Me Hai...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  05

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  Khutba Ke Waqt Sunnate’n 🕌 Padhna Kaisa Hai..? 
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

Aksar Ye Bhi Dekha Jata Hai Ke Log Juma Ki Namaz Ke Liye Khutba Ke Waqt Aate Hain Us Waqt Khateeb (Khutba Padhne Wale)  Mimbar Par Khutba Padh Rahe Hote Hain Aur Kuch Log Sunnate’n Padhna Shuru Kar Dete Hai

Halanke Logo Ka Ye Tariqa Galat Hai

*•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

❁☞⚘ Khutba Ke Waqt Namaz Padhna Bilkul Mana Hai  Jaisa Ke Fiqah e Hanafi Ki Mash’hoor Kitab *HIDAYA SHARIF* Me Hai

اذا خرج الامام یوم الجمعۃ ترک الناس الصلوٰۃ والکلام متیٰ یفرغ عن خطبۃ

❁☞⚘ Yani Jab Imam Juma Ke Din Khutba Ke Liye Aaye To Log Namaz Aur Guftgu Us Waqt Tak Chhor De’n Jab Tak Imam Khutba Se Farig Na Ho Jaye Aur Faqih e Aazam e Hind Hazrat SadarushShariah *Bahare Shariat Hissa 4 Safa 102* Par Tehrir Farmate Hain Jab Imam Khutba Ke Liye Khada Ho To Us Waqt Se Khatm Namaz Tak Namaz Zikr Har Qism Ka Kalaam Mana Hai Hidaya *Bahare Shariat...✍*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  06

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝  Juma Me 🗣 Khutba Ke Waqt Durud Padhna Kaisa Hai..? 
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

Aksar Ye Dekha Jata Hai Ke Jab Imam Khutba Me Huzur e Aqdas  Ka  Naam e Mubarak Lete Hain To Samaein (Sunne Wale) Aawaz Se Durud Sharif Padhte Hain.

*•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

❁☞⚘ Khutba Me Agar Huzur e Aqdas  Ka Naam e Mubarak Aaye To Zuban Se Durud Sharif Padhna Mana Hai,

*SadarushShariah Badaruttariqah* 
 *📬 Bahare Shariat Hissa 4 Safa 103*  Me Tehrir Farmate Hain Agar Huzur e Aqdas  Ka Naam e Paak Khatib (Khutba Padhne Wale) Liya To Samaein (Sunne Wale) Dil Me Durud Sharif Padhe’n Zuban Se Us Waqt Padhne Ki Ijazat Nahi.

❁☞⚘ Yunhi Sahaba e Kiram  Ke Zikr Par RadiAllahu Anhum Zuban Se Kehne Ki ijazat Nahi..✍

*📬 Durre Mukhtar/Bahare ShariaT*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  07

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝ Agar Bachche Mardo Ki Saf Me Khade Ho’n To KYa Hukm Hai..❓ ❞
••──────────────────────••►

   *••༻ ❁⚘ SAWAL ⚘❁ ༺ ••*

○✧➤ Agar Bachche Mardo Ki Saf Me Khade Ho’n To Kya Hukm Hai

   *•• ༻ ❁⚘ JAWAB ⚘❁ ༺ ••*

○✧➤ Agar Bachche Mardo Ki Saf Me Khade Ho’n To Namaz Me Koi Khalal (Karabi) Nahi Aayega Namaz Ho Jayegi.

○✧➤ Lekin Behtar Ye Hai Ke Bachcho Ko Is Se Roka Jaye Aur Piche Khade Hone Ki Talqeen Ki Jaye Aur Sirf Ek Bachcha Ho To Ulma Ne Use Saf Me Dakhil Hone Aur Mardo Ke Darmiyan Khade Hone Ki Ijazat Di Hai Muraqiul’Falaah Me Hai

ان لکم یکن جمع من الصبیان یقوم الصبی بین الرجال اھ،

○✧➤ Haa’n Agar Bachche Namaz Se Khub Waqif Ho’n To Unhe Saf Se Nahi Hatana Chahiye Aur Kuch Be’ilm Ye Zulm Karte Hain Ke Ladka Pehle Se Namaz Me Shamil Hai Ab Ye Aaye To Use Niyat Bandha Hua Hata Kar Kinare Kar Dete Hain Aur Khud Beech Me Khade Ho Jate Hain Ye Mahez Jihalat Hai

○✧➤ Aur Kuch Logo Ka Ye Khayal Ke Ladka Barabar Me Khada Ho To Mard Ki Namaz Na Hogi Galat Hai Jiski Kuch Asl Nahi...✍

*📬 Aysa Hi Fatawa Razviya Jild 3 Safa 1318 Aur Fatawa Mustafaviya Jild 2 Safa 73 Par Hai 📒*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  08

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝  Na’Baaligh Ki Imamat Kaisi Hai..? 
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Kuch Jagah Ramzanul Mubark Ke Mahine Me Na’Baaligh Hafiz Ko BuLate Hain

⚘✧➤ Aur Uske Piche Taraweeh Ki Namaz Padhte Hain Aur Ye Kehte Phirte Hain Ke Taraweeh Ki Namaz Me Na’Baaligh Hafiz Ki Imamat Jaiz Hai

*🏻 ➧Halanke  Ye  Logo  Ki  BaHut  Badi  Bhool  Aur  Galat  Fehmi  Hai...⊙➻┐​​*

*•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Sahi Mas’ala Ye Hai Ke  Jis Tarah Dusri Namazo’n Ki Imamat Na’Baaligh Nahi Kar Sakta Usi Tarah Taraweeh Ki Namaz Me Bhi Na’Baaligh Imamat Nahi Kar Sakta

⚘✧➤ Fiqah Ki Mash’hoor Kitab Hidaya Sharif Me Mukhtar Qaul Ye Hai  Faraiz o Nawafil Tamam Namazo’n Me Na’Baaligh Ki Imamat Jaiz Nahi..✍

            *📬 HIDAYA SHARIF 📒*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  09

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ IQamat (Takbir) Khade Ho Kar Sunna Kaisa Hai? ❞
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Aaj Kal Kuch Jagah Dekha Jata Hai Ke Jab Mukabbir Takbir Kehta Hai

⚘✧➤ To Sab Log Khade Ho Jate Hain Aur Khade Ho Kar Takbir Sunte Hain.

*🏻 ➧Halanke Ye Bilkul BeAsl Aur Khilaf e Sunnat Hai...⊙➻┐​​*

*•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Sahi Mas’ala Ye Hai Ke Takbir Ke Waqt Baithne Ka Hukm Hai Khada Rehna Makruh Mana Hai.

⚘✧➤  Aur Jab Mukabbir (Iqamat Kehne Wala) Hayya’Alal’Falaah Par Pahuche To Uthna Chahiye.

⚘✧➤ Jaisa Ke Fatawa Aalamgiri Jild 1 Me Hai Yani Agar Koi Shakhs Takbir Ke Waqt Aaya To Use Khade Hokar Intezar Karna Makruh Hai.

⚘✧➤ Lehaza Baith Jaye Aur Jab Takbir Kehne Wala Hayya’Alal’falaah Par Pahuche To Usi Waqt Khada Ho.

⚘✧➤  Fiqah e Hanafi Ki Tamam Kitabo’n Me Ye Baat Maujud Hai Ke Muqtadi Ko Iqamat Ke Waqt Khada Rehna Makruh Hai Aur Yahi Hukm Imam Ke Liye Bhi Hai,..✍

*📬 Fatawa Aalamgiri Jild 1. Fatawa FaizurRasul Jild 1, 📒*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  10

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ Tanbe   Peetal   Aur   Lohe   Ke   Zewar   Pahen   Kar   Namaz   Padhna   Kaisa   Hai..? ❞
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Aaj Kal Aurte’n Tanbe Aur Lohe Ke Zewraat Pahenti Hain Aur Unhi Zewraat Ko Pahen Kar Namaz Padh Leti Hain.

⚘✧➤ Aur Khayal Karti Hain Ke Namaz Ho GaYi

*🏻 ➧ Ye Aurto’n Ki Galat FeHmi Hai...⊙➻┐​​*

*•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Sahi Mas’ala Ye Hai Ke Lohe. Peetal. Tanbe Ke Zewraat Pahen Kar Namaz Padhne Se Namaz Makrooh e Tehrimi Hoti Hai

⚘✧➤ Aur *Fatawa Razviya Me Hai* Har Wo Namaz Jo Makrooh e Tehrimi Ho Uska Dobara Padhna Wajib Hai..✍

*📬 Fatawa FaizurRasul Jild 1 Safa 375 📒*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  11

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ Gaus e Aazam Ke Dhobi Ka Qabr Wala Waqya Motbar Hai Ya Nahi ? ❞
••──────────────────────••►

*Hzuaur  FaQih  e  Millat  Se  Is  WaQya  Ke  Mutalliq  Suwal  Kiya  Gaya  Huzur  Faqih  e  Millat  Ka  Jawab  Mulahiza  Farmaye’n..⊙➻┐​​*

      *••༻ ❁⚘ SawaL ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Jamat e Ahle Sunnat Ke Stage Se Ye Riwayat Bayan Ki Gayi Ke  Hazrat Sayyedna Shaikh AbdulQadir Jeelani Radi Allahu TaAala Anh Ka Ek Dhobi Tha Jab Uska Inteqal Ho Gaya Aur Sawal o Jawab Ke Liye Munkar Nakeer Firishte Qabr Me Tashrif Laye Aur Pehla Suwal من ربك  (ManRabbuka) Kiya To Usne Jawab Me Gaus Paak (Ya) Mai Gaus Paak Ka Dhobi Hu’n Kaha Is Tarah Baqi Dono Suwalo’n Ke Jawab Me Bhi Uska Wahi Jawab Raha Ke Mai Gaus Paak Ka Dhobi Hu’n (Ya) Gaus Paak,

⚘✧➤  Daryaft Talab Amr Ye Hai Ke Aysa Bayan Karna SharAn Kaha’n Tak Durust Aur Jaiz Hai?

⚘✧➤ Aur Is Tarah Ki Riwayat Bayan Karne Wale Par SharAn Kya Hukm Aayad Hota Hai?

      *•• ༻ ❁⚘ JawaB ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Riwayat e Mazkura (Jo Riwayat Bayan Hui) BeAsl Hai Iska Bayan Karna Durust (Sahi) Nahi.

⚘✧➤ Lehaza (Is Liye) Jisne Ise Bayan Kiya Wo Is Se Ruju (Tauba) Kare Aur Ayinda Is Riwayat Ke Bayan Na Karne Ka Ahed (Wada) Kare.

⚘✧➤ Agar Wo Aysa Na Kare To Kisi Motmad (Mustanad) Kitab Se Is Riwayat Ko Sabit Kare..✍

*📬 Fatawa Faqih e Millat. Jild 2 Safa 411 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  12

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
❝ Kya Kalma e Tayyiba Ka Zikr Qur’Aan Me Hai..? ❞
••──────────────────────••►

*Kalma e Tayyiba Ka Zikr Qur’Aan Me​​*

      *••༻ ❁⚘ SawaL ⚘❁ ༺ ••*

📖➧ Baaz Log Ye Etraz Karte Hain Ke Kalam e Tayyiba Jise Kalma e Islam Bhi Kehte Hain Iska Zikr Qur’Aan Me Nahi Hai

📖➧Kya Itni Bunyadi Chhiz Qur’Aan Me NazarAndaz Ki Ja Sakti Hai..?

      *•• ༻ ❁⚘ JawaB ⚘❁ ༺ ••*

 📖➧ Qur’Aan Kisi Ek Aayat Kisi Ek Surat Ya Kisi Ek Juz *( Hissa )* Ka Naam Nahi Hai.

📖➧Balke Pura Qur’Aan Allah Ka Kalaam Hai Saare Qur’Aan Par Lafzan Wa Manan *( Lafz Aur Matlab Par )* Iman Farz e Aen Hai Kisi Ek Aayat Ka Inkar Pure Qur’Aan Ke Inkar Ki Tarah Hai

📖➧Qur’Aan Majeed Ek Baar Me Nazil Nahi Hua Balke Waqtan Fa Waqtan *( Zarurat Ke Waqt )*  Allah Ta’Aala Ki Hikmat Se Nazil Kiya Jata Raha

📖➧Is Liye Qur’Aan Majeed Me Aqaid, Masail o Ahkam, Qasas o Waqeyat, Mutafarriq *( Alag Alag )* Taur Par Bayan Kiye Gaye

*La Ilaha Ilallahu Muhammadur Rasoolollah*

 📖➧ Ko Kalma e Tayyiba Bhi Kehte Hain Aur Kalma e Islam Bhi Kehte Hain

*🏻 ➧La Ilaha illallah* Qur’Aan Majeed Ki 37vi Surat As’Saffat Ki Aayat No. 35 Me Mazkur Hai

📖➧ Aur *Muhammadur Rasoolullah* Qur’Aan e Paak Ki 48vi Surat Al’Fatah Ki Aakhri Aayat Aayat No. 29 Ki Ibteda Me Mazkur Hai

📖 ➧In Dono Ko Yakja *( Ek Jagah )* Karne Se Kalma e Tayyiba Banta Hai.. 📬>Tafhimul Masail..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  13

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
    ❝ *CHAPPAL  ULTA  RAKHNE  SE..?* ❞
••──────────────────────••►

      *••༻ ❁⚘ SawaL ⚘❁ ༺ ••*

📖➧ Baaz Log Kahte hain ke Ghar me Chappal ya Shoe Chode aur Wo Ulta ho jaye ya Gir jane se Ghar ki Barkat khatam ho jayegi to Ye Baat Sharee etebar se kaha tak sahi hai..?

      *•• ༻ ❁⚘ JawaB ⚘❁ ༺ ••*

 📖➧ Chappal ka istemal Pairo ko Gandagi aur Takleef dene wali cheez se Hifazat ke liye hota hai, aur Jab Chappal Ulta ho jaye to uske Neeche Ka Hissa uper ho jata hai jo Mitti, Gandagi etc ka maqam hota hai ,usko Dekhne ya Us per Achanak bhi Nazar padhne se Tabiyat me *“KARAHAT”* mahsoos hoti hai, jis se Dil ko Takleef hoti hai, lehaza is Karahat aur Dili Takleef se Hifazat ke liye Chappal ko Seedha Rakhna hai,ulta rakhna isi liye Mana hai,kyu ke Raasteh se Takleef wali cheez ko Hatana Islami Taleemat me se hai,aur us Amal se Gunaho ki Bakhshish bhi hoti hai,

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: ((بَيْنَمَا رَجُلٌ يَمْشِي فِي طَرِيقٍ إِذْ وَجَدَ غُصْنَ شَوْكٍ فَأَخَّرَهُ فَشَكَرَ اللَّهُ لَهُ فَغَفَرَ لَهُ

*📚 ( Tirmizi,Vol / 2,H,No :2085 ) 📚*

*⚠NOTE* Jaha tak Chappal ya Shoe Ulta hone se Ghar se Barkat ka khatam hona Koi Hadees se Sabit Nahi hai...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  14

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝  KhutBa  Ki  Azan  Masjid  Ke  Andar  PadHna  Kaisa  Hai..? 
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Aaj Kal Log Is Baat Par Bahut Zyada Amal Kar Rahe Ke

⚘✧➤ Juma Ke Din Khutba Ki Azan Masjid Ke Andar Padhte Hain.

*HaLanke  Ye  BikuL  BeAsl  Aur  Logon  Ki  GaLat  Fehmi  Hai..⊙➻┐​​*

*•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤  SaHi  Mas’ala  Ye  Hai  Ke,

⚘✧➤  Juma Ki Dusri Azan Yani Azan e Sani Masjid Ke Bahar Khatib *( Khutba Padhne Wale )* Ke Samne Padhi Jaye Kyun Ke Sarkar e Aqdas ﷺ Aur Khulfa e Rashideen RadiAllahu Taala Anhu Ke Zamana e Mubarak Me Khutba Ki Azan Masjid Ke Bahar Darwaze Par Hua Karti Thi.

⚘✧➤ Jaisa Ke Hadis e Paak Me Hazrat e Saib Bin Yazid RadiAllahu Taala Anhu Se Marvi Hai Ke Unho Ne Farmaya Jab Rasool e Karim ﷺ Juma Ke Din Mimbar Par RaunaQ Afroz Hote Huzur ﷺ Ke Samne Masjid Ke Darwaze Par Azan Hoti, Aur Ayse Hi Hazrat e Abubakr o Umar RadiAllahu Taala Anhu Ke Zamane Me Raej Tha

*📬 [ AbuDaud Sabrif Jild 1 Safa 162 ] 📒*

⚘✧➤ Fiqah e Hanafi Ki Tamam Kitabo’n Me Ye Baat Saaf Likhi Hui Hai Ke Koi Azan Masjid Ke Andar Na Padhi Jaye.

⚘✧➤ Lehaza Tamam Musalmano Ko Chahiye Ke Masjid Ke Andar Azan Padhne Se Parhez Kare’n Kyun Ke Ye Nabi e Paak Sahib e Laulak Ki Pyari Sunnat Ko Chhodna Hai...✍

*📬 [ AbuDaud Sharif Jild 1 Safa 162. Fatawa Aalamgiri. Fatawa FaizurRasul Jild 1 ] 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  15

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
❝ NailpoLish  Laga  Kar NaHane  Se  Paak  Honge  Ya  Nahi..? ❞
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Aaj Kal Aksar Aurte’n Nakhuno’n Par NailPolish Laga Leti Hain Ye Riwaj Bahut Aam Ho Chuka Hai

⚘✧➤ Aur Isi Tarah Naha Leti Hain Aur Samajhti Hain Ke Hum Janabat (Napaki) Se Paak Ho Gayi’n

*🏻 ➧HaLanke Ye Unki GaLat FeHmi Aur BHuL Hai⊙➻┐​​*

*•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Agar Nakhuno’n Par NailPolish Lagi Ho To Aysi Surat Me Gusl Karne Ke Baad Bhi Paaki Hasil Nahi Hogi

⚘✧➤  Kyunki Nakhun Par NailPolish Ki Teh Jam Jati Hai

⚘✧➤ Aur Gusl Karte Waqt Nakhun Par Paani Nahi Padta

*🏻 ➧ Shariat Ke MutabiQ* Gusl e Janabat Me Agar Ek Baal Ke Barabar Bhi Jism Ka Koi Hissa Khushk (Sukha) Reh Jaye To Gusl Nahi Hota.

⚘✧➤ Aur Isme Ulma e Kiram Ka Muttafiqa (Ek Raye) Faisla Hai Ke

⚘✧➤ Gusl Ke Faraiz Me Se Ek Ye Bhi Hai Ke Tamam Zahiri Badan Yani Sar Ke Baalo’n Se Pao’n Ke Talwe Jism Ke Har Purze Har Rongte Par Paani Beh Jaye.

⚘✧➤ Lehaza Aurto’n Ko NailPolish Lagane Se Sachche Dil Se Tauba Karna Chahiye,

*📬 [ Bahare Shariat Hissa 2, Wa Digar Kutube Fiqah ]📚*

*📁JANABAT* ○✧➤ Napaki. Nijasat. Khas Kar Wo Napaki Jo Mard Aur Aurat Ke Milne Se Ya Sote Hue Mani Nikal Jane Se Ho…✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  16

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
            ❝   📩    📲    🎙    ☎    🌎 ❞
••──────────────────────••►

*🏻 ➧ kya Mic, Telephone, Internet, Aur Khat Ke Zariye BaiAt Jaiz Hai?*

⚘✧➤ Mic, Telephone, Internet, Aur Khat Ke Zariye Mureed Hona Aur Is Tarah Ki Dusri Chize’n Jaise Email, Postman (Qasid) Wagairah Ke Zariye Bhi Mureed Ho Sakte Hain,

⚘✧➤ Mureed Hote Waqt (Time) Zaruri Nahi Ke Peer Ke Samne Ho Balke Agar Peer Se Door Kisi Aur Jagah Ho Tab Bhi BaiAt Jaiz Hai,

⚘✧➤ Aur Aysi BaiAt To Khud Hadiso Se Sabit Hai.

⚘✧➤ Jisa Ke Sahi Bukhari Sharif Me Hadis e Mubarak Hai

⚘✧➤ Harat e Abdullah Bin Umare ( RadiAllahu TaAala Anhuma ) Se Riwayat Hai Ke Jab BaiAt e Rizwan Hui To Amirul Mominin Hazrat e Usman e Gani RadiAllahu TaAala Anh Gayab (Maujud Nahi) The BaiAt Hudaibiya Me Hui Aur Wo Makkah Mukarramah Gaye Hue The.

⚘✧➤ Rasulullah Sallallhu Alaihi WaSallam Ne Apne Dahine Hath (Hand) Ko Farmaya Ye Usman Ka Hath Hai Phir Use Apne Dusre Hath Par Mar Kar Unki Taraf Se BaiAt Farmayi Aur Farmaya Ye Usman Ki BaiAt Hai,

*📬 Sahi Bukhari. Jild  3, Hadis 4066, Page 39,  Darul Kitab Al’ilmiya Bairut 📒*

⚘✧➤ Sayyidi Aala Hazrat Mujaddid e Deen o Millat AshShah Imam Ahmad Raza Alaihir Rehman Farmate Hain BaiAt Bazariye Khat o Kitabat Bhi Mumkin Hai Ye (Mureed) Darkhwast Likhe Aur Wo (Peer) Qubul Kare,

⚘✧➤ Aage Likhte Hain Mureed Ho Gaya Ke Asal Iradat FeAle Qalb (Asal Aqidat Dil Ka Kaam) Hai WalQalamu Ahdallisaneen Yani Qalam Bhi Zuban Ki Tarah Hi Hai..✍

*📬 Fatawa Razviya Jild 26. Page 568, 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  17

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
❝ Kya   Aurat   Ke   InteQal   Ke   Baad   Shauhar   Dekh   Sakta   Hai..? ❞
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Awaam Me Ye Bhi Mash’hoor Hai Ke Agar Aurat Mar Jaye To Na Uska Shauhar Aurat Ko Dekh Sakta Hai Na Janaze Ko Hath Laga Sakta Hai Na Kandha De Sakta Hai,

*🏻 ➧ Ye  Awaam  Ki  GaLaT  FeHmi  Aur  BeAsL  BaaT  Hai..⊙➻┐​​*

*•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤  Sahi Mas’ala Ye Hai Ke Shauhar Ke Liye Apni Biwi Ko Marne Ke Baad Dekhna Bhi Jaiz Aur Uske Janaze Ko Kandha Dena Bhi Jaiz Haa’n Itni Mumaniat (Manahi) Hai Ke Shauhar Apni Biwi Ko Nehla Nahi Sakta...✍

*📬 [ Fatwa Razviya Jild 4 Safa 91 ] 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  18

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝  Kya Aurate’n Miswak Nahi Kar Sakti? 
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT FeHmi ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Kuch Log Ye Bhi Kehte Hain Ke Aurat Miswak Nahi Kar Sakti.

*🏻 ➧ Ye BilkuL Awam Ki Galat Sonch Aur Fizul Baat Hai...⊙➻┐​​*

*•• ༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤  Sahi Mas’ala Ye Hai Ke Aurate’n Bhi Miswak Kar Sakti Hain Balke Ummul Mominin Hazrat e Aayisha Siddiqah  Ki Sunnat Bhi Hai.

⚘✧➤ Isi Tarah Ka Suwal Aala Hazrat Mujaddid e Aazam Imam Ahmad Raza  Se Kiya Gaya To Aapne Irshad Farmaya Ke

⚘✧➤ Aurato’n Ke Liye Miswak Karna Hazrat e Aayisha Siddiqah  Ki Sunnat Hai Lekin Agar Wo Na Kare’n To Harj Nahi Unke Dant Aur Masudhe Mardo’n Ki Nisbat Kamzor Hote Hain Unke Liye Massi Kafi Hai

⚘✧➤ Massi Ek Qism Ka Safuf Manjan Hota Hai Jis Se Masudhe Aur Honth Rang Jate Hain.

*⚠NOTE* Iske Alawa Bhi Agar Koi Chiz Istemal Ki Jaye To Koi Harj Nahi)..✍

*📬 [  Fatawa Razviya Sharif. ] 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  19

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
❝ MaaHe Muharramul Haram ki MubaraQ BaaD Dena ...? ❞
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT FeHmi ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Islamic Naye saal ki mubarak baad dena kesa ?

⚘✧➤ kuchh log kahte he ki isme imamse husain radiallahu anhu ki shahadat he to gam manana chahiye mubarak baad nahi deni chahiye

*🏻 ➧ Is ki kya asl hai ?...⊙➻┐​​*

*•• ༻ ❁⚘ Hmari islaH ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Islamic naya saal Muharramul Haram se shuru'a hota he, or ye mahina sog w gam manane ka nahi he Balki barkato or rahemato ka mahina he Or islami naye saal ki mubarak baad dene me koi harj nahi Agar koi sunni dusre sunni ko mubarak baad deta he to ma'azAllah Imame husain ki shahdat par nahi balki naye mahine ke aamad ki khushi me deta he.

⚘✧➤ Naye saal ki mubarak baad dene wala is baat par khush hota he ki allah ne hame zindagi ka ek or saal bhi dikha diya he jisme hame tauba or nek amal kamane ki mazeed mauqa mayassar aa sakta he. Is liye naye saal ki mubarak baad dene me koi harj nahi. Ek musalman par dusre musalman ke jo 6 huquq he unme se ek ye he ki jab use khushi pahunche to use mubarak baad de Hazrat abdullah bin hussham radiallahu allahu anhu ki riwayat jise imam tabrani ne al-awsat me darj kiya usme vo farmate he.

⚘✧➤ Naye saal ya mahine ki aamad pe sahaba e kiram radiallahu Allahu anhum ek dusre ko ye duaa sikhate the Ay Allah hame is mahine me aman, eman salamati, or islam ke satb dakhil farma. Shaytan ke hamlo de bacha or rahman ki raza mandi ata farma,

*📬 ( Al-Tibrani, Al-Awsat : 6241 ) 📒*

⚘✧➤ Or jo Log Kahte he ki is mahine me imam husain Radiallahu anhu ko yazeed paleed ne zulmo sitam kiye or shaheed kiya is liye mubarak baad nahi dena chahiye. Vo log zara ise bhi padhe.

⚘✧➤ Allah Rabbul Izzat Qurane majeed me irshad farmata he ki,Jo khuda ki Raah me Maare jae unhe murda na kaho balki vo zinda he Haan Tumhe khabar nahi.

*📬 ( SURA E BAQAR, AAYAT-154 ) 📘*

⚘✧➤ Or jo Allah ki Raah me Maare gaye Hargiz unhe murda na khayal karna balki vo apne rab ke paas zinda he rozi pate he.

*📬( SURA E AALE IMRAN, AAYAT-169 )📕*

⚘✧➤ Is aayat se awwal tou ye hi sabit ho gaya ki jo shaheed huwe woh isi tarah ALLAH ke yaha zinda hai, bas is duniya wale ko iska sha'ur nahi aur hadees me tou hai ki kisi ki maut par 3 din se zyada gham na kare, agar shaheedo ki maut ko maut samaj kar gham bhi kiya jaye tou woh bhi is duar me mumkin nahi, kyunki hadees me gham ke din sirf 3 bataye gaye hai, jab shohda e karbala ko aaj 1300 se zyada ho gaye. fakhr is baat par karna chahiye ki jin yazeedio ne us daur me islam ki roshni ko bujana chaha use us jannat ke nau-jawano ke sardar Hazrate Hussain Radiyallahu anhu ne apne khoon se us chirag ko jalaya aur islam ki roshni bakhshi jinki badolat aaj hum tak aasani se islam pahucha hai.

⚘✧➤ Huzur Sallallahu Alaihi wasallam irshad farmate he ki shaheed ko qatl ki bas itni hi taklif hoti he jitni chinti ke katne se hoti he warna maut ki taklif ke bare me riwayat he ki kisi ko agar 1000 talwar ke zakhm diye jaaye to iaki taklif maut ki taklif se kahi zyada halki hogi or allah ke yaha use 6 inamat diye jate he.

*📬( SHARAHUSSUDOOR, SAFA-31)📗*

🏻 ➧Huzur Sallallahu Alaihi wasallam ns 3 din se zyada shog manane se mana farmaya he.

*📬(BUKHARI SHAREEF, J-2, S-804) 📓*
*📬(MISH6 SHAREEF, J-1, S-486) 📗*

*🏻 ➧ Aaiye dekhte he muharram ki 10 tarikh ko kya kya huaa....⊙➻┐​​*

⚘1❁☞ Hazrat sayyadna aadam alaihissalam ki tauba qubool huyi.
⚘2❁☞ Hazrat sayyadna yunus alaihissalam ki tauba qubool huyi aur aap machhli ke peit se baahar aaye.
⚘3❁☞ Hazrat sayyadna nooh alaihissalam ki kashti joodi pahaad par thahri,us din shukrane ke taur par aapne roza rakha aur tamam ko roza rakhwaya.
⚘4❁☞ Hazrat sayyadna ibraheem alaihissalam paida hue.
⚘5❁☞  Hazrat sayyadna moosa alaihissalam paida hue.
⚘6❁☞   Hazrat sayyadna eesa alaihissalam paida hue.
⚘7❁☞   Hazrat sayyadna yusuf alaihissalam qaid se baahar aaye.
⚘8❁☞ Hazrat sayyadna ibraheem alaihissalam par aag gulzar huyi.
⚘9❁☞  Hazrat sayyadna ayyub alaihissalam ne shifa paayi.
⚘10❁☞ Hazrat sayyadna yaqoob alaihissalam ki aankhon ki raushni wapas aayi.
⚘11❁☞ Hazrat sayyadna yusuf alaihissalam kunwe se baahar nikle
⚘12❁☞ Hazrat sayyadna suleman alaihissalam ko baadshahat mili.
⚘14❁☞ Hazrat sayyadna moosa alaihissalam jaadugaro par gaalib aaye
⚘14❁☞ Hazrat sayyadna idrees alaihissalam jannat me pahunche.
⚘15❁☞ Firaun ka lashkar gark hua.
⚘16❁☞ Pahli baar baarish huyi.
⚘17❁☞ Aasman kursi kalam pahaad samandar sab isi din paida hue
⚘18❁☞ Isi din ashaabe kahaf karwatein badalte hain
⚘19❁☞ Qayamat isi din aayegi.
⚘20❁☞ Aur sayyadna imaam husain raziyallahu taala anhu ki shahadat huyi...✍

*📬 Jaame sageer,jild 5,safah 34/226*
*📬 Ajaybul makhtuqat,safah 44*
*📬 Guniyatut talebeen,jild 2,safah 53*
*📬 Nuzhatul majalis,jild 1,safah 145*

⚘✧➤ Isliye yahi mahina islami naye saal ka pahla mahina qaraar paaya,ab sochiye ki jis din jis mahine kitne hi azeem kaam murattab hue agar us mahine yaani islami naye saal ki koi mubarak baad pesh kare to kya harj he ?...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  20

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
❝ MASJID ME WAQAF KI HUI CHEEZ AWAM YA WAQIF KHUD ISTEMAL KAR SAKTA HE..? ❞
••──────────────────────••►

      *••༻ ❁⚘ SAWAL ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Kya masjid me waqaf ki hui chiz ko awam apne zati kamo me istemal kar sakti he ?

⚘✧➤ Kya farmate he aulmae deen w muftiyane shara'a matin mas'ala zail me bhola shahid masjid jo new cloth market ke pichhe ke hisse me he ye masjid kalupoor baitul maal ke zere zere sarparasti me he vaha par ramzanul mubarak me har jumaa ke roz pani ki taklif rahti thi lihaza is masle par khuda ke ek bande ne baitul maal se ijazat le kar 1 paani ka bor khudvaya jiske sare akhrajat usne hi ada kiye maslan bor khudvai ka kharch sab marsabal pump pipe fitting lait connection wagairah kharche usne apni istita'at se khud kiye or inshaallah aage bhi akhrajat khud hi karege.

⚘✧➤ Kya vo shakhs us bor ke pani ka khud istemal kar sakta he ?

⚘✧➤ Kya us bor ke pani ko awamun naas faida utba sakti he ?

⚘✧➤ kya is borke pani ko masjid me bhi istemal kar sakte he ?

⚘✧➤ kya waqaf masjid or awam dono ke liye istemal kiya ja sakta he ?

    *•• ༻ ❁⚘ JAWAB ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤  Soorate mas'ula me Agar Masjid ke naam waqaf kiya he to awam ya khud waqif apne ghar ke liye istemal nahi kar sakte. Kyu ki agarche paisa us shakhs ka he jisne Waqf kiya lekin ba'ade waqaf vo milkiyat uski na rahi vo allah ki milkiyat hui he.

⚘✧➤ Albatta waqif ka waqaf karte waqt irada masjid or awam ko faida pahunchana tha to awam or masjid dono istemal kar sakte he.

⚘✧➤ Huzur Faqihe Millat Fatawa Razviya ke Hawale se taherir farmate he,

⚘✧➤ jo cheez jis garz ke liye waqaf ki gai dusri garz ki taraf use ferna jaiz nahi, agarche vo garz bhi waqaf hi ke faida ki ho ki شرط واقف نص شارع صلی اللہ علیہ وسلم واجب الاتباع ہے۔ *در مختار* "کتاب الوقف فروع فصل شرط الواقف کنص الشارع فی وجوب العمل بہ"

*📘( FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-6, SAFA-455 )📘*
*📗( FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S-191 )📗*

⚘✧➤ Waqaf usi kaam me laya ja sakta he jis garz ke liye waqaf kiya gaya. Dusre kaam me lana mana'a he khusoosan masjid ke is ka muaamla aamma awqat se bhi tang tar he.

*📒( FATAWA RAZVIYA, J-3, S-732 ) 📒*

⚘✧➤ Huzur Mufti Aazame Hind Alaihir Rahma Taherir Farmate he, masjid ka pani is soorat me le sakte he ki nal lagane wale ki niyyat sab ko lene ki ijazat ho or agar nal lagane wale ki khas masjid hi ke liye niyyat ho ko wuzu or gusl wagairah namaz ke liye taharat hi ke kaam me liya jae to us nal ke paani ki qimat masjid ke maal se ada ki jati ho to Awam gharo ko le jana jaiz nahi...✍

*📚( FATAWA MUSTAFIYA, S-269 )📚*

       Wallahu  Aa'alam  Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  21

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ Kya  GusL  Ke  Waqt  Kalma  Na  Padhne  Se  Paak  Nahi  Hote..? ❞
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘ GaLaT FeHmi ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Aawam Me Ye Mash’Hoor Hai Ke Jab Tak (Gusl Karte Hue) Kalma Sharif Na Padha Jaye To Aadmi Paak Nahi Hota NaaPaak Hi Rehta Hai,

*••༻ ❁⚘ SaHi Mas' aLa ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Ye Awam Ki Galat Fehmi Aur Fuzul Baat Hai Sahi Mas’Ala Ye Hai Ke Gusal Karte Waqt Na Kalma Sharif Padhe’n Aur Naa Hi Kisi Qism Ki GuftGu Kare’n Balke Gusl K Faraiz o Sunan o Mustahabbat Ko Ada Kare’n SadarushShariAh Badaruttariqah Mufti Amjad Ali Qadri Razvi Farmate Hain Gusl Karte Waqt Kisi Qism Ka Kalaam Na Kare’n Aur Na Koi Dua Padhe’n...✍

         *📬 Fatawa AalamGeeri 📗*
       *📬 Bahar e Shari’At Jild 2 📘*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  22

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
❝ HaaLat  e  Namaz  Me  Seene  Ka  Batan  Khula  Rakhna  Kaisa  Hai? ❞
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘GaLaT mas' aLa⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Aaj Kal Ye Bhi Dekha Gaya Hai Ke Bahut Se Log Namaz Padhte Waqt Seene Ka Batan Nahi Lagate Hain Seena Saaf Dikhta Hai Aur Namaz Padh Lete Hain,

*••༻ ❁⚘ SaHi Mas' aLa ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Is  Surat  Me  Namaz  Makrooh  e  Tehrimi  Hoti  Hai ...⊙➻┐​​

⚘✧➤ Agar Kurte Wagairah Ka Batan Na Laga Ho Aur Niche Baniyan Ya Kurta Wagairah Dusra Kapda Na Ho To Namaz Makrooh e Tehrimi Hogi
Haa’n Agar Niche Kurta Wagairah Koi Dusra Kapda Ho Aur Seena Nazar Na Aata Ho To Namaz Makrooh e Tanzihi Hai Makrooh e Tehrimi Ki Bina Par Namaz Ko Dobara Padhna Wajib (Zaruri) Hai Aur Tanzihi Ki Bina Par Mustahab (Achcha) Hai..✍

*📬 Fatawa FaizurRasul Jild 1 Safa 374 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  23

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ Aadhi Aastin Ke Kapde Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai? ❞
••──────────────────────••►

       *••༻ ❁⚘SawaL⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Aadhi Aastin Ke Kapde Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?

     *••༻ ❁⚘ JawaB ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Agar Puri Aastin Ka Kapda Paas Me Maujud Hai To Namaz Makrooh Hai Warna Bila Karahat Jayaz,

⚘✧➤ Hazrat SadarusShariAh RehmatullahAlaih Tehrir Farmate Hain Jiske Paas Kapde Maujud Ho’n Aur Sirf Aadhi Aastin Ka Kapda Ya Baniyan Pahen Kar Namaz Padhi To Karahat e Tanzihi Hai Aur Agar Kapde Maujud Nahi To Karahat Bhi Nahi Muaf Hai, Aur Agar Puri Aastin Ke Kapde Ki Aastin Chadha (Upar Mod) Kar Namaz Padhi To Namaz Makrooh e Tehrimi Hai,

*📬 DurreMukhtar Jild 1 Safa 437 Me Hai, 📚*

کرہ کفه ای رفعه ولو لتراب کمشمر کم او ذیل و صلاته فی ثیاب بذلة یلبسھا فی بیته ومھنته ای خدمته ان له غیرھا والا لا ،

*📬 Fatawa Amjadiya Jild 1 Safa 193,📘*

*⚠NOTE* ➧Karahat e Tanzihi, Jise Shariat Napasand Kare Magar Uske Karne Par Koi Azab Na Ho. (Namaz Ho Jayegi)

⚘✧➤ Makruh e Tehrimi, Jiski Mumaneat Dalil e Zanni Se Luzuman Sabit Ho Ye Wajib Ka Muqabil Hai ( Namaz Nahi Hogi Dobara Padhna Wajib Hai )..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  24

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH



         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝  Asr  Ka  Roza  Kya  Hai  Aur  Isko  Rakhna  Kaisa  Hai..? 
••──────────────────────••►

       *••༻ ❁⚘SawaL⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Asr Ka Roza Kya Hai Aur Isko Rakhna Kaisa Hai?

     *••༻ ❁⚘ JawaB ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Asr Ka Roza Hadis Ya Fiqah Se Sabit Nahi Balke Ye Mamoolat e Shaikh Me Se Hai,

⚘✧➤ Imam e Ahle Sunnat Se Pucha Gaya Baaz (Kuch) Log Is Mulk Me Asr Ki Namaz Se Magrib Tak Kuch Khate Pite Nahi Hain,  Isko Asr Ka Roza Kaha Jata Hai Iske Bahut Se Fazail Bayan Kiye Jate Hain, Ek Fayda Ye Hai Ke Jab Maut Ke Waqt Shaitan Pani Lekar Dhokha Dene Ayega Us Waqt Is (Asr Ka) Roza Rakhne Wale Ko Asr Ka Waqt Maloom Hoga Aur Roze Ka Khayal Rahega Is Liye Wo Keh Dega Ke Mai Roze Se Hu’n Tera Pani Hargiz Nahi Piyunga, Yaha’n Tak Ke Shaitan Lachar Hokar Chala Jayega Is Tarah Asr Ka Roza Rakhne Wala Gumrahi Se Bach Jayega, Ab Kya Ye Roza Aur Uske Ye Fayde Sahi Hain Ya Nahi?  Kisi Motbar Kitab Me Iski Asal Hai Ya Nahi?  Agar Nahi To Is Par Sawab Samajh Kar Amal Karna Kaisa Hai?

⚘✧➤ Imam e Ahle Sunnat Ne Jawab Irshad FarmaYa, Hadis Aur Fiqah Me Iski Asal Nahi  Haa’n Baaz Mashaikh (Buzurgo’n) Ke Mamoolat Me Se Hai Aur Is Amal Me Harj Nahi Insan Jitni Der Nafs Ki Khwahisho’n Se Bache Behtar Hai…✍

*📬 Fatwa Razviya Jild 23 Page 105, 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  25

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
❝ NAMAZI  KE  SAAMNE  SE  GUZARNA  MANA  HAI  HATNA  GUNAH  NAHI..⊙➻┐​​* ❞
••──────────────────────••►

       *••༻ ❁⚘SawaL⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Namazi Ke Samne se Gujarna or Hatna Kaisa Hua Braye MeHrBani TafseeL se is Mas 'ale par JawaB inayat FarmaYe

     *••༻ ❁⚘ JawaB ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Aamtor se Masjido me Dekha Gya Hai ki Do Shakhs Aage Piche Namaz Pardhte Hai Yaani Ek Pichli saff me aur Dusra Uske Saamne Agli saff me Agli Saff me Namaz Pardhne wala Pichewale se Pahele Faarigh Ho jata hai Aur Fir Uski Namaz Khatm hone ka Intezaar krta raheta hai ki Wo Salaam phere tab wo Yahan se hate Aur isse pahele hatne ko Namazi ke saamne se Guzarna khayal Kiya jata hai

⚘✧➤ Haalanki aisa nahi Hai Aage Namaz Pardhne wala Apni Namaz Padhker hatt jaaye to us per Guzarne ka Gunah Nahi Hai.

⚘✧➤ Khulasa Ye Hai ki Namazi ke Saamne se Guzarna Mana Hai Htana Manaa Nahi

⚘✧➤ Sadrush'shariha Hazrat Maolana Amjad Ali Sahab Aazmi Farmate hai *"AGER DO SHAQS NAMAZI Ke AAGE Se GUZARNA CHAHATE Ho Aur Sutra Ko KOI CHIZ Nahi*

⚘✧➤ TO UNME Se eK NAMAZI Ke Saamne UskI TARAF Peeth KeRKE KHADA HO JAAYE AUR DUSRA USKI AAD PAKAD KE GUZER JAAYE

⚘✧➤ FIR WO DUSRA USKI PEETH KE PICHE NAMAZI KI TARAF PUST (peeth) KERKE KHADA HO JAAYE WO DUSRA JIDHER SE AAYA USI TARAF HATT JAAYE,

*📬( Fatawa Aalamgiri.Raddul mohtar Bahare Shariyat, Hissa 3 page-156 )📚*

*⚠NOTE* ⚘✧➤SuTRA kehte hai koi aise chiz jo Namazi aage rakhdi jaye jisse log aage se guzar sake Sutra kam se Kam ek hath lamba aur ek Ungli ke barabar Mota ho, iske alawa Lambayi aur motayi chahe kitna bhi ho Harj nahi koi bhi chiz ho chahe lakdi ka danda hi kyu na ho Sutra ho jaega

❂••⊰ Isse Zahir Hai ki Guzarne Aur Hatane me farq Hai

❂••⊰ Aur guzarne ka Matlab Ye Hai ki Namazi ke Saamne se aaye aur Dusri taraf se Nikal Jaaye

❂••⊰  Ye Yaqinan Najayaz Aur Gunah Hai Aur  Namazi k Saamne Baitha Hai Aur kisi Tarafse Hatt  Jaaye To Ye Guzarna Nahi Hai Aur Isme Koi Gunaah Nahi Hai...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  26

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ Kya  Dahine  Pair  Ka  Angutha  Sarakne  Se  Namaz  Nahi Hoti?..⊙➻┐​​* ❞
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘GaLat Mas’ala⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Awaam Me Ye Baat Bahut Mash’hoor Hai Ke Agar Namaz Me Dahine Pair Ka Angutha Sarak Jaye To Namaz Nahi Hoti Hai.

*Ye BaaT BilkuL GaLat Aur BeAsl Hai*

*••༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Sahi Mas’ala Ye Hai Ke Agar Namaz Me Dahine Pair Ka Angutha Sarak Jaye To Namaz Me Koi Kharabi Nahi Aati Bila Karaahat Namaz Mukammal Ho Jati Hai Haa’n Bila Wajah Namaz Me Qasdan Koi Harkat Karna Jism Ke Kisi Bhi Hisse Se Makrooh Hai.

⚘✧➤ Faqih e Millat Farmate Hain Dahine Pair Ka Angutha Namaz Me Apni Jagah Se Hat Gaya To Koi Harj Nahi Lekin Muqtadi Ka Dahine Baae’n Ya Aage Piche Itna Hatna Ke Jis Se Saf Me Kushadgi Paida Ho Ya Seena Saf Se Bahar Nikle Makrooh Hai...✍

   *📬 Bahare Shariat Hissa 3 📒*

*📬 Fatawa FaizurRasul Hissa 1 Safa 371 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  27

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
❝ Dadhi  Mundane  Wala  Azaan  Keh  Sakta  Hai  Ya  Nahi?..⊙➻┐​​ 
••──────────────────────••►

      *••༻ ❁⚘SawaL⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Dadhi Mundane Wala Azaan Keh Sakta Hai Ya Nahi?

*••༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Dadhi Mundane Wala Fasiq Hai

*📔 Durre Mukhtar Jild 5 Safa 261 Par Hai 📔*

یحرم علی الرجل قطع لحیته ،

⚘✧➤ Dadhi Mundane Wale Ki Azaan Makruh Hai Is Liye Ke Wo Fasiq Hai,

⚘✧➤ Aur Durre Mukhtar Ma Shami Jild 1 Safa 289 Me Hai

یکرہ اذان فاسق اھ،

⚘✧➤ Aur Hazrat e SadarusShariAh RehmatullahAlaih Farmate Hain
Khunsa (Hijda) Wa Fasiq (Haram Kaam KhuleAam Karne Wala) Chahe Aalim Hi Ho Aur Nasha Wale Aur Pagal Aur NaSamajh  Bachche Aur Junub (Jis Par Gusl Farz Ho)   Ki Azaan Makruh Hai

⚘✧➤ In Sab Ki Azaan Ka eAada (Dobara) Kiya Jaye

*📕 Bahar e Shariat Hissa 3 Safa 31,📕*

⚘✧➤ Nasha Wale Pagal Aur NaSamajh Bachche Ki Azaan Batil Hai Jaisa Ke Imam e AhleSunnat Aala Hazrat  Imam Ahmad Raza RehmatullahAlaih *JaddulMumtar Jild 2 Safa 88 Par* BehrurRaiq  Ke Hawale Se Farmate Hain Nasha Wale Pagal Aur NaSamajh Bachche Ki Azaan Batil Hai Kyun Ke Sehat e Azaan Ke Liye Aql Aur Islam Shart Hai Aur Baqiyo Ki Azaan Makruh Hai,

   *📘BehrurRaiq Jild 1 Safa 460,📘*

⚘✧➤ Lehaza Pagal Jisne Nasha Kiya Ho Jis Par Gusl Farz Ho NaSamajh Bachcha Hijda Ya Phir KhuleAam Haraam Kaam Karne Wale Ne Azaan Padhi To Us Azaan Ko Dobara Padha Jayega...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  28

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ Sunnat  e  Gair  Mo’Akkeda  Ko  Padhne  Ka  Sahi  Tariqa  Kya  Hai ?...⊙➻┐ ❞
••──────────────────────••►

⚘❁☞ Kya Sunnate Gair-Mo’Akkeda Ko Bhi Aur Namazo’n Ki Tarah Padha Jaye?

⚘❁☞ Aam Taur Par Logo Ko Ye To Maloom Hai Ke Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Na Padhne Me Koi Gunah Nahi Hai Lekin Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Padhne Ka Sahi Tariqa Kya Hai Is Se Be-ilm Hai

⚘❁☞ Haalanke Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Bhi Bila Wajah Na Chhore Ke Namaz Humare Aaqa ﷺ Ki Noorani Aankho’n Ki Thandak Aur Allah  ﷻ Ki Khushnudi Ka Zariya Hai

⚘❁☞ Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Aur Nafil Namaz Padhne Ek Hi Tariqa Hai

⚘❁☞ Lehaza Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Aur Nafil Namaz Ko Usi Tariqa Ke Mutabiq Padhe’n Jo Niche Zikr Kiya Gaya Hai

*••༻ ❁⚘GaLat Mas’ala⚘❁ ༺ ••*

🏻 ➧Kuch Log Asr Aur Isha Ki Sunnate’n Jo *Gair-Mo’Akkeda* Hain
Unhe Aam Sunnato’n Ki Tarah Ada Karte Hain, Haalanke Aysa Nahi Hai

*••༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Sahi Mas’ala Ye Hai Gair-Mo’Akkeda Sunnato’n Ke *Qayda e Uoola* Me Tashahhud Ke Baad Durood Sharif Bhi Padhni Chaiye Aur Teesri (3rd) Rakat Sana Se Shuru Kare Kyun Ke Sunnate Gair Mo’Akkeda Aur Nafil Ki Har Do (2) Rakat Mustaqil Namaz Hai Aur Do (2) Rakat Ke Baad Jo Qayda Hai Wo *Qayda Akhirah* Ke Hukm Me Hai,

*📬 Bahare Shariat Hissa 4 Safa 15*

*⚘Gair-Mo’Akkeda❂•➤* Jiska Karna Sawab Aur Na Karne Me Cahe Aadatan Ho Etaab (Narazgi Malamat) Nahi Magar Shar’an Use Chhorna Na Pasand Ho,

*⚘Qayda e Uoola❂•➤* Char (4) Rakat Wali Namaz Ki Dusri Rakat Me Attahiyat Ke Liye Baithna,

*⚘Qayda Akhirah❂•➤* Namaz Ke Aakhir Me Namaz Ko Khatm Karne Ke Liye Attahiyat Me Baithna..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  29

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
❝  Biwi  Ke  Sath  Humbistari  Se  PahLe  Bismillah  Padhna  Kaisa  Hai?...⊙➻┐​​ 
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘GaLat Mas’ala⚘❁ ༺ ••*

🏻 ➧Awam Me Ye Bhi Mash’hoor Hai Ke Biwi Se Humbistari Karne Se Pehle Bismillah Sharif Nahi Padhni Chaiye Aur Humbistari Se Pehle Bismillah Padhna Gunah Samajhte Hai.

*Ye  Awam  Ki  GaLat  Sonch  Aur  Khilaf  e  Shara  Baat  Hai*

*••༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤ Sahi Mas’ala Ye Hai Ke  Biwi Se Humbistari Karne Se Pehle Bismillah Padhna Jaiz o Mustehsan Hai Bismillah Padhne Ka Shariat e Mutahhara Me Hukm Aaya Hai.

⚘✧➤ Aala Hazrat Imam e AhleSunnat Ashshah Imam Ahmad Raza Qadri  Farmate Hain

⚘✧➤ Jo Bagair Bismillah Aurat Ke Paas Jaye Uski Aulaad Me Shaitan Ka Sajha Hota Hai Hadis Me Ayso Ko Mughrabin Farmaya Hai Yani Jo Insan Aur Shaitan Ke Majmui Nutfe Se Banta Hai...✍

*📬 Al’Malfuz Sharif Hissa 2 Safa 92 📚

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  30

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝   Kya  Huzoor ﷺ Ne Azan Di Hai?..⊙➻┐​​
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘GaLat Mas’ala⚘❁ ༺ ••*

🏻 ➧Yeh Post Bahot Si Bar Facebook WhatsApp Par Share Hota Hai Ki Huzoor ﷺ Ne Kabhi Azzan Nahi Di Warna Saari Kaynat Tham Jati Pedh Aur Pahad Samandar Ek Jagah Jama Ho Jate Yeh Sab Man Ghadat Hadees E Share Ho Rahi Hai Ayse Logo Ko Touba Karni Chahye

*••༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

*⚘✧➤   Huzoor ﷺ  Hadees Hai*

⚘✧➤ Huzoor ﷺ Ne Farmaya Jisne Mujh Par Jaan Bujh Kar Juth Bandha Woh Apna Thikana Jahnnam Me Bana Le,

*⚘✧➤ Ek  Aur  Hadees  Me  Aap  ﷺ  Farmate  Hai...⊙➻┐​*

⚘✧➤ Aakhir Waqt Me Dajjaal Aur Jhoote Honge Woh Tumhe Aysi Aysi Hadees E Sunayenge Jinhe Tumne Aur Tumhare Baap Dadaon Ne Nahi Suna Hoga Isliye Unse Apne Aapko Mehfooz Rakhna, Kahin Aysa Na Ho Ki Woh Tumhe Gumrah Kar Den Aur Fitne Me Daal Den,

*⚘✧➤ Ab  Rahi  Baat  Huzoor  ﷺ  Ne  Azan  Di  Ya  Nahi?...⊙➻┐​​*

                  ⇩ ••HADEES•• ⇩

⚘✧➤​ uzoor ﷺ Safar Pe The Namaz Ka Waqt Qareeb Aaya, Baarish Barsi To Zameen Geeeli (Gara) Ban Gayi Aap Ne Sawari Par Baithe Hi Azaan Di Phir Iqamat Kahi

*📬( Musnad-e-Ahmed, Hadees 17584. Tirmizi Shareef, Hadees 411)📒*

⚘✧➤ Jab Imam E Hasan Ibn E Ali  Radhi Allaahu Anhu Ki Wilaadat Huvi To Huzoor ﷺ Ne Un Ke Kaan Me Azaan Di...✍

*📬 ( Tirmizi Shareef, Hadees#1519 )📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  31

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ Sajde  Me  Jate  Waqt  Tehband  Ya  Paijama  Wagairah  Uthana  Kaisa  Hai?..⊙➻┐​​
••──────────────────────••►


       *••༻ ❁⚘SawaL⚘❁ ༺ ••*

🏻 ➧Sajde Me Jate Waqt Tehband Ya Paijama Wagairah Uthana Kaisa Hai?

       *••༻ ❁⚘ JawaB ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤  Faqih e Aazam e Hind Huzur SadarushShariat Rehmatullah,

⚘✧➤  Makroohat e Tehrimiya (Makruh e Tehrimi Ki Jama) Ke Bayan Me Likhte Hain, Kapda Sametna Maslan Sajde Me Jate Waqt Aage Ya Piche Se Utha Lena Chahe Gard (Dhool) Bachane Ke Liye Kiya Ho Aur Bila Wajah Ho To Aur Zyada Makrooh Hai,

*📬 Bahare Shariat Hissa 3 Safa 125,*

⚘✧➤ Aur Fatawa Aalamgiri (Khainiya) Jild 1 Safa 105 Par Hai.

یکرہ للمصلی ان یرفع ثوبه من بین یدیه او من خلفه اذا ارادالسجود و کذا فی معراج الدرایۃ اھ ٬٬ ملخصاً

⚘✧➤ Ye Amal Makruh e Tehrimi Hai Namaz Ka Dohrana Zaruri Hai Namaz Nahi Hogi..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  32

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ Khutba  Ke  Waqt  Chanda  Karna  Kaisa  Hai?.⊙➻┐ ❞
••──────────────────────••►

*••༻ ❁⚘GaLaT Mas’ala⚘❁ ༺ ••*

🏻 ➧Baaz Log Juma Ke Din Khutba Ke Waqt Dabba Ya Rumal Hila Kar Aawaz Karte Hue Logo Se Chanda Mangte Hain Taamir e Masjid Ka Chanda Dijiye Aur Kehte Hain Ke Ye Deeni Kaam Hai Is Liye Khutba Ke Waqt Bhi Jaiz Hai Halanke Ye BeAsal Aur Masjid Ke Mutawalli Wa Arakin Ki GaLaT FeHmi Hai,

*••༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤  Sahi Mas’ala Ye Hai Ke Aen Khutba (Khas Khutba) Ke Waqt Is Tarah Chanda Mangna Jaiz Nahi Ke Tamam Hazirin Par Khutba Sunna Aur Chup Rehna Farz Hai Yahan Tak Ke Jab Imam Khutba Ke Liye Nikle Usi Waqt Se Namaz o Azkar Mana Hai Sirf Sahib e Tartib Ko Qaza Namaz Padh Lene Ka Hukm Hai

⚘✧➤  SadarushShariah 
Durre Mukhtar Ke Hawale Se Bayan Farmate Hain Jo Chize’n Namaz Me Haraam Hain Maslan Khana, peena, Salam, Jawab e Salam Wagairah Ye Sab Khutba Ki Haalat Me Bhi Haram Hain Aur Jab Namaz Jaisa Deeni Kaam Halat e Khutba Me Jaiz Nahi To Chanda Mangna Badarja e Aola NaJaiz Hai Is Liye Arakin e Masjid Ko Chahiye Ke Khatib Ke Membar Par Aane Se Pehle Ye Sab Kaam Karle’n,

*📬 Bahare Shariat, Fatawa FaizurRasul Jild 1 Safa 418, 📚*

*⚘ Sahib e Tartib ✧➤* Wo Shakhs Hai Jiski Baligh Hone Ke Baad Se Lagatar 5 Farz Namazo’n Se Zyada Koi Namaz Qaza Na Hui Ho...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  33

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ SunnaT  e  Gair  Mo’Akkeda  Ko  PadHne  Ka  SaHi  Tariqa  Kya  Hai?...⊙➻┐​​ ❞
••──────────────────────••►

⚘❁☞ Kya Sunnate Gair-Mo’Akkeda Ko Bhi Aur Namazo’n Ki Tarah Padha Jaye?

⚘❁☞ Aam Taur Par Logo Ko Ye To Maloom Hai Ke Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Na Padhne Me Koi Gunah Nahi Hai Lekin Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Padhne Ka Sahi Tariqa Kya Hai Is Se Be-ilm Hai,

⚘❁☞ HaaLanke Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Bhi Bila Wajah Na Chhore Ke Namaz Humare Aaqa ﷺ Ki Noorani Aankho’n Ki Thandak Aur Allah  ﷻ Ki Khushnudi Ka Zariya Hai,

⚘❁☞ Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Aur Nafil Namaz Padhne Ek Hi Tariqa Hai,

⚘❁☞ Lehaza Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Aur Nafil Namaz Ko Usi Tariqa Ke Mutabiq Padhe’n Jo Niche Zikr Kiya Gaya Hai,

*••༻ ❁⚘GaLaT Mas’ala⚘❁ ༺ ••*

🏻 ➧kuch Log Asr Aur Isha Ki Sunnate’n Jo Gair-Mo’Akkeda Hain Unhe Aam Sunnato’n Ki Tarah Ada Karte Hain, *HaaLanke Aysa Nahi Hai*

*••༻ ❁⚘ SaHi Mas’ala ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤  Sahi Mas’ala Ye Hai Gair-Mo’Akkeda Sunnato’n Ke Qayda e Uoola Me Tashahhud Ke Baad Durood Sharif Bhi Padhni Chaiye Aur Teesri (3rd) Rakat Sana Se Shuru Kare Kyun Ke Sunnate Gair-Mo’Akkeda Aur Nafil Ki Har Do (2) Rakat Mustaqil Namaz Hai Aur Do (2) Rakat Ke Baad Jo Qayda Hai Wo Qayda Akhirah Ke Hukm Me Hai,

*📬 BaHare Shariat Hissa 4 Safa 15 📚*

*○✧➤ Gair-Mo’Akkeda*  Jiska Karna Sawab Aur Na Karne Me Cahe Aadatan Ho Etaab (Narazgi Malamat) Nahi Magar Shar’an Use Chhorna Na Pasand Ho,

*○✧➤ Qayda e Uoola* Char (4) Rakat Wali Namaz Ki Dusri Rakat Me Attahiyat Ke Liye Baithna,

*○✧➤ Qayda AkhiraH* Namaz Ke Aakhir Me Namaz Ko Khatm Karne Ke Liye Attahiyat Me Baithna..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  34

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
❝ BAD-MAJHAB KE PICCHE NAMAZ PADHNA KAISA ?...⊙➻┐​​ ❞
••──────────────────────••►

        *••༻ ❁⚘SawaL⚘❁ ༺ ••*

🏻 ➧Kya Farmate Hai Ulma-e-Deen E Shr’a Mateen Is Masle Ke Bare Me Ke Bad-Majhab Ke Picche Namaz Padhne Ka Kya Huqm Hai ?

       *••༻ ❁⚘ JawaB ⚘❁ ༺ ••*

⚘✧➤  Bad-Majhab Ko Imam Banana Aur Uske Picche Namaz Padhna Gunah Hai, Bad-Majhab Aisa Hai Ke Us Ki Gumrahi Hadde Kufr Tak Pahunch Chuki Hai To Uske Picche Namaz Batil Hai, Agar Padhi To Seere Se Hogi Hi Nahi Aur Wo Bad-Majhab Jis Ki Gumrahi Hadde Kufr Tak Na Pahunchi Ho Uske Picche Namaz Makruhe-Tahrimi wajib-ul-Ay’aada Hai Yani Agar Padhi To Farz Zimme Se Saqit Ho Jayega Lekin Us Namaz Ka Dobara Padhna Wajib Hai,

🌹📃 Fatwa A’almgiri Me Hai *Tarjuma* Agar Bad-Majhab Ki Gumrahi Hadde Kufr Tak Na Pahunchi Ho Us Ke Picche Krahat Ke Sath Namaz Ho Jayegi Warna Nahi Hogi,

*📬 Fatwa A’almgiri, Jild 1, Safha 84,Matbua Paishawar 📘*

⚘✧➤ A’ala Hazrat Imam Ahle Sunnat Moulana Shah Imama Ahmed Raza Khan Rahmatullah Alaih رحمة الله عليه Farmate Hai ‘’Jo Qira’at Galat Padhta Ho Jis Se Ma’ana Fasid Ho Ya Wuzu Ya Gusl Sahi Na Karta Ho Ya Jaroorat-e- Deen Me Se Kisi Cheez Ka Munkir Ho Un Ke Picche Namaz Mehz Batil Hai, Aur Jis Ki Gumrahi Hadde Kufr Tak Na Pahunchi Ho Un Ke Picche Namaz Bakrahate Shadeed Tahreem’a Makruh Hai Uneh Imam Banana Haram Aur Un Ke Picche Namaz Padhna Gunah Aur Jitni Padhi Ho Sab Ka Fairna (Wapas Padhna) Wajib..✍

*📬 Fatwa Rizwiya, Jild 6, Safha 625 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  35

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝  🇸🇦 IsLaam Mein Har Naya Kaam Gumraahi Or GunaaH Nahin..?❓ 
••──────────────────────••►

⚘✧➤ Musalmano’n mein kuch aesi baatein raeez ho gayi hain jo aesi shakl mein Rasoolallah ﷺ or Sahaba Kiraam ke zamaaney mein na thi Agarchey baad mein inka riwaaz hua lekin in mein koi Deeni wa Islami maslihat hai or khilaaf shar’aa koi baat bhi in mein nahin payi jaati or woh Qur’an wa Hadees ke kisi hukm ke khilaaf nahin hai to inko karne mein koi harz nahin hai inko Bid’at wa Gumraahi kehna saraasar nadani hai. Jaise buzurgo’n ke naam par sadqa wa khairaat karna, aehbaab wa aam muslimeen ko khilana pilana jise Niyaaz dilana kehte hain fatiha dilana. Qur’an khwaani karna, Urs karna, Mehfile Meelad Shareef ka in-eeqad, azaan ke baad namaaz ki yaad dahaani ke liye Masaajid mein salaat pukaarna Qabro’n par azaan dena 12vi Shareef ke din Rasoolallah ﷺ ki wilaadate shareefa ki khushi manana wagerah yeh sab kaam achhe hain or inko karne mein koi harz nahin hai jabki inme koi aesi jyadati na ho jo khilaaf shar’aa ho or shariyate-islamiya ke daayre mein hi kiye jaaye, kuch log kehte hai ki yeh sab baatein isliye gunaah hain ki Huzoor ﷺ ke zamaaney mein inka koi wujud na tha halanki inki asl haqeeqat us zamaney mein bhi thi yaani kisi na kisi shaklmein yeh Huzoor ﷺ ke zamaaney mein bhi paaye jaatey they, or Bid’at yaani naya kaam gumraahi tab hota hai jabki woh Sarkar ﷺ ke zamaney mein kisi bhi shaklmein na hua or inko karne mein kisi shar’ee hukm ki mukhalifat hoti ho, aaney wale saf-haat mein inki asl se muta’alliq Ahadees bhi mulahiza farmayenge,

⚘✧➤  Agar Islam mein har woh kaam bid’at wa gumraahi hai jo Huzoor ﷺ ke zamaney mein na tha to Madaaris ka qaayam karna, chandey karna, ilm Nahav wa sarf balaagat wa fasaahat padhna, Madaaris mein salana Khatme Bukhari ke jalsey dastaar bandi, masjido’n par meenar banana, ilm-e-usool wa fikaa padhna, aeraab yaani Zabar, Zair, or Pesh lagey hue Qur’an padhna, padhana or chhapna 40 din muqarrar karke tableeg ke liye nikalna yeh sab kaam bhi Huzoor ﷺ ke zamaney mein na they lihaza yeh bhi gumraahi ho jayegi

⚘✧➤  Khulasa yeh ki Ahadees se yeh baat saabit hai har naya kaam gumraahi nahin agar iski asl Huzoor ﷺ ke zamaney mein ho or isko karne mein koi Deeni bhalai ya Islaam or Musalmano’n ka nafa ho,

⚘✧➤  Ab is silsiley mein Ahadees mulahiza farmaiYe أن شاء الله

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  36

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 *❝ 🇸🇦 IsLaam Mein Har Naya Kaam Gumraahi Or GunaaH NaHin..?❓* ❞
••──────────────────────••►

⚘✧➤ imarwi hai ki Rasoolallah ﷺ ne irshaad farmaya ki jisne Islam mein koi achha tareeka nikala to isko uska azr wa sawaab milega or jitne log us par amal karenge un sabka sawaab bhi usko milega or unke sawaab mein koi kami nahin ki jayegi or jisne Islam mein koi bura tareeka nikala to us par uska gunaah hoga or jitne us par chalenge un sabka gunaah bhi us par hoga or un gunaaho’n mein bhi koi kami nahin ki jayegi

*📘( Muslim Zild 1 Kitaabuz-zkaat Safa 327, Mishkaat Kitaabul Ilm Safa 33 )📘*

⚘✧➤ Is Hadees ke sharah mein Imam Navvi (Al-mut-wafa 676 Hijri) farmatey hain-Is Hadees se Huzoor ﷺ ke farmaan or har naya kaam bid’at hai or har bid’at gumraahi ki takhsees ho jaati hai or beshak is Hadees mein Huzoor ﷺ ne naye kaamo’n ko gumraahi farmaya hai jo baatil ho or un bid’ato’n ko jo mazmoom or buri ho or bid’at ki 5 aqsaam hain – Wajib, Mandoob, Haraam, Makrooh, Mubaah

*📒( Haashiyaaye Muslim Safa 327 )📒*

⚘✧➤ Isse khoob zaahir hua ki Imam Navvi ka maslak yehi tha ki bid’at ki 5 kisme hain. Lihaza har bid’at or naye kaam ko gumraahi nahin kehna chahiye...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  37

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝ 🇸🇦 IsLaam Mein Har Naya Kaam Gumraahi Or GunaaH NaHin..?❓ ❞
••──────────────────────••►

        ⇩◑     *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                    •──────•

⚘✧➤ Hazrat Abu Hurerah Radiallaho Ta’ala Anho se marwi hai ki Rasoolallah ﷺ ne irshaad farmaya jisne sawaab wa yaqeen ki niyat ke sath Ramzaan mein taraweeh ki namaaz padhi uske guzishta gunaah maaf kar diye jaatey hain. Ibne Shihab kehte hain ki Rasoolallah ﷺ duniya se tashreef le gaye or baat itne hi tak rahi or Hazrat Abu Bakr Saddique ki khilaafat mein or Hazrat Umar ke shuru daur-e-khilaafat mein bhi yehi chalta raha (Yaani ba-kayeda ba-jama’at taraweeh ki namaaz nahin padhi jaati thi) Abdur-rehmaan kehte hain ki main Hazrat Umar ke sath ek din Ramzaan ki raat mein Masjid mein gaya to logo’n ko alag-alag namaaz padhtey dekha koi akela padh raha hai, kisi ke sath chand log namaaz padh rahe hain. Hazrat Umar ne farmaya meri raaye mein agar main in logo’n ko ek Imam ke sath jama kar deta to behtar hota Phir is khayaal ko amli jaama pehnaya or sabko Hazrat Ubaee Ibne Ka’ab ki Imamat par jamaa farma diya Hazrat Abdur-rehmaan kehte hain phir main agli raat Hazrat Umar ke sath Masjid mein gaya to dekha sab log namaaz-e-taraweeh ek hi Imam ke sath ba-jama’at ada kar rahe hain, Hazrat Umar ne dekhkar farmaya yeh bid’at (Naya kaam) bahut achha hai.

*📬( Bukhari Zild 1 Baab Fazle-Man-Qama Ramzaan Safa 269 wa Mishkaat Safa 115 )📚*

⚘✧➤ Is Hadees se khoob wajeh ho gaya ki Hazrat Umar ke nazdeek har naya kaam bid’ato gumrahi nahin or yeh ki bid’at or naye kaam kuch achhe bhi hote hain..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  38

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
    ❝  🇸🇦 IsLaam Mein Har Naya Kaam Gumraahi Or GunaaH NaHin..?❓
••──────────────────────••►

        ⇩◑     *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                    •──────•

⚘✧➤ Hazrat Jaid Ibne Saabit farmatey hain ki Jung Yamama ke zamaney mein Hazrat Abu Bakr ne mujhko bulaya to dekha Hazrat Umar bhi paas baithe hain. Hazrat Abu Bakr ne mujhse farmaya ki yeh Umar mere paas aaye or kaha Yamama ki ladaaee mein Qur’an ke Qaari bahut taadaad mein shaheed ho gaye hain or mujhko khatra hai ki yunhi ladaaee mein Kaari shaheed hote rahe to Qur’an ka bahut sa hissa hath se chala jayega. Meri raaye hai ki aap Qur’an ko jama karne ka hukm dein. Abu Bakr Siddique ne farmaya ki maine Umar ke is kehne par unse kaha ki aap woh kaam kaise karenge jisko Huzoor ﷺ ne na kiya ho? To Umar ne mujhse kaha lekin kaam hai to achha. To Umar baar-baar yeh baat mujhse kehte rahe yahaan tak ki Allah Ta’ala ne mera seena khol diya or meri raaye bhi ab wohi hai jo Umar ki raaye hai. Raawi Hadees Jaid Bin Saabit farmatey hain phir mujhse Abu Bakr Siddique ne farmaya tum jawaan aadmi ho or aqalmand bhi ho or humko tum par aetbaar hai tum Rasoolallah ﷺ ke zamaaney mein Wahee likhtey rahey to koshish karke Qur’an ko jama karo, Jaid kehte hain Khuda ki qasam agar woh log mujhko pahaad dhaaney ka hukm dete to woh bhi mere liye isse aasan tha. Maine kaha aap log woh kaam kaise karenge jo Rasoolallah ﷺ ne na kiya ho? In logo’n ne farmaya lekin kaam hai to achha phir baraabar Abu Bakr mujhse yeh baat dohraatey rahe yahaan tak ke Allah Ta’ala ne mera seena khol diya jis tarah inka seena is kaam ke liye khol diya tha. Phir maine Qur’an Kareem ko khujoor ki shakho’n, pathar ke tukdo or logo’n ke seeno’n se talaash karke jama karna shuru kar diya. Yahaan tak ke Sureh Tauba ki aakhiri Aayat (Lakad Ja’akum Rasool) se lekar aakhir Sureh tak Hazrat Khuzaima Ansari ke paas thi or kisi ke paas na thi. Hazrat Jaid farmatey hain ki yeh jama shuda nuskha Hazrat Abu Bakr Siddique ke paas raha phir inke wisaal ke baad Hazrat Umar ke paas or inke wisaal ke baad inki saahib zaadi Ummul Momineen Hazrat Hafsa ke paas.

*📬( Bukhari Zild 2 Baab Jam-ul-Qur’an Safa 745 or Mishkaat Safa 193 )📚*

⚘✧➤ Is Hadees ke sharah mein sheikh Abdul Haq Dehalvi Lam’aat mein farmatey hain.

⚘✧➤ Yaani is Hadees se saabit hai ki woh kaam yaani jama Qur’an (Quran ka Jamaa Karna) bid’atey Hasna yaani achhi bid’at hai...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  39

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ 🇸🇦 IsLaam Mein Har Naya Kaam Gumraahi Or GunaaH NaHin..?❓ ❞
••──────────────────────••►


        ⇩◑     *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                    •──────•

⚘✧➤ Hazrat Saaeeb Ibne Yazeed se marwi hai ki Jummey ke din ek azaan us waqt hoti thi jab Imam mimbar par tashreef laate Huzoor ﷺ ke zamaaney mein or Hazrat Abu Bakr Siddique wa Hazrate Umar Radiallaho Ta’ala Anhuma ke daur mein to jab Hazrat Usmaan Gani ki khilaafat ka zamana aaya or aabadi jyada hui to unhoney mukaam-e-zaura par ek azaan ka izafa farmaya. Yaani ab 2-2 azaaney hone lagi,

*📗( Bukhari Zild 1 Baabul Azaan Yaumal Jum’a Safa 124 )📗*

⚘✧➤ Is Hadees se bhi maloom hua ki kisi Deeni maslahat ya zarurat se agar koi amal ijaad kiya jaaye to woh gumraahi nahin jaise Hazrat Usmaan ne awaam ki jyadati ke peshe nazar Jumah mein ek azaan ka ijaafa kiya jo aaj tak saari duniya mein hoti hai warna Huzoor ﷺ ke zamaaney mein Jumah mein sirf ek hi azaan hoti thi.

        ⇩◑     *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                    •──────•

⚘✧➤  Hazrat Bilaal Haaris se marwi hai ki Rasoolallah ﷺ ne irshaad farmaya jisne kisi Sunnat ko raaiz kiya jabki mere baad log usko bilkul chhod chuke they to usko is par amal karne wale saare logo’n ka sawaab milega or inke sawaab mein koi kami na ki jayegi or jisne aesi bid’at naye kaam ko ijaad kiya jo gumraahi hai to is par amal karne wale ka gunaah hoga or inke gunaah mein bhi kami nahin aayegi.

*📘( Tirmizee Zild 2 Baabul Akhz-bis-sunnat Safa 92, Mishkaat Kitaabul Itisaam Safa 30 )📘*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  40

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝🇸🇦 IsLaam Mein Har Naya Kaam Gumraahi Or GunaaH NaHin..? ❞
••──────────────────────••►

       ⇩◑     *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                    •──────•

⚘✧➤ Is Hadees Shareef mein Huzoor ﷺ ne bid’at ke aagey zalaalat (gumrahi) ki qaid lagakar wajeh farmaya ki har bid’at or naya kaam gunaah nahin balki wohi jo zalaalat yaani gumraahi ho. Goya ki bid’at ki taqseem or uska achha or bura dono’n tarah ka hona khud Rasoolallah ﷺ se manqool hai Is Hadees ki sharah mein Mulla Ali Kaari farmatey hain Yaani bid’at ke sath zalaalat (gumrahi) ka lafz isliye laya gaya taki bid’at Hasna ko shaamil na ho.

 *📚 ( Mirqaat Zild 1 Safa 202 ) 📚*

⚘✧➤ Khulasa yeh ki Niyaaz Fatiha, Milaad Shareef, Salaat wa Salaam, Urs or Mazaraat ki haaziri, Qabr par azaan wagerah ko bid’at wa najayez kehkar rokne walo’n ko in Hadeeso se sabak haasil karna chahiye, haq yeh hai ki yeh sab kaam achhe hain, haan woh log galatfehmi ka shikaar hain jo unhe farz waajib samajhtey hain or farz wa waajib samajh kar karte hain. Farz to Islam mein 5 waqt ki namaaz, Ramzaan ke rozey hain. Maal ki zakaat nikalna hai, juaye sharaab lautri cinema gaaney tamasho se bachna bhi farz hai. To jo log namaaz rozey ko chhod kar haraam kamo mein lagey rehte hain or Niyaaz Fatiha karte hain or Urs wa Mazaraat ki haaziri ko Islaam samajhey hue hain yeh log bhi sakht galatfehmi or badi bhool mein hain or jo Allah ke Rasool or dusre buzurgaaney deen ki shaan mein be-adab hote hain, gustaakhiya’n karte hain woh bade badnaseeb Khuda or Rasool ke dushman or Jehannam ka indhan hain. Khulasa yeh Allah Ta’ala ki ibaadat Huzoor ﷺ ke bataaye hue tareeqe par karna farz wa zaroori hai or yehi Islam hai or iske sath Allah walo’n se mohobbat ke izhaar ke liye Niyaaz wa Fatiha hoti rahe to yeh behtareen baat hai. Isme koi gunaah nahin hai. Jabki yeh Urs wa Milaad wagerah shari’at ke daayre mein ho. Inme koi khilaafe shar’a baat na ho. Jaise nautanki, dhol, baaje, gaane, tamaashey, aurto’n ki bepardagee wagerah...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂KE ➫  41

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊

••──────────────────────••►
  ❝ Sab  MiL  kar  Allah  ki  Rassi  ko  Mazbuti  se  Tham  Lo  Aur  Firqo’n  mein  MaT BanTo..┌◆↷ ​★* ❞
••──────────────────────••►

⚘✧➤ Is Doure Pur Fitn mein Jnha Haq Ki Raah Talash Karna Mushkil Aur Dushwar Hai Tab Maine Allah Aur Uske Pyare Rasool Alaihissalm  Ki Nusrto’n Madad Se Quran Ka Mutal’a Kiya Taki Apne Liye Haq Ki Rah Aur Nijat Ka Rasta Pa Sakun To Qurane Mukddas Ne meri Rehnumaee Farmaee Aur Ishqo Irfan Ki Raah Ke Khututo Nukush (Nishaan) Jahir Farma Diye.

⚘✧➤ Maine Badi Koshish ki Quran Padhkar Khud ko Sulehkulli (Yani Sab Firqe Haq Pe Hai ke hai Khayal wala) Sabit karun Magar Nakam Raha.

⚘✧➤ Maine Tamam Qurani Surate Padhi Magar Mujhe Na Koi Aayat Aur Na Koi Aisi Surah Mili Jisse Suleh Kulliyat Sabit Ho Balke Jo Mila Wo To Ye MiLa

⚘✧➤ "Ay Mehboob ﷺ Agar Tum In Gustakho’n ki 70 Baar Bhi Muafi Chahoge to Allah Hargiz Eneh Nahi Bakhshega.

     *📒 ( Surah Tawbah / 9 : 80 ) 📒*

⚘✧➤ Maine Koshish Ki, Apne Aapko Kisi Firqe se Na Jodu, Magar Ynha Bhi Mujhe Nakami Hue

⚘✧➤ Yyuni Allah Ke Nabi Sallallahu alaihi wasallam ( ﷺ) Ki Is Hadees Paak Ne Meri Rehnumaee Ki AUr Mere Emaan Va Islam Ki Hifajat Farmee,

⚘✧➤ Bani Esraeel 72 Firqo’n me Banti Thi Aur Meri Ummat 73 Firqo’n mein Bant Jayegi Aur Sare Firqe Zahannami Honge Siwaye 01 Ke”

*📘( Tirmizi Sharif Jild 02/Kitabul Emaan )📘*

⚘✧➤ Har Jagah 73 Mein Se 72 Firqe Gustakhi-e-Nabi Karne Ki Wajah Se Munafiq, Fasik, Jhute, Jahannmi, Kafir Aur Be-Emaan Aur Bad-Deen va Gumraah Nazar Aaye In 73 Mein Se Sirf Ek Firqa Kaamyab, Naji, Jannati, Saccha, Huq Aur Deen Par Nazar Aaya Jiski Wajahat Qurane Majeed Ne Khud Farma Di Aur Qiyamat Tak Ke Musalmano Ke Liye Kamyabi Aur Nijaat Ka Rasta Bta Diya..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  42

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝  Sab  MiL  kar  Allah  ki  Rassi  ko  Mazbuti  se  Tham  Lo  Aur  Firqo’n  mein  MaT BanTo 
••──────────────────────••►

⚘✧➤ Agar Quran Mein Kahi Musalman Lafz Ka Zikr Aaya Bhi Hai to Isse Murad Emaan Wale Hi Hai Fasik wo Munafiq Nahi.

⚘📖✧➤  Quran Kehta Hai “Sab Milkar Allah Ki Rassi ko Mazbuti Se Tham Lo Aur Firqo’n Mein Mat Bnto,

  *📒( Surah : Aale Emran 3/103 )📒*

⚘✧➤  Triqa-e-Muslimeen Majhab Ahle Sunnat Hai, Uske Siwa Koi Dusri Raah Ekhtiyaar Karna Tafrka Bazi (Firqo Mein Btna) Hai Jo Ki Mna Hai,

⚘✧➤  Magar Chunki Munafiqeen Ne Ummat Ko Jaan Bujh Kar Firqo’n me Bant Diya Hai Is liye Quran Kehta Hai,

⚘📖✧➤  Aur Wo Jinhone Masjid Banaee (Islam ko) Nuksan Pahunchane Ko Aur Kufr Ke Sabab Aur Musalmano Mein Tafarqa Dalne Ko Aur Uske Intijaar mein Jo Pehle Se Allah Aur Uske Rasool Ka Mukhalif Hai Aur Wo(Munafiq) Bhalaee Ki Qasme Bhi Khayenge Magar Allah Gawah Hai Ke Wo Beshak Jhute Hai”.

   *📗( Surah Tawbah / 09: 107 )📗*

⚘✧➤  Ay Eman Walo Apne Baap Aur Apne Bhaiyo’n Ko Dost Na Samjho Agar Wo Eman Par Kufr Pasand Kare Aur Tum mein se Jo Koi Unse Dosti Karega To Whi Zalim Hai.
    
     *📘( Surah Tawbah /09: 23 )📘*

⚘✧➤  Aur En Mein Se Kisi Ki Mayyat Pe Kabhi Namaz Na Padhna Aur Na Enki Qabr Pe Khade Hona, Beshak Wo Allah va Uske Rasool Se Munkir Hue Aur Fisq mein Hi Mar Gye.

    *📕( Surah Tawbah /09: 84 )📕*

⚘✧➤  En Sab Wajeh Ahkamat Ke Bawajood Agar Aashiqe Rasool, Gustakhe nabi, Fasiq AUr Manafiq Sab Hi Musalman Hai To Allah Ke Is Farman Ka Kya Matlab ???

⚘✧➤  Nabi ﷺ Ke Elme Gaib Pe Jab Munafiqeen Ne Hansi Kiya To Allah Ne Farmaya

⚘📖✧➤  Bahane Na Banao Tum Kafir Ho Chuke Ho Musalman Hokar..✍

    *📚( Surah Tawbah/ 09: 66 )📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  43

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  Sab  MiL  kar  Allah  ki  Rassi  ko  Mazbuti  se  Tham  Lo  Aur  Firqo’n  mein  MaT BanTo 
••──────────────────────••►

⚘✧➤ Aaj Bhi Munafiqeen Nabi Alaihisslam Mein Kamiyan Hi Talash Karne Ki Koshish Kar Rahe Hain.

⚘📖✧➤ Allah Ne Munafiq Mardo’n, Munafiq Aurto’n Aur Kafiro’n Ko Jahnnam Ki Aag Ka Wada Diya Hai Jisme (Munafiq Aur Kafir) Hamesha Rahenge.

  *📗 ( Surah Tawbah/ 09:68 ) 📗*

⚘✧➤ Isse Ye Saaf Zahir Hota Hai Ke Kalma Padhne Wala Agar Gustakhi Kar De To Woh Musalman Nahi Reh Jata,

⚘✧➤ Is liye Yeh Kehna Galat Hua Ke Har Firqa Haq Pe Hai, Kyuni Gustakh Kabhi Haq Pe Nahi Hote Isliye

⚘📖✧➤ Kafiro’n Aur Munafiqo’n Pe Skhti Karo Aur Inka Thikana Dozakh Hai.”

   *📘 ( Surah Tawbah/ 09:73 ) 📘*

⚘✧➤ Balki Hame To Allah Ne Yeh Tak Kaha Hai Ke , “(Ay Nabi ﷺ) Jab Munafiq Tumhare Huzoor Hazir Hote Hai, Kehte Hai Ke Hum Gawahi Dete Hai Ke Huzoor Beshak-Yaqinan Allah Ke Rasool Hai, Aur Allah Janta Hai Ke Tum Iske Rasool Ho, Aur Allah Gawahi Deta Hai Ke Munafiq Jaroor Jhute Hai.” 

*📒 ( Surah Munafiqoon /63:01 ) 📒*

⚘✧➤ Isliye Ke Wo(Munafiq) Zuban Se Emaan laye Fir Dil Se Kafir Hue To Unke Dilo’n Par Muhar Kar Di Gye, To Ab Wo Kuch Nahi Samjhte.”

*📕 ( Surah Munafiqoon /63:03 ) 📕*

⚘✧➤ In Tammam Qurani Aayto’n Ko Padhkar Har Aqlmand Ab Khud Faisla Kar Sakta Hai Ki Hame Kin Ki Pairvi Karni Hai Aur Kis Raste Par Chalna Hai Kyunki Haq Aur Batil Ke Darmiyaan Frk Btakar Quran Majeed Ne Allah Ke Rasool Aur Sahaba-e-Kiram Aur Auliya-e-Kiram Ke Tariqe Aur Inke Raste Ko Saccha Aur Haq Farma Kar In Ki Jama’at Ko Saccha Aur Unke Sath Rehne Walo’n Ko Saccha Aur Haq Pa Ka’eem Rehne Wala Bataya Hai Aur Hamesha Unke Sath Rehne Ki taleem Bhi De Di Hai Lihaza Sabit Huwa Ki Majahab Ahle Sunnat val Jama’at Mukammal Tor Par Qurano Hadees Ke Mutabik Haq’o Sadakat Ka Ek Wahid Kamyaab Aur Jannati Firqa Hai.

⚘✧➤ Allah Hame Haq Baat Samjhne Ki Toufiq Ata Farmaye Aur Ta-Hayat Sunniyat Pe Qayam Rakhe...✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  44

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊

••──────────────────────••►
  ❝ Jo  AHLe  Madina  Ko  Iza  (Taklif)  Dega  Us  ke  SaaTH  Kya  Hoga ❞
••──────────────────────••►

    ⇩◑     *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                   •──────•

⚘✧➤ Tabraani Ubada Ibne Samit رضي الله عنه se Ravi Hai ki Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya Ya Allah Jo Ahle Madina Par Zulm kare Aur Uneh daraaye Use khauf me Mubtala kar Aur us par Allah Aur farishato Aur Tamaam Aadamiyoon ki laanat Aur Uska Na Farz kabul Kiya jaayega na Nafl isi ki misl Nasai Aur Tabraani ne Saib ibne Khallad رضي الله عنه se Riwayat ki.

      ⇩◑     *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                   •──────•

⚘✧➤ Tabraani kabir me Abdullah ibne umar رضي الله عنه se Raavi ki Rasoolullah ﷺ ne Farmaya jo Ahle madina ko iza (Taklif) dega Allah Ta’Ala use iza dega Aur us par Allah Aur Farishto Aur Tamaam Aadamiyoon ki laanat Aur Uska Na Farz kabul kiya jaayega Na Nafl..✍

*📬 Bahare sharee’at Hissa 06 Safa 135 📚

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  45

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝ *ALaihissalam  ka  meaning  kya  hai* ❞
••──────────────────────••►

⚘❂••➤ Nabi aur frishte ke alawa ‘alaihissalam kisi saHaba ke aaghe Lagana kaisa.?

⚘❂••➤ Hazrat E Imaam E Hussain radiyallahu ta’aala ‘anhu ke aaghe ‘alaihissalam Lagana kaisa..?

*🏻 ➧Aur kyu Nahi Lagana chahiYe.?*

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤ Hamare is daur me ye baat aam hoti jaa rahi hai k sayyedna Ali e Murtaza, Hasnain kareemain, sayyeda Fatima wa Deegar Aal e Rasool ﷺ ke afrad e kareema ke ilaawa saabiqa Ambiya Alaihimussalam ki Baaz Ahl par Lafz “Alaihissalam” ka istemaal karte hain Awaam ke ilaawa khwaas ki bhi Aadat ban gayi hai, ke Shia Firqe ke dekha dekhi Ye Marz barh raha hai.

⚘❂••➤ Akaabir Saaleheen Ulama o Mashaikh E Muhaqqiqeen ka yahi Mauqif e Mukhtar hai ke Gair e Ambia o Malaaika ke liye Alaihissalam Na Istemaal kiya jaaye Behtar yahi hai ke aisa itlaaq na ho Balke Aadat khatam kar di jaaye taake Mazhab e Shia se Tashaaboh aur us ki Tarweej na ho,

⚘❂••➤ Islami Qaayeda hai ke Badmazhab qaum ke sath kisi tarah bhi Mushaabahat na ho Un se Mushabahat ke tamam tareeqe tark karne chahiye,

⚘❂••➤ Wajah zaahir hai ke Sunni Bhola Bhala hai Use Shia Apne Mazhab me Laane ki kai Tadbeeren bataate hain.

⚘❂••➤ Ek yahi hai ke 12 Imamo ke liye Duaaiya Jumla “Alaihis Salam” Tajweez kar rakha hai Jo kisi dosre Ummati ke liye Istemaal nahi hota hai Balke keh nahi sakta Abu Bakar Alaihis Salam, Umar Alaihis Salam, Usman Alaihis Salam, balke in Hazraat ke sath Razi-Allahu Ta’ala Anh ka Iste’mal hota hai Awaamun Naas ye sab kuch dekhte hain aur agar wo khud is taraf mutawajjeh nahi hote, to Jamaa’t e Mujtahideen un ko mutawajjeh karti hai Aur un ko ye dikhati aur samjhati hai Ke ye Du’aaiya jumla jo Hazraat e Ambiya e kiram Alaihimus Salam ke Mubarak naamo ke sath bhi bola jata hai Hamare aimma ke naamo ke sath bhi bola jata hai Isi se zaahir o baahir hai ke ye 12 Afraad zumra e Ambiya me shamil hain Aur un ki imamat Ma’mooli imamat nahi balke Hazraat e Ambiya e Maa Sabaq ki imamat hai,

⚘FaaYeda ❂••➤ Agar Baaz Ulama ki tahqeeq Baraaye Gair Ambiya Alaihissalato wassalam ya Alaihissalam kehne ko jaayez qarar dete hain Aur un ke qaul par Koi Amal karta hai to wo pehle un 2 hazraat (Hazrat Abu Bakr,Hazrat Umar) ke sath is ka istemaal kare Jo Ahl e Sunnat o Jamaat ke nazdeek shia ke 12 imamo se ba ittefaq afzal hain Aur wo Hazrat Abu Bakr Aur Hazrat Umar رضی اللّٰــه تعالیٰ عنــــــــہما hain Mujawwizeen ne agar jawaaz ka bayan kiya hai to tamam sahaba ulama o sulaha ke liye kiya hai Sirf Ahle Bait e At’haar ke 12 afraad ke liye nahi kiya hai.

⚘❂••➤ In halaat ko dekhte hue hazraat e ahle bait e at’haar رضی اللّٰــه تعالیٰ عنــــــــہم ke zikr ke waqt lafz e alaihis salam ki dua karne ko tark kiya jaaye Taake Shia Awaam e Ahl e Sunnat ko Gumraah na kar saken...✍

          *Wa-Allahu Ta’aLa A’Lam*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  46

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  Radiyallahu  Ta’aLa’anh  shaba  e  kiraam  ke  alawa  kisi  waLi  ke  aaghe  Lagana  kaisa 
••──────────────────────••►

A’aLa Hazrat ke aaghe radiyallahu Ta’aala ‘anh Lagana kaisa..?

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤ Gair e Sahaba ke Liye Razi-Allahu Ta’ala anh ka Lafz istemaal karna jaayez hai

⚘❂••➤ Durr e Mukhtar Ma’ Shaami Jild 5 safah 480 me hai “Shaba ke liye Razi-Allahu Ta’ala Anh kehna Mustahab hai aur Taabe’in wagaira ke liye Rahmatullah Ta’ala Alaih Mustahab hai aur is ka ulta yaani sahaba ke liye Rahmatullah Ta’ala Alaih aur Tabe’in aur un ke ilawa Ulama o Mashaikh ke liye Raajeh Mazhab par Razi-Allahu Ta’ala Anh bhi Jaayez hai.

⚘❂••➤ Hazrat Allama Shahabuddin Khifaaji Rahimahullah Naseemur Riyaz me Farmate hain “Ambiya e kiram Alayhimussalato Wassalam ke ilawa Aimma wagaira Ulama o Mashaikh ko Gufraan o Raza se Yaad kiya jaaye.To Gafarallahu Ta’ala Lahu ya Razi-Allahu Ta’ala anh kaha jaaye”

⚘❂••➤ Lehaza Ma’loom hua ke Gair e Sahab ke liye bhi Razi-Allahu Ta’ala Anh ka Istemaal jaayez o durust hai,

⚘❂••➤ Isi wajah se Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlawi Rahimahullah ne Ashi’at ul Lam’aat me Hadrat Owais e Qarani Razi-Allahu Ta’ala Anh likha hai ( jab ke aap Tabe’i hain )

⚘❂••➤ Hazrat Imam e A’zam Abu Haneefa aur Imam Shafa’i ko Allama Ibn e Abideen Shami Rahimahullah ne Shami me Kai jagaho par Razi-Allahu Anh Likha hai Halaanke Imam Shaf’i Tabe’i bhi nahi,

⚘❂••➤ Allama Ibn e Hajr Asqalani Ne Fathul Bari Sharh e Bukhari me Imam e Bukhari ko Razi-Allahu Ta’ala Anh likha hai

⚘❂••➤ Imam Nawavi ne Sharah e Muslim me Imam Muslim ko Razi-Allahu Ta’ala Anh likha hai,

⚘❂••➤ Allama khifaaji ne Allama Qazi Eyaaz ko Naseemur Riyaz me Razi-Allahu Anh likha hai

⚘❂••➤ Hazrat Shaikh Abdul haq Muhaddis Dehlawi ne Ashi’atul Lam’at aur Akhbar ul Akhyaar me Kai Maqamaat par Huzoor Gaus e Pak ko Razi-Allahu Ta’ala Anh likha hai

⚘❂••➤ Allama Abul Hasan Ali bin Yusuf Shutnoni Rahimahullah ne Bahjatul Asrar shareef me Bahot se Maqamaat par Gair e Sahaba ko Razi-Allahu Ta’ala Anh likha hai.

⚘❂••➤ Hidaaya me Sahib e Hidaya ko un ke Shagird ne kai Maqamaat par Razi-Allahu Ta’ala Anh likha hai.

⚘❂••➤ In tamam shawahid se roz e raushan ki tarah waazeh ho gaya k “Razi-Allahu Ta’ala Anh” ka lafz sahaba e kiram ke sath khas nahi hai agar ye lafz un ke sath khas hota yaani gair e sahaaba ko Razi-Allahu Ta’ala Anh likhna jaayez na hota to itne bade bade Muhaqqiqeen jo apne zamaane me Ilm ke Aftab o Mahtaab the ye Log Gair e Sahaba ko Razi-Allahu Ta’ala Anh har giz na likhte.

⚘❂••➤ Yahan tak Aam deobandi wahabi jo Razi-Allahu Ta’ala Anh ko Sahaba ke sath khas samajhte hain aur Gair e Sahaba ko Razi-Allahu Ta’ala Anh kehne par ladte jhagarte hain un ke peshwa kasim nanotvi aur Raseed Gangohi ko bhi Razi-Allahu Ta’ala Anhuma likha gaya hai.Jaisa k Tazkiratur Rasheed Jild 1 safah 38 par hai k “Maulana Muhammad Kasim saheb o Maulana Rasheed Ahmad Saheb Razi-Allahu anhuma chand roz ke baad aise hum sabaq bane k Akhirat me bhi sath na chhoda"

⚘❂••➤ Qur’an e kareem se bhi is baat ki Ta’eed hoti hai k Razi-Allahu Ta’ala Anh ka Lafz Sahab e Kiraam ke Sath Khas nahi hai.

*⚘📖❂•➤ Surah Al Baiyyenah me Hai*

“رضي الله عنهم ورضوا عنه ذلك لمن خشي ربه”

⚘❂••➤ Yaani Razi-Allahu Anhum wa Razu Anh un logo ke liye hai jo apne Rab se daren jaisa ke Tafaseer me waazeh hai ke “Raza Yaani Razi-Allahu Anhum wa Razu anh un logo ke liye hai jin ke dil me Rab ki Khashiyyat ho"

⚘❂••➤ Aur Rab ki Khashiyyat Ulama hi ka Khaassa hai balke Aimmah farmate hain ke Alim sirf wahi shaks hai jise Khuda e Azza wa Jalla ki Khashiyyat Hasil ho. (Tafseer e khazin, Mualimut Tanzeel wagairah)

⚘❂••➤ Saabit hua ke Razi-Allahu Ta’ala anh sirf Baa Amal Ulama o Mashaikh ke liye hai Magar ye Lafz chunke Urf e Aam me Bada Muaqqar hai yahan tak ke bahot se log ise sahaba e kiraam hi ke liye khas samajhte hai Lehaaza ise har ek ke liye na istemaal kiya jaaye balke ise bade bade Ulama o Mashaaikh hi ke liye istemaal kiya jaaye jaise k hamare buzrgo ne kiya hai..✍

          *Wa-Allahu Ta’aLa A’Lam*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  47

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••► ❝  *Yazeed ko kaafir keHna kaisa hai..?* 
••──────────────────────••►

 Ek sakhs kehta he ki Imam E Aazam Abu Hanifa ne yazeed ko na kaafir kaha, na musalaman kaha?

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤ Yazeed Paleed Maa Yastahiqquhu min al azeez il majeed, Qat’an Yaqeenan fasiq o fajir aur kabaair par jari tha is par Ahl e sunnat ka ijma hai us ke fasiq hone me kisi ka ikhtelaaf nahi Yazeed ko kafir kehne aur Laanat bhejne me Ikhtelaf hai. Hazrat Imam e Ahmad Bin Hambal Aur un ke muwafiqeen us par laanat farmate hain aur Hamare imam e Azam Laan o takfeer se ehtiyaatan sukoot farmate hain k us se fisq o fujoor mutawatir hain, magar kufr mutawatir nahi is me shak nahi K yazeed ne zameen me fasad phailaya, Haramain Tayyebain balke Kaaba e Muazzama aur Rauza e aqdas ki sakht be hurmati ki, Masjid sharif me ghode bandhe, unki leed aur peshab mimbar e Paak par pade, 3 din Masjid e Nabawi sharif Be Azan o Namaz rahi, Makka o Madeena o Hijaz me hazaro sahaba o Tabe’ien be gunah shaheed kiye, Kaaba sharif par patthar phenke, gilaaf sharif phada aur jalaya, Madeena Tayyeba ki Paak daman Parsa Auraten 3 roz tak lashkar par halal kar di, Rasoolullah ﷺ ke jigar paare ko 3 din begair dana pani rakh kar humrahio k sath Teg e zulm se pyasa zibah kiya, Mustafa ﷺ ke god k paale hue Tan e Nazneen par Shahadat k baad Ghode daudaaye gaye k tamam istekhwaan e Mubarak (Haddi shareef) choor ho gaye, sar e Anwar k Muhammad ﷺ ka Bosa gaah tha Kaat kar neza par charhaya aur manzilo phiraya, khandan e Risalat ki parda daar Aurato ko qaid kiya gaya, aur be hurmati k sath us khabees yazeed k darbar me laaye gaye Is se barh kar Qata e Rehm aur zameen par fasad kya hoga.

⚘❂••➤ Mal’oon hai wo jo in Mal’oon Harakaat ko fisq o fujoor na jaane.

⚘❂••➤ Magar ehtiyaat isi me hai k us ke kufr par sukoot kiya jaaye Kyu k marne se pehle Us ke tauba na karne par jazm nahi aur na hi kufr mutawatir hai..✍

*Yahi Imam e Azam ka mazhab hai*

*📬 Mulakkhasan Fatawa Razvia jild6 safah 107 📚*

             *Wa-Allahu Ta’ala A’lam*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  48

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
     ❝ मजहब ए इस्लाम से ताल्लुक रखने वाले गैर मजहबो वाले काम करना और उनके काम में शरीक होना ( हाथ बटाना )  कैसा...❓ ❞
••──────────────────────••►

    ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤ मजहब ए इस्लाम जैसे पाक और हक मज़हब से ताल्लुक रखने वाले अगर ऐसा काम करें तो लफ्ज़ एक ही उसके लिए काफी है कि उसने इस्लाम को समझा ही नहीं बहुत ही कम मुख्तसर सी बातों में यह बात आपको समझाने की कोशिश करूंगा अपनी बातें कम और कुरान पाक में जो अल्लाह तआला का फरमान है उसे ज्यादा पेश करने की कोशिश करूंगा

हदीस ए मुबारका है ★↷

من تشبہ بقوم فھو منھم

जिसने किसी क़ौम के साथ मुशाबहत इख्तियार की वो इन्ही में से है।'' *(अबू दाऊद)*

अल्लाह तआला ने मुसलमानों को शरीयत इस्लामी के अलावा किसी और नज़रिए या मज़हब से कुछ अपनाने से मना फ़रमाया है। इरशाद है ★↷

فَلَا وَرَبِّكَ لَا يُؤْمِنُوْنَ حَتّٰي يُحَكِّمُوْكَ فِيْمَا شَجَــرَ بَيْنَھُمْ ثُمَّ لَا يَجِدُوْا فِيْٓ اَنْفُسِهِمْ حَرَجًا مِّمَّا قَضَيْتَ وَيُسَلِّمُوْا تَسْلِــيْمًا      65؀
'(ऐ मुहम्मद (صلى الله عليه وسلم) तुम्हारे रब की क़सम ये उस वक़्त तक मोमिन नहीं हो सकते जब तक कि ये आप को अपने इख्तिलाफ़ात में फ़ैसला करने वाला ना बना लें।''

*(तर्जुमा मआनिए क़ुरआन, सूरह अलनिसा : 65)*

अल्लाह तआला ने हम पर उस चीज़ को इख्तियार करने का हुक्म दिया है, जो रसूलल्‍लाह (صلى الله عليه وسلم) लेकर आए और हर इस काम से रुक जाने का हुक्म दिया है, जिससे रसूलल्‍लाह (صلى الله عليه وسلم) ने मना फ़रमाया है। इरशाद है ★↷

مَآ اَفَاۗءَ اللّٰهُ عَلٰي رَسُوْلِهٖ مِنْ اَهْلِ الْقُرٰى فَلِلّٰهِ وَ لِلرَّسُوْلِ وَ لِذِي الْقُرْبٰى وَالْيَـتٰمٰى وَالْمَسٰكِيْنِ وَابْنِ السَّبِيْلِ ۙ كَيْ لَا يَكُوْنَ دُوْلَةًۢ بَيْنَ الْاَغْنِيَاۗءِ مِنْكُمْ ۭ وَمَآ اٰتٰىكُمُ الرَّسُوْلُ فَخُذُوْهُ    ۤ وَمَا نَهٰىكُمْ عَنْهُ فَانْتَهُوْا  ۚ وَاتَّقُوا اللّٰهَ    ۭ اِنَّ اللّٰهَ شَدِيْدُ الْعِقَابِ     Ċ۝ۘ

''और रसूल तुम्हें जिस चीज़ का भी हुक्म दें इसे इख्तियार कर लो और जिस चीज़ से मना कर दें, इससे रुक जाओ।''

*(तर्जुमा मआनिए क़ुरआन सूरह अलहशर : 7)*

इस आयत में 'मा' उमूम के लिए है। चुनांचे आयत का मफ़हूम ये है कि हम रसूलल्‍लाह (صلى الله عليه وسلم) के हर हुक्म को इख्तियार करें और हर उस चीज़ से बाज़ रहें, जिससे मना किया गया है। और आयत का ये भी मफ़हूम है कि रसूलल्‍लाह (صلى الله عليه وسلم) के लाए हुए अहकामात के अलावा किसी और नज़रिए, क़ानून या मज़हब से किसी हुक्म को ना अपनाया जाये। इन आयात के अलावा अहादीस नबी (صلى الله عليه وسلم) भी मुसलमानों को बड़ी सख़्ती के साथ इन तमाम अफ़आल और क़वानीन से दूर रहने का हुक्म देती हैं जिनके करने का हुक्म क़ुरआन और सुन्‍नत में वारिद नहीं हुआ। रसूलल्‍लाह (صلى الله عليه وسلم) ने फ़रमाया ★↷

ومن أَحْدَثَ فی أمرنا ھذا ما لیس منہ فھو رَدٌّ
''जो कोई हमारे हुक्म (दीन) में कोई ऐसा हुक्म (क़ानून) दाख़िल करता है जो इस (दीन) में से नहीं तो वो (क़ानून) मर्दूद है।'' *(मुस्लिम)*

और फ़रमाया ★↷
من عمل عملاً لیس علیہ أمرنا فھو رَدٌّ
''जो कोई भी एक ऐसा अमल करे जिसके (करने से मुताल्लिक़) हमारा हुक्म ना हो, तो वो (अमल) मर्दूद है।'' *(मुस्लिम)*

नीज़ फ़रमाया ★↷

فما بال رجال یشترطون شروطاً لیست فی کتاب اﷲ؟ ما کان من شرط لیس فی کتاب اﷲ فھو باطل

''लोगों का क्या हाल है कि वो ऐसी शर्तें लगाते हैं जो अल्लाह की किताब में नहीं हैं? जो शर्त अल्लाह की किताब में ना होगी वो बातिल होगी।'' *(बुख़ारी व मुस्लिम)*

इन अहादीस से वाज़ेह हो गया कि कोई अमल जिसके करने से मुताल्लिक़ क़ुरआन और सुन्‍नत से दलील ना मिलती हो उसे करना हराम है। नीज़ ऐसी शराइत आइद करना जिनका वजूद क़ुरआन और सुन्‍नत में ना हो मर्दूद है।

अल्लाह तआला क़ुरआन में फ़रमाते हैं ★↷

قُلْ سِيْرُوْا فِي الْاَرْضِ ثُمَّ انْظُرُوْا كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الْمُكَذِّبِيْنَ     11۝
''कहो ज़मीन में चलो फ़िरों और देखो कि इनका क्या हश्र हुआ जिन्होंने हक़ को झुटलाया।'' 

*(तर्जुमा मआनिए क़ुरआन सूरह अलअनआम : 11)*

अल्लाह तआला ने तो क़ुरआने पाक में फ़रमाया है ★↷

وَنَزَّلْنَا عَلَيْكَ الْكِتٰبَ تِبْيَانًا لِّكُلِّ شَيْءٍ وَّهُدًى وَّرَحْمَةً وَّبُشْرٰى لِلْمُسْلِمِيْنَ    89؀ۧ

''और हमने ये किताब तुम पर नाज़िल कर दी है जो हर चीज़ की साफ़ साफ़ वज़ाहत करने वाली है।''

*(तर्जुमा मआनिए क़ुरआन, सूरह अलनहल : 89)*

मज़ीद इरशाद है ★↷

وَمَا مِنْ دَاۗبَّةٍ فِي الْاَرْضِ وَلَا طٰۗىِٕرٍ يَّطِيْرُ بِجَنَاحَيْهِ اِلَّآ اُمَمٌ اَمْثَالُكُمْ ۭمَا فَرَّطْنَا فِي الْكِتٰبِ مِنْ شَيْءٍ ثُمَّ اِلٰى رَبِّهِمْ يُحْشَرُوْنَ   38؀

''हमने इस किताब में कोई कसर नहीं छोड़ी।''

*(तर्जुमा मआनिए क़ुरआन, सूरह अलअनआम : 38)*

मज़ीद इरशाद है ★↷

 اَلْيَوْمَ اَ كْمَلْتُ لَكُمْ دِيْنَكُمْ وَاَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِيْ وَرَضِيْتُ لَكُمُ الْاِسْلَامَ دِيْنًا  ۭ

''आज मैंने तुम्हारे दीन को तुम्हारे लिए मुकम्मल कर दिया है और अपनी नेअमत तुम पर तमाम कर दी है और तुम्हारे लिए इस्लाम को तुम्हारे दीन की हैसियत से पसंद कर लिया।''

*(तर्जुमा मआनिए क़ुरआन सूरह अलमाईदा : 3)*

*⚠ नॉट*  यह तो सिर्फ चंद क़ुरआनी आयतें  हैं जो आपके सामने पेश की गई वरना इस ताल्लुक से बहुत से हुक्म है शरीयत के जो एक पोस्ट में अपडेट करने मुश्किल है बहरहाल कहने का मतलब मजहब इस्लाम के खिलाफ काम करना या उस काम को पसंद करना ऐसा है जैसे मजहब इस्लाम से बेहतर उस मजहब को समझना या मज़हब ए में इस्लाम के जो कानून है उससे बेहतर उस चीज ( क़ानन ) को समझना और ऐसा समझना बिल्कुल जायज नहीं है इस्लाम का हुक्म तो हमें यह सिखाता है कि अगर हम बुराई को रोक नहीं सकते तो कम से कम उसमें शरीक तो ना हो और अगर हम उस काम को बुरा जानते हैं लेकिन फिर भी करते हैं इससे बेहतर तो यह हैं की बुराई को बुरा जानकार खामोश रहा जाये इस्लाम एक मुकम्मल नज़रिए और निज़ाम के तौर पर उभर कर सामने आ सकता है। सिर्फ इसी सोच और समझ के ज़रीये उम्मत ना सिर्फ़ फ़िक्री इंतिशार से निकल सकती है बल्कि अपने मसाइल का हल इस्लाम से तलाश कर सकती है।..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  49

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
❝ Qura’an Majid Padh Ka BhooL Jaaye Qayaamat Ke Din Allah Ta’ala Usko Kaunsa Aazaab Dega 
••──────────────────────••►

Qayaamat Ke din koodhi ho kar aayega..❓

Qayaamat me din andaah uthega..❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘mas'aLa❂••➤  Qura’an padh kar Bhula dena Gunaah Hai. Huzoor-E-Aqdas ﷺ Farmate Hai ki Meri Ummat ke Sawaab mujah par pesh kiye gaye yahaan tak ki teenka jo masjid se Aadami nikaal deta hai Aur meri ummat ke gunaah jo mujah par pesh huye to isse badh kar koyi gunaah nahi dekha ki Aadami ko Surat yaa Aayat di gayi Aur Use bhula diya is hadees ko Abu Dawood wa Tirmizi ne Riwaayat kiya

⚘❂••➤ Dusri Riwayat me hai ki jo Qura’an Padh kar bhool jaaye Kiyaamat me din koodhi Ho kar Aayega Aur Qura’an majid me hai ki Andaah Uthega..✍

*📬 Bahar-e-sahari’At Hissa Teesra safa 87 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  50

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
    ❝  *DUPLICATE   MAZAAR   BANANA* 
••──────────────────────••►

⚘❂••➤  Shaikh Ul Islam Imam Ahmad Raza Khan Muhaddise Bareily Alaihir Rahma Ki Bargaah Me Sawal Kiya Gaya

⚘mas'aLa❂••➤ Kisi Wali’Allah Ka Mazaar Sharif Farzi Banana Aur Is Par Chadar Waghaira Chadhana. Aur Is Par Fatiha Padhna Aur Asl Mazaar Ka Sa Adab O Lehaaz Karna Jayez Hai Ya Nahi..?

⚘❂••➤  Aur Agar Koi Murshid Apne Mureedo’n Ke Waaste Banana Apne Farzi Mazaar Ke Khawab Me ijaazat De To Wo Qaul Maqbool Hoga Ya Nahi..?

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤ Farzi Mazaar Banana Aur Is Ke Saath Asl Sa Mu’aamla Karna Na’Jayez O Bid’at Hai.

⚘❂••➤ Aur Khawab Ki Baat Khilaaf E Shara ‘Umoor Me Masmoo’ Nahi Ho Sakti...✍

*📬 Fatawa Razviya / Jild :- 9 / Page :- 426 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  51

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  Court   marriage   ka   shara’ee   Hukm   kya   hai..?* 
••──────────────────────••►

⚘❂••➤  Kuchh Log apni pasand ki ladki ke saath court marriage kar lete hain aur miya biwi ban ke rehte hain Puchhna ye hai ki court marriage karna sahi hai ya gaLat?

⚘❂••➤  Aur court ke zariye ki gayi shadi ka IsLam mein etebaar hai ya nahi..?

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤ Islam mein har baalig ladke aur ladki ko apni pasand se shadi karne ka ekhtiyaar hai Allah ta’ala Quran sharif mein irshad farmata hai فَانکِحُوۡا مَا طَابَ لَکُمۡ Tum un (Musalman) auraton se nikah karo jo tumhe pasand aae

      *📬 SuraH Nisa,Aayat No.3 📒*

⚘❂••➤  Lekin is ekhtiyaar dene ke saath saath Islam ne shadi biyah karne ke taur tariqe bhi bataya hai Jis ki paabandi karna har musalman mard aur aurat par zaruri hai Chunancha Nikah ke sahi hone ke liye do bunyadi shartein (Basic conditions) hain Pehla ladka aur ladki ka ijaab aur qabool karna Yani ek ka ye kehna ki “Main ne tum se nikah kiya” aur dusre ka ye kehna ki “Main ne qabool kiya" Ya isi tarah ka koi aur jumla bolna Jaisa ki Bada-e-wassanae mein hai “Nikah ke sahi hone ki shart ijaab aur qabool hai Aur dusra kam se kam do gawaho ka hona Jaisa ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya k Nikah do gawaho ke zariye hi hota hai (Bada-e-wassanae,Kitabun nikah) Ab ye dekha jaaega ki court marriage is tariqe ke mutabiq hota hai ya nahi Agar isi tarah se hota hai to nikah bilkul sahi hoga aur agar nahi to us nikah ke sahi hone ka koi sawal hi paida nahi hota Ek judge ke batane ke mutabiq “Court marriage” ka matlab India ke qaanoon mein ye hai ki court marriage ke zariye shadi karne wale ladke aur ladkiyan kisi mazhab ke maan-ne wale nahi hain agar kisi mazhab ke maan ne wale hain to woh apne society mein apne taur tariqe ke mutabiq shadi kare Court aise logo ko shadi karne ki ijaazat nahi deta hai Agar sahi mein aisa hai to shadi hone aur na hone ki baat alag woh imaan hi se nikal jaata ha Kyunki us ne “Court marriage” kar ke ye zaahir kar diya ki ham kisi mazhab ke maan ne wale nahi Dusri baat court mein Ijaab aur qabool bhi nahi hota Sirf ladka aur ladki apne baalig hone ka suboot dete hue court se guzarish karte hain ki ham baalig aur khud mukhtaar hain aur begair kisi dabao ke miya biwi ban ke rehna chahte hain Is liye hamari darkhast qabool ki jaae Phir court ka Haakim qanooni kaarwa’ee aur jaanch ke baad dono ko miya biwi maante hue “Marriage Certificate” de deta hai.Jab ki begair Ijaab-o-qabool aur gawaho ke sirf kisi ke ijaazat de dene se nikah hargiz nahi hota hai Shari’at ke etebaar se in kharabiyo ki wajah se “Court marriage” karna bilkul durust nahi hai.

⚘❂••➤  AllaH aur us ke Rasool sahi baat ko sab se zyada jaan ne wale hain..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  52

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  BLood   Donate   karna   jaa’iz   hai   Ya   Naja’iz...? 
••──────────────────────••►

⚘❂••➤  Agar kisi bimar ko khoon ki sakht zarurat ho Jaise kisi accident mein us ke jism se bahut zyada khoon nikal gaya aur Doctor ka kehna hai ki agar is ko khoon nahi diya gaya to ye mar sakta hai Ya isi tarah kisi dusri wajah ki bunyad par use khoon ki zarurat ha To kya aise shakhs ko apna khoon diya jaa sakta hai ya nahi..?

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤  Insaan apne jism ka malik nahi hai Balki haqiqat mein ye us ke paas Allah Ta’ala ki di hui amanat hai Isi liye ye jaa’iz nahi ki koi insaan apne jism ke kisi hisse ko kaat daale Ya us ko kisi ke haath se bech de Kyunki aisa karne mein amanat mein khayanat ke saath saath insaniyat ko zalil karna bhi hai Jis ki shari’at mein koi ijaazat nahi Khoon bhi insaan ke jism ka ek hissa hai Magar ye dusre hisso se is taur par alag hai ki ye jism ke andar paida hota rehta hai Aur us mein se kuchh miqdaar nikaal dene se bilkul khatam nahi ho jaata Is liye zarurat ki bunyad par aise bimaar ko khoon dena durust hai Jab ki khud uski wajah se us ko koi khatra na ho aur us bimaar ke elaaj ka koi aur tariqa na ho Jaise ki aurat ka dudh us ke jism ka ek hissa hai Magar bachche ka pet dudh ke elawah kisi dusri chiz ke hazam karne ki salahiyat nahi rakhta is zarurat ki bunyad par us ke dudh ko istemal kar ne ko shari’at ne jaa’iz rakha hai Kyunki zarurat ki bunyad par haraam chiz bhi halaal ho jaati hai Jaisa ki Allah ta’ala ne irshad farmaya ki,
وَ قَدْ فَصَّلَ لَکُمۡ مَّا حَرَّمَ عَلَیۡکُمْ اِلَّا مَا اضْطُرِرْتُمْ  اِلَیۡہِ
⚘❂••➤ Jo chizein tum par haraam ki gayi hai Allah Ta’ala ne un ko tafseel se tumhare liye bayan kar diya hai Elawah is ke ki tum zarurat ki bunyad par tum un ka istemal karo..✍

*📬 SuraH An’aam,Aayat No.119 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  53

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  Gair  MusLim  Dost  ko  Qur'an  Majid  ka  Tuhfa  Dena  kaisa  Hai'n.. 
••──────────────────────••►

⚘❂••➤ Hamare kuch gair muslim dost Islam se dil-chaspi rakhte hain aur Quran sharif padhne ka shauq zaahir karte hain Unhein Quran majid ka tuhfa ham de sakte hai ya nahi..?

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤  Quran Majid insaan aur har chiz ke paida karne wale Rab ka aakheri aur muqaddas kalaam hai Is ka paigam sirf kisi khaas qaum ke liye nahi balki woh puri dunya ke liye hidayat ka zariya hai Jaisa ki khud Allah Ta’ala ne irshad farmaya ki “Ye Quran tamam logo ke liye hidayat hai

*📬 SuraH Baqra,Aayat No.185 📒*

⚘❂••➤ Agar un gair muslim dosto se ye ummid ho ki woh log is muqaddas kitaab ka adab aur taazim karenge to hidayat ki niyat se unhein Quran sharif tuhfa ke taur par diya jaa sakta hai Aur unhe us ki taalim bhi di jaa sakti hai Lekin unhe ye bata de ki naha dhokar is ko haath lagaae Jaisa ki Fatawa Alam giri mein hai,

قَالَ أَبُو حَنِيفَةَ: أُعَلِّمُ النَّصْرَانِيَّ الْفِقْهَ وَالْقُرْآنَ لَعَلَّهُ يَهْتَدِي ، وَلَا يَمَسُّ الْمُصْحَفَ ، وَإِنْ اغْتَسَلَ ثُمَّ مَسَّ لَا بَأْسَ ، كَذَا فِي الْمُلْتَقَط

⚘❂••➤ Aur agar un ki taraf se be-adbi ka darr ho to unhein Quran sharif nahi dena chahiye kyunki Quran sharif ka adab har haal mein zaruri hai aur uski be-adbi hone se bachaana imaani fariza hai Sahi Muslim mein hai Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne Quran sharif ko dushmano ki zameen mein le jaane se mana farmaya Is darr se ki kahin dushmano ke haath na padh jaae (Aur woh uski be-adbi kar baithe.)

*📬 Sahi Muslim,Hadis No.4947 📘*

⚘❂••➤ Is liye agar woh Quran sharif ka adab kare to unhein de sakte hain Jaisa ki upar ke bayan se zaahir huwa..✍

واللہ ورسولہ اعلم بالصواب

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  54

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝  Maa Baap mein se ek musLim aur ek Gair muslim ho,To us ke Bachche ki namaz-e-janaza padhi jaaegi Ya Nahi..?★↷ 
••──────────────────────••►

⚘❂••➤ Mere pados mein ek gair muslim miya aur biwi rehte hain Biwi ne Islam qabool kar ke apne kaafir shauhar se alag ho gayi Magar us kaafir shauhar se us ko ek bachcha hai Jis ka inteqaal huwa To ab kuchh log kehte hain ki Baap kaafir hai is liye bachche ki namaaz-e-janaza nahi hogi Aur kuchh log kehte hai ki maa musalman hai is liye namaaz-e-janaza hogi Kis ki baat sahi hai?

*✊📖  Shari’aT  ki  Roshni  mein  jawab  SamaT  Farmaye...★↷ ​*

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤  Maa baap mein se kisi ek ke kaafir hone ki surat mein bachcha us ki taraf mansoob hota hai jo deen ke etebaar se behtar ho Aur is mein koi shak nahi ki “Islam” se behtar koi deen nahi Is liye is surat mein bachcha musalman qarar diya jaaega aur us ki namaz-e-janaza padhi jaaegi Jaisa ki Raddul Muhtaar mein hai..✍

وازا ارتد احد الزوجین عن الاسلام وقعت الفرقۃ بغیر طلاق وولد یتبع خیر الابوین دینا۔”

اللہ ورسولہ اعلم بالصواب

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  55

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝  MobiLe ke andar Quran sharif ho,To use Begair wazu ke chhuna kaisa hai..?★↷ 
••──────────────────────••►

✧➤ Agar Mobile mein Quran sharif App ki shakal mein ya Text aur audio ke file ki shakal mein ho to us mobile ko begair wazu chhu sakte hain ya nahi?Isi tarah se agar Mobile ya Computer ki screen par Quran sharif ki aayatein dikh rahi ho to us screen ko begair wazu ke touch kar sakte hain ya nahi..?★↷ ​*

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤ Agar Mobile mein Quran sharif App ki shakal mein ya Text aur audio ke file ki shakal mein ho to us mobile ko begair wazu chhu sakte hain Isi tarah se agar Mobile ya Computer ki screen par Quran sharif ki aayatein dikh rahi ho to us screen ko bhi begair wazu ke touch kar sakte hain Kyunki Mobile ki memory mein save Quran sharif, Hafiz-e-Quran ke sine ki tarah hai jis mein Quran sharif mahfuz hota hai Aur us ko begair wazu ke chhune ke jaa’iz hone mein kisi ko koi shak hi nahi Rahi baat Mobile ya Computer ki screen par nazar aane wali aayat, to usko chhuna is liye jaa’iz hai ki jis jagah par who aayat dikh rahi hai us ke upar se shisha gilaaf ki tarah hai Aur gilaaf ke saath begair wazu ke Quran sharif chhuna beshak jaa’iz hai Jaisa ki “Bada-e-wassanae” mein hai

وَأَمَّا حُكْمُ الْحَيْضِ وَالنِّفَاسِ فَمَنْعُ جَوَازِ الصَّلَاةِ ، وَالصَّوْمِ ، وَقِرَاءَةِ الْقُرْآنِ ، وَمَسِّ الْمُصْحَفِ إلَّا بِغِلَافٍ

*📒 ( بدائع الصنائع،کتاب الطہارت،فصل الحیض واحکامہ،ج:۱/ص:۲۰۴ ) 📒*

⚘❂••➤ Yahi asl-e-hukm hai Lekin adab ka taqaaza yahi hai ki use begair wazu ke  chhue..✍

اللہ ورسولہ اعلم بالصواب

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  56

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
    ❝  MobiLe phone aur internet ke zariye nikaah karna jaa’iz hai ya nahi?★↷ 
••──────────────────────••►

*⚘✧➤ kisi ne Facebook par ek ladki se baat karte hue us se nikah kar liya hai Maloom ye karna hai ki ye shadi hui ya nahi..? Agar nahi to kya ladka aur ladki do alag alag mulk ya alag alag shahar mein rehte hue shadi karne ka koi jaa’iz tariqa hai..? ★↷ ​*

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤ Jab baalig ladka aur ladki apna nikah khud se kare to us nikah ke sahi hone ke liye ye shart hai ki dono ek hi majlis (jagah) mein maujood ho aur kam se kam do gawaho ke saamne Ijaab aur qabool is tarah se kare ki dono gawah us ko sune.Jaisa ki “Bada-e-wassanae” mein hai.

 إذا کان العاقدان حاضرین وہو أن یکون الإیجاب والقبول فی مجلس واحد حتی لو اختلف المجلس لا ینعقد النکاح”

*📕 بدائع الصنائع،کتاب النکاح،فصل شرائط الرکن،ج 2،ص490 📕*

⚘❂••➤ (Jab nikah karne wale khud apni nikah kare) to shart ye hai ki dono maujood hon aur ijaab-o-qabool ek hi majlis mein kare yahan tak ki agar majlis badal gaya to nikah nahi hoga Is liye jab us ne Face book par baat karte hue ijaab aur qabool kiya to ye nikaah nahi huwa Isi tarah Skype ya Phone wagairah par nikaah kare to ye nikaah nahi hoga Kyunki in sab surato mein dono ka majlis ek nahi hota aur bhi dusri shartein nahi paayi jaati hain Do alag alag mulk ya shahar mein rehte hue nikaah karne ka jaa’iz tariqa ye hai ki ladka ya ladki apne kisi bharose mand admi ko apna wakeel aur mukhtaar bana de (Aur behtar ye hai ki baazabta us ke naam “Mukhtaar naama” likh kar bhej de) aur wakeel-e-Mukhtar apni wakalat se nikah ki majlis mein do gawaho ki maujoodgi mein ladki ke saamne ya us ke wakeel ke saamne apne Moakkil (Ladke) ki taraf se Ijaab ke alfaz (Yani main ne apne moakkil Mohammad Akram bin Naushad ka nikaah Tabassum binte Khalid ke saath kiya) kahe Aur unhi gawaho ke saamne usi majlis mein ladki ya us ka wakeel qabool kare To ye nikah shari’at ke etebaar se durust hoga Kyunki Fuqha-e-Kiraam ne ye wazeh kar diya hai ki Nikah jis tarah se khud maujood ho kar kiya jaa sakta hai usi tarah kisi ko apna wakeel bana kar bhi kiya jaa sakta hai Jaisa ki Fatawa Alamgiri Vol:1,Page No.294 mein hai

یصح التوکیل بالنکاح ، وإن لم یحضرہ الشہود.

⚘❂••➤ Is tarah se nikah ke jaa’iz hone ki dalil ye bhi hai ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne Najjashi baadshah ki taraf khat likha aur Hazrat-e-Umme Habiba radhi allaho anho ko nikah ka paigam diya to Najjashi ne Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam se Hazrat-e-Umme Habiba ka nikah kar diya Phir un ko Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas bhej diya gaya..✍

*📬 Al-Mabsut,Vol:5, Page No.15-16 📚*

اللہ ورسولہ اعلم بالصواب

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  57

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝ Condom aur HamaL ko rokne wali Dawaon ka istemaL karna kaisa hai?★↷ ❞
••──────────────────────••►

*⚘✧➤ Kuch Log Condom ka istemaaL karte hain taaki HamaL nahi thehre Isi tarah se kuch auratein HamaL ko rokne wali Dawaiya khaati hain taaki Bachcha na ho Puchhna ye hai ki kya bachche ki paida’ish ko rokne ke liye ye sab karna Shari’at mein jaa’iz hai ya naja’iz? ★↷ ​*

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤ Sirf aulad ke zyada hone aur muflisi ke dar se hamal ko rokne wali dawaiya khaana ki bachche na hon Sakht naja’iz o haraam aur gunah hai Kyunki Allah ta’ala ne aisi soch rakhne se mana farmaya aur irshad farmaya ki

وَ لَا تَقْتُلُوۡۤا اَوْلَادَکُمْ خَشْیَۃَ اِمْلَاقٍ ؕ نَحْنُ نَرْزُقُہُمْ وَ اِیَّاکُمۡ ؕ اِنَّ  قَتْلَہُمْ کَانَ خِطْاً کَبِیۡرًا

⚘❂••➤ Rizq ki tangi ke dar se apni aulado ko qatal mat karo Un ko aur tum ko rizq ham hi dete hain Beshak un ko qatal karna bahut hi bada gunah hai

       *📬 SuraH Isra,Aayat No.31 📚*

⚘❂••➤  Maa ke pet mein paida’ish ko rokne ki niyat se dawa istemal karna Anjaam ke etebaar se qatal hi karne ke jaisa hai Is liye normal haalaat mein ya kisi maamuli wajah ki bunyad par hamal ko rokne wali dawa ka istemal karna durust nahi hai Lekin agar hamal rukne se aurat ki jaan ko khatra ho to aisi dawao ke istemal karne ki ijaazat hai Rahi baat Condom ki to ye “Azal” ke hukm mein hai Yani agar hamal ke rukne se aurat,Ya bachche ko nuqsan ho to biwi ki ijaazat se aisa karne ki ijaazat hai Lekin sirf dunyawi soch ki ( kam rahenge to achhchha khaaenge piyenge aur zyada hoga to kaun khilaega) wajah se aisa karna durust nahi hai..✍

اللہ ورسولہ اعلم بالصواب

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  58

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ MobiLe mein Game kheLna kaisa hai..?★↷ ​
••──────────────────────••►

*⚘✧➤ Mere Office mein ek shakhs hai jo Mobile par game khelne ka rasya hai Jis ki wajah se woh apne kaam ke waqto mein bhi Game khelne lagta hai Maalik ne kai baar naaraz ho kar nikaalne ki dhamki bhi de chukka hai magar woh apni aadat se majbur hai Maloom ye karna hai ki Mobile par Game khelna shari’at ke etebaar se jaa’iz hai ya najaa’iz?Hadis sharif ki raushni mein jawab de.Badi meharbani hogi. ★↷ ​*

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤ Har woh khel jis mein juwa, naja’iz shart aur koi khaas kharaabi wagairah na ho us ka hukm ye hai ki agar uski wajah se Allah ta’ala ki ibaadat mein khalal hota hai to woh naja’iz hai aur agar aisa nahi to gunah nahi Jaisa ki imam bukhari ne kaha

کل لھو باطل اذا شغلہ عن طاعۃ اللہ

   *📒 صحیح بخاری،باب:۵۲۔ص:۷۵۹ 📒*

⚘❂••➤  Lekin bachna chahiye Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Admi ke imaan aur islam ki khoobsurati ye hai ki woh bekaar kaamo ko chhod de..✍

*📬 Shu’abul Imaan,Hadis No.4978 📚*

اللہ ورسولہ اعلم بالصواب

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  59

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ Aaj ke etebaar se sHadi mein mehar kam se kam kitna hona chahiye?★↷ ❞
••──────────────────────••►

*⚘✧➤ Aaj ke etebaar se sHadi mein mehar kam se kam kitna hona chahiye..? ★↷ ​*

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤ Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki

” لا صداق دون عشرة دراهم” ۔

*📗 بیہقی،کتاب الصداق،باب مایجوز ان یکون مہرا،حدیث::۱۴۱۶۲ 📗*

⚘❂••➤ Mahar 10 dirham se kam ka nahi hota.

*📘 Baihaqi,Hadis No.14162 📘*

⚘❂••➤ 10 dirham 7 misqaal ka hota hai aur ek misqaal 4.50 maasha ka To 10 dirham 7.50 maasha howa Jis ka wazan aaj ke etebaar se 30 gram 618 miligram hai To itni chaandi ya market mein jo is ki qimat hai Kam se kam mahar hona chaahiye Is se kam mahar rakhna durust nahi Durr-e-Mukhtaar vol:2,Page No.357 mein hai

اقلہ عشرۃ دراہم لحدیث البیہقی وغیرہ ،لامہر اقل من عشرۃ دراہم فضۃ  وزن سبعۃ مثاقیل مضروبۃ کانت او لا۔

اللہ ورسولہ اعلم بالصواب

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  60

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ Share Business kis Tarah se karna jaa’iz hai aur kis tarah se naja’iz..?★↷ ❞
••──────────────────────••►

*⚘✧➤ Main share market mein paisa Lagaana chaahta hun Meharbani kar ke mujhe Bataiye ki ye sahi hai ya nahi? ★↷ ​*

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘❂••➤ Islam mein tijaarat ke kuchh usool bataye gaye hain Kisi bhi tarah ki tijaarat ho agar woh un usool ke mutabiq ho to jaa’iz hai warna nahi Tijaarat ka ek bunyadi usool Islam mein ye hai ki dono mein se kisi ek ki taraf se dusre ko nuqsaan aur taklif na ho Isi tarah tijaarat mein dhoke baazi na ho Hazrat-e-Abu Sa’eed khudri radhi allaho Ta’ala anho bayan karte hain ki Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Na nuqsaan uthaana jaa’iz hai aur nahi nuqsaan pahuchana jaa’iz hai

*📒 Al-Mustadrak,Hadis No.2305 📒*

⚘❂••➤  Share ” asal mein maal-e-sharaakat ka ek mutanasib hissa hai Jo company ke sarmaya aur samaan wagairah ki surat mein hota hai Maal chaahe kisi ek shakhs ki milkiyat ho ya ek se zyada logo ki milkiyat ho Us ka kharidna jab Islami qanoon ke mutabiq hoga to jaa’iz hai Jis company ke shares kharidna chaahta ho us ka kaar-o-baar halal ho Company aise products tayyar karti ho jin ka kharidna aur bechna shari’at ke etebaar se jaa’iz ho jaise computers,Dawa bana ne wali company wagairah aisi company ke shares ki tijaarat jaa’iz hai Aur jis company ke products shari’at ke etebaar se haraam ho jaise sharaab banana wali company Us ka share kharidna aur bechna jaa’iz nahi Share holder ke haq mein company ki haisiyat wakeel ki hai Jis tarah musalman ke liye haraam chizo ki kharidna aur bechna haraam hai usi tarah un chizo ko kharidne aur bechne ke liye kisi ko wakeel banana bhi jaa’iz nahi hai Hazrat-e-Abdur Rahman kehte hain ki main Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho se sharab ki tijaarat ke baare mein puchha to unhone faramaya Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki yaqinan jis zaat ne us ke pine ko haraam kiya usi ne us ki tijaarat ko haraam kiya...✍

*📬 Masnad-e-Ahmad,Hadis No.1937 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  61

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘ 

••──────────────────────••►
   ❝ Huzoor ﷺ ke zamane me Masjid E Nabavi ki Mikdarr kitni thi...?★↷ ❞
••──────────────────────••►


      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘ ⌬ ➤ Roza E Anwar par Nazar (dekhna) bhi ibadat hai Jaise Ka’aba E Muazzama Ya Qura’An majid ka dekhna to Adab ke saath uski kasrat karo Aur Darood wa salam Arz karo,

⚘ ⌬ ➤ Panjagaana ya kam se kam Subah wa shaam muwaajaha sharif me salam Raz kare ke liye haajir ho,
Shahar me ya shahar se bahar jahaan kahi gumbade mubarak par najar pade Fauran dastbasta udhar muh kar ke salaat wa salam Arz karo be-iske hargiz hargiz na gujro ki Adab ke khilaf hai.

⚘ ⌬ ➤ Jahaan tak ho sake koshish karo ki masjide Awwal yaani Huzoor ﷺ ke zamaana E Mubadaja me jitni thi us me namaaz padoh Aur us ki Mikdaar 100 Haath Lambai Aur 100 Haath Chaudai  Agarche Baad me Jo kuch izafa huwa hai us me namaaz padahna nhi masjid e nabavi hai me padhna hai.

⚘ ⌬ ➤ Qabre karim ko hargiz peeth na karo Aur jahaan tak ho sake namaaz me bhi Aisi jagah na khade ho peeth karni pade.

⚘ ⌬ ➤ Riza E Anwar ka na takwa karo ma sajda na itna zhukna ji Ruku ke Baraabar Ho Rasoolullah ﷺ ki Ta’azim unki Ita’At me hai..✍

*📬 Bahare sharee’at Hissa 06 Safa 141,142 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  62

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ JannaTuL Baqi ki JyaaraT Krna Kaisa Hai..❓★↷ ​
••──────────────────────••►

     ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

*JannatuT Baqi ki JyaaraT SunnaT Hai*

⚘ ⌬ ➤ Roza E Aqdas ki Jyaarat kar ke waha jaaye khususan Juma ke din is Qabristan me 10 hajaar Sahaba-E-Kiram Radiallahu Ta’Ala Anhum Madfun Hai Aur Tabeyin wa Tab’a Tabeyin wa Awliya wa Ulama wa Sulah wagairahum be-Shumar hai Yaha Jab Haajir Ho Pahle Tamaam Madfunin Muslimin ki Jyaarat ka Kasd kare Aur Yah Padeh

*⚘Tarjuma ⌬ ➤* Tum par Salam E Kaume Mominin ke Ghar walo Tum Hamare Peshwa ho Aur Ham inshaAllah Tum se Milne waale Hai Ay Allah Baqi walo ki Magfirat Farma Ay Allah Ham ko Aur Uneh Baksh de

⚘ ⌬ ➤ Aur Agar Kuch Aur Padhna Chaahte hai to Yah Pade

*⚘Tarjuma ⌬ ➤* Ay Allah Ham ko Aur Hamare Walidain ko Aur Ustado Aur Bhaiyoon Aur Bahno AUR Hamari Awlaad Air Poto Aur Saathiyoon Aur Dosto ko Aur usko Jiska ham par Haq Hai Aur jisne hame wasiyat ki Aur Tamaam Mominin wa Muslimin wa Mislimaat ko Baksh de

⚘ ⌬ ➤ Aur Darood Sharif wa Surah E Fatiha wa Aayatulkursi wa Surah E ikhlaas wagairah jo kuch ho sake padh kar Sawaab us ka najr kare Uske baad Baqi Sharif me Jo Mazaarat Maroof wa Mash-Hoor hai Unki ziyaarat kar Tamaam Ahle Baqi me Afzal Amirul-Mominin Sayyedina Usman Gani رضي الله عنه Hai Unke Mazaar par haajir ho kar salam kare...✍

*📬 BaHare sharee’at Hissa 06 Safa 142 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  63

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ Ladka Aur Ladki Ko Kitne SaaL Tak Doodh PeeLane Ki Izajat Hai..❓ ❞
••──────────────────────••►

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

*⚘ ⌬ ➤ 2 SaaL Tak Ladka Ho Ya Ladki*

*⚘Mas’ala⌬ ➤* Bachha ko 2 Baras tak doodh pilaya jaaye is se jyaada ki izajat nahi doodh peene waala ladka ho ya ladki

⚘⌬ ➤ Aur yah jo Baaz Awaam me mashhoor hai ki ladki ko 2 Baras tak Aur Lad ke ko 2/5 (Dahai) Baras tak peela sakte hai Yah sahi nahi Yah Hukm Doodh peelane ka hai Aur Nikah Haraam hohne ke liye 2/5 (Dahai) Baras ka Jamaana hai Ya’ani 2 Baras ke Baad Agarche Doodh Peelana Haraam hai Agar 2/5 Baras ke Andar Agar Doodh peeladegi Hurmate Nikah saabit ho jaayegi Aur us ke baad peeya to Hurmate Nikah nahi Agarche peelana jaayez nahi

*⚘Mas’ala⌬ ➤* Muddat puri hone ke baad Bataure Ilaaj bhi doodh peena Ya peelana Jaayez nahi ( Durre Mukhtaar)

*📬 Bahare sharee’at Hissa 07 Safa 25 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  64

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ Jab Maut Ka Waqt Karib Aaye Aur Alaamate Paayi jaate To Daahini Karwat Par Lita kar Kible Ki Taraf Muh Kar dena Kaisa Hai..❓ ❞
••──────────────────────••►

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘ ⌬ ➤Jab Maut ka waqt karib Aaye Aur Alaamate paayi jaaye To Sunnat yah hai ki daahini karwat par lita kar Qibla ki Taraf Muh kar de Aur Yah bhi Jaayez hai ki cheet litaaye Aur Qibla ko paanv kare ki Yoonhi kible ko Muh ho jaayega Magar is Surat me sar ko kuch Uncha Rakhe Aur Qibla ko Muh karna dushwaar ho ki us waqt ki takleef hoti ho to jis haalat par hai choor de

        *📬 Durre Mukhtaar 📒*

*⚘ mas'ala ⌬ ➤* Jaankani ki Haalat (Dam Nikalte waqt ki haalat) me jab tak Rooh gale ko na Aai use talkeen kare Ya’ani us ke paas Baland Aawaaz se padeh

*Ashahadoo Anla ilaha ilallahu wa ashahadoo an muhammadan RasoolullaH*

*⚘ Tarjuma ⌬ ➤* Main Gawahi deta hoon ki Allah Ta’Ala ke siwa koyi ma’abud (poojne ke kaabil) nahi Aur Muhammed ﷺ Allah Ta’Ala ke Rasool hai Magar use iske kahane ka hukm na kare

*⚘ mas'ala ⌬ ➤* Jab us ne kalima pad liya to talkeen karde (Rook de) Haan Agar Kalima padne ke baad Usne koyi Baat ki to phir Talkeen kare ki uska aakhir kalama *La Ilaha Illahu Muahammedoor RasoolullaH ho* Aalamgeeri

*📬 Bahar-e-sahari’At 4th Teesra safa 107 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  65

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  Kitni Cheeze Adami Ki Nek-Bakhati Se Hai Aur Kitni Cheeze Bad-Bakhati Se 
••──────────────────────••►

     ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘ ⌬ ➤ 3 Cheeze Nek-Bakhati Aur 3 Cheeze Bad-Bakhati se..★↷

*⚘ HaDees ⌬ ➤* Muslim Wa Nasai Abdullah Ibne Umar Radiallau Ta’Ala Anhu se Ravi ki Huzoor ﷺ Ne farmaya Dunya Mata’a hai Aur dunya ki behtar Mata’a ( Maal wa daulat ) Nek Aurat hai

*⚘ HaDees ⌬ ➤* Tabrani Kabir wa Ausat me ibne abbas Radiallau Ta’Ala Anhu se Raavi ki Rasoolullah ﷺ Ne farmaya jise 4 cheeze mili use dunya wa Aakhirat ki Bhalai mili

*⚘ 1⃣ ⌬ ➤* dil shukr Gujaar
*⚘ 2⃣ ⌬ ➤* Jaban Yaade khuda karne waali Aur
*⚘ 3⃣ ⌬ ➤* Badan Bala par Saabir Aur
*⚘ 4⃣ ⌬ ➤* Aisi biwi ki Apne nafs Aur maale Shohar me gunaah ki jaayaa’n’ na ho

*⚘ HaDees ⌬ ➤* Imaam Ahmed Wa bazzar wa hakim Sa’ad Ibne bai waqqas Radiallau Ta’Ala Anhu se Raavi ki Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya 3 Cheeze Adami ki Nek-Bakhati se Hai Aur 3 Cheeze Nek-Bakhati se
Nek-Bakhati ki cheeze me Nek Aurat Aur Achha makan ( Yaani Lamba chauda Ya us k Padosi achhe ho ) Aur achhi sawaari Aur Bad-Bakhati ki cheeze Bad Aurat, Bura Makan, Bura Sawaari..✍

*📬 Bahare sharee’at Hissa 07 Safa 05,6 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  66

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝  Agar Haath Dhula Huwa Hai,Magar Phir Dhone ki Niyat se Daala Aur Yah Dhona Sawab ka kaam Ho Jaise Khaane ke Liye.Ya Wazu Ke Liye To Yah Paani Istemaal Kiya Huwa Ho gaya Ab Kya Yah Paani Wazu Aur Peene ke kaam Raha..❓
••──────────────────────••►


      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

*⚘  ⌬ ➤* Wazu Ke Kaam Ka Na Raha Aur Us paani ko peena Bhi Makrooh Hai

⚘  ⌬ ➤ Agar Haath dhula Huwa hai Magar dhone ki Niyat se daala Aur Yah Dhona sawab ka kaam Ho Jaise khaane ke liye, Ya Wazu ke liye To Yah paani Must’amal (Istemaal kiya huwa) ho gay Yaani wazu ke kaam ka naa Raha Aur us paani ko peena bhi Makrooh hai

⚘  ⌬ ➤ Agar Jarurat Se Haath Paani me daala jaise, paani bade bartan me hai ki Use Jhuka Nahi Sakta Na koyi chota bartan hai ki us se nikale to Aisi Surat me jarurat Bhar haath paani me daal kar us se paani nikale Yaa Kunye me rassi Dool geer gaya Aur be Ghuse nahi nikal sakta Aur paani Bhi Nahi ki haath panv dhokar ghuse To is Surat me paanv daal kar rassi Nikalega to paani “Must’amal Na Hoga is masle ko bahut kam log jaante hai logo ko jaanna chahiye..✍

*📬 Bahar E Shari’At Dusra Hissa Safa 42 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  67

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ Jab Miswaaq Daato Me Istemaal Kiya Jaye To Pahle Kis Jaanib Se Shuru Kiya Jaaye..❓ ​
••──────────────────────••►

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘  ⌬ ➤ Daahini Jaanib Ke Upar Ke Daant Maajeh Miswaaq Daahine Haath Se Karna Chahiye Aur Miswaaq is Tarah Haath me li jaaye ki Chhungaliyaa Miswaaq ke Niche Aur beech ki 3 Ungaliyaan Upar Aur Angutha Seere par niche ho Aur Mutthi Na Bandhe

⚘  ⌬ ➤ Daanto ki Chawadayi me Miswaaq Kare Lambayi me Nahi Cheet Late kar Miswaaq Na kare

⚘  ⌬ ➤ Pahle Daahini Jaanib Ke Upar Ke Daant Maajeh Phir Baayi Janib Ke Upar Ke Daant Phir Daahini Jaanib Ke Niche ke Daant Phir Baayi Janib Ke Niche Ke Daant

⚘  ⌬ ➤ Jab Miswaaq Karna hoto use dhoole Aur Miswaaq Karne ke baad bhi use dhoo daale Zamin par padi na chhode Balki khadi Rakhe Aur Use is Tarah Khadi Rakhe ki us ke Reshe wala hissa Upar Rahe..✍

*📬 Bahar-E-Sahari’At Hissa 2 Safa 16 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  68

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ Jis ko Nahane ki Jarurat Ho Aise Shakhas Ne Hooruf E Mukatta’aat Ho. (Jaise Alif laam meem. Yaa seen, Haa meem. Wagairah) Aisi Anguthi Pehana Us Ke Liye Kaisa hai..❓ ❞
••──────────────────────••►

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

*⚘  ⌬ ➤* Ramzan Me Agar Raat Ko Junub Huwa To Achha Hai Ki Farz Tulu Hone Se Pahle Naha le Taaki Roze ka Har Hissa Janaabat se khaali Ho Aur Agar Nahi nahaya to Bhi Roza To Hohi jaayega magar Achha Yah Hai Ki Garaara Kar Le Aur Naak Me Jad tak paani Chadaah le yah Dono farz se pahle Kar le ki Roze Me na ho Sakenge Aur agar nahane me itni der ki ki din nikal aaya Aur namaaz Qaza kar di to yah Aur dino me bhi gunah hai Aur Ramzan me to Aur jyaada

⚘  ⌬ ➤ Jis ko Nahane ki jarurat ho us ko Masjid me jaana, Tawaafa karna, Qura’an Sharif Chhuna, Agarche Uska Sada Hashiye (Aayat likhi hoti hai us ke ird gird jo blank page hai us ko hashiya kehte hain) Ya Jild (Binding ko jild kehte hain) ya Choli chuye ya be Chuye dekh kar , Ya jubani padhna , Ya kisi Aayat ka Likhna ya Aayat ka Taveez likhna Ya Aisa Taveez Chuna Ya Aisi Anguthi pahanna Jis me Mukatta’aat Ho (Jaise Alif laam meem. Yaa seen. Haa meem. Wagairah). Haraam Hai..✍

*📬 Bahar -E-Sharee’At Dusra Hissa Safa 37 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  69

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝ Kya IsLam me Dhol bajaana mana hai..? ❞
••──────────────────────••►


      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘  ⌬ ➤ Ye Hadees Eidain Ki Namaz ke baab me hai Yaani wo Eid Ka din tha.Hazrat Aisha رضی اللّٰــه تعالیٰ عنــــــــہا daff k sath larkio ke Gungunane ko sun rahi thin aur Huzoor ﷺ apne chehra e aqdas par kapra daale hue aram farma rahe the

⚘  ⌬ ➤ Ke Hazrat abu bakr siddiq رضی اللّٰــه تعالیٰ عنــــــــہ tashrif laaye aur unho ne larkio ko gaane se mana kiya to, Huzoor ﷺ ne farmaya:larkiyo ko un k haal par chhor do k ye Eid ka din hai

⚘  ⌬ ➤ is Hadees Shareef ki sharah me Hazrat Mulla Ali Qari Ne Farmaya ke Daff baja kar gaane waali 2 Chhoti Bacchiyaan thi

   *📬 Mirqaat jild 2 page 249 📗*

⚘  ⌬ ➤ Hazrat Shaikh Muhaqqiq Abdul Haq Muhaddis e Dehlawi Rahimahullah Farmate hain. Ke Daff bajaane wali Ansaar ki Larkio me se 2 Chhoti Larkiyaan Thi *Ashi’at ul LamAat*

⚘  ⌬ ➤ Aur choti larkiyaan gair mukallaf hoti hain Lehaza un k gaane se Aurato k gaane ka jawaz Khuli hui galti hai Aur Qawwal wagaira ka acche se acche Ash’aar ke Sath Bhi Saaz ka milana Haraam hai

⚘  ⌬ ➤ Jaisa ke Hazrat Mahboob e ilaahi Rahmatullahi Ta’ala Alaih farmate hain Mazameer (Dhol baaje) haraam hain Aur mazameer jabke haraam hai to wo har jagah haraam o najaayez rahega Chahe wo Makkah shareef me Gaaye, Ya Ajmer Shareef me..✍

          Wa-Allahu Ta’ala A’lam

*📬 Mulakkhasan Fatawa Faiz ur Rasool 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  70

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ Gair muslim apne makaan ya dukaan "vastu shastra" ke hisaab se taamir karte hain Baaz musalman bhi "vastu shastra" ke mutabik apne ghar taamir karvaate hain Kya ye jaeez hai? ❞
••──────────────────────••►

     ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘  ⌬ ➤ Shariyat me makan ki ta'amir ke liye koi khas ahkam nahi he balki hasbe sahoolat makan ki ta'ameer ki ja sakti he Gair muslimo ke nazdik wastu ki ahmiyat he or islam me is ka koi aetbar nahi Har cheez ka khaliq, nafa'a w nuqshan ka malik sirf or sirf allah ta'ala hi he Uske azn w ijazat ke bagair kuchh nahi hota Albatta baytul khala ki ta'ameer me ye karna ki ba-waqte taharat rukh or pusht qibla ki taraf na ho Ya ghar ke naqsha or ta'ameer ke muta'allik engeneer se mashwara liya ja sakta he, hawa ki aamad w raft, dhoop ke rukh or digar sahoolato ke peshe nazar engeneer jo mashwara de to ye shar'an mamnoo'a nahi he

⚘⌬ ➤ Hadish shareef me he ki, Saiyeduna abu huraira radiAllahu se riwayat he ki nabi e karem sallallahu alaihi w sallam ne irshad farmaya bad shuguni koi cheez nahi bahetareen faal nek faal he Arz kiya ya rasoolallah sallallahu alaihi w sallam nek faal kya he? Aap sallallahu alaihi w sallam ne irshad farmaya achchi baat jisko tum me se koi sunta he

*📬 SAHIH BUKHARI, J-2,  KITABUL TIBB, BABUL FAAL 📚*

⚘⌬ ➤ Hadish shareef se wazeh he ki badshuguni kuchh nahi hoti Isi tarah Wastu ka aqida rakhna batil he jiska islam se koi ta'alluk nahi Ye gair muslimo ka tarika he Wastu jiska matlab ye he ki ghar ko ek khas andaz se banane ko zaroori samaja jata he or us ke khilaf banane par usko manhoos or bura samja jata he or maut or hayat ya rahat  w musibat, sehato bimari,  tangi w barkat wagairah makan  ki taraf mansoob kiya jata he Ye aqida dar asl hinduo me unke poojario ki taraf se vedo ke hawale se aaya he or pahle to vo usko apna ek mazhabi nazarya samajte the or ab khwamakhwa  khinch taan kar usko ek sciency nazarya sabit karne ki fikr ki jaa rahi he Wastu me ye bataya jata he ki ghar ka asl darwaza falaÑ simt ko hona chahiye, khidkiya falaÑ simt ki janib honi chahiye, or pakwan ka kamra is makam par hona chahiye wagairah Or agar aysa na huva to kahte he ki koi mar jarga ya hadse huva karege ya maal me tarqqi na hogi ya bimariya aaegi wagairah Ye aqida bhi batil he Islam me is tarah ki koi baat sabit nahi. Islam bunyadi taur par is qism ki bato ka sakht tareen mukhalif he Vo to yahi ta'aleem deta he ki kisi simt me kuchh nahi rakha he Jo kuchh he vo allah ki masiyyat ke ta tabe'a he

_⚘⌬ ➤ Al garz wastu shastra ka islam se koi ta'alluk nahi Balki ye aqida islam ke sarasar khilaf he. Musalmano ke in batil aqido se door rahna chahiye_

     *Wallahu aa'alam bis-SawaB*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  71

HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

    SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

   ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
       ❝ ISLAMI   KHAWATEEN   OR   JOB ❞
••──────────────────────••►

         ⇩◑     *✫ SawaL ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘⌬ ➤ ISLAM ME AURAT KA JOB KARNA KESA..❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘  ⌬ ➤ Bila zaroorat aurat ka job karna najaizo haram or gunah he , yaani uska shohar ya ghar koi mard itna kamata he ki zaroorate or hajate poori ho jati ho,(vo hajate jinke bagair insan ka jina dushwar ho jae) tab tak aurat ko ghar se bahar kamane ke liye jane ki ijazat nahi

⚘ ⌬ ➤ Aala Hazrat Azimul Barkat Mujaddide dino millat Alaihir Rahma Farmate he,

⚘ ⌬ ➤ Aurat ka job karna 5 sharto ke sath jayez hai

⚘ 1⃣ ➤ Kapde baareek na hon, jinse sir ke baal ya kalaayi waghaira sitr (jitne jism ka chhupaana farz hai, us) ka koi hissa na chamke

⚘ 2⃣ ➤ Kapde tang aur chust (tight & fit) na hon, jo badan ki banaawat (yaani seene ka ubhaar ya pindli ki golaayi waghaira) zaahir karein.

⚘ 3⃣ ➤ Baalon ya galey ya pet ya kalaayi ya pindli ka koi hissa zaahir na hota ho

⚘4⃣ ➤ Kabhi zara si der keliye bhi na maheram mard ke saath tanhaayi na hoti ho

⚘ 5⃣ ➤ Uske wahaan rehne ya ghar se baaher aane jaane me kisi fitne (gunah aur kharaabi) ka gumaan na ho

⚘  ⌬ ➤ Ye 5 shartein agar sabki sab jama hon to aurat ke Job karne me haraj nahi, aur agar inme se ek bhi kam hai to haraam hai

*📬 FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-22, S-248 📚*

⚘  ⌬ ➤ Jahaalat aur be parwaahi ka daur hai, upar bayaan ki gayi 5 sharto par amal is zamaane me bahut ziyada mushkil hai,Balke koi aurat kar hi nahi sakti aajkal daftaro me mard aur aurat ikatthe kaam karte hain, aur istarah be pardagi, be takallufi aur bad nigaahi se bachna na mumkin ke qarib hai, isliye aurat ko chahiye ke daftar ya kisi ke ghar naukari ke bajaaye aisa koi kaam kare jis se apne ghar me rehte huwe kamaayi ho sake..✍

      *Wallahu Aa'alam Bis-SawaB*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  72

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
    ❝  BAAT  BAAT  PE  KASAM  KHANA  KESA 
••──────────────────────••►

     ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

*⚘ ⌬ ➤ APNI KASMO KI HIFAZAT KARNE KA HUKM QURAAN SHAREEF ME BHI MAUJUD HE*

⚘ ⌬ ➤ Baat baat par kasam uthana shar'an layike malamat or qabile mazammat fe'al he. Kyu ke ba-kasrat kasme khane se jahaN aadmi ke dil me sharai hudood w quyood se gaflat w laa-parwahi payda hoti he vaha us ki baat me bhi wazan or aetemad barqarar nahi rahta Isi liye nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ko qura'ane majeed me hukm diya gaya ke "aap kisi bhi ayse shakhs ki baat na mane jo bahut zyada qasme uthata ho

*📒 SURA E QALAM, AAYAT-10*

⚘ ⌬ ➤ Or Musalmano ko paband kiya gaya ke tum allah ko apni kasmo ka nishana na banao

*📘 SURA E BAQAR, AAYAT-22*

⚘ ⌬ ➤ Ba'az mufassireen ke nazdik is se murad ye he ki baat baat par qasam na uthaya karo

*📓 TAFSIRE QURTIBI, W KHAZAINUL IRFAN*

⚘ ⌬ ➤ isi tarah ek or maqam par farmaya " apni qasmo ki hifazat kiya karo

*📔 SURA E MAAIDA, AAYAT-89*

⚘ ⌬ ➤ Sadrul afazil farmate he "ye bhi hifazat se he ki qasam khane ki aadat tarq kar di jaae

⚘ ⌬ ➤ Mazkura tamam tar tafsil se wazeh ho gaya ki baat baat par qasam uthana shariyate mutahara ki nazar me ek mazmoom or bura fe'al he Jaha tak us shakhs ke liye sharai hukm (yaani qasam ke kaffara wagairah) ka ta'alluk he to uski tafsil ye he ke agar vo shakhs maazi (past) ya haal (present) ke kisi waqe'aa par jaan bujh kar qasam uthae or us me vo Jhutha ho to vo gunahe kabeera ka murtakib hoga or us par taubah karna lazim hoga

⚘ ⌬ ➤ Is me kaffara nahi he Or agar vo shakhs mustaqbil (future) ke kisi kaam ko karne ki qasam khaae to us par us qasam ko pura karna lazim hoga ba-shart ye ki vo kisi najaiz kaam ki qasam na ho Agar vo shakhs qasam ko torh de to us par kaffara lazim hoga Kaffara ye he ke 10 miskeeno ko 2 waqt ka khana de diya jae ya unhe kapda de diya jaae Agar in baato ko taqat na ho to 3 din musalsal roze rakhe jaa yahi kaffara us soorat me he jab koi shakhs mustaqbil me gunah ki qasam khae Yaani aysi soorat me lazim ho jata he ki aadmi us qasam ko torh kar kaffara de. Kyu ke nabi e kareem sallallahu alahi w sallam ne irshad farmaya " jis shakhs ne kisi cheez ki qasam khai fir vo us cheez ke khilaf karne ko bahetar jaane to vo us qasam ke khilaf kare or us ka kaffara de

        *📕 SAHIH MUSLIM, 65*

*📬 ANWARUL FATAWA, SAFA-517,518 📚*

⚘ ⌬ ➤ Or Hazrat Saiyed Shah Turabul Haqq Qadri Alahir Rahma ek sawal ke jawab me farmate he ki iska kaffara ye he ki 10 aadmio ko 2 waqt ka khana khilae ya 2.25 (sava doso) aante ki keemat 10 fakeero me taksim kare Misal ke taur par agar 2.25 (sava doso) aante ki kimat 25 rupye banti(misal ke taur par) he to 25-25 rupye 10 faqeero ko jo zakat khairat ke mustahiq he unhe dede...✍

        *Wallahu Aa'alam Bis-Sawab*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  73

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝  KYA  AURAT  SHADI  KE  BAAD  APNE  BAAP  KI  JAGAH  SOHAR  KA  NAAM  LAGA  SAKTI  HE.. ?
••──────────────────────••►


      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘ ⌬ ➤ Kuch dino se whatsapp par ek Msg logo ko pareshaan kar raha hai aur unhe waswase mein daal raha hai ki,

⚘ ⌬ ➤ Jo AURTEIN APNEY WALID KA NAAM HATA KAR SHAUHAR KA NAAM ADOPT KARTI HAIN SHAADI KE BAAD WO ZARA GAUR KAREN KI YE HARAAM HAI

⚘ ⌬ ➤ Ab sawaal ye paida hota hai ki Kya aisa karna waqaie Haram aur kufr hai? Kya waqie aisa karne par Azaab hoga❓

⚘ ⌬ ➤ Asl mein kuch logo ne Is mauzu ke talluq se Hadith e Paak ka galat itlaaq karke hadith ki galat tashreeh ki hai

⚘ ⌬ ➤ Logo mein is baat ko failane walo ne daleel ke taur par Bukhari, Muslim aur Ibne Maja ki hadith pesh ki hai jis mein Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne aisa karne ko kufr kaha aur jahannam ko uska thikana bataya aur jannat us par haram ho gayi aur us par farishto ki laanat hai wagaira wagaira ka zikr hai

⚘ ⌬ ➤ Ab dekhte hai ki is hadith ka matlab wa mafhoom kya hai aur uska itlaaq kis par hota hai?

⚘ ⌬ ➤ Sab se pehle ye baat wazeh ho jaaye ki ye masla sirf Aurto ke liye khaas nahi balki Mardo ka bhi hai Ab hum In logo se puchte hai ki Kya Mard agar apne asli baap ke badle dusre Aadmi ka naam apne naam ke saath likhe to kya uske liye bhi wahi hukm aur waeed hai jo hadith mein maujood hai? Agar haan to Aap ne sirf Aurto ke liye khaas kyu kiya?

⚘ ⌬ ➤ Dusra ye ki Agar koi Aurat jo shadi shuda na ho aur woh apne asli baap ka naam hata kar dusre Aadmi ka naam apne naam ke saath jod de to kya aisa karna sahi hoga?

⚘ ⌬ ➤ Shayad Aqal mand log samajh gaye hoge ki hum kya kehna chahte hai

*⚘ Suniye ⌬ ➤* Asl mein masla ye hai ki Agar koi shaks chahe Mard ho ya Aurat is garz aur niyat se apne asal baap ka naam hata kar apne naam ke saath likhta ya jod deta hai taaki logo ko woh ye dhoka de sake ya bewaqoof bana sake ki mera baap fulaah nahi balki fulaah hai Aur woh ye amal is liye karta ho taaki logo ko uske asli baap ka pata na chale Yaani uske asli baap mein koi aib ho maslan woh badkaar ho, nichli jaat ka ho, gareeb ho, wagaira wagaira jiski wajeh se usko Log bura samjhege aur uske asl baap ki wajeh se usse society mein acha maqaam na milega ya kisi na kisi tarah usse nuqsaan pohchega, to aisa karne wala galat hai aur jahannam ka mustahiq hai Kyuki woh Kisi dusre Aadmi ko apna baap bata kar apni nisbat uske saath jodna chahta hai taaki uska gair faida utha sake aur logo ko dhoka de sake..✍

  *_MukammaL JawaB Abhi Baki Hain*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  74

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ KYA  AURAT  SHADI  KE  BAAD  APNE  BAAP  KI  JAGAH  SOHAR  KA  NAAM  LAGA  SAKTI  HE.. ?
••──────────────────────••►

     ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘ ⌬ ➤ Ab Hamari Aurte apne shohar ka naam is liye nahi lagati ki log uske shohar ko uska baap samjhe Balki woh is liye lagati hai ki log ye jaan le ki woh shadi shuda hai

⚘ ⌬ ➤ Jaisa ki Hamare yahan legal documents mein Agar Female Candidates Apne naam ke baad Jis Aadmi ka naam likhti hai aur jab "Unmarried (single)" and "Married" column mein tick mark karti hai to fauran ye samajh liya jata hai ki agar Unmarried mein tick kiya hai to ye shaks uska Baap hai aur Married mein tick kiya hai to ye shaks uska Shohar yaani husband hai

⚘ ⌬ ➤ Yaani Shohar ka naam likhne ka Maqsad apne asli baap ki pehchaan ko chupana nahi balki apne Shadi shuda hone ya kuwara hone ka wazeh karna hai Jab maqsad aur niyat hi woh na raha to Haram, kufr aur jahannam ka mustahiq kaise banegi?

⚘ ⌬ ➤  Pata chala ki hadith me jo waeed hai uska matlab ye hai ki jo apne apko apne bap ke siwa dusre se mansub kare taki log us dusre admi ko uska bap samjhe ye amal haram hai

⚘ ⌬ ➤ Magar ye baat yaad rakhe ki jahan apne naam ke sath baap ka nam jodne ka riwaz hai wahan shauhar ka naam na jode Isse galatfahmi hogi aur jahan aisa riwaaj hai ki shadi ke baad shohar ka naam lagana riwaaj hai wahan koi harj nahi

⚘ ⌬ ➤ Ab koi ye aiteraaz kar sakta hai ki Jab Islam mein ye tareeqa raha hai ki Chahe mard ho ya Aurat, hamesha uske saath uske Baap hi ka naam likha jata hai to Aap kyu Shohar ka naam likhne ki ijaazat de rahe ho?

⚘ ⌬ ➤ Iska jawab ye hai ki hum ijaazat nahi de rahe hai balki hum un logo ko ye batana chahte hai ki Hadith mein jo Asli baap aur Nakli baap ka naam jod ne ka zikr aaya hai uska in riwaaj se koi talluq nahi balki Hadith mein Asli aur nakli baap ki sachaai aur jhooth ke fitne se aagah karne par waeed aur uska Ailaan kiya gaya hai Ye koi Islam ka shiyaar nahi aur na hi Kuffaro ki alaamat. Agar ye kuffaro ka shiyaar hota to bilashuba Shadi shuda Musalmaan Aurto ko aisa karne se roka jata Aur Ye amal Musalmaano ka shiyaar bhi nahi warna hargiz iski ijazat na di jaati

⚘ ⌬ ➤  Hamari Maa Behno aur bachiyo ko Jab bhi unke Baap ka naam pucha jaayega to Fakhr se woh Apne asl baap ka naam Batayegi ki Mein falan binte falan hu Aur Alhumdulillah Apne Aap ko jahannam ki aag se hamesha mehfooz rakhegi

⚘ ⌬ ➤  Kuch log Apni jahalat, kaj fehmi, aur apni mehdood soch mein had se zyada sakhti ki wajeh se is tarah ke mugaalte paida karte hai aur Hadith ka galat itlaaq aur galat mafhoom nikaal kar logo ko mashakat mein daalte hai Ye deen mein zyatti hai aur Deen mein mushkile paida karna hai

*Deen mein Aasaaniya paida karo aur mashakkat mein na Daalo*

⚘ 🤲🏻  AllaH hume Aql e saleem ataa farmaye aur Jahilo ki jahalat se mehfooz rakhe *AameeN*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  75

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  *KYA  NABINA  (BLIND)   SHAKHS  IMAMAT  KARA  SAKTA  HE* 
••──────────────────────••►

   ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘ ⌬ ➤ Huzure Faqihe Millat Hazrat Allama Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahma Taherir Farmate He,

⚘ ⌬ ➤ Nabina ke pichhe namaz padhna jaiz he agar koi or dusri wajah mane'a imamat na ho

*📭 FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S-112 📒*

⚘ ⌬ ➤ Andha (blind) shakhs agar tamam hazerin me sabse zyada masaile namaz ka jaan ne wala ho or uske siwa dusra koi sahihul aqida, sahihul qir'at, or gair fasiqe mo'allin shakhs hazire jama'at na ho or vo andha hi sabse zyada ilme namaz v ilme taharat rakhta ho, to usi ki imamat afzal he..✍

*📭 FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-3, S-207 📘*
*📭 MOMIN KI NAMAZ, S-338 📚*

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  76

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
            ❝  SHIRK  KI  HAQIQAT ❞
••──────────────────────••►

•••➲ Bade afsoos ki BaaT hai ki Aaj kal kuch Log har jaa’iz-o-Naja’iz kaam ko sidhe Shirk keh Dete hai Aur apni chhoti si jama’at ke elawah puri Duniya ke musaLmano ko mushrik Qarar de kar unhe Islam se khaarij maante hai Jis ki wajah se jagah jagah par Ladaai aur jhagde hote rahte hai Is Liye Yahan par shirk ki Haqiqat Quran aur Hadis ki Roshni me SawaL aur jawaB ke andaz me pesh kiye Jayenge Shuru se aakhir Tak Tamam sawaL aur jawab ko itminaan se padhe In sha AllaH Aap ko Haqiqat achchhi Tarah samajh me Aa jayegi..⁀➷

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤  Shirk ka kya maana Hota hai..❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ shirk ,arbi zaban ka lafz hai jo shirkat se bana hai jiska maana hota hai do shakshon ka kisi ek chiz me sharik yani shamil hona jaise kaha jata hai ki zaid aur bakr ek tijarat me sharik hue Khalid aur Abid ek makaan ke kharidne me sharik hue wagairah..✍

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  77

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ KUFRIYA  KALMA  KO  STATUS  PAR  RAKHNE  KA  HUKM. ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤  Ek Song he *Pujti hu tujhko bhgwan ki Tarah, tu chha gaya he mujh pe aasman ki tarah* ye geet hinda ne apne WhatsApp status par rakha hinda par kya hukme shara'a he...❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Jis geet ke bare puchha gaya hai vo yaqinan kufr he Jo is ko padhte hai ya khud voh status par rakhte hai vo kafir aur murtad hai Tamam nek aamal Barbad ho gaye Is par farz hai k fauran bila takhir tauba kare aur Kalma padh kar phir se musalman ho aur tajdid e nikah kare(ehteyatan, kyu ki aulma e Kiram ne farmaya k bivi ke fufr se nikah batil nahi hoga) aur tajdid e baiat kare

⚘ ⌬ ➤ Is ki vajah ye hai k is sher me apne mahboob ko khuda ka sharik man kar uski pooja yani uski ibadat ka qasd kiya Aur kisi ko layaq e ibadat samjhna ya kisi ki pooja karna yaqinan ye shirk hai aur Islam ke pahle kalima hi ka inkar hai

لا اله إلا الله محمد رسول الله ﷺ

⚘ ⌬ ➤ Yani Allah ke Siva koi ibadat ke layaq nahi aur Muhammad ﷺ allah ke raool hai

⚘ ⌬ ➤ or agarche aurat is ka mana va matlab na janti ho fir bhi shirk he

 *📬 Sharh e fiqh e Akbar me hai 📔*

اما اذا تکلم بكلمة الكفر و لم يدري انها كلمة كفر

*📬 SHARAH FIQHE AKBAR, 202 📘*

⚘ ⌬ ➤ Yaani jab kisi ne koi kalma e kufr baka to ye kufr ho jaega agarche vo ye na janta ho ki ye kalima e kufr he

⚘ ⌬ ➤ Gamzul Auyuno val basair me hai

و الجھل بالضروریات  فی باب المکفرات لا یکون  عذرا بخلاف غیرھا فانہ  یکون عذرا علی المفتی بہ

         *📬 Jild 2 Safah 207 📚*

⚘ ⌬ ➤ Yaani kufriyat bakne ke bare me koi shakhs ye bahana kare ki in zarooriyate din ko me nahi janta tha to is uzr ko qubul nahi kiya jaega, kyu ki din ka ilm hasil karna farz he...✍

 ھذا ماظھر لی واللہ تعالی اعلم بالصواب

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  78

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ TAMAM BATIL FIRQO KO BURA NA KAHNA OR YE KAHNA KI ALLAH HAME KAFIR SAMAJ KAR BAKHS DEGA KUFR HE. OR US KI TAUBAH KESE KARE..❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤  Kya farmate he Aulma e kiram w muftiyane shara'a is mas'ale me ki hinda ne mobile par zaid se kaha ki ham kisi firqa e batila ko bura nahi kahte, allah ta'ala ham ko kafir samajh kar bakhsh dega. Hinda ne ye alfaz bazariya mobile zaid se kaha usne taslim bhi kar liya Or zaid ne use aam kar diya hinda ka ye kufr ab kisi se chhupa nahi Bakar ka ye da'awa ke me ne hinda se taubah karai Vo bhi taubah sahiha w sharaiya nahi yaani hinda ne jo kufriya jumle apni zaban se dohraye  usi jumlo ke sath taubah nahi ki or na bakar ke paas koi sharai gawah Aysi soorat me kya hinda ki taubah qubool hogi ? Or is soorat me kya kiya jaae...❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Hinda ne jab vo jumla e qabeeha kufriya ki nisbat apni taraf taslim ki to bila shubah vo islam se kharij ho gai Ab use kalma parh kar dakhile islam hona parhega
Or khas us kufri aeteqad jis ka usne izhar kiya usse taubah w Rujoo'a kare Or uska izhare kufr agar khud usne aam nahi kiya tha balki farde wahid ke samne tha to taubah w tajdeed bhi uske samne kaafi he ya fir uski tajdeed w taubah ki bhi misl sabiq tash'heer kare uski tasdeeq ke sath, ki tash'heere khair kaare khair he bar khilafe tash'heere shar ke

⚘ ⌬ ➤ hinda ka ye kahna ki allah hame kafir samaj kar bakhsh dega ye shareeh kufr he

⚘ ⌬ ➤ Jaisa ki Hazrat Allama Shareh Bukhari Alahir Rahma Farmate he

⚘ ⌬ ➤ Jo kahe ki me kafir hu vo kafir ho gaya

*📬 Aalamgiri, jild-2, Satah 📔*
*📬 Fatawa Shareh Bukhari, Jild-2, Safah- 376 📚*

⚘ ⌬ ➤ Or Hinda ka Ye kahna ki kisi batil firqo ko bura nahi kahti, Agar vo unke kufriya aqaid jante hue esa kahe to kufr he

⚘ ⌬ ➤ Or ye sab baate hinda ne taslim bhi ki jo ke kufr he, jiski bina par vo kharije islam, kafir ho gai Jo usne kalma e kufr kaha or use taslim bhi kar liya to use islam me dakhil karne ka tariqa yahi he ki us kalme e kufr se taubah kare, tajdeede iman or agar shadi shuda ho to Tajdeede nikah kare...✍

*📬 Fatawa Shareh Bukhari, Jild-2, Safah-439 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  79

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝ ALLAH  KI  QASAM  KHA  KAR  TODNE  WALE  PAR  HUKM ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ AllaH Ta'ala ki Qasam kha kar Ye kaha ke falañ kaam aainda nahi karu lekin fir jane anjane me vo kaam kar deta he to us par shariyat ka kya hukm he..❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Qasam Ki kai kisme he jisme se ek qism he MunAqida Kisi ne aainda ke liye qasam khai maslan khuda ki kasam me yah kaam karuga ya na karuga to usko MunAqida kahte he MunAqida Me Agar Qasam todega kaffara dena padega or baaz soorto me gunahgaar bhi hoga

⚘ ⌬ ➤ AllaH Ta'ala Qurane Majeed Me Irshad Farmata he

إِنَّ الَّذِينَ يَشْتَرُونَ بِعَهْدِ اللَّهِ وَأَيْمَانِهِمْ ثَمَنًا قَلِيلًا أُولَٰئِكَ لَا خَلَاقَ لَهُمْ فِي الْآخِرَةِ وَلَا يُكَلِّمُهُمُ اللَّهُ وَلَا يَنظُرُ إِلَيْهِمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَلَا يُزَكِّيهِمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ

*⚘ Tarjama ⌬ ➤* Jo Log Allah ke Ahad or apni qasmo ke badle zaleel daam lete he aakhirat me unka kuchh hissa nahi or allah na unse baat kare na unki taraf nazar farmae qayamat ke din or na unhe paak kare, or unke liye dardnaak azab he

*📬 SuraH Aale Imran, Aayat-77 📔*

⚘ ⌬ ➤ Qasam ka kaffara gulam aazad karna ya 10 miskeeno ko khana khilana ya un ko kapde pahnana he yaani ye ahtiyat he ki in tin baato me se jo chahe kare

⚘ ⌬ ➤ Ya ye bhi kar sakta he ki 10 aadmio ko 2 waqt ka khana khilae ya 2.25(sava doso) aante ki keemat 10 fakeero me taksim kare Misal ke taur par agar 2.25 (sava doso) aante ki kimat 25 rupye banti(misal ke taur par) he to 25-25 rupye 10 faqeero ko jo zakat khairat ke mustahiq he unhe dede

*📬 Bahare Shariyat, Hisaa-9, Safah- 14,15 📚*

⚘ ⌬ ➤ Zyada Tafsil Ke liye Bahare Shariyat Hissa 9 kasam ka bayan me dekhe

⚘ ⌬ ➤ Soorate Mas'oola me agar kisi ne kasam khahi ke falañ kaam aainda na karuga to us par us qasam ko pura karna lazim hoga ba-sharte ki vo kisi najaiz kaam ki qasam na ho Agar vo shakhs qasam ko torh de to us par kaffara lazim hoga Kaffara jo upper bayan kiya gaya...✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  80

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ HALATE NAMAZ ME MOBILE KI RING BAJE TO KYA KARE. ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Halate Namaz Me mobile ki Ring baje to kya karna chahiye..❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Huzur TajushShariyah Alaihir Rahma farmate he Halate namaz me agar mobile ki ring baje to use ek hath se band kar sakta he jab ke amale kaseer ki hajat na ho, Or agar amale kaseer ki hajat ho to namaz fasid ho jaegi us soorat me us ko chhod de

⚘ ⌬ ➤ Agar kabhi bhul se phone band na karne ki wajah se namaz ke dauran ring bajne lage to use ehtiyat se bandh karne ki koshis kijiye, jeb me hath daal kar ma'amooli harkat se use band kiya ja sakta he kyu ke daurane namaz khafeef harkat se namaz fasid nahi hoti yaani phone band karne ke liye itni zyadah harkat na kare ki jis se dusra dekhne wala ye samje ki aap namaz nahi padh rahe, taham aysa bhi na kijiye ke agar namaz me ghanti baje,jeb se phone nikala,call karne wale ka naam ya number dekha fir itminan se band kar diya, or andaz ye apnaya ki dekhne wala samje ki hazrat namaz me nahi to ye amale kaseer he jo namaz ko fasid kar deta he Ba'az dafa gaano ki mausiqi sari masjid me gunjti rahti he use use bandh karna mumkin he uske bawajood nahi karte kyu ke hame ilm nahi ki ayse waqt kya karna chahiye,wahi baat ke darte he ki kahi namaz na toot jae

⚘ ⌬ ➤ Hukme Sharai yahi he ki amale qaleel se mobile bandh kar diya jae ki is se namaz nahi tootti lihaza ek hath jeb me daal kar mobile ko bandh karna, or agar na ho to jeb se nikal kar batan dekh kar bandh karne se bhi namaz nahi tootegi ki ye sab amale qaleel ki soorate he,

⚘ ⌬ ➤ Amale kaseer w qaleel ki ta'areef bayan karte hue Allama shami rahematullah alaihi likhte he "door se dekhne wale ko uske namaz me na ho ne ka shak na ho to amale kaseer he or agar door se dekhne wale ko shak ho ki namaz me he ya nahi to amale qaleel he

*📬 Raddul Muhtar, Jild-1, Safah-625 📘*

⚘ ⌬ ➤ Agar ek hi rukn me teen martaba amale qaleel se mobile bandh kiya to namaz fasid ho jaegi ki teen martaba hath ki harkat amale kaseer he. Ba'az log hatta ki imam sahban tak ko ye kahte hue suna he ki mobile phone bandh karle ya vibration par lagade halaki ye durust nahi ki is me agarche masjid ki be adbi or dusro ki namaz ka yaqeeni taur par tahaffuz he lekin apne khushu'a w khuzu'a ka tahaffuz nahi he ki jab phone aaega to vibration ki soorat me yaqeeni taur par tawajje bategi Is liye mobile ko pahle se hi bandh kar de

⚘ ⌬ ➤ Namaz Shuru'a karke use todna nasse qat'ai qura'an najaiz he Allah ta'ala irshad farmata he

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَلَا تُبْطِلُوا أَعْمَالَكُمْ
*⚘Tarjuma ⌬ ➤* Ay iman walo Allah or us kw rasool ki ita'at karo or aone aa'mal ko batil na karo

*📬 SURAH MUHAMMAD, SOORAT NO-47, AAYAT No-33)*

⚘ ⌬ ➤ Iske bawajood hukm sharai ye he ki agar mobile ki tone aysi he ki jis ki wajah se vo khud or dusre namazi tashwees me padh gae he or us ki or dusre namaziyo ki namaz me khalal waqe'a ho raha he to is soorat me agar amale qaleel se band kar sakta he to fauran band karde or agar amale qaleel se band nahi ho sakta to namaz tod de, tone band kare, fir namaz nae sare se shuru'a kare jaisa ki fuqha ne pakhana wagairah ki shiddat ki wajah se namaz tod ne ka hukm diya he or us ki illat khushu'a w khuzu'a ka khatm hona batai he

⚘ ⌬ ➤ Allam Alauddin haskafi alaihir rahma farmate he " peshab w pakhana or reeh ki hajate shadeeda ke waqt namaz makroohe tahrimi he(waqt me wus'at he to tod kar farig ho kar dobara padhna farz he)...✍

*📬 DURRE MUKHTAR, Jild-1, Safah-641📔*

*📬 MOBILE PHONE SHARIYAT KE AAINE ME, SafaH-140,141,142)*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  81

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝  NAFIL NAMAZ KI JAGAH KAZA NAMAZ PADHNA KESA ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Namaz me nafil ke jagah kaza e umri padhna kesa hai..❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Agar kisi ke zimme farz baki ho to nafil ki jagah farz namaz ki qaza hi ada karni chahiye. Kyu ki jab tak uske zimme farz baki rahega uski nafl namaz qubool na hogi

⚘ ⌬ ➤ Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid E Din O Millat, Ashshah ji bulakr farmaya "Aye Umar ! (Radiallahu ta'ala Anhu) Allah Azzwajalla ke kuch kaam din me hain ki unhe raat me kro to qabool na farmayega aor kuch kaam raat me hain ki unhe din me kro to maqbool na hongen aor *khbardar raho ki koi nafl qabool nhi hota jb tk farz ada na kr liya jaye*

*📬 Hilytul Awliya, Volume 1/71, Hadees 83 📕*

 ⚘ ⌬ ➤ Aalahazrat Rahmatullahi Alayhi farmate hain *Jb tk farz zimma pr baqi rahta hai koi nafl qabool nhi kiya jata*

*📬 Almalfooz, jild 1/ Safa- 70 📘*

*⚘ ⌬ ➤ Sadrushshriyah Badruttariqah Hazrate Allamah Maulana Mufti Amjad Ali Aazmi Rahmatullahi Alayhi farmate hain* "Qaza Namaaze nawafil se ahm hain yani jis wqt nafl padhta hai unhen chodkr unke badle qazayen padhe ki bariuzzima ho jaye albatta taraweeh aor 12 rakaten (fajr ki 2 sunnate, zohar ki 6 sunnaten, maghrib ki 2 sunnaten, isha ki 2 sunnaten) sunnate muakkida na chode.

*📬 Bahare Shariyat, Volume 1, Part 4/706 📘*

⚘ ⌬ ➤ Khaleele Millat Hazrate Allamah Maulana Mufti Muhammad Khaleel Khan Quadiri Barakati Rahmatullahi Alayhi isi ke tahat farmate hain "Aor lao lagaye rakhe ki *Maula Azzawajalla* apne karam e khaas se qaza Namaazon ke zimn me un nawafil ka sawaab bhi apne khazaine ghaib se ata farmade, jin ke awqat me yh qaza Namaazen padhi gyeen

*📬 Suuni Bahishti Zewar, Page 240 📚*

⚘ ⌬ ➤ Baherhaal jis ki farz namaz baki ho vo nafil ki jagah farz namaz ki qaza hi padhe, Ki jab tak farz pura na hoga nafl qubool na hogi...✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  82

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝ HADISH KO DHAKKA DO KAHNE WALE PAR HUKM KYA HE ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ kisi ne ya kaha ki hadees ko dhakka do to us par kya huqm h kya usne kufr kiya..❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Agar Hadish Shareef Ko Halka Samajte hue kaha to kufr he warna haram to zaroor he

⚘ ⌬ ➤ Isi Tarah ke ek sawal me Huzur Shareh Bukhari Alahir Rahma Taherir Farmate He

⚘ ⌬ ➤  Ye kahna ki Hadish Ko goli mariye, ye hadish ki tauheen bhi he or hadish ka inkar bhi he Hadish ki tauheen or uska inkar kufr he, zaid is qaul ki wajah se islam se kharij kafiro murtad ho gaya, us par farz he ki is khabees jumla se taubah kare tajdeede iman kare or agar biwi wala he or us biwi ko rakhna chahta he to tajdeede inkah bhi kare...✍

*📬 FaTawa SuRaH Bukhari, Jild-2, SafsH-311 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  83

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  NAMAZ ME MAKHRAJ KI GALTI صمد KO سمد PADHNE SE NAMAZ KA HUKM ❞
••──────────────────────••►

           ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Namaz me Surah Ikhlas me Samad ص مد ki jagah Ye ( سمد) parh diya To namaz ho gayi ya mana badal gaya..❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Agar kisi ne Namaz me Samad(صمد) ki jagah samad(سمد) seen(س) se padh liya to namaz fasid ho jaegi ki samad(صمد) ka ma'ana hota he be niyaz or samad(سمد) seen(س) se padha jiska ma'ana hota he baal ko tarashna, lihaza ma'ane me tabdili ho jaegi jisse namaz fasid ho jaegi Aysi namaz ka nae sare se padhna lazim

⚘ ⌬ ➤ Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahma taherir farmate he, Agar swad(ص) mutahrrik he jaise As-Samad(الصمد) to ab use seen (س) padhna jaiz nahi, agar kisi ne seen (س) padha to us ki namaz fasid ho jaegi

*📘 حلیۃ المحلی شرح منیۃ المصلی 📬*
*📬 Fatawa Razviya Shareef, Jild-6, Safah-429 📕*

⚘ ⌬ ➤ Huzur SadrushShariah alaihir rahma farmate he, Galtiya ba'az aysi he jin se namaz fasid ho jati he or ba'az se fasid nahi hoti, jo galti aysi ho ki us se ma'ana fasid ho jae us se namaz fasid hogi, warna nahi, ek harf ki jagah dusra harf padhne se aksar ma'ane fasid ho jate he or namaz jati rahti he...✍

*📬 Fatawa Amjadiya, Jild-1, Safah-139 📒*
*📬 BAHARE SHARIYAT Hissa-3, Safah-124 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  84

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  KHANE PINE SE WUZU NAHI TOOTTA ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ wazu karne ke bad khana khana kaisa hai Kya isse waju tut jata hai..❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Wuzu Karne Ke Baad Kha sakte he,Kuchh Khane se ya kuchh pine se wuzu nahi tootta Hañ agar kuchh khaya or wuzu tha to namaz ka waqt ho gaya, namaz padhne ke liye jane se pahle kulli kar lena bahetar he Lekin Agar Na bhi kare to us wuzu se namaz ho jaegi...✍

*📬 Bahare Shariyat, Hissa-2, Wuzu Todne Wali Chizo Ka Bayan 📒*
   *📬 QANOONE  SHARIYAT 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  85

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝ KYA SUBAH KE KHWAB SACH HOTE HE HADISH ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ mene kuchh logo se suna hai ki subah Me Jo Khwab dekhe jate h Vo such hote he  kya khwab ke sach hone me koi waqt muqarrar he....❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Subah Ke aksar khwab sahih w sach hote he or uske tabeer ya hone me der nahi lagti lekin esa yakeen nahi rakhna chahiye ki jo khwab dekha he vo ho kar hi rahega

⚘ ⌬ ➤ Hazrat Allama Faiz Ahemad Owaisi Alaihir Rahma Taherir Farmate he RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya ki khwab subah ka sahih tar he or subah ka khwab Allah ta'ala ke noor se he

*📬 Khwabo Ki Ta'abeer, SafaH-11 📒*

⚘ ⌬ ➤ Aage Allama Faiz Ahemad Owaisi Alaihir Rahma Taherir Farmate he, Kabhi twarikhe qamri ka bhi asar hota he, ke konsi tarikh ke khwab ka nateeja der se aata he, konsi tarikh ke khwab sachhe or konse sachhe nahi hote wagairah__Tafsil ke liye_KHWABO KI TA'ABEER, SafaH-14_par dekhe

⚘ ⌬ ➤ Sham'a Sabistane Raza me he ki, Nek or swaleh log pichhli shab(Subah ke khwab) me dekhe vo khwab aksar sahih w sachche hote he

⚘ ⌬ ➤ Sabse pahle to ye zehan me rakhna chahiye ki khwab zanni cheez he, or ispe awamunnas ko kaamil bharosa nahi rakhna chahiye ki hamne ye khwab dekha he waqai hokar hi rahega, iske silsile me aulma e kiram ne mana farmaya ki khwab ke zariye qatai ilm rakhna haram he, yaani khwab jo he vo ho kar hi rahe, aesa nahi

⚘ ⌬ ➤ HaaN jo cheez khwab me dikhai jati he basa-awqat vo cheez ho jati he, to buzurgane deen se ye cheez riwayato se aai he ke khwab ke hisse ke 3 ajza kiye gaye he yaani raat ke awwali hisse ya raat ke darmiyani hisse ke tihai hisse me Buzurgane deen farmate he ki raat ke awwali hisse me jo khwab dekhi jati he basa-awqat uski tabeer ya uske hone me bahut zyada waqt lag jag jata he, yaani koi shakhs agar raat ke awwali hisse me khwab dekha to fauran vo cheez nahi hoti, kabhi saalo lag jate he, ese hi agar kisi ne raat ke darmiyani hisse me koi khwab dekha to uske hone me kuchh waqt lagta he, lekin buzurgane deen ne farmaya ki raat ke tihai hisse me yaani tahajjud ke waqt ya fajar ke waqt dekhi jati he basa-awqat esa hota he ki vo cheez jaldi ho jati he ye to buzurgane deen ke aqwal he lekin fir bhi kamil yakeen se jo log kahte he ki  subah ke khwab sachche hi hote he ye baat durust nahi he, Haan kisi cheez ke hone ya na hone me un cheezo me kabhi waqt lag jata he kabhi nahi lagta to aysa yakeen nahi rakhna chahiye ki jo ham khwab fazar ke waqt dekhte he vo sachcha hi he

⚘ ⌬ ➤ Hasile kalam Yahi he ki Subah ke khwab aksar sahih w sach hote or uski tabeer bhi jald hoti he lekin Khwab par esa kaamil yakeen rakhna ki ye ho kar hi rahega Isse aulma e kiram ne mana farmaya, or ye islam ka Nazarya nahi he ye allah ta'ala ki qudrat me he jab chahe jo chahe vo kare..✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  86

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ LOUDSPEAKER PAR NAMAZ KA HUKM ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Loud Speaker Par Namaz Padhna Kaisa Kuch Ulma Farmate Hain Namaz Hojaigi Aur Kuch Ulma Farmate Hain Namaz Nahi Hogi
Aur Ab To Aisa Hogaya Hai Har Masjid Me Mick ke Bagair Namaz Nahi Padhai Jati Aur kuch Masjidon Me To Namaz Padhane Wale Imam Sahab Par Masjid Committee Ka Dabao Bhi Hota Hai To Kya Is Surat Me Mick Par Namaz Padhai Jae To Kya Us Imam ke Piche Namaz Padh Saktey Hain....❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Namaz me Loudspeaker ki aawaz par ruku'a w sujud karne se namaz fasid ho jati he chahe vo farz w wajib namaz ho ya sunnat tarawih Har namaz ka hukm ek he tafsil ke liye fatawa faizur rasool jild awwal mulaheza ho Agar kahi loudspeaker par namaz padhane wali ki iqteda ke bagair chara e kaar na ho to ayse imam ke karib pahli saf me namaz padhe or loudspeaker ki bajae imam ki aawaz par ruku'a w sujud kare

*📬 Fatawa Faqihe Millat, Jild-1, Safah-165 📚*

⚘ ⌬ ➤ Tafail k liye fatawa Faizur Rasool w fatawa faqihe Millat w qaulul Azhar fi iqteda e loudspeaker, w deegar qutub mulaheza farmae

⚘ ⌬ ➤ Agar imam ki asl aawaz na aati ho ya pahli saf me jagah na mile to Apne aage ki saf walo ko dekh kar namaz padhe Namaz ho jaegi or loudspeaker ki iqtedaa par namaz fasid ho jaegi...✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  87

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝  HINDUO  KE  MELO  ME  KAROBAR  KARNA  KESA ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Janmastmi ya kisi bhi Hinduo ke melo me karobar ke liye jana kesa..❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Hinduo ke gair mazhabi mele jisme kahi bhi shirkiya pooja paat wgairah nahi hoti balki sirf lahv la'aub or sero tafreeh ke saman hote he vaha agar kisi gair sharai kaam ka irteqab na karna pade to koi harj nahi, lekin isse bhi bachna bahetar he

⚘ ⌬ ➤ Janmastmi mazhabi mela he or mazhabi melo me jana jaiz nahi

⚘ ⌬ ➤ Huzur Shareh Bukhari Allama Shariful Haqq Amjadi Alahir Rahma taherir farmate he

⚘ ⌬ ➤ Janmastmi ya gair muslimo ke kisi mazhabi mele me jana jaiz nahi, kharido farokht karna,apne karobar ka propaganda karna najaiz he, karne wale gunah gaar hain..✍

*📬 Fatawa Shareh Bukhari, Jild-2, SafaH-538 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  88

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
    ❝ FASIQ  IMAM  KE  PICHHE  JUMUAH  PADHNA  KESA ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ JumuaH Ki Namaz Ba,Jamat Aada Karna Hai Par Us Masjid ka Imam Dadhi Ek Musht Se Kam Rakhta Hai Aur us jagah Koi Dusri Sunni Masjid Na Ho To kya Hum is Surat me Us Fasik Imam Ke Piche Namaz E JumuaH padh Saktey Hain..❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Pahli baat fasiq ko imam banana jaiz nahi Fasiq ke pichhe padhi hui namaz makroohe taherimi wajibul ae'aada he Agar ham aesi jagah gaye jaha koi jumuaH ki namaz ke liye kahi dusri sunni masjid nahi ya koi ba-shara'a imam na mile to us waqt ham mazoor hebUs waqt jumuaH ki namaz us imame fasiq ke pichhe padh sakte he Or Panj waqta namaz ba-shara'a imam ke pichhe padhege

⚘ ⌬ ➤ Jaisa ki Huzur Sadrushshariyah AlaihirRahma taherir farmate he,

⚘ ⌬ ➤ Fasiq ki iqteda na ki jaae magar sirf jumuaH me ke is me majboori he, baki namazo me dusri masjid ko chala jaae or or jumuaH agar shahar me chand jagah hota ho to usme bhi iqteda na ki jaae, dusri masjid me jaa kar padhe...✍

*📬 GUNAYTUT TALIBIN, RADDUL MUHTAR, FATHUL QADEER 📔*

*📬 BaHare Shariyat, H-3, Baab- Imamat Ja Zyada Haqqdar Kon, Safa-569; Nashir:- Maqtabul Madina 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  89

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ KYA JO AALA HAZRAT KO PAHECHANTE HI NAHI VO SUNNI NAHI ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Duniya me kuch jagah ke log aise hai Jo aala hazrat rahmatullah Alaihir rahma ko nahi pechantey To kya vo sunni nahi..❓

⚘⌬ ➤ Kuch log ye kehte hain ke jo aalahazrat ko nahi pehchana WO Sunni nahi aiso par kya hukm hai Jo bagair ilm ke  fatwe dete hain..❓

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Hazrat saiyeduna imame aazam abu hanifa radiallahu anhu se puchha gaya ki ahle sunnat ki alamat kya he farmaya " Hazrate siddiqe akbar or hazrate farooke aazam ko tamam sahaba se afzal manna or hazrate usman gani or hazrat ali se muhabbat karna or mauzo par masah karna. Wajah hui ke khwarij hazrat ali par sahbbo sitam karte the or rawafiz khulfa e salasa par, or mauzo ke masah ko najaiz kahte the is liye us daur me mazkura bala chize ahele sunnat ki alamat karar paai maazi karib me kalma padhte hue wahabiyo deobandio ne allah azwajal or rasoolullah sallallahu alaihi w sallam ki gustakhi ki, nechariyo ne zarooryate din ka inkar kiya, qadyanio ne nabuwat ka dawa kiya, chaklarwiyo ne  ahadis ka radd kiya, wagairah wagairah To mujddide aazam aala hazrat imam ahemad raza alaihir rahma ne un sab ka shaddo mad ke sath radd kiya or tamam aulma e ahele sunnat ne aala hazrat ko apna imam w peshva mana, unki tasanif or fatawa se ittefaq kiya is liye aala hazrat ki zaat is daur me haqq w batil ke darmiyan imtiyaz ban gai ke makka muazzama ke shaikhul muhaddisin allama muhammad jazairi ne farmaya jab hindustan se koi shakhs aata he to ham usse shaikh ahemad raza khan ke bare me puchhte he agar vo unki tarif karta he to ham jante he ki ye sunni he or agar vo unki burai bayan karta he to ham jaan lete he ki ye badmazhab he, hamare paas yahi kasoti he Chunke hindustan ke tamam aulma e ahele sunnat aala hazrat ke sath muttafiq he is liye maslake aala hazrat ka matlab huaa hindustan ke tamam ahele sunnat ka maslak isi wajah se maslake aala hazrat sunniyat ka me'ayar he

*📬 Fatawa Shareh Bukhari, Jild-3,SafaH-385 📘*

*⚘ ⌬ ➤ Beshaq Aala hazrat sunniyat ki alamat he, or jo log door darash me rehte he ya dehato me ya kai esi jagah he jaha aap ko kuchh log jante nahi ya aap ke bare me kuchh ilm hi nahi lekin unka aqida ahele sunnat ke mutabik he to beshak vo sunni he or jo log unhe sunni nahi mante vo galat he*

⚘ ⌬ ➤ Hadishe paak me farmaya gaya

إِنَّ اللَّهَ لَا يَقْبِضُ الْعِلْمَ انْتِزَاعًا يَنْتَزِعُهُ مِنَ الْعِبَادِ وَلَكِنْ يَقْبِضُ الْعِلْمَ بِقَبْضِ الْعُلَمَاءِ حَتَّى إِذَا لَمْ يُبْقِ عَالِمًا اتَّخَذَ النَّاسُ رُءُوسًا جُهَّالًا فَسُئِلُوا فَأَفْتَوْا بِغَيْرِ عِلْمٍ فضلوا وأضلوا

⚘ ⌬ ➤ Yaani Allah ilm khinch kar uthaega k bando se khinch le balki AULMA ki wafat se ilm uthae ga Hatta k jab koi aalim na rahega log jahilo ko peshwa bana lege jin se masail puchhe jaaege vo bagair ilm fatawa dege gumrah hoge gumrah karege

⚘ ⌬ ➤ Is hadish ki sharah me mufti ahemad yaar khan sahab alaihir rahma farmate he Matlab ye he ki diini aohde jahil sambhal lege or apni jahalat ka izhar na-pasand karege Mas'ala puchhne par ye na kahege ke hame khabar nahi balki bagair ilm ghar kar galat mas'ale bataege is ka anjam zahir be Be ilm tabeeb mareez ki jaan leta he or jahil mufti or khatib iman barbad karte he...✍

*📬 Mir'aatul Minajih Sharah Mishqatul Masabih, Jild-1, SafaH-185 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  90

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
            ❝YE NAAM NA RAKHE’N  ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Bachcho’n Ke Ye Naam Na Rakhe’n Kuch Log Apne Bachcho’n Ke Naam Rakhne Me Ehteyat Nahi Karte Aur Ayse Naam Rakh Lete Hain Ya To Wo Naam Rakhna Haraam Hota Hai Ya NaJaiz,

⚘⌬ ➤ Jaisa Ke Baaz Hazraat Apne Bachcho’n Ke Ye Naam Rakhte Hain

             *📃 1 ➧ Nabi Ahmad*

             *📃 2 ➧ Ahmad Nabi*

            *📃 3 ➧ Nabi Ahmad ﷺ*

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Halanke Ye Naam Sirf Huzur ﷺ Par Hi Sadiq Aate Hain Aur Unhi Ko Zeba Hai Dusre Ko Ye Naam Rakhna Haraam Hai

⚘ ⌬ ➤ Sarkar Aala Hazrat  Se Isi Tarah Ke Suwalat Kiye Gaye To Aapne Irshad Farmaya Ke Muhammad Nabi, Nabi Ahmad, Ahmad ﷺ Par BeShumar Durude’n Ye Alfaz e Karima Huzur ﷺ Par Sadiq Aate Hain Unhi Ko Zeba Hain, Dusre Ke Liye Ye Naam Rakhna Haraam Hai

⚘ ⌬ ➤ Isi Tarah Gafuruddin (GafoorudDeen)  Naam Rakhna Bhi Sakht Bura Hai

⚘ ⌬ ➤ kyun Ki Gafoor Ke Maana Mitane Wala, Chhupane Wala Hai
Allah ﷻ GafuruzZunoob Hai Yani Apni Rehmat Se Apne Bando’n Ke Zunoob (Gunah) Mita’ta Hai Uyub (Ayeb) Chhupata Hai

⚘ ⌬ ➤ To GafoorudDeen Ke Maana Hue Deen Ka Mitane Wala Isi Liye Aala Hazrat Imam Ahmad Raza  Ne Is Tarah Ke Naam Rakhne Ko Sakht Mana Farmaya Hai

⚘ ⌬ ➤ Bachcho’n Ke Naam Kisi Aalim e Deen Se Puchh Kar Rakhna Chahiye...✍

*📬 Ahkame Shariyat, Hissa 1, SafaH 430 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  91

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  CHURAYA  HUA  MOBILE  KHARIDNA  AUR  BECHNA  KAISA  HAI ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Aaj KaL Hmare Kuch Naadan Bhai jo paise ke fayde ke liye chori Ka Mobile Kharidte or Bhejte hai Aaiye Aaj is Nadani ke Bare me Shariyat ka hukm e Farman maloom krle or amL me LaYe

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Mobile Ke Zyada Istemal Ne Mobile Choro’n Ki Tadad Bhi Badha Di Hai, Agar Kharidar Ko Maloom Ho Jaye Ke Ye Mobile Churaya Hua Hai To Use Hargiz Na Kharide Kyun Ke Chori Ka Maal Janbujh Kar Kharidna Haraam Hai,

⚘ ⌬ ➤ Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Muhaddis e Barelvi ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻲ ﻋﻨﻪ Farmate Hain Chori Ka Maal Danista (Janbujh Kar)  Kharidna Haraam Hai, Balke Agar Maloom Na Ho Maznoon (Jisme Shak) Ho Jab Bhi Haraam Hai

*📬 Fatawa Razviya, Jild 7, Safa 38 📘*

⚘ ⌬ ➤ Aaj Kal Mobile Chor Aur Bahut Se Mobile Dukandar Ke Darmiyan Pehle Se SathGanth Rehti Hai,  Chor Mobile Chura Kar Dukandar Ko Deta Hai Aur Dukandar Use Bech Deta Hai,  Muslim Dukandar Ko Mobile Chor Se Mobile Kharid Kar Apni Dukan Me Hargiz Nahi Bechna Chahiye Aur Jis Dukandar Ke Bare Me Tehqiq Se Maloom Ho Jaye Ke Wo Chori Ka Mobile Bechta Hai Ayse Dukandar Se Churaya Hua Mobile Kharidna Jaiz Nahi

⚘ ⌬ ➤ Huzur SadarushShariah Allama Amjad Ali Aazmi  ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻲ ﻋﻨﻪ Farmate Hai Agar Bae (Bechne Wala) Aysa Shakhs Hai Ke Halaal o Haraam Yani Chori o Gasab Sab Hi Tarah Ki Chize’n Bechta Hai To Ehteyat Hai Ke Daryaft (Maloom) Karle, Halaal Ho To Kharide, Warna Kharidna Jaiz Nahi

*📬 Bahar e Shariat, Jild 2, Hissa 11, Safa 719 📔*

⚘ ⌬ ➤ Chori Ka Mobile Ya Koi Aur Samaan Jis Tarah Kharidna Haraam Hai, Usi Tarah Usko Bechna, Bikwana Ya Bechne Ka Karobar Karna Bhi Haraam Hai...✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  92

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ QISTO’N PAR MOBILE BECHNE AUR KHARIDNE KA HUKM  ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Dusre Samano’n Ki Tarah Qisto’n Par Mobile Bechna Aur Kharidna Bhi Jaiz Hai

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Dusre Samano’n Ki Tarah Qisto’n Par Mobile Bechna Aur Kharidna Bhi Jaiz Hai

⚘ ⌬ ➤ Iski Surat Ye Hai Ke Bechne Wala Mobile Ki Qimat Bata De, Phir Tamam Qiste’n Aur Qisto’n Ki Adaygi (Dene) Ki Puri Meaad (Waqt) Maslan Mahana Ya Salana Wagairah Muqarrar Karde, Aur Kharidari Ke Waqt Se Lekar Tamam Qisto’n Ki Adaygi Ki Puri Muddat (Waqt) Bhi Bata De, Kharidar Tamam Qiste’n Unke Muqarrarah Waqto’n Par Muddat Ke Andar Ada Karde

⚘ ⌬ ➤ Is Tarah Mobile Ki Bae (Kharid o Farokht)  Durust Ho Jayegi Aur Koi Niza’a (Jhagda/Fasaad) Bhi Na Hoga

⚘ ⌬ ➤ Qiste’n Muqarrar Karna DarHaqiqat Qimat Ki Adaygi Ka Waqt Muqarrar Karna Hai, Aur Ye Durust Hai

*KanzudDaqaiq Me Hai*

صَحَّ تَأجِیْلُ کُلِّ دَیْنٍ غَیْرَالْقَرْضِ

*Tarjuma* Qarz Ke Siwa Har Daen Ka Waqt Muqarrar Karna Durust Hai...✍

    *📬 KanzudDaqaiq, SafaH 225 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  93

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
    ❝  KYA AQIQE KA GOSHT DADA DADI NAHI KHA SAKTE ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Logo Me Ye Baat Bhi Mash’hoor Hai Ke Aqiqe Ka Gosht Dada. Dadi. Nana. Nanai Ke Liye Khana Jaiz Nahi

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Ye Sab Badi Jehalat Aur BeBunyad Baate’n Hain

⚘ ⌬ ➤ Sahi Mas’ala Ye Hai Ke  Aqiqe Ka Gosh Dada. Dadi. Nana. Nani Ke Liye Khana Bila Shubah Jaiz Hai

⚘ ⌬ ➤ Aala Hazrat Imame Ahle Sunnat Mujaddid e Aazam ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻲ ﻋﻨﻪ Se Puchha Gaya To Aapne Irshad Faramaya Ke Sab Kha Dakte Hain...✍

  *📬 Al Malfuz ShariF Hissa 1 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  94

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
      ❝ KALI OR LAAL MAHENDI MIX KAR KE LAGANA JAIZ ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Agar Lal aur Kali mehndi Lagay jis se Bal Kale na dikh kar dark  marhun dikh te ho to kya is hal me namaz durust ho gi ya makroohe taherimi hogi

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Aala Hazrat Alahir Rahma Farmate he, hadish shareef me mutlaq Siyah rang kare Khwa neel ya mahedi ka mel, ya koi tel garz ke kuchh bhi ho sab najaizo haram he

*📬 Fatawa Razviya Jild-9,Nisf AwwaL,SafaH-32 📚*

Hadish shareef me balo ko kala karne ki mumane'at he Agar 2 colour mix karne se mahendi ka rang siyah(black) nahi hota to jaiz he..✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  95

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
    ❝  SHAFAI IMAM KE PICHHE HANFI KI NAMAZ KA HUKM ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Zaid Jis Jaga Kaam Karta Hai Us Kaam Ke Kharib Me Ek Masjid Hai Par Us Masjid Ka Jo Imam Hai Wo Shafai Mazhab Ka Manne Wala Hai

📃🕳 Aur Us Imam Ka Aqeeda Bhi Durust Hai

📃🕳 Lekin Zaid Hanafi Mazhab Ka Manne Wala Hai

📃🕳 To Kya Zaid Shafai Mazhab Ke Imam Ke Piche Namaz padh Sakta Hai

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Taherir Farmate he

⚘ ⌬ ➤ Hanfi us waqt dusre mazhab wale ki iqteda kar sakta he jaha uski iqteda jaiz ho lekin agar imam ayse kisi amr ka murtakib ho jo hamare mazhab me naqize wuzu ya mufside namaz ho jaise maa'e must'amal se taharat ya chhaothai sar se kam ka masah ya khon e fasad w reem(peep), Zakhm w qay(wamet) wagairah nejasat e gair sabilaen par wuzu na karna ya qadre dirham se zaaid mani aalood kapde se namaz padhna ya sahibe tarteeb ho kar faut shuda namazo ke yaad hone or waqt me wus'at ke ba-wajood  namaz waqti shuru'a kar dena ya koi farz ek baar padh kar fir usi namaz me imam ho jana to aysi halat me hanfi ko sare  se uski iqteda jaiz nahi or us ke pichhe namaz mahaz batil he

*📬 Fatawa Faqihe Millat, Jild-1, Safah-145 📚*

⚘ ⌬ ➤ lihaza agar zaid ko ma’loom hai keh shaf’ee imam mazhab e hanfi ke sharaait o faraaiz ki ri’aayat taharat o namaz men karta hai to uske peechhe namaz padhe  aur agar ma’loom ho keh ri’aayat nahin karta hai to iqteda na kare aur agar iqtida karli hai to phir se padhe aur agar yaqeen hai keh ri’aayat nahin kiya maslan dekh liya hai keh mazhab e hanfi men jo chizen farz hain un men se koi farz ada nahin kiya maslan chuthai sar ka masah nahin kiya sirf kuchh baal bhiga liya to aisi soorat men uske peechhe hanfi ki namaz nahin hogi Aisi namazon ko phir se padhna zaid par farz hai

⚘ ⌬ ➤ Isi tarah Usko is tarah samajhen misal ke taur par ek hauz ya talab se wuzu karna hai ab hanafi mazahab ke manane wale ke liye zaruri hai wah hauz ya talab dah dar dah ya us se bada ho tabhi uska wuzu hoga agar dah dar dah se chota hai to wuzu nahi hoga lekin shafai mazahab ke manane wale ke liye dah dar dah hona zaruri nahi us se chote hauz ya talab ke pani se us ka wuzu hojayega ab agar shafai imam us chote hauz ya talab se wuzu kar ke namaz padhaye to hanafi muktadi ki namaz nahi hogi isi tarah aur bhi jo masail hain un me agar imam masaile hanafi ki riayat karega to namaz hogi agar masaile hanafi ki riayat nahi karega to namaz nahi hogi

⚘ ⌬ ➤ Hanfi ko hanfi imam ki iqtida karni chahiye keh ye afzal hai...✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  96

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
    ❝  IMAM KI GAIR MAUJUDGI ME FASIQ MUAZZIN KI IQTEDA KARNA ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Imam Saab Ki Gair Maujoodgi Me
Jo Masjid Ke Mauzan Hotey Hain Wo Namaz Padhatey Hain

📃➤ Par Wo Dadhi Ek Musht Se Kam Rakhte Hain

📃➤ Lekin Ab Wo Dadhi Ek Musht Rakhne Ka Irada Kare Hain Magar Filhal To Unki Dadhi Ek Musht Se Kam Hai To Kya Is Surat Me Us Mauzan ke Piche Namaz Hogi

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Soorate Mas'oola me jab tak unki dadhi ek musht na ho jae us waqt tak vo namaz padhane ke ahal nahi, agar unhone namaz padhai to namaz wajibul ae'aada makroohe tahrimi hogi Esi namaz ka dobara padhna wajib Or jisne ese ko imam banaya vo sab bhi gunehgaar  tamami Hazrat taubah kare or jo namaz padhi gai vo dohraye

⚘ ⌬ ➤ Huzur Faqihe Millat Fatawa Razviya Ke Hawale Se taherir Farmate h

⚘ ⌬ ➤ Jaisa ki Aala Hazrat imam Ahemad Raza khan fazile barailvy alaihir rahma farmate he dadhi mundane wala fasiqe mu'allin he use imam banana gunah or us ke pichhe namaz makroohe tahrimi ki padhni gunah or ferni wajib

*📬 Fatawa Razviya, Jilf-3, SafaH-271 📔*
*📬 Fatawa Faqihe Millat, Jild-1, SafaH-134 📘*

⚘ ⌬ ➤ Or Fatawa AalamGiri Me he,

" الفاسق إذا تاب لا تقبل شهادته ما لم يمض عليه زمان يظهر عليه أثر التوبة

*📬 Fatawa Aalamgiri Ma'a Khaniya, Jild -3, 468 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  97

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝ HIJAMA KARANA KESA OR US KA TARIQA KYA HE ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Hijama Karna Kaisa he or kyu karte he Tafsili me BataYe

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Hijama ko hi puchhna lagwana kahte he jis me nashtar laga kar fasid khun nikal diya jata he jis se mareez ko rahat mil jati he puchhna lagvana jaiz he balki sunnat he, or isme kai sare amraz se shifa he,jaisa ki hadiso me warid he

⚘ ⌬ ➤ Sahih Muslim shareef me raafe'a bin khadeej RadiAllahu Anhu se marwi , Huzure Aqdas Sallallahu alaihi W Sallam ne farmaya kutte ka saman khabees he or zaniya ki ujrat khabees he or ouchhna lagand wale ki kamai khabees he" yaani makrooh he kyu ki us ko najasat ms aalooda hona padta he Is ko haram nahi keh sakte is liye ki khid Huzur Sallallahu alaihi W Sallam ne puchhnd lagvae or ujrat ata farmai he

*📬 Bahare Shariyat, Hissa-11, Bee'a Fasid Ka Bayan 📕*

⚘ ⌬ ➤ Hazrat Jabir RadiyAllahu anhu Huzur akram Sallallahu alaihi w sallam se riwayat karte hai, Aap Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya agar tumhari dawao me kisi dawa me shifa hai toh Hijama ke zariye cut lagane me hai, yaa shahed ke istemaal me, yaa phir aag se daagne me ,(basharteke) ye daagna oos marz ko raast aajaye, lekin mai aag se daagne ko pasand nahi karta

      *📬 Sahih al  Bukhari 5783 📔*

⚘ ⌬ ➤ Hazrat Jabir RadiyAllahu anhu ne hazrat Muqanna RadiyAllahu anhu ki iyaadat ki aur farmaya ke jab tak tum hijama na lagwalo, mai wapas nahi jaonga isliye ke maine nabi kareem Sallallahu alaihi w sallam se suna hai k Hijama lagwane me shifa hai..✍

     *📬 Sahih al Bukhari 5797 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  98

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  AALA HAZRAT SAHABI E RASOOL QAIS MALIK ABDUL RASHID KI AULAD SE ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Kya Aala hazrat ashshah imam ahemad raza khan suja'at jang muhammad saidullah khan or sahabi e raaool hazrat qais malik abdul Rashid radiAllahu Anhu ki Aulad se he

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Ji Ha, Aala Hazrat Azeemul barkat mujaddide dino millat Ashshah imam ahemad raza khan fazile barailvy alaihir rahma sahabi e rasool hazrat qais malik abdul rashid radiallahu anhu ki aulad se he

⚘ ⌬ ➤ Aala Hazrat Rahematullah Alaih ka nasabi silsila afganistan ke mash'hoor w ma'aroof qabile barh'hech se he jo afgano ke jadde amjad Qais AbdurRashid (Jin ke bare me sarkare do aalam Sallallahu alaihi w sallam  ki khidmate aaliya me hazri de kar dine islam qubool karne ki sa'aadat hasil hui) ke pote he

⚘ ⌬ ➤ Goya aap sahabi e Rasool Ki Aulad se he

*📬 SHAH IMAM AHEMAD RAZA KHAN BARH'HECH AFGANI, SAFAH-35, AZ QALAM- MUHAMMAD AKBAR AE'AWAN MATBUAA KARACHI 📘*
┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈

⚘ ⌬ ➤ Huzur Aala Hazrat ke aaba o ajdad kandhari ke muwaqqir qabila barh'hech ke pathan the

   *📬 HAYATE AALA HAZRAT 📔*
┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈

⚘ ⌬ ➤ Or Huzur TajushShariyah Alaihir Rahma ke bare me farmaya gaya ki Aap Sajra e Padri w madri se najeebul tarfain barh'hechi afgani pathan he

*📬 FATAWA TAJUSHSHARIYAH, JILD-1, SAFAH-27 📕*
┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈

⚘ ⌬ ➤ Huzur TajushShariyah Ka silsila nasab aala hazrat ko dada w nana banate hue Sahabi e Rasool Qais Malik Abdul Rashid Tak Ja pahuchta he

*📬 MAHNAMA JAHANE RAZA, SITUMBER 2018,LAHOR 📓*
┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈

⚘ ⌬ ➤ apka Nasab kuch is tarah se he.•⁀➷

📃•➤ Imam Ahemad Raza bin,
📃•➤ Maulana naqi ali bin,
📃•➤ Maulana raza ali bin,
📃•➤ Maulana kazim ali bin,
📃•➤ Maulana aazam ali bin,
📃•➤ Maulana sa'aadat ali bin

*📃•➤ Suja'at jang muhammad saidullah khan bahadur kandhari bin*,

📃•➤ Abdur rahman khan bin,
📃•➤ Yusuf khan bin,
📃•➤ Daulat khan bin,
📃•➤ Badal khan bin,
📃•➤ Bin daud khan bin,
📃•➤ Barhech khan bin,
📃•➤ Sarfuddin bin,
📃•➤ Ibrahim bin,

*📃•➤ SaHabi e RasooL, HazraT Qais Malik AbdurRashid Radiallahu anHu*

⚘ ⌬ ➤ Or hazrat Qais Malik AbdurRashid ki shadi Sahabi e rasool Saifullah Hazrat khalid bin walid ki sahabzadi ke sath hui thi..✍

   *📬 HAYATE AALA HAZRAT 📗*
┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈
*📬 TARIKHE KASHMIR, TAHEQIQ MUHAMMAD DIN FAUT 📕*
┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈
*📬 TAHQIQ IMAM AHEMAD RAZA ACEDMI DURBAN SOUTH AFRIQA 📚*
┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  99

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝  MASJID ME WAQAF KI HUI CHEEZ AWAM YA WAQIF KHUD ISTEMAL KAR SAKTA HE 
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
             ••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Kya masjid me waqaf ki hui chiz ko awam apne zati kamo me istemal kar sakti he ?

📃•➤ kya farmate he aulmae deen w muftiyane shara'a matin mas'ala zail me bhola shahid masjid jo new cloth market ke pichhe ke hisse me he ye masjid kalupoor baitul maal ke zere zere sarparasti me he vaha par ramzanul mubarak me har jumaa ke roz pani ki taklif rahti thi lihaza is masle par khuda ke ek bande ne baitul maal se ijazat le kar 1 paani ka bor khudvaya jiske sare akhrajat usne hi ada kiye maslan bor khudvai ka kharch sab marsabal pump pipe fitting lait connection wagairah kharche usne apni istita'at se khud kiye or inshaallah aage bhi akhrajat khud hi karege

📃•➤ kya vo shakhs us bor ke pani ka khud istemal kar sakta he ?

📃•➤ kya us bor ke pani ko awamun naas faida utba sakti he ?

📃•➤ kya is borke pani ko masjid me bhi istemal kar sakte he ?

📃•➤ kya waqaf masjid or awam dono ke liye istemal kiya ja sakta he ?

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Soorate mas'ula me Agar Masjid ke naam waqaf kiya he to awam ya khud waqif apne ghar ke liye istemal nahi kar sakte Kyu ki agarche paisa us shakhs ka he jisne Waqf kiya lekin ba'ade waqaf vo milkiyat uski na rahi vo allah ki milkiyat hui he

⚘ ⌬ ➤ Albatta waqif ka waqaf karte waqt irada masjid or awam ko faida pahunchana tha to awam or masjid dono istemal kar sakte he

⚘ ⌬ ➤ Huzur Faqihe Millat Fatawa Razviya ke Hawale se taherir farmate he,

⚘ ⌬ ➤ Jo cheez jis garz ke liye waqaf ki gai dusri garz ki taraf use ferna jaiz nahi, agarche vo garz bhi waqaf hi ke faida ki ho ki شرط واقف نص شارع صلی اللہ علیہ وسلم واجب الاتباع ہے۔ *📚در مختار* "کتاب الوقف فروع فصل شرط الواقف کنص الشارع فی وجوب العمل بہ"

*📬 FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-6, SAFA-455 📕*
┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈

*📬 FATAWA FAQIHE MILLAT, JILD-1, SAFAH-191 📓*

⚘ ⌬ ➤ Waqaf usi kaam me laya ja sakta he jis garz ke liye waqaf kiya gaya Dusre kaam me lana mana'a he khusoosan masjid ke is ka muaamla aamma awqat se bhi tang tar he

*📬 FATAWA RAZVIYA, JILF-3, SAFAH-732 📔*
┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈

⚘ ⌬ ➤ Huzur Mufti Aazame Hind Alaihir Rahma Taherir Farmate he, masjid ka pani is soorat me le sakte he ki nal lagane wale ki niyyat sab ko lene ki ijazat ho or agar nal lagane wale ki khas masjid hi ke liye niyyat ho ko wuzu or gusl wagairah namaz ke liye taharat hi ke kaam me liya jae to us nal ke paani ki qimat masjid ke maal se ada ki jati ho to Awam gharo ko le jana jaiz nahi...✍

*📬 FATAWA MUSTAFIYA, SAFAH-269 📚*
┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  100

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝ MOBILE SE YA RECORDING SE BACHCHE KE KAAN ME AZAN DENA KAISA ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
      ••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Bachay ki Pedaish k baad ghar ke kisi Buzurg ya kisi Aalim-e-Deen se Mobile ke Zariye usay Azan Dilwa saktay hain

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
      ••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Nahi, azan ke liye ye he ki vaha par jo shakhs swaleh deendaar nek maujud ho uske kaan me azan kahe

*📝 QAZI UL QUZZAT HUZUR TAJUSHSHARIYAH MADDAZILAHUL AALI*

⚘ ⌬ ➤  Pehli baat to ye ki recording ka hukm asli azan ka nahi hota, jis tarah agar tilawat kisi ne record karli he to asli tilawat ki tarah vo nahi he, koi achchi niyyat ke sath sunta he sawab milna ye alag baat he lekin ham ye kahe ki recorded ya live azan sunta he ya tilawat sunta he to jo asal ka sawab he uska vo nahi he. live (mobile ya internet se) ka mamla alag he or direct sunne ka mamla alag he To ye recording ke uper asal ke ahekam nahi aate to is liye ye kifayat nahi karega Bachche ke kaan me azan dena rasoollallah sallallahu alaihi w sallam ki sunnat he or ye sunnat tab ada hogi jab bachche ke kaan me vaha maujdud ho kar azan di ja sake. kaan par mobile lagane se ye sunnat ada na hogi..✍


        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  101

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ PESHAB KE CHHINTE LAG JAE TO NAMAZ KESE PADHE ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Agar paishab ke kuch halke aur barik qatre kapddo par lag jaye to namaz kaise padhe unhe dho kar namaz padh sakte hai aur kya itna dhone se paak ho jayega

⚘⌬ ➤ Usme padhi hui namaz ka qya huqm hai

⚘⌬ ➤ Aur isse jyada qatre lag jaye jo dirham se jyada ho to ab kya huqm hai rehnumayi farmaye

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Peshab Najasate Galiza me se he,

⚘ ⌬ ➤ Najasate Galiza ka hukm ye he ki agar kapde ya badan me ek dirham se zyada lag jaae to uska paak karna farz he agar be paak kiye namaz padh li to hogi hi nahi or agar jaan bujkar padhi to gunah bhi huaa or agar istikhfaf(halka samajna) ki niyat se he to kufr he Or agar dirham ke barabar he to paak karna wajib he agar be paak kiye namaz padhi to makruhe tahrimi hui yani aesi namaz ka lautana wajib he or jaan buj kar padhi to gunahgaar bhi huaa agar dirham se kam he to paak karna sunnat he ki be paak kiye namaz ho gai magar sunnat ke khilaf he or uska lautana bahetar he

⚘ ⌬ ➤ Peshab ke nihayat barik chhinte  sooi ki nok barabar ki badan ya kapde par pad jaae to kapda or badan paak rahega

⚘ ⌬ ➤ agar patli najasat jaise aadmi ka peshab or sharab to dirham se murad uski lambai chaudai he or shariyat ne uski mikdar hatheli gahrai  ke barabar batai yani hatheli khoob faila kar barabar rakhe or us par aahista se itna pani daale ki usse zyada paani na ruk sake ab paani ka jitna failav he utna bada dirham samja jaaye or uski miqdar takriban yaha ke rupees ke barabar he...✍

*📬 BAHARE SHARIYAT, HISSA-2,NAJASATO KE AHKAM 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  102

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
     ❝ MAYYAT KA KHANA KAISA ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Marhum Ke Isale Sawab Ke Liye Jo Khana Banate Hain Wo Khana Garib Ke Alawa Maldar Log Bhi Kha Sakte Hain Ya Nahi

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Maiyyat Ke Naam Par Maiyyat Walo Ki Taraf Se Aam Khas Sab Logo Ko Dawat Dekar Khilana NaJaiz Aur Buri Bid’at Hai,
Kyun Ke Shariat Ne Dawat Khushi Me Rakhi Hai Na Ke Gam Me

*📬 Fatawa Aalamgiri Jild 1 Page 168, 📔*
*📬 FathulBaari Jild 2 Page 142, 📗*
*📬 Durre Mukhtar + Raddul Mohtar Jild 2 Page 240, 📓*

⚘ ⌬ ➤ Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat Maulana Ahmad Raza RehmatullahAlaih Farmate Hain,
Murde Ka Khana Sirf Fuqra (Yani Jo Sahib e Nisab Na Ho) Ke Liye Hona Chahiye, Aam Dawat Ke Taur Par Jo Karte Hain Ye Mana Hai, Gani (Sahib e Nisab) Na Khaye’n,

*📬 Fatawa Razviya Jild 9 Page 536 📕*

⚘ ⌬ ➤ *Aur Farmate Hain* Maiyyat Ke Yaha’n Jo Log Jama Hote Hain Aur Unki Dawat Ki Jati Hai Ye Khana Har Tarah Mana Hai,

*📬 Fatawa Razviya Jild 9 Page 673 📔*

⚘ ⌬ ➤ *Aur Farmate Hain* Maiyyat Ki Dawat Biradari Ke Liye Mana Hai

*📬 Fatawa Razviya Jild 9 Page 609 📗*

⚘ ⌬ ➤ *Aur Farmate Hain* Tije. 10we. 20we. 40we. Wagairah Ka Khana Miskino Ko Diya Jaye, Biradari Me Bantna Ya Biradari Ko Ikattha Kar Ke Khilana BeMatlab Hai,

*📬 Fatawa Razviya Jild 9 Page 667 📓*

⚘ ⌬ ➤ SadarusShariAh Hazrat Allama Amjad Ali Aazmi Rehmatullah Alaih Farmate Hain

⚘ ⌬ ➤ Aam Maiyyat Ka Khana Fuqra (Jo Sahib e Nisab Na Ho’n) Ko Khilaye’n Aur Biradari Me Agar Kuch Log Jo Sahib e Nisab Na Ho’n Unko Bhi Khila Sakte Hain, Aur Apne Rishtedaro Me Agar Ayse Log Ho’n To Unko Khilana Auro’n Se Behtar Hai, Aur Jo Sahib e Nisab Ho’n Unko Na Khilaye’n Balke Ayse Logo Ko Khana Bhi Na Chahiye,

*📬 Fatawa Amjadiya Jild 1 Page 337 📕*

⚘ ⌬ ➤ Hazrat Mufti Shariful-Haq Amjadi RehmatullahAlaih Farmate Hain Kuch Jagah Ye Riwaj Hai Ke Maiyyat Ke Khane Ko Biradari Apna Haq Samajhti Hai, Agar Na Khilaye’n To Aeb Lagate Aur Tana Dete Hain Ye Zarur Buri BidAt Hai, Lekin Agar Maiyyat Ko Sawab Pahuchane Ke Liye Khana Pakwa Kar Gareeb Musalmano’n Ko Khilaye’n To Isme Harj Nahi, Ye Khana Agar Aam Musalmano’n Me Se Kisi Ko Sawab Pahuchane Ke Liye Hai To Maaldaro (Sahib e Nisab) Ko Khana Mana Hai, Aur Fuqra (Gair Sahib e Nisab) Ko Jaiz, Aur Agar Buzurgan e Deen Ko Sawab Pahuchane Ke Liye Hai To Ameer Gareeb Sabko Khana Jaiz Hai,

*📬 Fatawa Amjadiya Jild 1 Page 337 📔*

⚘ ⌬ ➤ Aur Isi Liye Jis Surat Me Dawat NaJaiz Hai Wo NaJaiz Hi Rahegi Chahe Maiyyat Ki Dawat Kahi Jaye Ya Sirf Dawat Keh Kar Khilayi Jaye, Aur Mana Hone Ki Buniyad Fateha Nahi Hai, Ki Fuqra Ka Khana Alag Fateha Karne Aur Baqi Logo Ka Alag Bagair Karne Karne Kharabi Door Ho Jayegi,

⚘ ⌬ ➤ Musalmano Par Lazim Hai Ki Is Galat Riwaj Ko Khatm Kare’n, Jis Chiz Ka NaJaiz Hona Sabit Ho Jaye Uske BaWajud Agar Usko Karega To Wo Gunahgar Hai,

*📬 Fatawa FaizurRasul Jild 1 Page 657 Se 662 📗*

⚘ ⌬ ➤ *Aala Hazrat Farmate Hain* Tajurbe Ki Baat Hai Ki Jo Log Maiyyat Ke Tije. 10we. 20we. 40we. Barsi. Wagairah Ke Khane Ke Talabgar Aur Shauqin Rehte Hain Unka Dil Murda Ho Jata Hai, Allah Ki Yaad Aur Ibadat Ke Liye Unke Andar Wo Chusti Nahi Reh Jati Kyun Ke Wo Apne Pet Ke Luqme Ke Liye Musalman Ki Maut Ke Intezare Rehte Hain,Aur Khana Khate Waqt Apni Maut Se BeKhabar Hokar Khane Ke Maze Me Khoye Rehte Hain

*📬 Fatawa Razviya Jild 9 Page 667📓*

⚘ ⌬ ➤ Kuch Log Paise Wale Hote Hai Magar Bahut Se Log Gareeb Hote Hain Kaise Bhi Intezam Kar Ke Maiyyat Ke Khane Ka Intezam Karte Hain Aur Logo ko Khilate Hain Is Se Behtar Hai Ke Ye Khana Yatim. Bewa. Gareeb. Miskeen. Logo Ko Khilya Jaye Take Sawab Bhi Hasil Ho Aur Ye Riwaj Bhi Khatm Ho...✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  103

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
    ❝AYB WALI CHEEZ FAROKHT KARNA KESA  ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Hazrat Zaid Ka Ek Sawal Hai

📃 Zaid Ki Ek Dukan Hai UsKa Business Hai School Bag College Bag Aur Luggage Bag Ka
Par Hazrat Wo Tamam Bag Jo Hai Out Of Station Se Aata Hai Jis Transport Se Maal Load Ho kar Lori Mein Apni Mukami Jagah par Aata Hai To Us Me Kuch Bag Damage Ho Jate Hain Par Hum Us Damage Bag Ko Repair Karke Bachte Hain Magar Us Me Hame Aib Nazar Aata Hai To Kya Hum Us Aib Ko Chupa Kar Customber Ko Wo Bag Bech Saktey Hain Agar Aib Batayenge To Customber Wo Maal Nahi Kharidega Agar Maal Nahi Bikega To Hamara Nuksan Hoga Aur Jis Company Se Hame Maal Aata Hai Wo Wapas Bhi Nahi Lega, Kya Islam Me Aisa Karobar Karna Sahi Hai
Kya Islam Hame Is Ki Ijazat Deta Hai

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Jo shay ham farokht kare us ka ayb se khali hona zaroori he Agar us me ayb he to bechne wale par ye wajib w zaroori he ki kharidne wale par ayb ko zahir kare. Agar ayb zahir na kiya to gunahgar hoga

⚘ ⌬ ➤ Ahadis nabwiya me is ta'alluk se sakht wa'aid aai he

⚘ ⌬ ➤ Ibne maja ne wasla RadiAllahu anhu se riwayat ki , ke huzur Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya, jis ne ayb wali cheez bee'a ki or us ko zahir na kiya, vo hamesha allah ta'ala ki narazgi me he ya farmaya ke hamesha farishte us par la'anat karte he

⚘ ⌬ ➤ Imam ahmad w ibne maja w hakim ne uqba bin aamir RadiAllahu Anhu se riwayat ki ke huzur Sallallahu alaihi w sallam ne irshad farmaya, ek Musalman dusre Musalman ka bhai he or jab Musalman apne bhai ke hath koi cheez beche jis me ayb ho to jab tak bayan na kare, use bechna halal nahi

⚘ ⌬ ➤ Dar Qutni w hakim w bayhaqi abu saeed RadiAllahu Anhu  se raawi ki huzur Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya, na khud ko zarar pahunchne de, na dusre ko zarar pahunchae, jo dusro ko zarar dega or jo dusre par mashqat dalega allah ta'ala us par mashqat dale ga

⚘ ⌬ ➤ Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan ayb ki ta'areef tahrir farmate he

⚘ ⌬ ➤ Urfe Shara'a me ayb jis ki wajah se mubee'a ko wapas kar sakte he vo he jis se taajiro ki nazar me cheez ki qeemat kam ho jae Or us ke baad Taherir farmate he, mubee'a me ayb ho to us ka zahir kar dena baae'a par wajib he chhupana haram w gunahe kabeera he Yuhi saman ka ayb mushtari par zahir kar dena wajib he agar bagair ayb zahir kiye cheez bee'a kardi to ma'aloom hone ke ba'ad wapas kar sakte he usko khayare ayb kahte he,khayare ayb ke liye ye zaroori nahi ki waqte aqd ye keh de ki ayb ma'aloom hone par mushtari ko wapas karne ka haq hasil hoga

*📬 BAHARE SHARIYAT, HISSA-11, KHAYARE AYB KA BAHANY 📚*

⚘ ⌬ ➤ Lihaza us ayb ko Chhupa kar farokht najaiz he haañ kharidne wala agar us ayb par raazi ho to jaiz..✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  104

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  JANWAR KA GURDA KHANA KESA ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Janwar Ka Gurda Khana Kesa

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Aala Hazrat Ashshah Imam Ahemad Raza Khan Fazile Barailvy Alahir Rahma Farmate he, Gurdana Khana Jaiz he magar huzur Sallallahu alaihi wasallam ne pasand na farmaya is wajah se ki Peshab un me se ho kar masana me jata he..✍

*📬 MALFOOZATE AALA HAZRAT, HISSA-4, S-461 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  105

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝  VALENTINE KO GIFT DENE PAR HUKME SHARA'A ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Valentine Day ko ladka ladki ek dusre ko gift dete he vo dena or lena kesa

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Valentine Day ho ya koi bhi din ho Ajnabi mard aurat ka najaiz muhabbat me jo aapas me gift ya tohfe diye jate he Uske Bare me Fuqha E kiram Ne Farmaya  ke ye rishwat ke hukm me dakhil he is liye najaizo haram he ayse gift lena or dena dono hi najaizo haram he agar kisi ne tahaif(gift) liye he to us par taubah ke sath sath ye gift wapas karna bhi lazim he

⚘ ⌬ ➤ Chunanche baherurraiq me he, Aashiq w mashooq (najaiz muhabbat me giraftar) aapas me ek dusre ko jo (tahaif) dete he vo rishwat he un ka wapas karna wajib he or vo milkiyat me dakhil nahi hote

*📬 BAHERURRAIQ, KITABUL QAZA'A, 6/441 📔*

⚘ ⌬ ➤ Aysa hi Aala Hazrat Azimul Barkat Imam Ahemad Raza Khan Alaihir Rahemato ridwan ne

*📬 FATAWA RAZVIYA, JILD-23, SAFAH-497 📗* me bhi farmaya he....✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  106

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
 ❝  KISI KI GAALI GALOCH WALI CALL RECORDING SHARE KARNA KESA ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Do sakhs ki guftagu ki call recording (audio clip) hai usme galiya bol rahe hai aur wo audio clip ZAID ke paas aai aur ZAID ne sab me forward kar di to ZAID par shariat ka kya hukum hoga

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Pahle to ye ki bila ijazat kisi ki guftagu record karna kesa ? Iske muta'allik Huzur TajushShariyah Alaihir Rahma Farmate He,

⚘ ⌬ ➤ Ye dhoka He, Or hamare yaha dhoke ki ijazat nahi he, Agar kisi ka kalam record karne ke kabil he to uski ijazat se us kalam ko record kiya jaae, be uski ijazat ke uske kalam ko record karna jasoosi he, or dhoka dihi he jo najaiz he

⚘ ⌬ ➤ Or Mobile phone ke zaroori masail me he

⚘ ⌬ ➤ Aaj Kal Mobile par kisi ki guftagu tep karne ka maqsad yahi hota he ki waqte zaroorat qail ko uski galt guftagu ka maza chakhaya jaae or use zaleel or ruswa kiya jaae Ye jahat se or is niyyat se mobile par bila ijazat kisi ki guftagu tep karna jaiz nahi he

*📬 MOBILE PHONE KE ZAROORI MASAIL, SAFAH-95 📔*

⚘ ⌬ ➤ Or Gali Galoch karna sakht gunah, fisq w Azabe Qabr ka shabab he, gaali galoch karne wala taubah w astagfar kare

⚘ ⌬ ➤ Or gaali galoch jo ki gunah he usko aam karna bhi ek gunah he.. ki buri baat ko nashr karna bhi bura hota he. Zaid Ko chahiye ki vo bhi apne is fe'al se taubah w astagfar kare or aaindah is tarah ki gaali galoch vali clip ya koi bhi buri baat ko aam na kare..✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  107

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝  EK PAANV PAR KHADA HONA YAANI DUSRE PAANV KO ZAMIN SE UTHA LENA NAMAAZ KI HAALAT ME KAISA HAI 
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Ek paanv par khada hona Yaani Dusre Paanv ko Zamin se Utha Lena Namaaz Ki Haalat me Kaisa Hai

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Ek Paanv pe khada hona yaani dusre paanv ko zamin se utha Lena Makrooh E Tahrimi Hai Aur Agar Ujrr ki wajah se Aisa kiya To Harz Nahi

        *📬 Aalamgeeri 1-65 📗*

⚘ ⌬ ➤ Agar Kiyaam par Qaadir hai Magar sajda nahi kar sakta to use behtar yah hai ki baith kar ishare se padeh khade ho kar bhi padh sakta hai.

       *📬 Durre Mukhtar 📕*

⚘ ⌬ ➤ Jis Shakhs ko khade hone se katra aata hai ya zakham bahta hai Aur Baithane se nahi to use farz hai ki baith kar padeh Agar Aur Taur par us ki Rook na kar sake yoonhi khada hone se Chauthayi Satar khul jaayega ya Kiraat Bilkul na kar sakega to Baith kar padeh Aur Agar khade ho kar kuch bhi padh sakta hai to farz hai ki Jitni par qaadir ho khade ho kar padeh baaki baithkar...✍

*📬 Durre Mukhtar, Raddul Muhtaar 1-299 📔*

*📬 Bahar-E-Shari’At Teesra Hissa Safa 60 📚*


        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  108

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  MUSALLE KAISE BANE SHAFI,HANFI, HAMBLI, MALIKI ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Musalle Kaise Bane Shafi,Hanfi, Hambli, Maliki

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Jab Aap Mareez Hote Hain To Aap Ki Aql Kya Kehti Hai Ke Aap Kis Ke Paas Jaayen? Engineer Ke Paas? Baniye Ke Paas? Ya doctor Ke paas? Zahir Hai Ke Aql Doctor Ke Paas Jane Ka Hukm Karti Hai

⚘ ⌬ ➤ Jab Insan Khud Shariat Se Waqif Na Ho Aur Jahannam Me Jaane Se Bachne Ke Liye Shariat Par Amal Karna Chahta Ho To Masaail Poochne Ke Liye Kis Ki Taraf Ruju Kare? Alim e Deen Ki Taraf? Ya Jahil Ki Taraf? Aql e Saleem Yahi Kehti Hai Ke Us Ki Taraf Ruju Kiya Jaaye Jo Deen Ke Ahkam Me Waqif Ho Aur Alim e Deen Ho

⚘ ⌬ ➤ Wo Alim e Deen Ya Khud Deen Me Specialist Hoga Ya Kisi Specialist Ke Nuskhe Ko Bataayega Usi Specialist Ko Mujtahid Kehte Hain Aur Us Ke Fatwe Par Amal Karne Ko Taqleed

⚘ ⌬ ➤ islami Shariat Ki Aslan 3 Buniyaden Hain

①• ALLAH Ki Kitaab (Qur’an Majeed)
②• Sunnat e Rasool ﷺ (Hadees e Nabavi)
③• Ijma e Ummat

⚘ ⌬ ➤ kitabullah Asl ul Usool Hai, Aur Sunnat Kitabullah Ki Tashreeh Hai, Aur Ijma e Ummat Baaz Sunnat Ka Bayan Hai

⚘ ⌬ ➤  kitab o Sunnat Ke Ahkam Ki Koi Na Koi illat Zaroor Hoti Hai, Albatta Kabhi Wo Illat Zahir Hoti Hai Aur Kabhi Makhfi (Poshida) , Makhfi Illato Ko Muta’iyyan Karna Bahot Dushwar Hai, Is Kaam Ke Liye Badi Diqqat e Nazar Ki Zarurat Hoti Hai

⚘ ⌬ ➤ Ummat Ke Baaz Ahl Ullah Se Allah Ne Ye Khidmat Li Jin Ki Qur’an o Hadees Aur Mizaaj e Shariat Par Gahri Aur Puri Nazar Thi, Ummat Ka Siwaad e Azam Salafan Wa Khalfan Qarnan Baad Qarnin Un Ki Imamat Aur Jalalat e Shan Ka Qaayel Hai, Makhfi Illato Ko Muta’iyyan Kar Ke Naye Naye Masaail Ke Ahkam Ma’loom Karne Ka Naam Ijtehad Hai, Aur Ilal e Mutlaqa Par Gair Mansoos Masaail Ko Muntabiq Kar Ke Illat e Mushtarika Ki Bina Par Mansoos Hukm Ko Gair Mansoos Ke Liye Sabit Karne Ka Naam Qiyaas Hai Lehaza Qiyaas Ki Buniyad Kitabullah o Sunnat aur Ijma e Ummat Hi Hai

⚘ ⌬ ➤  is Se Maloom Hua Ke Aimma Ke Mujtahidaat (Ijtehadi Masaail) Yaani Fiqh Haqeeqat Me Hadees Hi Ka Nateeja Hain, Hadees Ke Muqabil Me Koi Nayi Cheez Nahi Hai, Neez Is se ye Bhi Maloom Hua Ke Ijtehaad Aur Qiyaas Karna Har Ek Ke Bas Ki Baat Nahi Jabke Masaail Par Chaahe Qadeem Hon Ya Jadeed Shar’an Amal Karna Zaruri Hai,
Is Liye Ummat Ke Qabil e Etebar Ulama e Deen Ka Kisi Ek Imam Ki Taqleed Par Ijma Hai

⚘ ⌬ ➤ Khususan Is Zamaane Me Jabke Shariat Par Ama Karne Ke liye Himmaten Past Hain, Nafs Me Khwahishat Ka Dakhal Hai Aur Khud Raayi Ka Galba Hai

⚘ ⌬ ➤  agar Admi Ko Bilkul Azad Chhor Diya Jaaye Ke Wo Jis Mazhab Aur Jis Imam Ki Pairwi Karna Chahe Pairwi Kare To Chunke Is Zamane Me Khwahishat Ka Galba Hai, Admi apni Garz Aur Khwahish ke mutabiq jo surat har Mazhab Me Se Apne Matlab ki Paayega ikhtiyar kar lega, aur jo us ke matlab ke khilaf hoga us ko na maanega, aisi surat me Deen to rahega nahi, garz aur nafs parasti reh jaayegi K kabhi us imam ki taqleed karen jo Kisi wajah se nikah ko fasid qarar dete hain aur kabhi us imam ki jo durust qarar dete hain apni garz aur khwahish ke mutabiq aur is tarah amal karna bil ittefaq na jaayez hai.
isi wajah se Ulama ne Aimma e Arba’h me se kisi ek ki Taqleed ko lazim aur zaruri qarar diya hai

⚘ ⌬ ➤ Kisi Hadees ka fee nafsihi sahi hona amal ke liye kafi nahi jab tak ye Maloom na ho jaaye ye hadees gair mansookh ya gair mu’awwal hai

⚘ ⌬ ➤  Aimma e Arba’h ke aqwaal mukhtalif kitabo me maujood hain jin me un hazraat ne waazeh taur par kaha hai k hamari har us baat ko maano jo Qur’an o Sunnat ke Muwafiq ho aur jo Khilaf ho us ko mat maano, matlab ye hua k wo apne aqwal par Amal ki Targeeb de rahe hain aur ye bhi bata rahe hain k in ke aqwal Qur’an o Sunnat ki Mukhalifat nahi karte. Lehaza is se un ki leed ka hukm un ke apne Aqwal se saabit hua..✍

*(Mufti) Maqsood Akhtar Qadri Khadim Ridawi Amjadi Dar Al-Ifta Barkati Islamic Centre Mumbai*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  109

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ DUROOD SHAREEF KI MANNAT PURI KARNA ZAROORI HE ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Kisi Ne Mannat Mani ke Fula Kam Hone par itne durood or kalma shareef padhuga

⚘⌬ ➤ Magar ab vo na pade to kya iska kaffara dena hoga ya is mannat ka kaffara nahi hoga, ise pura karna hi hoga, jess namaz roza wagairah ibadaton me hukm he

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Soorate mas'ula me us mannat ka kaffara nahi use pura karna hi hoga Durood shareef ki bhi shareeh mannat he jese roza v namaz wagairah ke liye hukm hota he wesa hi iska bhi hukm he

⚘ ⌬ ➤ Ye sab nek kaam he, jese namaz, roza, khairat, durood shareef, kalima shareef,quraan majeed padhne, faqiro ko khana dene, kapda pahnane, wagairah ki mannat. In sab ki mannat mangna jaiz he

⚘ ⌬ ➤ Mannat ki do soorato me se ek soorat yah he ki uske karne ko kisi chiz ke hone par mauquf rakhe maslan mera fula kaam ho jaaye to me roza rakhuga ya khairat karuga. Ab is soorat ki bhi do soorte he agar aesi chiz par muallak kiya ki uske hone ki khwahish he maslan agar mera ladka tandurust ho jaaye ya pardesh se aa jaye ya me rozgaar me lag jaau to itne roze rakhuga ya itna khairat karuga aesi soorat me jab shart paai gai yaani bimar achcha ho gaya ya ladka pardesh se aa gaya ya rozgaar lag gaya to utne roze rakhna ya khairat karna zaroor he yah nahi ho sakta ki yah kaam na kare or uske badle me kaffara dede. Or agar aesi shart par mu'allak kiya jiska hona nahi chahta maslan agar me tum se baat karu ya ghar aau to us par itne roze he ki uska maqsad yah he ki tumhare yaha nahi aauga, tumse baat na karuga aesi soorat me agar shart paai gai yaani uske yaha gaya ya us se baat ki to ikhtiyar he ki jitne roze kahe the vah rakhle ya kaffara dede...✍


*📬 BAHARE SHARIYAT, HISSA-9 MANNAT KA BAYAN, SAFAH-36 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  110

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
    ❝ DADHI  MUNDANE  WALE  KO  PEER  BANANA  KAISA ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Kya Kisi Fasik Dadhi mundao Se Baith Le saktey Hain

⚘⌬ ➤ Kya Islam Iski Ijazat Deta hai Aur Kaise Shakhs ke Haath pe Baith Lena Chahiye

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Fasiqe mu'allin ko peer banana ya uske pichhe namaz padhna jaiz nah

⚘ ⌬ ➤ Dadhi badhana tamam nabiyo ki sunnat he ise mundana ya 1  musht ze kam karna haram he

*📬 BAHARE SHARIYAT, HISSA-16, SAFAH-197 📘*

⚘ ⌬ ➤ Dadhi mundane wala fasiqe mu'allin he

*📬 FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-6, SAFAH-544, JADEED 📔*

⚘ ⌬ ➤ Faqihe aazame hind sadrushshariyah alaihir rahma taherir farmate he "peer ke liye chaar sharte he, qabl az bay'at unka lihaz farz he

(1) Awwal sunni sahihul aqida ho,

(2)Dowm itna ilm rakhta ho ki apni zaroorat ke masail kitab se nikal sake

(3) som FASIQ mu'allin na ho

(4) chahrum uska silsila nabi sallallahu alaihi w sallam tak mutassali ho

*📬 BAHARE SHARIYAT, HISSA-1, SAFA-89 📙*
*📬 FATAWA FAQIHE MILLAT, JILD-2, SAFA-426 📕*
*📬 FATAWA BADRUL ULMA 📓*
*📬 SABE SANABIL SHAREEF, SAFA-110 📔*
*📬 WAAM KUTUBE FIQHA 📘*

⚘ ⌬ ➤ Is se wazeh huaa ki dadhi mundane wala FASIQ he Or mureed hone ke sharait me se ek shart ye bhi he ki peer FASIQ na ho Is liye dadhi munda peer ya ek musht se kam bhi dadhi rakhne wale se bay'at hona jaiz nahi...✍


        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  111

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝  DAMAD SAAS KE SATH YA BAHU SASUR KE SATH SAFAR KAR SAKTI HE ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Kya Damad Saas ke maheram ke hukm me he ?

⚘⌬ ➤ Or kya saas damad ko maheram bana ke uske sath safar kar sakti he ya nahi ?


      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Damad saas ke maheram ke hukm me to he lekin is purfitan zamane me charo taraf fitne faile hue he to is wajah se sadde babe fitna ke baais aulma e kiram ye hukm farmate he ke damad saas ke sath safar na kare agarche vo uske maheram ke hukm me he

⚘ ⌬ ➤ Usi tarah jawan bahu apne sasur ke sath bhi safar nahi kar sakti jaisa ki fatawa shami me he

نقل السيد ابو السعود عن نفقات البزازية لاتسافر بأخيها رضا عافي زماننا اه لطلبة الفساد قلت و يؤيده كراهة الخلوة بها كالصهرة الشابةفينبغي استثناء الصهرة الشابة هنا أيضاًلان السفر كالخلوة

*📬 FATAWA SHAAMI,JILD-3,SAFAH-464 📔*

⚘ ⌬ ➤ Aurat hattul imkan apne shohar ya qabile itminan mahrame nasbi ke sath safar kare or Jawan saas Apne Damad Ke Sath isi tarah Bahu Apne Jawan khusr(sasur) ke sath safar na kare...✍

*📬 MAJLISE SHARAI KE FAISLE ,277 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  112

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ KYA HAZRAT ALI SE MUHABBAT KARNE WALA MALAIKA SE AFZAL HE ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Is tarah ka aqida rakhna kaisa ki jis shakhs ke dil me hazrate Ali Radiallahu anhu ki sachchi muhabbat ho vo malaika se afzal he.Aesa Kahne wale par kya hukm he or ahele sunnat ka kya aqida he

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Aysa aqida rakhna galat he balki gumrahi he ki hamara aqida ye he ki farishto me jo rasool he(yani hazrate jibrail,israfil,mikail,israel alaihimussalm) vo aam bashar se afzal he or aam bashar aam malaika se afzal he.

*⚘ ⌬ ➤ Jaisa ke ALLAMA SA'ADUDDIN TAFTAZANI ALAIHIR RAHMA farmate he*

رسل البشر افضل من رسل الملائکۃ ورسل الملائکۃ افضل من عامۃ البشر وعامۃ البشرافضل من عامۃ الملائکۃ

*📬 SHARAH AQAID, SafaH-166 📘*

⚘ ⌬ ➤ Bashar me jo rasool he vo farishto ke rasoolo par afzal he. Farishto me jo rasool he vo aam bashar se afzal he or aam bashar aam farishto se afzal he

⚘ ⌬ ➤ Or aam bashar se murad yaha muttaqi musalman he Gunahgaar musalmano ko farishto par fazilat nahi

⚘ ⌬ ➤ Jaisa ke uske hashiya me *ALLAMA AHEMAD BIN MOOSA KHAYALI* Farmate he
المرادبالعوام ماسوی الرسل من الاتقیاءوالمؤمنین واماالعصاۃ فلایفضلون علی الملائکۃ اصلا

⚘ ⌬ ➤ Yani awam se murad rasoolo ke alawa momin muttaqi he, raha gunehgar musalman to vo farishto par bilkul fazilat nahi rakhte

*📬 HASHIYA KHAYALI BAR SHARAH AQAID 📔*

Or fazilat ka ye mas'ala zanni or ijtehadi he

*Jaisa k ALLAMA TAFTAZANI farmate he*

ولاخفاء ان ھذہ المسئلۃ ظنیۃ یکتفی فیھابالادلۃ الظنیۃ

*📬 SHARAH AQAID,S-167 📕*

⚘ ⌬ ➤ Yani poshida nahi ke fazilat ka ye mas'ala zanni he or is me dalaile zanniya se iktafa'a hoga

⚘ ⌬ ➤ Or malaika me, rasool malaik, aam malaika, sab shamil he is liye agar shakhse mazkoor ka ye aqida ho ke sab farishto se yaani rasool malaika se afzal to ayse shakhs par taubah w astagfar zaroori he or agar rasool malaika ko chhor kar ye aqida rakhe ke hazrat ali radiallahu anhu se muhabbat karne wala aam farishto se afzal he or vo muhabbat karne wala gunehgar he tab bhi us qaul se ruju'a lazim hoga, tahim kufr nahi hoga ke fazilat ka mas'ala ijtehadi he or ijtehadi masail me kisi pahlu par kufr ka fatawa dena jahalat he

Aesa hi *📬 FATAWA BAHRUL ULOOM,JILD-6,SAFAH-275 📚* par bhi he..✍🏻


        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  113

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
     ❝  PADOSI KAFIR KO QURBANI KO GOSHT DENA JAIZ NAHI ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Kya padosi kafir ya gair muslim ko Qurbani ka gosht de sakte he

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Hindustan Ke kafir Harbi he Unhe Qurbani ka Gosht Dena Jaiz nahi

⚘ ⌬ ➤ Padosi ki 3 qismen hain

📃1⃣ muslim rishtedar
📃2⃣ muslim
📃3⃣ kafir

⚘ ⌬ ➤ inme har 1 ke huquq mukhtalif (alag -alag ) hain, agar padosi muslim rishtedar ho to use haq e jawaar, haq e islam qurabat hasil hai, aur agar padosi muslim ho rishtedar na ho to us ko haq e jawaar aur haq e islam hasil hai, aur agar padosi kafir ho to us ko sirf haq e jawar hasil hai

⚘ ⌬ ➤ HaDees shareef men hai Huzur صلى ألله تعالیٰ عليہ والہ و سلم ne farmaya ki padosi 3 qism ke hain baaz ke 3 haq hain baaz ke 2 aur baaz ke ek jo padosi musalim ho aur rishte wala ho to uske 3 haq hain haq e jawar, haq e islam, haq e qurabat, padosi musalim ke 2 haq hain haq e jawar, haq e islam, aur padosi kafir ka ek haq hai, haq e jwar , ham ne arz ki ya rasool Allah صلى ألله تعالیٰ عليہ والہ و سلم unko apni qurbaniyon ka gosht den? , farmaya mushrkeen ko qurbaniyon men se kuch na do

*📬 KANZUL UMMAL, JILD-5, SAFAH-45 📔*

⚘ ⌬ ➤ Lihaza kafir ko qurbani ka gosht dena jaez nahi khawah woh padosi ho ya na ho. Alahazrat رضی اللہ تعالیٰ عنہ tehrir farmate hain yahan ke kafiron ko gosht dena jaez nahi wo khas musalmano ka haq hai

*📬 FATAWA AMJADIYA, JILD-3, SAFAH-318 📕*

*📬 FATAWA MARKAZE TARBIYAT IFTA, JILD-2, SAFAH-319 📘*

⚘ ⌬ ➤ Kafir ki 3 kisme he,

📃1⃣ Harbi,
📃2⃣ mustamin,
📃3⃣ zimmi,

⚘ ⌬ ➤ isme se sirf zimmi ko qurbani ka gosht dena jaiz he Jaisa ke *FATAWA AALAMGIRI, JILD-5, SAFAH-624)* he

⚘ ⌬ ➤ Or hindustan ke kuffar yaqeenan zimmj nahi he kyu ki zimmi ke liye badshahe islam ka zimma zaroori he

*📬 FATAWA FAIZUL RASOOL, JILD-2, SAFAH-468 📓*

⚘ ⌬ ➤ Hindustan ke kafir Harbi he or unhe qurabni ka gosht dena hargiz jaiz nahi..✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  114

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
   ❝ DAURANE SAAL NAYA MAAL AAYA TO USKI ZAKAT HOGI ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Agar Kisine Zakat Ki Taarikh 20 Ramzan Muqarrar Ki Hai

⚘ ⌬ ➤ Agar Us Shaks K Paas 21 Ramzan Ko 1 Lakh Rupaye The Aur 6 Maah Baad 1 Laakh Rupaye Aur Aa Gaye Aur 20 Ramzan K 1 Maah Pahle 1 Lakh Aur Aaye
Ab Uske Paas Kul 3 Lakh Rupaye Hai

⚘ ⌬ ➤ To Ab Vo Shaks Jakat Kitne Rupaye Par Nikalega Jaisa Ki Maal Par 1 Saal Guzarna Jaruri Hai To Sirf Pahle Wale 1 Lakh Par Saal Guzra Hai

⚘ ⌬ ➤  vo Shaks Kitne Rupayon Par Jakat Nikalega

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Huzur Sadrushshariya Hazrat Allama Amjad ali Aazmi Alaihir Rahma Taherir Farmate he

*⚘ masala ⌬ ➤*  Jo shakhs malike nisab he agar darmiyane saal me kuchh or maal usi jins ka hasil kiya to is naye maal ka juda saal nahi balki pahle maal ka khatm saal iske liye bhi saale tamam he yani pura saal he, agarche saal pura hone se 1 hi minute pahle hasil kiya ho khwah wah maal iske pahle maal se hasil huaa ya miras w hiba or kisi jaiz zariye se mila ho or agar dusri jins ka he maslan pahle uske paas unt the or ab bakriya mili to iske liye naya saal shumar hoga.

*⚘ masala ⌬ ➤* Malike nisab ko darmiyame saal me kuchh maal hasil huaa or iske paas do nisabe he or dono ka juda juda saal he to jo maal darmiyane saal me hasil huaa ise uske saath milaye jiski zakat pahle wajib ho maslan us ke paas 1 hazar rupye he or saima ki kimat jis ko zakat de chuka tha ki dono milaye nahi jayege ab darmiyane saal me ek hazar rupye or hasil kiye to inka saale tamam yaani inka saal us waqt pura mana jaega jo dono me pahle ka ho..(durre mukhtar)

*📬 BAHARE SHARIYAT,HISSA-5, SAFA-481 📕*

⚘ ⌬ ➤ Surate mas'ula me 1 lakh rakam jis par 1 saal guzar chuka he or us par zakat farz he or daurane saal uske paas 1 lakh or fir 1 lakh aaye to zaid ko total 3 lakh rupye hue.Use 3 lakh rupye ki zakat ada karni hogi

⚘ ⌬ ➤ Ab zaid ko 3 lakh rupe ka 40 va hissa bataure zakat nikalna hoga..✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  115

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
     ❝  FAAL NAMA DEKHNA KESA ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Faal Kholna ya dekhna kesa he ?

⚘⌬ ➤ zaid faal kholta he or batata he ki tumhara  ye kaam Hoga ye kaam nahi hoga iski haqiqat kya he ?

⚘⌬ ➤ Faal kholne or khulwane wale dono par hukme shara'a kya he ?

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Faal Ek qism ka istekhara he, Vahi Faal Jaiz he jo Ahadise Nabvi se sabit he, Jo istekhara karke kiya jata he or istekhara ka tariqa bahare shariyat me maujud he. Magar Jo awam me mash'hoor he vo hargiz jaiz nahi, us par yaqeen karna haram balki kufr he

⚘ ⌬ ➤Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alahir Rahma Farmate He

⚘ ⌬ ➤ Faal ek qism ka istekhara he, Istekhara ki asl kutube ahadis me ba-kasrat maujud he Magar ye faal naame jo awam me mash'hoor or akabir ki taraf mansoob he be asl wa batil he, or Qura'ane azeem se faal kholna mana'a he Or diwan hafiz wagairah se bataure tafawil jaiz he

*📬 FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-23, S-389 📗*

⚘ ⌬ ➤ or faal par yaqeen karna ya yaqeeni kahna kufr he

⚘ ⌬ ➤ Jaisa ki Saiyedi Aala Hazrat Alahir Rahma Farmate He,

⚘ ⌬ ➤ Agar Ye ahkam qata'ee w yaqeen ke sath lagata ho jab to vo Musalman hi nahi, is ki tasdeeq karne wale ko Sahih Hadish me Farmaya
قد کفر بما نزل علی محمد صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم
⚘ ⌬ ➤ UsNe us cheez ke sath kufr kiya jo Muhammad Sallallahu alaihi w sallam par utari gai

   *📬 Jame'a Tirmizi, 1/19 📕*

⚘ ⌬ ➤ Or Agar Yaqeen Nahi Karta Jab bhi aam taur par jo faal dekhna raaij he moasiyat (Yani Gunah) se khali nahi

*📬 FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-23, S-100 📔*

⚘ ⌬ ➤ Or Farmate He, Aap Sallallahu alaihi w sallam Ne Farmaya Buri Faal Nikalna or us par kaar band hona mushrikeen ka tariqa or dastoor h

*📬 Musand Ahemad Bin Hambal, 1/438 📙*
*📬 FATAWA RAZVIYA, J-23, S-266 📓*

⚘ ⌬ ➤ Or Jo Qura'an Se Faal Nikalte he, Jesa ki log esa karte he ki falaN ka rishta Falañ se achcha he ki nahi to Qura'an ne kareem kholte he or agar usme sab se pahle koi esi aayat nazar aa gai jisme bashaarat he to samajte he faal achchi he rishta karlo Or agar usme jahannam wagairah ki waeed aa gai to sochte he faal buri he rishta achcha nahi he is tarah karna bhi mana he

⚘ ⌬ ➤ Aulmae Ahnaf Ka yahi Qaul He ki Quran se faal nikalna najaiz w mamnoo'a w makroohe tahrimi he

⚘ ⌬ ➤ Jaisa ki Saiyedi Aala Hazrat Alahir Rahma Farmate H

⚘ ⌬ ➤ Qur'an Shareef se faal dekhne me a'imma e mazahib arbaa ke char qaul he ba'az hanbaliya mubah kahte he or shafaiya makroohe tanzihi or malikiya haram kahte he or hamare aulma e hanfiya farmate he najaiz w mamnoo'a w makroohe tahrimi he Qur'an is liye na utara gaya hamara qaul qaule malikiya ke qareeb he balki indut Tahqeeq dono ka ek hasil he Or zyada tafsil ke liye dekhe

*📬 FATAWA AFRICA, S-149 📗*

⚘ ⌬ ➤ Jo Log Jhuthe Faal Dekhte ya dikhate he unhki imamat bhi nahi

⚘ ⌬ ➤ Jaisa ki Saiyedi Aala Hazrat Alahir Rahma Farmate Hai

⚘ ⌬ ➤ Nujoomi, Rumal pichhe namaz durust nahi Yuhi Jhuthe faal naamo wale Haañ agaf jaiz taur par faal dekhe or na us par yaqeen kare na yaqeen dilae to harj nahi

*📬 FATAWA RAZVIYA, -6, 620 📕*

⚘ ⌬ ➤ Faal kholne wala agar istekhara karke batata he jaisa ki ahadis me he diwan hafiz wagairah (ya is ke misl kitab) se faal kholta he to ye jaiz he, Na kholne wale par gunah, na khulwane wale par, kyu ki he nek faal he or iska zikr ahadise tayybah me maujud he.
Nabi Akram Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya chhoot chhat or barsuguni koi cheez naji or me nek faal ko pasand karta hu

*📬 IBNE MAJA, HADISH-3537 📔*

⚘ ⌬ ➤ Or jo awam me mash'hoor he faal naama dekh kar vo be asl w batil he jo jaiz nahi or Qur'an Shareef se faal nikalna bhi mamnoo'a w najaiz he..✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  116

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝ FAJAR KI SUNNAT NAMAZ KARNA KESA OR KAB PADHE ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Fajar Ki Sunnat Namaz Ki Qaza Padhna Kesa

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Agar Fajar ki qaza namaz usi din zawal se pahle ada kar raha ho to sunnate padhna afzal he Agar zawal ke baad qaza kare to sirf farz ki qaza padhe Fajar ki sunnat namazo ke alawa kisi Sunnat ki qaza nahi

⚘ ⌬ ➤ Fatawa Razviya Shareef Me He, Agar farz se pahle sunnate fajr nahi padhi he or farz ki jama'at ke baad tulu'a aaftab tak agarche wasee'a waqt baki he or ab Padhna chahta he, to jaiz nahi

*📬 FATAWA RAZVIYA, JILD-3, SAFAH-620 📘*

⚘ ⌬ ➤ Fajr ki Sunnato ko  Aaftab tulu'a hone ke baad, aaftab buland hone ke baad qaza kare,  Farz Ke baad tulu'a aaftab se pahle padhna jaiz nahi

*📬 FATAWA RAZVIYA, JILD-3, SAFAG-616 📕*

⚘ ⌬ ➤ Agar Fajr Ki namaz qaza ho gai  or agar usi din nisfunNehar se pahle qaza padhta he, to farz ke sath sath sunnat bhi qaza kare, sunnate fajr ke alawa dusri kisi sunnat ki qaza nahi ho sakti

⚘ ⌬ ➤ Agar Fajr Ki namaz ki qaza nisfunNehar ke baad(Duphar sooraj dhalne) ya us din ke baad karta he, to ab sunnat ki qaza nahi ho sakti, sirf farz ki qaza kare...✍

*📬 FATAWA RAZVIYA, JILD-3, SAFAH-620 📔*

*📬 MOMIN KI NAMAZ, NAMAZE FAJR KE MASAIL 📚*


        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  117

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  MUQTADI KI GALTI PAR SAJDA E SHAW NAHI IMAM KI IQTEDA ZAROORI ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Imam Ki Ikteda Me Jab Muktadi Ba Jamat Namaz Aada Karta Hai Us Dauran Agar Muktadi Se Koi Galti Hojaye To Kya Uski Namaz Ho jaigi jaisa ke Khiyam Me Ruko me Sajde Me Ya Attahiyat me

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Agar Muqtadi se ba-Halate iqteda yaani imam ke sath(piche) namaz padhne ki halat me sahw waqe'a huaa yaani koi bhul hui, to muqtadi ko sajda e sahw karna wajib nahi or namaz ka e'aada bhi uske zimme nahi...✍

*📬 AALAMGIRI, JILD-1, SAFAH-128 📔*

*📬 BAHARE SHARIYAT, HISSA-4, SAFAH-58 📕*

*📬 FATAWA RAZVIYA, JILD-3, SAFAH-642 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  118

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
         ❝ KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤  Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin afzal ye he ki 15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab he jaisa ki Fatawa faqihe millat me he ki

⚘ ⌬ ➤ Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko

*📬 FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265 📕*

*📬 MIRATUL ASRAR SAFA-213 📘*

*📬 SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125 📔*

⚘ ⌬ ➤ Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sakte he ki hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki wisal ki tarikh 15 rajab likhi hui he *SHAWAHIDUN NABUWWA OR MIRATUL KAUNAIN* Me bhi wisal ki yahi tarikh darj he Lihaza afzal yahi he ki kunde ki niyaz 15 rajab ko dilae

⚘ ⌬ ➤ *22 Rajab* ko hazrat ameer e mu'aavya radiallahu anhu ka wisal huva he to shiya is tarikh me hazrat ameer muaavya ke wisal  ki khushi me Eid manate he or Az raah fareb use hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz kahte he

⚘ ⌬ ➤ Fatawa faqihe millat me he ki imame ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 tarikh ko ki jae q ke 15 rajab aap ke wisal ka din he Or Aulma e kiram ka kahna ye bhi he ki 22 rajab joke sahabiye rasool hazrat ameere muaavya radiallahu anhu ki tarikhe wisal bhi he to kunde ki niyaz is 22 rajab ko karna afzal he Jis me ahele sunnat w jama'at ke aqide ke mutabik in dono hazraat ke naam se fatiha dilaya jaae or unki rooh ko sawab bakhsha jaay jiske badle hame bhi sawabo azr mile Ha is me jo shiya log khurafate karte he or awam me jo jahilana harkate paai jati he usse door raha jaae Or ahele sunnat w jama'at ke aqide ke mutabik niyaz w fatiha kiya jaae...✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  119

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝  ISLAM  ME  KITNI  SHADI  KI  IJAZAT  OR  KONSI  AAYAT  QURAN  KI 
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ Hazrat Quran me kitni shadi karne ka huqm h or konsi ayat me he

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Mard ke liye ek se zaaid shadiya jin ki ta'dad zyada se zyada chaar(4) he Vo bhi is soorat me ki sabhi ko sarkha insaf de sake Warna ek se zaaid shadi karna zulm he  Or zulm or na-insafi se bachne ke liye ek shadi karna hi bahetar he
Jesa ki Qur'an Shareef Me Rab Tabarak W Ta'ala Irshad Farmata he,

وَإِنْ خِفْتُمْ أَلَّا تُقْسِطُوا فِي الْيَتَامَىٰ فَانكِحُوا مَا طَابَ لَكُم مِّنَ النِّسَاءِ مَثْنَىٰ وَثُلَاثَ وَرُبَاعَ ۖ فَإِنْ خِفْتُمْ أَلَّا تَعْدِلُوا فَوَاحِدَةً أَوْ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُكُمْ ۚ ذَٰلِكَ أَدْنَىٰ أَلَّا تَعُولُوا

⚘ ⌬ ➤ Or Agar Tumhe Andesha ho ki yateem ladkiyo me insaf na karoge to nikah me laao jo aurte tumhe khush aaye do do or teen teen or chaar chaar fir agar daro ki do bibiyo ko barabar na rakh sakoge to ek hi karo ya kaneez jin ke tum malik ho ye us se zyada qareeb he tum se zulm na ho...✍

     *📬 SURA E NISA, AAYAT-3 📚*

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
*📮☞ NexT  ροѕT  ϲοnTιnue ان شاء الله*
••──────────────────────••►


🅿🄾🅂🅃 ➫  120

     HмαRι gαLT SοϲH AαWαм GυмRαH

         SнαRιαT κα HυκM нмαRι ιѕLαH

         ⚘✊ HαQ Bατ ѕBκє SατH ✊⚘

••──────────────────────••►
  ❝GAUSE AAZAM OR GARIB NAWAZ KAHNA JAIZ HE  ❞
••──────────────────────••►

            ⇩◑    *✫ SawaL ✫*    ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘⌬ ➤ kuch log khwaja garib nawaj ko lekar he kahte hain ki sirf allah garib nawaz hai hamare liye AllaH kafi hai aur bando ko nawaz ne wala sirf AllaH hai to is ka koi tafseeli javab aur dalail ki roshni me javab ho to inayat Farmaye

      ⇩◑     *✫ Al - JawaB ✫*      ◑⇩
••──────•◦❈◦•──────••

⚘ ⌬ ➤ Qur'an e Majeed Me Rab Tabarak W Ta'ala irshad farmata he,

ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ

⚘ ⌬ ➤ Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Zibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai

*📬 Al Quran SuraH 66 At Tehrim Ayat : 04 📕*

⚘ ⌬ ➤ Is Aayat Se Saaf Zahir He ki ham Momineen Ke madadgar Allah Ta'ala bhi He Hazrat Jibrail Alaihis Salam Bhi Or Allah Ke Nek momin bande, Allah Ke Nek momin bande kon he Ye vahi he jise ham waliullah kahte he, ye wahi he jise ham gause aazam kahte he ye wahi he jise ham khwaja gareeb nawaz chishti kahte he ye wahi he jise ham Auliya e kiram kahte he

⚘ ⌬ ➤ To beshak Huzur Khwaja Moinuddin chishti ajmeri Alaihir Rahma ko Garib nawaz kehna bila subah jaiz he

⚘ ⌬ ➤ Or jo iska inkar kare ki Huzur garib nawaz hamari madad nahi kar te vo kafir he ki Qura'an majeed me Rab Tabarak W Ta'ala irshad farmata he,

ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم

⚘ ⌬ ➤ Yeh Is liye kr Musalmano Ka Maula (Madadgaar) Allah Hai Aur Kaafiro ka Koi (Maula) Madadgaar Nahi

*📬 Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 11 📔*

⚘ ⌬ ➤ Is se saaf zahir he ki kafiro ka yaani Deobandi wahabi wagairah batil firqo ka koi madadgaar nahi

⚘ ⌬ ➤ Qur’an-e-paak me bohot se alfaz ese he jo Allah Ta'ala ne apne lie bhi istemal kie he aur bando ke lie bhi istemal kie he

*1.RAB* Sab se pehla lafz-e-Rab *SuraH 01 FateHa* me kaha gaya- “Alhamdulillahi Rabbil Alameen” ye jo “RAB” lafz ALLAH ta’ala ne apne lie istemal kia, tamam Nabiyo ne ye lafz ka istemal kia aur RABBANA keh kar dua mangi Ye RAB lafz ALLAH TA’ALA ko bohot pasand he

⚘ ⌬ ➤ Lekin *SuraH Yusuf me, Ayat No. 41* “Fayaski RABBAHU khamra” ( tumme se ek apne badshah ko sharab pilaega) jiski tafseer me pata chalega ke Nabi Hazrat Yusuf (alayhissalam) ne 2 sakhs ke khwab ki tabir batate huwe lafze RAB ko wo sakhs jo sharab pilane wala tha uske BADSHAH ke lie istemal kia he

*2.MOAMIN* Jese ke hamjante he ke ham “Moamin” he, Ye lafz Allah Ta'ala ne apne lie bhi istemal kia he, *SuraH.59 Al-Hasar me, Ayant No.24* “Al malikul Kuddus Salamun Moamin” (Allah Moamin he) Allah agar Moamin he to fir aap aur ham kya hue ?

*3.HAFIZ* Jese ALLAH ta’ala ne “Hafiz” lafz khud ke lie istemal kia he, aur wahi lafz *SuraH.12, Ayat No.56)* Nabi Hazrat Yusuf alayhissalam ne apne lie bhi istemal kia “Ini Hafizul Alim” (Milkiyaton ko achhi tarah JANNEWALA hu)

*4 RAUF* Jese *SuraH.59 Al-Hashr, Ayat No.11)* me “Rauf aur Rahim” lafz ALLAH ta’ala ne apne lie istamal kiya, isi lafz ko Rasulallah sallalahualayhe-wasallam ke lie *SuraH.9 Al-Taubah, Ayat No.117 & 128* me farmaya “Bil Moamenina Raufur Rahim” Bohot se alfaz Quraan e paak me ese he jo Allah ta’ala ne apne lie bhi istemal kie aur bando ke lie bhi istemal kie he Bande ke lie istemal karne wala Mushrik nahi fark ye he ke Allah ta’ala ke lie jo lafz he wo “Haqiki maine” me istemal kia aur bande ke lie wo “Kuyud ke sath majaji tor par” ek khas waqt aur khas sakhsiyat ke lie istemal hota he

⚘ ⌬ ➤ Ab ye jaan kar kuchh log ye Naa kahe ke “to kya hum kisi bhi bande ko Allah kahe” hamne aap ko Qur’an-e-paak ke hawalo se ye bataya ke *WO BUZURGANE-DEEN JINHONE APNA SAB KUCHH ISLAM KE NAAM KAR DIYA UNKE MARTABE KO DEKH KAR UNKO KISI LAFZ SE PUKARA JAE TO US BUZURG KO ALLAH NAHI KAHA JATA BANDO ME AFZAL MANA JATA HE*

⚘ ⌬Agar (Al Gausul-azam / Dastagir / Peerane-Peer) kehne se koi MUSHRIK/Bid’at hota he ? to jara sochiye ham ye kyu kehte he ?

⚘ ⌬ ➤ Hazrat Abubakr “Siddik-e-Akbar” kehte he (Allah se Sachcha kon he?)

⚘ ⌬ ➤ Hazrat Umar “Faruk-e-azam” kehte he to (Qur’an kehta he Fark karne wala to sirf Allah he), Hazrat Usman -e-Gani kehte he to

⚘ ⌬ ➤ (Allah Quran me kehta he me Gani hu Tum Fakir ho)

⚘ ⌬ ➤ Hazrat Ali-e-Murtuza kehte he to (Qur’an me he “Wahuwwal Ali ul Azim”)


  • *⚘ ⌬ ➤ IS LIYE ALLAH KE MEHBUB BANDO KI MOHABBAT AUR ALLAH TA’ALA NE JO KARAMATE HAZRAT ABDUL QADIR GILANI (REHMATULLAHALAYH) KO BAKSI USKO DEKH KAR JAAN KAR MOHABBAT SE UNKO AL-GAUSUL-AZAM (JISM WALO SE AZAMAT WALE), DASTAGIR (MUSHKIL ME HATH PAKADNE WALA/ MADAD KARNE WALA), OR ISI LIYE “KHWAJA MOINUDDIN CHISTI (REHMATULLAHALAYH)” KO GARIB-NAWAZ (ZURURAT MAND KO NAWAZNE WALA) KEHNA BESHAQ JAIZ HE*

⚘ ⌬ ➤ Haq janne ke baad tumpe Lazim he ke, is par Iman lao & ise unko kaho jo Nahi jante,

⚘ ⌬ ➤ warna Mehsar me Haq chhupaneka jawab Allah ko dena padega...✍

        WallaHu Aa'Lam Bis-SawaB

••──────────────────────••►
           *📮☞  ροѕT єηD 🔄*
••──────────────────────••►

No comments:

Post a Comment

सीरते मुस्तफ़ा ﷺ 💚

 الصلوۃ والسلام علیک یاسیدی یارسول الله ﷺ  सीरते मुस्तफ़ा ﷺ (Part- 01) * सीरत क्या है.!? * कुदमाए मुहद्दिषीन व फुकहा "मग़ाज़ी व सियर...